शुक्रवार 1 दिसंबर 1989 की अव्यक्त मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

0>

101-12-89 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

2Svamān sē hī sammān key|kī prāpti

3Avyakt bāpdādā apnē bachchō̃ prati bōlē

4Āj bāpdādā chārō̃ ōr K|kē svamāndhārī bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ .

5Svamāndhārī bachchō̃ kā hī sārā kalp sammān hōtā hai .

6Ēk janm svamāndhārī , sārā kalp sammāndhārī .

7Apnē rājya mē̃ bhī rājya-adhikārī bannē K|kē kāraṇ prajā dvārā sammān prāpt hōtā hai aur ādhā kalp bhaktō̃ dvārā sammān prāpt kartē hō .

8Ab apnē last janm mē̃ bhī bhaktō̃ dvārā dēv ātmā vā śhakti rūp kā sammān dēkh rahē hō aur sun rahē hō .

9Kitnā sik va prēm sē abhī bhī sammān dē rahē haĩ  !

10Itnā śhrēṣhṭh bhāgya kaisē prāpt kiyā  !

11Mukhya sirph ēk bāt K|kē tyāg kā yah bhāgya hai .

12Kaun-sā tyāg kiyā  ?

13Dēh abhimān kā tyāg kiyā .

14Kyōṅki dēh abhimān K|kē tyāg binā svamān mē̃ sthit hō hī nahī̃ saktē . 15Is tyāg K|kē return mē̃ bhāgyavidhātā bhagvān nē yah bhāgya kā vardān diyā hai . 16Dūsrī bāt - svayã bāp nē āp bachchō̃ kō svamān diyā hai . 17Bāp nē bachchō̃ kō charaṇō̃ K|kē dās vā dāsī sē apnē sir kā tāj banā diyā .

0> > 01-12-89 Om Shanti Avyakt Bapdada Madhuban

18Kitnā baṛā svamān diyā  !

19Aisē svamān prāpt karnē vālē bachchō̃ kā bāp bhī sammān rakhtē haĩ . 20Bāp bachchō̃ kō sadā apnē sē bhī āgē rakhtē haĩ . 21Sadā bachchō̃ K|kē guṇō̃ kā gāyan kartē haĩ . 22Her|har rōj sik va prēm sē yādpyār dēnē kē liē paramdhām sē sākār vatan mē̃ ātē haĩ .

1Today BapDada is seeing the children from all four directions who have self respect, and who are respected throughout the kalpa.

23Vahā̃ sē bhējtē nahī̃ lēkin ākar dētē haĩ .

24Rōj yādpyār miltā hai nā .

25Itnā śhrēṣhṭh sammān aur kōī dē nahī̃ saktā . 26Svayã bāp nē sammān diyā hai , isliē avināśhī sammān adhikārī banē hō . 27Aisē śhrēṣhṭh bhāgya kō anubhav kartē hō  ? 28Svamān aur sammān - dōnō̃ kā āpas mē̃ sambandh hai .

2Because you claim the authority of your kingdom, you receive respect from the subjects, and for half a kalpa you receive respect through bhakti.

29Svamāndhārī apnē prāpt huē svamān mē̃ rahtē huē svamān K|kē sammān mē̃ bhī rahtā aur dūsrō̃ kō bhī sammān sē dēkhtā , bōltā vā samparka mē̃ ātā hai . 30Svasammān kā arth|earth hī hai sva kō sammān dēnā . 31Jaisē bāp viśhva key|kī sarv ātmāō̃ dvārā sammān prāpt karnē vālē haĩ , har ēk sammān dētē . 32Lēkin jitnā hī bāp kō sammān miltā hai utnā hī sab bachchō̃ kō sammān dētē haĩ .

3You claim that fortune primarily by renouncing the body - you cannot stabilise yourself in the stage of soul consciousness without renouncing body consciousness.

33Jō dētā nahī̃ hai tō dēvtā bantā nahī̃ . 34Anēk janm dēvtā bantē hō aur anēk janm dēvtā rūp kā hī pūjan hōtā hai . 35Ēk janm brāhmaṇ bantē hō lēkin anēk janm dēvtā rūp mē̃ rājya kartē vā pūjya bantē hō . 36Dēvtā arthāt dēnē vālā .

4The Father himself has given you children respect - Baba has made you from maids and servants of the feet onto the crown of his forehead.

37Agar is janm mē̃ sammān nahī̃ diyā tō dēvtā kaisē banē̃gē , anēk janmō̃ mē̃ sammān kaisē prāpt karē̃gē  ?

38Follow father  ?

39Sākār svarūp brahmā bāp kō dēkhā - sadā svayã kō world servant ( viśhva-sēvādhārī ) kahlāyā , bachchō̃ kā servant kahlāyā aur bachchō̃ kō mālik banāyā .

40Sadā mālēkam salām kiyā .

41Sadā chhōṭē bachchō̃ kō bhī sammān kā snēh diyā , hōvanhār viśhva-kalyāṇakārī rūp sē dēkhā . 42Kumāriyō̃ vā kumār kō , yuvā sthiti vālō̃ kō sadā viśhva key|kī nāmīgrāmī mahān ātmāō̃ kō challenge karnē vālē , asambhav kō sambhav karnē vālē , mahātmāō̃ K|kē sir jhukānē vālē - aisē pavitra ātmāō̃ kō sammān sē dēkhā . 43Sadā apnē sē bhī kamāl karnē vālē mahān ātmā samajh sammān diyā nā  ! 44Aisē hī bujurg - ātmāō̃ kō sadā anubhavī ātmā , hamjins ātmā kō sammān sē dēkhā .

5Those who claim such great self respect are respected by others.

45Bāndhēlē yā bāndhēliyō̃ kō nirantar yād mē̃ number one K|kē sammān sē dēkhā . 46Isliē number one avināśhī sammān K|kē adhikārī banē . 47Rājya sammān mē̃ bhī number one - viśhva-mahārājan aur pūjya rūp mē̃ bhī bāp key|kī pūjā kē bād pahlē pūjya - lakṣhmī-nārāyaṇ hī bantē haĩ . 48Tō rājya sammān aur pūjya sammān - dōnō̃ mē̃ number one hō gayē .

6Baba always keeps the children ahead of him - he sings praise of their virtues.

49Kyōṅki sarv kō svamān , sammān diyā .

50Aisē nahī̃ sōchā - sammān dēvē tō sammān dū̃ .

51Sammān dēnē vālē nindak kō bhī apnā mitr samajhtē .

52Sirph sammān dēnē vālē kō apnā nahī̃ samajhtē lēkin gālī dēnē vālē kō bhī apnā samajhtē . 53Kyōṅki sārī duniyā hī apnā parivār hai . 54Sarv ātmāō̃ kā tanā āp brāhmaṇ hō . 55Yah sārī śhākhāē̃ arthāt bhinn-bhinn dharm key|kī ātmāē̃ bhī mūl tanā sē nikalī haĩ .

7He comes into the corporeal region from paramdham every day - to give you love and remembrances.

56Tō sabhī apnē huē nā .

57Aisē svamāndhārī sadā apnē kō master rachayitā samajh sarv kō sammān-dātā bantē haĩ . 58Sadā apnē kō ādi dēv brahmā K|kē ādi ratna , ādi pārṭdhārī ātmāē̃ samajhtē hō  ? 59Itnā naśhā hai  ? 60Tō sabhī nē sunā - bachchō̃ kā sammān kyā hai , būṛhō̃ kā sammān kyā hai , yuvā kā kyā hai  ?

8To have self respect means to have respect for others, and to have the respect of others.

61Ādi pitā brahmā nē hamkō aisē sammān sē dēkhā .

62Kitnā naśhā hōgā  !

63Tō sadā yah smr̥iti rakhō ki ādi ātmā nē jis śhrēṣhṭh dr̥iṣhṭi sē dēkhā , aisī hī śhrēṣhṭh sthiti key|kī sr̥iṣhṭi mē̃ rahē̃gē .

64Aisē apnē sē vāydā karō .

65Vāydē tō kartē rahtē hō nā  !

66Bōl sē bhī vāydā kartē hō , man sē bhī kartē hō aur likhkar bhī kartē hō aur phir bhūl bhī jātē hō . 67Isliē vāydē kā phāydā nahī̃ uṭhā pātē . 68Yād rakhō tō phāydā bhī uṭhāō . 69Sabhī apnē kō check karō - kitnē bār vāydā kiyā hai aur nibhāyā kitnē bār hai  ?

9Baba receives the respect of all the souls of the entire world, and the more he receives the more he gives to all the children.

70Nibhānā ātā hai vā sirph vāydā karnā ātā hai  ?

71Vā badaltē rahtē hō - kabhī vāydā karnē vālē , kabhī nibhānē vālē  ?

72Teachers kyā samajhtī haĩ  ?

73Nibhānē vālō̃ key|kī list mē̃ hō nā .

74Teachers kō bāpdādā sadā sāthī śhikṣhak kahtē haĩ .

75Tō sāthī key|kī viśhēṣhtā kyā hōtī hai  ?

76Sāthī samān hōtā hai .

77Bāp kabhī badaltā hai kyā  ?

78Teachers bhī vāydā aur phāydā - dōnō̃ kā balance rakhnē vālī haĩ . 79Vāydē bahut aur phāydā kam hō - yah balance nahī̃ hōtā . 80Jō dōnō̃ kā balance rakhtē haĩ uskō vardātā bāp dvārā yah vardān vā blessing miltī hai . 81Vah sadā dr̥iṛh saṅkalp sē karma mē̃ saphaltāmūrt bantē haĩ .

10One who does not give does not become a deity.

82Sāthī śhikṣhak kā yahī viśhēṣh karma hai .

83Saṅkalp aur karma samān hō̃ .

84Saṅkalp śhrēṣhṭh aur karma sādhāraṇ hō jāē - iskō samāntā nahī̃ kahē̃gē .

85Tō sadā teachers apnē kō ‘ ‘ sāthī śhikṣhak ' ' arthāt ‘ ‘ śhikṣhak bāp samān ' ' - is smr̥iti mē̃ samarth ban chalō . 86Bāpdādā kō teachers key|kī himmat par khuśhī hōtī hai . 87Himmat rakh sēvā kē nimitt tō ban gayē haĩ nā . 88Lēkin abhī sadā yah slōgan yād rakhō - ‘ ‘ himmatē teacher , samān śhikṣhak bāp ' ' .

11You saw Brahma Baba in the sakkar form - he always saw the children in their future form of world benefactors.

89Yah kabhī nahī̃ bhūlnā .

90Tō svataḥ hī samān bannē vālā lakṣhya - ‘ ‘ bāpdādā ' ' āpkē sāmnē rahēgā arthāt sāth rahēgā . 91Achchhā  ! 92Chārō̃ ōr K|kē svamāndhārī sō sammāndhārī bachchō̃ kō bāpdādā nayanō̃ K|kē sammukh dēkhtē huē sammān key|kī dr̥iṣhṭi sē yādpyār dē rahē haĩ . 93Sadā rāj-sammān aur pūjy-sammān K|kē samān sāthī bachchō̃ kō yādpyār aur namastē .

12He saw the kumaris, the kumars, and the youth as the ones who are to challenge the great souls of the world.

94Bihār group  :

951 . sabhī apnē kō svarājya adhikārī samajhtē hō  ?

96Sva kā rājya milā hai yā milnē vālā hai  ?

97Svarājya arthāt jab chāhō , jaisē chāhō vaisē karmēndriyō̃ dvārā karma karā sakō . 98Karmēndriy-jīt arthāt svarājya adhikārī . 99Aisē adhikārī banē hō yā kabhī-kabhī karmēndriyā̃ āpkō chalātī haĩ  ? 100Kabhī man āpkō chalātā hai yā āp man kō chalātē hō  ?

13He saw them with respect as pure souls.

101Kabhī man vyarth saṅkalp kartā hai yā nahī̃ kartā hai  ?

102Agar kabhī-kabhī kartā hai tō us samay svarājya adhikārī kahē̃gē  ?

103Rājya bahut baṛī sattā hai .

104Rājya sattā chāhē jō kar saktī hai , jaisē chalānē chāhē vaisē chalā saktī hai .

105Yah man-buddhisãskār ātmā key|kī śhaktiyā̃ haĩ .

106Ātmā in tīnō̃ key|kī mālik hai .

107Yadi kabhī saṅskār apnē taraph khīñch lē̃ tō mālik kahē̃gē  ?

108Tō svarājy-sattā arthāt karmēndriy-jīt .

109Jō karmēndriy-jīt hai vahī viśhva key|kī rājy-sattā prāpt kar saktā hai .

110Svarājya adhikārī viśhva-rājya adhikārī bantā hai . 111Tō āp brāhmaṇ ātmāō̃ kā hī slōgan hai ki ‘ svarājya brāhmaṇ jīvan kā janma-siddh adhikār hai . 112' svarājya adhikārī key|kī sthiti sadā master sarvśhaktivān hai , kōī bhī śhakti key|kī kamī nahī̃ . 113Svarājya adhikārī sadā dharm arthāt dhāraṇāmūrta bhī hōgā aur rājya arthāt śhaktiśhālī bhī hōgā .

14He always considered them to be great souls, who would perform miracles even more so than he would.

114Abhī rājya mē̃ halchal kyō̃ hai  ?

115Kyōṅki dharm-sattā alag hō gaī hai aur rājyasattā alag hō gaī hai .

116Tō laṅgṛā hō gayā nā  !

117Ēk sattā huī nā .

118Isliē halchal hai .

119Aisē āp mē̃ bhī agar dharm aur rājya - dōnō̃ sattā nahī̃ haĩ tō vighna āyēṅgē , halchal mē̃ lāyēṅgē , yuddha karnī paṛēgī . 120Aur dōnō̃ hī sattā haĩ tō sadā hī bēparvāh bādśhāh rahē̃gē , kōī vighna ā nahī̃ saktā . 121Tō aisē bēparvāh bādśhāh banē hō  ? 122Yā thōṛī-thōṛī śharīr key|kī , sambandh key|kī … parvāh rahtī hai  ?

15In the same way he gave respect to the mature ones as experienced souls, those who were the same as he was.

123Pāṇḍavō̃ kō kamānē key|kī parvāh rahtī hai .

124Parivār kō chalānē key|kī parvāh rahtī hai yā bēparvāh rahtē haĩ  ? 125Chalānē vālā chalā rahā hai , karānē vālā karā rahā hai - aisē nimitt ban kar karnē vālē bēparvāh bādśhāh hōtē haĩ . 126‘ ‘ maĩ kar rahā hū̃ ' ' - yah bhān āyā tō bēparvāh nahī̃ rah saktē . 127Lēkin ‘ ‘ bāp dvārā nimitt banā huā hū̃ ' ' - yah smr̥iti rahē tō bēphikar vā niśhchint jīvan anubhav karē̃gē .

16In their worship worthy form of the world emperors, Lakshmi and Narayan are the first to be worshipped after the worship of Baba.

128Kōī chintā nahī̃ .

129Kal kyā hōgā - uskī bhī chintā nahī̃ .

130Kabhī yah thōṛī-sī chintā rahtī hai ki kal kyā hōgā , kaisē hōgā  ?

131Patā nahī̃ vināśh kab hōgā , kyā hōgā  ?

132Bachchō̃ kā kyā hōgā  ?

133Pōtrō̃-dhōtrō̃ kā kyā hōgā - yah chintā rahtī hai  ?

134Bēparvāh bādśhāh kō sadā hī yah niśhchay rahtā hai ki - jō hō rahā hai vah achchhā , aur jō hōnē vālā hai vah aur bhī bahut achchhā hōgā .

135Kyōṅki karānē vālā acchē-tē-acchā hai nā  !

136Iskō kahtē haĩ - niśhchaybuddhi vijayī .

137Aisē banē hō yā sōch rahē hō  ?

138Bannā tō hai hī nā  !

139Itnī baṛī rājāī mil jāē tō sōchnē key|kī kyā bāt hai  ?

140Apnā adhikār kōī chhōṛtā hai  ?

141Jhōmpaṛī vālē bhī hōṅgē , thōṛī-sī milkiyat bhī hōgī - tō bhī nahī̃ chhōṛē̃gē . 142Yah tō kitnī baṛī prāpti hai  ! 143Tō mērā adhikār hai - is smr̥iti sē sadā adhikārī banē uṛtē chalō . 144Yahī vardān yād rakhnā ki - ‘ ‘ svarājya hamārā janma-siddh adhikār hai .

17He became number one in both receiving respect from the kingdom and in being worshipped, because he gave self respect and respect to everyone.

145' ' mēhnat karkē pānē vālē nahī̃ , adhikār hai .

146Achchhā  !

147Bihār mānā sadā bahār rahnē vālē .

148Patajhaṛ mē̃ nahī̃ jānā .

149Kabhī ā̃dhī-tūphān na āyē , sadā bahār .

150Achchhā  !

1512 . apnē kō rūhānī dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi kō badalnē vālā anubhav kartē hō  ?

152Suntē thē ki dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi badal jātī hai lēkin abhī anubhavī ban gayē .

153Rūhānī dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi badal gaī nā  !

154Abhī āpkē liē bāp saṅsār hai , tō sr̥iṣhṭi badal gaī .

155Pahlē key|kī sr̥iṣhṭi arthāt saṅsār aur abhī K|kē saṅsār mē̃ phark hō gayā nā  ! 156Pahlē saṅsār mē̃ buddhi bhaṭaktī thī aur abhī bāp hī saṅsār hō gayā . 157Tō buddhi kā bhaṭaknā band hō gayā , ēkāgr hō gaī . 158Kyōṅki pahlē key|kī jīvan mē̃ , kabhī dēh K|kē sambandh mē̃ , kabhī dēh K|kē padārtha mē̃ - anēkō̃ mē̃ buddhi jātī thī .

18He did not think that he would give them respect only if they gave him respect.

159Abhī yah sab badal gayā .

160Abhī dēh yād rahtī yā dēhī  ?

161Agar dēh mē̃ kabhī buddhi jātī hai tō wrong samajhtē hō nā  !

162Phir badal lētē hō , dēh K|kē bajāy apnē kō dēhī samajhnē kā abhyās kartē hō .

163Tō saṅsār badal gayā nā  !

164Svayã bhī badal gayē .

165Bāp hī saṅsār hai yā abhī saṅsār mē̃ kuchh rahā huā hai  ?

166Vināśhī dhan yā vināśhī sambandh K|kē taraph buddhi tō nahī̃ jātī  ?

167Abhī mērā rahā hī nahī̃ .

168‘ ‘ mērē pās|pass bahut dhan hai ' ' - yah saṅkalp yā svapn mē̃ bhī nahī̃ hōgā kyōṅki sab bāp K|kē havālē kar diyā .

169Mērē kō tērā banā liyā nā  !

170Yā mērā , mērā hī hai aur bāp kā bhī mērā hai .

171Aisē tō nahī̃ samajhtē  ?

172Yah vināśhī tan-dhan , purānā man , mērā nahī̃ , bāp kō dē diyā .

173Pahlā-pahlā parivartan hōnē kā saṅkalp hī yah kiyā ki sab kuchh tērā aur tērā kahnē sē hī phāydā hai . 174Ismē̃ bāp kā phāydā nahī̃ hai , āpkā phāydā hai . 175Kyōṅki mērā kahnē sē phãstē hō , tērā kahnē sē nyārē hō jātē hō . 176Mērā kahnē sē bōjh vālē ban jātē hō aur tērā kahnē sē double light ‘ ‘ trustee ' ' ban jātē hō .

19One who gives respect considers anyone that insults or defames him to be his friend.

177Tō kyā achchhā hai - halkā bannā achchhā hai yā bhārī bannā achchhā hai  ?

178Ājkal K|kē jamānē mē̃ śharīr sē bhī kōī bhārī hōtā tō achchhā nahī̃ lagtā . 179Sabhī apnē kō halkā karnē kā prayatna kartē haĩ . 180Kyōṅki bhārī hōnā mānā nuksān hai aur halkā hōnē sē phāydā hai . 181Aisē hī mērā-mērā kahnē sē buddhi par bōjh paṛ jātā hai , tērā-tērā kahnē sē buddhi halkī ban jātī hai .

20The entire world is your family.

182Jab tak halkē nahī̃ banē tab tak ūñchī sthiti tak pahũch nahī̃ saktē .

183Uṛtī kalā hī ānand key|kī anubhūti karānē vālī hai .

184Halkā rahnē mē̃ hī majā hai .

185Achchhā  !

186Jab bāp milā tō māyā uskē āgē kyā hai  ?

187Māyā hai rūlānē vālī aur bāp hai varsā dēnē vālā , prāpti karānē vālā .

188Sārē kalp mē̃ aisī prāpti karānē vālā bāp mil nahī̃ saktā  ! 189Svarg mē̃ bhī nahī̃ milēgā . 190Tō ēk second bhī bhūlnā nahī̃ chāhiē . 191Had key|kī prāpti karānē vālā bhī nahī̃ bhūltā hai tō bēhad key|kī prāpti karānē vālā bhūl kaisē saktā  !

21You Brahmins are the roots of all souls - all the branches, all the souls of different religions, have emerged from you, the roots.

192Tō sadā yahī yād rakhnā ki trustee haĩ .

193Kabhī bhī apnē ūpar bōjh nahī̃ rakhnā .

194Issē sadā hanstē , gātē , uṛtē rahē̃gē .

195Jīvan mē̃ aur kyā chāhiē  !

196Hãsnā , gānā aur uṛnā .

197Jab prāpti hōgī tab tō hãsēṅgē nā .

198Nahī̃ tō rōyēṅgē .

199Tō yah vardān smr̥iti mē̃ rakhnā ki ham hãsatē-gātē aur uṛnē vālē haĩ , sadā hī bāp K|kē saṅsār mē̃ rahnē vālē haĩ .

200Aur kuchh hai hī nahī̃ jahā̃ buddhi jāē .

201Svapn mē̃ bhī rōnā nahī̃ .

202Māyā rūlāē tō bhī nahī̃ rōnā .

203Man kā bhī rōnā hōtā hai , sirph ā̃khō̃ kā rōnā hī nahī̃ hōtā .

204Tō māyā rūlātī hai , bāp hãsātē haĩ .

205Sadā bihār mānā khuśh rahnē vālē - khuśhbahār .

206Aur baṅgāl mānā sadā mīṭhā rahnē vālē .

207Baṅgāl mē̃ miṭhāiyā̃ achchhī hōtī haĩ nā , bahut variety hōtī hai .

208Tō jahā̃ madhurtā hai vahā̃ hī pavitratā hai .

209Binā pavitratā K|kē madhurtā ā nahī̃ saktī .

210Tō sadā madhur rahnē vālē aur sadā khuśhbahār rahnē vālē .

211Achchhā  !

212Teachers bhī khuśhbahār kō dēkh karkē sadā-bahār hī rahtī haĩ nā .

213Achchhā  !

214Dillī zone  : dillī kō bāpdādā ‘ ‘ dil ' ' kahtē haĩ .

215Nām hai dillī arthāt dil lī .

216Bāp nē ākar dil lī aur āpnē ākar kyā kiyā  ?

217Bāp kō dil mē̃ biṭhā diyā .

218Dil mē̃ aur tō kōī nahī̃ hai nā  !

219Na vyakti , na vastu .

220Kōī vastu bhī ākarṣhit kartī hai tō vah bhī dil mē̃ biṭhāyā nā  !

221Vastu kē pīchhē bhī agar dil lag gaī tō bāp bhūl jāyēgā nā  !

222Bāp kō bhūlā tō māyā kā lagā bam gōlā .

223Bamba ( ̃das̃ gōlā ) lagnē sē kitnā nuksān hō jātā hai  !

224Tō yah bhī bamba lagtā hai tō bahut nuksān kar dētā hai .

225Dil hai hī bāp kē liē tō dūsrā kaisē ā saktā hai  ?

226Jō āsan jiskā hōgā , vahī baiṭhēgā nā  !

227Abhī prime minister key|kī seat par jō fix hōgā vahī baiṭhēgā .

228Tō dil hai dilārām kē liē .

229Ēk hī kām milā hai - bāp kō yād karō , bas .

230Jiskē dil mē̃ bāp hai vah sadā hī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' K|kē gīt gātā hai aur bāp nahī̃ tō ‘ ‘ hāyahā ya ' ' K|kē gīt gātā hai . 231Duniyā vālē ‘ ‘ hāy-hāy ' ' kartē aur āp ‘ ‘ vāh-vāh ' ' kartē . 232Svayã bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' hō gayē , bāp bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' aur drama mē̃ jō kuchh chal rahā hai vah bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' . 233Tō sadā ‘ ‘ vāh-vāh ' ' K|kē gīt gānē vālē hō yā kabhī ‘ ‘ hāy-hāy ' ' bhī kar dētē hō  !

22So everyone should belong to you.

234Man sē bhī , svapn mē̃ bhī kabhī ‘ ‘ hāy ' ' nahī̃ nikal saktī .

235‘ ‘ hāy ' ' kyā hō gayā  !

236Yah kabhī kahtē hō  ?

237Jō huā vah bhī vāh , jō hō rahā hai vah bhī ‘ ‘ vāh ' ' , jō hōnā hai vah bhī ‘ ‘ vāh .

238' ' tīnō̃ hī kāl - ‘ vāh-vāh ' hai .

239Ēk kāl bhī kharāb nahī̃ hō saktā .

240Kyōṅki bāp bhī acchē-tē - achchhā , saṅgamyug bhī sabsē achchhā aur jō prāpti hai vah bhī acchētē - achchhī aur bhaviṣhya jō prāpt hōnā hai vah bhī acchē-tē-acchā . 241Sab achchhā hōnā hai tō ‘ vāh-vāh ' K|kē gīt gātē rahō . 242Jahā̃ sab achchhā lagēgā vahā̃ ichchhā nahī̃ hōgī . 243Agar ichchhā hōtī hai tō achchhā nahī̃ hōtā aur achchhā hōtā hai tō ichchhā nahī̃ hōtī .

23Those with self respect always consider themselves to be master creators, and they give respect to others.

244Kyōṅki achchhā tab kahē̃gē jab sab prāpt hō .

245Jab aprāpti hōtī hai tab ichchhā hōtī hai .

246Tō kōī aprāpti hai  ?

247Mātāō̃ kō gahnē chāhiē  ?

248Sōnā chāhiē  ?

249Pāṇḍavō̃ kō lākh vā padma chāhiē  ?

250Krōṛ chāhiē  ?

251Nahī̃ chāhiē  ?

252Kyōṅki ab K|kē karōṛpati bannā arthāt sadā K|kē krōṛ ganvānā .

253Abhī kyā karē̃gē  ?

254Yah jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā - jhūṭhā kyā karē̃gē  !

255Śharīr nirvāh kē liē , dāl-rōṭī kē liē tō bahut mil rahā hai aur miltā rahēgā .

256Bāki kyā chāhiē  ?

257Lottery vagairah chāhiē  ?

258Kaī bachchē samajhtē haĩ lottery āyēgī tō yagya mē̃ lagā dēgē .

259Lēkin aisā paisā yagya mē̃ nahī̃ lagtā .

260Hōtī apnī ichchhā hai lēkin kahtē haĩ lottery āyēgī tō sēvā karē̃gē  ! 261Abhī tō sachchī kamāī jamā kar rahē hō , isliē - ‘ ichchhā mātram avidyā . 262' kyōṅki ichchhā mē̃ agar gayē tō ichchhā kē pīchhē bhāgnā aisē hī hai jaisē mr̥igatr̥iṣhṇā . 263Tō ichchhā samāpt hō gaī , achchhē ban gayē  !

24BapDada is seeing in front of him the elevated children who have self respect and who receive respect.

264Jab rachayitā hī āpkā hō gayā tō rachnā kyā karē̃gē  !

265Bēhad kē āgē had kyā lagtī hai  ?

266Kuchh bhī nahī̃ hai .

267Had mē̃ phans gayē tō bēhad gayā .

268Dillī vālō̃ kō tō naśhā chāhiē - dillī mē̃ jamunā K|kē kinārē mahal banē̃gē  !

269Tō sirph mahal dēkhnē vālē banē̃gē yā mahal mē̃ rahnē vālē  ?

270Sabhī rājya karē̃gē yā dēkhē̃gē  ?

271Achchhā  !

272Bāp milā sab-kuchh milā .

273Yād aur sēvā K|kē sivāy aur kōī kārya hai hī nahī̃ .

274Agar daphtar mē̃ jātē hō , business kartē hō - tō bhī sēvā kē liē . 275Is lakṣhya sē kahī̃ bhī jāyēṅgē tō sēvā hōgī . 276Agar yah samajh kar jāyēṅgē ki duty bajānē jā rahā hū̃ , jānā hī hai - tō sēvā nahī̃ hōgī . 277Kām karkē lauṭ āyēṅgē lēkin sēvā nahī̃ kar sakē̃gē .

25With his drishti of respect he is giving love, remembrances and namaste to the children who are his companions, those who constantly receive respect from the kingdom and are worthy of worship.

278Sēvā kē nimitt yah kar rahā hū̃ - tō sēvā āpkē pās|pass svataḥ hī āyēgī aur jitnī sēvā karē̃gē utnī aur ‘ khuśhī ' baṛhtī jāyēgī .

279Bhaviṣhya tō hai hī lēkin pratyakṣhaphal ' ' khuśhī ’ ’ miltī hai .

280Tō phal khāō , mēhnat nahī̃ karō .

281Sēvā yād nahī̃ rahēgī tō mēhnat karnī paṛēgī .

282Khālī buddhi rahnā arthāt māyā kā āhvān karnā aur buddhi kō yād aur sēvā mē̃ busy rakhā tō sadā hī phal khātē rahē̃gē .

283Achchhā  !

284Dillī vālō̃ kō bāpdādā viśhēṣh sahyōg dētē haĩ , kyō̃  ?

285Kyōṅki samay par sahyōgī pahlē dillī nivāsī banē haĩ .

286Jab yagya mē̃ āvaśyaktā thī tab sahyōgī banē̃ .

287Tō jō samay par sahyōgī bantā hai uskō automatically viśhēṣh sahyōg miltā hai . 288Dillī nivāsiyō̃ kō yah viśhēṣh lift hai . 289Sthāpanā mē̃ sahyōg kē nimitt dillī banī hai , usmē̃ bhī viśhēṣh mātāyē̃ . 290Tō bāpdādā kiskā rakhtā nahī̃ hai , abhī hī dētā hai .

26* * * O MS H A N T I * * *

291Ēk kā padmaguṇā karkē dē dētā hai .

292Tō extra lift huī nā .

293Jab sthāpanā mē̃ pahlā number banē tō rājya mē̃ bhī pahlā number banē̃gē .

294Samjhā  ?

295Achchhā  !