बुधवार 2 फ़रवरी 1972 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
02-02-72 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Prīt buddhi key|kī niśhāniyā̃
Sabhī avyakt rūp mē̃ sthit hō ? Yah tō jāntē hō-avyakti milan avyakt sthiti mē̃ sthit rahnē sē hī kar saktē hō . Apnē āp sē pūchhō - avyakt sthiti mē̃ sthit rahnē K|kē anubhavīmūrt kahā̃ tak banē haĩ ? Avyakti sthiti mē̃ rahnē vālō̃ kā sadā her|har saṅkalp , her|har kārya alaukik hōtā hai . Aisā avyakti bhāv mē̃ , vyakt dēśh aur karttavya mē̃ rahtē huē bhī kamal puṣhp K|kē samān nyārā aur ēk bāp kā sadā pyārā rahtā hai . Aisē alaukik avyakti sthiti mē̃ sadā rahnē vālē kō kahā jātā hai allāh lōg . Title tō aur bhī hai . Aisē kō hī prīt buddhi kahā jātā hai . Prīt buddhi aur viparīt buddhi - dōnō̃ K|kē anubhavī hō . Isliē āp lōg mukhya slōganalikhatē bhī hō - vināśh kālē prīt buddhi pāṇḍav vijayantī aur vināśh kālē viparīt buddhi vinaśhayantī . Isaslōganakō sārē din mē̃ apnē āp sē lagātē hō ki kitnā samay prīt buddhi arthāt vijayī bantē haĩ aur kitnā samay viparīt hōnē sē hār khā lētē haĩ ? Jab māyā sē hār khātē hō tō kyā prīt buddhi hō ? Prīt buddhi arthāt vijayī . Tō jab dūsrō̃ kō sunātē hō ki vināśh kālē viparīt buddhi mat banō ; prīt buddhi banō tō apnē kō bhī dēkhtē hō ki is samay ham prīt buddhi haĩ vā viparīt buddhi haĩ ? Prīt buddhi vālā kab śhrīmat K|kē viparīt ēk saṅkalp bhī nahī̃ uṭhā saktā . Agar śhrīmat K|kē viparīt saṅkalp vā vachan vā karma hōtā hai tō kyā uskō prīt buddhi kahē̃gē ? Prīt buddhi arthāt buddhi key|kī lagan vā prīt ēk prītam kē sāth sadā lagī huī hō . Jab ēk kē sāth sadā prīt hai tō anya kisī bhī vyakti vā vaibhavō̃ kē sāth prīt juṭ nahī̃ saktī , kyōṅki prīt buddhi arthāt sadā bāpdādā kō apnē sammukh anubhav karē̃gē . Jab bāp sadā sammukh hai , tō aisē sammukh rahnē vālē kab vimukh nahī̃ hō saktē . Vimukh hōtē haĩ arthāt bāp sammukh nahī̃ hai . Prīt buddhi vālē sadaiv bāp K|kē sammukh rahnē K|kē kāraṇ unkē mukh sē , unkē dil sē sadaiv yahī bōl nikaltē haĩ-tumhī̃ sē khāū̃ , tumhī̃ sē baiṭhū̃ , tumhī̃ sē bōlū̃ , tumhī̃ sē sunū̃ , tumhī̃ sē sarv sambandh nibhāū̃ , tumhī̃ sē sarv prāpti karū̃ . Unkē nain , unkā mukhṛā na bōltē huē bhī bōltē haĩ . Tō aisē vināśh kālē prīt buddhi banē hō arthāt ēk hī lagan mē̃ ēkras sthiti vālē banē hāē ? Jaisē sākār rūp mē̃ , sākār dēśh mē̃ varadān-bhūmi mē̃ jab sammukh ātē hō , tō jaisē sunā vaisē hī sadā prīt buddhi kā anubhav kartē hō nā . Anubhav sunātē hō nā . Aisē hī buddhiyōg dvārā sadā bāpdādā ; K|kē sammukh rahnē kā abhyās karō tō kyā sadā prīt buddhi nahī̃ ban saktē ? Jiskē sammukh hai hī sadā bāpdādā tō jaisē sūrya K|kē sāmnē dēkhnē sē sūrya key|kī kiraṇē̃ avaśhya ātī haĩ ; isī prakār agar gyān-sūrya bāp K|kē sadā sammukh rahō tō gyān-sūrya K|kē sarv guṇō̃ key|kī kiraṇē̃ apnē mē̃ anubhav nahī̃ hōṅgī ?
Gyān-sūrya key|kī kiraṇē̃ na chāhtē bhī apnē mē̃ dhāraṇ hōtē huē anubhav karē̃gē lēkin tab jab bāp K|kē sadā sammukh hōṅgē . Jō sadā bāp kō sammukh anubhav kartē haĩ , unhō̃ key|kī sūrat par kyā dikhāī dēgā jissē āp svayã hī samajh jāyēṅgē ki yah sadaiv bāp K|kē sammukh rahtā hai ? Jō sākār mē̃ bhī sammukh rahtē haĩ unhō̃ key|kī sūrat par kyā rahtā hai ? Sākār mē̃ sammukh rahnē kā tō sahaj anubhav kar saktē hō . Bahut pãrānā śhabda hai . Revise course chal rahā hai nā , tō purānā śhabda bhī revise hō rahā hai . Yah bhī buddhi key|kī drill hai . Buddhi mē̃ manan karnē key|kī śhakti ā jāyēgī . Achchhā , ēk tō unkī sūrat par antarmukhtā key|kī vā antarmukhī key|kī jhalak rahtī hai aur dūsrā apnē saṅgamyug key|kī aur bhaviṣhya key|kī sarv svamān key|kī phalak rahtī hai . Samjhā ? Ēk jhalak dikhāī dētī hai , dūsrā phalak dikhāī dētī hai . Tō aisē sadaiv na sirph phalak dikhāī dē lēkin jhalak bhī dikhāī dē , harṣhitmukh kē sāth antarmukhī bhī dikhāī dē - aisē kō kahā jātā hai sadā bāp K|kē sammukh rahnē vālē prīt buddhi . Agar sadā yah smr̥iti rahē ki is tan kā kisī bhī samay vināśh hō saktā hai ; tō yah vināśh kāl smr̥iti mē̃ rahnē sē prīt buddhi svataḥ hō hī jāyēṅgē . Jab vināśh kā kāl ātā hai tō agyānī bhī bāp kō yād karnē kā prayatna zarūr kartē haĩ lēkin parichay K|kē binā prīt juṭ nahī̃ pātī . Agar yah sadā smr̥iti mē̃ rakhō ki yah antim ghaṛī hai , antim janm nahī̃ antim ghaṛī hai , yah yād rahnē sē aur kōī bhī yād nahī̃ āyēgā . Phir aisē sadā prīt buddhi hō ? Śhrīmat K|kē viparīt tō nahī̃ chaltē hō ? Agar mansā mē̃ bhī śhrīmat K|kē viparīt vyarth saṅkalp vā vikalp ātē haĩ tō kyā prīt buddhi kahē̃gē ? Aisē sadā prīt buddhi rahnē vālē vijayī ratna ban sakē̃gē . Vijayī ratna bannē kē liē apnē kō sadā prīt buddhi banāō . Nahī̃ tō ūñch pad pānē K|kē bajāy cum|kam pad pānē K|kē adhikārī ban jāyēṅgē . Tō sabhī apnē kō vijayī ratna samajhtē hō ? Kahā̃ bhī kis prakār sē kōī sāth prīt na hō , nahī̃ tō viparīt buddhi key|kī list mē̃ ā jāyēṅgē . Jaisē lōgō̃ kō pradarśhanī mē̃ saṅgam K|kē chitra par khaṛā karkē pūchhtē hō ki abhī āp kahā̃ hō aur kaun hō ? Saṅgam par khaṛā karkē kyō̃ pūchhtē hō ? Kyōṅki saṅgam hai ūñch tē ūñch sthān vā yug . Isī prakār apnē āp kō ūñchī stage par khaṛā karō aur phir apnē āp sē pūchhō ki maĩ sadā prīt buddhi hū̃ ? Vā nahī̃ hū̃ vā kabhī prīt buddhi key|kī list mē̃ ātē hō , kabhī nikal jātē hō ? Agar ab tak bhī sadā prīt buddhi nahī̃ banē arthāt kahā̃ na kahā̃ sūkṣhma rūp mē̃ vā sthūl rūp mē̃ kis sē bhī , kahā̃ bhī prīt lagī huī hai . Tō vartamān samay jabki paṛhāī kā course samāpt hō aur revise course chal rahā hai , tō issē samajhnā chāhiē parīkṣhā kā samay kitnā samīp hai . Jaisē ājkal kaurav government bhī bīch-bīch mē̃ paper lēkar unhō̃ key|kī marks final paper mē̃ jamā kartī hai , isī prakār vartamān samay jō bhī karma kartē hō , samjhō - practical paper dē rahē haĩ aur is samay K|kē paper key|kī result final paper mē̃ jamā hō rahī hai . Abhī thōṛē samay mē̃ yah bhī anubhav karē̃gē - kōī bhī vikarma karnē vālē kō sūkṣhma rūp mē̃ sajāō̃ kā anubhav hōgā . Jaisē prīt buddhi chaltē-phirtē bāp , bāp K|kē charitra aur bāp K|kē karttavya key|kī smr̥iti mē̃ rahnē sē bāp K|kē milnē kā practical anubhav kartē haĩ , vaisē viparīt buddhi vālē vimukh hōnē sē sūkṣhma sajāō̃ kā anubhav karē̃gē . Isliē phir bhī bāpdādā pahlē sē hī sunā rahē haĩ ki un sajāō̃ kā anubhav bahut kaṛā hai . Unkē sīrat sē harēk anubhav kar sakē̃gē ki is samay yah ātmā sajā bhōg rahī hai . Kitnā bhī apnē kō chhipānē key|kī kōśhiśh karē̃gē lēkin chhipā nahī̃ sakē̃gē . Vah ēk second key|kī sajā anēk janmō̃ K|kē duḥkh kā anubhav karānē vālī hai . Jaisē bāp K|kē sammukh ānē sē ēk second kā milan ātmā K|kē anēk janmō̃ key|kī pyās bujhā dētā hai , aisē hī vimukh hōnē vālē kō bhī anubhav hōgā . Phir un sajāō̃ sē chhūṭkar apnī us stage par ānē mē̃ bahut mēhnat lagēgī . Isliē pahlē sē hī warning dē rahē haĩ ki ab parīkṣhā kā samay chal rahā hai . Aisē phir ulhanā nahī̃ dēnā ki hamē̃ kyā mālūm ki is karma key|kī itnī guhya gati hai ? Isliē sūkṣhma sajāō̃ sē bachnē kē liē apnē sē hī apnē āp kō sadā sāvdhān rakhō . Ab gafalatan karō . Agar jarā bhī gaphlat key|kī tō jaisē kahāvat hai - ēk kā sau guṇā lābh bhī miltā hai aur ēk kā sau guṇā daṇḍ bhī miltā hai , yah bōl abhī practical mē̃ anubhav hōnē vālē haĩ . Isliē sadā bāp K|kē sammukh , sadā prīt buddhi bankar rahō . Achchhā !
Sadā sammukh rahnē vālē lucky sitārō̃ kō bāpdādā bhī namastē kartē haĩ . Achchhā !