शुक्रवार 31 जुलाई 2020 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
031-07-2020 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 31/07/20 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - yah wonderful pāṭhśhālā hai jismē̃ tum paṛhnē vālī ātmā bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī tō paṛhānē vālā bhī dikhāī nahī̃ dētā , yah hai naī bāt ' '
1Essence: Sweet children, this is a wonderful pathshala (school) in which neither the souls who study visible, nor the One who teaches visible. 2This is something new.
Question
2Praśhna : is pāṭhśhālā mē̃ tumhē̃ mukhya śhikṣhā kaun-sī miltī hai jō aur kōī pāṭhśhālā mē̃ nahī̃ dī|the jātī ?
3Question: What main teachings that no one receives in any other school do you receive in this school?
Answer
3Uttar : yahā̃ bāp apnē bachchō̃ kō śhikṣhā dētē haĩ - bachchē , apnī karmēndriyō̃ kō vaśh mē̃ rakhnā . 4Kabhī bhī kisī bahan par burī dr̥iṣhṭi na hō .
4Answer: Here, the teachings that the Father gives His children are: Children, control your physical organs.
5Tum ātmā rūp mē̃ bhāī hō aur prajāpitā brahmā K|kē bachchē bahan-bhāī hō . 6Tumhē̃ burē khyālāt kabhī nahī̃ ānē chāhiē .
5Never have impure vision towards a sister. 6As souls, you are all brothers, and as children of Prajapita Brahma, you are brothers and sisters. 7You must never have bad thoughts.
7Aisī śhikṣhā is university K|kē sivāē kahī̃ bhī nahī̃ dī|the jātī .
8These teachings are not given anywhere except in this university.
Song
8Gīt : dūr dēśh kā rahnē vālā …
9Song: The Resident of the faraway land has come to the foreign land.
Murli
9Ōm śhānti .
10Om shanti.
10Na dūrdēśh key|kī rahnē vālī ātmā dēkhnē mē̃ ātī hai , na dūrdēśh mē̃ rahnē vālā paramātmā dēkhnē mē̃ ātā hai .
11Neither are souls, who are residents of the faraway land, visible, nor is the Supreme Soul, the Resident of the faraway land, visible.
11Ēk hī paramātmā aur ātmā hai jō in āṅkhō̃ sē dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē haĩ .
12It is just the one Supreme Soul and souls that cannot be seen with these eyes.
12Aur sab chījē̃ dēkhnē mē̃ ātī haĩ .
13Everything else can be seen.
13Yah samajhnē mē̃ ātā hai ki ham ātmā haĩ .
14It is understood that I am a soul.
14Yah manuṣhya samajhtē haĩ ki ātmā alag hai , śharīr alag hai .
15Human beings understand that souls are separate from bodies.
15Ātmā dūrdēśh sē ākar śharīr mē̃ pravēśh kartī hai .
16A soul comes from the faraway land and enters a body.
16Tum har ēk bāt kō achchhī rīti samajh rahē hō . 17Ham ātmā kaisē dūrdēśh sē ātī haĩ .
17You understand everything very clearly, even how souls come from the faraway land.
18Ātmā bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī , paṛhānē vālā bāp paramātmā bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātā .
18Neither are souls visible nor is the Father, the Supreme Soul, who is teaching us, visible.
19Aisā tō kabhī kōī satsaṅg mē̃ athavā śhāstrō̃ mē̃ sunā nahī̃ .
19You would not have heard this at any other spiritual gathering or in the scriptures.
20Na kabhī sunā , na kabhī dēkhā . 21Abhī tum jāntē hō ham ātmā dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī .
20Neither would you have heard it nor would you have seen it. 21You now understand that we souls are invisible.
22Ātmā kō hī paṛhnā hai .
22It is the soul that has to study.
23Ātmā hī sab kuchh kartī hai nā .
23It is the soul that does everything.
24Yah naī bāt hai nā jō aur kōī samjhā na sakē .
24This is something new which no one else can explain.
25Parampitā paramātmā jō gyān kā sāgar hai , vah bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātā .
25The Supreme Father, the Supreme Soul, who is the Ocean of Knowledge, is not visible.
26Nirākār paṛhāyē kaisē ?
26How can the incorporeal One teach?
27Ātmā bhī śharīr mē̃ ātī hai nā . 28Vaisē parampitā paramātmā bāp bhī bhāgyaśhālī rath athavā bhāgīrath mē̃ ātē haĩ .
27Just as souls enter bodies, so the Father, the Supreme Soul also enters the Lucky Chariot, Bhagirath.
29Is rath kō bhī apnī ātmā hai .
28This chariot also has his own soul.
30Vah bhī apnī ātmā kō dēkh thōṛēhī saktē haĩ .
29He cannot see his own soul either.
31Bāp is rath K|kē ādhār sē ākar bachchō̃ kō paṛhātē haĩ .
30The Father comes and teaches you children with the support of this chariot.
32Ātmā bhī ēk śharīr chhōṛ phir dūsrā lētī hai .
31A soul sheds a body and takes the next one.
33Ātmā key|kī pahchān hai , dēkhī nahī̃ jātī hai .
32A soul can be understood, but cannot be seen.
34Vah bāp jō dēkhā nahī̃ jātā , vah tumkō paṛhā rahē haĩ .
33The Father who cannot be seen is teaching you.
35Yah hai bilkul naī bāt .
34This is something completely new.
36Bāp kahtē haĩ maĩ bhī drama plan anusār apnē samay par ākar śharīr dhāraṇ kartā hū̃ .
35The Father says: I come at My own time, according to the dramaplan, and adopt this body.
37Nahī̃ tō tum mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō duḥkh sē kaisē chhuṛāū̃ .
36How else would I be able to liberate you sweetest children from sorrow?
38Ab tum bachchē jāgē huē hō .
37You children have now awakened.
39Duniyā K|kē manuṣhya sab sōyē huē haĩ .
38All human beings in the world are still asleep.
40Jabki tumhārē pās|pass ākar samajhē̃ aur brāhmaṇ banē̃ .
39They will stay asleep until they come to you to understand these things and become Brahmins.
41Aur satsaṅgō̃ mē̃ kōī bhī jākar baiṭh saktē haĩ . 42Yahā̃ aisē kōī ā na sakē kyōṅki yah pāṭhśhālā hai nā .
40Anyone can go and sit in others satsangs, but no one can come here just like that because this is a school.
43Bairisṭarī K|kē imtahān mē̃ tum jākar baiṭhō tō kuchh bhī samajh nahī̃ sakē̃gē .
41If you were to go and sit for an examination to become a barrister, you wouldn’t be able to understand anything.
44Yah hai bilkul naī bāt .
42This is something completely new.
45Paṛhānē vālā bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātā .
43The One who is teaching cannot be seen.
46Paṛhnē vālē bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē .
44Even the ones studying are invisible too.
47Ātmā andar suntī hai , dhāraṇ kartī hai .
45The souls inside listen and imbibe everything.
48Andar niśhchay hōtā jātā hai . 49Yah bāt tō barōbar ṭhīk hai . 50Paramātmā aur ātmā dōnō̃ dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē .
46Internally, faith continues to develop that this is absolutely right: that neither the Supreme Soul nor souls can be seen.
51Buddhi sē samjhā jātā hai - maĩ ātmā hū̃ .
47It is understood with the intellect that I am a soul.
52Kaī tō yah bhī nahī̃ māntē , kah dētē nature hai .
48Some don’t even believe this and simply say that this is nature.
53Phir uskā varṇan bhī kartē haĩ .
49They even try to describe it.
54Anēk mat haĩ nā .
50There are many opinions.
55Tum bachchō̃ kō is knowledge mē̃ busy rahnā hai .
51You children have to remain busy in this knowledge.
56Karmēndriyā̃ jō dhōkhā dētī haĩ , unkō bhī vaśh mē̃ karnā hai .
52You also have to control your physical organs, which deceive you.
57Mukhya haĩ āṅkhē̃ jō sab kuchh dēkhtī haĩ .
53The main things are the eyes; they see everything.
58Āṅkhē̃ hī bachchā dēkhtī hai tō kahtī hai yah hamārā bachchā hai .
54It is when your eyes see your child that you say: This is my child.
59Nahī̃ tō samajhē̃ kaisē !
55How else could this be understood?
60Kōī janm sē hī andhē hōtē haĩ tō phir unkō samjhātē haĩ yah tumhārā bhāī hai , dēkh nahī̃ saktē .
56When someone is born blind, it is explained to him, "This is your brother." 57He cannot see him, but he can understand with his intellect.
61Buddhi sē samajhtē haĩ . 62Vāstav mē̃ kōī andhē sūrdās hō tō gyān kō achchhā uṭhā saktē haĩ , kyōṅki dhōkhā dēnē vālī āṅkhē̃ nahī̃ haĩ .
58In fact, if someone is blind like Surdas (one who blinded himself) he can take this knowledge very well, because he wouldn’t have eyes to deceive himself.
63Bhal aur kuchh kām vah na kar sakē , gyān achchhā lē saktē haĩ .
59Although he may not be able to do anything else, he would be able to take this knowledge very well.
64Strī kō bhī nahī̃ dēkhē̃gē .
60He wouldn’t see any women.
65Dūsrō̃ kō dēkhē̃ tō buddhi jāyē . 66Unkō pakaṛē̃ bhī .
61It is when one sees someone that the intellect is pulled and one may even want to hold that person.
67Dēkhtē hī nahī̃ tō pakaṛē̃ kaisē ?
62If one can’t see the person, how could one go and hold her?
68Tō bāp samjhātē haĩ karmēndriyō̃ kō pakkā karnā hai .
63Therefore, the Father says: Have full control over your physical organs.
69Criminal arthāt burī dr̥iṣhṭi sē kisī bhī bahan kō nahī̃ dēkhnā hai .
64Don’t look at a sister with criminal, impure vision. 65You are all brothers and sisters.
70Tum bhī bahan-bhāī hō nā . 71Burī dr̥iṣhṭi kā zarā bhī khyāl na āyē . 72Bhal ājkal kaliyug hai , bhāī-bahan bhī kharāb hō paṛtē haĩ .
66There shouldn’t be the slightest thought of impure vision. 67Nowadays, in the iron age, even the relationship between a brother and a sister is sometimes not right.
73Parantu law mujīb bhāī-bahan K|kē burē khyālāt nahī̃ rahē̃gē .
68However, according to the law, you brothers and sisters mustn’t have bad thoughts about one another.
74Ham ēk bāp K|kē bachchē haĩ .
69We are the children of the one Father.
75Bābā direction dētē haĩ - tum brahmākumār-kumāriyā̃ hō tō yah gyān pakkā hō jānā chāhiē ki ham bhāī-bahan haĩ .
70Baba gives directions: You are Brahma Kumars and Kumaris. 71Therefore, the fact that you are brothers and sisters must be made very firm.
76Ham ātmāyē̃ bhagvān K|kē bachchē bhāī haĩ phir śharīr mē̃ prajāpitā brahmā dvārā bhāī-bahan bantē haĩ kyōṅki adopt hōtē haĩ nā .
72You souls are brothers, the children of God. 73Then, while you are in those bodies, you are brothers and sisters because you have been adopted through Prajapita Brahma.
77Burī dr̥iṣhṭi jā na sakē .
74There must not be impure vision.
78Yah pakkā-pakkā samjhō - ham ātmā haĩ .
75Understand this very firmly: I am a soul.
79Bābā hamkō paṛhātē haĩ , ham ātmā paṛhtē haĩ is śharīr sē .
76Baba is teaching us; I, a soul, am studying through this body.
80Yah organs haĩ .
77These are my organs.
81Ham ātmā insē alag haĩ , in karmēndriyō̃ sē ham karma kartā hū̃ .
78I, this soul, am separate from them. 79I act through these physical organs.
82Maĩ karmēndriyā̃ thōṛēhī hū̃ .
80I am not the physical organs.
83Maĩ insē nyārī ātmā hū̃ .
81I, a soul, am separate from them.
84Yah śharīr lēkar part bajātā hū̃ , sō bhī alaukik .
82I have taken this body to play my part; this too, a spiritual part.
85Aur kōī manuṣhya yah part nahī̃ bajātē .
83No human beings, apart from you, can play this part.
86Tum bajātē hō . 87Ghaṛī-ghaṛī apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā hai .
84Repeatedly consider yourselves to be souls and remember the Father. 85He is also our Teacher and Guru.
88Phir vahī hamārā teacher bhī hai , gurū bhī hai .
86Those physical fathers, teachers and gurus are all separate.
89Vah sākār bāp-teacher-gurū alag-alag hōtē haĩ .
87That incorporeal One is the Father, Teacher and Guru, all in one.
90Yah nirākārī ēk hī bāp-teacher-gurū hai .
88Here, you children are receiving new teachings.
91Yahā̃ bachchō̃ kō ab naī śhikṣhā mil rahī hai .
89The Father, Teacher and Guru, all three, are incorporeal.
92Bāp-teacher-gurū tīnō̃ nirākārī haĩ .
90I, this incorporeal soul, am studying.
93Ham bhī nirākār ātmā paṛhtī haĩ tab tō samjhā jāē ātmā-paramātmā alag rahē bahukāl .
91It is only now that it can be understood how souls have remained separated from the Supreme Soul for a long time.
94Milnā yahā̃ hī hōtā hai . 95Jabki bāp kō ākar pāvan banānā hōtā hai .
92It is now, when He comes here to purify you, that you meet the Father again.
96Mūlvatan mē̃ ātmāyē̃ jākar milē̃gī .
93Souls will go and meet again in the incorporeal world.
97Vahā̃ tō kōī khēl nahī̃ , vah tō hai apnā ghar .
94There is no play there; that is our home.
98Vahā̃ sab ātmāyē̃ rahtī haĩ .
95That is just the place where all souls reside.
99Ant mē̃ sab ātmāyē̃ vahā̃ chalī jāyēṅgī .
96At the end, all souls will go back there.
100Ātmāyē̃ jō part bajānē ātī haĩ , vah bīch sē vāpas jā nahī̃ saktī .
97Souls come here to play their parts. 98They cannot return in between.
101Ant tak part bajānā hai .
99The parts have to be played until the end.
102Punarjanma lētē rahnā hai , tāki sab ā jāē̃ .
100Souls have to continue to take rebirth until all souls have come down.
103Satōpradhān sē satō-rajō-tamō mē̃ ā jāē̃ .
101From being satopradhan, they all go through the stages of sato, rajo and tamo.
104Phir pichhāṛī mē̃ nāṭak pūrā hōtā hai tō tamōpradhān sē satōpradhān bannā hai .
102Then, at the end, when the play is about to end, souls have to change again from tamopradhan and become satopradhan.
105Bāp sab bātē̃ tō ṭhīk samjhātē haĩ nā .
103The Father is explaining everything very clearly.
106Gyān mārg hai hī satya .
104The path of knowledge is the truth.
107Satyam śhivam sundaram kahā jātā hai nā .
105It is said: Satyam, Shivam, Sundaram. 106(The Truth, the Benefactor and the Beautiful One).
108Satya bōlnē vālā ēk bāp hai , is saṅgam par purūṣhārthī bannē kē liē yah ēk hī sat kā saṅg hōtā hai .
107It is the one Father who speaks the truth. 108In order to become an effort-maker at this confluence age, you keep the company of only that One who is the Truth.
109Bāp jab ātē haĩ , bachchō̃ sē miltē haĩ , tab uskō hī satsaṅg kahā jātā hai .
109This is the satsang where the Father comes and meets His children.
110Bākī sab haĩ kusaṅg .
110All other company is bad.
111Gāyā jātā hai - sat kā saṅg tārē kusaṅg bōrē . . . . . . kusaṅg hai rāvaṇ kā .
111It is said: The company of the Truth takes you across, whereas bad company drowns you.
112Bāp kahtē haĩ maĩ tō tumkō pār lē jātā hū̃ .
112Bad company is Ravan’s company. 113The Father says: I take you across.
113Phir tumkō ḍubōtē kaun haĩ ?
114So, who then drowns you?
114Tamōpradhān kaisē ban jātē hō , vah bhī batānā paṛtā hai .
115You also have to be told how you become tamopradhan.
115Sāmnē duśhman hai māyā . 116Śhivbābā hai mitr .
116Maya, the enemy, is in front of you whereas Shiv Baba is your Friend.
117Unkō kahā jātā hai - patiyō̃ kā pati .
117He is called the Husband of all husbands.
118Yah mahimā kōī rāvaṇ key|kī nahī̃ hai .
118This praise does not belong to Ravan.
119Sirph kahē̃gē rāvaṇ hai , bas aur kuchh nahī̃ .
119They simply say that he is Ravan, that’s all.
120Rāvaṇ kō kyō̃ jalātē haĩ ?
120Why do they burn an effigy of Ravan?
121Vahā̃ bhī tum bahut service kar saktē hō . 122Kōī bhī manuṣhya mātra nahī̃ jāntē ki rāvaṇ kaun hai ? 123Kab ātē haĩ , kyō̃ jalātē haĩ ?
121You can do a great deal of service there (where they burn Ravan’s effigy). 122No human beings know who Ravan is, when he comes or why they burn him.
124Blind faith hai nā .
123There is blind faith.
125Tum bachchō̃ kō samjhānē key|kī authority hai . 126Jaisē vah śhāstra authority sē sunātē haĩ nā .
124Just as those people relate the scriptures with great authority, so you children too have the authority to explain this.
127Sunnē vālē bhī baṛē mast hōtē haĩ .
125Those who listen to them become very intoxicated.
128Paisē dētē rahtē haĩ . 129Saṅskr̥it sikhāō , gītā sikhāō .
126They even continue to give them money and ask them to teach Sanskrit and the Gita.
130Iskē liē bhī bahut paisē dētē haĩ .
127They give a lot of money for that.
131Bāp samjhātē haĩ bachchē tum kitnā waste of time , waste of money kartē āyē hō .
128The Father explains: Children, you have been wasting so much time and money.
132Tumhārē pās|pass jō is brāhmaṇ kul K|kē hōṅgē vah ātē rahē̃gē isliē tum pradarśhanī ādi kartē hō .
129Those who belong to this Brahmin clan will continue to come to you. 130This is why you hold exhibitions etc.
133Yahā̃ kā fool|phūl hōgā tō āyēgā jarūr .
131Those who are flowers that belong here will definitely come.
134Yah jhāṛ baṛhtā jātā hai .
132This tree continues to grow.
135Bāp nē bīj lagāyā hai ēk brahmā unsē phir brāhmaṇ kul hōtā . 136Ēk sē baṛhtē gayē .
133The Father sowed the one seed of Brahma and then the Brahmin clan emerged from that; it continued to grow from one.
137Pahlē ghar vālē phir mitra-sambandhī āspās vālē ānē lagē .
134First, the family members came, then friends and then their relatives began to come.
138Phir suntē-suntē kitnē ā jātē haĩ .
135Then, on hearing of this, so many began to come.
139Samajhtē haĩ yah bhī satsaṅg hai .
136They believed that this too was a satsang.
140Parantu ismē̃ hai pavitratā key|kī mēhnat , jissē hī haṅgāmā huā .
137However, here, because of having to make effort to remain pure, there was so much upheaval.
141Abhī bhī hōtē rahtē haĩ isliē gāliyā̃ dētē haĩ .
138Even now it still continues to take place. 139This is why there are insults.
142Kahtē haĩ bhagātē thē , paṭrānī banātē thē .
140They say: He abducted women to make them into his queens.
143Paṭrānī tō svarg mē̃ banē̃gī nā .
141However, they will become queens in heaven, will they not?
144Jarūr yahā̃ pavitra banāyā hōgā .
142Therefore, they will definitely have to be made pure here.
145Tum sabkō sunātē hō - yah mahārānī-mahārājā bannē kē liē knowledge hai .
143You tell everyone that this is the knowledge to become emperors and empresses.
146Nar sē nārāyaṇ bannē key|kī sachchī-sachchī kathā tum sachchē bhagvān sē suntē hō .
144You are listening to the true God telling the true story of becoming true Narayan from an ordinary human.
147In lakṣhmī-nārāyaṇ kō kōī bhagvān-bhagvatī kah nahī̃ saktē .
145This Lakshmi and Narayan cannot be called a god and goddess.
148Parantu pujārī lōg nārāyaṇ K|kē chitra kō itnā nahī̃ māntē jitnā kr̥iṣhṇa kō .
146However, worshippers do not believe in the image of Narayan as much as they do in the image of Krishna.
149Kr̥iṣhṇa K|kē chitra bahut kharīd kartē haĩ .
147Many people buy pictures of Krishna.
150Kr̥iṣhṇa kā itnā mān kyō̃ hai ?
148Why is there so much respect for Krishna?
151Kyōṅki chhōṭā bachchā hai nā .
149Because he is a small child.
152Mahātmā sē bhī bachchō̃ kō ūñch rakhtē haĩ kyōṅki mahātmāyē̃ tō gharbār ādi sab banākar phir chhōṛtē haĩ .
150Little children are considered to be more elevated than great souls (mahatmas) because mahatmas normally have a household which they then renounce.
153Kōī bāl brahmchārī bhī hōtē haĩ . 154Parantu unkō mālūm hai kām-krōdh kyā hōtē haĩ .
151There are some who remain celibate from birth, but they are still aware of what lust and anger are.
155Chhōṭē bachchē kō patā nahī̃ rahtā isliē mahātmā sē ūñch kahā jātā hai isliē kr̥iṣhṇa kō jāstī mān dētē haĩ .
152Little children are unaware of those vices. 153This is why they are considered to be more elevated than the great souls. 154This is why Krishna is given greater respect.
156Kr̥iṣhṇa kō dēkh bahut khuśh hōtē haĩ .
155Worshippers become very happy when they see an image of Krishna.
157Bhārat kā lord kr̥iṣhṇā hai .
156They speak of Lord Krishna in Bharat.
158Bachchiyā̃ bhī kr̥iṣhṇa kō bahut pyār kartī haĩ .
157Even the daughters have a great deal of love for Krishna.
159In jaisā pati milē , in jaisā bachchā milē .
158They want to have a husband or a child like him.
160Kr̥iṣhṇa mē̃ kaśhiśh bahut hai . 161Satōpradhān hai nā .
159Krishna has great attraction because he is satopradhan.
162Bāp kahtē rahtē , jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā tamōpradhān sē tamō rajō mē̃ ātē jāyēṅgē aur khuśhī bhī hōgī .
160The Father continues to say: The more you stay in remembrance, the more you will change from tamopradhan and become tamo and then rajo and the happier you will also become.
163Pahlē tum satōpradhān thē tō bahut khuśhī mē̃ thē phir kalā kam hōtī jātī hai .
161At first, when you were satopradhan, you were very happy. 162Then, your degrees gradually continued to decrease.
164Tum jitnā yād kartē rahē̃gē tō sukh bhī itnā feel hōgā aur tum transfer hōtē jāyēṅgē . 165Tamō sē rajō satō mē̃ ātē jāyēṅgē tō tākat , khuśhī , dhārṇā baṛhtī jāyēgī .
163The more you stay in remembrance, the happier you will feel and you will continue to be transferred. 164From tamo, you will continue to go through the stages of rajo and sato and your strength, happiness and virtues will also continue to increase.
166Is samay tumhārī chaṛhtī kalā hai .
165At this time, your stage is ascending.
167Sikkh lōg gātē bhī haĩ tērē bhānē sarv kā bhalā .
166The Sikhs sing: When your stage ascends, everyone benefits.
168Tum jāntē hō abhī hamārī chaṛhtī kalā hōtī hai yād sē .
167You know that your stage is now ascending by having this remembrance.
169Jitnā yād karē̃gē utnā ūñch chaṛhtī kalā hōgī .
168The more you stay in remembrance, the higher your stage will ascend.
170Sampūrṇ bannā hai nā .
169You have to become full.
171Chandramā key|kī bhī lakīr rah jātī hai phir kalā baṛhtē-baṛhtē sampūrṇ ban jātā hai .
170When there is just a line of the moon left, it then gradually continues to increase until it becomes the full moon.
172Tumhārā bhī aisē hai .
171It is the same for you.
173Chandramā par bhī grahaṇ lagtā hai tō kahtē haĩ dē dān tō chhūṭē grahaṇ .
172When the moon is eclipsed, it is said: Give a donation so that the bad omens are removed.
174Tum phaṭ sē 5 vikārō̃ kā dān dē nahī̃ saktē hō .
173You cannot donate the five vices instantly.
175Āṅkhē̃ bhī kitnā dhōkhā dētī haĩ .
174Your eyes deceive you so much.
176Samajhtē nahī̃ ki hamārī burī dr̥iṣhṭi jātī hai .
175Some don’t even understand that their vision is impure.
177Ham jabki brahmākumār-kumārī banē̃ tō bhāī-bahan hō gayē .
176Since you have become Brahma Kumars and Kumaris, you are brothers and sisters.
178Phir agar dil hōtī hai inkō hāth lagāyē̃ , tō vah brotherly lav|love nikal strīpanē kā criminal lav|love hō jātā hai .
177Then, if you have a desire to touch someone, it means your brotherly love has finished and it has become criminal love.
179Kōī kō dil andar khātā hai ham bāp K|kē banē haĩ tō hamkō kōī bhī burī dr̥iṣhṭi sē hāth lagā nahī̃ saktē .
178The consciences of some bite them and they think: Now that I belong to the Father, no one should look at me with impure vision or touch me.
180Phir kahtē haĩ bābā hamkō yah hāth lagātē haĩ , hamkō achchhā nahī̃ lagtā .
179Then they say: Baba, this person touched me and I don’t like it.
181Bābā phir murlī chalātē haĩ - issē tumhārī avasthā ṭhīk nahī̃ rahēgī .
180Baba would then say in the murli: By doing that, your stage won’t remain good.
182Bhal murlī bahut achchhī sunātē , bahutō̃ kō samjhātē haĩ parantu avasthā nahī̃ hai .
181Although they may be able to give knowledge and explain to others very well, they don’t have that stage.
183Burī dr̥iṣhṭi hō jātī hai .
182There is bad vision.
184Itnī gandī duniyā hai .
183This world is so dirty!
185Bachchē samajhtē haĩ mañjil bahut ūñchī hai .
184You children understand that this destination is very high.
186Bāp kī yād mē̃ sensible hō rahnā hai .
185You should be very sensible and stay in remembrance of the Father.
187Ham brahmākumār-kumārī haĩ .
186We are Brahma Kumars and Kumaris.
188Hamārā rūhānī connection hai , blood connection nahī̃ hai .
187We have a spiritual connection, not a blood connection.
189Yū̃ tō blood sē sab paidā hōtē haĩ , satyug mē̃ bhī blood connection hōtā hai parantu vah śharīr yōgbal sē miltā hai .
188In fact, everyone is born through blood. 189There is also blood connection in the golden age. 190However, there, you receive your bodies through the power of yoga.
190Kahē̃gē vikār bigar bachchē paidā kaisē hōṅgē !
191Some ask: How can children be born unless there is vice?
191Bāp kahtē haĩ vah hai hī nirvikārī duniyā , vahā̃ vikār hōtā hī nahī̃ .
192The Father says: That is the viceless world. 193Vices do not exist there.
192Vahā̃ bhī agar naṅgan hō̃ tō vahā̃ bhī rāvaṇ rājya hō jāē . 193Phir yahā̃ aur vahā̃ mē̃ phark hī kyā rahā !
194If you were stripped there, then that too would be Ravan’s kingdom and there would be no difference between there and here.
194Yah samajhnē key|kī bātē̃ haĩ .
195These matters have to be understood.
195Burī dr̥iṣhṭi miṭ jānā baṛī mēhnat lagtī hai .
196It does require a great deal of effort to stop impure vision.
196Kālējō̃ mē̃ baccē-bacciyā̃ ikaṭṭhē paṛhtē haĩ , tō bahutō̃ key|kī criminal eye hō jātī hai .
197When girls and boys study together at college, many have a criminal eye.
197Bachchō̃ kō samajhnā hai ham god father K|kē bachchē haĩ tō āpas mē̃ bahan-bhāī hō gayē .
198You children understand that you are the children of God, the Father. 199Therefore, you are brothers and sisters.
198Phir burī dr̥iṣhṭi kyō̃ rakhtē .
200Then, why do you have impure vision?
199Sab kahtē bhī haĩ ham īśhvar key|kī santān haĩ .
201You all say that you are the children of God.
200Ātmāyē̃ tō huī nirākārī santān .
202Souls are incorporeal children anyway.
201Phir bāp rachtē haĩ tō jarūr sākārī brāhmaṇ rachē̃gē .
203Then, when the Father creates His children, He will definitely create physical Brahmins.
202Prajāpitā brahmā tō sākār hōgā nā .
204Prajapita Brahma would have to be corporeal would he not?
203Vah hō gaī adoption . 204Gōd K|kē bachchē .
205That is adoption; you are adopted children.
205Manuṣhyō̃ key|kī buddhi mē̃ yah bilkul nahī̃ ātā ki prajāpitā brahmā dvārā sr̥iṣhṭi kaisē rachī .
206How the world was created through Prajapita Brahma doesn’t enter the intellects of human beings at all.
206Tum prajāpitā brahmā K|kē bachchē brahmākumār-kumāriyā̃ bhāī-bahan ṭhaharē .
207You are Brahma Kumars and Kumaris, children of Prajapita Brahma. 208Therefore, you are brothers and sisters.
207Burī dr̥iṣhṭi key|kī baṛī khabardārī chāhiē .
209You must be very careful about having impure vision.
208Ismē̃ bahutō̃ kō dikkat hōtī hai .
210Many find this difficult.
209Ūñch tē ūñch pad pānā hai tō mēhnat karnī hai .
211If you want to claim the highest status of all, you have to make effort.
210Bāp kahtē haĩ pavitra banō .
212The Father says: Become pure!
211Inkā bhī kōī māntē haĩ , kōī nahī̃ māntē .
213Some listen to this one too (Brahma), whereas others don’t.
212Baṛī mēhnat hai .
214This requires a great deal of effort.
213Mēhnat bigar ūñch kaisē banē̃gē ?
215How can you become elevated unless you make effort?
214Bachchō̃ kō khabardār rahnā hai .
216You children have to remain cautious.
215Bhāī-bahan kā arth|earth hī hai - ēk bāp K|kē bachchē , phir burī dr̥iṣhṭi kyō̃ jānī chāhiē .
217To be a brother and sister means to be the children of the one Father. 218Therefore, why should there be impure vision?
216Bachchē samajhtē haĩ bābā ṭhīk kahtē haĩ - hamārī criminal dr̥iṣhṭi jātī hai .
219You children understand when Baba tells you correctly that there is criminal vision.
217Strī key|kī bhī jātī hai , tō purūṣh key|kī bhī jātī hai .
220Women as well as men have impure vision.
218Mañjil hai nā .
221Your destination is very high.
219Knowledge tō bahut sunātē haĩ parantu jabki chalan bhī pavitratā kī hō isliē bābā kahtē haĩ sabsē jāstī dhōkhā dēnē vālī yah āṅkhē̃ haĩ .
222Many of you can relate knowledge, but your behaviour has to be filled with purity. 223This is why Baba says: The eyes are the most deceptive.
220Mukh bhī myāū̃-myāū̃ tab kartā hai jab āṅkhō̃ sē chīz dēkhtē haĩ tab dil hōtī hai yah khāū̃ isliē karmēndriyō̃ par jīt pānī hai .
224The mouth also meows when the eyes see something and then your heart says you want to eat it. 225Therefore, you have to conquer your physical organs.
221Achchhā !
226Achcha.
222Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
227To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
223Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
228The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
224Dhārṇā kē liē mukhya sār :
229Essence for dharna:
2251 ) pavitratā key|kī chalan apnānī hai .
230 1. Your behaviour has to be filled with purity.
226Burī dr̥iṣhṭi , burē khyālāt samāpt karnē kē liē apnē kō in karmēndriyō̃ sē nyārā ātmā samajhnā hai .
231In order to stop any impure vision and bad thoughts, consider yourself to be a soul, separate from your physical organs.
2272 ) āpas mē̃ rūhānī connection rakhnā hai , blood connection nahī̃ .
232 2. Make the connections between yourselves spiritual. 233Do not have any blood connection.
228Apnā amūlya time aur manī|money west|waste nahī̃ karnā hai .
234Your time and money areinvaluable. 235Don’t waste them!
229Saṅgdōṣh sē apnī bahut-bahut sambhāl karnī hai .
236Remain very careful about the influence of the company you keep.
Blessing
230Vardān : brahm-mahūrt K|kē samay vardān lēnē aur dān dēnē vālē bāp samān vardānī , mahādānī bhav
237Blessing: May you be a bestower of blessings and a great donor, like the Father and take blessings and donate at the time of brahm-muhurat.
231Braham mahūrta K|kē samay viśhēṣh brahmlōk nivāsī bāp gyān sūrya key|kī light aur might key|kī kiraṇē̃ bachchō̃ kō vardān rūp mē̃ dētē haĩ .
238 At the time of brahm-muhurat (Amrut vela), the Father, the Resident of Brahmlok, especially blesses you children with rays of light and might of the Sun of Knowledge.
232Sāth-sāth brahmā bāp bhāgya vidhātā K|kē rūp mē̃ bhāgya rūpī amr̥it bāṇṭtē haĩ sirph buddhi rūpī kalaṣh amr̥it dhāraṇ karnē yōgya hō .
239Along with that, Father Brahma, as the Bestower of Fortune, also distributes the nectar of fortune. 240You simply have to make sure that the urn of your intellect is ready to imbibe that nectar; let there be no type of obstacle or obstruction.
233Kisī bhī prakār kā vighna yā rūkāvaṭ na hō , tō sārē din kē liē śhrēṣhṭh sthiti vā karma kā mahūrta nikāl saktē hō kyōṅki amr̥itvēlē kā vātāvaraṇ hī vr̥itti kō badalnē vālā hōtā hai isliē us samay vardān lētē huē dān dō arthāt vardānī aur mahādānī banō .
241You can then use that auspicious time to make your stage elevated and thereby perform elevated acts for the whole day. 242The atmosphere at amrit vela can change your attitude, so at that time, take blessings and donate, that is, be one who is blessed and who becomes a great donor.
Slogan
234Slōgan : krōdhī kā kām hai krōdh karnā aur āpkā kām hai snēh dēnā .
243Slogan: It is the duty of an angry person to get angry, and your duty is to give love.
244*** Om Shanti ***