बुधवार 15 अक्टूबर 1975 की अव्यक्त मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
15-10-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Teacher bannā arthāt saubhāgya key|kī lottery lēnā
Pāṇḍav śhiv-śhakti sēnā tathā teachers prati avyakt bāpdādā K|kē avyakt madhur mahāvākya -
Āp her|har karma karkē dikhānē kē nimitt haĩ . Her|har teacher kē pīchhē dēkh kar chalnē vālē , karnē vālē , āgē baṛhnē vālō̃ key|kī kitnī baṛī line hōtī hai ? Tō teacher sahī line par chalānē kē nimitt hai . Vah rūktī hai tō sārī line rūk jātī hai , tumhārī line key|kī jimmēvārī hai . Aisī jimmēvārī samajh kar chalē tō her|har karma kaisā karē̃gē ? Vaisē bhī kahā jātā hai - zimmēvārī baṛē sē baṛā teacher hai . Jaisē teacher life banātē haĩ nā , vaisē jimmēvārī bhī life banānē key|kī śhikṣhā dētī hai . Tō her|har teacher kē ūpar itnī viśhāl jimmēvārī hai . Aisā samajhnē sē bhī apnē ūpar attention rahēgā . Ab attention rahēgā tō bāp aur sēvā K|kē sivā aur kuchh buddhi mē̃ rahēgā hī nahī̃ . Jimmēvārī baṛāpan lātī hai . Yadi jimmēvārī nahī̃ tō bachpan hō jātā hai . Jimmēvārī hōnē sē albēlāpan samāpt hō jātā hai . Teacher kō her|har saṅkalp , her|har kadam pīchhē , sōchnā chāhiē ki mērē pīchhē kitnī jimmēvārī hai . Aisē bhī nahī̃ ki yah jimmēvārī bhārī karēgī-bōjh rahēgā . Nahī̃ , jitnī yah jimmēvārī uṭhāyēgē utnā jō anēkō̃ key|kī āśhīrvād miltī hai tō vah bōjh khuśhī mē̃ badal jātā hai . Vah bōjh mahsūs nahī̃ hōtā , halkē rahtē haĩ . Jaisē brahmā bāp nimitt banē vaisē āp sab nimitt haĩ . Tō āp sabkō brahmā bābā kō follow karnā chāhiē . Jimmēvārī aur halkāpan dōnō̃ kā balance thā , aisē hī follow father . Teachers kā slōgan follow father . follow father nahī̃ tō saphal teachers nahī̃ . Teacher kā pahlā certificate hai svayã santuṣhṭ rahnā aur dūsrō̃ kō santuṣhṭ karnā . First number teacher key|kī niśhānī santuṣhṭ rahnā aur santuṣhṭ karnā . Teacher santuṣhṭ kyō̃ nahī̃ rahēgī ? Teachers kō chance kitnē haĩ ? Ēk chance samarpaṇ hōnē kā , dūsrā sēvā kā chance , tīsrā nimitt bannē sē apnē ūpar attention kā chance aur chauthā jitnō̃ kō āp-samān banāyēṅgī , usmē̃ purūṣhārth key|kī saphaltā kā chance . Sabsē jyādā purūṣhārth mē̃ number lēnē kā chance . Ānē vālē sṭuḍēṇṭa kō tō hans bagulā ikaṭhṭhā rahnā paṛtā hai . Teachers kō vātāvaraṇ kā bhī chance achchhā miltā hai . Tō teacher bannā arthāt lottery lēnā . Teachers kā drama mē̃ bahut achchhā part hai . Teachers kō apnē bhāgya kō dēkh khuśh hōnā chāhiē . Apnē prāpti key|kī list sāmnē rakhō ki kyā milā hai ? Kitnā milā hai ? Vah dēkhtē hō ? Amr̥it vēlē rūh-rūhān sab kartī hō ? Jō rūh-rūhān karnē sē ras kā anubhav kar lētē haĩ vah sārē din mē̃ saphal rahēgē . Albēlē tō nahī̃ rahtē . Sadā apnē ūpar attention rahtā hai aur ras bhī ātā hai ? Ēk hai niyam nibhānē vālē , dūsrē prāpti karnē vālē . Āp sab tō prāpti karnē vālī hō nā ?
Is murlī kā sār
1 . jimmēvārī baṛē sē baṛā teacher hai . Jaisē teacher life banātē haĩ vaisē jimmēvārī bhī life banānē key|kī śhikṣhā dētī hai . Jimmēvārī baṛāpan lātī hai aur issē albēlāpan samāpt hō jātā hai .
2 . teachers kā slōgan hai - follow father . Follow father nahī̃ tō saphal teacher