शुक्रवार 23 जनवरी 1976 की अव्यक्त मुरली - 2

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

23-01-76 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Last stage kā purūṣhārth

Nyārī drill sikhānē vālē , sukh-śhānti K|kē dātā , sarv key|kī man key|kī ichchhā pūrṇ karnē vālē , divy-jyōtirbindu-svarūp śhiv bābā bōlē –

Pratyakṣhatā varṣh manānē K|kē liyē sabhī nē bāp-dādā kō akhbārō̃ aur cards dvārā viśhēṣh rūp sē pratyakṣha karnē kā prayatna kiyā hai . Yah bhī sēvā K|kē āvaśhyak sādhan haĩ . Lēkin yah akhbār va cards ādi tō us din dēkhā , paṛhā va sunā  ; phir smr̥iti mē̃ samā jātē haĩ . Samāpt tō nahī̃ kahē̃gē kyōṅki samay par yahī smr̥iti , jō ab samā gaī , vah svarūp mē̃ āyēgī . Isliyē samāpt nahī̃ kahē̃gē . Lēkin samā gaī kahē̃gē . Issē bhī dharnī mē̃ thōṛā bahut snēh kā aur parichay kā jal paṛā . Lēkin is bīj sē pratyakṣhatā kā phal kaisē nikalē  ? Pānī tō ḍālā , kis liyē ḍālā  ? Phal K|kē liyē . Vah phal kaisē nikalēgā arthāt saṅkalp practical svarūp mē̃ kaisē āyēgā  ? Iskē liyē sadaiv tō cards nahī̃ chhapvātē rahē̃gē  ?

Ājkal majority ātmāō̃ key|kī ichchhā kyā hai  ? Sukh-śhānti key|kī prāpti key|kī ichchhā tō hai , lēkin viśhēṣh jō bhakta ātmāē̃ haĩ unhō̃ key|kī ichchhā kyā hai  ? Majority bhaktō̃ key|kī ichchhā sirph ēk second K|kē liyē bhī light dēkhnē kī hai . Tō vah ichchhā kaisē pūrṇ hōgī  ? Vah ichchhā pūrṇ karnē K|kē sādhan brāhmaṇō̃ K|kē nayan haĩ . In nayanō̃ dvārā bāp K|kē jyōtisvarūp kā sākṣhātkār hō . Yah nayan , nayan nahī̃ dikhāī dēgē apitu light kā gōlā dikhāī dēgē . Jaisē ākāśh mē̃ chamaktē huē sitārē dikhāī dētē haĩ , vaisē yah āṅkhō̃ K|kē tārē sitārē-samān chamaktē huē dikhāī dē̃ . Lēkin vah tab dikhāī dēgē jab svayã lāiṭ-svarūp mē̃ sthit rahē̃gē . Karma mē̃ bhī light arthāt halkāpan aur svarūp bhī lāiṭ-sṭēj bhī light hō . Jab aisā purūṣhārth va sthiti va smr̥iti-svarūp viśhēṣh ātmāō̃ kā rahēgā , tō viśhēṣh ātmāō̃ kō dēkh sarv purūṣhārthiyō̃ kā bhī yahī purūṣhārth rahēgā . Bār-bār karma kartē huē check karō ki karma mē̃ light aur halkāpan hai  ? Karma kā bōjh tō nahī̃ hai  ? Karma kā bōjh apnē taraph khīñchēgā . Agar karma mē̃ bōjh nahī̃ tō apnē taraph khiñcāv nahī̃ karē̃gē balki karmyōg mē̃ parivartan hō jāyēṅgē .

Tō pratyakṣhatā varṣh manānē kā svarūp aur sādhan yahī sabkī buddhi mē̃ hai nā  ? Aisā plan banāyā hai nā  ? Jaisē sākār mē̃ dēkhā ki jitnā hī ati karma mē̃ ānā , vistār mē̃ ānā , ramaṇīktā mē̃ ānā , sambandh aur samparka mē̃ ānā , utnā hī abhī-abhī sambandh-sampark mē̃ ātē bhī nyārā ban jānā . Jaisē sambandh va karma mē̃ ānā sahaj , vaisē hī nyārā hōnā bhī sahaj . Aisī practice chāhiyē . Ati K|kē samay ēk second mē̃ ati hō jāyē . Abhī-abhī ati , abhī-abhī ant . Yah hai last varṣh kā va last stage kā purūṣhārth . Aisē plan banāō . Yah rehearsal ( R e h e a r s a l ) karō aur drill karō ati aur ant key|kī drill . Abhī-abhī ati sambandh mē̃ aur abhī-abhī jitnā samparka mē̃ utnā nyārā . Jaisē light house mē̃ samā jāē  ! Light-house arthāt apnā jyōti dēśh . Abhī-abhī karm-kṣhētra , abhī-abhī paramdhām . Achchhā  !

Mātāō̃ sē madhur mulākāt kartē samay uchchārē huē avyakt bāp-dādā K|kē madhur mahāvākya  :

Duḥkh athavā gālī mē̃ bhī kalyāṇ

Bāp-dādā kā mātāō̃ sē ādi sē viśhēṣh snēh hai . Yagya key|kī sthāpanā mē̃ bhī viśhēṣh kiskā part rahā , nimitt kaun banē  ? Aur ant mē̃ bhī pratyakṣhatā aur vijay kā nārā lagānē mē̃ nimitt kaun banē̃gē  ? Mātāyē̃ . Saṅgam par gōpikāō̃ kā viśhēṣh part hai , gōpī-vallabh gāyā huā hai . Mātāyē̃ sadaiv yah ichchhā rakhtī haĩ - aisā hamē̃ apnā banāvē jō śhrēṣhṭh hō , achchhā var milē , achchhā ghar milē . Jab bāp nē apnā banāyā tō aur kyā chāhiē  ? Kōī bhī is kalyāṇkārī yug mē̃ paristhiti ātī hai tō us paristhiti kō na dēkh , vartamān kō na dēkh , vartamān mē̃ bhaviṣhya kō dēkhō . Mānō kōī duḥkh dētā hai va gālī dētā hai , tō usmē̃ bhī yah dēkhō ki mērā kalyāṇ hai . Kalyāṇ yah hai ki vah duḥkh athavā gālī hī sukhdātā key|kī yād K|kē najdīk lāyēgī . Bāhar K|kē rūp sē na dēkhō , kalyāṇ K|kē rūp sē dēkhō tō kōī bhī paristhiti , kaṭhin paristhiti nahī̃ lagēgī . Issē apnī unnati kar sakōgē . Achchhā  !