रविवार 24 मार्च 1985 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
24-03-85 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Ab nahī̃ tō kab nahī̃
Śhrēṣhṭh rājya bhāgya kā adhikār dēnē vālē bāpdādā bōlē
Āj loveful aur lāphul bāpdādā sabhī bachchō̃ K|kē khātē kō dēkh rahē thē . Har ēk kā jamā kā khātā kitnā hai ? Brāhmaṇ bannā arthāt khātā jamā karnā . Kyōṅki is ēk janm K|kē jamā kiyē huē khātē K|kē pramāṇ 21 janm prālabdh pātē rahē̃gē . Na sirph 21 janm prālabdh prāpt karē̃gē lēkin jitnā pūjya bantē hō arthāt rājya pad K|kē adhikārī bantē hō , usī hisāb anusār ādhākalp bhaktimārg mē̃ pūjā bhī rājya bhāgya K|kē adhikār K|kē hisāb sē hōtī hai . Rājya pad śhrēṣhṭh hai tō pūjya svarūp bhī itnā hī śhrēṣhṭh hōtā hai . Itnī saṅkhyā mē̃ prajā bhī bantī hai . Prajā apnē rājya adhikārī viśhva-mahārājan vā rājan kō māt pitā K|kē rūp sē pyār kartī hai . Itnā hī bhakta ātmāyē̃ bhī aisē hī us śhrēṣhṭh ātmā kō vā rājya adhikārī mahān ātmā kō apnā pyārā īṣhṭ samajh pūjā kartē haĩ . Jō aṣhṭ bantē haĩ vah īṣhṭ bhī itnē hī mahān bantē haĩ . Is hisāb pramāṇ isī brāhmaṇ jīvan mē̃ rājya-pad aur pūjya-pad pātē hō . Ādhā kalp rājya-pad vālē bantē hō aur ādhā kalp pūjya-pad kō prāpt kartē hō . Tō yah janm vā jīvan vā yug sārē kalp K|kē khātē kō jamā karnē kā yug vā jīvan hai . Isliē āp sabhī kā ēk slōgan banā huā hai , yād hai ? - ab nahī̃ tō kab nahī̃ . Yah is samay K|kē isī jīvan kē liē hī gāyā huā hai . Brāhmaṇō̃ kē liē bhī yah slōgan hai tō agyānī ātmāō̃ kē liē bhī sujāg karnē kā yah slōgan hai . Agar brāhmaṇ ātmāyē̃ her|har śhrēṣhṭh karma karnē K|kē pahlē śhrēṣhṭh saṅkalp kartē huē yah slōgan sadā yād rakhē̃ ki - ab nahī̃ tō kab nahī̃ , tō kyā hōgā ? Sadā her|har śhrēṣhṭh kārya mē̃ tīvr ban āgē baṛhē̃gē . Sāth-sāth yah slōgan sadā umaṅg-utsāh dilānē vālā hai . Rūhānī jāgr̥iti svataḥ hī ā jātī hai . Achchhā phir kar lē̃gē , dēkh lē̃gē . Karnā tō hai hī . Chalnā tō hai hī . Bannā bhī hai hī . Yah sādhāraṇ purūṣhārth K|kē saṅkalp svataḥ hī samāpt hō jātē haĩ . Kyōṅki smr̥iti ā gaī ki - ab nahī̃ tō kab nahī̃ . Jō karnā hai vah ab kar lō . Iskō kahā jātā hai - tīvr purūṣhārth .
Samay badalnē sē kabhī śhubh saṅkalp bhī badal jātā hai . Śhubh kārya jis umaṅg sē karnē kā sōchā vah bhī badal jātā hai . Isliē brahmā bāp K|kē number one jānē key|kī viśhēṣhtā kyā dēkhī ? Kab nahī̃ , lēkin ab karnā hai . turant dān mahāpuṇya kahā jātā hai . Agar turant dān nahī̃ kiyā , sōchā , samay lagāyā , plan banāyā phir practical mē̃ lāyā tō iskō turant dān nahī̃ kahā jāyēgā . Dān kahā jāyēgā . Turant dān aur dān mē̃ antar hai . Turant dān mahādān hai . Mahādān kā phal mahān hōtā hai . Kyōṅki jab tak saṅkalp kō practical karnē mē̃ sōchtā hai - achchhā karū̃ , karū̃gā , abhī nahī̃ , thōṛē samay kē bād karū̃gā . Ab itnā kar lētā hū̃ yah sōchnā aur karnā is bīch mē̃ jō samay paṛ jātā hai usmē̃ māyā kō chance mil jātā hai . Bāpdādā bachchō̃ K|kē khātē mē̃ kaī bār dēkhtē haĩ ki sōchnē aur karnē K|kē bīch mē̃ jō samay paṛtā hai us samay mē̃ māyā ā jātī hai tō bāt bhī badal jātī hai . Mānō kabhī tan sē , man sē sōchtē haĩ yah karē̃gē lēkin samay paṛnē sē jō 100 pratiśhat sōchtē haĩ karnē kē liē vah badal jātā hai . Samay paṛnē sē māyā kā prabhāv hōnē K|kē kāraṇ mānō 8 ghaṇṭā lagānē vālā 6 ghaṇṭā lagāyēgā . 2 ghaṇṭā kaṭ hō jāyēgā . Circumstance hī aisē ban jāyēṅgē . Is prakār dhan mē̃ sōchēgā 100 karnā hai aur karēgā 50 itnā bhī phark paṛ jātā hai . Kyōṅki bīch mē̃ māyā kō margin mil jātī hai . Phir kaī saṅkalp ātē haĩ . Achchhā 50 abhī kar lētē haĩ - 50 phir bād mē̃ kar lē̃gē . Hai tō bāp kā hī . Lēkin tan-man-dhan sabhī kā jō turant dān vah mahāpuṇya hōtā hai . Dēkhā hai nā - bali bhī chaṛhātē haĩ tō mahāprasād vahī hōtā jō turant hōtā . Ēk dhak sē jhāṭakū bantē haĩ uskō mahāprasād kahā jātā hai . Jō bali mē̃ chillātē-chillātē sōchtē-sōchtē rah jātē haĩ vah mahāprasād nahī̃ . Jaisē vah bakrē kō bali chaṛhātē haĩ , vah bahut chillātā hai . Yahā̃ kyā kartē ? Sōchtē haĩ , aisā karē̃ vā na karē̃ . Yah huā sōchnā . Chillānē vālē kō kabhī bhī mahāprasād K|kē rūp mē̃ svīkār nahī̃ kartē haĩ . Aisē hī yahā̃ bhī turant dān mahāpuṇya yah jō gāyan hai vah is samay kā hai . Arthāt sōchnā aur karnā turant hō . Sōchtē-sōchtē rah nahī̃ jāvē̃ . Kaī bār aisē anubhav bhī sunātē haĩ . Sōchā tō mainnē bhī yahī thā lēkin isnē kar liyā , mainnē nahī̃ kiyā . Tō jō kar lētā hai vah pā lētā hai . Jō sōchtē-sōchtē rah jātā , vah sōchtē-sōchtē trētāyug tak pahũch jātā hai . Sōchtē-sōchtē rah jātā hai . Yahī vyarth saṅkalp hai ki turant nahī̃ karō . Śhubh kārya śhubh saṅkalp kē liē gāyan hai - turant dān mahāpuṇya . Kabhī-kabhī kōī bachchē baṛā khēl dikhātē haĩ . Vyarth saṅkalp itnā force sē ātē jō kaṇṭrōl nahī̃ kar pātē . Phir us samay kahtē kyā karē̃ , hō gayā nā . Rōk nahī̃ saktē . Jō āyā vah kar liyā lēkin vyarth kē liē kaṇṭrōliṅg power chāhiē . Ēk samarth saṅkalp kā phal padmaguṇā miltā hai . Aisē hī ēk vyarth saṅkalp kā hisāb-kitāb - udās hōnā , dilśhikasta hōnā vā khuśhī gāyab hōnā vā samajh nahī̃ ānā ki maĩ kyā hū̃ , apnē kō bhī nahī̃ samajh saktē - yah bhī ēk kā bahut guṇā K|kē hisāb sē anubhav hōtā hai . Phir sōchtē haĩ ki thā tō kuchh nahī̃ . Patā nahī̃ kyō̃ khuśhī gum hō gaī . Bāt tō baṛī nahī̃ thī lēkin bahut din hō gayē haĩ - khuśhī kam hō gaī hai . Patā nahī̃ kyō̃ akēlāpan achchhā lagtā hai ! Kahā̃ chalē jāvē̃ , lēkin jāyēṅgē kahā̃ ? Akēlā arthāt binā bāp kē sāth akēlā tō nahī̃ jānā hai nā . Aisē bhalē akēlē hō jāō lēkin bāp kē sāth sē akēlē kabhī nahī̃ hōnā . Agar bāp kē sāth sē akēlē huē , vairāgī , udāsī yah tō dūsrā maṭh hai . Brāhmaṇ jīvan nahī̃ . Combined hō nā . Saṅgamyug combined rahnē kā yug hai . Aisī vaṇḍarapul jōṛī tō sārē kalp mē̃ nahī̃ milēgī . Chāhē lakṣhmī nārāyaṇ bhī ban jāē̃ lēkin aisī jōṛī tō nahī̃ banēgī nā ! Isliē saṅgamyug kā combined rūp hai . Yah second bhī alag nahī̃ hō saktā . Alag huā aur gayā . Anubhav hai nā aisā ! Phir kyā kartē ? Kabhī sāgar K|kē kinārē chalē jātē , kab chhat par , kab pahāṛō̃ par chalē jātē . Manan karnē kē liē jāō , vah alag bāt hai . Lēkin bāp K|kē binā akēlē nahī̃ jānā hai . Jahā̃ bhī jāō sāth jāō . Yah brāhmaṇ jīvan kā vāydā hai . Janmatē hī yah vāydā kiyā hai nā ! Sāth rahē̃gē sāth chalē̃gē . Aisē nahī̃ jaṅgal mē̃ vā sāgar mē̃ chalē jānā hai . Nahī̃ . Sāth rahnā hai , sāth chalnā hai . Yah vāydā pakkā hai nā sabhī kā ? Dr̥iṛh saṅkalp vālē sadā saphaltā kō pātē haĩ . Dr̥iṛhtā saphaltā key|kī chābī hai . Tō yah vāydā bhī dr̥iṛh pakkā kiyā hai nā . Jahā̃ dr̥iṛhtā sadā hai vahā̃ saphaltā sadā hai . Dr̥iṛhtā cum|kam tō saphaltā bhī cum|kam .
Brahmā bāp key|kī viśhēṣhtā kyā dēkhī ! Yahī dēkhī nā - turant dān … kabhī sōchā ki kyā hōgā ! Pahlē sōchū̃ pīchhē karū̃ , nahī̃ . Turant dān mahāpuṇya K|kē kāraṇ number one mahān ātmā banē̃ . Isliē dēkhō number one mahān ātmā bannē K|kē kāraṇ kr̥iṣhṇa K|kē rūp mē̃ number one pūjā hō rahī hai . Ēk hī yah mahān ātmā hai jiskī bāl rūp mē̃ bhī pūjā hai . Bāl rūp bhī dēkhā hai nā . Aur yuvā rūp mē̃ rādhē kr̥iṣhṇa K|kē rūp mē̃ bhī pūjā hai . Aur tīsrā gōp gōpiyō̃ K|kē rūp mē̃ bhī gāyan pūjan hai . Chauthā lakṣhmī nārāyaṇ K|kē rūp mē̃ . Ēk yah hī mahān ātmā hai jiskē bhinn-bhinn āyu K|kē rūp mē̃ bhinn-bhinn charitra K|kē rūp mē̃ gāyan aur pūjan hai . Rādhē kā gāyan hai lēkin rādhē kō bāl rūp mē̃ kabhī jhūlā nahī̃ jhulāyēṅgē . Kr̥iṣhṇa kō jhulātē haĩ . Pyār kr̥iṣhṇa kō kartē haĩ . Rādhē kā sāth K|kē kāraṇ nām jarūr hai . Phir bhī number dō aur ēk mē̃ phark tō hōgā nā . Tō number one bannē kā kāraṇ kyā banā ? - mahā puṇya . Mahān puṇya ātmā sō mahān pūjya ātmā ban gaī . Pahlē bhī sunāyā thā nā ki āp lōgō̃ key|kī pūjā mē̃ bhī antar hōgā . Kōī dēvī dēvtāō̃ key|kī pūjā vidhipūrvak hōtī hai aur kōī key|kī aisē kām chalāū bhī hōtī hai . Iskā tō phir bahut vistār hai . Pūjā kā bhī bahut vistār hai . Lēkin āj tō sabhī K|kē jamā K|kē khātē dēkh rahē thē . Gyān kā khajānā , śhaktiyō̃ kā khajānā , śhrēṣhṭh saṅkalpō̃ kā khajānā kahā̃ tak jamā kiyā hai aur samay kā khajānā kahā̃ tak jamā kiyā hai . Yah chārō̃ hī khajānē kahā̃ tak jamā kiyē haĩ ? Yah khātā dēkh rahē thē . Tō abhī in chārō̃ hī bātō̃ kā khātā apnā check karnā . Phir bāpdādā bhī sunāyēṅgē ki result kyā dēkhī aur har ēk khajānē K|kē jamā karnē kā prāpti kā kyā sambandh hai . Aur kaisē jamā karnā hai is sab bātō̃ par phir sunāyēṅgē . Samjhā
Samay tō had kā hai nā . Ātē bhī had mē̃ haĩ , apnā śharīr bhī nahī̃ . Loan liyā huā śharīr , aur hai bhī temporary part kā śharīr . Isliē samay kō bhī dēkhnā paṛtā hai . Bāpdādā kō bhī her|har bachchē sē milnē mē̃ , her|har bachchē key|kī mīṭhīmīṭhī rūhānī khuśhbū lēnē mē̃ majā ātā hai . Bāpdādā tō her|har bachchē K|kē tīnō̃ kāl jāntē haĩ nā . Aur bachchē sirph apnē vartamān kō jyādā jāntē haĩ isliē kabhī kaisē , kabhī kaisē hō jātē haĩ . Lēkin bāpdādā tīnō̃ kālō̃ kō jānnē kāraṇ usī dr̥iṣhṭi sē dēkhtē haĩ ki yah kalp pahlē vālā hakdār hai . Adhikārī hai . Abhī sirph thōṛā sā kōī halchal mē̃ hai lēkin abhī-abhī halchal abhī-abhī achal hō hī jānā hai . Bhaviṣhya śhrēṣhṭh dēkhtē haĩ . Isliē vartamān kō dēkhtē bhī , nahī̃ dēkhtē . Tō har ēk bachchē key|kī viśhēṣhtā kō dēkhtē haĩ . Aisā kōī hai jismē̃ kōī bhī viśhēṣhtā na hō ! Pahlī viśhēṣhtā tō yahī hai jō yahā̃ pahũchē hō . Aur kuchh bhī na hō phir bhī sammukh milnē kā yah bhāgya cum|kam nahī̃ hai . Yah tō viśhēṣhtā hai nā . Yah viśhēṣh ātmāō̃ key|kī sabhā hai . Isliē viśhēṣh ātmāō̃ key|kī viśhēṣhtā kō bāpdādā dēkh harṣhit hōtē haĩ . Achchhā
Sadā turant dān mahāpuṇya K|kē śhrēṣhṭh saṅkalp vālē , sadā kab kō ab mē̃ parivartan karnē vālē , sadā samay K|kē vardān kō jān vardānō̃ sē jhōlī bharnē vālē , sadā brahmā bāp kō follow kar brahmā bāp kē sāth śhrēṣhṭh rājya-adhikārī aur śhrēṣhṭh pad adhikārī bannē vālē , sadā bāp kē sāth combined rahnē vālē , aisē sadā K|kē sāthī bachchō̃ kō , sadā sāth nibhānē vālē bachchō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē .
Br̥jaindrā dādī sē avyakt bāpdādā key|kī mulākāt - chalānē vālā chalā rahā hai nā . Her|har second karāvanhār nimitt banāē karā rahā hai . Karāvanhār K|kē hāth mē̃ chābī hai . Usī chābī sē chal rahī hai . Automatic chābī mil jātī hai aur chaltē phirtē kitnā nyārē aur pyārēpan kā anubhav hōtā hai . Chāhē karma kā hisāb chuktū bhī kar rahē haĩ lēkin karma K|kē hisāb kō bhī sākṣhī hō dēkhtē huē , sāthī kē sāth mauj mē̃ rahtē haĩ . Aisē hai nā ! Āp tō sāthī kē sāth mauj mē̃ haĩ bākī yah hisāb kitāb sākṣhī hō chuktū kaisē hō rahā hai vah dēkhtē huē bhī mauj mē̃ rahnē kāraṇ lagtā kuchh nahī̃ hai . Kyōṅki jō ādi sē sthāpanā kē nimitt banē haĩ tō jab tak hai tab tak baiṭhē haĩ yā chal rahē haĩ , stage par haĩ yā ghar mē̃ haĩ lēkin mahāvīr bachchē sadā hī apnē śhrēṣhṭh stage par hōnē K|kē kāraṇ sēvā key|kī stage par haĩ . Double stage par haĩ . Ēk svayã key|kī śhrēṣhṭh stage par haĩ aur dūsrī sēvā key|kī stage par haĩ . Tō sārā din kahā̃ rahtī hō ? Makān mē̃ yā stage par ? Bed par baiṭhtī , kōc par baiṭhtī hō yā stage par rahtī hō ? Kahā̃ bhī hō lēkin sēvā key|kī stage par hō . Double stage hai . Aisē hī anubhav hōtā hai nā ! Apnē hisāb kō bhī āp sākṣhī hōkar dēkhō . Is śharīr sē jō bhī pichhlā kiyā huā hai vah chuktū kaisē kar rahā hai , vah sākṣhī hōkar dēkhtē . Isē karmabhōg nahī̃ kahē̃gē . Bhōgnē mē̃ dukh hōtā hai . Tō bhōgnā śhabda nahī̃ kahē̃gē kyōṅki dukhadarda key|kī mahsūstā nahī̃ hai . Āp lōgō̃ kē liē karmabhōg nahī̃ hai , yah bhī karmyōg key|kī śhakti sē sēvā kā sādhan banā huā hai . Yah karma bhōgnā nahī̃ , sēvā key|kī yōjnā hai . Bhōgnā bhī sēvā key|kī yōjnā mē̃ badal gaī . Aisē hai nā ! Isliē sadā sāth key|kī mauj mē̃ rahnē vālī . Janm sē yahī āśhā rahī - sāth rahnē key|kī . Yah āśhā bhakti rūp mē̃ pūrī huī , gyān mē̃ bhī pūrī huī , sākār rūp mē̃ bhī pūrī huī aur abhī avyakt rūp mē̃ bhī pūrī hō rahī hai . Tō yah janm key|kī āśhā vardān K|kē rūp mē̃ ban gaī . Achchhā - jitnā sākār bāp kē sāth rahnē kā anubhav inkā hai utnā aur kiskā nahī̃ . Sāth rahnē kā viśhēṣh part milā yah cum|kam thōṛē hī hai . Harēk kā bhāgya apnā-apnā hai . Āp bhī kahō - vāh rē maĩ ! Achchhā
Ādi ratna sadā son|san śōvz father karnē kē nimitt haĩ . Her|har karma sē bāp K|kē charitra kō pratyakṣha karnē vālē divya darpaṇ haĩ . Darpaṇ kitnā āvaśhyak hōtā hai ? Apnā darśhan yā dūsrē kā darśhan karānē kē liē . Tō āp sabhī darpaṇ hō bāp kā sākṣhātkār karānē kē liē . Jō viśhēṣh ātmāyē̃ nimitt haĩ unkō dēkh sabhī kō kyā yād ātā hai ? Bāpdādā yād ā jātā hai . Bāp kyā kartē thē , kaisē chaltē thē … yah yād ātā hai nā . Tō bāp kō pratyakṣha karnē K|kē darpaṇ hō . Bāpdādā aisē viśhēṣh bachchō̃ kō sadā apnē sē bhī āgē baṛhātē haĩ . Sir kā tāj banā dētē haĩ . Sir K|kē tāj key|kī chamaktī huī maṇi hō . Achchhā
Sabhī bachchō̃ kō vidāī K|kē samay yādpyār dētē huē - bāpdādā chārō̃ taraph K|kē sabhī bachchō̃ kō yādpyār bhēj rahē haĩ . Har ēk sthān K|kē snēhī bachchē , snēh sē sēvā mē̃ āgē baṛh rahē haĩ aur snēh sadā āgē baṛhātā rahēgā . Snēh sē sēvā kartē hō isliē jinhō̃ key|kī sēvā kartē hō vah bhī bāp K|kē snēhī ban jātē haĩ . Sabhī bachchō̃ kō sēvā key|kī mubārak bhī hō aur mēhnat nahī̃ lēkin muhabbat key|kī mubārak hō . Kyōṅki nām mēhnat hai lēkin hai muhabbat . Isliē jō yād mē̃ rahkar sēvā kartē haĩ vah apnā vartamān aur bhaviṣhya jamā kartē haĩ . Isliē abhī bhī sēvā key|kī khuśhī miltī hai aur bhaviṣhya mē̃ bhī jamā hōtā hai . Sēvā nahī̃ key|kī lēkin avināśhī bank mē̃ apnā khātā jamā kiyā . Thōṛī see|sī|C sēvā aur sadākāl kē liē khātā jamā hō jātā . Tō vah sēvā kyā huī ? Jamā huā nā ! Isliē sabhī bachchō̃ kō bāpdādā yādpyār bhēj rahē haĩ . Harēk apnē kō samarth ātmā samajh āgē baṛhō tō samarth ātmāō̃ key|kī saphaltā sadā hai hī . Harēk apnē-apnē nām sē viśhēṣh yādpyār svīkār karnā ( dēhlī pāṇḍav bhavan mē̃ ṭailēksa lagā hai ) dēhlī nivāsī pāṇḍav bhavan K|kē sabhī bachchō̃ kō viśhēṣh sēvā key|kī mubārak . Kyōṅki yah sādhan bhī sēvā kē liē hī banē haĩ . Sādhan key|kī mubārak nahī̃ , sēvā key|kī mubārak hō . Sadā in sādhanō̃ dvārā bēhad key|kī sēvā , avināśhī kartē rahē̃gē . Khuśī-khaśī sē viśhva mē̃ is sādhan dvārā bāp kā sandēśh pahuñchātē rahē̃gē . Isliē bāpdādā dēkh rahē haĩ ki bachchō̃ key|kī sēvā kā umaṅg utsāh khuśhī kitnī hai . Isī khuśhī sē sadā āgē baṛhtē rahnā . Pāṇḍav bhavan kē liē sabhī vidēśhī khuśhī kā certificate dētē haĩ iskō kahā jātā hai bāp samān mēhmān nivājī mē̃ sadā āgē rahnā . Jaisē brahmā bāp nē kitnī mēhmān nivājī karkē dikhāī . Tō mēhmān nivājī mē̃ follow karnē vālē bāp kā show kartē haĩ . Bāp kā nām pratyakṣha kartē haĩ . Isliē bāpdādā sabhī key|kī taraph sē yādpyār dē rahē haĩ .
Amr̥itbēlē 6 bajē bāpdādā nē phir sē murlī chalāī tathā yādpyār dī|the
25-03-85
Āj K|kē din sadā apnē kō double light samajh uṛtī kalā kā anubhav kartē rahnā . Karmayōgī kā part bajātē bhī karma aur yōg kā balance check karnā ki karma aur yād arthāt yōg dōnō̃ hī śhaktiśhālī rahē ? Agar karma śhakti - śālī rahā aur yād cum|kam rahī tō balance nahī̃ . Aur yād śhaktiśhālī rahī aur karma śhaktiśhālī nahī̃ tō bhī balance nahī̃ . Tō karma aur yād kā balance rakhtē rahnā . Sārā din isī śhrēṣhṭh sthiti mē̃ rahnē sē apnī karmātīt avasthā K|kē najdīk ānē kā anubhav karē̃gē . Sārā din karmātīt sthiti vā avyakt phariśhtē svarūp sthiti mē̃ chaltē phirtē rahnā . Aur nīchē key|kī sthiti mē̃ nahī̃ ānā . Āj nīchē nahī̃ ānā , ūpar hī rahnā . Agar kōī kamzōrī sē nīchē ā bhī jāē tō ēk dō kō smr̥iti dilāē samarth banāē sabhī ūñchī sthiti kā anubhav karnā . Yah āj key|kī paṛhāī kā home work hai . Home work jyādā hai , paṛhāī cum|kam hai . Aisē sadā bāp kō follow karnē vālē , sadā bāp samān bannē K|kē lakṣhya kō dhāraṇ kar āgē baṛhnē vālē , uṛtī kalā K|kē anubhavī bachchō̃ kō bāpdādā kā dil va jān , sik va prēm sē yādpyār aur goodmorning .
Praśhna - sadā double light sthiti kā anubhav kaisē karē̃ ?
Uttar-bāp kā bannā arthāt double light bannā . Kyōṅki bāp K|kē bantē hī sab bōjh bāp kō dē diyā . Sadā bāp K|kē hō nā ! Sab kuchh bāp kō dē diyā . Tanaman - dhan-sambandha sab kuchh surrender kar diyā . Phir bōjh kāhē kā ! Abhī yahī yād rakhnā - jab sab kuchh bāp kā hō gayā tō sadā double light ban gayē . Achchhā