सोमवार 27 अक्टूबर 1975 की अव्यक्त मुरली - 1
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
27-10-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Mahādānī aur vardānī hī mahārathī
Viśv-kalyāṇī aur mahāvaradānī śhiv bābā mahārathī bachchō̃ kō dēkh bōlē :
Brahmā bāp K|kē samān kyā mahārathī bhī bāp samān sadā apnē kō nimitt-mātra anubhav kartē haĩ ? Mahārathiyō̃ key|kī yah viśhēṣhtā hai ki unmē̃ maĩ-pan kā abhāv hōgā . Maĩ nimitt hū̃ aur sēvādhārī hū̃ - yah natural svabhāv hōgā . Svabhāv banānā nahī̃ paṛtā hai . Svabhāv-vaś saṅkalp , bōl aur karma svataḥ hī hōtā hai . Mahārathiyō̃ K|kē her|har karttavya mē̃ viśvakal yāṇ key|kī bhāvnā spaṣhṭ rūp sē dikhāī dēgī . Uskā practical sabūt va pramāṇ her|har bāt mē̃ anya ātmā kō āgē baṛhānē kē liē pahlē āp kā pāṭh pakkā hōgā . pahlē maĩ nahī̃ . āp kahnē sē hī us ātmā K|kē kalyāṇ kē nimitt ban jāyēṅgē . Aisē mahārathī jinkī aisī śhrēṣhṭh ātmā hai aur aisā śhrēṣhṭh svabhāv hō , aisē hī bāp samān gāyē jātē haĩ .
Mahārathī arthāt mahādānī . Apnē samay kā , apnē sukh K|kē sādhanō̃ kā , apnē guṇō̃ kā aur apnī prāpt huī sarv śhaktiyō̃ kā bhī anya ātmāō̃ key|kī unnati-artha dān karnē vālā - uskō kahtē haĩ mahādānī . Aisē mahādānī K|kē saṅkalp aur bōl svataḥ hī vardān K|kē rūp mē̃ ban jātē haĩ . Jis ātmā kē prati jō sãvalpa karē̃gē yā jō bōl bōlē̃gē vah us ātmā kē prati vardān hō jāyēgā . Kyōṅki mahādānī arthāt tyāg aur tapasyāmūrtta hōnā . Isī kāraṇ tyāg , tapasyā aur mahādān kā pratyakṣha phal unkā saṅkalp vardān rūp hō jātā hai . Isliē mahārathī key|kī mahimā mahādānī aur vardānī gāī huī hai . Aisē mahārathiyō̃ kā saṅgaṭhan light-house aur māiṭ-hāus kā kām karēgā . Aisī taiyārī hō rahī hai nā . Aisā saṅgaṭhan taiyār hōnā arthāt jayjaykār hōnā aur phir hāhākār hōnā . Yah dr̥iśhya bhī wonderful hōgā . Ēk taraph ati hāhākār aur dūsrī taraph phir jayjaykār . Achchhā .
Murlī kā mukhya sār
1 . mahārathī key|kī yah viśhēṣhtā hai ki usmē̃ maĩ-pan kā abhāv hōgā . 2 . mahārathī K|kē her|har karttavya mē̃ viśhva-kalyāṇ key|kī bhāvnā spaṣhṭ rūp sē dikhāī dēgī .