रविवार 1 नवंबर 2020 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
01-11-20 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 11-04-86 madhuban
Śhrēṣhṭh takdīr key|kī taṣhwīr banānē key|kī yukti
Āj takdīr banānē vālē bāpdādā sabhī bachchō̃ key|kī śhrēṣhṭh takdīr key|kī taṣhwīr dēkh rahē haĩ . Takadīr-vān sabhī banē haĩ , lēkin har ēk K|kē takdīr K|kē taṣhwīr key|kī jhalak apnī-apnī hai . Jaisē kōī bhī taṣhwīr banānē vālē taṣhwīr banātē haĩ tō kōī taṣhwīr hajārō̃ rupayō̃ K|kē dām key|kī amūlya hōtī hai , kōī sādhāraṇ bhī hōtī hai . Yahā̃ bāpdādā dvārā milē huē bhāgya kō , takdīr kō taṣhwīr mē̃ lānā arthāt practical jīvan mē̃ lānā hai . Ismē̃ antar hō jātā hai . Takdīr banānē vālē nē ēk hī samay aur ēk nē hī sabhī kō takdīr bāṇṭī . Lēkin takdīr kō taṣhwīr mē̃ lānē vālī her|har ātmā bhinn-bhinn hōnē K|kē kāraṇ jō taṣhwīr banāī hai usmē̃ number-vār dikhāī dē rahē haĩ . Kōī bhī taṣhwīr key|kī viśhēṣhtā nayan aur muskarāhaṭ hōtī hai . In dō viśhēṣhatāō̃ sē hī taṣhwīr kā mūlya hōtā hai . Tō yahā̃ bhī takdīr K|kē taṣhwīr key|kī yahī dō viśēṣatāyē haĩ . Nayan arthāt rūhānī viśhva kalyāṇī , rahm dil , par-upkārī dr̥iṣhṭi . Agar dr̥iṣhṭi mē̃ yah viśēṣatāyē haĩ tō bhāgya key|kī taṣhwīr śhrēṣhṭh hai . Mūl bāt hai dr̥iṣhṭi aur muskarāhaṭ , chēhrē key|kī chamak . Yah hai sadā santuṣhṭ rahnē key|kī , santuṣhṭatā aur prasannatā key|kī jhalak . Isī viśhēṣhatāō̃ sē sadā chēhrē par rūhānī chamak ātī hai . Rūhānī muskān anubhav hōtī hai . Yah dō viśhēṣhatāyē̃ hī taṣhwīr kā mūlya baṛhā dētī haĩ . Tō āj yahī dēkh rahē thē . Takdīr key|kī taṣhwīr tō sabhī nē banāī hai . Taṣhwīr banānē key|kī kalam bāp nē sabkō dī hai . Vah kalam hai - śhrēṣhṭh smr̥iti , śhrēṣhṭh karmō̃ kā gyān . Śhrēṣhṭh karma aur śhrēṣhṭh saṅkalp arthāt smr̥iti . Is gyān key|kī kalam dvārā her|har ātmā apnē takdīr key|kī taṣhwīr banā rahī hai , aur banā bhī lī hai . Taṣhwīr tō ban gaī hai . Nain chain bhī ban gayē haĩ . Ab last touching hai « sampūrṇtā ' ' key|kī . Bāp samān bannē key|kī . Double vidēśhī chitra banānā jyādā pasand kartē haĩ nā . Tō bāpdādā bhī āj sabhī key|kī taṣhwīr dēkh rahē haĩ . Harēk apnī taṣhwīr dēkh saktē haĩ nā ki kahā̃ tak taṣhwīr mūlyavān banī hai . Sadā apnī is rūhānī taṣhwīr kō dēkh ismē̃ sampūrṇtā lātē rahō . Viśhva key|kī ātmāō̃ sē tō śhrēṣhṭh bhāgyavān kōṭō̃ mē̃ kōī , kōī mē̃ bhī kōī amūlya vā śhrēṣhṭh bhāgyavān tō hō hī , lēkin ēk haĩ śhrēṣhṭh , dūsrē haĩ śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh . Tō śhrēṣhṭh banē haĩ vā śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh banē haĩ ? Yah check karnā hai . Achchhā !
Ab double vidēśhī race karē̃gē nā ! Āgē number lēnā hai vā āgē vālō̃ kō dēkh khuśh hōnā hai . Dēkh-dēkh khuśh hōnā bhī āvaśhyak hai , lēkin svayã pīchhē hōkar nahī̃ dēkhō , sāth-sāth hōtē dūsrō̃ kō bhī dēkh harṣhit hō chalō . Svayã bhī āgē baṛhō aur pīchhē vālō̃ kō bhī āgē baṛhāō . Isī kō hī kahtē haĩ par-upkārī . Yah par-upkārī bannā iskī viśhēṣhtā hai - svārtha bhāv sē sadā mukt rahnā . Her|har paristhiti mē̃ , her|har kārya mē̃ her|har sahyōgī saṅgaṭhan mē̃ jitnā niḥsvārth pan hōgā , utnā hī par-upkārī hōgā . Svayã sadā bharpūr anubhav karēgā . Sadā prāpti svarūp key|kī sthiti mē̃ hōgā . Tab par-upkārī key|kī last stage anubhav kar aur dūsrō̃ kō karā sakē̃gē . Jaisē brahmā bāp kō dēkhā last samay key|kī sthiti mē̃ « uparām ' ' aur « par-upkār ' ' yah viśhēṣhtā sadā dēkhī . Sva kē prati kuchh bhī svīkār nahī̃ kiyā . Na mahimā svīkār key|kī , na vastu svīkār key|kī . Na rahnē kā sthān svīkār kiyā . Sthūl aur sūkṣhma sadā « pahlē bachchē ' ' . Iskō kahtē haĩ par-upkārī . Yahī sampannatā key|kī , sampūrṇtā key|kī niśhānī hai . Samjhā !
Murliyā̃ tō bahut sunī . Ab murlīdhar ban sadā nāchtē aur nachātē rahnā hai . Murlī sē sāmp K|kē viṣh kō bhī samāpt kar lētē haĩ . Tō aisā murlīdhar hō jō kisī kā kitnā bhī kaḍuvā svabhāv-sanskār hō uskō bhī vaśh kar dē arthāt ussē mukt kar nachā dē . Harṣhit banā dē . Abhī yah result dēkhē̃gē ki kaun-kaun aisē yōgya murlīdhar bantē haĩ . Murlī sē bhī pyār hai , murlīdhar sē bhī pyār hai lēkin pyār kā sabūt hai , jō murlīdhar key|kī her|har bachchē prati śhubh āśhā hai - vah practical mē̃ dikhānā . Pyār key|kī niśhānī hai jō kahā vah karkē dikhānā . Aisē master murlīdhar hō nā . Bannā hī hai , ab nahī̃ banē̃gē tō kab banē̃gē . Karē̃gē , yah khyāl nahī̃ karō . Karnā hī hai . Har ēk yahī sōñcē ki ham nahī̃ karē̃gē tō kaun karēgā . Hamkō karnā hī hai . Bannā hī hai . Kalp key|kī bājī jītnī hī hai . Pūrē kalp key|kī bāt hai . Tō first division mē ānā hai , yah dr̥iṛhtā dhāraṇ karnī hai . Kōī naī bāt kar rahē hō kyā ? Kitnā bār key|kī huī bāt kō sirph lakīr kē ūpar lakīr khīñch rahē hō . Drama key|kī lakīr khīñchī huī hai . Naī lakīr bhī nahī̃ lagā rahē hō , jō sōchō ki patā nahī̃ sīdhī hōgī vā nahī̃ . Kalp-kalp key|kī banī huī prārabdha kō sirph banātē hō kyōṅki karmō̃ K|kē phal kā hisāb hai . Bākī naī bāt kyā hai ? Yah tō bahut purānī hai , huī paṛī hai . Yah hai aṭal niśhchay . Iskō dr̥iṛhtā kahtē haĩ , iskō tapasvī mūrt kahtē haĩ . Her|har saṅkalp mē̃ dr̥iṛhtā mānā tapasyā . Achchhā !
Bāpdādā highest host bhī hai aur golden guest bhī hai . Host bankar bhī miltē haĩ , guest bankar ātē haĩ . Lēkin golden guest hai . Camakīlā hai nā . Guest tō bahut dēkhē - lēkin golden guest nahī̃ dēkhā . Jaisē chief guest kō bulātē hō tō vah thanks dētē haĩ . Tō brahmā bāp nē bhī host ban iśhārē diyē aur guest ban sabkō mubārak dē rahē haĩ . Jinhōnnē pūrī season mē̃ sēvā key|kī un sabkō golden guest K|kē rūp mē̃ badhāī dē rahē haĩ . Sabsē pahlī mubārak kiskō ? Nimitt dādiyō̃ kō . Bāpdādā , nirvighna sēvā K|kē samāpti key|kī mubārak dē rahē haĩ . Madhuban nivāsiyō̃ kō bhī nirvighna harṣhit ban mēhamān-nivāzī karnē key|kī viśhēṣh mubārak dē rahē haĩ . Bhagvān bhī mēhmān ban āyā tō bachchē bhī . Jiskē ghar mē̃ bhagvān mēhmān bankar āvē vah kitnē bhāgyaśhālī haĩ . Rath kō bhī mubārak haĩ kyōṅki yah part bajānā bhī kōī cum|kam bāt nahī̃ . Itnī śhaktiyō̃ kō itnā samay pravēśh hōnē par dhāraṇ karnā yah bhī viśhēṣh part hai . Lēkin yah samānē key|kī śhakti kā phal āp sabkō mil rahā hai . Tō samānē key|kī śhakti key|kī viśhēṣhtā sē bāpdādā key|kī śhaktiyō̃ kō samānā yah bhī viśhēṣh part kahō vā guṇ kahō . Tō sabhī sēvadhāriyō̃ mē̃ yah bhī sēvā kā part bajānē vālī nirvighna rahī . Iskē liē mubārak hō aur padmāpadam thanks . Double vidēśhiyō̃ kō bhī double thanks kyōṅki double vidēśhiyō̃ nē madhuban key|kī śhōbhā kitnī achchhī kar dī . Brāhmaṇ parivār K|kē śhrr̥iṅgār double vidēśhī haĩ . Brāhmaṇ parivār mē̃ dēśh vālō̃ kē sāth vidēśhī bhī haĩ tō puruṣhārth key|kī bhī mubārak aur brāhmaṇ parivār kā śhrr̥iṅgār bannē key|kī bhī mubārak . Madhuban parivār key|kī viśhēṣh saugāt hō isliē double vidēśhiyō̃ kō double mubārak dē rahē haĩ . Chāhē kahā̃ bhī haĩ . Sāmnē tō thōṛē hai lēkin chārō̃ ōr K|kē bhāratvāsī bachchō̃ kō aur double vidēśhī bachchō̃ kō baṛī dil sē mubārak dē rahē haĩ . Har ēk nē bahut achchhā part bajāyā . Ab sirph ēk bāt rahī hai « samān aur sampūrṇtā key|kī . ' ' dādiyā̃ bhī achchhī mēhnat kartī . Bāpdādā , dōnō̃ kā part sākār mē̃ bajā rahī haĩ isliē bāpdādā dil sē snēh kē sāth mubārak dētē haĩ . Sabnē bahut achchhā part bajāyā . All-round sab sēvādhārī chāhē chhōṭī-sī sādhāraṇ sēvā hai lēkin vah bhī mahān hai . Har ēk nē apnā bhī jamā kiyā aur puṇya bhī kiyā . Sabhī dēśh-vidēśh K|kē bachchō̃ K|kē pahuñchnē key|kī bhī viśhēṣhtā mubārak yōgya hai . Sab mahārathiyō̃ nē milkar sēvā kā śhrēṣhṭh saṅkalp practical mē̃ lāyā aur lātē hī rahē̃gē . Sēvā mē̃ jō nimitt hai unhō̃ kō bhī taklīph nahī̃ dēnī chāhiē . Apnē albēlēpan sē kiskō mēhnat nahī̃ karānī chāhiē . Apnī vastuō̃ kō sambhālnā yah bhī knowledge hai . Yād hai nā brahmā bāp kyā kahtē thē ? Rumāl khōyā tō kabhī khud kō bhī khō dēgā . Her|har karma mē̃ śhrēṣhṭh aur saphal rahnā iskō kahtē knowledgeful . Śharīr key|kī bhī knowledge , ātmā key|kī bhī knowledge . Dōnō̃ knowledge her|har karma mē̃ chāhiē , śharīr K|kē bīmārī key|kī bhī knowledge chāhiē . Mērā śharīr kis vidhi sē ṭhīk chal saktā hai . Aisē nahī̃ ātmā tō śhaktiśhālī hai , śharīr kaisā bhī hai . Śharīr ṭhīk nahī̃ hōgā tō yōg bhī nahī̃ lagēgā . Phir śharīr apnī taraph khīñchtā hai isliē knowledgeful mē̃ yah sab knowledge ā jātī hai . Achchhā .
Kuchh kumāriyō̃ kā samarpaṇ samārōh bāp-dādā K|kē sāmnē huā
Bāpdādā sabhī viśhēṣh ātmāō̃ kō bahut sundar sajā-sajāyā dēkh rahē haĩ . Divya guṇō̃ kā śhrr̥iṅgār kitnā baṛhiyā , sabhī kō śhōbhnik banā rahā hai . Light kā tāj kitnā sundar chamak rahā hai . Bāpdādā avināśhī śhrr̥iṅgārī huī sūratō̃ kō dēkh rahē haĩ . Bāpdādā kō bachchō̃ kā yah umaṅg-utsāh kā saṅkalp dēkh khuśhī hōtī hai . Bāpdādā nē sabhī kō sadā kē liē pasand kar liyā . Āpnē bhī pakkā pasand kar liyā hai nā ! Dr̥iṛh saṅkalp kā hathiyālā bandh gayā . Bāp-dādā kē pās harēk K|kē dil K|kē snēh kā saṅkalp sabsē jaldī pahuñchtā hai . Abhī saṅkalp mē̃ bhī yah śhrēṣhṭh bandhan ḍhīlā nahī̃ hōgā . Itnā pakkā bāndhā hai nā . Kitnē janmō̃ kā vāydā kiyā ? Yah brahmā bāp kē sāth sadā sambandh mē̃ ānē kā pakkā vāydā hai aur guarantee hai ki sadā bhinn nām , rūp , sambandh mē̃ 21 janm tak tō sāth rahē̃gē hī . Tō kitnī khuśhī hai , hisāb kar saktī hō ? Iskā hisāb nikālnē vālā kōī nahī̃ nikalā hai . Abhī aisē hī sadā sajē sajāyē rahnā , sadā tājdhārī rahnā aur sadā khuśhī mē̃ hãsatē-gātē rūhānī mauj mē̃ rahnā . Āj sabhī nē dr̥iṛh saṅkalp kiyā nā - ki kadam , kadam par rakhnē vālē banē̃gē . Vah tō sthūl pāṅw kē ūpar pāṅw rakhtī hai lēkin āp sabhī saṅkalp rūpī kadam par kadam rakhnē vālē . Jō bāp kā saṅkalp vah bachchō̃ kā saṅkalp - aisā saṅkalp kiyā ? Ēk kadam bhī bāp K|kē kadam K|kē sivāē yahā̃ vahā̃ kā na hō . Her|har saṅkalp samarth karnā arthāt bāp K|kē samān kadam kē pīchhē kadam rakhnā . Achchhā !
Vidēśhī bhāī-bahanō̃ sē - jaisē vimān mē̃ uṛtē-uṛtē āyē aisē buddhi rūpī vimān bhī itnā hī fast uṛtā rahtā hai nā kyōṅki vah vimān circumstance K|kē kāraṇ nahī̃ bhī milē lēkin buddhi rūpī vimān sadā sāth hai aur sadā śhaktiśhālī hai tō second mē̃ jahā̃ chāhē̃ vahā̃ pahuch jāē̃ . Tō is vimān K|kē mālik hō nā . Sadā yah buddhi kā vimān ever ready hō arthāt sadā buddhi key|kī line clear hō . Buddhi sadā hī bāp kē sāth śhaktiśhālī hō tō jab chāhē̃gē tab second mē̃ pahuñch jāyēṅgē . Jiskā buddhi kā vimān pahuñchtā hai , uskā vah bhī vimān chaltā hai . Buddhi kā vimān ṭhīk nahī̃ tō vah vimān bhī nahī̃ chaltā . Achchhā !
Party sē - 1 . sadā apnē kō rājyōgī śhrēṣhṭh ātmāyē̃ anubhav kartē hō ? Rājyōgī arthāt sarv karmēndriy K|kē rājā . Rājā ban karmēndriyō̃ kō chalānē vālē , na ki karmēndriyō̃ K|kē vaśh chalnē vālē . Jō karmēndriyō̃ K|kē vaśh chalnē vālē haĩ unkō prajāyōgī kahē̃gē , rājyōgī nahī̃ . Jab gyān mil gayā ki yah karmēndriyā̃ mērē karmchārī haĩ , maĩ mālik hū̃ , tō mālik kabhī sēvādhāriyō̃ K|kē vaśh nahī̃ hō saktā . Kitnā bhī kōī prayatna karē lēkin rājyōgī ātmāyē̃ sadā śhrēṣhṭh rahē̃gī . Sadā rājya karnē K|kē saṅskār abhī rājyōgī jīvan mē̃ bharnē haĩ . Kuchh bhī hō jāē - yah title apnā sadā yād rakhnā ki maĩ rājyōgī hū̃ . Sarvśhaktivān kā bal hai , bharōsā hai tō saphaltā adhikār rūp mē̃ mil jātī hai . Adhikār sahaj prāpt hōtā hai , muśhkil nahī̃ hōtā . Sarv śhaktiyō̃ K|kē ādhār sē her|har kārya saphal huā hī paṛā hai . Sadā phakhur rahē ki maĩ dilatakhtanīśan ātmā hū̃ . Yah fakhur anēk phikarō̃ sē pār karā dētā hai . Fakhur nahī̃ tō phikar hī phikar hai . Tō sadā fakhur mē̃ rah vardānī ban vardān bāṇṭtē chalō . Svayã sampann ban aurō̃ kō sampann banānā hai . Aurō̃ kō banānā arthāt svarg K|kē seat kā certificate dētē hō . Kāgaj kā certificate nahī̃ , adhikār kā . Achchhā !
2 . her|har kadam mē̃ padamō̃ key|kī kamāī jamā karnē vālē , akhuṭ khajānē K|kē mālik ban gayē . Aisē khuśhī kā anubhav kartē hō ! Kyōṅki ājkal kī duniyā hai hī ' dhōkhēbāj ' . Dhōkhēbāj duniyā sē kinārā kar liyā . Dhōkhē vālī duniyā sē lagāv tō nahī̃ ! Sēvā arth|earth connection dūsrī bāt hai lēkin man kā lagāv nahī̃ hōnā chāhiē . Tō sadā apnē kō tuchchh nahī̃ , sādhāraṇ nahī̃ lēkin śhrēṣhṭh ātmā haĩ , sadā bāp K|kē pyārē haĩ , is naśhē mē̃ rahō . Jaisā bāp vaisē bachchā - kadam par kadam rakhtē arthāt follow kartē chalō tō bāp samān ban jāyēṅgē . Samān bannā arthāt sampann bannā . Brāhmaṇ jīvan kā yahī tō kārya hai .
3 . sadā apnē kō bāp K|kē rūhānī bagīchē K|kē rūhānī gulāb samajhtē hō ! Sabsē khuśbū vālā puṣhp gulāb hōtā hai . Gulāb kā jal kitnē kāryō̃ mē̃ lagātē haĩ , raṅg-rūp mē̃ bhī gulāb sarv priya hai . Tō āp sabhī rūhānī gulāb hō . Āpkī rūhānī khuśhbū aurō̃ kō bhī svataḥ ākarṣhaṇ kartī hai . Kahā̃ bhī kōī khuśhbū key|kī chīj hōtī hai tō sabkā attention svataḥ hī jātā hai tō āp rūhānī gulābō̃ key|kī khuśhbū viśhva kō ākarṣhit karnē vālī hai , kyōṅki viśhva kō is rūhānī khuśhbū key|kī āvaśhyaktā hai isliē sadā smr̥iti mē̃ rahē ki maĩ avināśhī bagīchē kā avināśhī gulāb hū̃ . Kabhī murjhānē vālā nahī̃ , sadā khilā huā . Aisē khilē huē rūhānī gulāb sadā sēvā mē̃ svataḥ hī nimitt ban jātē haĩ . Yād kī , śhaktiyō̃ key|kī , guṇō̃ key|kī yah sab khuśhbū sabkō dētē rahō . Svayã bāp nē ākar āp phūlō̃ kō taiyār kiyā hai tō kitnē sikīladhē hō ! Achchhā .
Vardān : nyārē aur pyārē bannē kā rāz jānkar rāzī rahnē vālē rāzyukt bhav
Jō bachchē pravr̥itti mē̃ rahtē nyārē aur pyārē bannē kā rāz jāntē haĩ vah sadā svayã bhī svayã sē rāzī rahtē haĩ , pravr̥itti kō bhī rāzī rakhtē haĩ . Sāth-sāth sachchī dil hōnē K|kē kāraṇ sāhēb bhī sadaiv un par rāzī rahtā hai . Aisē rāzī rahnē vālē rājyukt bachchō̃ kō apnē prati va anya kisī kē prati kisī kō qāzī banānē key|kī jarūrat nahī̃ rahtī kyōṅki vah apnā phaĩslā apnē āp kar lētē haĩ isliē unhē̃ kisī kō kāzī , vakīl yā judge banānē key|kī jarūrat hī nahī̃ .
Slōgan : sēvā sē jō duāyē̃ miltī haĩ-vah duāyē̃ hī tandarūstī kā ādhār haĩ .