सोमवार 1 नवंबर 1971 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

01-11-71 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

Sarv-śaktiyō̃ K|kē sampattivān banō

Vidēhī , vidēśhī bāpdādā kō bachchō̃ K|kē samān dēh kā ādhār lēkar , jaisā dēśh vaisā vēṣh dhāraṇ karnā paṛtā hai . Vidēhī kō bhī snēhī śhrēṣhṭh ātmāyē̃ apnē snēh sē apnē jaisā banānē kā nimantraṇ dētī haĩ . Aur bāp phir bachchō̃ kō nimantraṇ svīkār kar milnē kē liē ātē haĩ . Āj sabhī bachchō̃ kō nimantraṇ dēnē āyē haĩ . Kaun sā nimantraṇ , jāntē hō  ? Abhī ghar jānē kē liē pūrī taiyārī kar lī hai vā abhī bhī karnī hai  ? Abhī taiyārī karē̃gē  ? Taiyārī karnē mē̃ kitnā samay lagnā hai  ? Is naī phulvāṛī kō viśhēṣh navīntā dikhānī chāhiē . Aisē tō nahī̃ samajhtē hō ki ham nayē kyā kar sakē̃gē  ? Lēkin sadā yah smr̥iti mē̃ rakhnā ki yah purūṣhōttam śhrēṣhṭh saṅgamyug kā samay kam hōtā jātā hai . Is thōṛē sē saṅgam K|kē samay kō vardātā dvārā vardān milā huā hai - kōī bhī ātmā apnē tīvr purūṣhārth sē jitnā vardātā sē vardān lēnē chāhē utnā lē saktē haĩ . Isliē jō naī-naī phulvāṛī sammukh baiṭhī hai , sammukh āyī huī phulvāṛī kō jō chāhē̃ , jaisā chāhē̃ , jitnē samay mē̃ chāhē̃ vardātā bāp sē vardān K|kē rūp mē̃ varsā prāpt hō saktā hai . Isliē viśhēṣh bāpdādā kā is naī phulvāṛī par , snēhī ātmāō̃ par viśhēṣh snēh aur sahyōg hai . Isī bāp K|kē sahyōg kō sahaj yōg K|kē rūp mē̃ dhāraṇ kartē chalō . Yahī vardān thōṛē samay mē̃ high jump dilā saktā hai . Sirph sadā yahī smr̥iti mē̃ rakhō ki mujh ātmā kā is drama K|kē andar viśhēṣh part hai . Kaunsā  ? Sarvśhaktivān bāp sahyōgī hai . Jiskā sahyōgī sarvśhaktivān hai , tō kyā vah high jump nahī̃ dē saktā  ? Sahyōg kō sahaj yōg banāō . Yōgya bāp K|kē sahyōgī bannā - yahī yōgyukt stage hai nā . Jō nirantar yōgī hōgā unkā her|har saṅkalp , śhabda aur karma bāp key|kī vā apnē rājya kī sthāpanā K|kē karttavya mē̃ sadā sahyōgī rahnē kā hī dikhāī dēgā . Iskō hī ‘ gyānī tū ātmā ’ , ‘ yōgī tū ātmā ’ aur sachchā sēvādhārī kahā jātā hai . Tō sadā sahyōgī bannā hī sahaj yōg hai . Agar buddhi dvārā sadā sahyōgī bannē mē̃ kāraṇē-akaraṇē muśhkil anubhav hōtā hai , tō vāchā vā karmaṇā dvārā bhī apnē kō sahyōgī banāyā tō yōgī hō . Aisē nirantar yōgī tō ban saktē hō nā ki yah bhī muśhkil hai  ? Man sē nahī̃ tō tan sē , tan sē nahī̃ tō dhan sē , dhan sē nahī̃ tō jō jismē̃ sahyōgī ban saktā hai usmē̃ uskō sahyōgī bannā bhī ēk yōg hai .

Ēk hōtī hai apnē mē̃ himmat , himmat sē sahyōgī banānā . Agar himmat nahī̃ hai , tan mē̃ bhī himmat nahī̃ hai , man mē̃ bhī nahī̃ hai , dhan mē̃ bhī nahī̃ hai  ; tō kyā karē̃gē  ? Aisā bhī sadā yōgī ban saktā hai . Kōī aisē hōtē haĩ jō bhalē apnī himmat nahī̃ hōtī hai lēkin ullās hōtā hai , haũslā hōtā hai . Dhan key|kī śhakti nahī̃ bhī hai , man mē̃ controlling power nahī̃ hai , vyarth saṅkalp jāstī chaltē haĩ  ; lēkin jō kōī bāt jīvan K|kē anubhav mē̃ ullās aur haũslā dilānē vālī hō , usī dvārā aurō̃ kō haũslā dilāō tō aurō̃ kō himmat ānē sē āpkō bhī hissā mil jāyēgā . Itnā tō avaśhya hai - jō bhī ātmāyē̃ ādi sē vā abhī I|āī|eye huī haĩ , un her|har ātmā kō apnē jīvan mē̃ kōī prāpti kā anubhav avaśhya hai  ; tab tō āyē haĩ . Yahī viśhēṣh anubhav anēk ātmāō̃ kō ullās aur haũslā baṛhānē K|kē kām mē̃ lagā saktē hō . Is dhan sē kōī vañchit nahī̃ . Jō apnē pās|pass hai , jitnā bhī hai us dvārā aurō̃ kō himmatvān banānā vā sahyōgī banānā-yah bhī āp K|kē sahyōg key|kī subject mē̃ marks jamā hāṅgī . Ab batāō , yōg sahaj hai vā muśhkil  ? Nirantar yōgī bannā muśhkil hai . Jō bāp K|kē ban chukē haĩ , ismē̃ tō percentage nahī̃ haĩ nā  ? Ismē̃ tō full pass hō nā . Jab haĩ hī bāp K|kē , tō ēk bāp aur dūsrā kyā rahā  ? Bāp aur āp , bas . Tīsrā tō kōī nahī̃ . Bāp mē̃ varsā tō hai hī . Tīsrā kuchh hai kyā  ? Sivāy bāp aur apnē āp arthāt ātmā ( śharīr nahī̃ ) . Tō āp aur bāp hī rah gayā , tō dō K|kē milnē mē̃ tīsrī rūkāvaṭ hī nahī̃ tō nirantar yōgī huē nā . Tīsrā hai hī nahī̃ tō āyā phir kahā̃ sē  ? Phir yah tō kabhī nahī̃ kahē̃gē ki ā jātā hai , ātā hai tō kyā karē̃  ? Ab yah bhāṣhā khatm . Sadaiv yahī sōchō ki ham haĩ hī sadā bāp K|kē sahyōgī arthāt sahaj yōgī . Viyōg kyā hōtā hai - iskā jaisē mālūm hī nahī̃ . Jaisē bhaviṣhya mē̃ , ‘ māyā hōtī bhī hai ’ - yah mālūm nahī̃ hōgā , vaisē hī ab key|kī stage rahē . Yah bachpan key|kī bātē̃ bīt chukī̃ . Ab tō gate|get K|kē sāmnē ā gayē hō . Jō jaisē bāp K|kē bachchē haĩ , usmē̃ kōī percentage nahī̃ hōtī hai . Aisē hī nirantar sahaj yōgī vā yōgī bannē key|kī stage mē̃ bhī ab percentage khatm hōnī chāhiē . Natural aur nature hō jānī chāhiē . Jaisē kōī key|kī viśhēṣh nature hōtī hai , us nature K|kē vaśh na chāhtē bhī chaltē rahtē haĩ . Kahtē haĩ nā - mērī nature hai , chāhtī nahī̃ hū̃ lēkin nature hai . Vaisē nirantar sahaj yōgī athavā sahyōgī key|kī nature ban jāē , natural hō jāē . Kyā karū̃ , kaisē yōg lagāū̃ - yah bātē̃ khatm . Haĩ hī sadā sahyōgī arthāt yōgī . Isī ēk bāt kō nature aur natural karnē sē bhī subject perfect hō jāyēṅgē . Perfect arthāt effect sē parē , defect sē bhī parē hō jāyēṅgē . Tō āj sē sabhī nirantar sahaj yōgī banē vā abhī banē̃gē  ? Jab vardātā bāp varsē kē sāth vardān bhī dētē haĩ  ; tō jinkō varsē kā adhikār bhī hō , vardān bhī prāpt hō unkē liē muśhkil hai  ? Ab dēkhnā , kōī ākar kahē ki muśhkil hai tō yād dilānā - varsā aur vardān . Bākī ēk kadam rahā huā hai ghar jānē kā . Abhī tō her|har kadam mē̃ padampati banē huē hō . Itnā vardān vardātā dvārā prāpt hai . Jab her|har kadam mē̃ padampati hō , tō kadam vyarth hōgā kyā  ? Her|har kadam mē̃ samarth haĩ , vyarth nahī̃ . Smr̥iti mē̃ samarthī lāō . Sādhāraṇtā kō samāpt karō aur smr̥iti mē̃ samarthī lātē , her|har kadam mē̃ padam lātē jāō tab tō viśhva K|kē mālik banē̃gē .

Achchhā . Āj viśhēṣh phulvāṛī kē liē snēh sē khiñchē āyē haĩ . Chhōṭō̃ sē sadaiv ati snēh hōtā hai , tō apnē kō ati sikīladhē samajhnā . Ati lāḍlē hō , tō bāp samān bankar dikhānā . Bhāī-bahan samān nahī̃ bannā , bāp samān bannā . Jis snēh sē bulāyā usī snēh sē bāp mulākāt bhī kartē aur namastē bhī kartē haĩ .

Binā sāj K|kē rāj samajh saktē hō  ? Aisē abhyāsī banē hō jō rāz āpkē man mē̃ haĩ vah rāz dūsrē kō binā sāj K|kē samjhā saktē hō  ? Pichhāṛī key|kī sēvā mē̃ tō sāz samā jāyēgā , rāz kō hī samjhānā paṛēgā . Tō aisī practice karnī chāhiē . Jab science bahut kuchh karkē dikhā rahī hai  ; tō kyā silence mē̃ vah śhakti nahī̃ hai  ? Jitnā-jitnā svayã rājyukt , yōgyukt bantē jāyēṅgē , utnā-utnā aurō̃ kō bhī binā sāj K|kē rājyukt banā saktē hō . Itnī sārī prajā kaisē banāyēṅgē  ? Isī speed sē itnī prajā ban sakēgī  ! Pichhlī prajā kē ūpar bhī itnī mēhnat karē̃gē  ? Jaisē ṭhappē banē huē hōtē haĩ , tō ēk second mē̃ lagātē jātē haĩ . Vaisē hī ēk second key|kī powerful stage aisē rahēgī jō bigar bōlē , bigar mēhnat kartē daivī gharānē key|kī ātmā kā chhāp lagā dēgē . Yah hī sarvśhaktivān kā gāyan hai . Vardānī ban ēk second mē̃ bhaktō̃ kō vardān dēnā . Vardān dēnē mē̃ mēhnat nahī̃ lagtī , varsā pānē mē̃ mēhnat hai . Varsā pānē vālē mēhnat kar rahē haĩ , mēhnat lē rahē haĩ . Lēkin vardānī mūrti jab ban jāyēṅgē phir mēhnat lēnē vālē na lē̃gē , na dēnē vālē mēhnat karē̃gē . Tō tumhārī last stage hai varadānīmūrta . Jaisē lakṣhmī K|kē hastō̃ sē sthūl dhan dētē huē dikhātē haĩ . Yah tumhārā last śhakti rūp kā hai , na ki lakṣhmī kā . Śhakti rūp sē sarvśhakti - vān kā vardān dētē huē kā yah chitra hai , jiskō sthūl dhan K|kē rūp mē̃ dikhātē haĩ . Tō aisā apnā svarūp sadā vardānī apnē āp kō sākṣhātkār hōtā hai  ? Issē hī samay kā andāz lagā saktē hō . Phir varadānīmūrta śhaktiyō̃ kē āgē sabhī āyēṅgē . Iskē liē ēk taraph vardān kā bīz paṛēgā . Tō apnē mē̃ sarv śhakti jamā karnī haĩ . Aisē varadānīmūrta bantē aur banātē jāō . Āvāz sē parē jānā hai . Achchhā .