सोमवार 10 मार्च 1986 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

10-03-86 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Bēphikr bādśhāh bannē key|kī yukti

Phikar sē phārig karnē vālē bāpdādā bōlē

Āj bāpdādā bēphikar bādśhāhō̃ key|kī sabhā dēkh rahē haĩ . ‘ ‘ yah rājya sabhā sārē kalp mē̃ vichitr sabhā hai . Bādśhāh tō bahut huē haĩ lēkin bēphikar bādśhāh , yah vichitr sabhā is saṅgamyug par hī hōtī hai . Yah bēphikar bādśhāhō̃ key|kī sabhā satyug key|kī rājya sabhā sē bhī śhrēṣhṭh hai . Kyōṅki vahā̃ tō phikar aur phakhur dōnō̃ K|kē antar kā gyān emerge nahī̃ rahtā hai . Phikar śhabda kā mālūm nahī̃ hōtā . Lēkin abhī jabki sārī duniyā kōī na kōī phikar mē̃ hai - savērē sē uṭhtē apnā , parivār kā , kārya vyavahār kā , mitr-sambandhiyō̃ kā kōī na kōī phikar hōgā lēkin āp sabhī amr̥itvēlē sē bēphikar bādśhāh ban din ārambh kartē aur bēphikar bādśhāh ban her|har kārya kartē . Bēphikar bādśhāh ban ārām key|kī nīnd kartē . Sukh key|kī nīnd , śhānti key|kī nīnd kartē hō . Aisē bēphikar bādśhāh ban gayē . Aisē banē hō yā kōī phikar hai  ? Bāp kē ūpar jimmēvārī dē dī tō bēphikar hō gayē . Apnē ūpar jimmēvārī samajhnē sē phikar hōtā hai . Jimmēvārī bāp kī hai aur maĩ nimitt sēvādhārī hū̃ . Maĩ nimitt karmayōgī hū̃ . Karāvanhār bāp hai , nimitt karanhār maĩ hū̃ . Agar yah smr̥iti her|har samay svataḥ hī rahtī hai tō sadā hī bēphikar bādśhāh hai . Agar galatī|galtī sē bhī kisī bhī vyarth bhāv kā apnē ūpar bōjh uṭhā lētē hō tō tāj kē bajāē phikar K|kē anēk ṭōkrē sir par ā jātē haĩ . Nahī̃ tō sadā light K|kē tājdhārī bēphikar bādśhāh hō . Bas bāp aur maĩ , tīsrā na kōī . Yah anubhūti sahaj bēphikar bādśhāh banā dētī hai . Tō tājdhārī hō yā ṭōkarēdhārī hō  ? Ṭōkrā uṭhānā aur tāj pahannā kitnā phark hō gayā . Ēk tājdhārī sāmnē khaṛā karō aur ēk bōjh vālā , ṭōkrē vālā khaṛā karō tō kyā pasand āyēgā  ! Tāj yā ṭōkrā  ? Anēk janmō̃ K|kē anēk bōjh K|kē ṭōkrē tō bāp ākar utār kar halkā banā dētā . Tō bēphikar bādśhāh arthāt sadā double light rahnē vālē , jab tak bādśhāh nahī̃ banē haĩ tab tak yah karmēndriyā̃ bhī apnē vaśh mē̃ nahī̃ rah saktī haĩ . Rājā bantē hō tab hī māyājīt , karmēndriy-jīt , prakr̥iti jīt bantē hō . Tō rājya sabhā mē̃ baiṭhē hō nā  ! Achchhā –

Āj Europe kā turn hai . Europe nē achchhā vistār kiyā hai . Europe nē apnē paṛōs K|kē dēśhō̃ K|kē kalyāṇ kā plan achchhā banāyā hai . Jaisē bāp sadā kalyāṇkārī hai vaisē bachchē bhī bāp samān kalyāṇ key|kī bhāvnā rakhnē vālē haĩ . Abhī kisī kō bhī dēkhē̃gē tō rahm ātā hai nā ki yah bhī bāp K|kē ban jāē̃ . Dēkhō bāpdādā sthāpanā K|kē samay sē lēkar vidēśh K|kē sabhī bachchō̃ kō kisī na kisī rūp sē yād kartē rahē haĩ . Aur bāpdādā key|kī yād sē samay ānē par chārō̃ ōr K|kē bachchē pahũch gayē haĩ . Lēkin bāpdādā nē āhvāhan bahut samay sē kiyā hai . Āhvāhan K|kē kāraṇ āp lōg bhī chumbak kī tarah ākarṣhit hō pahũch gayē hō . Aisē lagtā hai nā ki nāmālūm kaisē ham bāp K|kē ban gayē  ! Ban gayē yah tō achchhā lagtā hī hai , lēkin kyā hō gayā , kaisē hō gayā yah kabhī baiṭhkar sōchō , kahā̃ sē kahā̃ ākar pahũch gayē hō tō sōchnē sē vichitr bhī lagtā hai nā  ! Drama mē̃ nūndh nūndhī huī thī . Drama key|kī nūndh nē sabhī kō kōnē-kōnē sē nikālkar ēk parivār mē̃ pahuñchā diyā . Abhī yahī parivār apnā lagnē K|kē kāraṇ ati pyārā lagtā hai . Bāp pyārē tē pyārā hai tō āp sabhī bhī pyārē ban gayē hō . Āp bhī cum|kam nahī̃ hō . Āp sabhī bhī bāpdādā K|kē saṅg K|kē raṅg mē̃ ati pyārē ban gayē hō . Kisī kō bhī dēkhō tō har ēk , ēk-dō sē pyārā lagtā hai . Har ēk K|kē chēhrē par rūhāniyat kā prabhāv dikhāī dētā hai . Foreigners kō make up karnā achchhā lagtā hai  ! Tō yah phariśhtēpan kā make up karnē kā sthān hai . Yah make up aisā hai jō phariśhtā ban jātē haĩ . Jaisē make up kē bād kōī kaisā bhī hō lēkin badal jātā hai nā . Make up sē bahut sundar lagtā hai . Tō yahā̃ bhī sabhī chamaktē huē phariśhtē lagtē hō . Kyōṅki rūhānī make up kar liyā hai . Us make up mē̃ tō nuksān bhī hōtā hai . Ismē̃ kōī nuksān nahī̃ . Tō sabhī chamaktē huē sarv K|kē snēhī ātmāyē̃ hō nā  ! Yahā̃ snēh K|kē binā aur kuchh hai hī nahī̃ . Uṭhō tō bhī snēh sē good morning kartē , khātē hō tō bhī snēh sē ‘ brahmā bhōjan ’ khātē hō . Chaltē hō tō bhī snēh sē bāp kē sāth , hāth mē hāth milākar chaltē hō . Foreigners kō hāth mē̃ hāth milākar chalnā achchhā lagtā hai nā  ! Tō bāpdādā bhī kahtē haĩ ki sadā bāp kō hāth mē̃ hāth dē , phir chalō . Akēlē nahī̃ chalō . Akēlē chalē̃gē tō kabhī bōr hō jāyēṅgē aur kabhī kiskī najar bhī paṛ jāyēgī . Bāp kē sāth chalē̃gē tō ēk tō kabhī bhī māyā key|kī najar nahī̃ paṛēgī aur dūsrā sāth hōnē K|kē kāraṇ sadā hī khuśhī-khuśhī sē mauj sē khātē chaltē mauj manātē jāyēṅgē . Tō sāthī sabkō pasand hai nā  ! Yā aur kōī chāhiē  ! Aur kōī companion key|kī jarūrat tō nahī̃ hai nā  ! Kabhī thōṛā dil bahlānē kē liē kōī aur chāhiē  ? Dhōkhē dēnē vālē sambandh sē chhūṭ gayē . Usmē̃ dhōkhā bhī hai aur duḥkh bhī hai . Abhī aisē sambandh mē̃ ā gayē jahā̃ na dhōkhā hai , na duḥkh hai . Bach gayē . Sadā kē liē bach gayē . Aisē pakkē hō - kōī kachchē tō nahī̃ . Aisē tō nahī̃ vahā̃ jākar patra likhē̃gē ki kyā karē̃ , kaisē karē̃ , māyā ā gaī .

Europe vālō̃ nē viśhēṣh kaun-sī kamāl kī hai  ? Bāpdādā sadā dēkhtē rahē haĩ ki bāp jō kahtē haĩ ki her|har varṣh bāp kē āgē guldastā lē karkē ānā vah bāp K|kē bōl practical mē̃ lānē kā sabhī nē achchhā attention rakhā hai . Yah umaṅg sadā hī rahā hai aur abhī bhī hai ki her|har varṣh nayē-nayē bichhuṛē huē bāp K|kē bachchē apnē ghar mē̃ pahũchē , apnē parivār mē̃ pahũchē . Tō bāpdādā dēkh rahē haĩ ki Europe nē bhī yah lakṣhya rakh karkē vr̥iddhi achchhī kī hai . Tō bāp K|kē mahāvākyō̃ kō , āgyā kō pālan karnē vālē āgyākārī kahlāyē jātē haĩ . Aur jō āgyākārī bachchē hōtē haĩ unhō̃ par viśhēṣh bāp key|kī āśhīrvād sadā hī rahtī hai . Āgyākārī bachchē svataḥ hī āśhīrvād K|kē pātr ātmāyē̃ hōtē haĩ . Samjhā  ! Kuchh varṣh pahlē kitnē thōṛē thē lēkin her|har sāl vr̥iddhi kō prāpt kartē , baṛē tē baṛā parivār ban gayā . Tō ēk sē dō , dō sē tīn , abhī kitnē centre hō gayē . U|you . K|kē . tō alag baṛā hai hī , connection tō sabkā U|you . K|kē . sē hai hī . Kyōṅki vidēśh kā foundation tō vahī hai . Kitnī bhī śhākhāyē̃ nikal jāē̃ , jhāṛ vistār kō prāpt kartā rahē lēkin connection tō foundation mē̃ hōtā hī hai . Agar foundation sē connection nahī rahē tō phir vistār kō , vr̥iddhi kō kaisē prāpt karē̃ . London mē viśhēṣh ananya ratan kō nimitt banāyā kyōṅki foundation hai nā . Tō sabhī kā connection , direction sahaj milnē sē purūṣhārth aur sēvā dōnō̃ mē̃ sahaj hō jātā hai . Bāpdādā tō hai hī . Bāpdādā K|kē binā tō ēk second bhī nahī̃ chal saktē hō aisā combined hai . Phir bhī sākār rūp mē̃ , sēvā K|kē sādhanō̃ mē̃ , sēvā K|kē prōgrāms-plainsa mē̃ aur sāthasāth apnī svaunnati kē liē bhī kisī kō bhī kōī bhī direction chāhiē tō connection rakhā huā hai . Yah bhī nimitt banāyē huē mādhyam hai . Jissē sahaj hī hal mil sakē̃ . Kaī bār aisē māyā K|kē tūphān ātē haĩ jō buddhi kō clear na hōnē K|kē kāraṇ bāpdādā K|kē direction kō , śhakti kō catch nahī̃ kar saktē haĩ . Aisē time kē liē phir sākār mādhyam nimitt banāyē huē haĩ . Jiskō āp lōg kahtē hō - ‘ dādiyā̃ , dīdiyā̃ . ’ yah nimitt haĩ . Jissē time west|waste na jāvē . Bākī bāpdādā jāntē haĩ ki himmat vālē haĩ . Vahā̃ sē hī nikalkar aur vahā̃ hī sēvā kē nimitt ban gayē haĩ tō charity begins at home kā pāṭh achchhā pakkā kiyā hai , vahā̃ K|kē hī nimitt vr̥iddhi kō prāpt karānā yah bahut achchhā hai . Kalyāṇ key|kī bhāvnā sē āgē baṛh rahē hō tō jahā̃ dr̥iṛh saṅkalp hai vahā̃ saphaltā hai hī . ‘ kuchh bhī hō jāē lēkin sēvā mē̃ saphaltā pānī hī hai ’ - is śhrēṣhṭh saṅkalp nē āj pratyakṣha phal diyā hai . Abhī apnē śhrēṣhṭh parivār kō dēkh viśhēṣh khuśhī hōtī hai aur viśhēṣh pāṇḍav hī teacher haĩ . Śhaktiyā̃ sadā madadgār tō haĩ hī . Pāṇḍavō̃ sē sadā sēvā key|kī viśhēṣh vr̥iddhi kā pratyakṣhaphal miltā hai . Aur sēvā sē bhī jyādā sēvākēndra key|kī rimjhim , sēvākēndra key|kī raunak śhaktiyō̃ sē hōtī hai . Śhaktiyō̃ kā apnā part hai , pāṇḍavō̃ kā apnā part hai . Isliē dōnō̃ āvaśhyak haĩ . Jis centre par śhaktiyā̃ nahī̃ hōtī yā pāṇḍav nahī̃ haĩ tō powerful nahī̃ hōtē . Isliē dōnō̃ hī jarūrī haĩ . Abhī āp lōg jagē hō tō ēk dō sē sahaj hī anēk jagtē jāyēṅgē . Mēhnat aur time tō lagā lēkin abhī achchhī vr̥iddhi kō pā rahē hō . Dr̥iṛh saṅkalp kabhī saphal na hō yah hō nahī̃ saktā . Yah practical proof dēkh rahē haĩ . Agar thōṛā bhī dil-śhikast hō jātē ki yahā̃ tō hōnā hī nahī̃ hai tō apnā thōṛā sā kamzōr saṅkalp sēvā mē̃ bhī phark lē ātā hai . Dr̥iṛhtā kā pānī phal jaldī nikāltā hai . Dr̥iṛhtā hī saphaltā lātī hai .