मंगलवार 9 जनवरी 1996 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

09-01-96 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

‘ ‘ bālak sō mālikpan K|kē naśhē mē̃ rahnē kē liē man kā rājā banō ’ ’

Āj viśhva K|kē mālik bāp apnē chārō̃ ōr K|kē mālik sō bālak bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ . Bālak bhī hō tō mālik bhī hō . Viśhva K|kē mālik bhaviṣhya mē̃ banē̃gē lēkin bāp K|kē sarv khajānō̃ K|kē mālik abhī hō . Viśhva rājya adhikārī bhaviṣhya mē̃ banē̃gē lēkin svarājya adhikārī abhī hō . Isliē bālak bhī hō aur mālik bhī hō . Dōnō̃ hō nā  ! Bālakpan kā naśhā sadā rahtā hī hai . Bāpdādā nē dēkhā ki bālakpan kā naśhā chāhē emerge rūp mē̃ , chāhē merge rūp mē̃ majority kō rahtā hai . Kyōṅki agar yād mē̃ baiṭhtē hō tō bhī kyā yād rahtā hai  ? Bābā . Tō ‘ bābā ’ yē sōchnā vā kahnā , bachchā hai tab bābā kahtē haĩ . Aur jō sachchē sēvādhārī haĩ unkē mukh sē bār-bār kyā nikaltā hai  ? Bābā nē yē kahā , bābā yē kahtē haĩ . Sārē din mē̃ check karō tō kitnē bārī ‘ bābā-bābā ’ śhabda sēvā mē̃ kahtē rahtē hō  ? Lēkin dō prakār sē ‘ bābā ’ śhabda kahnē vālē haĩ . Ēk hai dil sē ‘ bābā ’ kahnē vālē aur dūsrē haĩ knowledge K|kē dimāg sē kahnē vālē . Jō dil sē ‘ bābā ’ kahtē haĩ unkō sadā sahaj dil mē̃ bābā dvārā pratyakṣha prāpti khuśhī aur śhakti miltī hai aur jō sirph dimāg achchhā hōnē K|kē kāraṇ knowledge K|kē pramāṇ ‘ bābā-bābā ’ śhabda kahtē haĩ unhō̃ kō us samay bōlnē mē̃ apnē kō bhī khuśhī hōtī aur sunnē vālō̃ kō bhī us samay tak khuśhī hōtī , achchhā lagtā lēkin sadākāl kē liē dil mē̃ khuśhī aur śhakti dōnō̃ hō , vō sadā nahī̃ rahtī , kabhī rahtī , kabhī nahī̃ , kyō̃  ? Dil sē ‘ bābā ’ nahī̃ kahā . Tō bāpdādā nē dēkhā ki bālakpan kā niśhchay sabhī kō hai , naśhā kabhī hai , kabhī nahī̃ hai . Bābā K|kē haĩ - yē niśhchay , ismē̃ majority ṭhīk haĩ . Bālak tō hō hī lēkin sirph bālak nahī̃ hō bālak sō mālik hō . Double hai .

Tō mālikpan - ēk svarājya adhikārī mālik aur dūsrā bāp K|kē sarv khazānō̃ K|kē mālik , kyōṅki sarv khajānō̃ kō apnā banātē hō , mērā varsā hai , dātā bāp hai lēkin bāp nē diyā ki āp varsē K|kē mālik hō . Tō yah varsā sabkō milā hai  ? Kiskō cum|kam , kiskō jyādā tō nahī̃ milā hai  ? Sabkō ēk jaisā milā hai nā  ? Yā kiskō ēk krōṛ milā hai aur kiskō 10 krōṛ , aisē tō nahī̃ hai nā  ? Kyōṅki bāp K|kē khazānē bēhad K|kē haĩ . Kitnē bhī bachchē hō lēkin bāp K|kē khazānē cum|kam hōnē vālē nahī̃ haĩ . Khulā aur sampann bhaṇḍār hai . Isliē bāp kiskō cum|kam kyō̃ dēvē̃  ! Jab hai hī bachchō̃ kē liē tō kiskō jyādā , kiskō cum|kam kyō̃ dē̃  ! Tō ēk bāp K|kē varsē K|kē adhikārī mālik aur dūsrā svarājya K|kē mālik . Tō svarājya milā hai  ? Dōnō̃ K|kē mālik hō  ? Pakkā hai nā  ? Tō mālik hōkar kitnā samay chaltē hō  ? Kahtē bhī hō ki svarājya hamārā birth right hai . Kahtē hō nā yā mahārathiyō̃ kā birth right hai , hamārā thōṛā hai  ? Svarājya kā adhikār sabhī kō milā hai ki thōṛā-thōṛā milā hai  ? Is par pūrā pakkā rahnā . Tō check karō ki sva key|kī sarv karmēndriyā̃ order pramāṇ haĩ  ? Karmēndriyā̃ , āp svarājya adhikārī bachchō̃ K|kē karmchārī haĩ nā  ? Mālik tō nahī̃ haĩ  ? Āp mālik hō , yē ṭhīk hai  ? Ki karmchārī mālik haĩ aur āp karmchārī ban jātē hō  ?

Tō bāpdādā nē dēkhā ki bachchō̃ key|kī sthiti mē̃ sabsē jyādā jō mālikpan bhulānē vālā hai vā samay prati samay rājā sē apnē vaśh mē̃ karnē vālā hai - vō hai man . Isliē bāp kā mantra bhī hai manmanābhav . Tan-manābhav , dhan-manābhav yā buddhi-manābhav nahī̃ hai . Manmanābhav hai . Tō man apnā prabhāv ḍāl dētā hai . Man K|kē vaśh mē̃ ā jātē haĩ . Dēkhō kōī bhī chhōṭī see|sī|C vyarth bāt vā vyarth vātāvaraṇ vā vyarth dr̥iśhya sabkā prabhāv pahlē kis par paṛtā hai  ? Man par prabhāv paṛtā hai nā , phir buddhi uskō sahyōg dētī hai . Man aur buddhi agar usī prakār chaltī rahtī tō saṅskār ban jātā hai . Abhī bhī apnē kō check karō tō mērā jō vyarth saṅskār hai vō banā kaisē  ? Mānō kisī kā saṅskār chhōṭī see|sī|C bāt mē̃ second mē̃ , man mē̃ feeling ānē kā ban gayā hai tō yē saṅskār banā kaisē  ? Phir kahtē haĩ chāhtē nahī̃ haĩ , sōchtē bhī haĩ lēkin hō jātā hai . Iskō kahā jātā hai sanskārvaśh . Kōī kā thōṛē time mē̃ man māyūs hō jātā , thōṛā sā dēkhā , sunā aur man māyūs hō gayā . Phir agar kōī pūchhēgā tō kyā kahē̃gē  ? Kahē̃gē , nahī̃ kōī bāt nahī̃ , yē mērē saṅskār haĩ . Ṭhīk hō jāyēgā , saṅskār haĩ . Lēkin banā kaisē  ? Man aur buddhi K|kē ādhār sē saṅskār ban gayā . Phir bhinn-bhinn saṅskār haĩ jō brāhmaṇ saṅskār nahī̃ haĩ . Bāpdādā tō sōchtē haĩ ki kahlānē mē̃ tō kisī sē bhī pūchhē̃gē ki āp kaun hō  ? Tō kyā kahē̃gē  ? Brahmākumārī yā brahmākumār haĩ . Tō brahmā K|kē bachchē kyā huē  ? Brāhmaṇ . Lēkin jab vyarth saṅskār K|kē vaśh hō jātē hō tō kyā us samay brahmākumār , brāhmaṇ hō yā kṣhatriya hō  ? Us samay kaun hō  ? Yadi apnē sē yuddha kartē hō - yē nahī̃ , yē nahī̃ … tō brāhmaṇ hō yā kṣhatriya hō  ? Kaī bachchē kahtē haĩ dō din sē mērē man mē̃ khuśhī gum hō gaī , patā nahī̃ kyō̃  ? Vaisai tō andar samajhtē haĩ lēkin bāhar sē kahtē haĩ patā nahī̃ kyō̃  ! Lēkin vō din brāhmaṇ haĩ yā kṣhatriya haĩ  ? Jiskī khuśhī gum hō jāyē tō brāhmaṇ haĩ  ? Tō kyā kabhī kṣhatriya bantē hō , kabhī brāhmaṇ bantē hō  ? Sabhī nē kahā nā mālik haĩ , lēkin us samay kyā haĩ  ? Mālik haĩ yā parvaśh haĩ  ?

Tō bāpdādā nē dēkhā ki mālikpan kō hilānē vālā viśhēṣh man hai . Aur āp svarājya adhikārī rājā hō , man āpkā mantrī hai . Vā man mālik hai , āp mantrī hō  ? Āp rājā hō nā , man tō rājā nahī̃ hai  ? Mantrī hai , sahyōgī hai . Tō man kā mālikpan - yē sadā hō tab kahē̃gē ki svarājya adhikārī . Nahī̃ tō kabhī adhikārī , kabhī adhīn . Iskā kāraṇ kyā hai  ? Kyō̃ nahī̃ parivartan hōtā  ? Jab samajhtē bhī hō phir bhī saṅskār K|kē vaśh hō jātē hō . Isliē pahlē man kō control karō . Kahtē hō rājā haĩ lēkin rājā kā arth|earth hai jismē̃ ruling power hō . Agar nām rājā hō aur ruling power nahī̃ tō uskā kyā hall|hāl hōgā  ? Uskā rājya chalēgā  ? Nahī̃ chalēgā . Tō ruling power kitnē percentage mē̃ āī hai - yē check karō .

Ēk ġalatī bahut kartē hō uskē kāraṇ bhī saṅskār kē ūpar vijay nahī̃ prāpt kar saktē , bahut time lagtā hai samajhtē haĩ kal sē nahī̃ karē̃gē lēkin jab kal hōtā hai tō āj sē kal key|kī bāt baṛī hō jātī hai . Tō kahtē haĩ kal chhōṭī bāt thī nā āj tō bahut baṛī bāt thī . Tō baṛī bāt hōnē K|kē kāraṇ thōṛā hō gayā , phir ṭhīk kar lēṅgē-yē baṛō̃ kō vā apnē dil kō dilāsā dētē hō aur yē dilāsā dētē huē chaltē hō lēkin yē dilāsā nahī̃ hai , yē dhōkhā hai . Us samay thōṛē samay kē liē apnē kō yā dūsrō̃ kō dilāsā dēnā-bas abhī ṭhīk hō jāyēṅgē , lēkin yē svayã kō dhōkhā dēnē key|kī ādat pakkī kartē jātē chaltē-phirtē phariśhtā svarūp mē̃ rahanā-yahī brahmā bāp key|kī dil-pasand gift hai . 99 hō . Jō us samay patā nahī̃ paṛtā lēkin jab practical mē̃ dhōkhā miltā hai tabhī samajhtē haĩ ki hā̃ yē dhōkhā hī hai . Tō bhūl kyā kartē hō  ? Jab baṛē yā chhōṭē ēk-dō kō śhikṣhā dētē haĩ tō kyā kahtē hō  ? Yē mērā svabhāv hai , mērā saṅskār hai , kōī kā feeling kā , kōī kā kinārā karnē kā , kōī kā bār-bār parchintan karnē kā , kōī kā parchintan sunnē kā , bhinn-bhinn haĩ , uskō tō āp bāp sē bhī jyādā jāntē hō . Lēkin bāpdādā kahtē haĩ ki jiskō āpnē mērā saṅskār kahā vō mērā hai  ? Kiskā hai  ? ( rāvaṇ kā ) tō mērā kyō̃ kahā  ? Yē tō kabhī nahī̃ kahtē hō ki yē rāvaṇ K|kē saṅskār haĩ . Kahtē hō mērē saṅskār haĩ . Tō yē ‘ mērā ’ śhabda - yahī purūṣhārth mē̃ ḍhīlā kartā hai . Yē rāvaṇ key|kī chīz andar chhipākar kyō̃ rakhī hai  ? Lōg tō rāvaṇ kō mārnē kē bād jalātē haĩ , jalānē kē bād jō bhī kuchh bachtā hai vō bhī pānī mē̃ ḍāl dētē haĩ , aur āpnē mērā banākar rakh diyā hai  ! Tō jahā̃ rāvaṇ key|kī chīz hōgī vahā̃ aśhuddh kē sāth śhuddha saṅskār ikaṭṭhē rahē̃gē kyā  ? Aur rājya kiskā hai  ? Aśhuddh kā . Śhuddha kā tō nahī̃ hai nā  ! Tō rājya hai aśhuddh kā aur aśhuddh chīz apnē pās|pass sambhāl kar rakh dī hai . Jaisē sōnā yā hīrā sambhāl K|kē rakhā hō . Isliē aśhuddh aur śhuddha dōnō̃ key|kī yuddha chaltī rahtī hai tō bār-bār brāhmaṇ sē kṣhatriya ban jātē haĩ . Mērā saṅskār kyā hai  ? Jō bāp kā saṅskār hai , viśhēṣh hai hī viśhva kalyāṇkārī , śhubh chintandhārī . Sabkē śhubh bhāvnā , śhubh kāmnādhārī . Yē haĩ original mērē saṅskār . Bākī mērē nahī̃ haĩ . Aur yahī aśhuddhi jō andar chhipī huī hai nā , vō sampūrṇ śhuddha bannē mē̃ vighna ḍāltī hai . Tō jō bannā chāhtē hō , lakṣhya rakhtē hō lēkin practical mē̃ phark paṛ jātā hai .

Majority nē sōchā hai , kaiyō̃ nē tō apnā saṅkalp kiyā bhī , likhā bhī ki is diamond jubilee mē̃ bāp samān diamond bannā hī hai . Yē saṅkalp hai yā sōchnā hai  ? Sōchnā hō tō sōch lō  ! Lēkin number pīchhē milēgā . Kahāvat bhī hai ki jō karēgā vō pāyēgā . Yē tō nahī̃ hai nā ki jō sōchēgā vō pāyēgā  ! Tō saṅkalp bahut achchhā kartē hō . Bāpdādā bhī paṛh karkē , sun karkē khuśh hōtē haĩ lēkin yē rāvaṇ key|kī chīz jō chhipākar rakhī hai nā vō man kā mālik bannē nahī̃ dētī . Mērī ādat hai , mērā svabhāv hai , mērā saṅskār hai , mērī nature hai-yē sab rāvaṇ key|kī jāydād sāth mē̃ , dil mē̃ rakh dī hai , tō dilārām kahā̃ baiṭhēgā  ! Rāvaṇ K|kē varsē kē ūpar baiṭhē kyā  ! Tō abhī iskō miṭāō . Jab mērā śhabda bōltē hō tō yād karō-mērā svabhāv yā mērī nature kyā hai  ? Aur man kō duniyā vālē bhī kahtē haĩ yē ghōṛā hai , bahut bhāgtā hai aur tēj bhāgtā hai lēkin āpkā man bhāgnā chāhiyē  ? Āpkō śhrīmat kā lagām mazbūt hai . Agar lagām ṭhīk hai tō kuchh bhī halchal nahī̃ hō saktī . Lēkin kartē kyā hō  ? Bāpdādā tō dēkhtē rahtē haĩ nā tō hansī bhī ātī hai , jaisē savārī kō chalā rahē hō , lagām hāth mē̃ hai lēkin agar chaltē-chaltē lagām pakaṛnē vālē key|kī buddhi yā man kōī sidescene K|kē taraph lag gaī tō kyā hōgā  ? Lagām ḍhīlā hōgā  ! Aur lagām ḍhīlā hōnē sē man chañchaltā jarūr karēgā . Tō śhrīmat kā lagām sadā apnē andar smr̥iti mē̃ rakhō . Jab bhī kōī bāt hō , man chañchal hō tō śhrīmat kā lagām tight karō . Phir kuchh nahī̃ hōgā . Phir mañzil par pahũch jāyēṅgē . Tō śhrīmat her|har kadam kē liē hai , śhrīmat sirph brahmchārī banō yē nahī̃ hai . Her|har karma K|kē liyē śhrīmat hai . Chalnā , khānā , pīnā , sunnā , sunānā - sabkī śhrīmat hai . Hai , ki nahī̃ hai  ? Mānō āp parchintan kar rahē hō tō kyā yē śhrīmat hai  ? Śhrīmat kō ḍhīlā kiyā tō man kō chance miltā hai chañchal bannē kā . Phir uskō ādat paṛ jātī hai . Tō ādat ḍālnē vālā kaun  ? Āp hī hō nā  ! Tō pahlē man kā rājā banō . Check karō - andar hī andar yē mantrī apnā rājya tō nahī̃ sthāpan kar rahē haĩ  ? Jaisē ājkal K|kē rājya mē̃ alag group banā karkē aur power mē̃ ā jātē haĩ . Aur pahlē vālō̃ kō hilānē key|kī kōśhiśh kartē haĩ tō yē man bhī aisē kartā hai , buddhi kō bhī apnā banā lētā hai . Mukh kō , kān kō , sabkō apnā banā lētā hai . Tō rōz check karō , samāchār pūchō-hē man mantrī tumnē kyā kiyā  ? Kahā̃ dhōkhā tō nahī̃ diyā  ? Kahā̃ andar hī andar group banā dēvē aur āpkō rājā key|kī bajāy gulām banā dē  ! Tō aisā na hō . Dēkhō brahmā bāp ādi mē̃ rōz yē darbār lagātē thē jismē̃ sabhī sahyōgī sāthiyō̃ sē samāchār pūchhtē , yē rōz key|kī brahmā bāp key|kī ādi key|kī dincharyā hai . Sunā hai nā  ? Tō brahmā bāp nē bhī mēhnat kī hai nā  ! Attention rakhā tab svarājya adhikārī sō viśhva K|kē rājya adhikārī banē . Śhiv bāp tō hai hī nirākār lēkin brahmā bāpanē tō āpkē samān sārī jīvan purūṣhārth sē prālabdh prāpt kī . Tō brahmā bāp kō follow karō . Yē man bahut chañchal hai aur bahut quick hai , ēk second mē̃ āpkō sārā foreign ghumākar ā saktā hai . Tō kyā sunā  ? Bālak sō mālik . Aisē nahī̃ khuśh rahanā-bālak tō ban gayē , varsā tō mil gayā lēkin agar varsē K|kē mālik nahī̃ banē tō bālakpan kyā huā  ? Bālak kā arth|earth hī hai mālik . Lēkin svarājya K|kē bhī mālik banō . Sirph varsē kō dēkh karkē khuśh nahī̃ hō , svarājya adhikārī banō . Itnī chhōṭī see|sī|C āṅkh bindī hai , vō bhī dhōkhā dē dētī hai . Tō mālik nahī̃ huē tabhī dhōkhā dētī hai . Tō bāpdādā sabhī bachchō̃ kō svarājya adhikārī rājā dēkhnā chāhtē haĩ . Adhikārī , adhīn nahī̃ rahēgā . Samjhā  ? Kyā banē̃gē  ? Bālak sō mālik . Rāvaṇ key|kī chīz kō tō yahā̃ hall|hāl mē̃ hī chhōṛkar jānā . Yē tapasyā kā sthān hai nā . Tō tapasyā kō agni kahā jātā hai . Tō agni mē̃ khatm hō jāyēgā .

Bāpdādā nē dēkhā ki bachchō̃ kā rāvaṇ sē abhī bhī pyār hai . Dil sē chāhtē nahī̃ haĩ lēkin rah gayā hai . Abhī iskō khatm karō . Teachers kyā karē̃gī  ? Yahī̃ chhōṛkar jāyēṅgī yā train mē̃ phēkēṅgī  ? Kyōṅki 63 janmō̃ key|kī purānī chīj hai tō thōṛī tō prīt hai . Pāṇḍav kyā karē̃gē  ? Yahī̃ chhōṛ kar jāyēṅgē yā nīchē ābūrōḍ par chhōṛē̃gē  ? Yahī̃ chhōṛkar jānā . Chhōṛnē K|kē liyē taiyār hō  ? Ḍhīlāḍhālā hā̃ kar rahē hō . Bāpdādā rōz kōī na kōī bachchō̃ key|kī bātē̃ check kartā hai . Āp bhī check karē̃gē tab tō change hōṅgē nā  !

Achchhā , yē chance tō extra chance milā hai . Yē bhī nayō̃ kō yā purānō̃ kō achānak key|kī lottery milī hai . Tō achānak key|kī lottery kā mahatva hōtā hai . Tō is lottery kō sadā practical karma mē̃ lātē huē baṛhātē rahnā . Jitnā svayã prati yā aurō̃ prati kārya mē̃ lagāyēṅgē utnā baṛhtā rahēgā . Tō baṛhātē rahnā yē lottery kā din bhūlnā nahī̃ . Yād rakhnā .

Kumāriyō̃ sē

Kumāriyā̃ kyā karē̃gī  ? Kumārī kā arth|earth hī hai kamāl karnē vālī . Tō kamāl karnī hai . Kyā kamāl karē̃gī  ? Bāpdādā sadā jab bhī kumāriyō̃ kō dēkhtē haĩ tō usī nazar sē dēkhtē haĩ ki yē kamāl karnē vālī kumārī hai . Chāhē kumārī apnā kyā bhī karē lēkin bāpdādā her|har kumārī mē̃ kamāl karnē vālī śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā rakhtē haĩ . Tō kumāriyā̃ kyā karē̃gī  ? Kyōṅki kumāriyā̃ bahut bandhanō̃ sē free haĩ . Agar kumārī purūṣhārth mē̃ achchhī hai tō uskō centre mil jātā hai . Ēk tō centre key|kī sēvādhārī kā bhāgya miltā hai aur centre par akēlē nahī̃ lēkin sāthī bhī mil jātē haĩ . Kumār kō tō akēlā-akēlā khānā banānā paṛtā hai aur kumāriyō̃ kō chāhē ṭarn-bāī-ṭarna banāō lēkin ēk-dō mē̃ madadgār tō hōtē haĩ nā  ! Aur dūsrā kamānē key|kī kōī chintā nahī̃ . Agar kōī kumār āpkē pās|pass ( dādī kē pās ) jātā hai tō āp naukrī chuṛāyēṅgī  ? Kahē̃gē naukrī karō . Tō kumāriyō̃ kā tō luck hai , kahtē haĩ naukrī chhōṛkar ā jāō . Khud kumārī kā lagāv hōtā hai paṛhnē mē̃ yā naukrī mē̃ . Tō yē tō uskā bhāgya huā . Lēkin kumāriyō̃ kō chance tō achchhā hai . Aur phir sēvā kā chance kitnā miltā hai  ? Jitnā karnā chāhō utnā kar saktē hō .

Brahmā bāp purānē bachchō̃ kē prati yē bōl rahē haĩ ki agar kōī kahtā hai ki sēvā hai hī nahī̃ , bahut kartē haĩ lēkin sēvā dikhāī nahī̃ dētī hai , kōī sēvā kē liē miltā nahī̃ hai tō brahmā bāp kyā kahtā thā ki jaṅgal paṛā huā hai aur śhikārī kahē ki śhikār nahī̃ miltā , yē hō saktā hai  ! Śhikārī kō parakhnē key|kī śhakti nahī̃ hai , dēkhnē key|kī vō jō tēz āṅkh chāhiyē , vō nahī̃ hai . Bākī jaṅgal mē̃ śhikār na hō yē hō hī nahī̃ saktā . Kitnī saṅkhyā baṛh rahī hai . Chāhē chhōṭā gānv hai , chāhē baṛā śhahar hai sab jagah saṅkhyā baṛh rahī hai . Tō saṅkhyā baṛh rahī hai aur sēvā nahī̃ hō yē kaisē hō saktā hai  ! Karnē key|kī vidhi nahī̃ ātī . Tō kumāriyō̃ kō apnē āpkō nirbandhan banānē key|kī viśhēṣh sēvā karnī hai . Pahlē apnē kō nirbandhan banāō . Kyā hai kumāriyā̃ ḍartī haĩ centre par rahnē sē aur kumār chāhtē haĩ centre par rahnā . Kāraṇ kyā hai  ? Kamzōr ātmāyē̃ haĩ , number-vār tō hōnā hī hai nā . Tō kamjōr ātmāō̃ key|kī kamjōrī kō dēkh ghabrā jātē haĩ . Acchō̃ kō nahī̃ dēkhtē , jō kamjōr hai , uskō follow kartē haĩ . Isīliē bāpdādā nē kahā bhī hai-sī father-mother . Follow father-mother . Na ki kamzōr kō follow karō . Tō kumāriyō̃ kō tō dil mē̃ uchhal ānī chāhiyē . Ki bas , sēvā karē̃ aur sēvā K|kē saphaltā kā sitārā banē̃ , kamzōr nahī̃ .

Kumār sē

Kumār kō bhī chance milēgā . Jab sēvā bahut baṛhēgī , itnī sab ātmāō̃ kō sandēśh dēnā hai tō kyā thōṛī see|sī|C ātmāyē̃ kar sakē̃gī  ! Tō āp lōgō̃ kō chance milēgā lēkin āp lōg aisē pahlē sē taiyār hō jāō . Jō teachers kō saptāh course karānā paṛtā hai aur āp ēk second mē̃ apnī dr̥iṣhṭi-vr̥itti dvārā parichay dē sakō . Aisī sēvā kumār kō karnī hai . Abhī dēkhō bāpdādā spaṣhṭ sunātā hai ki kumār kō centre par kyō̃ nahī̃ rakhtē haĩ  ? Kāraṇ kyā hai  ? Ḍar lagtā hai dādiyō̃ kō . Aur kabhī-kabhī practical mē̃ nuksān hōtē bhī haĩ . Aisē hī ḍar nahī̃ lagtā , hōtā bhī hai . Agar kumār pakkē yōgī ban jāyē̃ , zarā bhī sivāē ātmā K|kē aur kōī bāt mē̃ jāyē̃ nahī̃ tō kumār kō bahut sēvākēndra mil saktē haĩ . Abhī nuksān kā ḍar hai . Kyōṅki rāvaṇ key|kī chīz andar rakhī hai nā , isliē ḍar lagtā hai . Lēkin jō kumāriyō̃ nē itnē varṣh mē̃ sēvā key|kī , kumār fast sēvā karē̃gē . Chance bahut achchhā milnā hai lēkin pahlē taiyār hō jāō . Pahlē dādiyō̃ kō bēphikr banāō . Jahā̃ kumār-kumāriyā̃ ikaṭṭhē rahtē haĩ nā tō ḍar lagtā hai , foreign key|kī bāt alag hai , vahā̃ tō female bhī male|mail|mēl hai , male|mail|mēl bhī female haĩ . Vahā̃ key|kī bāt alag hai . Lēkin bhārat mē̃ agar dō-tīn bhāī centre chalāyē̃ tō pahlē tō lōg discuss karnē K|kē sivāē aur kuchh nahī̃ karē̃gē . Aur jōśh hōtā hai nā tō ḍaṇḍā bhī lag saktā hai . Isliē āp taiyār hō jāō , āpkō sēvā bahut milnī hai aur jitnā kumāriyō̃ kō sēvā kā chance hai , aisē agar āp pakkē yōgī ban gayē tō thōṛē samay mē̃ āpkā khātā bhī utnā hī jamā hō saktā hai . Lēkin bāpdādā kō dil sē guarantee dilāō , kāgaj vālā bāpdādā nahī̃ māntē . Āj kāgaj par pānī aur syāhī sē nahī̃ , khūn sē bhī likhkar dētē haĩ aur ēk mās kē bād kumār sē yugal bankar ātē haĩ . Tō aisī guarantee nahī̃ chāhiyē . Lēkin diamond jubilee mē̃ bāpdādā nē dēkhā ki kumār bahut achchhā sabsē number one purūṣhārth kar rahē haĩ tō kumār samay kō bhī samīp lā saktē haĩ . Samay samīp ā jāyēgā aur āpkī sēvā hōtī jāyēgī . Lēkin bāpdādā rōz vatan mē̃ check kartē haĩ aisē hī nahī̃ kōī yahā̃ kahēgā tō mān lē̃gē . Practical bāp check karēgā . Phir dēkhō kumār first number lē saktē haĩ . Samjhā  ? Sandēśh dēnē mē̃ tō kumār vaisē hī hōśhiyār hō aur dēkhō jis centre par kumār nahī̃ ātē haĩ tō vahā̃ sēvā key|kī vr̥iddhi nahī̃ hōtī hai . Aisē hai nā teachers  ? Teachers kahtī haĩ sēvā kē liē kiskō bhēñjē  ! Tō kumār abhī bhī sēvā kar rahē haĩ lēkin sirph yē pakkā niśhchay kar lō ki ham haĩ hī yōgī ātmāyē̃ . Sadā yōgī haĩ . Śharīr K|kē taraph svapn mātra bhī saṅkalp nahī̃ jāyē . Tō kumār kamāl karnā , bāpdādā āpkā check karkē group banāyēgā . Achchhā  !

Pravr̥itti vālō̃ sē

Pravr̥itti vālō̃ sē bāpdādā kō ēk śhubh āśhā hai jō abhī tak pravr̥itti vālō̃ nē pūrī nahī̃ kī hai . Vō kyā hai  ? Sēvā mē̃ mātāyē̃ bahut chāhiyē aur jahā̃ mātā hai vahā̃ dādiyā̃ bhī nirsaṅkalp hō jātī haĩ . Lēkin pravr̥itti vālī mātāyē̃ nikaltī bahut cum|kam haĩ . Jaisē kumāriyō̃ key|kī training rakhtē haĩ aisē mātāō̃ kō 15 din key|kī training dēkar K|kē ēk mās , dō mās , tīn mās sēvā key|kī trial karō , chāhē bhārat K|kē kisī bhī dēśh mē̃ mātāyē̃ jō haĩ vō apnē kō free karē̃ , dō mās , chār mās , chah mās kisī bhī ḍhaṅg sē mātāyē̃ sēvā mē̃ āgē āyē̃ tō sēvā bahut kar saktī haĩ . Abhī nimantraṇ hōtē huē bhī centre nahī̃ khultē haĩ . Kāraṇ  ? Akēlī chhōṭī-chhōṭī kumārī samay pramāṇ nahī̃ rakh saktē . Aur mātā hō tō ēk mās mē̃ āp dēkhō kitnē centre khul jātē haĩ . Tō mātāō̃ mē̃ yē himmat nahī̃ hai . Kiskō pōtrā , kiskō dhōtrā , kiskō pati , kōī na kōī bandhan hai . Mātāō̃ mē̃ jōśh ānā chāhiyē . Pravr̥itti kō sambhālē̃ lēkin ēk-dō mē̃ sāthī ban karkē , ēk-dō K|kē madadgār bankē pahlē dō mās , tīn mās nikalō phir sēvā kā ras baiṭh jāyēgā tō āpkō āp hī nirbandhan karēgā . Tō pravr̥itti vālē pāṇḍav mātāō̃ K|kē kisī bhī ḍhaṅg sē madadgār ban mātāō̃ kō sēvā kē liē svatantr karō . Lēkin abhī tak yah āśh bāp key|kī pravr̥itti vālō̃ nē pūrī nahī̃ key|kī . Diamond jubilee mē̃ karnā . Samjhā pravr̥itti vālō̃ nē . Achchhā  !

Double vidēśhiyō̃ sē

Dēkhō double vidēśhiyō̃ kō full season mē̃ ānē kā chance hai , kōī bhī group aisā nahī̃ hai jismē̃ double vidēśhī na hō . Tō yē extra double vidēśhiyō̃ kō chance milā huā hai . Is season mē̃ ānā achchhā lagtā hai  ? Indian season mē̃ ānē mē̃ mazā ātā hai  ? Kyōṅki dēkhō vidēśh kō vaisē bhī bhārat dēśh mē̃ samā hī jānā hai . Satyug mē̃ America aur london nahī̃ hōgā . Bhārat mē̃ hī samā jāyēṅgē . Viśhva ēk hō jāyēgī . Double vidēśh aur bhārat yē alag nahī̃ hōgā . East aur west|waste dōnō̃ milkar ēk viśhva hō jāyēgā . Tō pīchhē tō ānā hī hai isliē abhī sē apnā hak rakh dētē haĩ . Achchhā . Bhārat vālō̃ kō bhī khuśhī hōtī hai aur āp lōgō̃ kō bhī khuśhī hōtī hai . Dōnō̃ kō khuśhī hōtī hai . Bākī vidēśh mē̃ bhī jō chārō̃ ōr sēvā chal rahī hai tō samāchār tō ātē rahtē haĩ tō result mē̃ chārō̃ ōr umaṅg-utsāh achchhā hai aur result bhī achchhī hai . Abhī kuchh taraph key|kī result mē̃ class mē̃ student baṛhē haĩ tō yē sēvā key|kī saphaltā hai . Samjhā  ? Jinhō̃ nē bhī sēvā K|kē patra yā apnē avasthā K|kē patra , diamond jubilee K|kē umaṅg-utsāh K|kē patra bhējē haĩ un sabhī kō bāpdādā return mē̃ padmaguṇā sē bhī jyādā yād-pyār dē rahē haĩ . Vidēśh mē̃ bhī abhī student baṛh rahē haĩ nā  ! Vidēśh K|kē chārō̃ ōr sē āyē haĩ . Aur is varṣh dēśh-vidēśh dōnō̃ milkar programme kar rahē haĩ yē bahut achchhā hai . Aur aisē hī sadā milkar ēk rāy sē āgē baṛhtē rahē̃gē .

( phir bāpdādā nē sabhī zone K|kē bhāī-bahinō̃ sē alag-alag hāth uṭhvākar milan manāyā . Dillī mē̃ diamond jubilee K|kē uplakṣhya mē̃ nikālī gaī jhāṅkiyō̃ kā samāchār bāpdādā nē sunā )

Achchhā hai dillī kā samāchār bhī sunā tō diamond jubilee key|kī jō śurūvāt hai vō bahut achchhī huī . Tō achchhā hī kiyā , dillī vālō̃ nē chaturāī key|kī ki pahlē karē̃gē tō dādiyā̃ milē̃gī aur sāth mē̃ karē̃gē tō dādiyā̃ nahī̃ milē̃gī . Chaturāī achchhī key|kī . Aur dillī tō āp sabkī hai nā  ! Rājya dillī par karē̃gē yā london mē̃  ? Dillī sabkī hai . Kitnē bār dillī mē̃ rājya kiyā hai  ? Anginat bār . Tō āpkī hō gaī nā  ! Isīliē sthāpanā key|kī sēvā bhī dillī mē̃ jamunāghāṭ par huī . Rājya bhī jamunāghāṭ par karnā hai tō ārambh bhī jamunāghāṭ sē huā . Mēhnat key|kī lēkin rājya kā chhāp tō lagā diyā nā . Tō achchhā hai , aur bhī sab taraph K|kē bhī programme achchhē banāyē haĩ , abhī practical hōṅgē tō bahut achchhā . Jō abhī plan banā rahē haĩ tō achchhē tē achchhā banā rahē haĩ aur saphaltā tō hōnī hī hai .

Achchhā , pīchhē vālē achchhē baiṭhē haĩ  ? Bāpdādā tō jyādā pīchhē hī dēkhtē haĩ . Kyōṅki pīchhē agar dēkhtē haĩ nā tō āgē āpēhī ā jātē haĩ . Achchhā .

Chārō̃ ōr K|kē bālak sō mālik double adhikār lēnē vālē śhrēṣhṭh ātmāyē̃ , sadā svarājya adhikārī ban apnā rājya chalānē vālē bhāgyavān ātmāyē̃ , sadā bāp K|kē saṅskār sō mērē saṅskār is vidhi sē sēvā mē̃ āgē baṛhnē vālē śhrēṣhṭh sēvādhārī ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād pyār aur namastē .

Dādiyō̃ sē

Jitnī zimmēvāriyā̃ baṛhtī haĩ utnā hī extra duāē̃ aur bāp kā pyār baṛhtā jātā hai nā  ! Lēkin zimmēvāriyā̃ haĩ , bāp K|kē hisāb sē bahut haĩ . Āpkī madadgār tō bāp key|kī bhujāyē̃ haĩ hī . Phir bhī zimmēvāriyā̃ haĩ aur rahnī hai . Bahut zimmēvāriyā̃ hai nā  ! Āp lōg kyā samajhtē hō  ? Ēk kē ūpar bahut jimmēvāriyā̃ hai nā  ! Bahut jimmēvārī hai nā  ! ( zimmēvārī tō bābā āpkī hai iśhārā miltā ham sab kartē haĩ ) yē tō achchhī bāt hai āp double light haĩ aur double light hōnē K|kē kāraṇ āpkō lagtī nahī̃ haĩ . Yē extra bāp aur mā̃ dōnō̃ key|kī andar key|kī madad hai . Kyōṅki māt-pitā jagadambā aur brahmā bāp dōnō̃ key|kī jimmēvāriyā̃ sthūl mē̃ āpkē ūpar haĩ . Sūkṣhma mē̃ tō sāth hai lēkin bāhar sē tō nimitt āp haĩ . Isīliē āpsē sabhī kā śhuddha pyār jyādā hai . Dādiyō̃ kā bhī hai , viśhva kā bhī hai .

Achchhā . Ōm śhānti .