शुक्रवार 1 दिसंबर 1989 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

01-12-89 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Svamān sē hī sammān key|kī prāpti

Avyakt bāpdādā apnē bachchō̃ prati bōlē

Āj bāpdādā chārō̃ ōr K|kē svamāndhārī bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ . Svamāndhārī bachchō̃ kā hī sārā kalp sammān hōtā hai . Ēk janm svamāndhārī , sārā kalp sammāndhārī . Apnē rājya mē̃ bhī rājya-adhikārī bannē K|kē kāraṇ prajā dvārā sammān prāpt hōtā hai aur ādhā kalp bhaktō̃ dvārā sammān prāpt kartē hō . Ab apnē last janm mē̃ bhī bhaktō̃ dvārā dēv ātmā vā śhakti rūp kā sammān dēkh rahē hō aur sun rahē hō . Kitnā sik va prēm sē abhī bhī sammān dē rahē haĩ  ! Itnā śhrēṣhṭh bhāgya kaisē prāpt kiyā  ! Mukhya sirph ēk bāt K|kē tyāg kā yah bhāgya hai . Kaun-sā tyāg kiyā  ? Dēh abhimān kā tyāg kiyā . Kyōṅki dēh abhimān K|kē tyāg binā svamān mē̃ sthit hō hī nahī̃ saktē . Is tyāg K|kē return mē̃ bhāgyavidhātā bhagvān nē yah bhāgya kā vardān diyā hai . Dūsrī bāt - svayã bāp nē āp bachchō̃ kō svamān diyā hai . Bāp nē bachchō̃ kō charaṇō̃ K|kē dās vā dāsī sē apnē sir kā tāj banā diyā . Kitnā baṛā svamān diyā  ! Aisē svamān prāpt karnē vālē bachchō̃ kā bāp bhī sammān rakhtē haĩ . Bāp bachchō̃ kō sadā apnē sē bhī āgē rakhtē haĩ . Sadā bachchō̃ K|kē guṇō̃ kā gāyan kartē haĩ . Her|har rōj sik va prēm sē yādpyār dēnē kē liē paramdhām sē sākār vatan mē̃ ātē haĩ . Vahā̃ sē bhējtē nahī̃ lēkin ākar dētē haĩ . Rōj yādpyār miltā hai nā . Itnā śhrēṣhṭh sammān aur kōī dē nahī̃ saktā . Svayã bāp nē sammān diyā hai , isliē avināśhī sammān adhikārī banē hō . Aisē śhrēṣhṭh bhāgya kō anubhav kartē hō  ? Svamān aur sammān - dōnō̃ kā āpas mē̃ sambandh hai .

Svamāndhārī apnē prāpt huē svamān mē̃ rahtē huē svamān K|kē sammān mē̃ bhī rahtā aur dūsrō̃ kō bhī sammān sē dēkhtā , bōltā vā samparka mē̃ ātā hai . Svasammān kā arth|earth hī hai sva kō sammān dēnā . Jaisē bāp viśhva key|kī sarv ātmāō̃ dvārā sammān prāpt karnē vālē haĩ , har ēk sammān dētē . Lēkin jitnā hī bāp kō sammān miltā hai utnā hī sab bachchō̃ kō sammān dētē haĩ . Jō dētā nahī̃ hai tō dēvtā bantā nahī̃ . Anēk janm dēvtā bantē hō aur anēk janm dēvtā rūp kā hī pūjan hōtā hai . Ēk janm brāhmaṇ bantē hō lēkin anēk janm dēvtā rūp mē̃ rājya kartē vā pūjya bantē hō . Dēvtā arthāt dēnē vālā . Agar is janm mē̃ sammān nahī̃ diyā tō dēvtā kaisē banē̃gē , anēk janmō̃ mē̃ sammān kaisē prāpt karē̃gē  ? Follow father  ? Sākār svarūp brahmā bāp kō dēkhā - sadā svayã kō world servant ( viśhva-sēvādhārī ) kahlāyā , bachchō̃ kā servant kahlāyā aur bachchō̃ kō mālik banāyā . Sadā mālēkam salām kiyā . Sadā chhōṭē bachchō̃ kō bhī sammān kā snēh diyā , hōvanhār viśhva-kalyāṇakārī rūp sē dēkhā . Kumāriyō̃ vā kumār kō , yuvā sthiti vālō̃ kō sadā viśhva key|kī nāmīgrāmī mahān ātmāō̃ kō challenge karnē vālē , asambhav kō sambhav karnē vālē , mahātmāō̃ K|kē sir jhukānē vālē - aisē pavitra ātmāō̃ kō sammān sē dēkhā . Sadā apnē sē bhī kamāl karnē vālē mahān ātmā samajh sammān diyā nā  ! Aisē hī bujurg - ātmāō̃ kō sadā anubhavī ātmā , hamjins ātmā kō sammān sē dēkhā . Bāndhēlē yā bāndhēliyō̃ kō nirantar yād mē̃ number one K|kē sammān sē dēkhā . Isliē number one avināśhī sammān K|kē adhikārī banē . Rājya sammān mē̃ bhī number one - viśhva-mahārājan aur pūjya rūp mē̃ bhī bāp key|kī pūjā kē bād pahlē pūjya - lakṣhmī-nārāyaṇ hī bantē haĩ . Tō rājya sammān aur pūjya sammān - dōnō̃ mē̃ number one hō gayē . Kyōṅki sarv kō svamān , sammān diyā . Aisē nahī̃ sōchā - sammān dēvē tō sammān dū̃ . Sammān dēnē vālē nindak kō bhī apnā mitr samajhtē . Sirph sammān dēnē vālē kō apnā nahī̃ samajhtē lēkin gālī dēnē vālē kō bhī apnā samajhtē . Kyōṅki sārī duniyā hī apnā parivār hai . Sarv ātmāō̃ kā tanā āp brāhmaṇ hō . Yah sārī śhākhāē̃ arthāt bhinn-bhinn dharm key|kī ātmāē̃ bhī mūl tanā sē nikalī haĩ . Tō sabhī apnē huē nā . Aisē svamāndhārī sadā apnē kō master rachayitā samajh sarv kō sammān-dātā bantē haĩ . Sadā apnē kō ādi dēv brahmā K|kē ādi ratna , ādi pārṭdhārī ātmāē̃ samajhtē hō  ? Itnā naśhā hai  ?

Tō sabhī nē sunā - bachchō̃ kā sammān kyā hai , būṛhō̃ kā sammān kyā hai , yuvā kā kyā hai  ? Ādi pitā brahmā nē hamkō aisē sammān sē dēkhā . Kitnā naśhā hōgā  ! Tō sadā yah smr̥iti rakhō ki ādi ātmā nē jis śhrēṣhṭh dr̥iṣhṭi sē dēkhā , aisī hī śhrēṣhṭh sthiti key|kī sr̥iṣhṭi mē̃ rahē̃gē . Aisē apnē sē vāydā karō . Vāydē tō kartē rahtē hō nā  ! Bōl sē bhī vāydā kartē hō , man sē bhī kartē hō aur likhkar bhī kartē hō aur phir bhūl bhī jātē hō . Isliē vāydē kā phāydā nahī̃ uṭhā pātē . Yād rakhō tō phāydā bhī uṭhāō . Sabhī apnē kō check karō - kitnē bār vāydā kiyā hai aur nibhāyā kitnē bār hai  ? Nibhānā ātā hai vā sirph vāydā karnā ātā hai  ? Vā badaltē rahtē hō - kabhī vāydā karnē vālē , kabhī nibhānē vālē  ?

Teachers kyā samajhtī haĩ  ? Nibhānē vālō̃ key|kī list mē̃ hō nā . Teachers kō bāpdādā sadā sāthī śhikṣhak kahtē haĩ . Tō sāthī key|kī viśhēṣhtā kyā hōtī hai  ? Sāthī samān hōtā hai . Bāp kabhī badaltā hai kyā  ? Teachers bhī vāydā aur phāydā - dōnō̃ kā balance rakhnē vālī haĩ . Vāydē bahut aur phāydā kam hō - yah balance nahī̃ hōtā . Jō dōnō̃ kā balance rakhtē haĩ uskō vardātā bāp dvārā yah vardān vā blessing miltī hai . Vah sadā dr̥iṛh saṅkalp sē karma mē̃ saphaltāmūrt bantē haĩ . Sāthī śhikṣhak kā yahī viśhēṣh karma hai . Saṅkalp aur karma samān hō̃ . Saṅkalp śhrēṣhṭh aur karma sādhāraṇ hō jāē - iskō samāntā nahī̃ kahē̃gē . Tō sadā teachers apnē kō ‘ ‘ sāthī śhikṣhak ' ' arthāt ‘ ‘ śhikṣhak bāp samān ' ' - is smr̥iti mē̃ samarth ban chalō . Bāpdādā kō teachers key|kī himmat par khuśhī hōtī hai . Himmat rakh sēvā kē nimitt tō ban gayē haĩ nā . Lēkin abhī sadā yah slōgan yād rakhō - ‘ ‘ himmatē teacher , samān śhikṣhak bāp ' ' . Yah kabhī nahī̃ bhūlnā . Tō svataḥ hī samān bannē vālā lakṣhya - ‘ ‘ bāpdādā ' ' āpkē sāmnē rahēgā arthāt sāth rahēgā . Achchhā  !

Chārō̃ ōr K|kē svamāndhārī sō sammāndhārī bachchō̃ kō bāpdādā nayanō̃ K|kē sammukh dēkhtē huē sammān key|kī dr̥iṣhṭi sē yādpyār dē rahē haĩ . Sadā rāj-sammān aur pūjy-sammān K|kē samān sāthī bachchō̃ kō yādpyār aur namastē .

Bihār group  :

1 . sabhī apnē kō svarājya adhikārī samajhtē hō  ? Sva kā rājya milā hai yā milnē vālā hai  ? Svarājya arthāt jab chāhō , jaisē chāhō vaisē karmēndriyō̃ dvārā karma karā sakō . Karmēndriy-jīt arthāt svarājya adhikārī . Aisē adhikārī banē hō yā kabhī-kabhī karmēndriyā̃ āpkō chalātī haĩ  ? Kabhī man āpkō chalātā hai yā āp man kō chalātē hō  ? Kabhī man vyarth saṅkalp kartā hai yā nahī̃ kartā hai  ? Agar kabhī-kabhī kartā hai tō us samay svarājya adhikārī kahē̃gē  ? Rājya bahut baṛī sattā hai . Rājya sattā chāhē jō kar saktī hai , jaisē chalānē chāhē vaisē chalā saktī hai . Yah man-buddhisãskār ātmā key|kī śhaktiyā̃ haĩ . Ātmā in tīnō̃ key|kī mālik hai . Yadi kabhī saṅskār apnē taraph khīñch lē̃ tō mālik kahē̃gē  ? Tō svarājy-sattā arthāt karmēndriy-jīt . Jō karmēndriy-jīt hai vahī viśhva key|kī rājy-sattā prāpt kar saktā hai . Svarājya adhikārī viśhva-rājya adhikārī bantā hai . Tō āp brāhmaṇ ātmāō̃ kā hī slōgan hai ki ‘ svarājya brāhmaṇ jīvan kā janma-siddh adhikār hai . ' svarājya adhikārī key|kī sthiti sadā master sarvśhaktivān hai , kōī bhī śhakti key|kī kamī nahī̃ . Svarājya adhikārī sadā dharm arthāt dhāraṇāmūrta bhī hōgā aur rājya arthāt śhaktiśhālī bhī hōgā . Abhī rājya mē̃ halchal kyō̃ hai  ? Kyōṅki dharm-sattā alag hō gaī hai aur rājyasattā alag hō gaī hai . Tō laṅgṛā hō gayā nā  ! Ēk sattā huī nā . Isliē halchal hai . Aisē āp mē̃ bhī agar dharm aur rājya - dōnō̃ sattā nahī̃ haĩ tō vighna āyēṅgē , halchal mē̃ lāyēṅgē , yuddha karnī paṛēgī . Aur dōnō̃ hī sattā haĩ tō sadā hī bēparvāh bādśhāh rahē̃gē , kōī vighna ā nahī̃ saktā . Tō aisē bēparvāh bādśhāh banē hō  ? Yā thōṛī-thōṛī śharīr key|kī , sambandh key|kī … parvāh rahtī hai  ? Pāṇḍavō̃ kō kamānē key|kī parvāh rahtī hai . Parivār kō chalānē key|kī parvāh rahtī hai yā bēparvāh rahtē haĩ  ? Chalānē vālā chalā rahā hai , karānē vālā karā rahā hai - aisē nimitt ban kar karnē vālē bēparvāh bādśhāh hōtē haĩ . ‘ ‘ maĩ kar rahā hū̃ ' ' - yah bhān āyā tō bēparvāh nahī̃ rah saktē . Lēkin ‘ ‘ bāp dvārā nimitt banā huā hū̃ ' ' - yah smr̥iti rahē tō bēphikar vā niśhchint jīvan anubhav karē̃gē . Kōī chintā nahī̃ . Kal kyā hōgā - uskī bhī chintā nahī̃ . Kabhī yah thōṛī-sī chintā rahtī hai ki kal kyā hōgā , kaisē hōgā  ? Patā nahī̃ vināśh kab hōgā , kyā hōgā  ? Bachchō̃ kā kyā hōgā  ? Pōtrō̃-dhōtrō̃ kā kyā hōgā - yah chintā rahtī hai  ? Bēparvāh bādśhāh kō sadā hī yah niśhchay rahtā hai ki - jō hō rahā hai vah achchhā , aur jō hōnē vālā hai vah aur bhī bahut achchhā hōgā . Kyōṅki karānē vālā acchē-tē-acchā hai nā  ! Iskō kahtē haĩ - niśhchaybuddhi vijayī . Aisē banē hō yā sōch rahē hō  ? Bannā tō hai hī nā  ! Itnī baṛī rājāī mil jāē tō sōchnē key|kī kyā bāt hai  ? Apnā adhikār kōī chhōṛtā hai  ? Jhōmpaṛī vālē bhī hōṅgē , thōṛī-sī milkiyat bhī hōgī - tō bhī nahī̃ chhōṛē̃gē . Yah tō kitnī baṛī prāpti hai  ! Tō mērā adhikār hai - is smr̥iti sē sadā adhikārī banē uṛtē chalō . Yahī vardān yād rakhnā ki - ‘ ‘ svarājya hamārā janma-siddh adhikār hai . ' ' mēhnat karkē pānē vālē nahī̃ , adhikār hai . Achchhā  ! Bihār mānā sadā bahār rahnē vālē . Patajhaṛ mē̃ nahī̃ jānā . Kabhī ā̃dhī-tūphān na āyē , sadā bahār . Achchhā  !

2 . apnē kō rūhānī dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi kō badalnē vālā anubhav kartē hō  ? Suntē thē ki dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi badal jātī hai lēkin abhī anubhavī ban gayē . Rūhānī dr̥iṣhṭi sē sr̥iṣhṭi badal gaī nā  ! Abhī āpkē liē bāp saṅsār hai , tō sr̥iṣhṭi badal gaī . Pahlē key|kī sr̥iṣhṭi arthāt saṅsār aur abhī K|kē saṅsār mē̃ phark hō gayā nā  ! Pahlē saṅsār mē̃ buddhi bhaṭaktī thī aur abhī bāp hī saṅsār hō gayā . Tō buddhi kā bhaṭaknā band hō gayā , ēkāgr hō gaī . Kyōṅki pahlē key|kī jīvan mē̃ , kabhī dēh K|kē sambandh mē̃ , kabhī dēh K|kē padārtha mē̃ - anēkō̃ mē̃ buddhi jātī thī . Abhī yah sab badal gayā . Abhī dēh yād rahtī yā dēhī  ? Agar dēh mē̃ kabhī buddhi jātī hai tō wrong samajhtē hō nā  ! Phir badal lētē hō , dēh K|kē bajāy apnē kō dēhī samajhnē kā abhyās kartē hō . Tō saṅsār badal gayā nā  ! Svayã bhī badal gayē . Bāp hī saṅsār hai yā abhī saṅsār mē̃ kuchh rahā huā hai  ? Vināśhī dhan yā vināśhī sambandh K|kē taraph buddhi tō nahī̃ jātī  ? Abhī mērā rahā hī nahī̃ . ‘ ‘ mērē pās|pass bahut dhan hai ' ' - yah saṅkalp yā svapn mē̃ bhī nahī̃ hōgā kyōṅki sab bāp K|kē havālē kar diyā . Mērē kō tērā banā liyā nā  ! Yā mērā , mērā hī hai aur bāp kā bhī mērā hai . Aisē tō nahī̃ samajhtē  ? Yah vināśhī tan-dhan , purānā man , mērā nahī̃ , bāp kō dē diyā . Pahlā-pahlā parivartan hōnē kā saṅkalp hī yah kiyā ki sab kuchh tērā aur tērā kahnē sē hī phāydā hai . Ismē̃ bāp kā phāydā nahī̃ hai , āpkā phāydā hai . Kyōṅki mērā kahnē sē phãstē hō , tērā kahnē sē nyārē hō jātē hō . Mērā kahnē sē bōjh vālē ban jātē hō aur tērā kahnē sē double light ‘ ‘ trustee ' ' ban jātē hō . Tō kyā achchhā hai - halkā bannā achchhā hai yā bhārī bannā achchhā hai  ? Ājkal K|kē jamānē mē̃ śharīr sē bhī kōī bhārī hōtā tō achchhā nahī̃ lagtā . Sabhī apnē kō halkā karnē kā prayatna kartē haĩ . Kyōṅki bhārī hōnā mānā nuksān hai aur halkā hōnē sē phāydā hai . Aisē hī mērā-mērā kahnē sē buddhi par bōjh paṛ jātā hai , tērā-tērā kahnē sē buddhi halkī ban jātī hai . Jab tak halkē nahī̃ banē tab tak ūñchī sthiti tak pahũch nahī̃ saktē . Uṛtī kalā hī ānand key|kī anubhūti karānē vālī hai . Halkā rahnē mē̃ hī majā hai . Achchhā  !

Jab bāp milā tō māyā uskē āgē kyā hai  ? Māyā hai rūlānē vālī aur bāp hai varsā dēnē vālā , prāpti karānē vālā . Sārē kalp mē̃ aisī prāpti karānē vālā bāp mil nahī̃ saktā  ! Svarg mē̃ bhī nahī̃ milēgā . Tō ēk second bhī bhūlnā nahī̃ chāhiē . Had key|kī prāpti karānē vālā bhī nahī̃ bhūltā hai tō bēhad key|kī prāpti karānē vālā bhūl kaisē saktā  ! Tō sadā yahī yād rakhnā ki trustee haĩ . Kabhī bhī apnē ūpar bōjh nahī̃ rakhnā . Issē sadā hanstē , gātē , uṛtē rahē̃gē . Jīvan mē̃ aur kyā chāhiē  ! Hãsnā , gānā aur uṛnā . Jab prāpti hōgī tab tō hãsēṅgē nā . Nahī̃ tō rōyēṅgē . Tō yah vardān smr̥iti mē̃ rakhnā ki ham hãsatē-gātē aur uṛnē vālē haĩ , sadā hī bāp K|kē saṅsār mē̃ rahnē vālē haĩ . Aur kuchh hai hī nahī̃ jahā̃ buddhi jāē . Svapn mē̃ bhī rōnā nahī̃ . Māyā rūlāē tō bhī nahī̃ rōnā . Man kā bhī rōnā hōtā hai , sirph ā̃khō̃ kā rōnā hī nahī̃ hōtā . Tō māyā rūlātī hai , bāp hãsātē haĩ . Sadā bihār mānā khuśh rahnē vālē - khuśhbahār . Aur baṅgāl mānā sadā mīṭhā rahnē vālē . Baṅgāl mē̃ miṭhāiyā̃ achchhī hōtī haĩ nā , bahut variety hōtī hai . Tō jahā̃ madhurtā hai vahā̃ hī pavitratā hai . Binā pavitratā K|kē madhurtā ā nahī̃ saktī . Tō sadā madhur rahnē vālē aur sadā khuśhbahār rahnē vālē . Achchhā  ! Teachers bhī khuśhbahār kō dēkh karkē sadā-bahār hī rahtī haĩ nā . Achchhā  !

Dillī zone  : dillī kō bāpdādā ‘ ‘ dil ' ' kahtē haĩ . Nām hai dillī arthāt dil lī . Bāp nē ākar dil lī aur āpnē ākar kyā kiyā  ? Bāp kō dil mē̃ biṭhā diyā . Dil mē̃ aur tō kōī nahī̃ hai nā  ! Na vyakti , na vastu . Kōī vastu bhī ākarṣhit kartī hai tō vah bhī dil mē̃ biṭhāyā nā  ! Vastu kē pīchhē bhī agar dil lag gaī tō bāp bhūl jāyēgā nā  ! Bāp kō bhūlā tō māyā kā lagā bam gōlā . Bamba ( ̃das̃ gōlā ) lagnē sē kitnā nuksān hō jātā hai  ! Tō yah bhī bamba lagtā hai tō bahut nuksān kar dētā hai . Dil hai hī bāp kē liē tō dūsrā kaisē ā saktā hai  ? Jō āsan jiskā hōgā , vahī baiṭhēgā nā  ! Abhī prime minister key|kī seat par jō fix hōgā vahī baiṭhēgā . Tō dil hai dilārām kē liē . Ēk hī kām milā hai - bāp kō yād karō , bas . Jiskē dil mē̃ bāp hai vah sadā hī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' K|kē gīt gātā hai aur bāp nahī̃ tō ‘ ‘ hāyahā ya ' ' K|kē gīt gātā hai . Duniyā vālē ‘ ‘ hāy-hāy ' ' kartē aur āp ‘ ‘ vāh-vāh ' ' kartē . Svayã bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' hō gayē , bāp bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' aur drama mē̃ jō kuchh chal rahā hai vah bhī ‘ ‘ vāh-vāh ' ' . Tō sadā ‘ ‘ vāh-vāh ' ' K|kē gīt gānē vālē hō yā kabhī ‘ ‘ hāy-hāy ' ' bhī kar dētē hō  ! Man sē bhī , svapn mē̃ bhī kabhī ‘ ‘ hāy ' ' nahī̃ nikal saktī . ‘ ‘ hāy ' ' kyā hō gayā  ! Yah kabhī kahtē hō  ? Jō huā vah bhī vāh , jō hō rahā hai vah bhī ‘ ‘ vāh ' ' , jō hōnā hai vah bhī ‘ ‘ vāh . ' ' tīnō̃ hī kāl - ‘ vāh-vāh ' hai . Ēk kāl bhī kharāb nahī̃ hō saktā . Kyōṅki bāp bhī acchē-tē - achchhā , saṅgamyug bhī sabsē achchhā aur jō prāpti hai vah bhī acchētē - achchhī aur bhaviṣhya jō prāpt hōnā hai vah bhī acchē-tē-acchā . Sab achchhā hōnā hai tō ‘ vāh-vāh ' K|kē gīt gātē rahō . Jahā̃ sab achchhā lagēgā vahā̃ ichchhā nahī̃ hōgī . Agar ichchhā hōtī hai tō achchhā nahī̃ hōtā aur achchhā hōtā hai tō ichchhā nahī̃ hōtī . Kyōṅki achchhā tab kahē̃gē jab sab prāpt hō . Jab aprāpti hōtī hai tab ichchhā hōtī hai . Tō kōī aprāpti hai  ? Mātāō̃ kō gahnē chāhiē  ? Sōnā chāhiē  ? Pāṇḍavō̃ kō lākh vā padma chāhiē  ? Krōṛ chāhiē  ? Nahī̃ chāhiē  ? Kyōṅki ab K|kē karōṛpati bannā arthāt sadā K|kē krōṛ ganvānā . Abhī kyā karē̃gē  ? Yah jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā - jhūṭhā kyā karē̃gē  ! Śharīr nirvāh kē liē , dāl-rōṭī kē liē tō bahut mil rahā hai aur miltā rahēgā . Bāki kyā chāhiē  ? Lottery vagairah chāhiē  ? Kaī bachchē samajhtē haĩ lottery āyēgī tō yagya mē̃ lagā dēgē . Lēkin aisā paisā yagya mē̃ nahī̃ lagtā . Hōtī apnī ichchhā hai lēkin kahtē haĩ lottery āyēgī tō sēvā karē̃gē  ! Abhī tō sachchī kamāī jamā kar rahē hō , isliē - ‘ ichchhā mātram avidyā . ' kyōṅki ichchhā mē̃ agar gayē tō ichchhā kē pīchhē bhāgnā aisē hī hai jaisē mr̥igatr̥iṣhṇā . Tō ichchhā samāpt hō gaī , achchhē ban gayē  ! Jab rachayitā hī āpkā hō gayā tō rachnā kyā karē̃gē  ! Bēhad kē āgē had kyā lagtī hai  ? Kuchh bhī nahī̃ hai . Had mē̃ phans gayē tō bēhad gayā .

Dillī vālō̃ kō tō naśhā chāhiē - dillī mē̃ jamunā K|kē kinārē mahal banē̃gē  ! Tō sirph mahal dēkhnē vālē banē̃gē yā mahal mē̃ rahnē vālē  ? Sabhī rājya karē̃gē yā dēkhē̃gē  ? Achchhā  ! Bāp milā sab-kuchh milā . Yād aur sēvā K|kē sivāy aur kōī kārya hai hī nahī̃ . Agar daphtar mē̃ jātē hō , business kartē hō - tō bhī sēvā kē liē . Is lakṣhya sē kahī̃ bhī jāyēṅgē tō sēvā hōgī . Agar yah samajh kar jāyēṅgē ki duty bajānē jā rahā hū̃ , jānā hī hai - tō sēvā nahī̃ hōgī . Kām karkē lauṭ āyēṅgē lēkin sēvā nahī̃ kar sakē̃gē . Sēvā kē nimitt yah kar rahā hū̃ - tō sēvā āpkē pās|pass svataḥ hī āyēgī aur jitnī sēvā karē̃gē utnī aur ‘ khuśhī ' baṛhtī jāyēgī . Bhaviṣhya tō hai hī lēkin pratyakṣhaphal ' ' khuśhī ’ ’ miltī hai . Tō phal khāō , mēhnat nahī̃ karō . Sēvā yād nahī̃ rahēgī tō mēhnat karnī paṛēgī . Khālī buddhi rahnā arthāt māyā kā āhvān karnā aur buddhi kō yād aur sēvā mē̃ busy rakhā tō sadā hī phal khātē rahē̃gē . Achchhā  !

Dillī vālō̃ kō bāpdādā viśhēṣh sahyōg dētē haĩ , kyō̃  ? Kyōṅki samay par sahyōgī pahlē dillī nivāsī banē haĩ . Jab yagya mē̃ āvaśyaktā thī tab sahyōgī banē̃ . Tō jō samay par sahyōgī bantā hai uskō automatically viśhēṣh sahyōg miltā hai . Dillī nivāsiyō̃ kō yah viśhēṣh lift hai . Sthāpanā mē̃ sahyōg kē nimitt dillī banī hai , usmē̃ bhī viśhēṣh mātāyē̃ . Tō bāpdādā kiskā rakhtā nahī̃ hai , abhī hī dētā hai . Ēk kā padmaguṇā karkē dē dētā hai . Tō extra lift huī nā . Jab sthāpanā mē̃ pahlā number banē tō rājya mē̃ bhī pahlā number banē̃gē . Samjhā  ? Achchhā  !