शुक्रवार 2 फ़रवरी 2007 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
02-02-07 ōm śhānti avyakt bāpadā dāmadhuban
paramātma prāptiyō̃ sē sampann ātmā key|kī niśhānī - holiest , highest aur richest
Āj viśhva parivartak bāpdādā apnē sāthī bachchō̃ sē milnē āyē haĩ . Har ēk bachchē K|kē mastak mē̃ tīn paramātma viśhēṣh prāptiyā̃ dēkh rahē haĩ . Ēk hai holiest , 2 - highest aur 3 - richest . Is gyān kā foundation hī hai hōlī|holy arthāt pavitra bannā . Tō har ēk bachchā holiest hai , pavitratā sirph brahmcharya nahī̃ lēkin man-vāṇī-karm , sambandh-sampark mē̃ pavitratā . Āp dēkhō , āp paramātma brāhmaṇ ātmāyē̃ ādi-madhy-ant tīnō̃ hī kāl mē̃ holiest rahtī hō . Pahlē-pahlē ātmā jab paramdhām mē̃ rahtē hō tō vahā̃ bhī holiest hō phir jab ādi mē̃ ātē hō tō ādikāl mē̃ bhī dēvtā rūp mē̃ holiest ātmā rahē . Holiest arthāt pavitra ātmā key|kī viśhēṣhtā hai - pravr̥itti mē̃ rahtē sampūrṇ pavitra rahnā . Aur bhī pavitra bantē haĩ lēkin āpkī pavitratā key|kī viśhēṣhtā hai - svapnamātra bhī apavitratā man-buddhi mē̃ touch nahī̃ karē . Satyug mē̃ ātmā bhī pavitra bantī aur śharīr bhī āpkā pavitra bantā . Ātmā aur śharīr dōnō̃ key|kī pavitratā jō dēv ātmā rūp mē̃ rahtī hai , vah śhrēṣhṭh pavitratā hai . Jaisē holiest bantē hō , itnā hī highest bhī bantē hō . Sabsē ūñchē tē ūñchē brāhmaṇ ātmāyē̃ aur ūñchē tē ūñchē bāp K|kē bachchē banē hō . Ādi mē̃ paramdhām mē̃ bhī highest arthāt bāp K|kē sāth-sāth rahtē hō . Madhya mē̃ bhī pūjya ātmāyē̃ bantē hō . Kitnē sundar mandir bantē haĩ aur kitnī vidhipūrvak pūjā hōtī hai . Jitnī vidhipūrvak āp dēvtāō̃ K|kē mandir mē̃ pūjā hōtī hai utnē aurō̃ K|kē mandir bantē haĩ lēkin vidhipūrvak pūjā āpkē dēvtā rūp key|kī hōtī hai . Tō holiest bhī hō aur highest bhī hō , sāth mē̃ richest bhī hō . Duniyā mē̃ kahtē haĩ richest in the world lēkin āp śhrēṣhṭh ātmāyē̃ richest in kalp haĩ . Sārā kalp richest hō . Apnē khazānē smr̥iti mē̃ ātē haĩ , kitnē khazānō̃ K|kē mālik hō ! Avināśhī khazānē jō is ēk janm mē̃ prāpt kartē hō vah anēk janm chaltē haĩ . Aur kōī kā bhī khazānā anēk janm nahī̃ chaltē . Lēkin āpkē khazānē ādhyātmik haĩ . Śhaktiyō̃ kā khazānā , gyān kā khazānā , guṇō̃ kā khazānā , śhrēṣhṭh saṅkalp kā khazānā aur vartamān samay kā khazānā , yah sarv khazānē janm chaltē haĩ . Ēk janm K|kē prāpt huē khazānē sāth chaltē haĩ kyōṅki sarv khazānō̃ K|kē dātā paramātmā bāp dvārā prāpt hōtā hai . Tō yah naśhā hai ki hamārē khazānē avināśhī haĩ ?
Is ādhyātmik khazānō̃ kō prāpt karnē kē liē sahajyōgī banē hō . Yād kī śhakti sē khazānē jamā kartē hō . Is samay bhī in sarv khazānō̃ sē sampann bēphikr bādśhāh hō , kōī phikra hai ? Hai phikra ? Kyōṅki yah khazānē jō haĩ iskō na chōr lūṭ saktā , na rājā khā saktā , na pānī ḍubō saktā , isliē bēphikr bādśhāh hō . Tō yah khazānē sadā smr̥iti mē̃ rahtē haĩ nā ! Aur yād bhī sahaj kyō̃ hai ? Kyōṅki sabsē jyādā yād kā ādhār hōtā hai ēk sambandh aur dūsrā prāpti . Jitnā pyārā sambandh hōtā hai utnī yād svataḥ ātī hai kyōṅki sambandh mē̃ snēh hōtā hai aur jahā̃ snēh hōtā hai tō snēhī key|kī yād karnā muśhkil nahī̃ hōtā , lēkin bhūlnā muśhkil hōtā hai . Tō bāp nē sarv sambandh kā ādhār banā diyā hai . Sabhī apnē kō sahajyōgī anubhav kartē hō ? Vā muśhkil yōgī haĩ ? Sahaj hai ? Ki kabhī sahaj hai , kabhī muśhkil hai ? Jab bāp kō sambandh aur snēh sē yād kartē hō tō yād muśhkil nahī̃ hōtī aur prāptiyō̃ kō yād karō . Sarv prāptiyō̃ K|kē dātā nē sarv prāptiyā̃ karā dī . Tō apnē kō sarv khazānō̃ sē sampann anubhav kartē hō ? Khazānō̃ kō jamā karnē key|kī sahaj vidhi bhī bāpdādā nē sunāī - jō bhī avināśhī khazānē haĩ un sabhī khazānō̃ key|kī prāpti karnē key|kī vidhi hai - bindī . Jaisē vināśhī khazānō̃ mē̃ bhī bindī lagātē jāō tō baṛhtā jātā hai nā . Tō avināśhī khazānō̃ key|kī jamā karnē key|kī vidhi hai bindī lagānā . Tīn bindiyā̃ haĩ - ēk maĩ ātmā bindī , bāp bhī bindī aur drama mē̃ jō bhī bīt jātā vah fullstop arthāt bindī . Tō bindī lagānē ātī hai ? Sabsē jyādā sahaj mātrā kaun see|sī|C hai ? Bindī lagānā nā ! Tō ātmā bindī hū̃ , bāp bhī bindī hai , is smr̥iti sē svataḥ hī khazānē jamā hō jātē haĩ . Tō bindī kō second mē̃ yād karnē sē kitnī khuśhī hōtī hai ! Yah sarv khazānē āpkē brāhmaṇ jīvan kā adhikār haĩ kyōṅki bachchē bannā arthāt adhikārī bannā . Aur viśhēṣh tīn sambandh kā adhikār prāpt hōtā hai - paramātmā kō bāp bhī banāyā hai , śhikṣhak bhī banāyā hai aur satgurū bhī banāyā hai . In tīnō̃ sambandh sē pālnā , paṛhāī sē source of income aur satgurū dvārā vardān miltā hai . Kitnā sahaj vardān miltā hai ? Kyōṅki bachchē kā janm siddha adhikār hai bāp K|kē vardān prāpt karnē kā .
Bāpdādā her|har bachchē kā jamā kā khātā check kartē haĩ . Āp sabhī bhī apnē her|har samay kā jamā kā khātā check karō . Jamā huā vā nahī̃ huā , uskī vidhi hai jō bhī karma kiyā , us karma mē̃ svayã bhī santuṣhṭ aur jiskē sāth karma kiyā vah bhī santuṣhṭ . Agar dōnō̃ mē̃ santuṣhṭatā hai tō samjhō karma kā khātā jamā huā . Agar svayã mē̃ vā jissē sambandh hai , usmē̃ santuṣhṭatā nahī̃ I|āī|eye tō jamā nahī̃ hōtā .
Bāpdādā sabhī bachchō̃ kō samay key|kī sūchnā bhī dētē rahtē haĩ . Yah vartamān saṅgam kā samay sārē kalp mē̃ śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh samay hai kyōṅki yah saṅgam hī śhrēṣhṭh karmō K|kē bīj bōnē kā samay hai . Pratyakṣha phal prāpt karnē kā samay hai . Is saṅgam samay mē̃ ēk ēk second śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh hai . Sabhī ēk second mē̃ aśharīrī sthiti mē̃ sthit hō saktē hō ? Bāpdādā nē sahaj vidhi sunāī hai ki nirantar yād kē liē ēk vidhi banāō - sārē din mē̃ dō śhabda sabhī bōltē hō aur anēk bār bōltē hō vah dō śhabda haĩ maĩ aur mērā . Tō jab maĩ śhabda bōltē hō tō bāp nē parichay dē diyā hai ki maĩ ātmā hū̃ . Tō jab bhī maĩ śhabda bōltē hō tō yah yād karō ki maĩ ātmā hū̃ . Akēlā maĩ nahī̃ sōchō , maĩ ātmā hū̃ , yah sāth mē̃ sōchō kyōṅki āp tō jāntē hō nā ki maĩ śhrēṣhṭh ātmā hū̃ , paramātma pālnā K|kē andar rahnē vālī ātmā hū̃ aur jab mērā śhabda bōltē hō tō mērā kaun ? Mērā bābā arthāt bāp paramātmā . Tō jab bhī maĩ aur mērā śhabda kahtē hō us samay yah addition karō , maĩ ātmā aur mērā bābā . Jitnā mērāpan lāyēṅgē bāp mē̃ , utnā yād sahaj hōtī jāyēgī kyōṅki mērā kabhī bhūltā nahī̃ hai . Sārē din mē̃ dēkhō mērā hī yād ātā hai . Tō is vidhi sē sahaj nirantar yōgī ban saktē hō . Bāpdādā nē her|har bachchē kō svamān key|kī seat par biṭhāyā hai . Svamān key|kī list agar smr̥iti mē̃ lāō tō kitnī lambī hai ! Kyōṅki svamān mē̃ sthit haĩ tō dēh abhimān nahī̃ ā saktā . Yā dēh abhimān hōgā yā svamān hōgā . Sva mān kā arth|earth hī hai - sva arthāt ātmā kā śhrēṣhṭh smr̥iti kā sthān . Tō sabhī apnē svamān mē̃ sthit haĩ ? Jitnā svamān mē̃ sthit hōṅgē utnā dūsrē kō sammān dēnā svataḥ hī hō jātā hai . Tō svamān mē̃ sthit rahnā kitnā sahaj hai !
Tō sabhī khuśhnumā rahtē haĩ ? Kyōṅki khuśhnumā rahnē vālā dūsrē kō bhī khuśhnumā banā dētā hai . Bāpdādā sadā kahtē haĩ ki sārē din mē̃ khuśhī kabhī nahī̃ ganvāō . Kyō̃ ? Khuśhī aisī chīz hai jō ēk hī khuśhī mē̃ health bhī hai , wealth bhī hai aur happy bhī hai . Khuśhī nahī̃ tō jīvan nīras rahtī hai . Khuśhī kō hī kahā jātā hai - khuśhī jaisā kōī khazānā nahī̃ . kitnē bhī khazānē hō lēkin khuśhī nahī̃ tō khazānē sē bhī prāpti nahī̃ kar saktē haĩ . Khuśhī kē liē kahā jātā hai - khuśhī jaisī kōī khurāk nahī̃ . Tō wealth bhī hai khuśhī aur khuśhī health bhī hai aur nām hī khuśhī hai tō happy tō hai hī hai . Tō khuśhī mē̃ tīnō̃ hī chījē haĩ . Aur bāp nē avināśhī khuśhī kā khazānā diyā hai , bāp kā khazānā ganvānā nahī̃ . Tō sadā khuśh rahtē ? Bāpdādā nē homework diyā tō khuśh rahnā hai aur khuśhī bāṇṭnī hai kyōṅki khuśhī aisī chīz hai jō jitnī bāṇṭē̃gē utnī baṛhēgī . Anubhav karkē dēkhā hai ! Kiyā hai nā anubhav ? Agar khuśhī bāṇṭtē haĩ tō bāṇṭnē sē pahlē apnē pās|pass baṛhtī hai . Khuśh karnē vālē sē pahlē svayã khuśh hōtē haĩ . Tō sabhī nē homework kiyā hai ? Kiyā hai ? Jisnē kiyā hai vah hāth uṭhāō . Jisnē kiyā hai - khuśh rahnā hai , kāraṇ nahī̃ nivāraṇ karnā hai , samādhān svarūp bannā hai . Hāth uṭhāō . Abhī yah tō nahī̃ kahē̃gē nā - yah hō gayā ! Bāpdādā kē pās kaī bachchō̃ nē apnī result bhī likhī hai ki ham kitnē percent ō . K|kē . rahē haĩ . Aur lakṣhya rakhē̃gē tō lakṣhya sē lakṣhaṇ svataḥ hī ātē haĩ . Achchhā . Abhī kyā karnā hai ?
Sēvā kā turn karnāṭak kā hai : karnāṭak vālē uṭhō . Achchhā hai karnāṭak vālō̃ nē sēvā kā golden chance lē liyā hai kyōṅki ab saṅgamyug mē̃ pratyakṣha phal miltā hai . Jamā bhī hōtā hai lēkin pratyakṣhaphal miltā hai jō usī samay khuśhī prāpt hōtī hai . Tō jitnā din bhī sēvā kī hai , tō pratyakṣhaphal apnē mē̃ khuśhī anubhav kiyā ? Khuśhī milī ? Hāth uṭhāō . Māyā I|āī|eye ? Nahī̃ I|āī|eye ? Jiskō māyā nahī̃ I|āī|eye vah hāth uṭhāō . Pāṇḍavō̃ kō māyā I|āī|eye ? Thōṛī-thōṛī āī hai ? Achchhā hai , yahā̃ kā vāyumaṇḍal bahut sahyōg dētā hai . Jaisē science vālē science key|kī śhakti sē vāyumaṇḍal kō parivartan kar dētē haĩ nā . Garmī mē̃ sardī , havā kā vāyumaṇḍal banā dētē haĩ nā ! Sardī mē̃ garmī kā vāyumaṇḍal banā dētē haĩ , tō silence key|kī śhakti ādhyātmik smr̥iti kā vāyumaṇḍal banā dētā hai kyōṅki yahā̃ sēvā kartē vr̥itti mē̃ kyā rahtā hai ? Yagya sēvā hai , yagya kā puṇya bahut baṛā hōtā hai . Tō is avināśhī yagya mē̃ sēvā karnē sē vr̥itti śhrēṣhṭh ban jātī hai . Tō vāyumaṇḍal bhī śhrēṣhṭh ban jātā hai . Abhī karnāṭak vālē kyā viśhēṣhtā dikhāyēṅgē ? Kōī nayā kārya karkē dikhāō . Dēkhō karnāṭak mē̃ saṅkhyā bahut hai aur area bhī bahut hai . Sēvā key|kī area bahut baṛī hai . Karnāṭak vālē baṛē tē baṛī sēvā yahī kar saktē haĩ jō karnāṭak K|kē kōī bhī chhōṭē baṛē kōī sthān nahī̃ rahē̃ jō āpkō ulhanā dēvē̃ ki hamārā bāp āyā aur hamē̃ āpnē sūchnā nahī̃ dī|the , sandēśh nahī̃ diyā . Yah ulhanā nahī̃ rah jāyē . Jaisē aphrīkā vālō̃ nē apnī area kō sandēśh dēnē kā kārya saphal kiyā hai . Bāpdādā kō yah kārya achchhā lagtā hai , kōī kā bhī ulhanā nahī̃ rah jānā chāhiē . Āpkā kām hai sandēśh dēnā , vah abhī āvē yā pīchhē āvē lēkin āpnē apnā kārya sampann kiyā tō karnāṭak vālē dūsrē varṣh mē̃ jab āyēṅgē , kyā karkē āyēṅgē ? Kōī bhī area khālī nahī̃ rahnī chāhiē . Kyōṅki āp tō jāntē hō nā - ki bāp kā parichay milnē sē , bāp K|kē sambandh mē̃ ānē sē ātmāyē̃ kitnī sukhī ban jāyēṅgī . Abhī tō din-pratidin duḥkh aur aśhānti baṛhtī jā rahī hai kyōṅki din-pratidin bhraṣhṭāchār , pāpāchār baṛh rahā hai . Ati mē̃ jā rahā hai . Lēkin āp jāntē hō ki ati kē bād kyā hōtā hai ? Ant ātī hai . Aur ant kiskō lātī hai ? Ādi kō . Tō apnē bhāī phir bhī bāp tō ēk hī hai nā , chāhē jānē chāhē mānē̃ , nahī̃ bhī mānē̃ lēkin bāp tō bāp hī hai . Tō apnē bhāīyō̃ kō , apnī bahanō̃ kō sandēśh jarūr dē dō . Tō kyā karē̃gē ? Record banāyēṅgē , teachers ? Kōī gānv bhī nahī̃ rahnā chāhiē . Hāth uṭhāō , jō karēgā , aisēhī nahī̃ hāth uṭhānā . Karē̃gē ? Result jākē bhējnā , plan banānā . Kamāl tō karnā hai nā ! Jitnī kamāl karnē mē̃ lag jāyēṅgē , utnī chhōṭī chhōṭī dhamāl khatm hō jāyēgī . Tō bahut achchhā chance milā hai , chance liyā hai aur chance kā jō kām milā hai vah bhī karkē āyēṅgē . Pakkā hai nā ? Pāṇḍav , pakkā ? Thak nahī̃ jānā . Kitnā puṇya jamā hōgā ! Tō achchhā hai , bāpdādā kō bhī khuśhī hōtī hai ki bachchē apnē puṇya kā khātā bhinnbhinn vidhi sē āgē baṛhā rahē haĩ . Bāpdādā nē sunāyā nā - tīn khātē jamā karnē haĩ - ēk apnē purūṣhārth sē jamā huā khātā aur dūsrā hai - dūsrī ātmāō̃ kō santuṣhṭ karnē mē̃ puṇya kā khātā . Santuṣhṭatā puṇya kā khātā jamā kartī hai aur tīsrā hai mansā-vācā-snēh sambandh dvārā sēvā kā khātā . Tō tīnō̃ khātē check karnā . Tīnō̃ mē̃ kamī nahī̃ hōnī chāhiē . Tō number one lē̃gē ? Jamā K|kē khātē mē̃ number one lēnā . Karnāṭak hai , cum|kam thōṛēhī hai . Bāpdādā key|kī nazar mē̃ hai karnāṭak . Bahut kuchh kar saktē haĩ , is nazar mē̃ hai . Hā̃ āgē line mē̃ khaṛē huē kyā karē̃gē ? Kamāl karē̃gē nā ! Karō kamāl , lō|low number . Sva-unnati aur sēvā key|kī unnati , dōnō̃ kā balance rakhnā . Ṭhīk hai baiṭh jāō . ( Bangalore key|kī sēvā mama nē śhurū key|kī aur dādī hdayapuṣpā aur sundarī bahan nē bahut pyār sē sēvā kī hai ) hdayapuṣpā bachchī nē bahut pyār sē sēvā kī hai . Tō pyār kā sabūt dēnā hai . Jagadambā mā̃ key|kī sēvā kā return karnā hai . Tō kitnē dinō̃ mē̃ samāchār dēgē . Her|har mās apnē samāchār dētē rahnā , ki yah kar rahē haĩ aur yah huā hai , yah hōnā hai . Bāpdādā tō her|har zone kō kahtē haĩ lēkin jiskā viśhēṣh turn hōtā hai uskō viśhēṣh attention rakhnā hai .
Tō sabhī sadā man kō busy rakhō kyōṅki man hī dhōkhā dētā , man mē̃ hī tension ātā , man hī yahā̃ vahā̃ bhāgtā hai . Tō man kō busy rakhnā arthāt sampann sthiti mē̃ jaldī sē jaldī sthit rahnā . Bāpdādā kahtē haĩ jab sthūl karmēndriyō̃ kō mērā kahtē hō , mērā hāth kahtē hō , tō hāth kō control kar saktē hō nā ! Jahā̃ chāhē jaisē chāhē vaisē kartē hō nā ! Tō man mērā hai , yā āp man K|kē hō ? Man K|kē mālik bhī tō āp hō nā ! Maĩ man tō nahī̃ hai nā ? Man rājā tō nahī̃ hai , ātmā rājā hai . Tō controlling power ruling power dhāraṇ karē̃gē tō man āpkē achchhē tē achchhā number one sahyōgī sāthī ban jāyēgā . Karkē dēkhō . Sirph mālik banō , rājā banō . Is duniyā mē̃ tīn śhaktiyā̃ tō chal rahī haĩ - dēkhō yah rājnīti kī āī hai nā ?
( rājasthān key|kī rājyapāl mahāmahim pratibhā pāṭil jī bāpdādā sē milnē āī haĩ ) tō tīn sattāyē̃ tō chal rahī haĩ , rājya sattā bhī chal rahī hai . Dharmsattā bhī chal rahī hai aur science key|kī sattā bhī chal rahī hai , lēkin result ? Āpmē̃ kitnī sattāyē̃ haĩ ? Āpmē̃ chār sattāyē̃ haĩ kyōṅki viśhva mē̃ ādhyātmik śhakti key|kī kamī hai . Āpmē̃ rājya sattā hai ? Apnī karmēndriyō̃ K|kē rājā banē hō nā ! Svarājya adhikārī hō nā ! Aur dharmsattā bhī hai , dharm kā arth|earth hai divya guṇō̃ key|kī dhārṇā , śhrēṣhṭh charitra key|kī dhārṇā , śhrēṣhṭh karma key|kī dhārṇā . Jahā̃ charitra hai vahā̃ sab kuchh hai . Charitra nahī̃ tō sab kuchh hōtē huē bhī kuchh nahī̃ hai . Aur science key|kī sattā , uskē sādhan haĩ āpkē silence key|kī sādhnā hai . Tō chārō̃ hī sattā jab ikaṭṭhī hōtī hai tab viśhva parivartan hōtā hai . Isliē bāpdādā kahtē haĩ , bachchī kō bhī kahtē haĩ , bahut achchhā kiyā pahuñch gaī hai . Rājya sattā mē̃ hai nā tō abhī kam sē kam rājasthān kō tō ādhyātmik sattā sē bharpūr karō . Rājasthān pān kā bīṛā uṭhāvē , viśhva parivartan tō āpēhī hō jāyēgā . Pahlē rājasthān kō parivartan karō . ( bābā rājasthān tō ādhyātmiktā kā gaṛh hai , yahā̃ sē viśhva mē̃ parivartan kā kārya chal rahā hai ) viśhva kō mil tō rahī hai lēkin rājasthān K|kē rājya adhikārī bhī sahyōgī ban jāyē̃ . Dēkhō āp śhakti rūp hō , bāpdādā nē śhaktiyō̃ kō āgē rakhā hai . Tō āp bhī śhiv śhakti hō . Śhakti jō chāhē vah kar saktī hai . Achchhā hai , bāpdādā nē dēkhā hai umaṅg inkō bahut hai , rājasthān kō bahut achchhē tē achchhā banāyē̃ , lēkin āpkē sabhī sahyōgī bhī haĩ , sab mil karkē karē̃gē tō kyā nahī̃ hō saktā . Rājasthān dīpak jagāyēgā , charitra kā aur vah dīpak chārō̃ ōr dauṛēgā . Achchhā kiyā . Bāpdādā kō bachchō̃ kā is kārya mē̃ sahyōgī bannē kā umaṅg-utsāh dēkh khuśhī hōtī hai . Āpkē sāth aur bhī tō āyē haĩ nā . Jō sāth mē̃ āyē haĩ vah hāth uṭhāō . Bāpdādā kō bahut achchhā lagtā hai , abhī āp sabhī āpas mē̃ meeting karnā , plan banānā ki kyā-kyā kar saktē haĩ . Aur sab yahā̃ K|kē āpkē sahyōgī banē̃gē . Umaṅg hai nā ! Achchhā hai . Rājasthān kō nimitt bannā chāhiē . Achchhā hai .
Double vidēśhī : vidēśhiyō̃ kō apnā original vidēśh tō nahī̃ bhūltā hōgā . Original āp kis dēśh K|kē hō , vah tō yād rahtā hai nā . Isliē sabhī āpkō kahtē haĩ double vidēśhī . Sirph vidēśhī nahī̃ hō , double vidēśhī . Tō āpkō apnā sweet home kabhī bhūltā nahī̃ hōgā . Tō kahā̃ rahtē hō ? Bāpdādā K|kē diltakhta naśhīn hō nā . Bāpdādā kahtē haĩ jab kōī bhī chhōṭī mōṭī samasyā āyē , samasyā nahī̃ hai lēkin paper hai āgē baṛhānē kē liē . Tō bāpdādā kā diltakhta tō āpkā adhikār hai . Diltakhtanaśhīn ban jāō tō samasyā khilaunā ban jāyēgī . Samasyā sē ghabrāyēṅgē nahī̃ , khēlē̃gē . Khilaunā hai . Sab uṛtī kalā vālē hō nā ? Uṛtī kalā hai ? Yā chalnē vālē hō ? Uṛnē vālē hō yā chalnē vālē haĩ ? Jō uṛnē vālē haĩ vah hāth uṭhāō . Uṛnē vālē . Ādhā ādhā hāth uṭhā rahē haĩ . Uṛnē vālē haĩ ? Achchhā . Kabhī kabhī uṛnā chhōṛtē haĩ kyā ? Chal rahē haĩ nahī̃ , kaī bāpdādā kō kahtē haĩ bābā ham bahut achchhē chal rahē haĩ . Tō bāpdādā kahtē haĩ chal rahē hō yā uṛ rahē hō ? Abhī chalnē kā samay nahī̃ hai , uṛnē kā samay hai . Umaṅg-utsāh K|kē , himmat K|kē paṅkh har ēk kō lagē huē haĩ . Tō paṅkhō̃ sē uṛnā hōtā hai . Tō rōj check karō , uṛtī kalā mē̃ uṛ rahē haĩ ? Achchhā hai , result mē̃ bāpdādā nē dēkhā hai ki centres vidēśh mē̃ bhī baṛh rahē haĩ . Aur baṛhtē jānē hī haĩ . Jaisē double vidēśhī haĩ vaisē double sēvā mansā bhī , vāchā bhī sāth-sāth kartē chalō . Mansā śhakti dvārā ātmāō̃ key|kī ātmik vr̥itti banāō . Vāyumaṇḍal banāō . Abhī duḥkh baṛhtā huā dēkh rahm nahī̃ ātā hai ? Āpkē jaṛ chitra kē āgē chillātē rahtē haĩ , mercy dō , mercy dō , ab dayālu kr̥ipālu merciful banō . Apnē ūpar bhī rahm aur ātmāō̃ kē ūpar bhī rahm . Achchhā hai - her|har season mē̃ , her|har turn mē̃ ā jātē haĩ . Yah sabhī kō khuśhī hōtī hai . Tō uṛtē chalō aur uṛātē chalō . Achchhā hai , result mē̃ dēkhā hai ki abhī apnē kō parivartan karnē mē̃ bhī fast jā rahē haĩ . Tō sva K|kē parivartan key|kī gati viśhva parivartan key|kī gati baṛhātā hai . Achchhā .
Jō pahlī bār āyē haĩ vah uṭhō : tō āp sabhī kō brāhmaṇ janm key|kī mubārak hō . Achchhā miṭhāī tō milēgī lēkin bāpdādā dilkhuśh miṭhāī khilā rahē haĩ . Pahlē bārī madhuban ānē key|kī yah dilkhuśh miṭhāī sadā yād rakhnā . Vah miṭhāī tō mukh mē̃ ḍālā aur khatm hō jāyēgī lēkin yah dilkhuśh miṭhāī sadā sāth rahēgī . Bhalē āyē , bāpdādā aur sārā parivār dēśh vidēśh mē̃ āp apnē bhāī bahanō̃ kō dēkh khuśh hō rahē haĩ . Sabhī dēkh rahē haĩ , America bhī dēkh rahī hai , Russia vālē bhī dēkh rahē haĩ , london vālē bhī dēkh rahē haĩ , 5 khaṇḍ hī dēkh rahē haĩ . Tō janm din key|kī āp sabkō vahā̃ baiṭhē baiṭhē mubārak dē rahē haĩ . Achchhā .
Bāpdādā key|kī rūhānī drill yād hai nā ! Abhī bāpdādā her|har bachchē sē chāhē nayē haĩ , chāhē purānē haĩ , chāhē chhōṭē haĩ chāhē baṛē haĩ , chhōṭē aur hī samān bāp jaldī ban saktē haĩ . Tō abhī second mē̃ jahā̃ man kō lagānē chāhō vahā̃ man ēkāgr hō jāē . Yah ēkāgratā key|kī drill sadā hī kartē chalō . Abhī ēk second mē̃ man K|kē mālik ban maĩ aur mērā bābā saṅsār hai , dūsrā na kōī , is ēkāgr smr̥iti mē̃ sthit hō jāō . Achchhā .
Chārō̃ ōr K|kē sarv tīvr purūṣhārthī bachchō̃ kō sadā umaṅg-utsāh K|kē paṅkhō̃ sē uṛtī lā|law K|kē anubhavī mūrt bachchō̃ kō , sadā apnē svamān key|kī seat par set rahnē vālē bachchō̃ kō , sadā merciful ban viśhva key|kī ātmāō̃ kō mansā śhakti dvārā kuchh na kuchh añchalī sukh-śhānti key|kī dēnē vālē dayālu , kr̥ipālu bachchō̃ kō , sadā bāp K|kē snēh mē̃ samāyē huē diltakhtanaśhīn bachchō̃ kō , bāpdādā kā yādpyār aur namastē .
Dādiyō̃ sē : achchhā hai - sabhī ādi ratna haĩ . Ādi ratnō̃ mē̃ viśhēṣhtā hai , sabhī ratnō̃ kō dēkh khuśh hō jātē haĩ . Dādī kō bhī sabhī yād kar rahē haĩ . ( dādī jī kō viśhēṣh treatment aur checking nimitt bambaī hospital mē̃ 31 January kō lēkar gayē haĩ . Mōhinī bahan , Munnī bahan , nirvair bhāī , yōginī bahan ādi sabnē yād bhējī hai ) baṛō̃ kē āgē kuchh tō anubhav āyēṅgē nā . Nyārē aur bāp K|kē pyārē , nyārē rahtē chhōṭī-chhōṭī bātō̃ mē̃ pār hōnē kā ēk example bantē haĩ . Bilkul 100 percent sampann bannā hai kyōṅki pahlē number vālē jarā bhī aṅśh kā aṅśh bhī rah nahī̃ jāē , sab yahā̃ khatm hōnā hai kyōṅki inhō̃ K|kē ādhār sē naī duniyā kā rājya sthāpan hōnā hai aur rājya gharānā bannā hai . Tō aṅśh mātra kō bhī bhasma kar rahē haĩ . Isīliē kuchh bhī hōtā hai lēkin phir bhī nyārāpan rahtā hai . Sarvguṇ sampann , sampūrṇ nirvikārī , maryādā purūṣhōttam yah practical sampann bannē kē liē thōṛā bahut yah khēl tō karnā hī paṛtā hai . ( dādī jānkī jī nē kahā bābā kē liē khēl hai ) āpkē liē bhī khēl hai , yah bhī part hai . Jaisē aur part bajātē haĩ , yah bhī part nūndhā huā hai . Yah jarā sā bhī bhasma hō rahā hai . Bilkul pure , aṅśh mātra bhī nahī̃ rahē . Tō sabhī kō pyār tō hai , aur pyār key|kī duāyē̃ dādī kō bhī mil rahī haĩ . Achchhā hai , āp sab mil karkē , nimitt bankē chalā rahē haĩ , yah bhī bahut achchhā hai . ( pardādī nē bhī yād dī hai ) yah bhī ēk khēl mē̃ khēl hai ki sabhī ikaṭṭhē pure ban rahē haĩ . Isnē ( śāntāmaṇi dādī ) tō himmat dikhāī aur karkē dikhāyā . Ḍākṭarō̃ kō bhī apnī himmat tō dikhā dī nā . Har ēk key|kī apnī apnī viśhēṣhtā hai . Tō achchhā hai milkē , sāthī bankē , yagya kā kārya tō rūknā hai hī nahī̃ , amar hai , chalnā hai aur baṛhnā hai . Sabhī sākṣhī hōkē khēl dēkh rahē hō yā question mark uṭhtā hai ? Kyō̃ , kyā tō nahī̃ uṭhtā nā ! Jō hōtā hai , usmē̃ kaī rāj samāyē huē hōtē haĩ . Vah bāp jānē aur drama jānē . Achchhā . Sab ṭhīk hai nā ! Achchhā hai .
Avyakt bāpdādā sē rājasthān key|kī rājyapāl mahāmahim bahan pratibhā pāṭil jī kī mulākāt
Āpnē himmat achchhī kī hai aur bāpdādā kō ēk bāt key|kī khuśhī hai ki rājasthān mē̃ dōnō̃ hī viśhēṣh mātāyē̃ haĩ . Trimūrti hai . ( chief minister , rājyapāl aur speaker tīnō̃ hī bahanē̃ haĩ ) tō bāpdādā nē yahā̃ bhī mātāō̃ dvārā sthāpanā key|kī . Tō abhī sahyōgī ban sēvā kō baṛhāō . Rājasthān kō number one hōnā chāhiē . ( hō jāyēgā , āpkā āśhīrvād hai ) kyō̃ nahī̃ hōgā , jahā̃ dr̥iṛh saṅkalp hai vahā̃ saphaltā hai hī hai . Saphaltā key|kī chābī dr̥iṛh saṅkalp hai . Yah chābī sadā sāth rakhnā . Abhī āp sāthī ban gaī . Āśhīrvād tō śhubh kārya aur himmat vālē kō svataḥ miltī hai . Kahē na kahē jismē̃ himmat hai , umaṅg hai uskō miltī hai . Bāp kā vāydā hai ēk kadam āpkī himmat kā , hajār kadam bāp key|kī madad kā . Yah sab sāthī bhī sahyōg dēnā . Bahut achchhā . Āp sabhī sahyōg dēnā . Kyā nahī̃ kar saktē haĩ , jab manuṣhyātmā viśhva kō akalyāṇ kar saktē haĩ tō kalyāṇ kyō̃ nahī̃ kar saktē . Akalyāṇ kā part bajā rahē haĩ nā ! ( yah kyō̃ hō rahā hai ? ) yah sab ati mē̃ jānā hai . Dēkhō 10 sāl pahlē bhraṣhṭāchār , pāpāchār gupta thā , ājkal khulē bajār mē̃ hō gayā hai , ati mē̃ jānā hai . Kaliyug hai nā . Kaliyug ati mē̃ jā rahā hai . ( isē khatm karnē kā upāya kyā hai ? ) iskā upāya hai ādhyātmik śhakti kō baṛhānā . Yah sandēśh dēkē unhō̃ mē̃ śhrēṣhṭh karma key|kī bhāvnā paidā karnā . Achchhā .
( jayakumār rāval , aim|M|am . L . A . dōḍhā̃icā mahārāṣhṭra ) kuchh bhī haĩ lēkin bāp K|kē kārya mē̃ sahyōgī bannā hai . ( rājyapāl sē ) yah tō ghar key|kī ban gaī hai . Dēkhō dādiyō̃ kē sāth ā gaī hai . Achchhā .
Paṭanā sē commissioner āyē haĩ kuchh bhī hō , abhī īśhvarīy kārya mē̃ sāthī bannā hai . Bas yah dr̥iṛh saṅkalp karkē jāō , karnā hī hai . Sāth dēnā hī hai . Hilō nahī̃ , dr̥iṛhtā rakhō .
Bhrātā prabhākar ready jī ( jilādhyakṣa ) āndhra pradēśh : kuchh bhī hō , abhī kyā karnā hai ? Abhī īśhvarīy kārya mē̃ sahyōgī bankē chalnā . Achchhā .
Dādiyō̃ key|kī sēvā mē̃ rahnē vālī bahanō̃ sē : āp centre par nahī̃ rahtī hō , madhuban mē̃ nahī̃ rahtī hō , sab brāhmaṇ parivār K|kē bīch mē̃ rahtī hō . Sabkī nazar āpkē ūpar hai , baṛī jimmēvārī hai , thaknā nahī̃ , sādhāraṇ nahī̃ hō . Phariśhtō̃ jaisē chalō , dādiyō̃ kō sambhāl rahī hō , kōī complain nahī̃ hai , bāpdādā khuśh hai .
Bāpdādā nē bāmbē hospital mē̃ dādī jī kī sēvā mē̃ gayē huē sabhī bhāī bahinō̃ kō viśhēṣh yād dī|the : bāpdādā bômbē mē̃ sabkī pyārī , sabkē dil key|kī dulārī dādī key|kī jō sēvā kē nimitt haĩ un sabkō yād-pyār dē rahē haĩ . Dādī kā jō bhī drama mē̃ dēkhtē hō , dēkhtē haē sākṣhī hōkē , duāō̃ key|kī , dil K|kē snēh key|kī aur snēh key|kī sakāśh dēnē key|kī sēvā kartē rahtē haĩ , kartē rahō . Khēl mē̃ khēl dēkhtē rahō . Sākṣhī hōkē dēkhō aur uṛtē rahō . Bāpdādā dil sē sabkō duāyē̃ dē rahē haĩ aur sab pyār sē sēvā kar rahē haĩ . Sēvā key|kī bhī mubārak hai . ( dādī jānkī jī nē kahā doctors bhī bahut achchhī sēvā kar rahē haĩ ) jō bhī hōtā hai usmē̃ sēvā aur kalyāṇ tō bharā huā hī hai . Achchhā . Sabhī bahut-bahut-bahut khuśh haĩ , khuśh hai ! Bahut khuśh hai ? Kitnā bahut ? Tō sadā aisē rahnā . Kuchh bhī hō jāyē hōnē dō , abhī khuśh rahnā hai . Hamē̃ uṛnā hai , kōī nīchē nahī̃ lā|law saktā . Pakkā ! Pakkā vāydā hai ? Kitnā pakkā ? Bas , khuśh rahō sabkō khuśhī dō . Kōī bhī bāt achchhī nahī̃ lagē tō bhī khuśhī nahī̃ ganvāō . Bāt kō chalā lō , khuśhī nahī̃ chalī jāyē . Bāt tō khatm hō hī jānī hai lēkin khuśhī tō sāth mē̃ chalnī hai nā ! Tō jō sāth mē̃ chalnē vālī hai uskō chhōṛ dētē hō aur jō chhūṭnē vālī hai us chhōṛnē vālī kō pās|pass mē̃ rakh dētē hō . Yah nahī̃ karnā . Amr̥itvēlē rōj pahlē apnē āpkō khuśhī key|kī khurāk khilāō . Achchhā .