गुरुवार 8 मई 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
08-05-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
« mīṭhē bachchē - dēhī-abhimānī ban bāp kō yād karō tō yād kā bal jamā hōgā , yād K|kē bal sē tum sārē viśhva kā rājya lē saktē hō ' '
Praśhna : kaun-sī bāt tum bachchō̃ K|kē khyāl-khvāb mē̃ bhī nahī̃ thī , jō practical huī hai ?
Uttar : tumhārē khyāl khvāb mē̃ bhī nahī̃ thā ki ham bhagvān sē rājyōg sīkhkar viśhva K|kē mālik banē̃gē . Rājāī kē liē paṛhāī paṛhē̃gē . Abhī tumhē̃ athāh khuśhī hai ki sarvśhaktimān bāp sē bal lēkar ham satyugī svarājya adhikārī bantē haĩ .
Ōm śhānti . Yahā̃ bachchiyā̃ baiṭhtī haĩ practice kē liē . Vāstav mē̃ yahā̃ ( sandlī par ) baiṭhnā unkō chāhiē jō dēhī-abhimānī ban bāp kī yād mē̃ baiṭhē . Agar yād mē̃ nahī̃ baiṭhē̃gī tō vah teacher kahlā nahī̃ saktī . Yād mē̃ śhakti rahtī hai , gyān mē̃ śhakti nahī̃ hai . Iskō kahā hī jātā hai - yād kā bal . Yōgbal sanyāsiyō̃ kā akṣhar hai . Bāp difficult akṣhar kām mē̃ nahī̃ lātē . Bāp kahtē haĩ bachchō̃ ab bāp kō yād karō . Jaisē chhōṭē bachchē mā̃-bāp kō yād kartē haĩ nā . Vah tō dēhdhārī haĩ . Tum bachchē hō vichitr . Yah chitra yahā̃ tumkō miltā hai . Tum rahnē vālē vichitr dēśh K|kē hō . Vahā̃ chitra rahtā nahī̃ . Pahlē-pahlē yah pakkā karnā hai - ham tō ātmā haĩ isliē bāp kahtē haĩ - bachchē , dēhī-abhimānī banō , apnē kō ātmā niśhchay karō . Tum nirvāṇ dēśh sē āyē hō . Vah tum sabhī ātmāō̃ kā ghar hai . Yahā̃ part bajānē ātē hō . Pahlē-pahlē kaun ātē haĩ ? Yah bhī tumhārī buddhi mē̃ hai . Duniyā mē̃ kōī nahī̃ jiskō yah gyān hō . Ab bāp kahtē haĩ śhāstra ādi jō kuchh paṛhtē hō un sabkō bhūl jāō . Śhrī kr̥iṣhṇa key|kī mahimā , phalānē key|kī mahimā kitnī kartē haĩ . Gāndhī key|kī bhī kitnī mahimā kartē haĩ . Jaisēki vah rāmrājya sthāpan karkē gayē haĩ . Parantu śhiv bhagvānuvāch ādi sanātan rājā-rānī K|kē rājya kā jō kāydā thā , bāp nē rājyōg sikhākar rājā-rānī banāyā , us īśhvarīy rasm-rivāj kō bhī tōṛ ḍālā . Bōlā rājāī nahī̃ chāhiē , hamkō prajā kā prajā par rājya chāhiē . Ab uskī kyā hālat huī ! Duḥkh hī duḥkh , laṛtē-jhagaṛtē rahtē haĩ . Anēk matē̃ hō gaī haĩ . Abhī tum bachchē śhrīmat par rājya lētē hō . Itnī tumhārē mē̃ tākat rahtī hai jō vahā̃ laśhkar ādi hōtā nahī̃ . Ḍar key|kī kōī bāt nahī̃ . In lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā , advēt rājya thā . Dō thē hī nahī̃ jō tālī bajē . Uskō kahā hī jātā hai - advēt rājya . Tum bachchō̃ kō bāp dēvtā banātē haĩ . Phir dvēt sē daitya ban jātē haĩ rāvaṇ dvārā . Abhī tum bachchē jāntē hō ham bhāratvāsī sārē viśhva K|kē mālik thē . Tumkō viśhva kā rājya sirph yād bal sē milā thā . Ab phir mil rahā hai . Kalp-kalp miltā hai , sirph yād K|kē bal sē . Paṛhāī mē̃ bhī bal hai . Jaisē barrister bantē haĩ tō bal hai nā . Vah hai pāī-paisē kā bal . Tum yōgbal sē viśhva par rājya kartē hō . Sarvśhaktimān bāp sē bal miltā hai . Tum kahtē hō - bābā , ham kalp-kalp āpsē satyug kā svarājya lētē haĩ phir ganvātē haĩ , phir lētē haĩ . Tumkō pūrā gyān milā hai . Abhī ham śhrīmat par śhrēṣhṭh viśhva kā rājya lētē haĩ . Viśhva bhī śhrēṣhṭh ban jātā hai . Yah rachtā aur rachnā kā gyān tumkō abhī hai . In lakṣhmī-nārāyaṇ kō bhī gyān nahī̃ hōgā ki hamnē rājāī kaisē lī ! Yahā̃ tum paṛhtē hō phir jākar rājāī kartē hō . Kōī achchhē dhanvān K|kē ghar mē̃ janma lētē haĩ tō kahā jātā hai nā isnē āgē janm mē̃ achchhā karma kiyā hai , dān-puṇya kiyā hai . Jaisā karma aisā janm miltā hai . Abhī tō yah hai hī rāvaṇ rājya . Yahā̃ jō bhī karma kartē haĩ vah vikarma hōtā hai . Sīṛhī utarnī hī hai . Sabsē baṛē ūñch sē ūñch dēvī-dēvtā dharm vālō̃ kō bhī sīṛhī utarnī hai . Satō , rajō , tamō mē̃ ānā hai . Har ēk chīz naī sē phir purānī hōtī hai . Tō abhī tum bachchō̃ kō athāh khuśhī hōnī chāhiē . Tumhārē khyāl-khvāb ( saṅkalp-svapn ) mē̃ bhī nahī̃ thā ki ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .
Bhāratvāsī jāntē haĩ ki in lakṣhmī-nārāyaṇ kā sārē viśhva par rājya thā . Pūjya thē sō phir pujārī banē haĩ . Gāyā bhī jātā hai āpēhī pūjya , āpēhī pujārī . Ab tumhārī buddhi mē̃ yah hōnā chāhiē . Yah nāṭak tō baṛā wonderful hai . Kaisē ham 84 janma lētē haĩ , unkō kōī nahī̃ jāntē . Śhāstrō̃ mē̃ 84 lākh janm lagā dētē haĩ . Bāp kahtē haĩ yah sab bhakti mārg K|kē gapōṛē haĩ . Rāvaṇ rājya hai nā . Rām rājya aur rāvaṇ rājya kaisē hōtā hai , yah tum bachchō̃ K|kē sivāē aur kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ hai . Rāvaṇ kō her|har varṣh jalātē haĩ , tō duśhman hai nā . 5 vikār manuṣhya K|kē duśhman haĩ . Rāvaṇ hai kaun , kyō̃ jalātē haĩ - kōī bhī nahī̃ jāntē . Jō apnē kō saṅgam-yugī samajhtē haĩ unkī smr̥iti mē̃ rahtā hai ki abhī ham puruṣhōttam ban rahē haĩ . Bhagvān hamkō rājyōg sikhlākar nar sē nārāyaṇ , bhraṣhṭāchārī sē śhrēṣhṭhāchārī banātē haĩ . Tum bachchē jāntē hō hamkō ūñch tē ūñch nirākār bhagvān paṛhātē haĩ . Kitnī athāh khuśhī hōnī chāhiē . School mē̃ student key|kī buddhi mē̃ rahtā hai nā - ham student haĩ . Vah tō hai common teacher , paṛhānē vālā . Yahā̃ tō tumkō bhagvān paṛhātē haĩ . Jab paṛhāī sē itnā ūñch pad miltā hai tō kitnā achchhā paṛhnā chāhiē . Hai bahut easy sirph savērē ādhā-paunā ghaṇṭā paṛhnā hai . Sārā din dhandhē ādi mē̃ yād bhūl jātī hai isliē yahā̃ savērē ākar yād mē̃ baiṭhtē haĩ . Kahā jātā hai bābā kō bahut prēm sē yād karō - bābā , āp hamkō paṛhānē āyē haĩ , abhī hamkō patā paṛā hai ki āp 5 hazār varṣh bād ākar paṛhātē haĩ . Bābā kē pās bachchē ātē haĩ tō bābā pūchhtē haĩ āgē kab milē hō ? Aisā praśhna kōī bhī sādhū-sanyāsī ādi kabhī pūchh na sakē . Vahā̃ tō sat-saṅg mē̃ jō chāhē jākar baiṭhtē haĩ . Bahutō̃ kō dēkhkar sab andar ghus jātē haĩ . Tum bhī abhī samajhtē hō - ham gītā , rāmāyaṇ ādi kitnā khuśhī sē jākar suntē thē . Samajhtē tō kuchh nahī̃ thē . Vah sab bhakti key|kī hī khuśhī hai . Bahut khuśhī mē̃ nāchtē rahtē haĩ . Parantu phir nīchē utartē ātē haĩ . Kisma-kisma K|kē haṭhyōg ādi kartē haĩ . Tandurūstī kē liē hī sab kartē haĩ . Tō bāp samjhātē haĩ yah sab hai bhakti mārg key|kī rasm-rivāj . Rachtā aur rachnā kō kōī bhī nahī̃ jāntē . Tō bākī rahā hī kyā . Rachtā rachnā kō jānnē sē tum kyā bantē hō aur na jānnē sē tum kyā ban paṛtē hō ? Tum jānnē sē solvent bantē hō , na jānnē sē vahī bhārat-vāsī insolvent ban paṛē haĩ . Gapōṛē mārtē rahtē haĩ . Kyā-kyā duniyā mē̃ hōtā rahtā hai . Kitnē paisē , sōnā ādi lūṭtē haĩ ! Ab tum bachchē jāntē hō - vahā̃ tō ham sōnē K|kē mahal banāyēṅgē . Bairisṭarī ādi paṛhtē haĩ tō andar mē̃ rahtā hai nā - ham yah imtahān pās|pass kar phir yah karē̃gē , ghar banāyēṅgē . Tumkō kyō̃ nahī̃ buddhi mē̃ ātā hai ham svarg kā prince-princess bannē kē liē paṛh rahē haĩ . Khuśhī kitnī rahnī chāhiē . Parantu bāhar jānē sē hī khuśhī gum hō jātī hai . Chhōṭī-chhōṭī bachchiyā̃ is gyān mē̃ lag jātī haĩ . Sambandhī kuchh bhī samajhtē nahī̃ , kah dētē jādū hai . Kahtē haĩ ham paṛhnē nahī̃ dēgē . Is hālat mē̃ jab tak sagīr haĩ tō mā̃-bāp kā kahnā mānnā paṛē . Ham lē nahī̃ saktē . Bahut khiṭpiṭ hō paṛtī hai . Śhurū mē̃ kitnī khiṭpiṭ huī . Bachchī kahē ham 18 varṣh kī haĩ , bāp kahē nahī̃ , 16 varṣh kī hai , sagīr hai , jhagaṛā kar pakaṛ lē jātē thē . Sagīr mānā hī bāp K|kē hukm mē̃ chalnā hai . Bālig hai phir jō chāhē sō karē . Kāydē bhī haĩ nā . Bābā kahtē tum jab bāp kē pās ātē hō tō kāydā hai apnē laukik bāp kā certificate ( chiṭṭhī ) lēkar āō . Phir manners bhī dēkhnē hōtē haĩ . Manners ṭhīk nahī̃ haĩ tō vāpis jānā paṛēgā . Khēl mē̃ bhī aisē hōtā hai . Ṭhīk nahī̃ khēltē tō unkō kahē̃gē bāhar jāō . Ābrū ( ijjat ) ganvātē hō . Abhī tum bachchē jāntē hō ham yuddha K|kē maidān mē̃ haĩ . Kalp-kalp bāp ākar hamkō māyā par jīt pahnātē haĩ . Mūl bāt hī hai pāvan bannē key|kī . Patit banē haĩ vikār sē . Bāp kahtē haĩ kām mahāśhatru hai . Yah ādi-madhy-ant duḥkh dēnē vālā hai . Jō brāhmaṇ banē̃gē vahī phir dēvī-dēvtā dharm mē̃ āyēṅgē . Brāhmaṇō̃ mē̃ bhī number-vār hōtē haĩ . Śhamā par parvānē ātē haĩ . Kōī tō jal martē haĩ , kōī phērī pahankar chalē jātē haĩ . Yahā̃ bhī āyē haĩ , kōī tō ēkdam phidā hōtē haĩ , kōī sunkar phir chalē jātē haĩ . Āgē tō blood sē bhī likhkar dētē thē - bābā , ham āpkē haĩ . Phir bhī māyā harā lētī hai . Itnī māyā key|kī yuddha chaltī hai , inkō hī yuddha sthal kahā jātā hai . Yah bhī tum samajhtē hō . Parampitā paramātmā brahmā dvārā sabhī vēdō̃-śhāstrō̃ kā sār samjhātē haĩ . Chitra tō ḍhēr banā diyē haĩ nā . Nārad kā bhī misāl is samay kā hai . Sab kahtē haĩ - ham lakṣhmī athavā nārāyaṇ banē̃gē . Bāp kahtē haĩ apnē andar mē̃ dēkhō - ham lāyak haĩ ? Hamārē mē̃ kōī vikār tō nahī̃ haĩ ? Nārad bhakta tō sab haĩ nā . Yah ēk misāl likhā hai .
Bhakti mārg vālē kahtē haĩ ham śhrī lakṣhmī kō var saktē haĩ ? Bāp kahtē haĩ ki nahī̃ , jab gyān sunē̃ tab sadgati kō pā sakē̃ . Maĩ patit-pāvan hī sabkī sadgati karnē vālā hū̃ . Abhī tum samajhtē hō bāp hamkō rāvaṇ rājya sē liberate kar rahē haĩ . Vah hai jismānī yātrā . Bhagvānuvāch - manmanābhav . Bas , ismē̃ dhakkē khānē key|kī bāt nahī̃ . Vah sab haĩ bhakti mārg K|kē dhakkē . Ādhākalp brahmā kā din , ādhākalp hai brahmā kī rāt . Tum samajhtē hō ham sab be|B . K|kē . kā abhī ādhākalp din hōgā . Ham sukhdhām mē̃ hōṅgē . Vahā̃ bhakti nahī̃ hōgī . Abhī tum bachchē jāntē hō ham sabsē sāhūkār bantē haĩ , tō kitnī khuśhī hōnī chāhiē . Tum sab pahlē rough patthar thē , ab bāp sīrān ( dhār ) par chaṛhā rahē haĩ . Bābā jauhrī bhī hai nā . Drama anusār bābā nē rath bhī anubhavī liyā hai . Gāyan bhī hai gānv kā chhōrā . Śhrī kr̥iṣhṇa gānv kā chhōrā kaisē hō saktā hai . Vah tō satyug mē̃ thā . Unkō tō jhūlō̃ mē̃ jhulātē haĩ . Tāj pahnātē haĩ phir gānv kā chhōrā kyō̃ kahtē ? Gānv K|kē chhōrē śhyām ṭhaharē . Abhī sundar bannē āyē hō . Bāp gyān key|kī sīrān par chaṛhātē haĩ nā . Yah sat kā saṅg kalp-kalp , kalp mē̃ ēk hī bār miltā hai . Bākī sab haĩ jhūṭh saṅg isliē bāp kahtē haĩ hear no evil … aisī bātē̃ mat sunō jahā̃ hamārī aur tumhārī glāni kartē rahtē haĩ .
Jō kumāriyā̃ gyān mē̃ ātī haĩ vah tō kah saktī haĩ ki hamārā bāp key|kī property mē̃ hissā hai . Kyō̃ na ham unsē bhārat key|kī sēvā arth|earth centre khōlū̃ . Kanyā dān tō dēnā hī hai . Vah hissā hamkō dō tō ham centre khōlē̃ . Bahutō̃ kā kalyāṇ hōgā . Aisī yukti rachnī chāhiē . Yah hai tumhārī īśhvarīy mission . Tum pattharbuddhi kō pārasbuddhi banātē hō . Jō hamārē dharm K|kē hōṅgē vah āyēṅgē . Ēk hī ghar mē̃ dēvī-dēvtā dharm kā phūl nikal āyēgā . Bākī nahī̃ āyēṅgē . Mēhnat lagtī hai nā . Bāp sabhī ātmāō̃ kō pāvan banākar sabkō lē jātē haĩ isliē bābā nē samjhāyā thā - saṅgam K|kē chitra par lē jāō . Is taraph hai kaliyug , us taraph hai satyug . Satyug mē̃ haĩ dēvtāyē̃ , kaliyug mē̃ haĩ asur . Iskō kahā jātā hai puruṣhōttam saṅgamyug . Bāp hī puruṣhōttam banātē haĩ . Jō paṛhē̃gē vah satyug mē̃ āyēṅgē , bākī sab muktidhām mē̃ chalē jāyēṅgē . Phir apnē-apnē samay par āyēṅgē . Yah gōlē kā chitra baṛā achchhā hai . Bachchō̃ kō service kā śhauk hōnā chāhiē . Ham aisī-aisī service kar , garībō̃ kā uddhār kar unkō svarg kā mālik banāyēṅgē . Achchhā .
Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
Dhārṇā kē liē mukhya sār :
1 ) apnē āpkō dēkhnā hai ham śhrī lakṣhmī , śhrī nārāyaṇ samān ban saktē haĩ ? Hamārē mē̃ kōī vikār tō nahī̃ hai ? Phērī lagānē vālē parvānē haĩ yā phidā hōnē vālē ? Aisē manners tō nahī̃ haĩ jō bāp key|kī ābrū ( ijjat ) jāyē .
2 ) athāh khuśhī mē̃ rahnē kē liē - savērē-savērē prēm sē bāp kō yād karnā hai aur paṛhāī paṛhnī hai . Bhagvān hamē̃ paṛhā-kar puruṣhōttam banā rahē haĩ , ham saṅgamyugī haĩ , is naśhē mē̃ rahnā hai .
Vardān : sarv guṇō̃ K|kē anubhavō̃ dvārā bāp kō pratyakṣha karnē vālē anubhavī mūrt bhav
Jō bāp K|kē guṇ gātē hō un sarv guṇō̃ K|kē anubhavī banō , jaisē bāp ānand kā sāgar hai tō usī ānand K|kē sāgar key|kī laharō̃ mē̃ laharātē rahō . Jō bhī samparka mē̃ āyē usē ānadã , prēm , sukh . . . sab guṇō̃ key|kī anubhūti karāō . Aisē sarv guṇō̃ K|kē anubhavī mūrt banō tō āp dvārā bāp key|kī sūrat pratyakṣha hō kyōṅki āp mahān ātmāyē̃ hī param ātmā kō apnī anubhavī mūrt sē pratyakṣha kar saktī hō .
Slōgan : kāraṇ kō nivāraṇ mē̃ parivartan kar aśhubh bāt kō bhī śhubh karkē uṭhāō .
Avyakt iśhārē - rūhānī royalty aur purity key|kī personality dhāraṇ karō
Brāhmaṇō̃ key|kī life , jīvan kā jīy-dān pavitratā hai . Ādi-anādi svarup hī pavitratā hai . Jab smr̥iti ā gaī ki maĩ anādi-ādi pavitra ātmā hū̃ . Smr̥iti ānā arthāt pavitratā key|kī samarthī ānā . Smr̥iti svarūp , samarth svarūp ātmāyē̃ nizī pavitra saṅskār vālī haĩ . Tō nizī saṅskārō̃ kō emerge kar is pavitratā key|kī personality kō dhāraṇ karō .