सोमवार 12 मार्च 2018 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
02-02-08 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
sampūrṇ pavitratā dvārā rūhānī royalty aur personality kā anubhav kartē , apnē master gyān sūrya svarūp kō emerge karō
Āj bāpdādā chārō̃ ōr K|kē apnē royalty aur personality K|kē parivār kō dēkh rahē haĩ . Yah royalty vā rūhānī personality kā foundation hai sampūrṇ purity . Purity key|kī niśhānī sabhī K|kē mastak mē̃ , sabhī K|kē sir par light kā tāj chamak rahā hai . Aisē chamaktē huē tājdhārī rūhānī royalty , rūhānī personality vālē sirph āp brāhmaṇ parivār hī haĩ kyōṅki purity kō apnāyā hai . Āp brāhmaṇ ātmāō̃ key|kī purity kā prabhāv ādikāl sē prasiddh hai . Yād ātā hai apnā anādi aur ādikāl ! Yād karō anādikāl mē̃ bhī āp pure ātmāyē̃ ātmā rūp mē̃ bhī viśhēṣh chamaktē huē sitārē , chamaktē rahtē haĩ aur bhī ātmāyē̃ haĩ lēkin āp sitārō̃ key|kī chamak sabkē sāth hōtē bhī viśhēṣh chamaktī hai . Jaisē ākāśh mē̃ sitārē anēk hōtē haĩ lēkin kōī kōī sitārē special chamaknē vālē hōtē haĩ . Dēkh rahē hō sabhī apnē kō , phir ādikāl mē̃ āpkē purity key|kī royalty aur personality kitnī mahān rahī hai ! Sabhī pahuñch gayē ādikāl mē̃ ? Pahuñch jāō . Check karō mērī chamaknē key|kī rēkhā kitnī percent mē̃ hai ? Ādikāl sē antim kāl tak āpkē purity key|kī royalty , personality sadā rahtī hai . Anādi kāl kā chamaktā huā sitārā , chamaktē huē bāp K|kē sāth-sāth nivās karnē vālē . Abhī-abhī apnī viśhēṣhtā anubhav karō . Pahuñch gayē sab anādikāl mē̃ ? Phir sārē kalp mē̃ āp pavitra ātmāō̃ key|kī royalty bhinn-bhinn rūp mē̃ rahtī hai kyōṅki āp ātmāō̃ jaisā kōī sampūrṇ pavitra banē hī nahī̃ haĩ . Pavitratā kā janm siddha adhikār āp viśhēṣh ātmāō̃ kō bāp dvārā prāpt hai . Abhī ādikāl mē̃ ā jāō . Anādikāl bhī dēkhā , ab ādikāl mē̃ āpkē pavitratā key|kī royalty kā svarūp kitnā mahān hai ! Sabhī pahuñch gayē satyug mē̃ . Pahuñch gayē ! Ā gayē ? Kitnā pyārā svarūp dēvtā rūp hai . Dēvtāō̃ jaisī royalty aur personality sārē kalp mē̃ kisī bhī ātmā key|kī nahī̃ hai . Dēvtā rūp key|kī chamak anubhav kar rahē hō nā ! Itnī rūhānī personality , yah sab pavitratā key|kī prāpti hai . Abhī dēvtā rūp kā anubhav kartē madhyakāl mē̃ ā jāō . Ā gayē ? Ānā anubhav karnā sahaj hai nā . Tō madhyakāl mē̃ bhī dēkhō , āpkē bhakta āp pūjya ātmāō̃ key|kī pūjā kartē haĩ , chitra banātē haĩ . Kitnē royalty K|kē chitra banātē aur kitnī royalty sē pūjā kartē . Apnā pūjya chitra sāmnē ā gayā hai nā ! Chitra tō dharmātmāō̃ K|kē bhī bantē haĩ . Dharm pitāō̃ K|kē bhī bantē haĩ , abhinētāō̃ K|kē bhī bantē haĩ lēkin āpkē chitra key|kī rūhāniyat aur vidhi pūrvak pūjā mē̃ phark hōtā hai . Tō apnā pūjya svarūp sāmnē ā gayā ! Achchhā phir āō antkāl saṅgam par , yah rūhānī drill kar rahē hō nā ! Chakkar lagāō aur apnē purity kā , apnī viśhēṣh prāpti kā anubhav karō . Antimakāl saṅgam par āp brāhmaṇ ātmāō̃ kā paramātma pālnā kā , paramātma pyār kā , paramātma paṛhāī kā bhāgya āp kōṭō̃ mē̃ kōī ātmāō̃ kō hī miltā hai . Paramātmā key|kī direct rachnā , pahlī rachnā āp pavitra ātmāō̃ kō hī prāpt hōtī hai . Jissē āp brāhmaṇ hī viśhva key|kī ātmāō̃ kō bhī mukti kā varsā bāp sē dilātē hō . Tō yah sārē chakkar mē̃ anādikāl , ādikāl , madhyakāl aur antimakāl sārē chakra mē̃ itnī śhrēṣhṭh prāpti kā ādhār pavitratā hai . Sārā chakkar lagāyā abhī apnē kō check karō , apnē kō dēkhō , dēkhnē kā āinā hai nā ! Apnē kō dēkhnē kā āinā hai ? Jiskō hai vah hāth uṭhāō . Āinā hai , clear hai āinā ? Tō āinē mē̃ dēkhō mērī pavitratā kā kitnā percent hai ? Pavitratā sirph brahmcharya nahī̃ lēkin brahmāchārī . Man-vachan-karma , sambandh-sampark sabmē̃ pavitratā hai ? Kitnī percent mē̃ hai ? Percentage nikālnē ātī hai nā ! Teachers kō ātī hai ? Pāṇḍavō̃ kō ātī hai ? Achchhā hōśhiyār hō . Mātāō̃ kō ātī hai ? Ātī hai mātāō̃ kō ? Achchhā . Pavitratā key|kī parakh hai - vr̥itti , dr̥iṣhṭi aur kr̥iti tīnō̃ mē̃ check karō , sampūrṇ pavitratā key|kī jō vr̥itti hōgī , vah ā gaī nā buddhi mē̃ . Sōchō , sampūrṇ pavitratā key|kī vr̥itti arthāt her|har ātmā kē prati śhubhbhāvnā , śhubhkāmnā . Anubhavī hō nā ! Aur dr̥iṣhṭi kyā hōgī ? Her|har ātmā kō ātmā rūp mē̃ dēkhnā . Ātmik smr̥iti sē bōlnā , chalnā . Short mē̃ sunā rahē haĩ . Detail tō āp bhāṣhaṇ kar saktē haĩ aur kr̥iti arthāt karma mē̃ sukh lēnā sukh dēnā . Yah check karō - mērī vr̥itti , dr̥iṣhṭi , kr̥iti isī pramāṇ hai ? Sukh lēnā , duḥkh nahī̃ lēnā . Tō check karō kabhī duḥkh tō nahī̃ lē lētē hō ! Kabhī kabhī thōṛā-thōṛā ? Duḥkh dēnē vālē bhī tō hōtē haĩ nā . Mānō̃ vah duḥkh dētā hai tō kyā āpkō uskō follow karnā hai ! Follow karnā hai ki nahī̃ ? Follow kiskō karnā hai ? Duḥkh dēnē vālē kō vā bāp kō ? Bāp nē , brahmā bāp nē nirākār key|kī tō bāt hai hī , lēkin brahmā bāp nē kisī bachchē kā duḥkh liyā ? Sukh diyā aur sukh liyā . Follow father hai yā kabhī-kabhī lēnā hī paṛtā hai ? Nām hī hai duḥkh , jab duḥkh dētē haĩ , insult kartē haĩ , tō jāntē hō ki yah kharāb chīz hai , kōī āpkī insult kartā hai tō uskō āp achchhā samajhtē hō ? Kharāb samajhtē hō nā ! Tō vah āpkō duḥkh dētā hai yā insult kartā hai , tō kharāb chīz agar āpkō kōī dētā hai , tō āp lē lētē hō ? Lē lētē hō ? Thōṛē samay kē liē , jyādā samay nahī̃ thōṛā samay ? Kharāb chīz lēnī hōtī hai ? Tō duḥkh yā insult lētē kyō̃ hō ? Arthāt man mē̃ feeling K|kē rūp mē̃ rakhtē kyō̃ hō ? Tō apnē sē pūchhō ham duḥkh lētē haĩ ? Yā duḥkh kō parivartan K|kē rūp mē̃ dēkhtē haĩ ? Kyā samajhtē hō pahlī line . Duḥkh lēnā right hai ? Hai right ? Madhuban vālē right hai ? Thōṛā thōṛā lē lēnā chāhiē ? Pahlī line , duḥkh lē lēnā chāhiē nā ! Nahī̃ lēnā chāhiē lēkin lē lētē hō . Galatī|galtī sē lē lētē hō . Yah duḥkh key|kī feeling , parēśhān kaun hōtā ? Man mē̃ kichṛā rakhā tō parēśhān kaun hōgā ? Jahā̃ kichṛā hōgā vahā̃ hī parēśhān hōṅgē nā ! Tō us samay apnē royalty aur personality kō sāmnē lāō aur apnē kō kis svarūp mē̃ dēkhō ? Jāntē hō āpkā kyā title hai ? Āpkā title hai sahanśhīltā key|kī dēvī , sahanśhīltā kā dēv . Tō āp kaun hō ? Sahanśhīltā key|kī dēviyā̃ hō , sahanśhīltā K|kē dēv hō ? Ki nahī̃ ? Kabhī-kabhī hō jātē haĩ . Apnā position yād karō , svamān yād karō . Maĩ kaun ! Yah smr̥iti mē̃ lāō . Sārē kalp K|kē viśhēṣh svarūp key|kī smr̥iti kō lāō . Smr̥iti tō ātī hai nā !
Bāpdādā nē dēkhā ki jaisē mērā śhabda kō sahaj yād mē̃ parivartan kiyā hai . Tō mērā K|kē vistār kō samēṭnē kē liē kyā kahtē hō ? Mērā bābā . Jab bhī mērā mērā ātā tō mērā bābā mē̃ samēṭ lētē hō . Aur bār-bār mērā bābā kahnē sē yād bhī sahaj hō jātī hai aur prāpti bhī jyādā hōtī hai . Aisē hī sārē din mē̃ agar kisī bhī prakār key|kī samasyā yā kāraṇ ātā hai , uskē yah dō śhabda viśhēṣh haĩ - maĩ aur mērā . Tō jaisē bābā śhabda kahtē hī mērā śhabda pakkā yād hō gayā hai . Hō gayā hai nā ? Sabhī abhī bābā bābā nahī̃ kahtē , mērā bābā kahtē haĩ . Aisē hī yah jō maĩ śhabda hai , iskō bhī parivartan karnē kē liē jab bhī maĩ śhabda bōlō tō apnē svamān key|kī list sāmnē lāō . Maĩ kaun ? Kyōṅki maĩ śhabda girānē kē nimitt bhī bantā aur maĩ śhabda svamān key|kī smr̥iti sē ūñchā bhī uṭhātā hai . Tō jaisē mērā bābā kā abhyās hō gayā hai , aisē hī maĩ śhabda kō bôḍīkānsēsanēs key|kī smr̥iti kē bajāē apnē śhrēṣhṭh svamān kō sāmnē lāō . Maĩ śhrēṣhṭh ātmā hū̃ , takhtnaśhīn ātmā hū̃ , viśhva kalyāṇī ātmā hū̃ , aisē kōī na kōī svamān maĩ sē jōṛ lō . Tō maĩ śhabda unnati kā sādhan hō jāē . Jaisē mērā śhabda abhī majority bābā śhabda yād dilātā hai kyōṅki samay prakr̥iti dvārā apnī challenge kar rahā hai .
Samay key|kī samīpatā kō common bāt nahī̃ samjhō . Achānak aur ever ready śhabda kō apnē karmayōgī jīvan mē̃ her|har samay smr̥iti mē̃ rakhō . Apnē śhānti key|kī śhakti kā svayã prati bhī bhinn-bhinn rūp sē prayōg karō . Jaisē science apnā nayā-nayā prayōg kartī rahtī hai . Jitnā sva kē prati prayōg karnē key|kī practice kartē rahē̃gē utnā hī aurō̃ prati bhī śhānti key|kī śhakti kā prayōg hōtā rahēgā . Abhī viśhēṣh apnē śhaktiyō̃ key|kī sakāśh chārō̃ ōr phailāō . Jab āpkī prakr̥iti sūrya key|kī śhakti , sūrya key|kī kiraṇē̃ apnā kārya kitnē rūp sē kar rahā hai . Pānī barsātā bhī hai , pānī sukhātā bhī hai . Din sē rāt , rāt sē din karkē dikhātā hai . Tō kyā āp apnē śhaktiyō̃ key|kī sakāśh vāyumaṇḍal mē̃ nahī̃ phailā saktē ? Ātmāō̃ kō apnī śhaktiyō̃ key|kī sakāśh sē duḥkh aśhānti sē nahī̃ chhuṛā saktē ! Gyān sūrya svarūp kō emerge karō . Kiraṇē̃ phailāō , sakāśh phailāō . Jaisē sthāpanā K|kē ādikāl mē̃ bāpdādā K|kē taraph sē anēk ātmāō̃ kō sukh-śhānti key|kī sakāśh milnē kā ghar baiṭhē anubhav huā . Saṅkalp milā jāō . Aisē ab āp master gyān sūrya bachchō̃ dvārā sukh-śhānti key|kī lahar phailānē key|kī anubhūti hōnī chāhiē . Lēkin vah tab hōgī , iskā sādhan hai man key|kī ēkāgratā . Yād kī ēkāgratā . Ēkāgratā kī śhakti kō svayã mē̃ baṛhāō . Jab chāhō jaisē chāhō jab tak chāhō tab tak man kō ēkāgr kar sakō . Abhī master gyān sūrya K|kē svarūp kō emerge karō aur śhaktiyō̃ key|kī kiraṇē̃ , sakāśh phailāō .
Bāpdādā nē sunā aur khuśh hai ki bachchē sēvā K|kē umaṅg-utsāh mē̃ jagah-jagah par sēvā achchhī kar rahē haĩ , bāpdādā kē pās sēvā K|kē samāchār sab taraph K|kē achchhē achchhē pahuñchē haĩ , chāhē pradarśhanī kartē haĩ , chāhē samāchār patrō̃ dvārā , T . V|we . dvārā sandēśh dēnē kā kārya baṛhātē jātē haĩ . Sandēśh bhī pahuñchtā hai , sandēśh achchhā pahuñchā rahē hō . Gānv mē̃ bhī jahā̃ rahā huā hai , har ēk zone achchhā apnī apnī area kō baṛhā rahā hai . Akhbārō̃ dvārā T . V|we . dvārā bhinn bhinn sādhanō̃ dvārā umaṅg utsāh sē kar rahē hō . Uskī sab karnē vālē bachchō̃ kō bāpdādā bahut snēhayukta duāō̃ bharī mubārak dē rahē haĩ . Lēkin abhī sandēśh dēnē mē̃ tō achchhā umaṅg-utsāh hai aur chārō̃ ōr brahmakumaris kyā hai , bahut achchhā śhaktiśhālī kārya kar rahī haĩ , yah bhī āvāj achchhā phail rahā hai aur baṛhtā jā rahā hai . Lēkin , lēkin sunāyē̃ kyā ? Sunāyē̃ lēkin … lēkin brahmākumāriyō̃ kā bābā kitnā achchhā hai , vah āvāj abhī baṛhnā chāhiē . Brahmākumāriyā̃ achchhā kām kar rahī haĩ lēkin karānē vālā kaun haĩ , abhī yah pratyakṣhatā ānī chāhiē . Bāp āyā hai , yah samāchār man tak pahuñchnā chāhiē . Iskā plan banāō .
Bāpdādā sē bachchō̃ nē praśhna pūchhā ki vāris yā mike kiskō kahē̃ ? Mike nikalē bhī haĩ , lēkin bāpdādā mike abhī K|kē samay anusār aisā chāhtē haĩ yā āvaśhyak hai jiskē āvāj key|kī mahāntā hō . Agar sādhāraṇ bābā śhabda bōl bhī dētē haĩ , achchhā kartē haĩ itnē tak bhī lāyā hai , tō bāpdādā mubārak dētē haĩ lēkin abhī aisē mike chāhiē jinkē āvāj key|kī bhī lōgō̃ tak value hō . Aisē prasiddh hō , prasiddh kā matlab yah nahī̃ ki śhrēṣhṭh martabē vālā hō lēkin uskā āvāj sunkar samajhē̃ ki yah kahnē vālā jō kahtā hai , iskī āvāj mē̃ value hai . Agar yah anubhav sē kahtā hai , tō uskī value hō . Jaisē mike tō bahut hōtē haĩ lēkin mike bhī kōī power vālā kitnā hōtā hai , kōī kitnā hōtā hai , aisē hī aisā mike ḍhūṇḍhō , jiskī āvāj mē̃ śhakti hō . Uskī āvāj kō sunkar samajh mē̃ āvē ki yah anubhav karkē āyā hai tō avaśhya kōī bāt hai lēkin phir bhī vartamān samay her|har zone , her|har varg mē̃ mike nikalē jarūr haĩ . Bāpdādā yah nahī̃ kahtē ki sēvā kā pratyakṣha result nahī̃ nikalī hai , nikalī hai . Lēkin abhī samay cum|kam hai aur sēvā K|kē mahatva vālī ātmāyē̃ abhī nimitt banānī paṛē̃gī . Jiskē āvāj key|kī value hō . Martabā bhalē nahī̃ hō lēkin unkī practical life aur practical anubhav key|kī authority hō . Unkē bōl mē̃ anubhav key|kī authority hō . Samjhā kaisā mike chāhiē ? Vāris kō tō jāntē hī hō . Jiskē her|har śhvāṅs mē̃ , her|har kadam mē̃ bāp aur kartavya aur sāth-sāth man-vachan-karma , tan-man-dhan sabmē̃ bābā aur yagya samāyā huā hō . Bēhad key|kī sēvā samāī huī hō . Sakāśh nē key|kī samarthī hō .
Achchhā - abhī kiskā turn hai ? Tāmilnāḍu , eastern aur nēpāl : tō pahlē kaun ? Nimitt baṅgāl , baṅgāl vālē uṭhō . Achchhā . Baṅgāl vālō̃ nē sēvā kā chance liyā hai . Tō in thōṛē dinō̃ mē̃ apnē āpkō dēkhā ki karmaṇā sēvā dvārā yagya sēvā K|kē mahatva kō jān , apnē andar yagya sēvā kā puṇya kā khātā kitnā jamā kiyā ? Sēvā tō vahā̃ bhī kartē rahtē hō lēkin yagya sēvā kā mahatva apnā hai . Tō double sēvā key|kī , ēk karmaṇā sēvā key|kī aur dūsrī sēvā sē vāyumaṇḍal śhaktiśhālī banāyā , santuṣhṭ karnē kā banāyā , uskā bhī double puṇya yagya sēvā kā pratyakṣhaphal bhī khāyā , khuśhī huī nā . Khuśh rahē nā bahut sabhī . Tō khuśhī kā pratyakṣhaphal bhī milā aur bhaviṣhya bhī jamā huā , double prāpti key|kī . Kyōṅki sab dēkh karkē khuśh hōtē haĩ ki kitnī nirvighna sēvā hō rahī hai . Kitnē snēh sē sēvā hō rahī hai . Yah vāyumaṇḍal phailānā vā nimitt bannā iskā bhī baṛā puṇya miltā hai . Tō jiskō bhī chance miltā hai vah yahī samajhē viśhēṣh puṇya kā khātā jamā karnē kā chance milāhai . Tō jamā kiyā ? Hāth hilāō . Vartamān bhī jamā bhaviṣhya mē̃ bhī jamā . Yah sādhan hai double phal prāpt karnē kā . Achchhā hai . Tō baṅgāl vālō̃ nē kōī navīntā dikhāī ? Kōī nayā kārya kiyā hai ? Kōī invention kī hai ? Kī hai ? Kyōṅki baṅgāl mē̃ bāp key|kī padhrāmaṇī huī hai , pravēśhtā huī hai . Tō nayā kārya karnā hai nā ! Kōī naī invention nikālō , bāpdādā nē pahlē bhī kahā ki abhī yah jō sēvā kar rahē hō , achchhī kar rahē hō , bāpdādā nē mubārak dī|the lēkin abhī kuchh nayā nikālō . Kisī bhī zone nē nayā kōī plan banāyā hai ? Kisī nē bhī ? Ki vahī repeat kar rahē haĩ ? Foreign vālō̃ nē kuchh nayā nikālā ? Sēvā kā sādhan kōī nayā nikālō . Jō chal rahē haĩ vah tō achchhā hai lēkin aur achchhā , kōī nē bhī nikālā hō vah hāth uṭhāō . Kōī nē nahī̃ nikālā hai . Vargīkaraṇ key|kī sēvā bhī abhī tō bahut samay sē chal rahī hai . Abhī kuchh tō navīntā hōnī chāhiē . Tō kaun , baṅgāl nikālēgā ? Bākī achchhā hai .
Bāpdādā kō yah achchhā lagtā hai ki her|har zone kō chance miltā hai . Sēvā tō vr̥iddhi kō pā rahī hai , yah tō bāpdādā kō samāchār miltē haĩ . Centre baṛh rahē haĩ , students bhī baṛh rahē haĩ , yah tō hai . Lēkin cum|kam kharchā bālānaśhīn , aisā kōī nayā sādhan nikālō . Bākī bāpdādā baṅgāl K|kē zone ( eastern zone ) mē̃ vr̥iddhi kō dēkh karkē khuśh hai . Achchhā . Tō puṇya jamā kiyā aur yah puṇya key|kī pūñjī sāth mē̃ jāyēgī . Hāth khālī nahī̃ jāyēṅgē . Puṇya key|kī pūñjī sāth mē̃ lē jāyēṅgē . Jitnā puṇya jamā karnē chāhō utnā kar saktē hō . Bākī himmat achchhī kī hai , har ēk area K|kē sēvāsāthī achchhē haĩ . Yagya sēvā mē̃ pahuñch bhī gayē haĩ aur saphal bhī kiyā hai . Eastern mē̃ bahut nadiyā̃ ikaṭṭhī hai . Baṅgāl , bihār , uṛīsā , āsām , nēpāl , tāmilnāḍu , ādhī sabhā hai . Itnē yōgya banāyā hai , iskī bahut-bahut badhāī hō . Dēkhō , T . V|we . mē̃ dēkhō kitnē haĩ . Bahut achchhē achchhē haĩ . Hāth hilāō . Bahut achchhā . Bāpdādā kō khuśhī hai ki yagya sēvā sē kitnā pyār hai aur kitnē pahuñch gayē haĩ . Abhī 5 hī nadiyā̃ milkē kōī nayā plan banāō . Āvāj phailānē kā tō kiyā , abhī aur kuchh karō . Bākī bāpdādā kō khuśhī hai , ki 5 hī taraph key|kī saṅkhyā bahut achchhī āī hai . Itnē yahā̃ haĩ , vahā̃ kitnē hōṅgē , itnī vr̥iddhi kī hai , iskī sab parivār kō bhī khuśhī hai , bāpdādā kō bhī khuśhī hai . Tō abhī sva parivartan aur sēvā mē̃ navīntā iskī prize lēnā . Number lē̃gē nā . 5 haĩ , aur baṛē baṛē haĩ chhōṭē nahī̃ haĩ . Kamāl karkē dikhānā . Āpas mē̃ meeting karkē kōī navīntā kā plan nikālō kyōṅki abhī kaī ātmāyē̃ aisī haĩ jō suntē haĩ nā , mēlā hai , pradarśhanī hai , yātrāyē̃ haĩ , conference hai , tō vah samajhtē haĩ yah tō hamnē kar liyā hai , dēkh liyā hai . Isliē navīntā nikālō . Bākī achchhī himmat rakhī hai . Bāp key|kī viśhēṣh 5 hī kō bahut-bahutadil key|kī duāyē̃ . Vardān bhī hai , vardān batāyē̃ kaun sā hai ? Amarbhav kā vardān hai . Amar haĩ , amar rahē̃gē aur bāpdādā kē sāth amarlōk mē̃ chalē̃gē . Chalē̃gē nā ! Pahlē janm mē̃ ānā . Dūsrē tīsrē mē̃ nahī̃ ānā . Sabhī kō umaṅg hai nā . Pahlē sāth chalē̃gē apnē ghar mē̃ phir rājya mē̃ jab āyēṅgē tō pahlē janm mē̃ ānā . Dūsrē tīsrē mē̃ majā nahī̃ āyēgā . Pahlē janm mē̃ kaun āyēṅgē ? Sabhī āyēṅgē . Pahlē janm key|kī vidhi kā patā hai nā ! Vidhi kā patā hai - jō pahlā number chār hī subject mē̃ hōṅgē , ēk subject bhī cum|kam nahī̃ . Sab subject mē̃ pahlā number . Vah pahlē janm mē̃ sāthī banē̃gē . Haĩ himmat ? Kōī bhī dēkhō sthūl paṛhāī mē̃ bhī agar ēk subject mē̃ bhī fail hōtē haĩ , cum|kam marks lētē haĩ tō vah number one tō nahī̃ ātā nā . Tō one janm mē̃ ānā arthāt one number mē̃ ānā . Mañjūr hai . Abhī hāth uṭhāō . Sōchkē hāth uṭhānā . Achchhā hai . Amar rahnā aur amar banānā . Achchhā .
( tāmilnāḍu zone mē̃ 12 jyōrtiliṅgam dikhā karkē yōg key|kī anubhūti karā rahē haĩ , chhōṭē chhōṭē sthānō̃ mē̃ yah sēvā bahut achchhī tarah sē hō rahī hai , ismē̃ kharchā bahut cum|kam hai ) saphaltā hai ? Achchhā hai , mubārak hai . Yah bhī dēkhō naī invention key|kī nā , aisē aur bhī kōī naī invention karō aur jagah jagah par trial karkē dēkhō cum|kam kharchā hai aur hai bhī śhiv K|kē pratimā key|kī yādgār . Tō sabkī buddhi mē̃ ēk bāp key|kī yādgār rahēgī . Achchhā hai . Result tō ṭhīk hai . Abhī aur bhī karkē dēkhō . Achchhā hai . Sabhī kō sunānā class mē̃ tō kaisē kartē haĩ , kyā hōtā hai , anubhav sunānā . Bākī achchhā hai . Badhāī hō .
Achchhā bihār vālō̃ nē kuchh kiyā hai ? ( bihār mē̃ I|āī|eye bahār iskā ēk project banāyā hai , bihār mē̃ jahā̃ jahā̃ sandēśh nahī̃ pahuñchā hai , usē is varṣh mē̃ pūrā karē̃gē , her|har mahīnē nayā sēvākēndra khōlē̃gē ) achchhā kiyā kyōṅki bihār mē̃ dēkhā gayā hai ki jyādā mē̃ jyādā sandēśh milnā chāhiē . Programme banāyā hai , yah umaṅg utsāh key|kī mubārak . Abhī bahār āyēgī nā . Tō bahār kō sab dēkhē̃gē , majā lē̃gē nā bahār kā . Achchhā . Sēvā kā tō sab jō bhī kar rahē haĩ , her|har zone mē̃ kōī na kōī sēvā hō rahī hai , her|har varg bhī kar rahā hai , sēvā kā umaṅg utsāh achchhā hai aur achchhā rahnā chāhiē . Ṭhīk hai nā . Achchhā .
Double vidēśhī : double vidēśhī arthāt double purūṣhārthī . Bāpdādā nē abhī nām rakhā hai double purūṣhārthī . Haĩ ? Double purūṣhārthī haĩ ? Jō samajhtē haĩ vartamān samay double purūṣhārth kā lakṣhya hai aur kar bhī rahē haĩ , vah hāth uṭhāō . Double purūṣhārth . Double ? Bahut achchhā . Double par tō tālī bajāō . Achchhā hai . Āpkō dēkh karkē sab khuśhī sē āgē baṛhnē kā lakṣhya rakhē̃gē . Aur āj dēkh rahē haĩ ki vidēśh K|kē jō mēn quality hai , serviceable , knowledgeful , successful vah pahuñch gaī hai . Aur meeting bhī achchhī kar rahē haĩ . Pahlī meeting kā samāchār tō bāpdādā nē sunā ki sabhī international her|har dēśh K|kē viśhēṣh ātmāyē̃ milkar jō banāyā hai vah bahut achchhā aur sahaj ēkmat sē sahaj pās|pass hō gayā . Tō āp viśhēṣh ātmāyē̃ jō nimitt banī unkō bāpdādā padam padamguṇā mubārak dē rahē haĩ . Purānē purānē foundation āyē haĩ . Bāpdādā kō khuśhī hōtī hai . Pāṇḍav bhī cum|kam nahī̃ haĩ . Pāṇḍav bhī ēk dō sē āgē haĩ aur śhaktiyā̃ bhī ēk dō sē āgē haĩ . Achchhā . Sabhī bāpdādā K|kē vardānō̃ kō amar banānē kē liē sahaj vidhi yah apnāō ki amr̥itvēlē aur sāth mē̃ karmayōgī bannē K|kē samay bhī bār-bār vardān kō revise kar svarūp mē̃ sthit haĩ ! Yā nahī̃ hai tō apnē kō vardān K|kē svarūp mē̃ sthit karō . Bār-bār revise karō . Bāpdādā tō dē dētē haĩ vardān , lēkin vardān kō kāyam rakhnē kē liē bār-bār revise karkē svarūp mē̃ lāō . Anubhav karō us vardān kā . Rūhānī naśhē kā anubhav karō tō vah vardān āpkā amar vardān hō jāyēgā kyōṅki vardān K|kē pātr āp viśhēṣh ātmāyē̃ hō . Bhaktō̃ kō bhī vardān miltā hai lēkin vah alpkāl kā , ēk janm kē liē hai . Āpkā saṅgam kā vardān janm janmāntar sāth rahtā hai . Isliē vardān kō svarūp mē̃ lātē rahē̃gē tō vardān key|kī saphaltā kā anubhav kartē rahē̃gē . Sirph buddhi mē̃ nahī̃ svarūp mē̃ lāō . Us naśhē mē̃ rahō . Phalak mē̃ rahō . Phalak rahē maĩ vardātā key|kī vardānī hū̃ . Direct vardātā nē vardān diyā hai . Vardān kō amar banāō , kabhī kabhī vālā nahī̃ . Aur double vidēśhiyō̃ kē ūpar sabhī brāhmaṇ ātmāō̃ kā viśhēṣh snēh hai kyōṅki āpnē jō ādi bhārat K|kē sēvādhārī haĩ unkō bahut sahyōg diyā hai . Viśhva kalyāṇkārī kā jō bāp nē title diyā uskō sākār rūp mē̃ bhinn bhinn dēśhō̃ mē̃ bhinn bhinn culture aur bhinn-bhinn bhāṣhāyē̃ , usmē̃ āp sabhī viśhva kalyāṇ key|kī sēvā mē̃ saphaltā dēnē mē̃ sahyōgī banē . Isīliē bhāratvāsiyō̃ kō āpkī sēvā par bahut-bahut snēh hai . Achchhā .
Viśhēṣh jō pahlī meeting vālē āyē haĩ vah hāth uṭhāō . Kānsṭīṭyuśan key|kī meeting vālē ūñchā hāth uṭhāō . Achchhā hai . Bāpdādā kō saṅgaṭhan bahut achchhā lagtā hai . Aur mēhnat pyār sē kī hai , thakē nahī̃ haĩ . Umaṅg utsāh aur athakapan sē kiyā , bhārat vālō̃ nē bhī aur double vidēśhiyō̃ nē bhī bahut achchhā kiyā hai . Bāpdādā kō bhī pasand hai . Bhārat K|kē bhī uṭhō . Tīnō̃ pāṇḍavō̃ kō viśhēṣh badhāī hai kyō̃ badhāī hai ? Kyōṅki ḍhāñcā āpnē banāyā . Aur double vidēśhiyō̃ kō is bāt key|kī badhāī hai ki jō bhī banā usmē̃ sahyōg aur samay dēkarkē final kiyā . Dēkhē̃gē nahī̃ kahā , kar liyā , iskī bāpdādā kō khuśhī hai . Badhāī hō , badhāī hō , sabhī kō . Bhārat vālō̃ kō bhī aur double vidēśhiyō̃ kō bhī , śhaktiyō̃ kō bhī badhāī . Abhī aisā mike , jō bāpdādā nē sunāyā , viśhēṣh mike dēkhtē haĩ kahā̃ sē nikaltā hai , bhārat sē nikaltā hai yā vidēśh sē nikaltā hai . Har ēk sōchtā hai ham karē̃gē , yah tō āpkā umaṅg , āpkā chēhrā dikhā rahā hai . Achchhā .
Media wing aur SpARC wing vālē āyē haĩ : ( gīt gāyā - ham hōṅgē kāmayāb ēk din … ) dōnō̃ hī apnā apnā kārya kar rahē haĩ . Abhī bāpdādā kō samāchār miltē rahtē haĩ . Tō media bhī dinpratidin āgē baṛh rahā hai . Jō T . V|we . mē̃ programmes ātē haĩ vah āvāj achchhā phailā rahē haĩ . Abhī pāṅw tō rakh liyā hai , akhbārō̃ mē̃ bhī abhī mēhnat K|kē binā jagah dē dētē haĩ aur T . V|we . mē̃ bhī abhī sahaj jagah miltī rahtī hai , chance miltā hai . Tō itnā tō kiyā hai , tō media kō bhī mubārak hai . Abhī kōśhiśh karō ki vidēśh mē̃ abhī śhurū tō huā hai , vidēśh mē̃ bhī T . V|we . mē̃ kōī kōī samay tō jātā hai lēkin vidēśh aur dēśh kā itnā najdīk kā connection hō jāē jō chārō̃ taraph āvāj phailtā jāē . Bākī mēhnat key|kī saphaltā milī hai yah bāpdādā kō bhī achchhā lagtā hai . Mēhnat kī hai phal bhī milā hai . Aur SpARC vālē bhī apnā plan banā rahē haĩ , achchhā hai abhī aisā kuchh karkē dikhāō jō jaisē science pratyakṣha phal dikhātī hai , aisē silence key|kī śhakti itnā spaṣhṭ aur sahaj pratyakṣha rūp mē̃ anubhav karāyē jō sab kahē̃ brahmākumāriyō̃ kē pās sahaj sādhan hai . Invention kar rahē haĩ aur hōgā bhī . Sab buddhi achchhī chalā rahē haĩ tō buddhi dvārā kōī na kōī pratyakṣha phal nikal āyēgā . Achchhā hai . Mēhnat achchhī hai , phal nikal rahā hai , nikaltā rahēgā , yah tō hōnā hī hai . Achchhā .
Abhī ēk second mē̃ , ēk second huā , ēk second mē̃ sārī sabhā jō bhī jahā̃ hai vahā̃ man kō ēk hī saṅkalp mē̃ sthit karō maĩ bāp aur maĩ paramdhām mē̃ anādi jyōtibindu svarūp hū̃ , paramdhām mē̃ bāp kē sāth baiṭh jāō . Achchhā . Abhī sākār mē̃ ā jāō . Abhī vartamān samay K|kē hisāb sē man-buddhi kō ēkāgr karnē kā abhyās , jō kārya kar rahē hō usī kārya mē̃ ēkāgr karō , controlling power kō jyādā baṛhāō . Man-buddhi saṅskār tīnō̃ kē ūpar controlling power . Yah abhyās ānē vālē samay mē̃ bahut sahyōg dēgā . Vāyumaṇḍal K|kē anusār ēk second mē̃ control karnā paṛēgā . Jō chāhē vahī hō . Tō yah abhyās bahut āvaśhyak hai . Iskō halkā nahī̃ karnā . Kyōṅki samay par yahī ant suhānī karēgā .
Achchhā - chārō̃ ōr K|kē double takhtnaśhīn , bāpdādā K|kē diltakhtanaśhīn , sāth mē̃ viśhva rājya takht adhikārī , sadā apnē anādi svarūp , ādi svarūp , madhya svarūp , antim svarūp mē̃ jab chāhē tab sthit rahnē vālē sadā sarv khazānō̃ kō svayã kārya mē̃ lagānē vālē aur aurō̃ kō bhī khazānō̃ sē sampann banānē vālē sarv ātmāō̃ kō bāp sē mukti kā varsā dilānē vālē aisē paramātma pyār K|kē pātr ātmāō̃ kō bāpdādā kā yādpyār , dil key|kī duāyē̃ aur namastē .
Dādiyō̃ sē : sabhī kō achchhā lagtā hai , purānē ādi ratnō̃ kō dēkh karkē sabhī kō khuśhī hōtī hai . ( manōhar dādī sē ) chāhē class karāō nahī̃ karāō , lēkin dēkh karkē bhī khuśhī hōtī hai . Miltē rahō , haṅsātē rahō . Har ēk kō kōī na kōī vardān dētē rahō . Kuchh bhī hō lēkin phir bhī ādi ratnō̃ sē jō bhāsnā ātī haĩ nā vah aur hī ātī hai . Isliē apnā kārya kartē rahō . Sabkō bahlātē rahō . Khuśh hō jātē haĩ nā . ( pardādī sē ) madhuban mē̃ pahuñch jātē haĩ nā tō dēkhkar sab khuśh hō jātē haĩ . Āp bhī khuśh hōtī hō . Achchhā hai , hisāb apnā kām kar rahā hai , āp apnā kām kar rahī hō . Achchhā lagtā hai , saṅgaṭhan hōtā hai nā tō sabkō khuśhī hōtī hai . Achchhā kiyā hai , apnē hisāb kitāb kō shortcut kar rahī hō . Achchhā , sab achchhā hai . Sab ṭhīk chal rahā hai . ( mōhinī bahan , Munnī bahan sē ) dādī bhī dēkh karkē khuśh hō rahī hai . Bāpdādā tō khuśh hai hī , bāpdādā tō sadā bachchō̃ kō dēkh kar khuśh hōtē haĩ , kārya kō dēkh karkē bhī khuśh hōtē haĩ . Achchhā hai milkar ēk dō K|kē sahyōgī bankē jī hā̃ , jī hā̃ karkē chal rahē haĩ , chaltē rahē̃gē . Sab khuśh haĩ nā .
( ramēśh bhāī nē uṣā bahan key|kī tabiyat kā samāchār sunāyā , operation huā hai ) vah thōṛā bahut hōtā hai , ṭhīk hō jāyēgī . Kaṭakuṭ hōtā hai tō thōṛā bahut phark paṛtā hai , ṭhīk hō jāyēgī āp apnī tabiyat ṭhīk karō , nā nā nahī̃ karō , jō chāhiē vah dētē jāō . Jimmēvārī hai nā . Sāthī bhī banātē jāō aur apnē kō bhī bahut achchhī rīti sē chalātē chalō . Jyādā busy nahī̃ rakhō . Thōṛā thōṛā sahyōgī banātē jāō . Bākī achchhā kar rahē haĩ , abhī tō result bahut achchhī hai , international hō gayā . Sabhī ēk mat hōkē aur niśhchaybuddhi hōkē baiṭhē tō hō gayā . Sabhī key|kī madad hai . Lēkin sākār mē̃ tō tīnō̃ ēkmat hōkē aur hā̃ jī hā̃ jī karkē ghāṭ tō banāyā bākī thōṛā thōṛā hīrē gaṛh diyē tō achchhā hō gayā . Tō mubārak hō , tīnō̃ kō mubārak hō .
( br̥ijmōhan bhāī sē ) dēkhō apnē vichār use kiyā nā , lakṣhya rakhā karnā hī hai , hō gayā nā . Itnē varṣh nahī̃ huā , abhī sabhī key|kī buddhiyō̃ mē̃ ēk hī saṅkalp rahā , karnā hī hai , sabhī kā . Samay lagā lēkin saphaltā milī .
Tīnō̃ variṣhṭh bhāīyō̃ tathā vidēśh key|kī 6 baṛī bahinō̃ sē : bāpdādā kō yah khuśhī huī ki chāhē bhāīyō̃ nē chāhē śhaktiyō̃ nē lakṣhya rakhā karnā hī hai tō sahaj hō gayā nā . Time tō dēnā paṛtā hai lēkin huā tō sahaj nā . Jyādā discuss tō nahī̃ huī nā . Tō yah bhī ēk example banā kārya karnē kā .
Vidēśh K|kē pāṇḍavō̃ sēḥ ( yah backbone thē ) backbone āp thē , nimitt yah thē . Sabhī nē jaisē ēk kārya niśhchaybuddhi hōkē saphal kiyā tō issē siddha hai ki saphaltā āpkē hāth mē̃ hai . Jō chāhē vah kar saktē hō . Yah anubhav huā . Khuśh huē . Abhī samjhā ki saṅgaṭhan mē̃ ēk saṅkalp dr̥iṛhtā kā karnē sē sab pahāṛ bhī rāī ban saktā hai , rūī ban saktā hai . Hō saktā hai nā . Hō saktā hai ? Huā hī paṛā hai . Śhaktiyō̃ kā bhī śhubh saṅkalp hai , bāpdādā kahē̃gē viśhēṣh nimitt thōṛē banē̃ lēkin sabkā jō śhubh saṅkalp thā nā ki karnā hī hai , usnē kām kiyā . Tō jaisē abhī international phaĩslā milkē kiyā aur practical pratyakṣha dēkhā ki hō gayā , aisē sadā kartē rahnā . Kōī muśhkil nahī̃ hai . Kitnī bhujāyē̃ haĩ . Haĩ tō ēk brahmā bāp key|kī bhujāyē̃ . Tō bhujāō̃ nē kamāl tō dikhāī nā . Aisē hī saṅgaṭhan kō baṛhātē rahnā . Ēk dō K|kē sahyōgī rahnā . Ṭhīk hai nā . Bāpdādā tō samajhtē haĩ ki is group kō kōī viśhēṣh yādgār dēnā chāhiē . Yādgār mē̃ ēk vardān yād rakhnā - kōī bhī kārya karō amarbhav kā vardān pahlē yād karō . Tō amar hī hōgā . Ṭhīk hai nā . Achchhā , bahut achchhā . Newyork key|kī mōhinī bahan nē ḍinīs bahan key|kī yād dīḥ uskō kahnā ki āp bhī ēk double vidēśhiyō̃ mē̃ example hō . Iśhārē mē̃ samajhnē vālī hō . Mubārak hō . Abhī isī ḍhaṅg sē chalātē chalō . Saphaltā kā vardān hai . Kisī dvārā saphal hō jātā hai .
Annapūrṇā bahan ( chēnnaī ) : abhī āpkī śhakla mē̃ bīmārī nahī̃ hai , aisē hī rahnā . Bas muskarātī rahnā , āpkī davāī yahī hai muskarātī rahnā . Davāī bhalē karō lēkin muskarātī rahō .