शुक्रवार 6 जनवरी 2023 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
06-01-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
« mīṭhē bachchē - krōdh bahut duḥkhdāī hai , yah apnē kō bhī duḥkhī kartā tō dūsrē kō bhī duḥkhī kartā , isliē śhrīmat par in bhūtō̃ par vijay prāpt karō ' '
Praśhna : kalp-kalp kā dāg kin bachchō̃ par lagtā hai ? Unkī gati kyā hōtī hai ?
Uttar : jō apnē kō bahut hōśhiyār samajhtē , śhrīmat par pūrā nahī̃ chaltē . Andar kōī na kōī vikār gupta va pratyakṣha rūp mē̃ hai , usē nikāltē nahī̃ . Māyā ghērāv kartī rahtī hai . Aisē bachchō̃ par kalp-kalp kā dāg lag jātā hai . Unhē̃ phir ant mē̃ bahut pachhtānā paṛēgā . Vah apnē kō ghāṭā ḍāltē haĩ .
Gīt : āj andhērē mē̃ hai insān …
Ōm śhānti . Bachchē jāntē haĩ ki bēhad kā bāp jiskō heavenly god father kahā jātā hai vah sabkā bāp hai . Vah bachchō̃ kō sammukh baiṭh samjhātē haĩ . Bāp tō sabhī bachchō̃ kō in nayanō̃ sē dēkhtē haĩ . Unkō bachchō̃ kō dēkhnē kē liē divya dr̥iṣhṭi key|kī darkār nahī̃ . Bāp jāntē haĩ paramdhām sē bachchō̃ kē pās āyā huā hū̃ . Yah bachchē bhī yahā̃ dēhdhārī ban part bajā rahē haĩ , in bachchō̃ kō sammukh baiṭh paṛhātā hū̃ . Bachchē bhī jāntē haĩ bēhad kā bāp jō svarg key|kī sthāpanā karnē vālā hai , vah phir sē hamkō bhakti mārg K|kē dhakkō̃ sē chhuṛāē hamārī jyōt jagā rahē haĩ . Sabhī centres K|kē bachchē samajhtē haĩ ki ab ham īśhvarīy kul K|kē vā brāhmaṇ kul K|kē haĩ . Sr̥iṣhṭi kā rachtā kahā jātā hai parampitā paramātmā kō . Sr̥iṣhṭi kaisē rachī jātī hai , vah bāp baiṭh samjhātē haĩ . Bachchē jāntē haĩ māt-pitā bigar kabhī manuṣhya sr̥iṣhṭi rachī nahī̃ jā saktī . Aisē nahī̃ kahē̃gē ki pitā dvārā sr̥iṣhṭi rachī jātī hai , nahī̃ . Gāyā hī jātā hai tum māt-pitā . . . yah māt-pitā sr̥iṣhṭi rachkar phir unhō̃ kō lāyak banātē haĩ . Yah baṛī khūbī hai . Aisē tō nahī̃ ūpar sē dēvtāyē̃ ākar dharm sthāpan karē̃gē . Jaisē Christ kriściyan dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ . Tō Christ kō bhī kriściyan lōg father kahtē haĩ . Agar father hai tō mother bhī jarūr chāhiē . Unhōnnē mother rakhā hai « mērī ' ' kō . Ab mērī kaun thī ? Christ key|kī naī ātmā nē ākar tan mē̃ pravēśh kiyā tō jismē̃ pravēśh kiyā , uskē mukh sē prajā rachī . Vah hō gayē kriściyan . Yah bhī samjhāyā gayā hai ki naī ātmā jō ūpar sē ātī hai , unkā aisā kōī karma nahī̃ hai jō duḥkh bhōgē . Pavitra ātmā ātī hai . Jaisē parampitā paramātmā kabhī duḥkh nahī̃ bhōg saktā . Duḥkh athavā gālī ādi sab is sākār kō dētē haĩ . Tō Christ kō bhī jab cross par chaṛhāyā tō jarūr jis tan mē̃ Christ key|kī ātmā nē pravēśh kiyā usnē hī yah duḥkh sahan kiyā . Christ key|kī pure soul tō duḥkh nahī̃ sahan kar saktī . Tō Christ huā father . Mā̃ kahā̃ sē lāvē̃ ! Phir mērī kō mother banā diyā hai . Dikhātē haĩ mērī kumārī thī unsē Christ paidā huā . Yah sab śhāstrō̃ sē uṭhāyā hai . Dikhāyā hai nā kuntī kanyā thī unsē karṇa paidā huā . Ab yah divya dr̥iṣhṭi key|kī bāt hai . Parantu unhōnnē phir kāpī kiyā hai . Tō jaisē yah brahmā mother hai . Mukh dvārā bachchē paidā kar phir sambhālnē kē liē mama kō diyā . Tō Christ kā bhī aisē hai . Christ nē pravēśh kar dharm key|kī sthāpanā key|kī . Unkō kahē̃gē Christ key|kī mukh vaṅśhāvalī bhāī aur bahan . Kriściyan kā prajāpitā hō gayā Christ . Jismē̃ pravēśh kar bachchē paidā kiyē vah hō gaī mātā . Phir sambhālnē liyē diyā mērī kō , unhō̃ nē mērī kō mother samajh liyā hai . Yahā̃ tō bāp kahtē haĩ maĩ inmē̃ pravēśh kar mukh santān rachtā hū̃ . Tō usmē̃ yah mama bhī mukh santān ṭhaharī . Yah haĩ detail mē̃ samajhnē key|kī bātē̃ .
Dūsrī bāt - bāp samjhātē haĩ āj ēk party ābū mē̃ ānē vālī hai - vegetarian kā prachār karnē . Tō unkō samjhānā hai bēhad kā bāp ab dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kar rahē haĩ jō pakkē vegetarian thē . Aur kōī bhī dharm itnā vegetarian hōtā nahī̃ hai . Ab yah sunāyēṅgē ki vaiṣhṇav bannē mē̃ kitnē phāydē haĩ . Parantu sab tō ban nahī̃ saktē kyōṅki bahut hirē huē haĩ . ( ādat paṛī huī hai ) chhōṛnā baṛā muśhkil hai . Parantu is par samjhānā hai ki bēhad K|kē bāp nē jō heaven sthāpan kiyā hai , usmē̃ sabhī vaiṣhṇav arthāt viṣhṇu key|kī vaṅśhāvalī thē . Dēvtāyē̃ bilkul viceless thē . Ājkal K|kē vegetarian tō vicious haĩ . Christ sē 3 hajār varṣh pahlē bhārat heaven thā . Tō aisē-aisē samjhānā hai . Tum bachchō̃ K|kē bigar aisā kōī manuṣhya nahī̃ jiskō mālūm hō ki svarg kyā chīz hai ? Kab sthāpan huā ? Vahā̃ kaun rājya kartē haĩ ? Lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē mandir mē̃ bhal jātē haĩ . Bābā bhī jātē thē parantu yah nahī̃ jāntē ki svarg mē̃ inhō̃ key|kī rājdhānī hōtī hai . Sirph mahimā gātē haĩ parantu unhō̃ kō kisnē rājya diyā , kuchh bhī patā nahī̃ . Ab tak bahut mandir banātē haĩ kyōṅki samajhtē haĩ lakṣhmī nē dhan diyā hai isliē dīpmālā par vyāpārī lōg lakṣhmī key|kī pūjā kartē haĩ . In mandir banānē vālō̃ kō bhī samjhānā chāhiē . Jaisē foreigners ātē haĩ tō unkō bhārat key|kī mahimā batānī chāhiē ki Christ sē 3 hajār varṣh pahlē bhārat aisā vegetarian thā , aisā kōī hō nahī̃ saktā . Unmē̃ bahut tākat thī . God goddess kā rājya kahā jātā hai . Ab vahī rājya phir sē sthāpan hō rahā hai . Yah vahī samay hai . Śhaṅkar dvārā vināśh bhī gāyā huā hai , phir viṣhṇu kā rājya hōgā . Bāp dvārā svarg kā varsā lēnā hō tō ākar lē saktē hō . Ramēśhh uṣā dōnō̃ kō service kā bahut śhauk hai . Yah wonderful jōṛā hai , bahut serviceable hai . Dēkhō nayē-nayē ātē haĩ tō purānō̃ sē bhī tīkhē chalē jātē haĩ . Bābā yuktiyā̃ bahut batātē haĩ , parantu kōī na kōī vikār kā naśhā hai tō māyā uchhalnē nahī̃ dētī hai . Kōī mē̃ kām kā thōṛā aṅśh hai , krōdh tō bahutō̃ mē̃ hai . Paripūrṇ kōī banā nahī̃ hai . Ban rahē haĩ . Māyā bhī andar kāṭtī rahtī hai . Jab sē rāvaṇ rājya ārambh huā hai tab sē in cūhō̃ nē kutaranā ( kāṭnā ) śhurū kiyā hai . Ab tō bhārat bilkul hī kaṅgāl hō gayā hai . Māyā nē sabkō pattharbuddhi banā diyā hai . Achchhē-achchhē bachchō̃ kō bhī māyā aisē ghērtī hai jō unhō̃ kō patā nahī̃ paṛtā ki hamārā kadam pīchhē kaisē jā rahā hai . Phir sañjīvanī būṭī suṅghākar hōśh mē̃ lātē haĩ . Krōdh bhī duḥkhdāī hai . Apnē kō bhī duḥkhī kartā , dūsrō̃ kō bhī duḥkhī kartā hai . Kōī mē̃ gupta hai , kōī mē̃ pratyakṣha . Kitnā bhī samjhāō , samajhtē nahī̃ haĩ . Abhī apnē kō bahut hōśhiyār samajhtē haĩ . Pīchhē bahut pachhtānā paṛēgā . Kalp-kalp kā dāg lag jāyēgā . Śhrīmat par chalē tō phāydā bhī bahut hai . Nahī̃ tō ghāṭā bhī bahut hai . Mat dōnō̃ key|kī maśhhūr hai . Śhrīmat aur brahmā key|kī mat . Kahtē haĩ brahmā bhī utar āyē tō bhī yah nahī̃ mānēgā . . . śhrīkr̥iṣhṇa kā nām nahī̃ lētē haĩ . Ab tō parampitā paramātmā khud mat dētē haĩ . Brahmā kō bhī unsē hī mat miltī hai . Bāp kā bachchō̃ par bahut pyār hōtā hai . Bachchō̃ kō sirakulhē chaṛhātē haĩ . Bāp key|kī aim|M|am rahtī hai ki bachchā ūñch chaṛhē tō kul kā nām nikalēgā . Parantu bachchā na bāp key|kī mānē̃ , na dādā key|kī mānē̃ tō gōyā baṛī mā̃ key|kī bhī nahī̃ mānā . Uskā kyā hall|hāl hōgā ! Bāt mat pūchhō . Bākī serviceable bachchē tō bāpdādā key|kī dil par chaṛhtē haĩ . Tō unkī bābā khud mahimā kartē haĩ . Tō unhō̃ kō samjhānā hai ki isī bhārat mē̃ viṣhṇu K|kē gharānē kā rājya thā jō phir sthāpan hō rahā hai . Ab bābā phir usī bhārat kō viṣhṇupurī banā rahē haĩ .
Tumkō bahut naśhā hōnā chāhiē . Vah lōg tō mupht apnā nām nikālnē kē liē māthā mār rahē haĩ . Kharchā tō government sē mil jātā hai . Sanyāsiyō̃ kō tō bahut paisē miltē haĩ . Abhī bhī kahtē haĩ bhārat kā prāchīn yōg sikhlānē jātē haĩ tō jhaṭ paisē dēgē . Bābā kō tō kisī K|kē paisē key|kī darkār nahī̃ . Yah khud sārī duniyā kō madad karnē vālā bhōlā bhaṇḍārī hai , madad miltī hai bachchō̃ key|kī . Himmatē bachchē madadē bāp . Jab kōī bāhar sē ātē haĩ tō hirē huē haĩ , samajhtē haĩ āśhram hai kuchh dēvē̃ . Parantu tumkō bōlnā hai kyō̃ dētē hō ? Gyān tō kuchh sunā nahī̃ hai . Kuchh patā nahī̃ . Ham bīj bōtē haĩ svarg mē̃ phal milnā hai , yah patā bhī tab hō jab gyān sunē̃ . Aisē ānē vālē karōṛō̃ āyēṅgē . Yah achchhā hai jō bābā gupta rūp mē̃ āyā hai . Śhrīkr̥iṣhṇa K|kē rūp mē̃ ātā tō rētī muāphik ikaṭṭhē hō jātē , ēkdam chaṭak paṛtē , kōī ghar mē̃ baiṭh na sakē . Tum īśhvarīy santān hō . Yah bhūlō mat . Bāp key|kī tō dil mē̃ rahtā hai ki bachchē pūrā varsā lēvē̃ . Svarg mē̃ tō ḍhēr āyēṅgē parantu himmat kar ūñch pad pāyē̃ , vah kōṭō̃ mē̃ kōī nikalēgā . Achchhā !
Māt-pitā bāpdādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati yādpyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
Rātri class 15-6-68
Past jō hō gayā hai unkō rivāīj karnē sē jinkī kamzōr dil hai tō unhō̃ K|kē dil key|kī kamzōrī bhī rivāīj hō jātī hai isliē bachchō̃ kō drama K|kē paṭṭē par ṭhahrāyā gayā hai . Mukhya phāydā hai hī yād sē . Yād sē hī āyu baṛī hōnī hai . Drama kō bachchē samajh jāyē̃ tō kab khyāl na hō . Drama mē̃ is samay gyān sīkhnē aur sikhānē kā chal rahā hai . Phir part band hō jāyēgā . Na bāp kā , na hamārā part rahēgā . Na unkā dēnē kā part , na hamārā lēnē kā part hōgā . Tō ēk hō jāyēṅgē nā . Hamārā part naī duniyā mē̃ hō jāyēgā . Bābā kā part śhāntidhām mē̃ hōgā . Part kā reel bharā huā hai nā hamārā prārabdha kā part , bābā kā śhāntidhām kā part . Dēnē aur lēnē kā part pūrā huā , drama hī pūrā huā . Phir ham rājya karnē āyēṅgē , vah part change hōgā . Gyān stop hō jāyēgā . Ham vah ban jāyēṅgē . Part hī pūrā tō bākī phark nahī̃ rahēgā . Bachchō̃ kē sāth bāp kā bhī part nahī̃ rahēgā . Bachchē gyān kō pūrā lē lētē haĩ . Tō unkē pās|pass kuchh rahtā hī nahī̃ hai . Na dēnē vālē kē pās rahtā , na lēnē vālē mē̃ kamī rahtī tō dōnō̃ ēk dō K|kē samān hō gayē . Ismē̃ vichār sāgar manthan karnē key|kī buddhi chāhiē . Khās puruṣhārth hai yād kī yātrā kā . Bāp baiṭh samjhātē haĩ . Sunānē mē̃ tō mōṭī bāt hō jātī hai , buddhi mē̃ tō sūkṣhma hai nā . Andar mē̃ jāntē haĩ śhiv bābā kā rūp kyā hai . Samjhānē mē̃ mōṭā rūp hō jātā hai . Bhakti mārg mē̃ baṛā liṅg banā dētē haĩ . Ātmā hai tō chhōṭī nā . Yah hai kudrat . Kahā̃ tak ant pāyēṅgē ? Phir pichhāṛī mē̃ bēant kah dētē . Bābā nē samjhāyā hai sārā part ātmā mē̃ bharā huā hai . Yah kudatar hai . Ant nahī̃ pāyā jā saktā . Sr̥iṣhṭi chakra kā ant tō pātē haĩ . Rachayitā aur rachnā K|kē ādi madhya ant kō tum hī jāntē hō . Bābā knowledgeful hai . Phir bhī ham full ban jāyēṅgē , pānē K|kē liyē kuchh rahēgā nahī̃ . Bāp ismē̃ pravēśh kar paṛhātē haĩ . Vah hai bindī . Ātmā kā vā paramātmā kā sākṣhātkār hōnē sē khuśhī thōṛēhī hōtī hai . Mēhnat kar bāp kō yād karnā hai tō vikarma vināśh hōṅgē . Bāp kahtē haĩ mērē mē̃ gyān band hō jāyēgā tō tērē mē̃ bhī band hō jāyēgā . Knowledge lē ūñch ban jātē haĩ . Sabhī kuchh lē lētē haĩ phir bhī bāp tō bāp hai nā . Tum ātmāyē̃ ātmā hī rahē̃gē , bāp hōkar tō nahī̃ rahē̃gē . Yah tō gyān hai . Bāp bāp hai , bachchē bachchē haĩ . Yah sabhī vichār sāgar manthan kar deep mē̃ jānē key|kī bātē̃ haĩ . Yah bhī jāntē haĩ jānā tō sabhī kō hai . Sabhī chalē jānē vālē haĩ . Bākī ātmā jākar rahēgī . Sārī duniyā hī khatm hōnī hai , ismē̃ niḍar rahnā hōtā hai . Puruṣhārth karnā hai niḍar hō rahnē kā . Śharīr ādi kā kōī bhī bhān na āyē , usī avasthā mē̃ jānā hai . Bāp āp samān banātē haĩ , tum bachchē bhī āp samān banātē rahtē hō . Ēk bāp key|kī hī yād rahē aisā puruṣhārth karnā hai . Abhī time paṛā hai . Yah rehearsal tīkhī karnī paṛē . Practice nahī̃ hōgī tō khaṛē hō jāyēṅgē . Ṭāṅgē thirakanē lag paṛē̃gī aur heartfail achānak hōtā rahēgā . Tamōpradhān śharīr kō heartfail hōnē mē̃ dērī thōṛēhī lagtī hai . Jitnā aśharīrī hōtē jāyēṅgē , bāp kō yād kartē rahē̃gē tō nazdīk ātē jāyēṅgē . Yōg vālē hī niḍar rahē̃gē . Yōg sē śhakti miltī hai . Gyān sē dhan miltā hai . Bachchō̃ kō chāhiē śhakti . Tō śhakti pānē liyē bāp kō yād kartē rahō . Bābā hai avināśhī surgeon . Vah kab patient ban na sakē . Abhī bāp kahtē haĩ tum apnī avināśhī davāī kartē rahō . Ham aisī sañjīvanī būṭī dētē haĩ jō kab kōī bīmār na paṛē . Sirph patit-pāvan bāp kō yād kartē rahō tō pāvan ban jāyēṅgē . Dēvtāyē̃ sadaiv nirōgī pāvan haĩ nā . Bachchō̃ kō yah tō niśhchay hō gayā hai ham kalp kalp varsā lētē haĩ . Anginat bār bāp āyā hai , jaisē abhī āyā hai . Bābā jō sikhlātē , samjhātē haĩ yahī rājyōg hai . Vah gītā ādi sabhī bhakti mārg K|kē haĩ . Yah gyān mārg bāp hī batātē haĩ . Bāp hī ākar nīchē sē ūpar uṭhātē haĩ . Jō pakkē niśhchay buddhi haĩ vahī mālā kā dānā bantē haĩ . Bachchē samajhtē haĩ bhakti kartē kartē ham nīchē girtē āyē haĩ . Abhī bāp ākar sachchī kamāī karātē haĩ . Laukik bāp itnī kamāī nahī̃ karātē jitnī pārlaukik bāp karātē haĩ . Achchhā - bachchō̃ kō goodnight aur namastē .
Dhārṇā kē liē mukhya sār :
1 ) serviceable bannē kē liē vikārō̃ K|kē aṅśh kō bhī samāpt karnā hai . Service kē prati uchhaltē rahnā hai .
2 ) ham īśhvarīy santān haĩ , śhrīmat par bhārat kō viṣhṇupurī banā rahē haĩ , jahā̃ sab pakkē vaiṣhṇav hōṅgē . . . is naśhē mē̃ rahnā hai .
Vardān : duḥkh K|kē chakkarō̃ sē sadā mukt rahnē aur sabkō mukt karnē vālē svadarśhan chakradhārī bhav
Jō bachchē karmēndriyō̃ K|kē vaśh hōkar kahtē haĩ ki āj āṅkh nē , mukh nē vā dr̥iṣhṭi nē dhōkhā dē diyā , tō dhōkhā khānā arthāt duḥkh key|kī anubhūti hōnā . Duniyā vālē kahtē haĩ - chāhtē nahī̃ thē lēkin chakkar mē̃ ā gayē . Lēkin jō svadarśhan chakradhārī bachchē haĩ vah kabhī kisī dhōkhē K|kē chakkar mē̃ nahī̃ ā saktē . Vah tō duḥkh K|kē chakkarō̃ sē mukt rahnē aur sabkō mukt karnē vālē , mālik ban sarv karmēndriyō̃ sē karma karānē vālē haĩ .
Slōgan : akāl takhtnaśhīn ban apnī śhrēṣhṭh śhān mē̃ rahō tō kabhī parēśhān nahī̃ hōṅgē .