गुरुवार 6 मार्च 1997 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

06-03-97 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Śhivjayantī key|kī gift - mēhnat kō chhōṛ muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūlō

Āj svayã śhiv pitā apnē chārō̃ ōr K|kē āyē huē bachchō̃ sē apnī jayanti manānē āyē haĩ . Kitnā bachchō̃ kā bhāgya hai jō svayã bāp milnē aur manānē āyē haĩ . Duniyā vālē tō pukārtē rahtē haĩ - āō , kab āyēṅgē , kis rūp mē̃ āyēṅgē , āhvān kartē rahtē haĩ aur āp bachchō̃ sē svayã bāp manānē kē liē āyē haĩ . Aisā vichitr dr̥iśhya kabhī svapn mē̃ bhī nahī̃ sōchā hōgā , lēkin āj sākār rūp mē̃ manānē kē liē bhāg-bhāg kar pahuñch gayē hō . Bāp bhī chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ kō dēkh harṣhit hōtē haĩ - vāh sāligrām bachchē vāh  ! Vāh sākār svarūpadhārī hōvanhār phariśhtā sō dēvtā bachchē vāh  ! Bhakta bachchō̃ aur āp gyānī tū ātmā bachchō̃ mē̃ kitnā antar hai . Bhagat bhāvnā kā , alpkāl kā phal pākar khuśh hō jātē haĩ . Vāh-vāh K|kē gīt gātē rahtē haĩ aur āp gyānī tū ātmāyē̃ bachchē thōṛā sā alpkāl kā phal nahī̃ pātē lēkin bāp sē pūrā varsā lē , varsē K|kē adhikārī ban jātē hō . Tō bhakta ātmāyē̃ aur gyānī tū ātmā bachchō̃ mē̃ kitnā antar hai  ! Manātē bhakta bhī haĩ aur manānē āp bhī āyē haĩ lēkin manānē mē̃ kitnā antar hai  ! Śhiv jayantī manānē āyē hō nā  ! Bhāg-bhāg kar āyē haĩ kōī America sē , kōī london sē , kōī Australia sē , kōī ēśhiyā sē , kitnā snēh sē ākar pahuñchē haĩ . Tō bāpdādā , bāp key|kī jayantī sāth mē̃ bachchō̃ key|kī bhī jayantī hai , tō bāp kē sāth bachchō̃ K|kē bhī jayantī key|kī mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō . Kyōṅki akēlā bāp is sākār duniyā mē̃ sivāē bachchō̃ K|kē kōī bhī kārya kar nahī̃ saktā . Itnā bachchō̃ sē pyār hai . Akēlā kar hī nahī̃ saktā . Pahlē bachchō̃ kō nimitt banātē phir backbone hōkar vā combined hōkar , karāvanhār hōkar nimitt bachchō̃ sē kārya karātē haĩ . Sākār duniyā mē̃ akēlā , bachchō̃ K|kē binā nahī̃ pasand kartā . Nirākārī duniyā mē̃ tō āp bachchē bāp kō akēlā chhōṛkar chalē jātē hō . Bāp key|kī āgyā sē hī jātē hō lēkin sākār duniyā mē̃ bāp bachchō̃ K|kē binā rah nahī̃ saktē . Bachchē jarūr sāth chāhiē . Bachchō̃ kā bhī vāydā hai sāth rahē̃gē , sāth chalē̃gē - sirph nirākārī duniyā tak .

Bāpdādā dēkh rahē thē ki sabhī bachchō̃ kō bāp key|kī jayantī manānē kā kitnā umaṅg-utsāh hai . Tō bāp bhī dēkhō bachchō̃ K|kē snēh mē̃ āpkē sāth sākār śharīr kā loan lēkar pahuñch gayē haĩ . Iskō kahtē haĩ alaukik pyār . Bachchē bāp K|kē binā nahī̃ rah saktē aur bāp bachchō̃ K|kē binā nahī̃ rah saktē . Pyār bhī ati hai aur phir nyārē bhī ati haĩ , isīliē bāp key|kī mahimā hī hai nyārā aur pyārā . Bachchē bāp kē liē bahut prakār key|kī gift chāhē card , chāhē kōī chīzē , chāhē dil K|kē umaṅg K|kē patra , jō bhī lāyē haĩ bāp kē pās āj K|kē din vatan mē̃ sab gift kā museum lagā huā hai . Āpkā museum hai sēvā kā aur bāp kā museum hai snēh kā . Tō jō bhī sabhī lāyē haĩ vā bhējē haĩ sabkā snēh sampann gift bāp kē pās abhī bhī museum lagā huā hai . Jinhō̃ kō dēkh-dēkh bāp harṣhit rahtē haĩ . Chīz baṛī nahī̃ hai lēkin jab chīz mē̃ snēh bhar jātā hai tō vah chhōṭī chīz bhī bahut mahān ban jātī hai . Tō bāpdādā chīz kō nahī̃ dēkhtē haĩ , kāgaj K|kē card kō yā patra kō nahī̃ dēkhtē haĩ lēkin usmē̃ samāyē huē dil K|kē snēh kō dēkhtē haĩ . Isīliē kahā ki bāp kē pās snēh kā museum hai . Aisā museum āpkē world mē̃ nahī̃ hai . Hai aisā museum  ? Nahī̃ hai . Jab bāp ēk - ēk pyār key|kī gift kō dēkhtē haĩ tō dēkhtē hī bachchē key|kī sūrat usmē̃ dikhāī dētī hai . Aisā camera hai āpkē pās|pass  ? Nahī̃ hai . Gift kō dēkhtē huē bāpdādā kō ēk śhubh saṅkalp uṭhā , batāyē̃  ? Karnā paṛēgā . Karē̃gē , taiyār haĩ  ? Sōchnā nahī̃ .

Bāpdādā kō saṅkalp uṭhā yah gift tō bāp kē pās pahuñch gaī lēkin sāth mē̃ bāpdādā kō ēk aur bhī gift chāhiē . Āp lōgō̃ key|kī gift bahut achchhī hai lēkin bāpdādā kō aur bhī chāhiē . Tō dēgē gift  ? Vaisē bhī yah jō yādgār manātē haĩ , śhiv jayantī arthāt kuchh na kuchh arpaṇ kartē haĩ . Balihār jātē haĩ . Tō bāpdādā nē sōchā , balihār tō sab bachchē gayē haĩ . Balihār hō gayē haĩ yā abhī thōṛā-thōṛā apnē pās|pass sambhālkar rakhā hai  ? Āj K|kē din vrat bhī lētē haĩ . Tō bāpdādā kō saṅkalp āyā ki bachchē jō kabhī-kabhī thōṛā sā chaltē-chaltē thak jātē haĩ , mēhnat bahut mahsūs kartē haĩ yā nirantar yōg lagānā muśhkil anubhav kartē haĩ , sōchtē haĩ hō tō jāyēgā … bāp kō dilāsē dētē haĩ - āp phikar nahī̃ karō , hō jāyēgā . Lēkin bāpdādā kō bachchō̃ key|kī thakāvaṭ vā akēlāpan yā kabhī-kabhī , kōī-kōī thōṛā sā dilśhikasta bhī hō jātē haĩ , patā nahī̃ hamārā bhāgya hai yā nahī̃ hai … kabhī-kabhī aisā sōchtē haĩ tō yah bāp kō achchhā nahī̃ lagtā . Sabsē jyādā bāp kō bachchō̃ key|kī mēhnat achchhī nahī̃ lagtī . Mālik aur mēhnat  ! Bāp K|kē bhī bālak sō mālik haĩ . Bhagvān K|kē bhī mālik aur phir mēhnat karē̃  ! Tō achchhā lagēgā  ? Sunnā bhī achchhā nahī̃ lagtā . Tō bāp kō saṅkalp āyā ki bachchē birth day key|kī gift tō jarūr dētē hī haĩ tō kyō̃ nahī̃ āj K|kē din sabhī bachchē yah gift K|kē rūp mē̃ dē̃ . Vah sthūl gift jō dī|the vah tō vatan mē̃ emerge hō gaī , lēkin nirākārī duniyā mē̃ tō yah gift emerge nahī̃ hōgī . Vahā̃ tō saṅkalp key|kī gift pahuñchtī hai . Tō bāp kō saṅkalp āyā ki āj K|kē din sab bachchō̃ sē gift lēnī hai . Tō gift dēgē yā dēkar phir vahā̃ jākar vāpas lē lē̃gē  ? Kahē̃gē , madhuban kā madhuban mē̃ rahā aur apnē dēśh mē̃ apnā dēśh hai , aisē tō nahī̃ karē̃gē  ? Bachchē baṛē chatur hō gayē haĩ . Bāp kō kahtē haĩ ki ham chāhtē tō nahī̃ haĩ vāpas āyē , lēkin ā jātī hai . Ā jātī hai tō āp svīkār kyō̃ kartē hō  ? Ā jātī hai yah right hai , lēkin kōī chīz āpkō pasand nahī̃ hai aur kōī jabardastī bhī dē tō āp lē̃gē yā vāpas dē dēgē  ? Vāpas dēgē nā  ? Tō svīkār kyō̃ kartē hō  ? Māyā tō vāpas lāyēgī lēkin āp svīkār nahī̃ karō . Aisī himmat hai  ? Sōchkar kahō . Phir vahā̃ jākar nahī̃ kahnā - bābā kyā karū̃ , chāhtē nahī̃ haĩ lēkin hō gayā . Aisē patra tō nahī̃ likhē̃gē  ? Āpkī himmat aur bāp key|kī madad . Himmat cum|kam nahī̃ karnā phir dēkhō bāp key|kī madad miltī hai yā nahī̃ . Sabhī kō anubhav bhī hai ki himmat rakhnē sē bāp key|kī madad samay par miltī hai aur milnī hī hai , guarantee hai . Himmat āpkī madad bāp key|kī . Tō saṅkalp kyā huā  ? Chēhrē dēkh rahē haĩ - himmat hai yā nahī̃ hai  ! Himmat vālē tō hō , kyōṅki agar himmat nahī̃ hōtī tō bāp K|kē bantē nahī̃ . Ban gayē - issē siddha hōtā hai ki himmat hai . Sirph chhōṭī see|sī|C bāt kartē hō ki samay par himmat kō thōṛā sā bhūl jātē hō . Jab kuchh hō jātā hai nā tō pīchhē himmat vā madad yād ātī hai . Samay par sab śhaktiyā̃ , samay pramāṇ use karnā iskō kahā jātā hai gyānī tū ātmā , yōgī tū ātmā .

Bāpdādā kō ēk bāt key|kī bahut khuśhī hai , patā hai kis bāt key|kī  ? Bōlō . ( bahutō̃ nē sunāyā ) sab ṭhīk bōl rahē hō lēkin bāp kā saṅkalp aur hai . Āp bahut guhya sunā rahē hō , knowledgeful hō gayē hō nā .

Bāpdādā khuśh hō rahē thē ki kaī bachchō̃ nē patra aur chiṭkī likhī hai ki ham 108 mē̃ āyēṅgē , bahut chiṭkiyā̃ āī haĩ . Bāpdādā nē sōchā jab itnē 108 mē̃ āyēṅgē , tō 108 key|kī mālā pāñch laṛiyō̃ key|kī banānī paṛēgī . Tō 5 - 6-7-8 laṛiyō̃ key|kī mālā banāyē̃ nā  ? Jinhōnnē saṅkalp kiyā hai , lakṣhya rakhā hai bahut achchhā hai . Lēkin sirph is saṅkalp kō bīch-bīch mē̃ dr̥iṛh kartē rahnā . Ḍhīlā nahī̃ karnā . Aisē tō nahī̃ kahē̃gē māyā ā gaī - ab patā nahī̃ āyēṅgē yā nahī̃  ! Patā nahī̃ , patā nahī̃ … nahī̃ karnā . Patā kar liyā , ānā hī hai . Dr̥iṛhtā kā ṭhappā lagātē rahnā . Hā̃ mujhē ānā hī hai , kuchh bhī hō jāē , mērā niśhchay aṭal hai , akhaṇḍ hai . Aisā aṭal-akhaṇḍ niśhchay hai  ? Tō māyā kō hilānē kē liē bhējē̃  ? Nahī̃  ? Ḍartē hō  ? Māyā āpsē ḍartī hai aur āp māyā sē ḍartē hō  ? Māyā apnē darvājē dēkhtī hai , yahā̃ khulā huā hai , yahā̃ khulā huā hai . Ḍhūṇḍhtī rahtī hai . Āp ghabrātē kyō̃ hō  ? Māyā kuchh nahī̃ hai . Kuchh nahī̃ kahō tō kuchh nahī̃ hō jāyēgī . Ā nahī̃ saktī , ā nahī̃ saktī , tō ā nahī̃ saktī . Kyā karē̃ …  ? Tō māyā kā darvājā khōlā , āhvān kiyā . Tō achchhī bāt hai ki bahut bachchō̃ nē 108 mē̃ ānē key|kī promise kiyā hai . Kiyā hai nā  ? Jinhōnnē kahā hai ki ham 108 mē̃ āyēṅgē - vah lambā hāth uṭhāō . Achchhī tarah sē drill karō . Bahut achchhā , mubārak hō . Yah nahī̃ sōchō ki 108 mē̃ kitnē āyēṅgē , ham kahā̃ āyēṅgē - yah nahī̃ sōchō . Pahlē gintī karnē lag jātē haĩ - dādī āyēṅgī , dīdī āyēṅgī , phir dādē bhī āyēṅgē , advance party vālē bhī āyēṅgē . Hamārā number āyēgā yā nahī̃ , patā nahī̃  ! Bāpdādā nē kahā ki bāpdādā 8-10 laṛō̃ key|kī mālā banā dēgē , isliē āp yah chintā nahī̃ karō . Aurō̃ kō nahī̃ dēkhō , āpkō number mil hī jānā hai , yah bāp key|kī guarantee hai . Āp kinārā nahī̃ karnā . Mālā K|kē bīch mē̃ dhāgā khālī nahī̃ karnā . Ēk dānā bīch sē ṭūṭ jāē , nikal jāē tō mālā achchhī nahī̃ lagēgī . Sirph yah nahī̃ karnā , bākī bābā key|kī guarantee hai āp jarūr āyēṅgē .

Āj tō manānē āyē haĩ , murlī chalānē thōṛēhī āyē haĩ . Tō aur jō bhī hō vah mālā mē̃ ā jāō , 108 key|kī mālā mē̃ sabkō welcome hai . Yah tō bhakti mārg vālō̃ nē 108 key|kī mālā banā lī . Bāpdādā tō kitnī bhī baṛhā saktā hai . Sirph ismē̃ gift tō bāp jarūr lēgā , gift kō nahī̃ chhōṛēgā . Chhōṭī see|sī|C gift hai kōī baṛī nahī̃ hai , kyōṅki bāp nē sabhī bachchō̃ kā 6 mās kā chart dēkhā . Tō kyā dēkhā  ? Agar kōī bhī bachchē thōṛā bhī nīchē-ūpar hōtē haĩ , achal sē halchal mē̃ ātē haĩ tō uskā kāraṇ sirph 3 bātē̃ mukhya haĩ , vahī tīn bātē̃ bhinn-bhinn samasyā yā paristhiti bankar ātī haĩ . Vah tīn bātē̃ kyā haĩ  ?

Aśhubh vā vyarth sōchnā . Aśhubh vā vyarth bōlnā aur aśhubh vā vyarth karnā . Sōchnā , bōlnā aur karnā - ismē̃ time west|waste bahut hōtā hai . Abhī vikarma kam hōtē haĩ , vyarth jyādā hōtē haĩ . Vyarth kā tūphān hilā dētā hai aur pahlē sōch mē̃ ātā hai , phir bōl mē̃ ātā hai , phir karma mē̃ ātā hai aur result mē̃ dēkhā tō kisī kā bōl aur karma mē̃ nahī̃ ātā hai lēkin sōchnē mē̃ bahut ātā hai . Jō samay banānē kā hai , vah sōchnē mē̃ bīt jātā hai . Tō bāpdādā āj yah tīn bātē̃ sōchnā , bōlnā aur karnā - inkī gift sabhī sē lēnē chāhtē haĩ . Taiyār haĩ  ? Jinhōnnē dē dī vah hāth uṭhāō . Hāth kā video achchhī tarah sē ēk-ēk side kā nikālō . Baṛā hāth uṭhāō . Drill nahī̃ kartē hō isīliē mōṭē hō jātē hō . Acchā-sabhī nē yah dē diyā . Vāpas nahī̃ lēnā . Yah nahī̃ kahnā ki mukh sē nikal gayā , kyā karē̃  ? Mukh par dr̥iṛh saṅkalp kā button lagā dō . Dr̥iṛh saṅkalp kā button tō hai nā  ? Kyōṅki bāpdādā kō bachchō̃ sē pyār hai nā . Tō pyār key|kī niśhānī hai , pyār vālē key|kī mēhnat dēkh nahī̃ saktē . Bāpdādā tō us samay yahī sōchtē ki bāpdādā sākār mē̃ jākar inkō kuchh bōlē , lēkin ab tō ākārī , nirākārī hai . Bilkul sabhī mēhnat sē dūr muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē rahō . Jab muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē rahē̃gē tō mēhnat samāpt hō jāyēgī . Mēhnat kō khatm karē̃ , khatm karē̃ nahī̃ sōchō . Sirph muhabbat K|kē jhūlē mē̃ baiṭh jāō , mēhnat āpēhī chhūṭ jāyēgī . Chhōṛnē key|kī kōśhiśh nahī̃ karō , baiṭhnē key|kī , jhūlnē key|kī kōśhiśh karō .

Śhiv jayantī arthāt bachchō̃ K|kē mēhnat samāpt kī jayantī . Ṭhīk hai nā  ? Bāp kō bhī bachchō̃ par faith hai . Patā nahī̃ kaisē kōī-kōī kinārā kar lētē haĩ jō bāp kō bhī patā nahī̃ paṛtā . Chhatrachhāyā K|kē andar baiṭhē rahō . Brāhmaṇ jīvan kā arth|earth hī hai jhūlnā , māyā mē̃ nahī̃ . Māyā bhī jhulātī hai . Amr̥itvēlē dēkhō māyā aisē jhulātī hai jō sūkṣhmavatan mē̃ ānē kē bajāē , nirākārī duniyā mē̃ ānē kē bajāē nidrālōk mē̃ chalē jātē haĩ . Kahtē haĩ yōg double light banātā hai lēkin māthā bhārī hō jātā hai . Tō māyā bhī jhūlā jhulātī hai lēkin māyā K|kē jhūlē mē̃ nahī̃ achānak K|kē paper mē̃ pās|pass hōnā hai tō albēlēpan kō chhōṛ alert banō . 42 jhūlnā . Ādhākalp tō māyā K|kē jhūlē mē̃ khūb jhūlkar dēkhā hai nā . Kyā milā  ? Milā kuchh  ? Thak gayē nā  ! Abhī atīndriya sukh K|kē jhūlē mē̃ jhūlō , khuśhī K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . Śhaktiyō̃ key|kī anubhūtiyō̃ K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . Itnē jhūlē āpkō milē haĩ jō yahā̃ K|kē prince-princess kō bhī nahī̃ hōṅgē . Chāhē jis jhūlē mē̃ jhūlō . Abhī prēm K|kē jhūlē mē̃ jhūlō , abhī ānand K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . Abhī gyān K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . Kitnē jhūlē haĩ  ! Anginat . Tō jhūlē sē utarō nahī̃ . Jō lāḍlē hōtē haĩ nā tō māmbāp yahī chāhtē haĩ ki bachchē kā pāṅw miṭṭī mē̃ nahī̃ paṛē yā gōdī mē̃ hō yā jhūlē mē̃ hō yā galīchō̃ mē̃ hō . Miṭṭī mē̃ pāṅw nahī̃ jāyē . Aisē hōtā hai nā  ? Tō āp kitnē lāḍlē hō  ! Āp jaisā lāḍlā kōī hai  ? Paramātma lāḍlē bachchē agar dēhbhān mē̃ ātē haĩ tō dēh kyā hai  ? Miṭṭī hai nā  ! Dēh kō kyā kahtē haĩ  ? Miṭṭī , miṭṭī mē̃ mil jāyēgī . Tō yah miṭṭī hai nā . Miṭṭī mē̃ pāṅw kyō̃ rakhtē hō  ? Miṭṭī achchhī lagtī hai  ? Kaī bachchō̃ kō miṭṭī achchhī lagtī hai , kaī miṭṭī khātē bhī haĩ . Lēkin āp nahī̃ khānā , pāṅw bhī nahī̃ rakhō . Saṅkalp ānā arthāt pāṅw rakhnā . Saṅkalp mē̃ bhī dēh-bhān nahī̃ āvē . Sōchō , yād rakhō ki ham kitnē lāḍlē haĩ , kiskē lāḍlē haĩ  ! Satyug mē̃ bhī paramātma lāḍlē nahī̃ hōṅgē . Divya ātmāō̃ K|kē lāḍlē hōṅgē . Lēkin is samay paramātma bāp K|kē lāḍlē hō . Tō bachchō̃ nē himmat K|kē hāth sē gift dī|the isliē bāpdādā uskī thanks kartē haĩ , śhukriyā , dhanyavād .

Achchhā - āj double vidēśhiyō̃ kā viśhēṣh din hai . Āyē bhī bahut haĩ . Jō double vidēśhī baiṭhē haĩ vah hāth uṭhāō . Hall|hāl mē̃ paunā hissā double vidēśhī haĩ . Bāp bhī svāgat kartē haĩ bhalē āyē , sadā āō . Dēkhō , bachchē baṛhtē jātē haĩ aur pr̥ithvī chhōṭī hōtī jātī hai . Jab yah hall|hāl banā thā tō sōchtē thē itnā hall|hāl bharēgā  ? Abhī hall|hāl tō kyā lēkin kitnī nīchē gītā pāṭhśhālāyē̃ ban gaī haĩ . Bahut bachchē nīchē baiṭhē haĩ . ( madhuban mē̃ murlī sun rahē haĩ ) abhī dēkhō nīchē ( śhāntivan ) kā hall|hāl banāyā tō bhī kahtē haĩ ki saṅkhyā dēnī paṛēgī . Itnā baṛā hall|hāl kyō̃ banāyā  ? Saṅkhyā dēnē kē liē yā freedom dēnē kē liē  ? Issē kyā siddha hōtā hai  ? Āp sabhī kō viśhva kā mālik bannā hai . Tō viśhva kā mālik bannē vālē itnē baṛē , unkē liē sab chhōṭā hō jātā hai . Hall|hāl tō kuchh bhī nahī̃ hai , sārī viśhva āpkō milnī hī hai .

( bāpdādā nē drill karāī ) man K|kē mālik hō nā  ! Tō second mē̃ stop , tō stop hō jāē . Aisā nahī̃ āp kahō stop aur man chaltā rahē , issē siddha hai ki mālikpan key|kī śhakti cum|kam hai . Agar mālik śhaktiśhālī hai tō mālik K|kē direction binā man ēk saṅkalp bhī nahī̃ kar saktā . Stop , tō stop . Chalō , tō chalē . Jahā̃ chalānē chāhō vahā̃ chalē . Aisē nahī̃ ki man kō bahut samay key|kī vyarth taraph chalnē key|kī ādat hai , tō āp chalāō śhuddha saṅkalp key|kī taraph aur man jāyē vyarth key|kī taraph . Tō yah mālik kō mālikpan mē̃ chalānā nahī̃ ātā . Yah abhyās karō . Check karō stop kahnē sē , stop hōtā hai  ? Yā kuchh chalkar phir stop hōtā hai  ? Agar gāṛī mē̃ brake lagānī hō lēkin kuchh samay chalkar phir brake lagē , tō vah gāṛī kām kī hai  ? Ḍrāiv karnē vālā yōgya hai ki accident karnē vālā hai  ? Brake , tō phauran second mē̃ brake lagnī chāhiē . Yahī abhyās karmātīt avasthā K|kē samīp lāyēgā . Saṅkalp karnē K|kē karma mē̃ bhī full pass . Karmātīt kā arth|earth hī hai her|har subject mē̃ full pass . 75 percent , 90 percent bhī nahī̃ , full pass . Yah avasthā tab āyēgī jab apnē anubhav mē̃ sarv śhaktiyō̃ kā stock practical use mē̃ āvē . Pahlē bhī sunāyā - sarv śhaktiyā̃ bāp nē dī|the , āpnē lī lēkin samay par use hōtī haĩ yā nahī̃ , sirph stock hī hai  ! Sirph stock hai lēkin samay par use nahī̃ huā tō hōnā yā na hōnā ēk hī bāt hai . Yah anubhav karō paristhiti bahut nājuk hai lēkin order diyā man buddhi kō ki nyārē hōkar khēl dēkhō tō paristhiti āpkē is achal sthiti K|kē āsan kē nīchē dab jāyēgī . Sāmnā nahī̃ karēgī . Āsan nahī̃ chhōṛō , āsan mē̃ baiṭhnē kā abhyās hī siṃhāsan prāpt karāyēgā . Agar āsan par baiṭhnā nahī̃ ātā hai , kabhī-kabhī baiṭhnā ātā hai tō siṃhāsan mē̃ bhī kabhī-kabhī baiṭhē̃gē . Āsan hī siṃhāsan prāpt karātā hai . Ab āsan hai phir siṃhāsan hai . Halchal vālā āsan par ēkāgr hōkar baiṭh nahī̃ saktā . Isīliē kahā vyarth samāpt , aśhubh samāpt - tō achal hō jāyēṅgē aur achal sthiti K|kē āsan par sahaj aur sadā sthit hō sakē̃gē . Dēkhō āp sabkā yādgār yahā̃ achalghar hai . Achalghar dēkhā hai nā  ? Yah kiskā yādgār hai  ? Āp sabkē sthiti kā yādgār yah achalghar hai . Anubhav karō , trial kartē jāō , use kartē jāō . Aisē nahī̃ samajh lēnā , hā̃ sab śhaktiyā̃ tō haĩ hī . Samay par use hō̃ . Use nahī̃ karē̃gē tō laukik kārya kartē samay par dhōkhā mil saktā hai . Isliē chhōṭī-mōṭī paristhiti mē̃ use karkē dēkhō . Paristhitiyā̃ tō ānī hī haĩ , ātī bhī haĩ . Pahlē bhī bāpdādā nē kahā hai ki vartamān samay anubhav kartē huē chalō . Her|har śhakti kā anubhav karō , her|har guṇ kā anubhav karō . Aisē anubhavī mūrt banō jō kōī bhī āvē tō āpkē anubhav key|kī madad sē us ātmā kō prāpti hō jāē . Din-pratidin ātmāyē̃ śhaktihīn hō rahī haĩ , hōtī rahē̃gī . Aisī ātmāō̃ kō āp apnī śhaktiyō̃ key|kī anubhūti yō̃ sē sahārā ban anubhav karāyēṅgē . Achchhā . Mālik haĩ nā  ! Tō mālēkam salām , bāp kahtē haĩ - mālikō̃ kō salām . Achchhā .

( 66 dēśhō̃ sē bābā K|kē bachchē āyē haĩ ) 66 dēśhō̃ K|kē bachchō̃ kō padamguṇā mubārak hō . Ākhir tō viśhva mē̃ āp hī chārō̃ ōr phail jāyēṅgē . Jahā̃ dēkhē̃gē vahā̃ saphēd vastradhārī phariśhtē dikhāī dēgē . Achchhā .

America  : America K|kē kitnē dēśhō̃ sē āyē haĩ  ? ( 19 ) 19 dēśhō̃ K|kē hāth uṭhāō . America kyā jalvā dikhāyēṅgē  ? Dēkhō nām bahut achchhā hai - America mānā ā mērē ā . Tō America sabhī khōyē huē bachchō̃ kō ā mērē , ā mērē kahkē bāp kā banā dēgē . Aisē hai nā  ? Baṛh rahē haĩ nā vahā̃  ? Baṛhtē rahē̃gē .

Aphrīkā  : ( aphrīkā K|kē 13 dēśh vālē āyē haĩ ) sab hāth uṭhāō . Ismē south aphrīkā , Mauritius bhī hai  ? Aphrīkā kyā karē̃gē  ? Aphrīkā āphrīn K|kē lāyak banē̃gē . Sēvā kā aisā nagāṛā bajāyēṅgē jō chārō̃ ōr sē yahī nikalē āphrīn hai , āphrīn hai .

Ēśhiyā  : ( ēśhiyā K|kē 13 dēśhō̃ sē āyē̃ haĩ ) ēśhiyā kyā karēgā  ? Sarv ātmāō̃ key|kī āśhāyē̃ pūrī karē . Jab sab ātmāō̃ key|kī āśhāyē̃ pūrī hōṅgī tō sab kahē̃gē vāh ēśhiyā vāh  !

Europe  : ( Europe K|kē 17 dēśhō̃ sē āyē haĩ ) usmē̃ london bhī hai  ? Europe tō vidēśh kā foundation hai . Tō foundation sadā hī sabkī nazarō̃ mē̃ ātā hai ki foundation kitnā pakkā hai  ! Europe sē hī foundation phailā hai aur bhinn-bhinn śhākhāyē̃ phailī haĩ . Pahlē number mē̃ dō pattē nikaltē haĩ , jab bīj ḍāltē haĩ tō dō pattē nikaltē haĩ . Tō pahlē centre kaun sē nikalē  ? London aur sāth mē̃ hāṅgakāṅg . Tō dō pattō̃ key|kī hī kamāl huī nā . Dō pattō̃ sē tanā nikalā , tanā sē ḍāliyā̃ nikalī , ḍāliyō̃ sē śhākhāyē̃ nikalī aur double vidēśh kā vr̥ikṣha harā bharā hō gayā . Tō Europe K|kē dō pattē london aur hāṅgakāṅg kō bahut-bahut padamguṇā mubārak hō . ( Europe vālē hāth uṭhāō ) pahlē pattē haĩ tō vistār tō hōgā nā .

Middle east  : ( 3 dēśhō̃ sē āyē haĩ ) yah achchhē haĩ , abhī-abhī āgē baṛh rahē haĩ . Abhī thōṛē haĩ , abhī middle kō model lēnā chāhiē . Itnī sēvā baṛhāō jō sab dēśh vālē āpkō middle nahī̃ , model lēnē vālē kahē̃ . Baṛhāyēṅgē nā  ? Viśhva kā kalyāṇ hōnā hai tō middle vālō̃ kā kalyāṇ tō karnā hī hai . Nahī̃ tō viśhva kā ēk kōnā chhūṭā rah jāyēgā tō achchhā nahī̃ hai . Isīliē jab bhī kōī āpkō kahē nā middle east hai tō kahō nahī̃ model east hai .

Russia  : Russia K|kē total hāth uṭhāō . Achchhē haĩ . Russia vālē kyā karē̃gē  ? Russia mē̃ jyādā samay kamyunisṭa kā rājya rahā hai aur abhī Russia mē̃ dēvtāō̃ kā rājya hōgā kyōṅki bhārat K|kē najdīk hai nā . Tō bhārat K|kē āspās ā jāyēgā , svarg ban jāyēgā . Jō dūr dūr dēśh haĩ , vah dūr hōṅgē . Russia najdīk hai , tō dēvtāō̃ kā rājya abhī tō nahī̃ hai lēkin bahut samay kamyunisṭa kā rahā hai nā , abhī svatantr hai . Abhī phir rājā-rānī kā rājya hōgā . Rājā-rānī kā rājya pasand hai  ? Bahut achchhā . Vr̥iddhi bahut jaldī-jaldī hō rahī hai . Bāpdādā sēvā sē khuśh haĩ . Russia vālō̃ nē kahā thā nā ki ham bāpdādā kō phūlō̃ key|kī paṅkhuḍiyā̃ ḍālē̃gē , tō aisē hāth kar lō , dull gaī aur hī khuśhbū ā gaī . Dil K|kē snēh K|kē puṣhp bāp kē pās pahuñch gayē . Achchhā .

Australia-Australia hāth uṭhāō . Australia K|kē cum|kam āyē haĩ . Australia kō abhī first jānā hai . Australia mē̃ bāpdādā K|kē bahut achchhē ādi ratna haĩ lēkin abhī thōṛē gupta hō gayē haĩ . Bhaṭṭhī mē̃ chalē gayē haĩ . Abhī retreat house milā hai nā tō abhī bāhar āyēṅgē . Phir Australia kā jhuṇḍ dikhāī dēgā . Australia nakśhē mē̃ bahut baṛā hai tō brāhmaṇ parivār mē̃ bhī baṛā hōgā . Thōṛā bhaṭṭhī mē̃ pak rahē haĩ . Australia sē bāpdādā kā bahut pyār hai kyōṅki london aur Australia key|kī race thī , london sē bhī jyādā saṅkhyā Australia kī thī , abhī gupta hō gayē haĩ . Pratyakṣha hōṅgē . Abhī unknown haĩ , vēlanōn hō jāyēṅgē . Achchhā .

Double vidēśhī refresh hō gayē  ? Āpkē liē khās bāpdādā āyē haĩ . Double vidēśhiyō̃ sē double pyār hai .

First time vālō̃ sē  : first time vālē hāth uṭhāō . Bahut haĩ . Āj bāp key|kī jayantī hai tō āp jō pahlī bārī āyē haĩ , tō bāp unhō̃ kā bhī viśhēṣh āj K|kē din nayā birth day manā rahē haĩ . Birth day kā gīt gāō . Achchhā hai . Alaukik birth day key|kī padamguṇā mubārak hō , badhāī hō . Achchhā .

( āj śhivbābā K|kē birth day par brahmā bābā nē kaun see|sī|C gift bāp kō dī|the  ? )

Brahmā bāp nē sab pahlē hī dē dī hai , kuchh rakhā hī nahī̃ . Jab sampūrṇ banē̃ tab sab dē dī . Uskē pās|pass kuchh hai hī nahī̃ . Bachchō̃ kē pās chhipā huā hai tab tō dēgē . Abhī sirph brahmā bāp āp bachchō̃ kā intjār kar rahā hai . Rōz bā̃hē pasār kar āō bachchē , āō bachchē kahtē haĩ . Tō bāp samān banō aur chalō vatan mē̃ . Paramdhām kā darvājā hī nahī̃ khōltē haĩ . Āpkē liē rūkā huā hai . Brahmā bābā tō bīch-bīch mē̃ kahtē haĩ , darvājā khōlō , darvājā khōlō . Lēkin bāp kahtē haĩ abhī thōṛā rūkō , thōṛā rūkō .

Acchā-ḍabal vidēśhī sab achchhī tarah sē milē nā  ! Baṛā parivār tō baṛē parivār mē̃ sab bāṇṭnā paṛtā hai . Chhōṭē parivār mē̃ tō chhōṭē mē̃ bāṇṭā jātā hai . Baṛā hō gayā tō baṛē K|kē anusār hī bāṇṭā jātā hai . Āp sōchō baṛā nahī̃ hō tō rājya kis par karē̃gē  ! 5-10 par karē̃gē kyā  ? Itnē 108 mālā K|kē dānē taiyār hō gayē haĩ , tō lōg tō chāhiē jis par rājya karō . Isīliē baṛā parivār hōnā hī hai . Achchhā .

Chārō̃ ōr K|kē ati-ati bhāgyavān bachchē jō svayã śhiv bāp sē śivajayantī manā rahē haĩ , aisē padamguṇā tō kyā lēkin jitnā bhī jyādā mē̃ jyādā kahō vah bhī thōṛā hai . Aisē mahān bhāgyavān ātmāyē̃ , sadā bāp key|kī āgyā par her|har kadam rakhnē vālē bāp K|kē snēhī aur samīp ātmāyē̃ , sadā mālikpan K|kē achal āsan nivāsī sō bhaviṣhya siṃhāsan nivāsī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō , sadā bāp K|kē sāth-sāth mauj sē muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē huē sāth chalnē vālē aisē bāpdādā K|kē sāthī bachchō̃ kō bāpdādā kā birth day key|kī mubārak aur yādpyār svīkār hō , bāp kā sabhī mālikō̃ kō namastē .

Dādiyō̃ sē  : apnē-apnē āsan par baiṭh jāō , chhōṭī see|sī|C rāj darbār hai nā . Svarājya adhikārī rājāyē̃ apnī darbār mē̃ baiṭh jāō . ( sabhā sē ) āp sabhī kō bhī rāj darbār achchhī lagtī hai nā  ? Yah saṅgam key|kī darbār hai . Āp sabhī bhī nīchē nahī̃ baiṭhē hō , ūpar baiṭhē hō . Dēkhō yah siṃhāsan par haĩ aur āp sabhī dil K|kē siṃhāsan par haĩ . Yah siṃhāsan tō chhōṭā hai , dil kā siṃhāsan tō bahut baṛā hai .

( nirvair bhāī nē bāpdādā kō guldastā diyā aur mubārak dī|the ) āpkō bhī mubārak . Sabhī pāṇḍavō̃ key|kī taraph sē yah āpkī yād lē āyē isīliē pāṇḍavō̃ kō khās mubārak hō . Śhaktiyō̃ key|kī taraph sē tō bahut śhaktiyā̃ I|āī|eye hī haĩ isliē bahut-bahut mubārak .

Āp lōgō̃ kō naśhā rahtā hai nā ki ham siṃhāsan K|kē adhikārī haĩ  ? Āj phariśhtē aur kal takhtnaśhīn . Ēk ēk bachchā takhtnaśhīn bannā hī hai . Aisē nahī̃ samajhnā ham śhāyad prajā mē̃ jāyēṅgē , nahī̃ . Royal family mē̃ ānā hī hai . Jab bāp K|kē banē hō tō saṅgamyug K|kē varsē kē sāth chāhē rājā banō , chāhē royal family K|kē banō̃ . Bannā hī hai . Rājya parivār mē̃ ānā hī hai . Samjhā .

Double vidēśhiyō̃ K|kē bīch mē̃ bhāratvāsī chhip gayē haĩ . Bhāratvāsī hāth uṭhāō . Bhāratvāsī tō har ēk K|kē mukh par haĩ hī . Bhārat mahān hai , bhārat svarg hai , bhārat ūñchā hai . Tō bhāratvāsī tō ūñchē haĩ hī lēkin bhāratvāsī mahādānī haĩ , double vidēśhiyō̃ kō chance dētē haĩ isliē mahādānī bhavaḥ .

( bābā bhī bhārat kā hai ) bābā viśhva kā hai , sirph bhārat kā nahī̃ hai . Viśhva kalyāṇkārī hai , bhārat kā kalyāṇkārī tō chhōṭā hō jāyēgā . Viśhva kalyāṇkārī arthāt viśhva kā bāp hai . Bhārat tō had hō jāyēgī . Isliē bāp svarg mē̃ nahī̃ ātā , had hō jāyēgī nā . Bēhad kā bāp bēhad mē̃ hī rahtā hai . Double vidēśhī sadā sarv vardānō̃ sē bharpūr bhavaḥ . Bāpdādā jāntē haĩ kitnī mēhnat sē ēk-ēk dollar kahō yā jō bhī manī|money hai , vah jamā karkē ātē haĩ . Mēhnat aur muśhkilāt bhāratvāsiyō̃ kō hai , vidēśhiyō̃ kō tō plain|plane mē̃ baiṭhē aur ā gayē . Bhāratvāsiyō̃ kō tō train aur basō̃ mē̃ ānā paṛtā hai lēkin ēk-ēk dollar jamā karnē key|kī jō tact ( yukti ) hai , vah double vidēśhiyō̃ mē̃ jyādā hai .

Śhāntivan kē liē bhī apnē pēṭ key|kī rōṭī bachākar K|kē bhī kar rahē haĩ . Bāpdādā jāntē haĩ khud dāl rōṭī khāyēṅgē , śhāntivan mē̃ bhējē̃gē . Chāhē bhāratvāsī bhī , chāhē vidēśhī - sabkī gyān sarōvar chāhē śhāntivan mē̃ jān lagī huī hai . Dil sē pyār hai . ( āgē kyā hōnā hai  ? ) āgē bhī hō jāyēgā . Śhāntivan bhī abhī pūrā banā nahī̃ hai isīliē next nahī̃ kahtē haĩ .

( vināśh K|kē pahlē ēk-ēk kānṭīnēṇṭ mē̃ ēk-ēk bār bābā āyē ) dēkhō , drama . Bāp london mē̃ bhī āyē , lēkin madhuban key|kī mahimā tō madhuban kī hai . Āgē chalkar kyā hōtā hai , vah batānē sē majā khatm hō jāyēgā . Isīliē dēkhō āgē kyā hōtā hai  ! Achchhā , saugāt kō pārsal kar diyā  ! Vāpas nahī̃ lēnā . Acchā-ḍabal vidēśhī khuśh haĩ  ? Double vidēśhī sab ārām sē rahē huē haĩ  ? ( sabhī bhavan full haĩ ) kōī paṭrānī nahī̃ banē haĩ  ? Abhī paṭrānī banāyēṅgē . Āpkī jō aṭaichī hai nā , uskō bistarā banānā , kam sē kam takiyā tō ban saktā hai . Yah bhī dr̥iśhya achchhā hōgā nā , aṭaichī kā takiyā hōgā , sab ārām sē viṣhṇu K|kē māphik lēṭē huē hōṅgē . Kitnā achchhā hōgā . Double vidēśhiyō̃ kō paṭrānī jarūr banāyēṅgē . Dēkhō śhurū-śhurū mē̃ sthāpanā mē̃ pahlē yah sabhī viśhēṣh ātmāyē̃ tīn foot kī jagah par sōī haĩ . Chār foot bhī nahī̃ , tīn foot , paṭ mē̃ . Viśhēṣh mahārathī paṭ mē̃ sōtē thē tō jō ādi mē̃ huā vah āp ant mē̃ karē̃gē nā  ! Kāraṇ tō nahī̃ batāyēṅgē ki kamar mē̃ dard hō gayā  ? Jab kōī bhī dard hōtā hai nā tō doctors bhī kahtē haĩ - sīdhā-sīdhā paṭ jaisā sōō . Bed par nahī̃ sōō , sandal par sīdhā sōō tō health bhī ṭhīk hō jāyēgī . Yah tō sab ever ready haĩ . Double vidēśhī arthāt double ever ready . Achchhā . Khūb manāō .

( bāpdādā nē apnē hastō̃ sē jhaṇḍā laharāyā tathā sabkō śhivjayantī key|kī badhāīyā̃ dī|the )

Sabhī bachchō̃ nē śhiv pitā kā jhaṇḍā laharāyā . Aisē hī jaisē is hall|hāl mē̃ jhaṇḍā laharāyā hai , aisē sārē viśhva K|kē hall|hāl mē̃ yah nyārā aur pyārā jhaṇḍā jaldī sē jaldī laharāyēṅgē . Sabkē mukh sē , dil sē yahī gīt bajēgā , ā gayā , ā gayā , hamārā bāp ā gayā . Sabkī dil sē khuśhī key|kī tāliyā̃ bajē̃gī . Isliē yah jhaṇḍā tō nimitt-mātra hai lēkin bahut ūñchē tē ūñchā bāp ā gayā , ā gayā , jō ānā thā vō ā gayā . Ham sabkō lē jānē vālā ā gayā , yahī man sē jhaṇḍā viśhva mē̃ laharēgā . Āp sab dēkhē̃gē aur āp sabkō saphēd-saphēd phariśhtō̃ K|kē rūp mē̃ dēkhē̃gē . Bāp kē sāth āp sabhī K|kē bhī gīt gāyēṅgē . Hamārē pūjya dēvīdēvatā yē̃ ā gayē , ā gayē . Sirph āp thōṛā jaldī taiyār hō jāō phir bahut jaldī jhaṇḍā laharāyēṅgē . Phir sabhī pēraśānī sē chhūṭ jāyēṅgē . Acchā-sabhī kō pyārē aur nyārē jhaṇḍē key|kī mubārak hō .