बुधवार 5 दिसंबर 1979 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

05-12-79 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Vijay kā jhaṇḍā laharānē kē liē realisation course śhurū karō

Āj bāp-dādā apnī rūhānī sēnā kō dēkh rahē thē . Sēnā mē̃ sab prakār key|kī number-vār sthiti anusār mahārathī , ghōṛē-savār aur pyādē dēkhē . Mahārathiyō̃ K|kē mastak mē̃ arthāt smr̥iti mē̃ sadā vijay kā jhaṇḍā laharā rahā thā . Ghōṛē-savār arthāt second number - unkē mastak arthāt smr̥iti mē̃ vijay kā jhaṇḍā tō thā hī lēkin sadā nahī̃ laharā rahā thā . Kabhī khuśhī key|kī jhalak sē va niśhchay kī phalak sē jhaṇḍā laharātā thā aur kabhī jhalak aur phalak key|kī vāyu cum|kam hōnē K|kē kāraṇ jhaṇḍā laharānē key|kī bajāē ēk hī jagah khaṛā hō jātā thā . Tīsrē , pyādē bahut prayatna sē niśhchay kī rassī sē , khuśhī key|kī jhalak sē jhaṇḍē kō laharānē K|kē prayatna mē̃ khūb lagē huē thē . Lēkin kahīṅkahī̃ kamzōrī key|kī gāṇṭh hōnē K|kē kāraṇ aṭak jātā thā , laharātā nahī̃ thā . Phir bhī khūb puruṣārthīr mē̃ lagē huē thē . Kisī-kisī kā puruṣhārthī kē bād laharātā bhī thā lēkin kuchh samay kē bād , kuchh mēhnat kē bād . Isliē vah jhalak aur phalak nahī̃ thī . Bāp-dādā bachchō̃ key|kī mēhnat dēkh dūr sē sakāśh bhī dē rahē thē arthāt iśhārā dē rahē thē ki aisē karō . Kōī-kōī bachchē iśhārē kō dēkh saphal bhī hō rahē thē lēkin kōī-kōī itnā mēhnat mē̃ busy thē jō iśhārē kō catch karnē key|kī phursat hī nahī̃ thī . Aisī sēnā mē̃ tīnō̃ prakār K|kē yōddhā dēkhē . Jab mēhnat sē yā sahaj hī sabkā jhaṇḍā achchhī tarah sē laharānē lagā tō jhaṇḍē K|kē laharānē sē hī vijay K|kē puṣhpō̃ key|kī arthāt bāp aur bachchō̃ K|kē pratyakṣhatā K|kē puṣhpō̃ key|kī varṣā-samān raunak hō gaī . Bachchē jō mēhnat kar rahē haĩ unkō bāp-dādā sahaj sādhan sunātē haĩ .

Nirantar yōgī bannē kā ādhār sarv sambandhō̃ kā sahyōg

Samay par va nirantar vijay kā jhaṇḍā kyō̃ nahī̃ laharātā hai , uskā kāraṇ kyā hai  ? Āp lōg bhī function mē̃ jhaṇḍā laharātē hō tō samay par kyō̃ nahī̃ laharātā hai . Kāraṇ  ? Pahlē sē rehearsal nahī̃ kartē . Aisē vijay kā jhaṇḍā laharānē kē liē mukhya bāt realisation nahī̃ hai . Amr̥itbēlē sē realisation course śhurū karō . Varṇan tō sabhī kartē hō lēkin varṇan karnā aur realisation karnā arthāt anubhūti karnā , usmē̃ antar hō jātā hai . Ēk hai sunnā , vā sunānā ki bāp sē sarv sambandh haĩ . Lēkin harēk sambandhō̃ key|kī anubhūti aur prāpti apnī-apnī hai . Tō sarv sambandhō̃ key|kī anubhūti vā prāpti mē̃ magna rahō tō purānī duniyā K|kē vātāvaraṇ sē sahaj hī uparām rah saktē hō . Her|har kārya K|kē samay bhinn-bhinn sambandh kā anubhav kar saktē hō . Aur usī sambandh K|kē sahyōg sē nirantar yōg kā anubhav kar saktē hō . Her|har samay bāp K|kē bhinn-bhinn sambandhō̃ kā sahyōg lēnā arthāt anubhav karnā hī yōg hai . Aisē sahaj yōgī vā nirantar yōgī kyō̃ nahī̃ bantē hō  ? Bāp kaisē bhī samay par sambandh nibhānē kē liē bandhē huē haĩ . Jab bāp sāth dē rahē haĩ tō lēnē vālē kyō̃ nahī̃ lētē . Sahyōg lēnā hī yōg kaisē hōtā hai , yah anubhav karō . Mātā kā sambandh kyā hē  ? Bāp kā sambandh kyā hai  ? Sakhā aur bandhu kā sambandh kyā hai , sadā sājan K|kē saṅg kā anubhav kyā hai yah alag-alag sambandh kā rahasya anubhav mē̃ āyā hai  ! Agar ēk bhī sambandh key|kī anubhūti sē vañchit rah gayē tō sārā kalp hī vañchit rah jāyēṅgē . Kyōṅki kalp mē̃ ab hī sarv anubhavō̃ key|kī khān prāpt hōtī hai . Ab nahī̃ tō kabhī nahī̃ . Tō apnē āpkō check karō kis sambandh key|kī anubhūti ab tak nahī̃ kar pāyē haĩ . Isī prakār sē gyān key|kī subject mē̃ jō bhī pā̃inṭas varṇan kartē hō us her|har pā̃inṭa kā anubhav kiyā hai  ? Jaisē varṇan kartē hō ham svadarśhan chakradhārī haĩ tō sva K|kē darśhan kā anubhav , kis ādhār sē kahtē hō  ? Darśhan arthāt jānnā . Jānnē vālā us jānnē key|kī authority mē̃ rahtā hai . Jaisē ājkal K|kē śhāstravādī sirph śhāstra paṛhtē haĩ , raṭtē haĩ phir bhī svayã apnē kō śhāstra key|kī authority samajhtē haĩ . Āp sab raṭtē nahī̃ hō lēkin usmē̃ ramaṇ kartē hō . Ramaṇ karnē vālā arthāt manan dvārā svarūp mē̃ lānē vālā , aisā sadā gyān key|kī authority arthāt sadā gyān key|kī her|har pā̃inṭa K|kē naśhē mē̃ rahnē vālā hōgā . Aisē her|har gyān key|kī pā̃inṭa K|kē authority arthāt anubhav K|kē naśhē mē̃ rahtē hō  ? Isī prakār sē jō dhārṇā key|kī subject mē̃ bhinn-bhinn guṇō̃ kā varṇan kartē hō us her|har guṇ K|kē anubhav key|kī authority hō  ? Speaker hō , śrōtā hō yā authority hō  ? Isī mē̃ number hō jātē haĩ .

Mahārathī arthāt her|har śhabda K|kē anubhav key|kī authority . Ghōṛēsavār arthāt sunnē sunānē vālē jyādā , anubhav key|kī authority mē̃ cum|kam . Tō sahaj sādhan kyā huā  ? Realisation key|kī kamī arthāt anubhavī mūrt bannē key|kī kamī . Bhakti aur gyān kā viśhēṣh antar hī yah hai . Vah varṇan hai aur yah anubhav hōtā hai . Nirantar yōgī bannē kā ādhār - sadā sarv sambandhō̃ kā sahyōg lō|low . Anubhavī banō . Samjhā  ? Anubhav key|kī khān kō achchhī tarah sē prāpt karō . Thōṛā-sā nahī̃ lēkin sarv prāpti karō . Dō-tīn sambandh kā , dō-tīn pāinṭa kā anubhav nahī̃ lēkin sarv anubhavī mūrtta . Master almighty authority banō tō sadā vijay kā jhaṇḍā laharātā rahēgā .

Bāp kā sarv par snēh hai . Mahārāṣhṭra vālō̃ sē bhī snēh hai . Mahārāṣhṭra vālē , sabhī anubhavī mūrt bannā . Tō mahārāṣhṭra key|kī viśhēṣhtā sab vijayī hō jāē̃ . Kṣhatriya nahī̃ jō sadā hī mēhnat mē̃ lagē rahē̃ . Lēkin sadā vijayī . Ab kṣatriy-pan K|kē samay key|kī samāpti hō gaī . Agar is samay tak bhī kṣatrīy rahē̃gē tō chandravanśhī ban jāvēṅgē . Ab samay hai brāhmaṇ arthāt vijayī bannē kā . Bahut kāl kā vijayī saṅskār chāhiē . Ab tō samay hī cum|kam hai . Tō ab sē vijayī-pan K|kē saṅskār nahī̃ bharē̃gē tō chandravanśhī ban jāvēṅgē . Isliē apnē bhāgya key|kī lakīr kō abhī bhī parivartan kar saktē hō .

Aisē sadā vijayī , sarv sambandhō̃ K|kē anubhavō̃ key|kī authority , gyān key|kī her|har pā̃inṭa K|kē authority , her|har guṇ K|kē anubhav key|kī authority , sēvā key|kī subject mē̃ all-rounder aur ever ready is viśhēṣhtā key|kī authority , aisē bāp-samān śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō bāp-dādā kā yād-pyār aur namastē .

( mahārāṣhṭra zone key|kī party kē sāth )

1 . niśhchay buddhi K|kē man key|kī khuśhī key|kī āvāz - pānā thā jō pā liyā  :

Sadā sarv khazānō̃ sē sampann arthāt apnē kō mālāmāl samajhtē hō  ? Jaisē bāp sadā sampann hai , aisē bāp-samān sabhī khazānō̃ sē sampann hō  ? Kōī bhī khazānē key|kī kamī nahī̃ . Aisē man sē khuśhī kā āvāz nikaltā hai ki pānā thā vō pā liyā  ? Mukh kā āvāz nirantar kā nahī̃ hō saktā , lēkin man kā āvāz nirantar avināśhī hai . Tō yah man sē āvāz nikaltā hai ki pā liyā hai  ? Andar sē ātā hai yā abhī samajhtē hō ki pāyēṅgē , pā tō rahē haĩ . Aṭal niśhchaybuddhi bachchē ban gayē hō  ? Bachchā bannā arthāt adhikārī bannā . Kabhī bhī apnē mē̃ bhī sanśhay na hō . Sampūrṇ banē̃gē yā nahī̃  ? Sūryavanśhī banē̃gē yā chandravanśhī  ? Sadā niśhchaybuddhi  ! Jaisē bāp mē̃ niśhchay hai vaisē svayã mē̃ bhī niśhchay . Svayã mē̃ agar kamzōrī kā saṅkalp utpanna hōtā hai tō kamzōrī K|kē saṅskār ban jāyēgē . Jaisē kōī ēk bār bhī śharīr sē kamzōr hō jātā hai , thōṛē samay mē̃ tandurūsta nahī̃ ban sakā tō kamzōrī K|kē germs pakkē hō jātē haĩ . Aisē vyarth saṅkalp rūpī kamzōrī K|kē germs apnē andar pravēśh nahī̃ hōnē dēnā . Nahī̃ tō unkō khatm karnā muśhkil hō jāyēgā .

Jō bhī drama key|kī scene dēkhtē hō , chāhē vah halchal key|kī scene hō yā achal key|kī , lēkin dōnō̃ mē̃ niśhchay . Halchal key|kī scene mē̃ bhī kalyāṇ kā anubhav hō . Aisā niśhchaybuddhi . Vātāvaraṇ hilānē vālā hō , samasyā vikarāl hō lēkin sadā niśhchaybuddhi . Iskō kahtē haĩ - vijayī . Tō niśhchay K|kē ādhār sē vikarāl samasyā bhī śhītal hō jāyēgī .

Bhinn-bhinn bhāṣhā K|kē hōtē huē bhī ēk mat , ēk bāp , ēk hī niśhchay aur ēk hī mañzil . Sirph sēvārth bhinn-bhinn sthānō̃ par rahē huē hō . Agar sabhī ēk sthān par baiṭh jāē̃ tō chārō̃ ōr key|kī sēvā kaisē hōgī  ? Jab sēvā samāpt hō jāyēgī tab sabhī madhuban ā jāyēṅgē . Lēkin vah bhī kaun āyēṅgē  ? Jō naṣhṭōmōhā hōṅgē . Jinkī buddhi key|kī line clear hōgī . Us samay telephone va telegram sē bulāvā nahī̃ hōgā , lēkin buddhi key|kī line clear hōnē sē bulāvā pahũch jāyēgā . Aisī hālatē̃ banē̃gī jō jis train sē āpkō pahuñchnā hōgā vahī chalēgī , uskē bād nahī̃ . Agar line clear hōgī tō sādhan bhī mil jāvēṅgē . Nahī̃ tō kahī̃-n-kahī̃ aṭak jāyēṅgē . Isliē bahut kāl kā nirantar yōg chāhiē . Kavach hai , kavach vālā sadā safe rahtā hai . Safety key|kī dress hai hī - yād kā kavach .

Mātāyē̃ tīvr puruṣhārthī hō nā  ? Abhī ghar mē̃ nahī̃ baiṭh jānā , abhī group banākar chārō̃ ōr sēvā kē liē phail jāō . Centre khōlō . Aglē sāl dēkhē̃gē kitnē centre khōlē . Samasyāō̃ K|kē pahlē sabkō sandēśh dē dō . Tō sabhī āpkē bahut guṇgān karē̃gē . Abhī sēvā kēndra khōltē jāō . Sandēśh dēnē kē liē kōī sādhan apnāō .

2 . drama key|kī knowledge sē kyā-kyō̃ K|kē question kō samāpt karnē vālē hī prakr̥itijīt aur māyājīt bantē haĩ - sabhī prakr̥itijīt vā māyājīt banē hō  ? Yah 5 tatva bhī apnī taraph ākarṣhit na karē̃ aur 5 vikār bhī war|vār na karē̃ . Aisē māyājīt aur prakr̥itijīt dōnō hī paper mē̃ pās|pass hō  ! Agar kōī prakr̥iti dvārā paper āyē tō pās|pass hōnē key|kī śhakti dhāraṇ hō gaī hai  ? Halchal mē̃ tō nahī̃ āyēṅgē  ? Zarā bhī halchal mē̃ ānā arthāt fail . Yah kyā , yah kyō̃ , yah question bhī uṭhā tō kyā result hōgī . Agar zarā bhī kōī prakr̥iti key|kī samasyā war|vār karnē vālī ban gaī tō fail hō jāyēṅgē . Kuchh bhī hō , lēkin andar sē sadā yah āvāz nikalē vāh mīṭhā drama . Itnā drama kā gyān pakkā kiyā hai  ! Yā jab achchhī bātē hai tō drama hai , halchal key|kī bātē̃ haĩ tō hāy-hāy . ‘ hāy kyā huā ’ yah saṅkalp mē̃ bhī na āyē , aisē mazbūt hō  ? Kyōṅki āgē chalkar ab aisī samasyāyē̃ prakr̥iti dvārā bhī ānē vālī hai  ! Prākr̥itik āpdāyē̃ tō din-pratidin baṛhnē vālī haĩ nā . Tō aisī sthiti hō jō kōī bhī saṅkalp mē̃ bhī halchal na hō . Aisē achal aur aḍōl banē hō  ? Agar bahut samay kā māyājīt vā prakr̥itijīt kā abhyās nahī̃ hōgā tō result kyā hōgī  ! Ēk second kā paper ānā hai . Us samay agar taiyārī karnē mē̃ lag gayē tō result nikal jāyēgā . Ēk second mē̃ pās|pass hō jāē̃ , iskā abhyās chāhiē . Agar yah bhī sōchā ki yōg lagāyē̃ , yād mē̃ baiṭhē̃ tō bhī second tō bīt jāyēgā . Yuddha mē̃ hī śharīr chhōṛ dēgē . Puruṣhārthī jīvan mē̃ yuddha kartē-kartē hī śharīr chhūṭā tō result kyā hōgī  ! Chandravanśhī ban jāyēṅgē . Isliē harēk sadā 108 key|kī mālā mē̃ ānē kā lakṣhya rakhō . Lakṣhya śhrēṣhṭh hōgā tō lakṣhaṇ automatically ā jāyēṅgē . 16 hajār kā lakṣhya kabhī nahī̃ karnā . Number one ānē kā purūṣhārth aur lakṣhya rakhō .

Śhaktiyā̃ sadā śhastradhārī śrr̥ṅgārīmūrta aur sanhār karnē vālī - dōnō̃ hī svarūp mē̃ sthit rahtī hō  ? Kabhī rōnē vālī tō nahī̃ hō nā  ? Sadā harṣhit . Man sē bhī rōnē vālī nahī̃ . Zarā bhī māyā sē hār huī tō man sē rōnā hōtā hai . Mātāō̃ kō tō sadā khuśhī mē̃ nāchnā chāhiē - kyōṅki nā-ummīd sē ummīdvār hō gaī , bāp nē sir kā tāj banā diyā tō kitnī khuśhī hōnī chāhiē . Pāṇḍav bhī mātāō̃ dēkhkar khuśh hōtē haĩ . Kyōṅki śhaktiyā̃ haĩ hī pāṇḍavō̃ kē liē ḍhāl . Ḍhāl mazbūt hōgī tō war|vār nahī̃ hōgā . Isliē mātāō̃ kō āgē rakhnē mē̃ pāṇḍavō̃ kō khuśh hōnā chāhiē . Agar svayã āgē rahē̃gē tō ḍanḍē khānē paṛē̃gē . Śhaktiyō̃ kō āgē rakhē̃gē tō pāṇḍavō̃ key|kī bhī mahimā hai . Āgē rakhnā bhī āgē hōnā hī hai .

3 . apnī viśhēṣhtā kō jānnē vālē hī viśhēṣh ātmā bantē haĩ  : jaisē bachchē bāp K|kē snēh mē̃ sadā magan rahtē haĩ vaisē bāp bhī bachchō̃ key|kī sēvā mē̃ hī sadā magan rahtē haĩ . Bachchō̃ kō bāp K|kē sivāē kōī nahī̃ aur bāp kō bachchō̃ K|kē sivāē kōī nahī̃ . Jaisē āp bāp K|kē guṇ gātē hō vaisē bāp bhī her|har bachchē K|kē guṇ gātē haĩ . Rōz her|har bachchē key|kī viśhēṣhtā aur guṇō̃ kō sāmnē lātē haĩ kyōṅki jō bhī bāp K|kē bachchē banē haĩ vah haĩ hī viśhēṣh ātmāyē̃ . Tō viśhēṣh ātmāō̃ key|kī viśhēṣhtā bāp bhī gātē haĩ . Jaisē jauhrī her|har ratna key|kī value kō jāntē haĩ vaisē bāp bhī her|har bachchē key|kī śhrēṣhṭhatā kō jāntē haĩ . Her|har ratan ēk-dūsrē sē śhrēṣhṭh hai . Tō aisē śhrēṣhṭh samajhkar chaltē hō  ? Sādhāraṇ nahī̃ hō . Last dānā bhī sādhāraṇ nahī̃ hai bāp kō jānnē key|kī viśhēṣhtā tō last mē̃ bhī hai . Āp last nahī̃ lēkin first jānē vālē hō . Abhī kōī bhī number fix nahī̃ hai . Sab seat khālī haĩ . Sīṭī nahī̃ bajī hai . Sīṭī bajēgī , seat lē̃ lē̃gē . Last vālā bhī fast jākar first lē saktā hai . Mātāpitā kō chhōṛ karkē bākī sab sīṭē̃ khālī haĩ . Abhī takdīr āpkē hāth mē̃ haĩ , bhāgyavidhātā bāp nē takdīr āpkē hāth mē̃ dē dī hai jō chāhō vah banāō . Abhī is saṅgam K|kē samay kō vardān milā hai jō chāhē , jaisā chāhē , jitnā chāhē utnā banā saktē haĩ . Tō aisē golden chance kō apnāyā hai  ?

Sēvā kā kitnā bhī vistār hō lēkin svayã key|kī sthiti sār rūp mē̃ hō . Abhī-abhī direction milē ēk second mē̃ master bīj hō jāō tō hō jāō . Time na lagē . Second key|kī bāzī hai . Ēk second key|kī bāzī sē sārē kalp key|kī takdīr banā saktē hō . Jitnī chāhō utnī banāō .