रविवार 3 फ़रवरी 2002 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
03-02-2002 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Lakṣhya aur lakṣhaṇ kō samān banāō , sarv khazānō̃ mē̃ sampann banō
Āj sarv khazānō̃ K|kē mālik apnē khazānō̃ sē sampann bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ . Har ēk bachchā sarv khazānō̃ sē sampann hai . Jō sampann hōtā hai unkī niśhānī sadā prāpti svarūp , tr̥ipt ātmā dikhāī dēgī . Sadā khuśh nazar āyēgī kyōṅki bharpūr hai . Tō har ēk apnē sē pūchhē ki hamārē pās|pass kitnē khazānē jamā haĩ ? Yah avināśhī khazānē ab bhī prāpt haĩ aur bhaviṣhya mē̃ anēk janm sāth rahē̃gē . Yah khazānē khatm nahī̃ hōnē vālē haĩ . Sabsē pahlā khazānā hai - gyān kā khazānā , jis gyān K|kē khazānē sē is samay bhī āp sabhī mukti aur jīvanmukti kā anubhav kar rahē hō . Jīvan mē̃ rahtē , purānī duniyā mē̃ rahtē , tamōguṇī vāyumaṇḍal mē̃ rahtē gyān K|kē khazānē K|kē ādhār sē in sab vāyumaṇḍal , vibration sē nyārē mukt hō , kamal puṣhp samān nyārē mukt ātmāyē̃ duḥkh sē , chintāō̃ sē , aśhānti sē mukt hō . Jīvan mē̃ rahtē burāiyō̃ K|kē bandhanō̃ sē mukt hō . Vyarth saṅkalpō̃ K|kē tūphān sē mukt hō . Haĩ mukt ? Sabhī hāth hilā rahē haĩ .
Tō mukti aur jīvanmukti is gyān K|kē khazānē kā phal hai , prāpti hai . Chāhē vyarth saṅkalp ānē key|kī kōśhiśh kartē haĩ , negative bhī ātē haĩ lēkin gyān arthāt samajh hai ki vyarth saṅkalp vā negative kā kām hai ānā aur āp gyānī tū ātmāō̃ kā kām hai insē mukt , nyārē aur bāp K|kē pyārē rahnā . Tō check karō - gyān kā khazānā prāpt hai ? Bharpūr hai ? Sampann hai yā cum|kam hai ? Agar cum|kam hai tō uskō jamā karō , khālī nahī̃ rahnā .
Aisē hī yōg kā khazānā - jissē sarv śhaktiyō̃ key|kī prāpti hōtī hai . Tō apnē kō dēkhō yōg K|kē khazānē dvārā sarv śhaktiyā̃ jamā haĩ ? Sarv ? Ēk bhī śhakti agar kam hōgī tō samay par dhōkhā dē dēgī . Āp sabkā title master sarvśhaktivān hai , śhaktivān nahī̃ , sarvśhaktivān . Tō sarv śhaktiyō̃ kā khazānā yōgbal dvārā jamā hai ? Bharpūr hai , prāpti svarūp hai vā kamī hai ? Kyō̃ ? Abhī apnī kamī kō bhar saktē hō . Abhī chance hai . Phir sampann karnē kā samay samāpt hō jāyēgā tō kamī rah jāyēgī . Check karō - ēk - ēk śhakti kō sāmnē lāō aur sārē din key|kī dincharyā mē̃ check karō - agar percentage bhī cum|kam hai tō full pass nahī̃ kahē̃gē kyōṅki āp sabkā lakṣhya hai , kisī bhī bachchē sē pūchhtē haĩ ki full pass hōnā hai yā half pās|pass ? Tō sabhī kahtē haĩ ki ham tō sūryavanśhī banē̃gē , chandravanśhī nahī̃ banē̃gē . Chandravanśhī banē̃gē ? Bāpdādā bahut achchhā takht dēgē , banē̃gē chandravanśhī ? India vālē sūryavanśhī ban jāē̃ , foreign vālē chandravanśhī ban jāē̃ , banē̃gē ? Nahī̃ banē̃gē ? Sūryavanśhī bannā hai ? Bannā hī hai . Yah tō bāpdādā chit-chat kar rahē haĩ . Jab sūryavanśhī bannā hī hai , dr̥iṛh niśhchay hai , bāp sē aur svayã sē pratigyā kar lī hai tō ab sē kisī bhī śhakti key|kī percentage cum|kam nahī̃ hō . Agar kahē̃gē circumstance anusār , samasyāō̃ anusār percentage cum|kam rah gaī tō 14 kalā ban jāyēṅgē . Isliē ājkal bāpdādā chārō̃ ōr K|kē sabhī bachchō̃ kā pōtāmēl , register check kar rahā hai . Bāpdādā kē pās bhī har ēk kā register hai kyōṅki samay K|kē anusār pahlē hī bāpdādā bachchō̃ kō sunā rahē haĩ ki samay key|kī raphtār anusār abhī kab nahī̃ kahō , ab . Kab hō jāyēgā , kar lē̃gē … hōnā tō hai hī … yah nahī̃ sōchō . Hōnā tō hai nahī̃ , abhī-abhī karnā hī hai . Samay key|kī raphtār tīvr hō rahī hai isliē jō lakṣhya rakhā hai bāp samān bannē kā , full pass hōnē kā , 16 kalā sampann bannē kā , tō bāpdādā bhī yahī chāhtē haĩ ki lakṣhya aur practical mē̃ lakṣhaṇ samān hō̃ . Jab lakṣhya aur lakṣhaṇ dōnō̃ samān hōṅgē tab hī bāp samān sahaj ban jāyēṅgē . Tō check karō - hō jāyēgā , ban hī jāyēṅgē … yah albēlāpan hai . Jō karnā hai , jō bannā hai , jō lakṣhya hai , vah abhī sē hī karnā hai , bannā hai . Kabhī śhabda nahī̃ lagāō , abhī-abhī .
Tō gyān kā khazānā , yōg kā khazānā aur bhī dhārṇāō̃ kā khazānā hai . Jissē ( dhārṇāō̃ sē ) guṇō̃ kā khazānā jamā hō jātā hai . Guṇō̃ mē̃ bhī jaisē sarv śhaktiyā̃ haĩ , aisē hī sarvguṇ haĩ , sirph guṇ nahī̃ haĩ , sarvguṇ haĩ . Tō sarv guṇ haĩ yā sōchtē hō ēk dō guṇ kam huā , tō kyā huā , chalēgā ? Nahī̃ chalēgā . Tō sarv guṇō̃ kā khazānā jamā hai ? Kaun sē guṇ key|kī kamī hai uskō check karkē bharpūr hō jāō .
Chauthī bāt hai - sēvā . Sēvā dvārā sabhī kō anubhav hai , jab bhī mansā sēvā yā vāṇī dvārā vā karma dvārā bhī sēvā kartē hō tō uskī prāpti ātmik khuśhī miltī hai . Tō check karō sēvā dvārā khuśhī key|kī anubhūti kahā̃ tak kī hai ? Agar sēvā key|kī aur khuśhī nahī̃ huī , tō vah sēvā yathārth sēvā nahī̃ hai . Sēvā mē̃ kōī na kōī kamī hai , isliē khuśhī nahī̃ miltī . Sēvā kā arth|earth hai ātmā apnē kō khuśhnumaḥ , khilā huā rūhānī gulāb , khuśhī K|kē jhūlē mē̃ jhūlnē vālā anubhav karēgī . Tō check karō - sārā din sēvā key|kī lēkin sārē din key|kī sēvā key|kī tulnā mē̃ itnī khuśhī huī yā sōch-vichār hī chaltē rahē , yah nahī̃ yē , yah nahī̃ yē … ? Aur āpkī khuśhī kā prabhāv ēk tō sēvā sthān par , dūsrā sēvā sāthiyō̃ par , tīsrā jin ātmāō̃ key|kī sēvā key|kī un ātmāō̃ par paṛē , vāyumaṇḍal bhī khuśh hō jāē . Yah hai sēvā kā khazānā khuśhī .
Aur bāt - chār subject tō ā hī gaī . Aur hai sambandh-sampark , vah bhī bahut zarūrī hai , kyō̃ ? Kaī bachchē samajhtē haĩ bāpdādā sē tō sambandh hai hī . Parivār mē̃ huā nahī̃ huā , kyā bāt hai , ( kyā harjā hai ) bīj sē tō hai hī . Lēkin āpkō viśhva kā rājya karnā hai nā ! Tō rājya mē̃ sambandh mē̃ ānā hī hōgā . Isliē sambandh-sampark mē̃ ānā hī hai lēkin sambandh-sampark mē̃ yathārth khazānā miltā hai duāyē̃ . Binā sambandh-sampark K|kē āpkē pās|pass duāō̃ kā khazānā jamā nahī̃ hōgā . Mā̃ bāp key|kī duāyē̃ tō haĩ , lēkin sambandh-sampark mē̃ bhī duāyē̃ lēnī haĩ . Agar duāyē̃ nahī̃ miltī , feeling sarv khazānō̃ sē sampann ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād-pyār aur namastē nahī̃ ātī tō samjhō sambandh-sampark mē̃ kōī kamī hai . Yathārth rīt agar sambandh-sampark hai tō duāō̃ key|kī anubhūti hōnī chāhiē . Aur duāō̃ key|kī anubhūti kyā hōgī ? Anubhavī tō hō nā ! Agar sēvā sē duāyē̃ miltī haĩ tō duāyē̃ milnē kā anubhav yahī hōgā jō svayã bhī sambandh mē̃ ātē , kārya kartē double light ( halkā ) hōgā , bōjh nahī̃ mahsūs karēgā aur jinkī sēvā key|kī , sambandh-sampark mē̃ āyē vah bhī double light feel karēgā . Anubhav karēgā ki yah sambandh mē̃ sadā halkā arthāt easy hai , bhārī nahī̃ rahēgā . Sambandh mē̃ āū̃ , nahī̃ āū̃ … lēkin duāyē̃ milnē K|kē kāraṇ dōnō̃ taraph niyam pramāṇ , aisā easy bhī nahī̃ - jaisē kahāvat hai , jyādā mīṭhē par cīṇṭiyā̃ bahut ātī haĩ . Tō itnā easy bhī nahī̃ , lēkin double light rahēgā . Tō bāpdādā kahtē haĩ - apnē khazānē check karō . Samay dē rahē haĩ . Abhī samāpti kā board nahī̃ lagā hai . Isliē check karō aur baṛhtē chalō .
Bāpdādā kā bachchō̃ sē pyār hai nā ! Tō bāpdādā samajhtē haĩ kōī bhī bachchā pīchhē nahī̃ rah jāē . Har ēk bachchā āgē sē āgē jāē . Chaltē-chaltē dēh - abhimān ā jātā hai . Svamān aur dēh-abhimān . Dēh-abhimān kā kāraṇ hai svamān mē̃ kamī hō jātī hai . Tō dēh-abhimān kō miṭānē kā bahut sahaj sādhan hai - dēh-abhimān ānē kā ēk hī akṣhar hai , ēk hī śhabda hai , vah jāntē bhī hō . Dēh-abhimān kā ēk śhabda kaun-sā hai ? ( maĩ ) achchhā tō kitnā bārī maĩ-maĩ kahtē hō ? Sārē din mē̃ kitnē bārī maĩ bōltē hō , kabhī note kiyā hai ? Achchhā ēk din note karnā . Bār-bār maĩ śhabda tō ātā hī hai . Lēkin maĩ kaun ? Pahlā pāṭh hai , maĩ kaun ? Jab dēh-abhimān mē̃ maĩ kahtē hō , lēkin vāstav mē̃ maĩ hū̃ kaun ? Ātmā yā dēh ? Ātmā nē dēh dhāraṇ kī , yā dēh nē ātmā dhāraṇ kī ? Kyā huā ? Ātmā nē dēh dhāraṇ kī . Ṭhīk hai nā ? Tō ātmā nē dēh dhāraṇ kī , tō maĩ kaun ? Ātmā nā ! Tō sahaj sādhan hai , jab bhī maĩ śhabda bōlō , tō yah yād karō ki maĩ kaun-sī ātmā hū̃ ? Ātmā nirākār hai , dēh sākār hai . Nirākār ātmā nē sākār dēh dhāraṇ kī , tō jitnā bārī bhī maĩ-maĩ śhabda bōltē hō , utnā samay yah yād karō ki maĩ nirākār ātmā sākār mē̃ pravēśh kiyā hai . Jab nirākār sthiti yād hōgī tō niranhakārī svataḥ hō jāyēṅgē . Dēh-bhān khatm hō jāyēgā . Vahī pahlā pāṭh maĩ kaun ? Yah smr̥iti mē̃ rakh karkē maĩ kaun-sī ātmā hū̃ , ātmā yād ānē sē nirākārī sthiti pakkī hō jāyēgī . Jahā̃ nirākārī sthiti hōgī vahā̃ nirahaṅkārī , nirvikārī hō hī jāyēṅgē . Tō kal sē note karnā - jab maĩ śhabda kahtē hō tō kyā yād ātā hai ? Aur jitnā bārī maĩ śhabda use karō utnā bārī nirākārī , nirahaṅkārī , nirvikārī svataḥ hō jāyēṅgē .
Achchhā - āj youth group āyā hai . Youth bahut haĩ . Bāpdādā youth group kō vardān dētē haĩ ki sadā ābād rahnā . Ēk bhī khazānā barbād nahī̃ karnā , ābād rahnā , ābād karnā . Laukik gurū lōg āśhīrvād dētē haĩ āyuśhvān bhav aur bāpdādā kahtē haĩ śharīr key|kī āyu tō jitnī hai utnī rahēgī isīliē śharīr key|kī āyu K|kē hisāb sē āyuśhvān bhav kā vardān nahī̃ dētē haĩ lēkin is brāhmaṇ jīvan mē̃ sadā āyuśhvān bhav . Kyō̃ ? Brāhmaṇ sō dēvtā banē̃gē . Tō āyuśhvān tō hōṅgē nā ! Youth key|kī ēk viśhēṣhtā hōtī hai . Āp youth apnī viśhēṣhtā kō jāntē hō ? Kyā viśhēṣhtā hōtī hai , jāntē hō ? Kyā viśhēṣhtā hai āpmē̃ ? ( jō chāhē vah kar saktē haĩ ) achchhā - kar saktē hō ? Achchhī bāt hai , duniyā K|kē hisāb sē kahtē haĩ , youth jiddī bahut hōtē haĩ , jō sōchē̃gē vah karkē dikhāyēṅgē . Vah lōg ulṭā kahtē haĩ lēkin yahā̃ brāhmaṇ youth jiddī nahī̃ haĩ lēkin apnī pratigyā par pakkē rahnē vālē haĩ . Haṭnē vālē nahī̃ haĩ . Aisē hō youth ? Hāth uṭhānā tō bahut sahaj hai . Bāpdādā khuśh hai hāth uṭhānā , yah bhī himmat hai nā . Lēkin rōz amr̥itvēlē bāp sē key|kī huī pratigyā ki ham is brāhmaṇ jīvan key|kī prāpti sē , sēvā sē kabhī bhī saṅkalp mē̃ bhī haṭē̃gē nahī̃ . Is himmat kō , pratigyā kō rōz dōharāō aur bār-bār check karō ki himmat jō rakhī , saṅkalp kiyā vah practical mē̃ hō rahā hai ?
Government tō kahtī hai , bas dō chār lākh ban jāē̃ tō bhī ṭhīk hai . Āp kaun hō ! Brāhmaṇ hō nā ! Kahtē haĩ - yah brāhmaṇ youth ēk-ēk lākh K|kē samān haĩ . Itnē majbūt haĩ ? Dēkhō , aisē nahī̃ ghar jākar phir likh dō bābā māyā ā gaī , saṅskār ā gayā , samasyā ā gaī . Samasyāō̃ K|kē samādhān svarūp banō . Samasyāyē̃ tō āyēṅgī lēkin apnē sē pūchhō maĩ kaun ? Samādhān svarūp hū̃ yā samasyā sē hār khānē vālā hū̃ ? Āp sabkā title kyā hai - vijayī ratna yā hār khānē vālē ratna ? Vijayī ratna haĩ . Brāhmaṇ janm hōtē hī bāpdādā nē her|har brāhmaṇ K|kē mastak mē̃ vijay kā tilak amar lagā diyā . Tō amarbhav K|kē vardānī hō . Abhī yah apnē sē vāydā karō , aisē tō vāydā kahalāyēṅgē tō sab kar lē̃gē lēkin apnē man mē̃ apnē sē vāydā karō - kabhī bhī saṅskār K|kē vaśh nahī̃ hōṅgē jō bāp K|kē saṅskār vah mujh brāhmaṇ ātmā K|kē saṅskār . Jō dvāpar , kaliyug K|kē saṅskār haĩ vah mērē saṅskār nahī̃ kyōṅki bāp K|kē saṅskār nahī̃ haĩ . Yah tamōguṇī saṅskār brāhmaṇō̃ K|kē saṅskār haĩ ? Nahī̃ hai nā ! Tō āp kaun hō ? Brāhmaṇ hō nā !
Bāpdādā kō bhī youth group par nāz hai . Dēkhō , dādiyō̃ kō bhī youth par nāz hai . Dādī kō pyār hai nā youth sē . Extra pyār hai . Kumār haĩ sukumār . Kumār nahī̃ , sukumār haĩ . Ēk-ēk kumār viśhva K|kē kumār kā parivartan kar dikhānē vālē . Achchhā , kumār kō kām dē̃ ? Himmat hai ? Karnā paṛēgā . Kumāriyā̃ karē̃gī ?
Tō kām dē rahē haĩ dhyān sē sunnā . Tō jō aglī season hōgī , aglī season mē̃ kumār kā aisē hī special programme rakhē̃gē lēkin … lēkin bhī hai . Jyādā kām nahī̃ dētē haĩ ēk-ēk kumār 10-10 kumār kā , chhōṭā-sā hāth kā kaṅgan taiyār karkē lānā . Hāth mē̃ kaṅgan paṛtā hai nā . Brahmā bāp kō sadaiv hāth mē̃ phūlō̃ kā kaṅgan ḍāltē haĩ . Tō ēk-ēk kumār , kachchē-kachchē nahī̃ lānā , pakkē-pakkē lānā . Tō madhuban mē̃ tō āyē̃ phir ghar jāyē̃ tō badal jāē̃ ! Nahī̃ . Aisē pakkē banākar lānā jō bāpdādā dēkh-dēkh kahē vāh kumār vāh ! Aisē taiyār haĩ ? Karē̃gē , aisē ? Thōṛā sōchō . Aisē hī hāth nahī̃ uṭhā lō . Karnā paṛēgā . Banānā paṛēgā . Double foreigners bhī karē̃gē ? Double foreigners mē̃ kumār hāth uṭhāō . Tō āp bhī 10 lāyēṅgē nā ? Foreigners bhī lāyēṅgē , 61 india vālē bhī lāyēṅgē . Phir jō first class quality lāyēṅgē uskō inām dēgē . Inām baṛhiyā dēgē , ghaṭiyā nahī̃ dēgē . Pyār hai nā kumār sē . Agar government kō jyādā mē̃ jyādā kumār positive karma karnē vālē mil jāē̃ tō government kitnā khuśh hōgī . Agar āp 10-10 kumār lāyēṅgē tō sārā hall|hāl kumār sē bharē̃gē phir government kō bulāyēṅgē , dēkhō yah kumār . Lēkin lānē paṛē̃gē , banānē paṛē̃gē . Agar apnī sthiti , lakṣhya aur lakṣhaṇ kō samān rakhē̃gē tō sēvā mē̃ saphaltā hōgī yā nahī̃ hōgī - yah saṅkalp bhī nahī̃ uṭh saktā . Huī paṛī hai . Sirph āpkō nimitt bannā paṛēgā . Yah pratigyā sadā revise kartē rahnā . Kamāl tō karnī hī hai . Achchhā .
Double vidēśhī bhī āyē haĩ . Bāpdādā kahtē haĩ ki double vidēśhiyō̃ nē bāpdādā kā ēk title practical mē̃ pratyakṣha kiyā hai , vah kaun-sā ? ( viśhva-kalyāṇakārī ) pahlē jab sthāpanā huī tō bhārat kalyāṇkārī banē lēkin jab sē double foreigners brāhmaṇ ātmāyē̃ banē tō bāp kā viśvakal yāṇakārī title practical mē̃ pratyakṣha huā . Isliē bāpdādā kō double foreigners kē ūpar bhī viśhēṣh nāz hai . Bāpdādā nē dēkhā hai ki double foreigners kō ēk sēvā key|kī dhun lagī huī hai , kōī bhī kōnā rah nahī̃ jāē .
( murlī K|kē bīch achānak bāpdādā K|kē sāmnē dō kumār stage par ā gayē , jinhē̃ haṭāyā gayā )
Achchhā . Abhī khēl mē̃ khēl dēkhā . Abhī bāpdādā kahtē haĩ sākṣhī hōkar khēl dēkhā , enjoy kiyā , abhī ēk second mē̃ ēkdam dēh sē nyārē powerful ātmik rūp mē̃ sthit hō saktē hō ? Fullstop .
( bāpdādā nē bahut powerful drill karāī )
Achchhā - yahī abhyās her|har samay bīch-bīch mē̃ karnā chāhiē . Abhī - abhī kārya mē̃ āyē , abhī-abhī kārya sē nyārē , sākārī sō nirākārī sthiti mē̃ sthit hō jāē̃ . Aisē hī yah bhī ēk anubhav dēkhā , kōī samasyā bhī ātī hai tō aisē hī ēk second mē̃ sākṣhī dr̥iṣhṭā ban , samasyā kō ēk sidescene samajh , tūphān kō ēk tōhphā samajh uskō pār karō . Abhyās hai nā ? Āgē chalkar tō aisē abhyās key|kī bahut āvaśhyaktā paṛēgī . Fullstop . Question mark nahī̃ , yah kyō̃ huā , yah kaisē huā ? Hō gayā . Fullstop aur apnē full śhaktiśhālī stage par sthit hō jāō . Samasyā nīchē rah jāyēgī , āp ūñchī stage sē samasyā kō sidescene dēkhtē rahē̃gē . Achchhā .
Jō dūr sē dūr baiṭhē dēkh rahē haĩ , chāhē bhārat mē̃ chāhē foreign mē̃ sun bhī rahē haĩ , dēkh bhī rahē haĩ , un sabhī dūr baiṭhē dil K|kē samīp bachchō̃ kō bāpdādā pahlē yād-pyār dē rahē haĩ kyōṅki bāpdādā jāntē haĩ kōī kā kyā time hōtā hai , kōī kā kyā time hōtā hai , phir bhī rāt kō din banākē , din kō rāt banākar baiṭh rahē haĩ . Yah hai bachchō̃ aur bāp kā pyār aur bīch mē̃ bāpdādā vijñānī bachchō̃ kō bhī mubārak dētē haĩ ki āp bachchō̃ kē liē yah science K|kē sādhan nikālē haĩ . Isīliē un bachchō̃ kō bhī bāpdādā mubārak dē rahē haĩ . Āpkē liē hī yah sādhan 100 varṣh K|kē andar-andar nikalē haĩ . Tō kamāl hai nā science vālō̃ key|kī , thanks hai nā ! Achchhā .
Chārō̃ ōr K|kē sarv khazānō̃ sē sampann ātmāō̃ kō , sadā her|har samay prāptiyō̃ sē bharpūr , muskarātē huē harṣhit rahnē vālī ātmāō̃ kō , sadā bāp sē key|kī huī pratigyā kō jīvan mē̃ pratyakṣha karnē vālē gyānī tū ātmāyē̃ , yōgī tū ātmāyē̃ bachchō̃ kō , sadā lakṣhya aur lakṣhaṇ kō samān karnē vālē bāp samān ātmāō̃ kō , sadā her|har samay sarv khazānō̃ kā stock aur stop lagānē vālē tīvr puruṣhārthī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād-pyār , dilārām kā dil sē yād-pyār aur namastē .
Eastern , tāmilnāḍu K|kē sēvādhārī āyē haĩ - achchhā jō sēvādhārī āyē haĩ vah hāth uṭhāō . Baṅgāl , bihār , nēpāl , āsām , uṛīsā , tāmilnāḍu … tāmilnāḍu key|kī ( rōzī bahan ) ā gaī hai ( rōzī bahan key|kī tabiyat kāphī samay sē ṭhīk nahī̃ thī ) dēkhō nayā jīvan mil gayā hai . Mubārak hō nayē jīvan key|kī . Ēk hāth key|kī tālī bajāō .
Tō sabhī nē jō bhī pāṇḍav vā śhaktiyā̃ āī haĩ , sēvā kē nimitt banī haĩ , unkō sēvā kā pratyakṣha phal khuśhī tō mil hī gaī hai . Bāpdādā kahtē haĩ yah bachchō̃ key|kī hōśhiyārī hai , sahaj purūṣhārth mē̃ duāyē̃ lēnē kē liē puṇya kā khātā jamā karnē kā yah chance bahut achchhā lē lētē haĩ aur jō jitnā athak sēvā kartē haĩ , us athak sēvādhārī kā mansā , vāchā , karmaṇā tīnō̃ khātē mē̃ jamā hōtā hai . Isliē jamā karnē key|kī sabhī sēvādhāriyō̃ kō mubārak hō , mubārak hō . Achchhā . Sabhī pahũch jātē haĩ .
Dādī jī , dādī jānkī sē
Ēk turn miss kiyā . Sēvā key|kī tō miss nahī̃ kiyā . Bāpdādā āp dōnō̃ K|kē jimmēvārī K|kē tāj mē̃ sadā hī amūlya ratna lagātē rahtē haĩ . Jitanājitanā jimmēvāriyā̃ sākār rūp mē̃ baṛhtī jātī haĩ , utnī āp double light ban part bajātī hō . Bāpdādā kō viśhēṣh khuśhī hai ki śhaktiyō̃ nē vijay kā jhaṇḍā achchhā buland kiyā hai . Bāp tō gupta rahē , lēkin bachchō̃ nē pratyakṣha rūp mē̃ jhaṇḍā laharāyā hai . ( dādī jānkī kah rahī haĩ bābā ēk āśh hai , śhāntidhām jānē K|kē pahlē sab bhārat mē̃ ikaṭṭhē hō̃ ) hō jāyēgā , vah bhī kahā̃ jāyēṅgē , hōnā hī hai . Achchhā .
Ḍā . abdul kalām , ḍā . pillaī , ḍā . sēlvāmūrti bhārat K|kē sāiṇṭisṭō̃ sē
Bāpdādā āp sabkā bhāgya dēkh harṣhit hō rahē haĩ . Āp ātmāō̃ dvārā bhī viśhēṣh sēvā hōnī hai . Kaun-sī sēvā karē̃gē ? ( 30 percent lōg garīb haĩ , uskō dūr karnē kā saṅkalp ā rahā hai ) hō jāyēgī . Āpkā jō saṅkalp hai vah abhī samay ānē vālā hī hai , yah garībī rahnī hī nahī̃ hai . Jaisē bhārat sabsē sāhūkār thā , vaisē hī abhī bannā hī hai . Tō āpkā yah saṅkalp pūrā hōnā hai . Achchhā saṅkalp hai . Kōī ātmā samparka mē̃ āyē tō āp sirph messenger ban yahī message dō ki silence aur science dōnō̃ kā balance kaisē rahē , yah paramātmā key|kī blessing dilā dēgē . Abhī yahī message dēnā hai . Bāpdādā kō khuśhī hai , tō āp chāhtē hō ki bachchō̃ mē̃ unnati hō , bachchē yōgya banē̃ , uskā plan bhī yahā̃ banā rahē haĩ . Education department mē̃ dhīrē-dhīrē āgē baṛh rahē haĩ tō āp bhī sahyōgī ban jāyēṅgē aur yah sab bachchē sahyōgī rahē̃gē tō ēk din āyēgā jō āp kahē̃gē vāh bhārat vāh ! Bhārat key|kī ādhyātmik knowledge sabhī kō sukh-śhānti kā vardān dēgī . ( science aur silence kā balance bhārat kō svārṇim banāyēgā ) follow brahmā bābā . Āpmē̃ ēk viśhēṣhtā hai , us viśhēṣhtā kō kām mē̃ lē saktē hō , āpkī viśhēṣhtā natural yah hai ki jō kām kartē hō , vah pūrā kartē hō , adhūrā nahī̃ chhōṛtē . Isīliē is viśhēṣhtā sē āpkā saṅkalp pūrā hō jāyēgā . Yah dōnō̃ sāthī bhī bahut achchhē haĩ . Trimūrti hō gayē nā ! Tō jahā̃ trimūrti hai vahā̃ śhiv bābā hai hī hai . ( yah bhī kumār haĩ ) brahmchārī bhī hai , brahmāchārī bhī hai . ( bhrātā sēlvāmūrti jī sē ) achchhā hai , yah health kā kar rahē haĩ . Health mē̃ bhī dēkhō sabhī kā duḥkh dūr hōtā hai nā ! Tō sabkā duḥkh dūr karnā , yah bhī kitnā achchhā kārya hai . Isīliē health vālō̃ kō next god kahā jātā hai . Isliē achchhā hai . Health kē sāth , gyān key|kī wealth bhī mil jāyēgī ātmāō̃ kō . Achchhī - nimitt ātmāyē̃ hō .
( ḍā . pillaī kō padam śhrī kā title milā hai aur ḍā . abdul kalām jī kō bhārat ratna kā milā hai )
Bāp tō padmā , padmā , padamāpati kā title dētē haĩ . Inkō bhārat ratna kā title milā hai isliē bhārat sē pyār hai . Achchhā - abhī mike banē̃gē . Rūhānī mike bankar sēvā karē̃gē .
Āśhā bahan sē - achchhā chal rahā hai nā . Sabhī key|kī duāyē̃ haĩ . Duāyē̃ aisī chīz haĩ jō her|har kārya sahaj kar dētī haĩ . Achchhā hai .
Rōzī bahan sē - kitnā achchhā part āpkā drama mē̃ hai . Yah bhī hisāb pūrā huā . Jō hisāb rahā huā thā , vah pūrā kiyā . Khuśhī-khuśhī sē pūrā kiyā . Yah hisāb tō hōtā hī hai sēvā kē liē . Jō sēvādhārī haĩ nā vah kahā̃ 65 bhī jāyēṅgē sēvā K|kē binā tō rah nahī̃ saktē aur vah sēvā kā phal duāyē̃ miltī haĩ . Achchhā hai . ( sāth mē̃ ḍā . bhī āyē haĩ ) bahut achchhā kiyā . Brāhmaṇ ātmāō̃ key|kī sēvā karnē sē duāyē̃ haĩ . Khuśhī-khuśhī sē sēvā key|kī , isliē sēvā kā jamā hō gayā .
Madrās key|kī teachers sē - yah sēvā sambhāl rahī haĩ . Achchhā hai , sēvā kā chance milnā yah bhī bhāgya key|kī niśhānī hai tō sab bhāgyavān hō .
Vidēśh key|kī baṛī bahanō̃ sē - bāpdādā kō viśhēṣh khuśhī hōtī hai ki har ēk apnā-apnā achchhā part bajā rahē haĩ . Har ēk apnā-apnā part bajātē svayã kō bhī āgē baṛhā rahē haĩ aur sēvā kō bhī āgē baṛhā rahē haĩ . Ḍrāmānusār nimitt banē . Abhī āgē bhī plan banāyēṅgē nā ! Kyā karnā hai . Kōī navīntā karē̃gē nā ! Achchhā bāpdādā khuśh hai |