सोमवार 7 मार्च 2005 की अव्यक्त मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

0> 107-03-05 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

0> > 07-03-2005 Om Shanti Avyakt Bapdada Madhuban

2Sampūrṇ pavitratā kā vrat rakhnā aur maĩ-pan kō samarpit karnā hī śhiv jayantī manānā hai

3Āj viśhēṣh śhiv bāp apnē sāligrām bachchō̃ kā birth day manānē āyē haĩ .

1Today, Father Shiva has especially come to celebrate the birthday of his saligram children.

4Āp bachchē bāp kā janm din manānē āyē hō aur bāpdādā bachchō̃ kā birth day manānē āyē haĩ kyōṅki bāp kā bachchō̃ sē bahut pyār hai .

2You children have come to celebrate the Father’s birthday and BapDada has come to celebrate the children’s birthday, because the Father has a lot of love for you children.

5Bāp avatarit hōtē hī yagya rachtē haĩ aur yagya mē̃ brāhmaṇō̃ K|kē binā yagya sampann nahī̃ hōtā hai .

3As soon as the Father incarnates, he creates the sacrificial fire and a sacrificial fire cannot be completed without Brahmins.

6Isliē yah birth day alaukik hai , nyārā aur pyārā hai .

4This is why this birthday is alokik, unique, and lovely.

7Aisā birth day jō bāp aur bachchō̃ kā ikaṭhṭhā hō yah sārē kalp mē̃ na huā hai , na kabhī hō saktā hai .

5There has never been any other birthday throughout the whole cycle where the birthday of the Father and the children is on the same day, nor can it ever be possible.

8Bāp hai nirākār , ēk taraph nirākār hai dūsrē taraph janm manātē haĩ .

6The Father is incorporeal. 7On the one hand, he is incorporeal, and on the other hand, we celebrate his birthday.

9Ēk hī śhiv bāp hai jiskō apnā śharīr nahī̃ hōtā isliē brahmā bāp K|kē tan mē̃ avatarit hōtē haĩ , yah avatarit hōnā hī jayantī K|kē rūp mē̃ manātē hai .

8It is Father Shiva alone who does not have a body of his own, and this is why he incarnates in the body of Father Brahma, and it is this incarnation that you celebrate in the form of a birthday.

10Tō āp sabhī bāp kā janm din manānē āyē hō vā apnā manānē āyē hō  ?

9So, have all of you come to celebrate the Father’s birthday, or your own birthday?

11Mubārak dēnē āyē hō vā mubārak lēnē āyē hō  ?

10Have you come to give congratulations, or to receive congratulations?

12Yah sāth-sāth kā vāydā bachchō̃ sē bāp kā hai .

11This is the promise of remaining together, made by the children to the Father.

13Abhī bhī saṅgam par combined sāth hai , avataraṇ bhī sāth hai , parivartan karnē kā kārya bhī sāth hai aur ghar paramdhām mē̃ chalnē mē̃ bhī sāth-sāth hai .

12Now, at the confluence age, you have the combined company, your incarnation is at the same time, you are carrying out the task of transformation together, and you are also returning home together.

14Yah hai bāp aur bachchō̃ K|kē pyār kā svarūp .

13This is the form of the love of the Father and the children.

15Śhiv jayantī bhagat bhī manātē hai lēkin vah sirph pukārtē haĩ , gīt gātē haĩ .

14Devotees also celebrate Shiva Jayanti, but they simply call out and sing songs.

16Āp pukārtē nahī̃ , āpkā manānā arthāt samān bannā .

15You don’t call out. 16Your celebration means to become equal.

17Manānā arthāt sadā umaṅg-utsāh sē uḍtē rahnā .

17To celebrate means to continue to fly with constant zeal and enthusiasm.

18Isīliē iskō utsav kahtē hai .

18That is why this is called a festival.

19Utsav kā arth|earth hī hai utsāh mē̃ rahnā .

19A festival means to maintain enthusiasm.

20Tō sadā utsav arthāt utsāh mē̃ rahnē vālē hō nā  !

20So, you are always celebrating: that is, you always maintain your enthusiasm, do you not?

21Sadā hai yā kabhī-kabhī hai  ?

21Is it all the time or only sometimes?

22Vaisē dēkhā jāē tō brāhmaṇ jīvan kā śhvās hī hai - umaṅg-utsāh .

22In fact, the breath of Brahmin life is zeal and enthusiasm.

23Jaisē śhvās K|kē binā rah nahī̃ saktē haĩ , aisē brāhmaṇ ātmāyē umaṅg-utsāh K|kē binā brāhmaṇ jīvan mē̃ rah nahī̃ saktē haĩ .

23Just as you cannot stay without breathing, in the same way, without zeal, Brahmin souls cannot stay in Brahmin life.

24Aisē anubhav kartē hō nā  ?

24You experience this, do you not?

25Dēkhō viśhēṣh jayantī manānē kē liē kahā̃-kahā̃ sē , dūr-dūr sē bhāg karkē āyē haĩ .

25Look, you have especially come running from so far away, just to celebrate this birthday.

26Bāpdādā kō apnē janm din key|kī itnī khuśhī nahī̃ hai jitnī bachchō̃ K|kē janm din kī hai .

26BapDada doesn’t have as much happiness of His own birthday as he has of the birthday of you children.

27Isliē bāpdādā ēk-ēk bachchē kō padamguṇā khuśhī key|kī thāliyā̃ bhar - bhar K|kē mubārak dē rahē hai .

27This is why BapDada is giving each one of you children platefuls of multi-million-fold happiness and congratulations.

28Mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .

28Congratulations! 29Congratulations! 30Congratulations!

29Bāpdādā kō āj K|kē din sachchē bhagat bhī bahut yād ā rahē haĩ .

31On this day, BapDada is also remembering the true devotees a great deal.

30Vah vrat rakhtē haĩ ēk din kā aur āpnē vrat rakhā hai sārē jīvan mē̃ sampūrṇ pavitra bannē kā .

32They keep a fast for just one day, whereas you keep a fast of complete purity for your whole life.

31Vah khānē kā vrat rakhtē haĩ . āpnē bhī man K|kē bhōjan vyarth saṅkalp , negative saṅkalp , apavitr saṅkalpō kā vrat rakhā hai .

33They keep a fast of food, and you also keep a fast of the food of the mind, which are waste thoughts, negative thoughts and impure thoughts.

32Pakkā vrat rakhā hai nā  ?

34You have kept a firm fast, have you not?

33Yah double phōrēnērsaāgē āgēbaiṭhē haĩ .

35The double foreigners are sitting at the front.

34Yah kumār bōlō , kumār nē vrat rakhā hai , pakkā  ?

36Kumars, speak! 37Have you kept a firm fast? 38Is it firm?

35Kachchā nahī̃ .

39It is not weak, is it?

36Māyā sun rahī hai .

40Maya is also listening.

37Sab jhaṇḍiyā hilā rahē hai nā tō māyā dēkh rahī hai , jhaṇḍiyā̃ hilā rahē haĩ .

41All of you are waving your flags, and Maya is watching you waving your flags.

38Jab vrat rakhtē haĩ - pavitra bannā hī hai , tō vrat rakhnā arthāt śhrēṣhṭh vr̥itti banānā .

42When you keep a fast - of definitely having to become pure - then to keep this fast means to make your attitude elevated.

39Tō jaisī vr̥itti hōtī hai vaisē hī dr̥iṣhṭi , kr̥iti svataḥ hī ban jātī hai .

43As is your attitude, so is your vision, and your actions automatically become like that.

40Tō aisā vrat rakhā hai nā  ?

44So, you have kept such a fast, have you not?

41Pavitra śhubh vr̥itti , pavitra śhubh dr̥iṣhṭi , jab ēk dō kō dēkhtē hō tō kyā dēkhtē hō  ?

45Pure and clean attitude, pure and clean vision: when you look at one another, what do you look at?

42Face kō dēkhtē hō yā bhr̥ikuṭī K|kē bīch chamaktī huī ātmā kō dēkhtē hō  ?

46Do you look at the face or at the sparkling soul in the centre of the forehead?

43Kōī bachchē nē pūchhā ki jab bāt karnā hōtā hai , kām karnā hōtā hai tō face kō dēkh karkē hī bāt karnī paṛtī hai , āṅkhō K|kē taraph hī nazar jātī hai , tō kabhī-kabhī face kō dēkh karkē thōḍā vr̥itti badal jātī hai .

47One child said that, when he has to speak to others, or when he has to do something, he has to do that whilst looking at the face, and that the vision goes towards that person’s eyes. 48However, sometimes, seeing the face, your attitude changes a little.

44Bāpdādā kahtē hai āṅkhō K|kē sāth-sāth bhr̥ikuṭī bhī hai , tō bhr̥ikuṭī K|kē bīch ātmā kō dēkh bāt nahī̃ kar saktē haĩ  !

49BapDada says: together with the eyes, there is also the forehead. 50So can you not speak to the soul whilst looking at the centre of the forehead?

45Abhī bāpdādā sāmnē baiṭhē bachchō̃ K|kē āṅkhō mē̃ dēkh rahē hai yā bhr̥ikuṭī mē̃ dēkh rahē hai , mālūm paḍtā hai  ?

51Now, BapDada is sitting in front of you, so can you tell whether he is looking at your eyes, or at your forehead?

46Sāth-sāth hī tō hai .

52They are both together.

47Tō face mē̃ dēkhō lēkin face mē̃ bhr̥ikuṭī mē̃ chamaktā huā sitārā dēkhō .

53So, look at the face, but look at the sparkling star in the centre of the forehead on the face.

48Tō yah vrat lō|low , liyā hai lēkin aur attention dau .

54Therefore, keep this fast. 55You are keeping this fast, but now pay more attention.

49Ātmā kō dēkh bāt karnā hai , ātmā sē ātmā bāt kar rahā hai .

56You have to speak whilst looking at the soul: the soul is speaking to the soul.

50Ātmā dēkh rahā hai .

57The soul is looking at the soul.

51Tō vr̥itti sadā hī śhubh rahēgī aur sāth-sāth dūsrā phāydā hai jaisī vr̥itti vaisā vāyumaṇḍal bantā hai .

58Then your attitude will always remain pure, and, together with that, the other benefit is: that, as is your attitude, so is the atmosphere created.

52Vāyumaṇḍal śhrēṣhṭh banānē sē svayã K|kē puruṣhārth K|kē sāth-sāth sēvā bhī hō jātī hai .

59By creating an elevated atmosphere together with your own effort, service is also done.

53Tō double phāydā hai nā  !

60So, that is double benefit, is it not?

54Aisī apnī śhrēṣhṭh vr̥itti banāō jō kaisā bhī vikārī , patit āpkē vr̥itti K|kē vāyumaṇḍal sē parivartan hō jāē .

61Create such an elevated attitude that, no matter how vicious or impure someone may be, he is transformed by the atmosphere created through your attitude.

55Aisā vrat sadā smr̥iti mē̃ rahē . svarūp mē̃ rahē .

62Let there always be this fast in your awareness and in your form.

56Ājkal bāpdādā nē bachchō̃ kā chart dēkhā , apnē vr̥itti sē vāyumaṇḍal banānē kē bajāē kahā̃-kahā̃ , kabhī-kabhī dūsrō̃ K|kē vāyumaṇḍal kā prabhāv paṛ jātā hai .

63Nowadays, BapDada has been looking at the children’s chart. 64Instead of creating the atmosphere through your own attitude, sometimes the children become influenced by the atmosphere created by others.

57Kāraṇ kyā hōtā  ?

65What is the reason for that?

58Bachchē rūhrihān mē̃ bahut mīṭhī-mīṭhī bātē̃ kartē haĩ , kahtē haĩ iskī viśhēṣhtā achchhī lagtī hai , inkā sahyōg bahut achchhā miltā hai , lēkin viśhēṣhtā prabhu key|kī dēn hai .

66In their heart-to-heart conversations, children speak very sweet things. 67They say: I like that one’s speciality, I receive a lot of co- operation from that one. 68However, that speciality is a gift from God.

59Brāhmaṇ jīvan mē̃ jō bhī prāpti hai , jō bhī viśhēṣhtā hai , sab prabhu prasād hai , prabhu dēn hai .

69Whatever attainments and specialities you have in Brahmin life, they are Prabhu-prasad (an offering from God), they are God’s gifts.

60Tō dātā kō bhūl jāē , lēvtā kō yād karē  !

70So you forget the Bestower, and you remember the ones who are the receivers.

61Prasād kabhī kiskā personal gāyā nahī̃ jātā , prabhu prasād kahā jātā hai .

71Prasad (holy offering) is never anyone’s personal possession. 72This is called Prabhu prasad (special offering received from God).

62Phalānē kā prasād nahī̃ kahā jātā hai .

73It is not said to be “prasad of so-and-so”.

63Sahyōg miltā hai , achchhī bāt hai lēkin sahyōg dilānē vālā dātā tō nahī̃ bhūlē nā  !

74You receive co-operation, and that is good, but at least do not forget the Bestower who enables you to receive co-operation.

64Tō pakkā-pakkā birth day kā vrat rakhā hai  ?

75So, are you keeping a firm fast for this birthday?

65Vr̥itti badal gaī hai  ?

76Has your attitude changed?

66Sampann pavitratā , yah sachchā-sachchā vrat lēnā vā pratigyā karnā .

77Complete purity - this is keeping a real fast, and making a promise.

67Check karō - baṛē-baṛē vikār kā vrat tō rakhā hai lēkin chhōṭē-chhōṭē unkē bāl-bachchō̃ sē mukt haĩ  ?

78So check: you are observing the fast of the big gross vices, but are you free from their little children?

68Vaisē bhī dēkhō jīvan mē̃ pravr̥itti vālō̃ kā bachchō̃ sē jyādā pōtrē - dhōtrē sē pyār hōtā hai .

79Generally, householders have more love for their grandchildren than their children.

69Mātāō̃ kā pyār hōtā hai nā .

80You Mothers have love for them, do you not?

70Tō baṛē baṛē rūp sē tō jīt liyā lēkin chhōṭē-chhōṭē sūkṣhma svarūp mē̃ war|vār tō nahī̃ kartē  ?

81So, you have conquered the big forms, but their little, subtle forms do not attack you, do they?

71Jaisē kaī kahtē haĩ - āsakti nahī̃ hai lēkin achchhā lagtā hai .

82For instance, some say: “I am not attracted, but I do like it...

72Yah chīj jyādā achchhī lagtī hai lēkin āsakti nahī̃ hai .

83I like that thing more, but I am not attracted to it”.

73Viśhēṣh achchhā kyō̃ lagtā  ?

84Why do you especially like it?

74Tō check karō chhōṭē-chhōṭē rūp mē̃ bhī apavitratā kā aṅśh tō nahī̃ rah gayā haĩ  ?

85So, check that there aren’t any traces of impurity left in little forms.

75Kyōṅki aṅśh sē kabhī vanśh paidā hō saktā hai .

86Because, from a trace, sometimes a whole progeny can be created.

76Kōī bhī vikār chāhē chhōṭē rūp mē̃ , chāhē baṛē rūp mē̃ ānē kā nimitt ēk śhabda kā bhāv hai , vah ēk śhabda hai - “ maĩ ” . 77Body conscious kā maĩ .

87When any vice comes, whether in a big form or a small form, there is just one word that causes it, and that one word is “I”: the “I” of body consciousness.

78Is ēk maĩ śhabda sē abhimān bhī ātā hai aur abhimān agar pūrā nahī̃ hōtā tō krōdh bhī ātā hai kyōṅki abhimān key|kī niśhānī hai - vah ēk śhabda bhī apnē apmān kā sahan nahī̃ kar saktā , isliē krōdh ā jātā .

88Through this one word “I”, there is arrogance, or, if there is not complete arrogance, then there is anger, because the sign of arrogance is that that one is unable to tolerate even one word of insult towards him, and he therefore gets angry.

79Tō bhagat tō bali chaḍhātē haĩ lēkin āp āj K|kē din jō bhī had kā maĩ pan hō , uskō bāp kō dēkar samarpit karō .

89So, devotees offer a sacrifice, but, on this day, whatever limited consciousness of “I” you have, sacrifice that to the Father, and finish it.

80Yah nahī̃ sōchō karnā tō hai , bannā tō hai … tō tō nahī̃ karnā .

90Do not think: “I have to do it anyway... 91I have to become that anyway...”. 92Do not think about doing it some time in the future.

81Samarth hō aur samarth ban samāpti karō .

93You are powerful. 94So be powerful, and finish it.

82Kōī naī bāt nahī̃ haĩ , kitnē kalp , kitnē bār sampūrṇ banē hō , yād hai  ?

95It is not anything new. 96How many cycles - and how many times - have you become complete? 97Do you remember?

83Kōī naī bāt nahī̃ haĩ .

98It is not anything new.

84Kalp - kalp banē hō , banī huī ban rahī hai , sirph repeat karnā hai .

99You have become that every cycle. 100You are becoming what you have already been. 101You simply have to repeat it.

85Banī kō banānā hai , isliē kahā jātā hai banā banāyā drama .

102You have to create that which is already created, and this is why it is called the predestined drama.

86Banā huā hai sirph abhī repeat karnā arthāt banānā hai .

103It is already created, and you just have to repeat it now, that is, you have to create it.

87Muśhkil hai ki sahaj hai  ?

104Is this difficult or easy?

88Bāpdādā samajhtē hai saṅgamyug kā vardān hai - sahaj puruṣhārth .

105BapDada believes that you have the blessing of the confluence age: easy effort.

89Is janm mē̃ sahaj puruṣhārth K|kē vardān sē 21 janm sahaj jīvan svataḥ hī prāpt hōgī . 90Bāpdādā her|har bachchē kō mēhnat sē mukt karnē āyē haĩ .

106Through the blessing of easy effort in this birth, you will automatically attain an easy life for 21 births: BapDada has come to liberate every child from labouring.

9163 janm mēhnat key|kī , ēk janm paramātma pyār , muhabbat sē mēhnat sē mukt hō jāō .

107You have worked hard for 63 births. 108Therefore, now, with God’s love in this one birth, become free from labouring.

92Jahā̃ muhabbat hai vahā̃ mēhnat nahī̃ , jahā̃ mēhnat hai vahā̃ muhabbat nahī̃ .

109Where there is love, there is no labour, and where there is labour, there is no love.

93Tō bāpdādā sahaj puruṣhārthī bhav kā vardān dē rahā hai aur mukt hōnē kā sādhan hai - muhabbat , bāp sē dil kā pyār .

110So, BapDada is giving you the blessing of being an easy effort-maker, and the way to become free is love: love for the Father from your heart.

94Pyār mē̃ lavlīn aur mahāmantra hai - manmanā bhav kā mantra .

111Be absorbed in love, and the great instrument (yantra) is the mantra of Manmanabhav.

95Tō yantra kō kām mē̃ lagāō .

112So, use this instrument.

96Kām mē̃ lagānā tō ātā hai nā .

113You know how to use it, do you not?

97Bāpdādā nē dēkhā saṅgamyug mē̃ paramātma pyār dvārā , bāpdādā dvārā kitnī śhaktiyā̃ milī haĩ , guṇ milē haĩ , gyān milā hai , khuśhī milī hai , in sab prabhu dēn kō , khazānō̃ kō samay par kārya mē̃ lagāō .

114BapDada has seen how, through God’s love at the confluence age, you have received so many powers and virtues, so much knowledge and happiness. 115Therefore, use all of these treasures and gifts from God at the right time.

98Tō bāpdādā kyā chāhtē haĩ , sunā  ?

116So, did you hear what BapDada wants?

99Har ēk bachchā sahaj puruṣhārthī , sahaj bhī , tīvr bhī .

117That each child should be an easy effort-maker: easy, and also intense.

100Draṛhtā kō use karō . 101Bannā hī hai , ham nahī̃ banē̃gē tō kaun banēgā .

118Use determination: “I have to become that... if I don’t become that then who will?...

102Ham hī thē , ham hī haĩ aur her|har kalp ham hī hōṅgē .

119I was that, I am that, and I will be that, every cycle”.

103Itnā dr̥iḍh nichchya svayã mē̃ dhāraṇ karnā hī hai .

120You definitely have to adopt such firm faith in yourself.

104Karē̃gē nahī̃ kahnā , karnā hī haĩ .

121Do not say that you will do it at some point: you definitely have to do it.

105Hōnā hī hai .

122It has to happen.

106Huā paṛā hai .

123It is already accomplished.

107Bāpdādā dēśh vidēśh K|kē bachchō̃ kō dēkh khuśh hai .

124BapDada is pleased to see the children of this land and abroad.

108Lēkin sirph āp sāmnē sammukh vālō̃ kō nahī̃ dēkh rahē haĩ , chārō̃ ōr K|kē dēśh aur vidēśh K|kē bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ .

125However, he is not just seeing you children who are personally in front of him. 126He is also seeing all the children everywhere, of this land and abroad.

109Majority jahā̃-tahô sē birth day key|kī mubārak āī haĩ , card bhī milē haĩ , e-mail bhī milai haĩ , dil kā saṅkalp bhī milā hai .

127The majority of birthday greetings have come from everywhere. 128Baba has received cards, e-mails, and also thoughts from the heart.

110Bāp bhī bachchō̃ K|kē gīt gātē haĩ , āp lōg gīt gātē hō nā - bābā āpnē kar dī kamāl , tō bāp bhī gīt gātē haĩ mīṭhē bachchō̃ nē kar dī kamāl .

129The Father sings songs of the children, and you also sing, do you not: “Baba, you performed wonders”. 130Therefore, the Father also sings the song: “sweet children performed wonders”.

111Bāpdādā sadā kahtē haĩ ki āp tō sanmukh baiṭhē hō lēkin dūr vālē bhī bāpdādā K|kē dil par baiṭhē haĩ .

131BapDada always says that you are sitting personally in front of Baba, but those who are sitting far away are sitting in BapDada’s heart.

112Āj chārō ōr bachchō̃ K|kē saṅkalp mē̃ hai - mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .

132Today, in the thoughts of the children from everywhere there was just: Congratulations! 133Congratulations! 134Congratulations!

113Bāpdādā K|kē kānō mē̃ āvāj pahuñch rahā hai aur man mē̃ saṅkalp pahuñch rahē haĩ .

135This sound was reaching BapDada’s ears, and the thoughts were reaching his mind.

114Yah nimitt card haĩ , patra haĩ lēkin bahut baḍē hīrē sē bhī jyādā mūlyavān gift haĩ .

136These are not just cards: cards are just the namesake... the letters are just the namesake. 137However, they are very great gifts, even greater than diamonds.

115Sabhī sun rahē haĩ , harṣhit hō rahē haĩ .

138All of you are listening and are becoming pleased.

116Tō sabhī nē apnā birth day manā liyā .

139So you have all celebrated your birthday.

117Chāhē dō sāl kā hō , chāhē ēk sāl kā hō , chāhē ēk saptāh kā hō , lēkin yagya key|kī sthāpanā kā birth day hai .

140Whether you are two years old, or one year old, or one week old, this is the birthday of the establishment of the yagya.

118Tō sabhī brāhmaṇ yagya nivāsī tō haĩ hī .

141All Brahmins are residents of the yagya.

119Isliē sabhī bachchō̃ kō bahut-bahut dil kā yādpyār bhī hai , duāyē̃ bhī haĩ , sadā duāō̃ mē̃ hī paltē rahō , uṛtē rahō .

142This is why BapDada is giving all the children lots and lots of love and remembrance from his heart, together with blessings. 143Always continue to be sustained with blessings, and continue to fly.

120Duāyē̃ dēnā aur lēnā sahaj hai nā  !

144It is easy to give and receive blessings, is it not?

121Sahaj hai  ?

145Is it easy?

122Jō samajhtē hai sahaj hai , vah hāth uṭhāō .

146Those who feel it is easy, raise your hands!

123Jhaṇḍiyā̃ hilāō .

147Wave your flags!

124Tō duāyē̃ chhōḍtē tō nahī̃  ?

148So, you don’t let go of these blessings, do you?

125Sabsē sahaj puruṣhārth hī hai - duāyē̃ dēnā , duāyē̃ lēnā .

149The easiest effort of all is to give blessings and receive blessings.

126Ismē̃ yōg bhī ā jātā , gyān bhī ā jātā , dhārṇā bhī ā jātī , sēvā bhī ā jātī .

150Yoga is included in this, knowledge is included in it, dharna is included in it, and service is also included in it.

127Chārō̃ hī subject ā jātī hai duāyē̃ dēnē aur lēnē mē̃ .

151All four subjects are included in giving blessings and receiving blessings.

128Tō double foreigners duāyē̃ dēnā aur lēnā sahaj hai nā  !

152So, double foreigners, it is easy to give and receive blessings, is it not?

129Sahaj hai  ?

153Is it easy?

1302० sāl vālē jō āyē hai vah hāth uṭhāō .

154Those who have been in knowledge for 20 years since you first came here, raise your hands!

131Āpkō tō 2० sāl huē haĩ lēkin bāpdādā āp sabkō padam guṇā mubārak dē rahē haĩ .

155It is 20 years that you have been coming, but BapDada is giving you all multi-million-fold congratulations.

132Kitnē dēśhō̃ K|kē āyē hai  ?

156From how many countries have the children come?

133 ( 69 dēśhō̃ K|kē ) mubārak hō 69 vā̃ birth day manānē kē liē 69 dēśhō̃ sē āyē haĩ .

157(Fro, 69 countries). 158Congratulations! 159You have come from 69 countries to celebrate the 69th birthday.

134Kitnā achchhā hai .

160It is so good.

135Ānē mē̃ taklīph tō nahī̃ huī nā .

161There wasn’t any difficulty in coming here, was there?

136Sahaj ā gayē nā  !

162You came here easily, did you not?

137Jahā̃ muhabbat hai vahā̃ kuchh mēhnat nahī̃ .

163Where there is love, there is no labour.

138Tō āj kā viśhēṣh vardān kyā yād rakhēgē̃  ?

164So, what special blessing of today will you remember?

139Sahaj puruṣhārthī .

165Easy effort-makers.

140Sahaj kārya jaldī-jaldī kiyā hī jātā hai .

166Anything that is easy is done quickly.

141Mēhnat kā kām muśhkil hōtā hai nā tō time lagtā hai .

167Work that requires a lot of effort is difficult and therefore takes time.

142Tō sabhī kaun hō  ?

168So, who are all of you?

143Sahaj puruṣhārthī .

169Easy effort-makers.

144Bōlō , yād rakhnā .

170Say it! 171Remember it!

145Apnē dēśh mē̃ jākē mēhnat mē̃ nahī̃ lag jānā .

172When you return to your countries, do not get engrossed in labouring.

146Agar kōī mēhnat kā kām āvē bhī̃ tō dil sē kahnā , bābā , mē̃rā bābā , tō mēhnat khatm hō jāyēgī .

173When you have any work to do that requires labour, then say from your head “Baba, my Baba!”, and the labour will finish.

147Achchhā .

174Achcha.

148Manā liyā nā  !

175You have now celebrated, have you not?

149Bāp nē bhī manā liyā . āpnē bhī manā liyā .

176The Father celebrated, and all of you also celebrated.

150Achchhā .

177Achcha.

151Double vidēśhī 6 group mē̃ alag alag bhaṭṭiyā̃ kar rahē haĩ

178Speak! 179The double foreigners have had 6 separate bhatti groups.

152Kumāriyō̃sē - ēk-ēk kumārī 1०० brāhmaṇō̃ sē uttam hai .

180Each kumari is greater than a hundred brahmins.

153Tō check karnā jō gāyan hai har ēk kumārī kō kam sē kam 1०० brāhmaṇ jarūr banānē paṛēgē .

181So check the memorial that is remembered. 182Each one of you kumaris definitely has to create at least 100 Brahmins.

154Banāyēṅgē  ?

183Will you create them?

155Banānā hai .

184Are you going to do this?

156Hā̃ tō hāth hilāō .

185If yes, then wave your hand.

157Kitnē samay mē̃ banāyēṅgē  ?

186In how much time will you create them?

158Samay najdīk hai nā , tō āp batāō kitnā samay chāhiē  ?

187Time is close, and so tell Baba how much time you need.

159Result bhējnī paḍēgī .

188You will then have to send the result to Baba.

160 ( ēk sāl mē̃ ) ēk sāl  !

189(In one year). 190One year?

161Āpkō ēk sāl kaliyugī duniyā mē̃ rahnā hai  !

191Do you want to stay in the iron aged world for one year?

162Chalō , āpkē mukh mē̃ gulābjāmun .

192Okay, may you have a gulab-jamun in your mouth (may what you say, happen practically).

163Tō 6 mās mē̃ 5० banānā , ēk sāl mē̃ 1०० , tō 6 mās mē̃ 5० , 6 mās kē bād report bhējnā , pasand hai  ?

193So, in 6 months create 50, and in one year create 100. So, in 6 months create 50 and, after 6 months, send your report. 194Do you like that?

164Kyā nahī̃ kar saktē hō , jō chāhō vah kar saktē hō .

195What can you not achieve? 196You can achieve whatever you want.

165Achchhā hai kumāriyō̃ kā group achchhā hai .

197It is good. 198The group of kumaris is good.

166Bāpdādā kumāriyō̃ kō dēkh viśhēṣh khuśh hōtā hai kyōṅki kumāriyā̃ sēvā mē̃ sahyōgī number one ban saktī haĩ .

199BapDada is especially pleased to see the kumaris, because they can become number-one co-operative in service.

167Achchhā .

200Achcha.

168Bahut achchhā kiyā hai .

201You have done very well.

169Kumār group - ( gīt gāyā - mai bābā kā , bābā mērā ) achchhā hai , kumār , double kumār hō gayē hō .

202(Kumars Group sang a song: “I am Baba’s, and Baba is mine”). 203It is good. 204Kumars have become double kumars.

170Ēk duniyā K|kē hisāb sē bhī kumār hō aur is brāhmaṇ jīvan mē̃ bhī brahmākumār hō .

205You are kumars in terms of the world, and in this Brahmin life too, you are Brahma Kumars.

171Tō double kumār hō .

206So, you are double kumars.

172Tō double kām karnā paḍēgā .

207So, you have to do double the work!

173Karē̃gē  ?

208You will do it.

174Huā hī paṛā hai .

209It is already accomplished.

175Dr̥iṛh saṅkalp kiyā aur saphaltā huī paḍī hai .

210You had a determined thought, and success is already guaranteed.

176Achchhā .

211Achcha.

177Sabhī nē bahut achchhē banner banāyē haĩ .

212All of you have created a very good banner.

178 ( her|har group apnā - apnā banner bāpdādā kō dikhā rahā hai ) 179Mātāō̃ sē - bahut achchhā .

213Mothers Group:very good.

180Bāpdādā dēkh rahē haĩ mātāō̃ mē̃ bahut achchhā umaṅg-utsāh hai .

214BapDada is seeing that the mothers have very good zeal.

181Isliē bāpdādā nē mātāō̃ kō hī nimitt banāyā hai .

215This is why BapDada has made the mothers instruments.

182Bahut achchhā bāpdādā kō pasand hai .

216Very good. 217BapDada likes that.

183Adhar kumār - adhar kumār bhī kamāl karē̃gē .

218The half-kumars will also perform wonders.

184Har ēk adharkumār apnā parivartan kā anubhav sunākar sabhī kō bāp K|kē samīp kā banā saktē haĩ kyōṅki duniyā vālē samajhtē haĩ ki adharkumār jīvan bahut muśhkil hai lēkin āp sabhī nã muśhkil kō sahaj banāyā hai .

219Each one of you half-kumars has to relate the experience of your transformation, and bring everyone close to the Father, because people of the world think that the life of a half-Kumar is very difficult. 220However, all of you have made the difficult easy.

185Bas sirph apnā anubhav sunātē jāō , aisē muśhkil kō miṭā saktē hō .

221That is all. 222Simply continue to relate your experiences, and, in this way, you can erase that which they think to be difficult.

186Ēk śhabda kā antar karnē sē , gr̥ihasthī sē trustee bannē sē muśhkil sē sahaj hō jātā hai .

223By bringing about transformation of one word, from a householder to a trustee, anything difficult becomes easy.

187Tō aisē adharkumār sēvā mē̃ saphaltā prāpt hai aur hōtī rahēgī .

224So, in this way, the half-kumars have attained success in service, and will continue to attain it.

188Achchhā .

225Achcha.

189Yugalō̃ sē - ( banner dikhā rahē hai ) lakṣhmī-nārāyaṇ kā symbol achchhā banāyā hai .

226(^Couples displayed their banner). 227You have made a good symbol of Vishnu.

190Āp tō vijayī ratnō mē̃ haĩ .

228You are amongst the victorious jewels.

191Sāth rahtē nyārē aur pyārē .

229Whilst living together, you are detached and loving.

192Yugalō̃ kō bāpdādā kahtē haĩ yah kamal puth samān nyārē aur pyārē haĩ .

230BapDada says of the couples: you are loving and detached, like lotus flowers.

193Rahtē bhī sākār mē̃ āpas mē̃ parivār mē̃ rahtē lēkin man sē sadā bāp kē sāth rahtē haĩ .

231In the corporeal form, you live together as families, but in your mind, you always remain with the Father.

194Bahut achchhā .

232Very good.

195Sabhī double foreigners nē refreshment achchhī lī hai , abhī lī huī refreshment aurō kō dēnī hai .

233All the double foreigners have received very good refreshment. 234You now have to give others the refreshment you have received.

196Mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .

235Congratulations! 236Congratulations! 237Congratulations!

197Centre vāsī - ( banner - prēm aur dayā key|kī jyōti jagā kar rakhē̃gē ) bahut achchhā saṅkalp liyā hai .

238(^Centre^residents banner: “we will keep the light of love and mercy ignited”). 239You have had a very good thought.

198Apnē par bhī dayā dr̥iṣhṭi , sāthiyō̃ kē ūpar bhī dayā dr̥iṣhṭi aur sarv kē ūpar bhī dayā dr̥iṣhṭi .

240Have the vision of mercy for yourself, have merciful vision for your companions, and also for everyone else.

199Īśhvarīy lav|love chumbak hai , tō āpkē pās|pass īśhvarīy lav|love kā chumbak hai .

241God’s love is a magnet, so you have the magnet of God’s love.

200Kisī bhī ātmā kō īśhvarīy lav|love K|kē chumbak sē bāp kā banā saktē hō .

242You can make any soul belong to the Father with this magnet of God’s love.

201Bāpdādā centre par rahnē vālō̃ kō viśhēṣh dil key|kī duāyē̃ dētē haĩ , jō āp sabhī nē viśhva mē̃ nām bālā kiyā hai .

243BapDada especially gives blessings from his heart to all those who are living at the centres, because all of you have glorified Baba’s name in the world.

202Kōnē-kōnē mē̃ brahmakumaris kā nām tō phailāyā hai nā  !

244You have spread the name of Brahma Kumaris to every corner, have you not?

203Aur bāpdādā kō bahut achchhī bāt lagtī hai ki jaisē double vidēśhī hō , vaisē double job karnē vālē hō .

245And the thing BapDada likes best of all is that, just as you are double foreigners, so you also carry out double jobs.

204Majority laukik job bhī kartē haĩ tō alaukik job bhī kartē haĩ aur bāpdādā dēkhtē haĩ , bāpdādā key|kī TV . bahut baḍī hai , aisī baṛī T . V|we . yahā̃ nahī̃ hai . 205Tō bāpdādā dēkhtē haĩ kaisē phaṭāphaṭ class kartē , nāśhtā khaṛē-khaṛē kartē , job mē̃ time par pahuñchtē , kamāl kartē haĩ .

246The majority of you have a lokik job, and also do an alokik job. 247And BapDada sees -BapDada’s TV is very big... there isn’t such a big TV here - how you have class very quickly, how you have your breakfast whilst standing, and how you reach your work place on time. 248You perform wonders.

206Bāpdādā dēkhtē-dēkhtē dil kā pyār dētē rahtē haĩ .

249Seeing all of this, BapDada continues to give you love from his heart.

207Bahut achchhā , sēvā kē nimitt banē hō aur nimitt bannē key|kī gift bāp sadā viśhēṣh dr̥iṣhṭi dētē rahtē hai .

250Very good. 251You have become instruments for service, and, as a gift for being an instrument, the Father continues to give you special drishti.

208Bahut achchhā lakṣhya rakhā haĩ , achchhē hō , achchhē rahē̃gē , achchhē banāyēṅgē .

252You have kept a very good aim. 253You are good, and you will remain good, and you will make others good.

209I|āī|eye . T . group 210Sēvā kā kōī nayā plan banāyā hai  ?

254IT Group:have you made any new plans for service?

211 ( brahmakumaris website kō aur achchhā bavanānā hai , jō viśhva mē̃ vāpdādā kō pratyakṣha karnē key|kī sēvā mē̃ use kiyā jā sakē ) jō banāyā hai , vah practical karkē result likhnā .

255(We will make the Brahma Kumaris website even better, so that it can be used for the service of revealing BapDada in the world). 256Whatever plans you have made, do them practically, and then write to BapDada with the result.

212Jaisē aphrīkā vālō nē result likhī nā , aisē āp lōg bhī result bhējnā .

257Just as those from Africa have written their result, similarly you must also all send your results.

213Mubārak hō banāyā , umaṅg hai , utsāh hai .

258Congratulations! 259You have made plans.

214Jahā̃ umaṅg-utsāh hai , vahā̃ saphaltā hai hī hai .

260You have zeal. 261Where there is zeal, there is definitely success there.

215Bahut achchhā kiyā .

262You have done very well.

216Sēvā kā turn – rājasthān aur U . pī|P . zone

263(it is the turn of Rajasthan and U.P. zone to serve everyone) It is good.

217Achchhā hai , rūhānī laśhkar hai .

264This is a spiritual army.

218Bahut achchhā , sēvā dil sē key|kī bhī hai aur sabhī kō santuṣhṭ bhī kiyā hai .

265Very good. 266You have served from your heart, and made everyone content.

219Tō jō santuṣhṭ kartā hai uskō dil sē jō santuṣhṭatā key|kī laharē pahuchtī haĩ , ussē bahut khuśhī hōtī hai .

267When you make others content, the waves of contentment from them reach your heart, and this brings a lot of happiness.

220Tō bahut khuśhī milī hai nā .

268So, you have received a lot of happiness, have you not?

221Āpnē sthūl sēvā key|kī aur sabhī bhāī bahinō̃ nē āpkō khuśhī key|kī saugāt dī hai .

269You did physical service, and all the brothers and sisters gave you the gift of happiness.

222Santuṣhṭatā sabsē baḍī khuśhī key|kī khurāk hai .

270Contentment is the greatest nourishment of happiness.

223Sārā group santuṣhṭamaṇiyō̃ kā hō gayā .

271The whole group have become jewels of contentment.

224Santuṣhṭ karnē vālē santuṣhṭamaṇi .

272You are the jewels of contentment who make others content.

225Santuṣhṭamaṇiyō̃ kō bāpdādā aur sārē parivār key|kī mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .

273Congratulations, congratulations, congratulations, from BapDada and the whole family, to the jewels of contentment.

226Achchhā - bhārat key|kī mātāyē̃ dēkh rahī hai , hamārā nām nahī̃ liyā bābā nē .

274Achcha. 275The mothers from Bharat are seeing that Baba did not mention them.

227Bāpdādā kahtē hai ki jahā̃ bhī mātāyē̃ hōtī hai nā , tō mātāō̃ key|kī viśhēṣhtā hai ki us sthān kā bhaṇḍārā aur bhaṇḍārī bharpūr hōtī hai .

276BapDada says: wherever the mothers are, their speciality is that they make the bhandara (kitchen) and the bhandari (Baba’s box) there full.

228Mātāō̃ kō vardān hai , phurī - phurī ( būnd-būnd ) talāb bharnē kā .

277The mothers have this blessing of creating a lake, drop by drop.

229Tō mātāyē̃ bahut bhāgyavān hai , bāp key|kī bhaṇḍārī bhar dētī hai . 230Bhaṇḍārā bhī bhar jātā hai .

278So, you mothers are very fortunate: you fill the Father’s bhandari, and the bhandara also becomes full.

231Isliē mātāō̃ kō bahut-bahut mubārak hai .

279This is why Baba is giving many many congratulations to you mothers.

232Achchhā - bhāī bhī cum|kam nahī̃ hai .

280Achcha. 281The brothers are no less.

233Dēkhō jahā̃ bhāī haĩ nā , vahā̃ sēvā kō chār chānd lag jātē haĩ .

282Look, wherever brothers are, the service there is enhanced by 4 moons (it flourishes).

234Bhāiyō̃ dvārā all-round sēvā hōtī hai .

283All-round service service is done through the brothers.

235Bhaṇḍārā bharpūr tō kartē hī hai , lēkin sēvā baḍhānē kē nimitt viśhēṣh bhāī nimitt bantē haĩ .

284The mothers make the bhandara full, but it is especially the brothers who become instruments for increasing service.

236Tō sēvā key|kī raunak baḍhānē vālē bhāī haĩ .

285So, it is the brothers who increase the beauty and sparkle of service.

237Isliē bāpdādā sabhī mātāō̃ kō , sabhī bhāiyō̃ kō bahut-bahut mubārak dē rahē haĩ .

286This is why BapDada is giving many many congratulations to all the mothers and the brothers.

238Bhalē padhārē apnē ghar mē̃ .

287You are welcomed into your own home.

239Dēkhō hall|hāl key|kī raunak kaun baḍhātā hai ' āp bachchē jab ātē haĩ tō diamond hall|hāl , diamond ban jātā hai .

288Look, who increases the beauty of this hall? 289When all of you children come, the Diamond Hall becomes a diamond.

240Achchhā dr̥iśhya lagtā hai .

290The scene is very beautiful.

241Achchhā hai dādī kō diamond hall|hāl bahut pasand ā gayā hai .

291It is good. 292Dadiji loves the Diamond Hall a lot.

242Achchhā , nachātī achchhā hai .

293She makes everyone dance very well.

243Khuśh hō jātē hō nā , jab dādī ākē nachātī hai tō khuśh hō jātē haĩ .

294You become happy, do you not? 295You become happy when Dadiji makes you all dance.

244Bahut achchhā .

296Very good.

245Abhī ēk second mē̃ drill kar saktē hō  ?

297Now, are you able to perform drill in one second?

246Kar saktē hō nā .

298You are able to do this, are you not?

247Achchhā .

299Achcha.

248Chārō̃ ōr K|kē sadā umaṅg-utsāh mē̃ rahnē vālē śhrēṣhṭh bachchō̃ kō , sadā sahaj puruṣhārthī saṅgamyug K|kē sarv baradānī bachchō̃ kō , sadā bāp aur maĩ ātmā isī smr̥iti sē maĩ bōlnē vālē , maĩ ātmā , sadā sarv ātmāō̃ kō apnē vr̥itti sē vāyumaṇḍal kā sahyōg dēnē vālē aisē master sarvśhaktivān bachchō̃ kō bāpdādā kā yādpyār , duāyē̃ , mubārak aur namastē .

300To all the elevated children everywhere, who always maintain zeal... to all the easy-effort- making children, who have received the blessing of the confluence age... to those who say “I, the soul”, with the awareness of the soul being with the Father... to those who give all souls the co- operation of creating the atmosphere through their attitude... to such master almighty authority children, BapDada’s love, remembrance, blessings, congratulations, and namaste.

249Dādiyō̃sē  : 250Āp sabsē madhuban key|kī raunak hai .

301(To the Dadis) You are all the beauty and sparkle (ronak) of Madhuban.

251Viśhēṣh āj bāp kē sāth usī samay avataraṇ tō āpkā bhī hai .

302All of you also especially incarnated with the Father on this day.

252Viśhēṣh āp sabkā hai , ādi ratnō kā ādi samay mē̃ avataraṇ hai .

303It is especially the incarnation of all of you, because the original jewels incarnated at the beginning.

253Tō āp lōgō̃ kō viśhēṣh mubārak hai .

304So, special congratulations to all of you.

254Happy birth day hai .

305It is your Happy Birthday.

255Ēk gīt hai nā - āp madhuban key|kī raunak haĩ .

306There is the song: “You are the beauty of Madhuban”.

256Ādi sē kuchh tō chal gayē , lēkin āp amar hō .

307Since the beginning, many have gone away, but you have remained immortal.

257 ( bābā key|kī duāyē̃ hai , sabkī duāyē̃ hai ) yah achchhā hai , ūpar hī hāth jātā hai nīchē nahī̃ jātā hai .

308(It is with the blessings of Baba and everyone). 309It is good that your hand is always pointing upwards, and never comes down.

258Achchhā hai .

310It is good. 311It is good.

259Dādiyō̃ kō dēkhkar sabhī khuśh hōtē hō nā  !

312Everyone is very happy when they see the Dadis.

260Nirvēr bhāī , ramēśh bhāī sē  : 261Achchhā hai , pāṇḍavō̃ K|kē binā bhī gati nahī̃ hai . 262Chāhē pāṇḍav chāhē śhaktiyā̃ sabkā saṅgaṭhan , saṅgaṭhan banā rahā hai . 263Double vidēśhī baḍī bahēnō̃sē  : 264Sabhī nē mēhnat achchhī kī hai . 265Group-group banāyā hai nā tō mēhnat achchhī kī hai . 266Aur yahā̃ vāyumaṇḍal bhī achchhā hai , saṅgaṭhan key|kī bhī śhakti hai , tō sabkō refreshment achchhī mil jātī hai aur āp nimitt ban jātē hō . 267Achchhā hai . 268Dūr-dūr rahtē haĩ nā , tō saṅgaṭhan key|kī jō śhakti hōtī hai vah bhī bahut achchhī hai . 269Itnā sārā parivār ikaṭṭhā hōtā hai tō har ēk key|kī viśhēṣhtā kā prabhāv tō paḍtā hai . 270Achchhā plan banāyā hai . 271Bāpdādā khuśh hai . 272Sabkī khuśhbū āp lē lētē hō . 273Vah khuśh hōtē haĩ āpkō duāyē̃ miltī haĩ . 274Achchhā hai , yah jō sabhī ikaṭṭhē hō jātē hō yah bahut achchhā hai , āpas mē̃ lēn dēn bhī hō jātī hai aur refreshment bhī hō jātī hai . 275Ēk dō key|kī viśhēṣhtā jō achchhī pasand ātī hai , uskō use kartē hai , issē sagaṭhan achchhā hō jātā hai . 276Yah ṭhīk hai . 277Jayantī bahan sē  : 278Abhī thōḍā-thōṛā sēvā mē̃ part liyā kyōṅki khuśhī milēgī . 279Sabkī duāyē̃ , vah bhī davā kā kām karēgī . 280Bahut achchhā . 281Ḍā . Nirmalā bahan śhrī laṅkā jā rahī haĩ , vahā̃ retreat hai achchhā hai unhō̃ kō refreshment chāhiē . 282Kāṭhmāṇḍū nēpāl key|kī kiran bahan sē  : 283Prakr̥itijīt hō , śhiv śhakti hō , yah thōḍā bahut hisāb-kitāb hai , sab chalā jāyēgā . 284Majbūt rahnā aur sabhī nēpāl nivāsiyō kō yād dēnā , ghabrānā nahī̃ .

285Bāpdādā nē apnē hastō̃ sē śhiv dhvaj phahrāyā aur uair 69 vī̃ śhiv jayantī key|kī badhāiyā̃ dī|the 286Āp sabkē dil mē̃ tō bāp kī yād kā jhaṇḍā laharā hī rahā hai .

313(BapDada hoisted the flag of Shiva with his own hands, and gave greetings for the 69th Shiva Jayanti) The flag of the Father’s remembrance is hoisted in the hearts of all of you.

287Abhī sārē vidh mē̃ jō kōnē-kōnē mē̃ sēvā kar rahē hō , uskī saphaltā nikalnī hai jō chārō̃ ōr sē yahī āvāj āyēgā “ mērā bābā ” ā gayā . 288Yahī hai , yahī hai , yahī hai .

314Now, there has to be success in the service that you are doing in all corners of the world, and the sound will emerge from everywhere: “my Baba has come!... this is the One, this is the One, this is the One”.

289Vah din bhī dūr nahī̃ hai , ānā hī hai , hōnā hī hai , huā hī paḍā hai .

315That day is not far. 316It has to come. 317It has to happen. 318It is already accomplished.

290Aisē aisē mike taiyār hō rahē haĩ .

319Such mikes are being prepared.

291Āp might dēgē aur vah mike bāpdādā kō pratyakṣha karē̃gē .

320You will give might, and those mikes will reveal BapDada.

292Karnā hai nā .

321You have to do this, do you not?

293 ( bāpdādā kōī V|we . I|āī|eye . pī|P . mike kō sabhā mē̃ dēkhkar bōlē ) yah mike baiṭhī hai nā .

322(Seeing a VIP mike in the gathering) This mike is sitting here.

294Baḍhiyā mike hai .

323She is a good mike.

295Aisē̃ mike nikālē̃gē jō āpkō sirph dr̥iṣhṭi dēnī paḍēgī .

324Such mikes will emerge that you will just have to give drishti.

296Vahī din ā rahā hai , ā rahā hai , ā rahā hai 1 achchhā .

325That day is coming, it is coming, it is coming. 326Achcha.

297Ōm śhānti .

327* * * O MS H A N T I * * *