शुक्रवार 23 जनवरी 1976 की अव्यक्त मुरली - 1

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

23-01-76 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Saṅkalp , vāṇī aur svarūp K|kē highest aur holiest hōnē sē

Bāp key|kī pratyakṣhatā

Highest aur holiest śhiv brahmā-vatsō̃ sē bōlē  :

Apnē kō highest aur holiest samajhtē huē her|har saṅkalp va karma kartē rahtē hō  ? Highest arthāt ū̃ch sē ū̃ch brāhmaṇ . Brāhmaṇō̃ kō virāṭ rūp mē̃ chōṭī kā sthān diyā gayā hai . Jaisē sthān ū̃ch chōṭī kā hai , vaisē hī sthān K|kē sāth-sāth sthiti bhī ūñchī hai  ? Jaisā ū̃chā nām , vaisī ūñchī śhān aur vaisā hī ū̃chā kām . Jaisē bāp kē liē gāyan hai - ū̃chē tē ū̃chā bhagvān  ; vaisē bachchō̃ kā bhī gāyan hai - ū̃chē tē ū̃chē brāhmaṇ . Is ūñchī sthiti kā yādgār āj tak chalā āyā hai ki jō kōī śhrēṣhṭh karttavya va śhubh kārya kartē haĩ tō nāmdhārī brāhmaṇō̃ sē hī karātē haĩ . Is samay K|kē śhrēṣhṭh karma key|kī yādgār ab bhī chaitanya sachchē brāhmaṇ K|kē rūp mē̃ dēkh aur sun rahē hō . Śhrēṣhṭh karma key|kī mahimā va gāyan bhī sun rahē hō , dūsrē taraph svayã śhrēṣhṭh part bajā rahē hō  ! Yādgār aur praikṭikal-dōnō̃ sāth-sāth dēkh rahē hō . Yādgār dvārā bhī siddha hōtā hai ki kitnē ū̃chē thē , ab haĩ aur phir hōṅgē . Jaisē brāhmaṇ ū̃chē haĩ , vaisē hī brāhmaṇō̃ kā samay bhī sab yugō̃ mē̃ sē sarvaśhrēṣhṭha yug , arthāt saṅgamyug kā samay , arthāt amr̥itvēlā va brahmamuhūrta kā samay hai . Yah sarvaśhrēṣhṭha sthiti brāhmaṇō̃ key|kī kyō̃ banī  ? Kyōṅki brāhmaṇ hī ū̃cē-sē-ū̃cē athavā śhrēṣhṭh karttavya mē̃ sahyōgī bannē kā śhrēṣhṭh bhāgya prāpt kartē haĩ . Itnā apnā ū̃chā part , śhrēṣhṭh bāp , śhrēṣhṭh sthān aur śhrēṣhṭh śhān smr̥iti mē̃ rahtē haĩ  ? Itnā śhrēṣhṭh bhāgya sārē kalp K|kē andar phir prāpt nahī̃ kar sakōgē . Aisē highest aur sāth-sāth holiest kā yādgār ab tak bhī suntē hō . Lōg brāhmaṇō̃ key|kī bajāy āpkē dēvtā rūp kā gāyan kartē haĩ .

Holiest kā kaunsā gāyan hai  ? Kamal-nayan , kamal-hasta , kamal-mukh K|kē rūp mē̃ ab tak bhī gāyan kartē rahtē haĩ . Ab practical mē̃ check karō ki her|har karm-indriy kamal samān nyārī banī hai  ? Jaisē kamal sambandh aur samparka mē̃ rahtē huē nyārā hai , aisē karmēndriyā̃ karma K|kē aur karma K|kē phal K|kē samparka mē̃ ātē huē nyārī haĩ  ? Arthāt dēh aur dēh K|kē sambandh K|kē , dēh key|kī is purānī duniyā K|kē ākarṣhaṇ sē parē haĩ  ? Kōī bhī karm-indriy kā ras - dēkhnē kā , sunnē kā , bōlnē kā apnē vaśhībhūt tō nahī̃ banātā hai  ? Vaśhībhūt hōnē kā arth|earth hai holiest sē bhūt ban jānā . Jab bhūt ban jātē haĩ tō bhūtō̃ kā karttavya hai - duḥkhī hōnā aur duḥkhī karnā . Highest brāhmaṇ sē śhūdra ban jātē haĩ . Isliyē sadaiv yah smr̥iti mē̃ rakhō ki ‘ maĩ highest aur holiest hū̃ . ’ jab yah pratyakṣha rūp mē̃ arthāt saṅkalp aur svarūp mē̃ smr̥iti rahēgī tab hī pratyakṣhatā varṣh manā sakē̃gē . Ū̃chē sē ū̃chē bāp kō pratyakṣha karnē kē liē jab tak svayã svarūp mē̃ holiest aur highest nahī̃ banē haĩ tō bāp kō pratyakṣha kaisē karē̃gē  ? Svayã mē̃ bāp-samān guṇ aur karttavya kō prakhyāt karnā hī bāp kō pratyakṣha karnā hai . Ū̃chē kām sē ū̃chē bāp kā nām hōgā . Apnī rūhānī mūrat sē rūhānī bāp key|kī pratyakṣhatā karnī hai jō her|har ātmā her|har brāhmaṇ mē̃ brahmā bāp kō dēkhē . Rachnā apnē rachayitā kō dikhāyē . Har ēk K|kē mukh sē ēk hī bōl nikalē ki ‘ svayã bhagvān nē inhē̃ itnā takdīrvān banāyā hai . ’ har-ēk key|kī takdīr bāp-dādā key|kī taṣhwīr kō prasiddh karē . Har ēk apnē kō aisā divy-svaccha darpaṇ banāō ki her|har darpaṇ dvārā anēkō̃ kō bāp-dādā kā sākṣhātkār hō . Sākṣhāt bāp samān key|kī sthiti hī bāp kā sākṣhātkār karā saktī hai .

Pratyakṣhatā varṣh manānē kā arth|earth hai svayã kō bāp K|kē samān banānā . Yah sthūl sādhan tō nimitt mātra sādhan haĩ . Sadākāl kā sādhan siddhi-svarūp kā hai . Siddhi-svarūp hī svataḥ siddh karēgā ki aisā ū̃chā banānē vālā ū̃chē sē ū̃chā bhagvān hai . Tō sādhanō̃ K|kē sāth-sāth siddhi svarūp kō apnāō . Saṅkalp , vāṇī aur svarūp - tīnō̃ hī holiest aur highest hō̃ . Aisī stage sē hī bāp kō pratyakṣha kar sakōgē . Bāp-dādā bachchō̃ kā umaṅg-utsāh , śhrēṣhṭh saṅkalp , mēhnat aur lagan kō dēkh kar harṣhit bhī hōtē haĩ , lēkin āgē K|kē liyē sahyōg dēnē K|kē liyē plan batlā rahē haĩ . Sabkā ēk hī saṅkalp hai . Ēk saṅkalp mē̃ mahān śhakti hai . Ēkras sthiti mē̃ sthit hō is saṅkalp kō svarūp mē̃ lāō . Kalp-kalp K|kē vijay key|kī takdīr key|kī taṣhwīr kā tō ab bhī gāyan hai athavā kāyam hai . Achchhā  !

Aisē apnē takdīr dvārā bāp-dādā key|kī taṣhwīr dikhānē vālē , sadā kamal K|kē samān alpkāl K|kē ākarṣhaṇ sē parē rahnē vālē , bāp-samān holiest aur highest svamān mē̃ sthit rahnē vālē , her|har ātmā mē̃ bāp K|kē snēh kō , svarūp kō , aur sambandh kō pratyakṣha karnē vālē , sarvaśhrēṣhṭha , ū̃chē sē ū̃chē brāhmaṇō̃ kō ū̃chē sē ū̃chē bāp-dādā kā yād-pyār aur namastē  !

Is murlī K|kē viśhēṣh jñān-bindu

Apnē ū̃chē part , śhrēṣhṭh bāp , śhrēṣhṭh samay , śhrēṣhṭh gāyan , śhrēṣhṭh karttavya , śhrēṣhṭh stage , śhrēṣhṭh sthān , aur śhrēṣhṭh śhān key|kī smr̥iti mē̃ rahnā hai .