रविवार 9 फ़रवरी 1975 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

09-02-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Ādhyātmik śhaktiyō̃ dvārā viśhva-parivartan kaisē  ?

Nirbal ātmāō̃ kō śaktivān banānē vālē , sarvśhaktivān śhiv bābā bōlē -

Svayã kō aśharīrī ātmā anubhav kartē hō  ? Is śharīr dvārā jō chāhē vahī karma karānē vālī tum śhaktiśhālī ātmā hō-aisā anubhav kartē hō  ? Is śharīr K|kē mālik karmēndriyō̃ dvārā karma karānē vālē , in karmēndriyō̃ sē jab chāhō tab nyārē svarūp key|kī sthiti mē̃ sthit hō saktē hō  ? Arthāt rājyōg key|kī siddhi - karmēndriyō̃ K|kē rājā bannē key|kī śhakti prāpt kī hai  ? Rājā va mālik kabhī bhī kōī karmēndriy K|kē vaśhībhūt nahī̃ hō saktā . Vaśhībhūt hōnē vālē kō mālik nahī̃ kahā jātā . Viśhva K|kē mālik key|kī santān hōnē K|kē nātē , jab bāp viśhva kā mālik hō aur bachchē apnī karmēndriyō̃ K|kē mālik na hō̃ , tō kyā kahē̃gē  ? Mālik K|kē bālak kahē̃gē  ? Nām hō master sarvśhaktivān aur svayã kō mālik samajh kar chal nahī̃ sakē tō kyā master sarvśhaktivān huē  ? Ham master sarv - śaktivān haĩ - yah tō pakkā niśhchay hai nā , ki yah niśhchay bhī abhī hō rahā hai  ? Niśhchay mē̃ kabhī percentage hōtī hai kyā  ? Bāp K|kē bachchē tō haĩ hī nā  ? Aisē thōṛē hī 90 % haĩ aur 10 % nahī̃ hai . Aisā bachchā kabhī dēkhā hai  ? Niśhchay arthāt 100 % niśhchay .

Aisē 100 % niśhchay-buddhi bachchō̃ key|kī pahlī niśhānī kyā hōgī  ? Niśhchay-buddhi key|kī pahlī niśhānī hai - vijayī . Kahāvat bhī hai - niśhchay buddhi vijayanti . Vijay milēgī kaisē  ? Niśhchay sē . Tō nirantar is niśhchay kī smr̥iti ki - maĩ master sarvśhaktivān hū̃ yah smr̥iti rahtī hai  ? Smr̥iti K|kē binā samarthī thōṛē hī āyēgī  ? Vijayī hōnē kā ādhār hai - smr̥iti . Agar smr̥iti kamzōr hōgī , nirantar nahī̃ hōgī aur smr̥iti powerful nahī̃ hōgī tō vijayī kaisē hōṅgē  ? Tō pahlē is niśhchay kō sadā smr̥iti-svarūp banānā paṛtā hai .

Jaisē chaltē-phirtē laukik occupation ( dhandhā ) aur laukik sambandh sadā smr̥iti mē̃ rahtā hī hai nā  ? Usī smr̥iti sē samarthī ātī hai ki maĩ aisē parivār kā , aisē ôkyupēśan vālā hū̃ , vaisē hī jō marjīvā brāhmaṇ janm kā sambandh va ôkyupēśan hai vā svayã kā svarūp hai , vah sadā smr̥iti mē̃ rahnā chāhiē . Smr̥iti kamzōr hōnē K|kē kāraṇ vijay dikhāī nahī̃ dētī hai . Vijay hō uskō sirph dēkhtē huē samay nahī̃ ganvāō , balki vijay hōnē kā jō foundation hai uskō majbūt rakhō . Kōī sōchē ki mārg tay karnē sē pahlē mañzil par pahũch jāyē̃ - yah hō saktā hai  ? Mārg tō zarūr tay karnā hī paṛēgā . Tō vijay hai mañzil aur mārg hai nirantar smr̥iti . Ataḥ is mārg kō tay kar rahē hō yā intzār mē̃ hō ki mañzil dikhāī dē  ?

Sadaiv yah sōchnā chāhiē ki milī huī godly lottery agar pūrī kām mē̃ nahī̃ lagāyēṅgē tō khuśhī va śhakti kā anubhav kaisē karē̃gē  ? Kitnā bhī kisī kē pās dhan hō lēkin sukh key|kī prāpti tab hōgī jab uskō use ( prayōg ) karē̃gē . Use na karē̃ tō dēkhtē huē sirph khuśhī hī hōgī , lēkin ussē jō sukh key|kī prāpti hōnī chāhiē vah anubhav nahī̃ kar sakē̃gē . Lottery tō milī lēkin uskō use karnā arthāt jīvan mē̃ lānā - uskē binā sukh kā , ānand kā va vijayī bannē key|kī khuśhī kā anubhav nahī̃ kar sakē̃gē .

Anubhavī bannā chāhiē nā  ? Anubhav jīvan kā mukhya khazānā hai . Laukik pahalū mē̃ bhī anubhavī ātmā mukhya gāyī jātī hai . Is īśhvarīy mārg mē̃ bhī anubhavī ātmā bannā chāhiē . Jō bōlā , vah anubhav kiyā  ? Yah samajhtē tō hō ki maĩ master sarv śaktivān hū̃ , parantu kyā iskā anubhav bhī kiyā hai  ? Aisē nahī̃ ki anubhav tō hō hī jāyēgā , chal tō rahē haĩ . Jab tak kōī bhī kārya karnē key|kī date fix nahī̃ hō jātī tab tak purūṣhārth tīvr nahī̃ hō saktā .

Kisī bhī laukik athavā alaukik kārya key|kī date fix hōnē kē bād phir automatically karma mē̃ bhī bal ā jātā hai . Mālūm hai phalānī date tak yah kārya sampann karnā hai . Date kō smr̥iti mē̃ rakhnē sē karma key|kī speed bhī aisē chaltī hai . Kal pūrā karnā hai tō speed aisē rahēgī  ? Is gyān kā mukhya slōgan hī hai ki abhī nahī̃ tō kabhī nahī̃ . Iskī date kal yā parsō̃ nahī̃ hōtī - iskī date hōtī hai abhī . Ghaṇṭē kē bād bhī nahī̃ . Isliyē jitnā niśhchay rakhē̃gē ki yē karnā hī hai - karē̃gē nahī̃ - karnā hī hai yah hai dr̥iṛh saṅkalp . Dr̥iṛh saṅkalp K|kē binā dr̥iṛhtā nahī̃ ātī . Aur purūṣhārth kā samay bākī kitnā cum|kam hai  ? Jāstī samay dikhāī dētā hai kyā  ? Samay kā khyāl tō rakhnā chāhiē nā . Yah bhī sōchō ki prālabdh kitnē samay kī hai  ? Dō yug key|kī prālabdh hai nā . Is purūṣhārth key|kī prālabdh kā samay kitnā cum|kam rahā  ? Yah sadā smr̥iti mē̃ hōnā chāhiē .

Bahut kāl key|kī prālabdh pānī hai , tō purūṣhārth bhī bahut kāl kā chāhiē nā . Agar last time purūṣhārth karē̃gē tō prālabdh bhī last key|kī hī milēgī . Purūṣhārth first nahī̃ aur prālabdh first vālī chāhiē  ? Last mē̃ bacā-khucā milnē sē kyā hōgā  ? Jaisē prāpti kā lakṣhya first kā hai , vaisē purūṣhārth bhī aisā karō  ! Kōī bhī bāt sāmnē āyē uskō ēk sāīṭ aur scene samjhō jaisē rāstē chaltē anēk prakār key|kī sāīṭsa aur scenes ātī hai , lēkin jō mañzil kō pānē vālā hōtā hai , vah uskō dēkhtā nahī̃ hai , uskī buddhi mē̃ mañzil key|kī prāpti hī rahtī hai . Tō yahā̃ bhī buddhi mē̃ mañzil rakhnī hai , na ki vah bātē̃ . Agar chhōṭī-sī bāt kō dēkhnē mē̃ hī samay ganvā dēgē tō mañzil par samay par pahũch nahī̃ sakē̃gē . Tō ab dr̥iṛhtā lānē kā samay hai . Nahī̃ tō kuchh samay kē bād is samay kō bhī yād karnā paṛēgā ki samay par jō karnā thā , vah nahī̃ kiyā .

Pīchhē sōchnē sē pahlē kyō̃ nahī̃ samay kō parivartit kar dō  ? Viśhva K|kē parivartan kē nimitt hō tō jō bāp kā kārya hai , bāp kē sāth apnē kō bhī nimitt samjhō  ! Viśhva mē̃ svayã bhī hō nā  ! Viśhva kō parivartit karnē vālē kō pahlē svayã kō parivartit karnā paṛē . Sadaiv yah sōchō ki jab maĩ hū̃ hī viśhva kō parivartan karnē kē nimitt , tō svayã kō parivartan karnā , kyā baṛī bāt hai  ? Tō phauran hī parivartan karnē key|kī śhakti āyēgī . Kaisē hōgā , kyā hōgā , hōgā va nahī̃ hōgā  ? Yah question nahī̃ uṭhēgā .

Dūsrī bāt yah smr̥iti mē̃ rakhō ki yah viśhva-parivartan kā kārya kitnī bār kiyā hai  ? Anginat bār kiyā hai , yah tō pakkā hai nā  ? Bāp kē sāth maĩ bhī anēk bār nimitt banā hū̃ . Jab anēk bār key|kī huī bāt hōtī hai tō vah muśhkil lagtī hai kyā  ? Ati purānī bāt kō sirph nimitt ban repeat kar rahē hō . Repeat karnā sahaj hōtā hai yā muśhkil  ? Tō yah bhī smr̥iti mē̃ rahnā chāhiē . Kōī jarā bhī muśhkil kā saṅkalp āyē tō yah himmat key|kī bāt yād rakhō . Phir sē anēk bār key|kī huī bāt key|kī smr̥iti ānē sē samarthī ā jāyēgī .

Tō yah vardān sadā smr̥iti mē̃ rakhnā ki maĩ bāp-samān śhaktiyō̃ kā svarūp dikhānē vālā hū̃ - arthāt śhakti svarūp hū̃ . Sambandh rahnē sē yahā̃ tak pahũch saktē hō . Lēkin ab bāp kā snēh , bāp K|kē kārya sē snēh aur bāp dvārā milī huī knowledge sē snēh - in tīnō̃ kā balance rakhō . Abhī balance mē̃ bāp kā snēh jyādā hai , bākī dō taraph halkā hai . Knowledge sē śhakti āyēgī . Ēk-ēk varśan padampati banānē vālā hai . Itnā mahatva rakhtē huē un versions kō dhāraṇ karō , tō mahatva sē snēh hōtā hai . Jab tak mahatva kō nahī̃ jāntē tab tak snēh nahī̃ hōtā . Mahatva kō jānē̃gē tō hī snēh automatically rahēgā .

Niśhchay-buddhi vijayanti hō . Alaukik janm huā , niśhchaybuddhi huē ki maĩ bāp kā bachchā hū̃ , tō bāp kā varsā hī vijay hai . Master sarv-śaktivān kā varsā kyā hōgā  ? Śhaktiyā̃ . Tō bachchā bannā arthāt vijayī bannā . Vijay kā tilak svataḥ hī lag jātā hai , lagānā nahī̃ paṛtā aur vah avināśhī hai . Adhikārī hō gayē hō nā  ? Snēhī aur sahyōgī bannē key|kī takdīr achchhī hai . Parivār kā parivār ēk mat hō jāyē tō yah bhī takdīr key|kī niśhānī hai . Parivār K|kē sab sāthī purūṣhārth key|kī race mē̃ ēk-dūsrē sē āgē nikalnē key|kī lagan mē̃ lagē huē haĩ . Himmat sē madad svataḥ hī prāpt hōtī hai . ( vīracanda kō ) yah mōh-jīt parivār hai . Aisē mōh-jīt parivār kitnē banāyē haĩ  ? Lakṣhya śhrēṣhṭh rakhā huā hai . Ab aisē parivārō̃ kā guldastā banāō . Agar das-gyārah aisē parivār hō jāē̃ tō ahamadābād kā number āgē hō jāyēgā . Gujarāt kō , parivārō̃ kō chalānē kā vardān ḍrāmānusār milā huā bhī hai . Lēkin mōh-jīt parivār aur sab ēk lagan mē̃ śhrēṣhṭh purūṣhārth key|kī line mē̃ hō . Aisā guldastā banāō . Achchhā .