शुक्रवार 1 जून 1973 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
01-06-73 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Sarv śhaktiyō̃ kā stock
Vighna vināśhak , sarv-śaktivān mahādānī śhiv bābā bōlē :
Kyā apnē kō vighna-proof samajhtē hō ? Jab svayã vighna-proof banē̃gē tab hī dūsrō̃ kō bhinn-bhinn prakār K|kē vighnō̃ sē bachā sakē̃gē . Svayã mē̃ bhī kōī mansā kā vighna hai tō dūsrō̃ kō vighna-proof kabhī bhī banā na sakē̃gē . Abhī tō samay aisā ā rahā hai jō sārē bhambhōr kō jab āg lagēgī , us āg sē bachānē kē liē kuchh mukhya bātē̃ āvaśhyak haĩ . Jaisē kahī̃ bhī āg lagtī hai , tō āg sē bachnē kē liē pahlē kis vastu ki āvaśhyaktā hōtī hai ?
Jab is vināśh key|kī āg chārō ōr lagēgī , us samay āp śhrēṣhṭh ātmāō̃ kā pahlā-pahlā karttavya kaun-sā hai ? Śhānti kā dān arthāt śhītaltā kā jal dēnā . Pānī ḍālnē kē bād phir kyā-kyā kartē haĩ ? Jiskō jō-kuch āvaśhyaktā hōtī hai vah un key|kī āvaśyakatāē̃ pūrṇ kartē haĩ . Kisī kō ārām chāhiē , kisī kō ṭhikānā chāhiē , matlab jiskī jaisī āv śyakatā hōtī hai vahī pūrī kartē haĩ . Āp lōgō̃ kō kaun-sī āvaśyakatāē̃ pūrṇ karnī paṛē̃gī , vah jāntē hō ? Us samay harēk kō alag-alag śhakti key|kī āvaśhyaktā hōgī . Kisī kō sahanśhakti key|kī āvaśhyaktā , kisī kō samēṭnē kī śhakti key|kī āvaśhyaktā , kisī kō nirṇay karnē key|kī śhakti key|kī āvaśhyaktā aur kisī kō apanē-āp kō parakhnē key|kī śhakti key|kī āvaśhyaktā hōgī . Kisī kō mukti K|kē ṭhikānē key|kī āvaśhyaktā hōgī . Bhinn-bhinn śhaktiyō̃ key|kī un ātmāō̃ kō us samay āvaśhyaktā hōgī . Bāp K|kē parichay dvārā ēk second mē̃ aśhānt ātmāō̃ kō śhānt karānē key|kī śhakti bhī us samay āvaśhyak hai . Vah abhī sē hī ikaṭṭhī karnī hōgī . Nahī̃ tō us samay lagī huī āg sē kaisē bachā sakē̃gē ? Jī-dān kaisē dē sakē̃gē ? Yah apanē-āp kō pahlē sē hī taiyārī karnē kē liē dēkhnā paṛēgā .
Jaisē chhaḥ mās kā stock rakhtē hō na , ki chhaḥ mās mē̃ is-is vastu key|kī āvaśhyaktā hōgī . Check karkē phir bhar dētē hō . Is prakār kyā yah stock bhī check kartē hō ? Sārē viśhva key|kī sabhī ātmāō̃ kō śhakti kā dān dēnā paṛēgā . Itnā stock jamā kiyā hai jō svayã bhī apnē kō śhakti K|kē ādhār sē chalā sakē̃ aur dūsrō̃ kō bhī śhakti dē sakē̃ tāki kōī bhī vañchit na rahē . Agar apnē pās|pass śhaktiyā̃ jamā nahī̃ haĩ aur ēk bhī ātmā vañchit rah gaī tō iskā bōjhā kis par hōgā ? Jō nimitt banī huī haĩ . Sadaiv apnī her|har śhakti kā stock check karō . Jiskē pās|pass sarv-śaktiyō̃ kā stock jamā hai vahī mkhya gāyē jātē haĩ .
Jaisē stars dikhātē haĩ unmē̃ bhī number-vār hōtē haĩ . Jin kē pās stock jamā hai vahī lucky stars K|kē rūp mē̃ chamaktē huē viśhva ki ātmāō̃ K|kē bīch najar āyēṅgē . Tō yah caikiṅg karnī hai ki kyā sarvśhaktiyō̃ kā stock hai ? Mahārathiyō̃ kā her|har saṅkalp par pahlē sē hī attention rahtā hai . Mahārathiyō̃ K|kē check karnē key|kī rūp-rēkhā hī nyārī hai . Yōg key|kī śhakti hōnē K|kē kāraṇ automatically yukti-yukt saṅkalp , bōl aur karma hōṅgē . Abhī yah natural rūp hō gayā hai . Mahārathiyō̃ K|kē caikiṅg kā rūp bhī yah hai . Sarvśhaktiyō̃ mē̃ kis śhakti kā kitnā stock jamā hai . Us jamā kiai huē stock sē kitnī ātmāō̃ kā kalyāṇ kar saktē haĩ . Jaisē sthūl stock key|kī dēkh-rēkh karnā aur jamā karnā yah duty hai ; vaisē hī sarvśhaktiyō̃ K|kē stock jamā karnē key|kī bhī zimmēvārī hai . Yah hōtā hai ôlarāuṇḍar kā her|har chīj K|kē stock key|kī āvaśhyaktā pramāṇ jamā karnā . Amr̥itbēlē uṭhkar apnē kō attention K|kē paṭṭē par chalānā tō paṭṭē par gāṛī ṭhīk chalēgī . Phir nīchē-ūpar hōnā sambhav hī nahī̃ . Tō abhī yah stock jamā karnē key|kī caikiṅg rakhnī hai . Sārē viśhva kō jimmēvārī tum bachchō̃ par hai . Sirph bhārat key|kī nahī̃ . Mahārathiyō̃ kā her|har karma mahān hōnā chāhiē . Kissē ? - ghōṛē savār aur pyādō̃ sē mahān . Achchhā .
Is murlī sē viśhēṣh tathya
1 . jaisē sthūl vastuō̃ kā stock rakhtē hō nā ki chhaḥ mās mē̃ is-is vastu key|kī āvaśhyaktā hōgī . Check kar K|kē phir bhar dētē hō . Isī prakār śhaktiyō̃ kā stock bhī check kartē rahō . Itnā stock jamā hō jō svayã bhī apnē kō śhakti K|kē ādhār sē chalā sakē̃ aur dūsrō̃ kō bhī śhakti dē sakē̃ .
2 . jaisē stars mē̃ bhī number-vār hōtē haĩ , isī prakār gyān sitārō̃ mē̃ bhī number-vār hōtē haĩ . Jin kē pās śhaktiyō̃ kā stock jamā hō vahī lucky stars K|kē rūp mē̃ chamaktē huē viśhva key|kī ātmāō̃ K|kē bīch najar āyēṅgē .
3 . mahārathī vah jō yah check kartā rahē ki sarvśhaktiyō̃ mē̃ kis śhakti kā kitnā stock jamā hai , us jamā kiyē huē stock sē kitnī ātmāō̃ kā kalyāṇ kar saktē haĩ .