शनिवार 16 फ़रवरी 1985 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

16-02-85 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Śhiv bāp key|kī avataraṇ jayanti sō avatarit huē ‘ avatār ’ bachchō̃ key|kī jayanti key|kī mubārak

Bhōlālāth , amarnāth śhiv bābā apnē bhāgyavān bachchō̃ prati bōlē

Āj bhōlēnāth bāp bhōlē bhaṇḍārī apnē ati snēhī , sadā sahyōgī , sahajyōgī sarv khajānō̃ K|kē mālik bachchō̃ sē milan manānē āyē haĩ . Ab bhī mālik , bhaviṣhya mē̃ bhī mālik . Abhī viśhva rachayitā K|kē bālak sō mālik hō , bhaviṣhya mē̃ viśhva K|kē mālik hō . Bāpdādā apnē aisē mālik bachchō̃ kō dēkh harṣhit hōtē haĩ . Yah bālak sō mālikpan kā alaukik naśhā , alaukik khuśhī hai . Aisē sadā khuśhnasīb sadā sampann śhrēṣhṭh ātmāyē̃ hō nā . Āj sabhī bachchē bāp K|kē avataraṇ key|kī jayantī manānē kē liē umaṅg utsāh mē̃ harṣhit hō rahē haĩ . Bāpdādā kahtē haĩ bāp key|kī jayantī sō bachchō̃ key|kī bhī jayantī hai . Isliē yah wonderful jayantī hai . Vaisē bāp aur bachchē key|kī ēk hī jayantī nahī̃ hōtī hai . Hōtī hai  ? Vahī din bāp K|kē janm kā hō aur bachchē kā bhī hō , aisā kab sunā hai  ? Yahī alaukik jayantī hai . Jis ghaṛī bāp brahmā bachchē mē̃ avatarit huē usī din us ghaṛī brahmā kā bhī sāth-sāth alaukik janm huā . Ikaṭhṭhā janm hō gayā nā . Aur brahmā kē sāth ananya brāhmaṇō̃ kā bhī huā isliē divya janm key|kī tithi , vēlā , rēkhā brahmā key|kī aur śhivbābā K|kē avataraṇ key|kī ēk hī hōnē kāraṇ śhiv bāp aur brahmā bachchā , param ātmā aur mahān ātmā hōtē huē bhī brahmā bāp samān banā . Samāntā K|kē kāraṇ combined rūp ban gayē . Bāpdādā , bāpdādā sadā ikaṭṭhē bōltē hō . Alag nahī̃ . Aisē hī ananya brāhmaṇ bāpdādā K|kē sāth-sāth brahmākumār , brahmākumārī K|kē rūp mē̃ avatarit huē .

Tō brahmākumār aur brahmākumārī yah bhī combined bāp aur bachchē key|kī smr̥iti kā nām hai . Tō bāpdādā bachchō̃ K|kē brāhmaṇ jīvan key|kī avataraṇ jayantī manānē āyē haĩ . Āp sabhī bhī avatār hō nā  ! Avatār arthāt śhrēṣhṭh smr̥iti - ’ ’ maĩ divya jīvan vālī brāhmaṇ ātmā hū̃ . ’ ’ tō nayā janm huā nā  ! Ūñchī smr̥iti sē is sākār śharīr mē̃ avatarit hō viśhva-kalyāṇ K|kē kārya mē̃ nimitt banē hō . Tō avatār huē nā . Jaisē bāp avatarit huē haĩ vaisē āp sab avatarit huē hō viśvaparivarta na kē liē . Parivartan hōnā hī avatarit hōnā hai . Tō yah avatārō̃ key|kī sabhā hai . Bāp K|kē sāth-sāth āp brāhmaṇ bachchō̃ kā bhī alaukik birth day hai . Tō bachchē bāp key|kī jayantī manāyēṅgē yā bāp bachchō̃ key|kī manāyēṅgē . Yā sabhī mil karkē ēk dō key|kī manāyēṅgē  ! Yah tō bhakta lōg sirph yādgār manātē rahtē aur āp sammukh bāp kē sāth manātē hō . Aisā śhrēṣhṭh bhāgya , kalp-kalp K|kē bhāgya key|kī lakīr avināśhī khiñch gaī . Sadā yah samr̥ti mē̃ rahē ki hamārā bhagvān kē sāth bhāgya hai . Direct bhāgya vidhātā kē sāth bhāgya prāpt karnē kā part hai . Aisē double hero , hero part-dhārī bhī hō aur hīrē tulya jīvan vālē bhī hō . Tō double hero hō gayē nā  ! Sārē viśhva key|kī najar āp hero part-dhārī ātmāō̃ key|kī taraph hai . Āp bhāgyavān ātmāō̃ key|kī āj antim janm mē̃ bhī vā kalp K|kē antim kāl mē̃ bhī kitnī yād , yādgār K|kē rūp mē̃ banī huī hai . Bāp K|kē vā brāhmaṇō̃ K|kē bōl yādgār rūp mē̃ śhāstra ban gayē haĩ jō abhī bhī dō vachan sunnē kē liē pyāsē rahtē haĩ . Dō vachan sunnē sē śhānti kā , sukh kā anubhav karnē lagtē haĩ .

Āp bhāgyavān ātmāō̃ K|kē śhrēṣhṭh karma charitra K|kē rūp mē̃ ab tak bhī gāyē jā rahē haĩ . Āp bhāgyavān ātmāō̃ key|kī śhrēṣhṭh bhāvnā , śhrēṣhṭh kāmnā kā śhrēṣhṭh saṅkalp ‘ duā ’ K|kē rūp mē̃ gāyē jā rahē haĩ . Kisī bhī dēvtā kē āgē duā māṅgnē jātē haĩ . Āp bhāgyavān ātmāō̃ key|kī śhrēṣhṭh smr̥ti-simaraṇ K|kē rūp mē̃ ab bhī yādgār chal rahā hai . Simraṇ key|kī kitnī mahimā kartē haĩ . Chāhē nām simraṇ kartē , chāhē mālā K|kē rūp mē̃ simraṇ kartē . Yah smr̥iti kā yādgār simraṇ rūp mē̃ chal rahā hai . Tō aisē bhāgyavān kaisē banē  ! Kyōṅki bhāgya vidhātā kē sāth bhāgyavān banē hō . Tō samajhtē hō kitnā bhāgyavān divya janm hai  ? Aisē divya janm key|kī , bāpdādā bhagvān , bhāgyavān bachchō̃ kō badhāī dē rahē haĩ . Sadā badhāīyā̃ hī badhāīyā̃ haĩ . Yah sirph ēk din key|kī badhāī nahī̃ . Yah bhāgyavān janm her|har second , her|har samay badhāīyō̃ sē bharpūr hai . Apnē is śhrēṣhṭh janm kō jāntē hō nā  ? Her|har śhvāṅs mē̃ khuśhī kā sāz baj rahā hai . Śhvāṅs nahī̃ chaltā lēkin khuśhī kā sāz chal rahā hai . Sāz sunnē mē̃ ātā hai nā  ! Natural sāz kitnā śhrēṣhṭh hai  ! Is divya janm kā yah khuśhī kā sāz arthāt śhvāṅs , divya janm key|kī śhrēṣhṭh saugāt hai . Brāhmaṇ janm hōtē hī yah khuśhī kā sāz gift mē̃ milā hai nā . Sāz mē̃ bhī aṅguliyā̃ nīchē ūpar kartē hō nā . Tō śhvāṅs bhī nīchē ūpar chaltā hai . Tō śhvāṅs chalnā arthāt sāz chalnā . Śhvāṅs band nahī̃ hō saktā . Tō sāz bhī band nahī̃ hō saktā . Sabhī kā khuśhī kā sāz ṭhīk chal rahā hai nā  ! Double vidēśhī kyā samajhtē haĩ  ? Bhōlē bhaṇḍārī sē sabhī khajānē lē apnā bhaṇḍārā bharpūr kar liyā hai nā . Jō ikkīs janm bhaṇḍārē bharpūr rahē̃gē . Bharnē key|kī mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī . Ārām sē prālabdh prāpt hōgī . Abhī kā purūṣhārth ikkīs janm key|kī prālabdh . Ikkīs janm sadā sampann svarūp mē̃ hōṅgē . Tō purūṣhārth kyā kiyā  ? Mēhnat lagtī hai  ? Purūṣhārth arthāt sirph apnē kō is rath mē̃ virājmān purūṣh arthāt ātmā samjhō . Iskō kahtē haĩ purūṣhārth . Yah purūṣhārth kiyā nā . Is purūṣhārth K|kē phalsvarūp ikkīs janm sadā khuśh aur mauj mē̃ rahē̃gē . Ab bhī saṅgamyug maujō̃ kā yug hai . Mūnjhnē kā nahī̃ . Maujō̃ kā yug hai . Agar kisī bhī bāt mē̃ mūnjhtē haĩ tō saṅgamyug sē pāṅw thōṛā kaliyug taraph lē jātē , isliē mūnjhtē haĩ . Saṅkalp athavā buddhi rūpī pāṅw sammagayug par hai tō sadā maujō̃ mē̃ haĩ . Saṅgamyug arthāt dō kā milan manānē kā yug hai . Tō bāp aur bachchē kā milan manānē kā saṅgamyug hai . Jahā̃ milan hai vahā̃ mauj hai . Tō mauj manānē kā janm hai nā . Mūnjhnē kā nām niśhān nahī̃ . Maujō̃ K|kē samay par khūb rūhānī mauj manāō . Double vidēśhī tō double mauj mē̃ rahnē vālē haĩ nā . Aisē maujō̃ K|kē janm key|kī mubārak hō . Mūnjhnē kē liē viśhva mē̃ anēk ātmāyē̃ haĩ , āp nahī̃ hō . Vah pahlē hī bahut haĩ . Aur mauj manānē vālē āp thōṛē sē hō . Samajhā-apanī is śhrēṣhṭh jayantī kō  ! Vaisē bhī ājkal jyōtiṣ vidyā vālē din , tithi aur vēlā K|kē ādhār par bhāgya batātē haĩ . Āp sabkī vēlā kaun-sī hai  ! Tithi kaun-sī hai  ? Bāp K|kē sāth-sāth brāhmaṇō̃ kā bhī janm hai nā . Tō bhagvān key|kī jō tithi vah āpkī .

Bhagvān K|kē avataraṇ arthāt divya janm key|kī jō vēlā vah āpkī vēlā hō gaī . Kitnī ūñchī vēlā hai . Kitnī ūñchī rēkhā hai , jiskō daśhā kahtē haĩ . Tō dil mē̃ sadā yah umaṅg utsāh rahē ki bāp K|kē sāth-sāth hamārā janm hai . Brahmā , brāhmaṇō̃ K|kē binā kuchh kar nahī̃ saktē . Śhiv bāp brahmā K|kē binā kuchh kar nahī̃ saktē . Tō sāth-sāth huā nā . Tō janm tithi , janm vēlā kā mahatva sadā yād rakhō . Jis tithi par bhagvān utarē us tithi par ham ātmā avatarit huī . Nām rāśhi bhī dēkhō - brahmā-brāhmaṇ . Brahmākumār-brahmākumārī . Nām rāśhi bhī vahī śhrēṣhṭh hai , aisē śhrēṣhṭh janm vā jīvan vālē bachchō̃ kō dēkh bāp sadā harṣhit hōtē haĩ . Bachchē kahtē - vāh bābā vāh  ! Aur bāp kahtē vāh bachchē  ! Aisē bachchē bhī kiskō nahī̃ milē̃gē .

Āj K|kē is divya divas key|kī viśhēṣh saugāt bāpdādā sabhī snēhī bachchō̃ kō dō golden bōl dē rahē haĩ . Ēk sadā apnē kō samjhō - ’ ’ maĩ bāp kā nūrē ratna hū̃ . ’ ’ nūrē ratna arthāt sadā nayanō̃ mē̃ samāyā huā . Nayanō̃ mē̃ samānē kā svarūp bindī hōtā hai . Nayanō̃ mē̃ bindī key|kī kamāl hai . Tō nūrē ratna arthāt bindu bāp mē̃ samāyā huā hū̃ . Snēh mē̃ samāyā huā hū̃ . Tō ēk yah golden bōl yād rakhnā ki nūrē ratna hū̃ . Dūsrā - ’ ’ sadā bāp kā sāth aur hāth mērē ūpar hai . ’ ’ sāth bhī hai aur hāth bhī hai . Sadā āśhīrvād kā hāth hai aur sadā sahyōg kā sāth hai . Tō sadā bāp kā sāth aur hāth hai hī hai . Sāth dēnā hāth rakhnā nahī̃ hai , lēkin hai hī . Yah dūsrā golden bōl ‘ sadā sāth aur sadā hāth ’ . Yah āj K|kē is divya janm key|kī saugāt haĩ . Achchhā –

Aisē chārō̃ ōr K|kē sadā śhrēṣhṭh bhāgyavān bachchō̃ kō , sadā her|har śhvāṅs kō khuśhī kā sāz anubhav karnē vālē bachchō̃ kō , double hero bachchō̃ kō , sadā bhagvān aur bhāgya aisē smr̥iti svarūp bachchō̃ kō , sadā sarv khajānō̃ sē bharpūr bhaṇḍār vālē bachchō̃ kō bhōlēnāth , amarnāth vardātā bāp kā bahut-bahut divya janm key|kī badhāiyō̃ K|kē sāth-sāth yādpyār aur namastē . ’ ’

Dādiyō̃ sē - bēhad bāp key|kī snēh key|kī bāhē̃ bahut baṛī haĩ , usī snēh key|kī bāhō̃ mē̃ vā bhākī mē̃ sabhī samāyē huē haĩ . Sadā hī sabhī bachchē bāp key|kī bhujāō̃ K|kē andar bhujāō̃ key|kī mālā K|kē andar hō tabhī māyājīt hō . Brahmā K|kē sāth-sāth janm lēnē vālī śhrēṣhṭh ātmāyē̃ hō nā . Tithi mē̃ jarā bhī antar nahī̃ hai isīliē brahmā K|kē bahut mukh dikhāyē haĩ . Brahmā kō hī pañch mukhī vā tīn mukhī dikhātē haĩ kyōṅki brahmā K|kē sāth-sāth brāhmaṇ haĩ . Tō tīn mukh vālē mē̃ āp hō yā pañch mukh vālē mē̃ hō . Mukh bhī sahyōgī hōtā hai nā . Bāp kō bhī naśhā hai - kaun-sā  ? Sārē viśhva mē̃ kōī bhī bāp aisē bachchē ḍhūṇḍhkar lāyē tō milē̃gē  ? ( nahī̃ ) bāp kahē̃gē aisē bachchē nahī̃ milē̃gē , bachchē kahtē aisā bāp nahī̃ milēgā . Achchhā hai - bachchē hī ghar key|kī raunak hōtē haĩ . Akēlē bāp sē ghar key|kī raunak nahī̃ hōtī . Isliē bachchē is viśhva rūpī ghar key|kī raunak haĩ . Itnē sārē brāhmaṇō̃ key|kī raunak lagānē kē nimitt kaun banē  ? Bachchē banē nā  ! Bāp bhī bachchō̃ key|kī raunak dēkh khuśh hōtē haĩ . Bāp kō āp lōgō̃ sē bhī jyādā mālāyē̃ simraṇ karnī paṛtī haĩ . Āpkō tō ēk hī bāp kō yād karnā paṛtā aur bāp kō kitnī mālāyē̃ simraṇ karnī paṛtī . Jitnī bhaktimārg mē̃ mālāyē̃ ḍālī haĩ utnī bāp kō abhī simraṇ karnī paṛtī . Ēk bachchē key|kī bhī mālā bāp ēk din bhī simraṇ na karē , yah hō nahī̃ saktā . Tō bāp bhī naudhā bhakta hō gayā nā . Ēk-ēk bachchē K|kē viśhēṣhatāō̃ key|kī , guṇō̃ key|kī mālā bāp simraṇ kartē aur jitnē bār simraṇ kartē utnē vah guṇ viśhēṣhtā yē̃ aur fresh hōtī jātī . Mālā bāp simraṇ kartē lēkin mālā kā phal bachchō̃ kō dētā , khud nahī̃ lētā . Achchhā - bāpdādā tō sadā bachchō̃ kē sāth hī rahtē haĩ . Ēk pal bhī bachchō̃ sē alag nahī̃ rah saktē haĩ . Rahnē chāhē̃ tō bhī nahī̃ rah saktē . Kyō̃  ? Jitnā bachchē yād kartē uskā risapānḍa tō dēgē nā  ! Yād karnē kā return tō dēnā paṛēgā nā . Tō second bhī bachchō̃ K|kē sivāy rah nahī̃ saktē . Aisā bhī kabhī wonder nahī̃ dēkhā hōgā jō sāth hī rahē̃ . Bāp bachchō̃ sē alag hī na hō̃ . Aisī bāp bēṭē key|kī jōṛī kabhī nahī̃ dēkhī hōgī . Bahut achchhā bagīchā taiyār huā hai . Āp sabkō bhī bagīchā achchhā lagtā hai nā . Ēk-ēk key|kī khuśhbū nyārī aur pyārī hai . Isliē allāh kā bagīchā gāyā huā hai .

Sabhī ādi ratna hō , ēk-ēk ratna key|kī kitnī value hai aur harēk ratna key|kī her|har samay her|har kārya mē̃ āvaśhyaktā hai . Tō sabhī śhrēṣhṭh ratna hō . Jinhō̃ key|kī abhī bhī ratnō̃ K|kē rūp mē̃ pūjā hōtī hai . Abhī anēk ātmāō̃ K|kē vighna vināśhak bannē key|kī sēvā kartē hō tab yādgār rūp mē̃ ēk-ēk ratna key|kī value hōtī hai . Ēk-ēk ratna key|kī viśhēṣhtā hōtī hai . Kōī vighna kō nāśh karnē vālā ratna hōtā , kōī kaun-sā  ! Tō abhī last tak bhī sthūl yādgār rūp sēvā kar rahā hai . Aisē sēvādhārī banē hō . Samjhā .

Sammēlan mē̃ āyē huē vidēśhī pratinidhiyō̃ sē avyakt bāpdādā key|kī mulākāt - sabhī kahā̃ pahũchē hō  ? Bāp K|kē ghar mē̃ āyē haĩ , aisā anubhav kartē hō  ? Tō bāp K|kē ghar mē̃ mēhmān ātē haĩ yā bachchē ātē haĩ  ? Bachchē hō , adhikārī hō yā mēhmān hō  ? Bāp K|kē ghar mē̃ āyē hō , bāp K|kē ghar mē̃ sadā adhikārī bachchē ātē haĩ . Abhī sē apnē kō mēhmān nahī̃ lēkin bāp K|kē bachchē mahān ātmāyē̃ samajhtē huē āgē baṛhnā . Bhāgyavān thē tab is sthān par pahũchē hō . Abhī kyā karnā hai  ? Yahā̃ pahuñchnā yah bhāgya tō huā lēkin āgē kyā karnā hai . Abhī sadā sāth rahnā . Yād mē̃ rahnā hī sāth hai . Akēlē nahī̃ jānā . Combined hōkar jahā̃ bhī jāyēṅgē jō bhī karma karē̃gē vah combined rūp sē karnē sē sadā sahaj aur saphal anubhav karē̃gē . Sadā sāth rahē̃gē yah saṅkalp jarūr karkē jānā . Purūṣhārth karē̃gē , dēkhē̃gē , yah nahī̃ . Karnā hī hai . Kyōṅki dr̥iṛhtā saphaltā key|kī chābī hai . Tō yah chābī sadā apnē sāth rakhnā . Yah aisī chābī hai jō khajānā chāhiē vah saṅkalp kiyā aur khajānā milā . Yah chābī sāth rakhnā arthāt sadā saphaltā pānā . Abhī mēhmān nahī̃ adhikārī ātmā . Bāpdādā bhī aisē adhikārī bachchō̃ kō dēkh harṣhit hōtē haĩ . Jō anubhav kiyā hai vah anubhav kā khajānā sadā bāṇṭtē rahnā , jitnā bāṇṭē̃gē utnā baṛhtā rahēgā . Tō mahādānī bannā sirph apnē pās|pass nahī̃ rakhnā . Achchhā .

Bāpdādā nē apnē hastō̃ sē jhaṇḍā laharāyā tathā yādpyār dī|the

Chārō̃ ōr K|kē sabhī sadā snēhī bachchō̃ kō bāpdādā is divya janm key|kī śhubh divas key|kī mubārak dē rahē haĩ . Sadā mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō . Sadā avināśhī bhav , sadā sampann bhav , sadā samān bhav K|kē vardānō̃ sē jhōlī bharī rahē . Achchhā  !

Vidāī K|kē samay 3-30 bajē

Sabhī bachchō̃ kō mubārak K|kē sāth-sāth goodmorning . Jaisē āj key|kī rāt śhubh milan key|kī mauj mē̃ bitāyā vaisē sadā din rāt bāp K|kē milan mauj mē̃ manātē rahnā . Pūrā hī saṅgamyug sadā bāp sē badhāīyā̃ lētē huē vr̥iddhi kō pātē huē , āgē baṛhtē huē , sabhī kō āgē baṛhātē rahnā . Sadā mahādānī vardānī bankar anēk ātmāō̃ kō dān bhī dēnā , vardān bhī dēnā .

Achchhā - aisē sadā viśhva-kalyāṇakārī , sadā merciful , sadā sarv kē prati śhubh bhāvnā rakhnē vālē bachchō̃ kō yādpyār aur goodmorning .