शनिवार 8 फ़रवरी 1975 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

08-02-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Niśhchay rūpī āsan par achal sthiti

Her|har paristhiti mē̃ achal ēvã aḍōl banānē vālē śhiv bābā bōlē -

Sabhī apnē kō niśhchay rūpī āsan par sthit anubhav kartē hō  ? Niśhchay kā āsan kabhī hiltā tō nahī̃ hai  ? Kisī bhī prakār key|kī paristhiti yā prakr̥iti yā kōī vyakti niśhchay K|kē āsan kō kitnā bhī hilānē kā prayatna karē , lēkin vah hilā na sakē - aisē achal-aḍōl āsan hai  ? Niśhchay K|kē āsan mē̃ sadā achal rahnē vālā niśhchay-buddhi vijayanti gāyā huā hai . Tō achal rahnē key|kī niśhānī hai - her|har saṅkalp , bōl aur karma mē̃ sadā vijayī . Aisē vijayī ratna svayã kō anubhav kartē hō  ? Kisī bhī bāt mē̃ hilnē vālē tō nahī̃ hō  ? Jō samajhtē haĩ kabhī kōī bāt mē̃ halchal mach saktī hai yā kōī prakār kā saṅkalp bhī utpanna hō saktā hai aisē puruṣhārthī hāth uṭhāō  ? Aisē kōī haĩ jō samajhtē hō̃ ki hā̃ , hō saktā hai  ? Agar hāth na uṭhāyēṅgē tō paper baṛā kaṛā ānē vālā hai , phir kyā karē̃gē  ? Kōī bhī muśhkil paper āyē usmē̃ sabhī pās|pass hōnē vālē hō tō paper key|kī date announce karē̃ . Sab aisē taiyār hō  ? Phir us samay tō nahī̃ kahē̃gē ki yah bāt tō samajhī nahī̃ thī aur sōchī nahī̃ thī , yah tō naī bāt ā gaī hai  ? Niśhchay kī parīkṣhā hai ki jin bātō̃ kō sambhav samajhtē hō , vah asambhav K|kē rūp mē̃ paper ban K|kē āyēṅgī , phir bhī achal rahōgē  ?

Niśhchay-buddhi bannē key|kī mukhya chār bātē̃ haĩ . Chārō̃ mē̃ percentage full chāhiē . Vah chār bātē̃ jāntē bhī hō aur un par chaltē bhī hō . Pahlī bāt ( 1 ) bāp kā niśhchay jō hai , jaisā hai , jis svarūp sē part bajā rahē haĩ , uskō vaisā hī jānnā aur mānnā . ( 2 ) bāp dvārā prāpt huī knowledge kō anubhav dvārā spaṣhṭ jānnā aur mānnā . ( 3 ) svayã bhī jō hai , jaisā hai arthāt apnē alaukik janm K|kē śhrēṣhṭh jīvan kō va ūñchē brāhmaṇ K|kē jīvan kō , apnē śhrēṣhṭh part kō , apnī śhrēṣhṭh sthiti aur sthān kā jaisā mahatva hai , vaisā svayã kā mahatva jānnā , mānnā aur usī pramāṇ chalnā . ( 4 ) vartamān śhrēṣhṭh , purūṣhōttam , kalyāṇkārī , chaṛhtī kalā K|kē samay kō jānnā aur jān karkē her|har kadam uṭhānā . In chārō̃ hī bātō̃ kā pūrṇ niśhchay practical life mē̃ hōnā - iskō kahā jātā hai - niśhchaybuddhi vijayanti .

Chārō̃ hī bātō̃ mē̃ percentage bhī chāhiē . Niśhchay hai , sirph is bāt mē̃ bhī khuśh nahī̃ hōnā hai . Lēkin kyā percentage bhī ūñchī hai  ? Agar percentage ēk bāt mē̃ bhī cum|kam hai tō niśhchay kā āsan kōī bhī samay athavā kōī chhōṭī paristhiti bhī ḍagmag kar saktī hai . Isliē percentage kō check karō kyōṅki ab sampann hōnē kā samay samīp ā rahā hai . Tō chhōṭī-sī kamī samay par baṛā nuksān kar saktī hai kyōṅki jitnā-jitnā ati svachchha , satōpradhān ban rahē hō , ati svachchha stage par āj jō chhōṭī-sī kamī lagtī hai va sādhāraṇ dāg anubhav hōtā hai , vah bahut baṛā dikhāī dēgā . Isliē abhī sē aisī sūkṣhma checking karō aur kamī kō sampann karnē kā tīvr purūṣhārth karō . Din-pratidin jitnā śhrēṣhṭh bantē jā rahē hō utnā viśhva key|kī her|har ātmā key|kī nigāhō̃ mē̃ prasiddh hōtē jā rahē hō . Sabkī najar āpkī taraph baṛhtī jā rahī haĩ . Ab sabkē andar yah intzār hai ki kab sthāpanā kē nimitt banē huē yē lōg sukh-śāntimayī naī duniyā kī sthāpanā kā kārya sampann kartē haĩ , jō yah duḥkhdāī duniyā K|kē sthāpanā K|kē ādhār par parivartit hō jāyēgī . Inhō̃ key|kī najar sthāpanā karnē vālō̃ mē̃ hai aur sthāpanā karnē vālō̃ key|kī najar kahā̃ hai  ? Apnē kāryō mē̃ magna hō vā vināśakāriyō̃ key|kī taraph najar rakhtē hō  ? Vināśh K|kē sādhanō̃ K|kē samāchārō̃ kō sunnē K|kē ādhār par tō nahī̃ chal rahē hō  ? Vah ḍhīlē hōtē tō āp bhī ḍhīlē hō jātē hō  ? Kyā sthāpanā K|kē ādhār par vināśh hōtā hai yā vināśh K|kē ādhār par sthāpanā hōnī hai  ? Sthāpanā karnē vālē vināśh key|kī jvālā prajvalit karnē kē nimitt banē huē haĩ na ki vināśh vālē sthāpanā karnē vālō̃ K|kē purūṣhārth key|kī jvālā prajvalit karnē ki nimitt haĩ .

Sthāpanā vālē ādhārmūrt haĩ . Aisē ādhāramūrtta isī vināśh key|kī bāt par hiltē tō nahī̃  ? Halchal mē̃ tō nahī̃ hō  ? Hōgā yā nahī̃ hōgā  ? Lōg kyā kahē̃gē yā lōg kyā karē̃gē  ? Yah vyarth saṅkalp niśhchay K|kē āsan kō ḍagmag tō nahī̃ kartā  ? Sabnē niśhchay-buddhi mē̃ hāth uṭhāyā nā  ? Niśhchay arthāt kisī bhī bāt mē̃ kyō̃ , kyā aur kaisē kā saṅkalp bhī utpanna na hō , kyōṅki sanśhay kā royal rūp saṅkalp kā rūp hōtā hai . Sanśhay nahī̃ hai lēkin saṅkalp uṭhtā hai , tō vah saṅkalp kiskē vanśh kā aṅśh hai  ? Yah sanśhay kā āyā hai yā vanśh kā  ? Jabki chārō̃ hī bātō̃ mē̃ sampūrṇ niśhchay-buddhi hō tō phir yah saṅkalp utpanna hō saktā hai  ? Jabki hai hī kalyāṇkārī yug .

Kalyāṇkārī bāp key|kī śhrīmat par chalnē vālī ātmāyē̃ sivāy kalyāṇ K|kē , chaṛhtī kalā K|kē aur kōī bhī saṅkalp kar nahī̃ saktī haĩ . Unkā her|har saṅkalp , her|har kārya kē prati samay , vartamān kā bhaviṣhya kē prati samarth saṅkalp hōgā , vyarth nahī̃ hōgā . Ghabrātē tō nahī̃ hō  ? Sāmnā karnā paṛēgā . Paper kā sāmnā arthāt āgē baṛhnā , arthāt sampūrṇtā K|kē ati samīp hōnā . Ab yah paper ānē vālā hai . Svayã spaṣhṭ buddhi vālē hōṅgē tō aurō̃ kō bhī spaṣhṭ kar sakē̃gē . Iskā matlab yah tō nahī̃ samajhtē hō ki hōnā nahī̃ hai . Drama mē̃ jō hōtā rahā hai , samay-prati-samay , usmē̃ mākhan sē bāl hī nikaltā hai na  ? Kōī muśhkil huā hai  ? Bāpdādā nayanō̃ par biṭhāyē , dil takht par biṭhāyē pār kartē lē ā rahē haĩ nā  ? Kōī kyā ant tak sāth nibhānē kā yā kisī bhī paristhitiyō̃ sē pār lē jānē kā vāydā va kārya nibhāyēṅgē . Nahī̃ sāth lē hī jānā hai na . Sarvśhaktimān sāthī hōtē huē bhī yah saṅkalp utpanna hōnā - uskō kyā kahē̃gē  ? Aisē vyarth saṅkalp samāpt kar jis sthāpanā K|kē kārya kē nimitt hō , bāpdādā K|kē madadgār hō , us kārya mē̃ magna rahō . Apnī lagan key|kī agni kō tīvr karō . Jis lagan key|kī agni sē hī vināśh key|kī agni tīvr gati kā svarūp dhāraṇ karēgī . Apnē rachē huē avināśhī gyān yagya , jiskē nimitt brāhmaṇ banē huē hō , is yagya mē̃ pahlē svayã key|kī sarv kamjōriyō̃ va kamiyō̃ key|kī āhuti ḍālō . Tabhī sārī purānī duniyā kō āhuti paṛnē kē bād samāpti hōgī . Ab dr̥iṛh saṅkalp key|kī tīlī lagāō . Tab yah sampann hōgā . Achchhā  !

Aisī lagan mē̃ magna rahnē vālē , sadā niśhchay K|kē āsan par sthit rah kārya karnē vālē , her|har paristhiti mē̃ achal aur aḍōl rahnē vālē , bāpdādā K|kē sadaiv samīp aur sahyōgī , aisē snēhī ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād , pyār aur namastē .