शनिवार 4 मार्च 1972 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
04-03-72 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Adhikārī bannē kē liē adhīnatā chhōḍō
Āj viśhēṣh kiskē liē āyē haĩ , jāntī hō ? Bhaviṣhya mē̃ viśhēṣhtā dikhlānē vālī viśhēṣh ātmāō̃ kē prati . Apnē kō viśhēṣh ātmāyē̃ arthāt viśhēṣhtā dikhlānē vālī samajhtī hō ? Aisā viśhēṣh kaunsā kārya karkē dikhāyēṅgī jō ab tak kōī group nē na karkē dikhāyā hō ? Iskā kōī plan sōchā hai ? pass with honour bannē kā lakṣhya aur bāp kā show dikhlānē kā lakṣhya tō sabhī kā hī hai lēkin āp lōg viśhēṣh kyā navīntā dikhāyēṅgī ? Navīntā vā viśhēṣhtā yahī dikhānā vā dikhānē kā niśhchay karnā - ki kōī bhī vighna mē̃ vā kōī bhī kārya mē̃ mēhnat na lēkar aur hī anya ātmāō̃ kō bhī nirvighna aur her|har kārya mē̃ madadgār banātē sahaj hī saphaltā - mūrt banē̃gē aur banāyēṅgē . Arthāt sadā sahajyōg , sadā bāp K|kē snēhī , bāp K|kē kārya mē̃ sahyōgī , sadā sarv śhaktiyō̃ kō dhāraṇ kartē huē śrr̥ṅgār-mūrta , śhastradhārī śhakti ban apnē chitra sē , chalan sē bāp K|kē charitra aur karttavya kō pratyakṣha karnā hai . Aisī pratigyā apnē sē kī hai ? Chhōṭī-chhōṭī bātō̃ mē̃ mēhnat tō nahī̃ lē̃gē ? Kisī bhī māyā kēākarṣitarūp mē̃ dhōkhā tō nahī̃ khāyēṅgē ? Jō svayã dhōkhā khā lētē haĩ vah aurō̃ kō dhōkhē sē chhuṛā nahī̃ pātē . Sadaiv yahī smr̥iti rakhō ki ham duḥkh-hartā sukh-kartā K|kē bachchē haĩ . Kiskē bhī duḥkh kō halkā karnē vālē svayã kab bhī , ēk second vē|way liē bhī , saṅkalp vā svapn mē̃ bhī duḥkh key|kī lahar mē̃ nahī̃ ā saktē haĩ . Agar saṅkalp mē̃ bhī duḥkh key|kī lahar ātī hai tō sukh K|kē sāgar bāp key|kī santān kaisē kahlā saktē haĩ ? Kyā bāp key|kī mahimā mē̃ yah kab varṇan kartē hō ki sukh kā sāgar hō lēkin kab-kab duḥkh key|kī lahar bhī ā jātī hai ? Tō bāp samān bannā hai nā . Duḥkh key|kī lahar ātī hai arthāt kahā̃ na kahā̃ māyā nē dhōkhā diyā . Tō aisī pratigyā karnī hai . Śhakti rūp nahī̃ hō kyā ? Śhakti kaisē milēgī ? Agar sadā buddhi kā sambandh ēk hī bāp sē lagā huā hai tō sambandh sē sarv śhaktiyō̃ kā varsā adhikār K|kē rūp mē̃ avaśhya prāpt hōtā hai , lēkin adhikārī samajhkar her|har karma kartē rahē̃ tō kahnē vā saṅkalp mē̃ māṅgnē key|kī ichchhā nahī̃ rahēgī . Adhikār prāpt na hōnē kāraṇ , kahā̃ na kahā̃ kisī prakār key|kī adhīnatā hai . Adhīnatā hōnē K|kē kāraṇ adhikār prāpt nahī̃ hōtā hai . Chāhē apnē dēh K|kē bhān key|kī adhīnatā hō , chāhē purānē saṅskārō̃ K|kē adhīn hō , chāhē kōī bhī guṇō̃ key|kī dhārṇā key|kī kamī K|kē kāraṇ nirbaltā vā kamjōrī K|kē adhīn hō , isliē adhikār kā anubhav nahī̃ kar pātē . Tō sadaiv yah samjhō ki ham adhīn nahī̃ , adhikārī haĩ . Purānē saṅskārō̃ par , māyā kē ūpar vijay pānē K|kē adhikārī haĩ . Apnē dēh K|kē bhān vā dēh K|kē sambandh vā samparka jō bhī haĩ unkē ūpar vijay pānē K|kē adhikārī haĩ . Agar yah adhikārīpan sadaiv smr̥iti mē̃ rahē tō svataḥ hī sarv śhaktiyō̃ kā , prāpti kā anubhav hōtā rahēgā . Adhikārīpan bhūl jātā hai ? Jō adhīn hōtā hai vah sadaiv māṅgtā rahtā hai , adhikārī jō hōtā hai vah sadaiv sarv prāpti-svarūp rahtā hai . Bāp kē pās sarv śhaktiyō̃ kā khazānā kiskē liē hai ? Tō jō jinhō̃ key|kī chīz hai vah prāpt na karē̃ ? Yahī naśhā sadaiv rahē ki sarv śhaktiyā̃ tō hamārā janm-siddh-adhikār hai . Tō adhikārī bankar K|kē chalō . Aisā sadaiv buddhi mē̃ śhrēṣhṭh saṅkalp rahnā chāhiē . Agar saṅkalp śhrēṣhṭh hai tō vachan aur karma mē̃ bhī nahī̃ ā saktē . Isliē saṅkalp kō śhrēṣhṭh banāō aur sadaiv sarvśhaktivān bāp kē sāth buddhi kā saṅg hō . Aisē sadaiv saṅg K|kē raṅg mē̃ raṅgē huē hō ? Anubhav kartē hō vā abhī jānē kē bād anubhav karē̃gē ? Sadaiv yahī samjhō ki sōchnā hai vā bōlnā hai vā karnā hai tō kamāl kā , common nahī̃ . Agar common arthāt sādhāraṇ saṅkalp kiyē tō prāpti bhī sādhāraṇ hōgī . Jaisē saṅkalp vaisī sr̥iṣhṭi banēgī nā . Agar saṅkalp hī śhrēṣhṭh na hōṅgē tō apnī naī sr̥iṣhṭi jō rachnē vālē haĩ usmē̃ pad bhī sādhāraṇ hī milēgā . Isliē sadaiv yah check karō - hamārā saṅkalp jō uṭhā vah sādhāraṇ hai vā śhrēṣhṭh ? Sādhāraṇ saṅkalp vā chalan tō sarv ātmāyē̃ kartī rahtī haĩ . Agar sarvśhaktivān key|kī santān hōnē kē bād bhī sādhāraṇ saṅkalp vā karma huē tō śhrēṣhṭhatā vā viśhēṣhtā kyā huī ? Maĩ viśhēṣh ātmā hū̃ , is kāraṇ hamārā sabhī kuchh viśhēṣh hōnā chāhiē . Apnē parivartan sē ātmāō̃ kō apnī taraph vā apnē bāp K|kē taraph ākarṣitakar sakō ; apnē dēh K|kē taraph nahī̃ , apnī arthāt ātmā key|kī rūhāniyat taraph . Tumhārā parivartan sr̥iṣhṭi kō parivartan mē̃ lāyēgā . Sr̥iṣhṭi kā parivartan bhī śhrēṣhṭh ātmāō̃ K|kē parivartan kē liē rūkā huā hai . Parivartan tō lānā hai . Nā ki yah sādhāraṇ jīvan hī achchhī lagtī hai ? Yah smr̥iti , vr̥iti aur dr̥iṣhṭi alaukik hō jātī hai tō is lōk kā kōī bhī vyakti vā kōī bhī vastuākarṣitanahī̃ kar saktī . Agar ākarṣitakaratī hai tō samajhnā chāhiē ki smr̥iti mē̃ vā vr̥itti mē̃ vā dr̥iṣhṭi mē̃ alaukiktā key|kī kamī hai . Is kamī kō second mē̃ parivartan mē̃ lānā hai . Yah group yahī viśhēṣhtā dikhāvē ki second mē̃ apnē saṅskār vā saṅkalp kō parivartan mē̃ lākar dikhāvē . Aisī himmat hai ? Sōchnē mē̃ bhī jitnā samay lagtā hai , karnē mē̃ itnā samay na lagē . Aisī himmat hai ? Yah group hai sāhasī group . Tō jō sāhas rakhnē vālē haĩ unhō̃ kē sāth bāp sadā sahyōgī hai , isliē kabhī bhī sāhas kō chhōṛnā nahī̃ . Himmat aur ullās sadā rahē . Himmat sē sadāharṣitarahēṅgē . Ullās sē kyā hōgā ? Ullās kiskō khatm kartā hai ? Ālasya kō . Ālasya bhī viśhēṣh vikār hai . Jō puruṣārthīpurūṣārtha K|kē mārg par chal paṛ haĩ unhō̃ K|kē sāmnē vartamān samay māyā kā war|vār is ālasya K|kē rūp mē̃ bhinn-bhinn tarīkē sē ātā hai . Tō is ālasya kō khatm karnē kē liē sadā ullās mē̃ rahō . Kamāī karnē kā jab kiskō ullās hōtā hai tō phir ālasya khatm hō jātā hai . Ab bhī kōī kārya prati bhī apnā ullās nahī̃ hōtā tō phir ālasya zarūr hōgā . Isliē kabhī bhī ullās kō cum|kam nahī̃ karnā hai jō ālasya K|kē vaśh hōkar aur śhrēṣhṭh karma karnē sē vañchit hō jāō . Ālasya bhī kaī prakār kā hōtā hai . Apnē purūṣhārth mē̃ āgē baṛhnē mē̃ ālasya bahut vighna rūp ban jātā hai . Yah jō kahnē mē̃ ātā hai - achchhā , sōchē̃gē , yah kārya karē̃gē - kar hī lē̃gē , yah ālasya key|kī niśhānī hai . Karē̃gē , kar hī lē̃gē , hō hī jāyēgā , lēkin nahī̃ , karnē lag paṛnā hai . Jō knowledge vā dhārṇāyē̃ milī haĩ vah buddhi mē̃ dhāraṇ tō kī haĩ nā . Lēkin practical mē̃ ānē mē̃ jō vighna rūp bantā vah hai svayã kā ālasya . Achchhā , kal sē lēkar karē̃gē , phalānā karē tō ham bhī karē̃gē , āj sōchtē haĩ kal sē karē̃gē , yah kārya pūrā karkē phir yah karē̃gē - aisē-aisē saṅkalp hī ālasya kā rūp haĩ . Jō karnā hai vah abhī karnā hai . Jitnā karnā hai vah abhī karnā hai . Bākī karē̃gē , sōchē̃gē - in akṣharō̃ mē̃ pichhāṛī mē̃ ga-ga ātā hai nā , tō yah śhabda hai bachpan key|kī niśhānī . Chhōṭā bachchā ga-ga kartā rahtā hai nā , yah albēlēpan key|kī niśhānī hai . Isliē kab bhī ālasya kā rūp apnē pās|pass ānē na dēnā aur sadā apnē kō ullās mē̃ rakhnā . Kyōṅki nimitt bantē hō nā . Nimitt banē huē sadaiv purūṣhārth K|kē ullās mē̃ rahtē haĩ tō unhē̃ dēkh aur bhī ullās mē̃ rahtē haĩ . Chaltē-chaltē purūṣhārth mē̃ thakāvaṭ ānā vā chaltē-chaltē purūṣhārth sādhāraṇ raphtār mē̃ hō jāvē , yah kiskī niśhānī hai ? Vighna na hō lēkin lagan bhī śhrēṣhṭh na hō tō uskō bhī ālasya kahē̃gē . Kaī aisē anubhav kartē haĩ - vighna bhī nahī̃ haĩ , ṭhīk bhī chal rahē haĩ lēkin lagan bhī nahī̃ hai arthāt ullās vā viśhēṣh kōī umaṅg nahī̃ hai . Tō yah bhī niśhānī ālasya kī hai . Ālasya bhī anēk prakār kā hai . Is ālasya kō kabhī bhī ānē na dēnā . Ālasya dhīrē-dhīrē pahlē sādhāraṇ puruṣārthībanāyēgā vā samīpatā sē dūr karēgā ; phir dūr kartē-kartē dhōkhā bhī dē dēgā , kamjōr banā dēgā , nirbal banā dēgā . Nirbal vā kamjōr bannē sē kamiyō̃ key|kī pravēśhtā śhurū hō jātī hai . Isliē sadaiv yah check karnā - mērī buddhi key|kī lagan bāp vā bāp K|kē karttavya sē thōṛī bhī dūr tō nahī̃ hai , bilkul samīp vā sāth-sāth hai ? Ājkal K|kē jamānē mē̃ kōī kiskā khūn kartā hai vā kōī bhraṣhṭāchār kā kārya kartā hai tō pahlē unkō dūr bhagākar lē jāyēgā . Unkō akēlā , kamjōr banākar phir us par war|vār karēgā . Tō māyā bhī chatur hai . Pahlē sarvśhaktivān bāp sē buddhi kō dūr kartī hai , phir jab kamjōr ban jātē haĩ tab war|vār kartī hai . Kōī bhī sāth nahī̃ rahtā hai . Kyā bhī hō jāyē - apnī buddhi kō kabhī bāp kē sāth sē dūr na karnā . Jab kiskā war|vār hōtā hai tō unsē kaisē apnē kō bachānē liē chillātē haĩ , ghamsān kartē haĩ jissē kōī dūr na lē jā sakē . Yahā̃ phir jab dēkhō ki māyā hamārī buddhi key|kī lagan kō bāp sē dūr karnē key|kī kōśhiśh kartī hai , tō apnē andar bāp K|kē guṇ gānē haĩ , mahimā karnī hai . Mahān ! Karttavya karnē lag jāō , chillāō nahī̃ . Bhakti mē̃ bhī guṇgān kartē haĩ nā . Yah yādgār bhī kab sē banā ? Yah mansā kā guṇgān karnā vāchā mē̃ lā diyā hai . Yathārth rīti sē guṇgān tō āp hī kar saktē hō nā . Ab yathārth rūp mē̃ mansā saṅkalp sē , smr̥iti-svarūp mē̃ guṇgān kartē hō aur bhakti mē̃ sthūlatā mē̃ ātē haĩ tō mukh sē gānē lag paṛtē haĩ . Sabhī rīti - rasm śhurū tō yahā̃ sē hōtī haĩ nā . Tō guṇgān karnē lag jāō . Apnē kō adhikārī samajh sarv śhaktiyō̃ kō kām mē̃ lāō . Phir kab bhī māyā āpkī buddhi key|kī lagan kō dūr nahī̃ kar sakēgī . Na dūr hōṅgē , na kamjōr hōṅgē , na hār khāyēṅgē . Phir sadā vijayī hōṅgē . Tō yah slōganayād rakhnā ki ham anēk bār K|kē vijayī haĩ , ab bhī vijayī bankar hī dikhāyēṅgē . Jō anēk bār K|kē vijayī haĩ vah abhī phir hār khā saktē haĩ kyā ? Kabhī nahī̃ . Hār khānā asambhav anubhav hōnā chāhiē . Jaisē agyānī ātmāō̃ kō vijay pānā asambhav anubhav hōtā hai nā . Samajhtē haĩ - vijayī bannā hō bhī saktā hai kyā ? Tō jaisē agyānī kē liē vijayī bannā asambhav hai , is prakār gyānī ātmā kō hār khānā asambhav anubhav hōnā chāhiē . Aisē vil-pāvar apnē mē̃ bharī hai ? Apnē kō sarv samarpaṇ kiyā ? Sarv samarpaṇ uskō kahā jātā hai jiskē saṅkalp mē̃ bhī bāḍī-kānasēs na hō , dēh-abhiman na hō . Uskō kahā jātā hai sarv samarpaṇ . Apnē dēh kā bhān bhī arpaṇ karnā hai . Maĩ phalānī hū̃ - yah saṅkalp bhī arpaṇ hō . Uskō kahtē haĩ sarv samarpaṇ , sarv guṇō̃ sē sampann . Sarv guṇō̃ sē sampann kō hī sampūrṇ kahā jātā hai . Kōī bhī guṇ key|kī kamī nahī̃ . Abhī tō varṇan kartē hō nā ki yah kamī hai . Issē siddha hai ki sampūrṇ stage nahī̃ hai . Tō sarv guṇ sampann haĩ ? Tō lakṣhya yahī rakhnā hai ki sarv samarpaṇ bankar sarv guṇ sampann ban sampūrṇ stage kō prāpt karē̃gē hī . Aisē purūṣhārthiyō̃ kō bāp bhī vardān dētē haĩ ki sadā vijayī bhav . Her|har saṅkalp mē̃ kamāl dikhāō yahī viśhēṣhtā dikhāō - jīvan kā phaislā kar āī hō nā ? Apnē āp sē phaislā karkē āī hō . Kōī bhī saṅskār K|kē vaśh nahī̃ hōnā . Jō haĩ hī jagatjīt , viśvakē vijayī vah kiskē bhī vaśh hō nahī̃ saktē . Jō svayã sarv ātmāō̃ kō najar sē nihāl karnē vālī haĩ , unkī najar aur kahā̃ bhī nahī̃ jā saktī . Aisē dr̥iṛh niśhchaybuddhi hō ? Apnī sabhī kamjōriyō̃ kō bhaṭṭhī mē̃ svāhā kiyā vā karnā hai ? Phir aisē tō nahī̃ kahē̃gī ki bākī yah thōṛī rah gaī hai ? Apnī mansā key|kī jēb kō achchhī tarah sē jāñch karnā - kahā̃ kōī kōnē mē̃ kuchh rahā tō nahī̃ ? Vā jānabūjh kar jēb kharcha rakhā hai ? Yah achchhī tarah sē dēkhnā . Ummīdvār group hō vā issē bhī ūpar ? Issē ūpar kyā hōtā hai ? Ummīdvār bhī haĩ aur vijayī bhī haĩ . Tō yah anēk bār kā vijayī group hai . Vijayī haĩ hī . Ummīd key|kī bāt nahī̃ . Aisē vijayī hī vijay-mālā K|kē maṇakē bantē haĩ . Ummīd nahī̃ lēkin 100 % niśhchay hai ki ham vijayī haĩ hī . Dēkhnā , māyā cum|kam nahī̃ hai . Māyā key|kī chham-chham , rimjhim cum|kam nahī̃ . Māyā bhī baṛī raunakadār hai . Sabhī taraph sē , sabhī rūp sē māyā key|kī knowledge kō bhī samajh gayē hō ki māyā kyā chīz hōtī hai aur kis rūp sē , kis rīti sē ātī hai ? Iskī bhī pūrīnôlējalī hai ? Aisē tō nahī̃ kahē̃gē ki is bāt key|kī tō hamē̃ knowledge nahī̃ thī ? Aisē anjān bankar apnē kō chhuṛānā nahī̃ . Kaī kahtē haĩ hamkō tō patā nahī̃ thā ki aisē bhī kōī hōtā hai , kyā-kyā kartē rahtē haĩ ! Anjān hōnē kāraṇ bhī dhōkhē mē̃ ā jātē . Lēkin jab master knowledgeful hō tō anajānapanā nahī̃ rah saktā . Yah jō śhabda nikaltā hai ki mujhē is bāt kā gyān nahī̃ thā ; yah bhī kamjōrī hai . Gyānī arthāt gyānī . Kōī bhī bāt kā agyān rahā tō gyānī kahē̃gē kyā ? Gyān-svarūp kō kōī bhī bāt kā agyān na rahēgā . Jō yōgyukt hōṅgē unkō na anubhav hōtē bhī aisā hī anubhav hōgā jaisē ki pahlē sē sabhī-kuch jāntē haĩ . Trikāldarśhā phir anjān kaisē hō saktē haĩ ! Tō master knowledgeful bhī banē aur vijayī bhī banē ; tō hār asambhav hī anubhav hōgī nā . Ab dēkhē̃gē - yah group kaisī jhalak dikhātā hai ? Āpkī jhalak sē sabhī kō bāp key|kī jhalak dikhāī dē . Bēchārī ātmāyē̃ taṛaptī haĩ , bāp key|kī jarā jhalak dikhāī dē tō sarv prāpti hō . Tō ab bāp key|kī jhalak apnī jhalak sē dikhāō . Samjhā ? Tō yah vijayī group hai . Ullās sē ālasya kō bhagānē vālē hō . Abhī practical dēkhē̃gē . Practice kō practical mē̃ kahā̃ tak lātī hō , yah bhī mālūm paṛ jāyēgā . Yah kamāl dikhāō . Jō jis-jis bhī sthān par jāō , jis sāthī kē sāth service mē̃ madadgār banō unkē taraph sē kamāl K|kē sivāy aur kōī bāt hī na āyē . Ēk-ēk line mē̃ kamāl likhē̃ , tab kahē̃gē vijayī group hai . Bāp samān bankar dikhāō . Aisē kamāl kar dikhāō jō baṛē bhī bāp K|kē guṇgān karē̃ ki sachmuch yah group nirvighna , sadā bāp key|kī lagan mē̃ magan rahnē vālā hai . Ēk K|kē sivāy aur kuchh sūjhtā hī nahī̃ . Chāhē ēk bāp key|kī lagan , chāhē bāp K|kē karttavya key|kī lagan - iskē sivāy aur kuchh sūjhēgā hī nahī̃ . Saṅsār mē̃ aur kōī vastu yā vyakti hai bhī - - yah anubhav hī na hō . Aisī ēk lagan , ēk bharōsē mē̃ , ēkras avasthā mē̃ , chaṛhtī kalā mē̃ rahnē vālē bankar dikhāō , tab kahē̃gē kamāl . kyō̃ kō tō ēkdam bhasma karkē jānā , itnē tak jō kōī kāraṇ sāmnē banē tō us kāraṇ kō bhī parivartan kar nivāraṇ rūp banā dō . Phir yah nahī̃ kahnā ki yah kāraṇ thā . Kitnē bhī kāraṇ hō̃ - maĩ nivāraṇ karnē vālī hū̃ ; na ki kāraṇ kō dēkh kamjōr bannā hai . Kāraṇ kō nivāraṇ mē̃ parivartan karnē vālē group hō . Iskō vijayī kahā jātā . Aisē śhrēṣhṭh lakṣaṇadhārī bhaviṣhya mē̃ lakṣhmī rūp bantē haĩ . Lakṣhmī arthāt lakṣhaṇ vālī . Tō abhī bhī chēhrē mē̃ , chalan mē̃ vah chamak dikhāī dēnī chāhiē . Aisē nahī̃ ki abhī tō yahā̃ sīkh rahē haĩ , vahā̃ jākar dikhāyēṅgī . Jab yahā̃ apnā sabūt dēkar jāyēṅgī tab vahā̃ bhī sabūt dē sakē̃gī . Samjhā ? Abhī tum sabhī hō hī sēvādhārī . Sēvādhārī kab bhī suhējō̃ K|kē saṅkalp mē̃ nahī̃ ātē . Sarv sambandhō̃ sē sarv anubhav karnā , vah dūsrī bāt hai lēkin sadā smr̥iti mē̃ apnā sēvādhārī svarūp rakhnā hai . Suhējō̃ mē̃ lagē̃gē tō sēvā bhūl jāyēgī . Sēvādhārī hū̃ , viśhva-parivartan karnē vālī patit-pāvnī hū̃ , - yah apnā svarūp smr̥iti mē̃ rakhō . Patit-pāvnī kē ūpar kōī patit ātmā key|kī nazar key|kī parchhāī bhī nahī̃ paṛ saktī . Patit-pāvnī K|kē sāmnē ānē sē hī patit badalkar pāvan ban jāvē , itnī power chāhiē . Patit ātmāō̃ K|kē patit saṅkalp bhī na chal sakē̃ , aisī apnī brake powerful hōnī chāhiē . Jab uskā hī patit saṅkalp nahī̃ chal saktā tō patit-pan kā prabhāv kaisē paṛ saktā ? Yah bhī nahī̃ sōchnā - maĩ tō pāvan hū̃ lēkin is patit ātmā kā prabhāv paṛ gayā . Yah bhī kamjōrī hai . Prabhāv paṛnē kā arth|earth hī hai prabhāvśhālī nahī̃ hō , tab unkā prabhāv āpkō prabhāvit kartā hai . Patit - pāvanī patit saṅkalpō̃ K|kē bhī prabhāv mē̃ nahī̃ ā saktī . Patit-pāvnī K|kē svapn mē̃ bhī patitapan K|kē saṅkalp vā scene nahī̃ ā saktī . Agar svapn mē̃ bhī patitapan K|kē dr̥iśhya ātē haĩ tō samajhnā chāhiē ki patit saṅskārō̃ K|kē prabhāv kā asar hai . Uskō bhī halkā nahī̃ chhōṛnā chāhiē . Svapn mē̃ bhī kyō̃ āyē ? Itnī kaṛī dr̥iṣhṭi , kaṛī vr̥itti , kaṛī smr̥iti svarūp bannā chāhiē . Patit ātmā mujh śhastradhārī śhakti kē āgē ēk second mē̃ bhasma hō jāē . Kōī vyakti bhasma nahī̃ hōgā lēkin unkē patit saṅskār nāśh hō jāyēṅgē . Āsurī saṅskārō̃ kō nāśh karnē key|kī āvaśhyaktā hai . Maĩ patit-pāvnī , āsurī-patit saṅskār sãhārī hū̃ . Jō svayã sãhārī haĩ vah kab kiskā śhikār nahī̃ ban saktē . Itnā practical prabhāv hōnā chāhiē jō kōī bhī āpkē sāmnē saṅkalp karē aur unkā saṅkalp mūrchhit hō jāē . Aisā kālī rūp bannā hai . Ēk second mē̃ patit saṅkalp key|kī bali lē lēvē̃ . Aisī bhalēvān banī hō jō kōī key|kī parchhāī bhī na paṛ sakē ? Kōmal nahī̃ bannā hai . Kōmal jō hōtē haĩ vah nirbal hōtē haĩ . Śhaktiyā̃ kōmal nahī̃ hōtī̃ . Māyā par taras kabhī nahī̃ karnā . Tum māyā kā tiraskār karnē vālī hō . Jitnā māyā kā tiraskār karē̃gī utnā bhaktō̃ dvārā yā daivī parivār dvārā satkār prāpt karē̃gī . Māyā par rōb dikhānā hai , na ki rahm . Kōī K|kē purūṣhārth mē̃ madadgār bannē mē̃ taras karnā hai , māyā sē nahī̃ . Achchhā !