रविवार 22 नवंबर 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब यह पृष्ठ ऑफ़लाइन उपलब्ध है।
यह पृष्ठ ऑफ़लाइन उपलब्ध है।
ऑफ़लाइन देखने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली ऑफ़लाइन सुन सकते हैं।
आप यह मुरली ऑफ़लाइन सुन सकते हैं।
ऑफ़लाइन सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
022-11-26 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 03-04-12 madhuban
022/11/26 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 03/04/2012
1Mērē kō tērē mē̃ parivartan kar bēphikr bādśhāh banō , bāp kī mōhabbat aur sēvā mē̃ man kō itnā busy kar dō jō vyarth ānē kī margin na rahē
1Transform “mine” into “Yours” and become a carefree emperor. 2Make your mind so busy in your love for the Father and His service that there is no margin for any waste to come.
2Āj bāpdādā chārō̃ ōr kē apnē bēphikr bādśhāhō̃ kō dēkh rahē haĩ .
3Today, BapDada is seeing His carefree emperors everywhere.
3Har ēk bachchā savērē sē uṭh bēphikr sthiti mē̃ sthit hō har|her karma kartā hai .
4From the time of waking up in the morning, every child remains stable in the carefree stage while performing every action.
4Har ēk bachchē kō anubhav hai ki yah bēphikr bādśhāh kī|key jīvan bādśhāhī bhī aur bēphikr bhī , kitnī pyārī lagtī hai kyōṅki āp sabhī nē bāp kō phikra dēkarkē phakhur lē liyā hai .
5Every child experiences this life of a carefree emperor to be one of sovereignty and also of being carefree. 6It feels so lovely because all of you have given your worries (fikar) to the Father and taken spiritual intoxication (fakhur).
5Phakhur bhī avināśhī phakhur lē liyā hai .
7The spiritual intoxication that you have taken is imperishable spiritual intoxication.
6Har ēk anubhav kartē haĩ ki yah bēphikr jīvan kitnī pyārī hai .
8Each one of you experiences how lovely this carefree life is.
7Dinrāt kōī bhī bāt kā phikra nahī̃ lēkin phakhur hai .
9Day and night, you have no worries about anything, but you just have spiritual intoxication.
8Jāntē hō ki yah bēphikr rahnē kī|key jīvan bāp nē is ēk janm kē liē nahī̃ lēkin anēk janmō̃ kē liē bēphikr bādśhāh banā diyā .
10You know that the Father has given you this life to remain carefree, not just for this one birth, but He has made you carefree emperors for many births.
9Abhī anubhav kartē hō bēphikr jīvan agar hai tō sadā mastak mē̃ divya jyōti chamaktī rahtī hai . 10Aur agar phikar hai tō māthē par anēk prakār kē duḥkhō̃ kā ṭōkrā bharā huā hōtā hai .
11Now, your experience is that, if you have a carefree life, then a divine light is constantly sparkling on your forehead, whereas if you have worry, you then have a basket on your head that is filled with many types of sorrow.
11Yah bēphikr jīvan kī vidhi bahut sahaj hai - jō bhī had kā mērā-mērā hai uskō tērā kar diyā .
12This method of a carefree life is very easy. 13You have made all the limited “mines” into “Yours”.
12Mērā aur tērā mē̃ ēk mātrā kā hī phark hai .
14There is the difference of just this one letter in “mine” (mera) and “Yours” (tera).
13Mē aur tē .
15M and T.
14Lēkin mērē kō tērā karnē sē jīvan kitnī khuśhnumā ban jātī hai .
16However, by your changing “mine” into “Yours”, your lives become so happy.
15Ban gaī hai nā !
17It has become that, has it not?
16Kāndh hilāō , ban gaī !
18Nod your heads. 19Has it become that?
17Bēphikr jīvan ban gaī !
20Your lives have become carefree.
18Kyōṅki phikar vālī jīvan kā ādhār hai vyarth saṅkalp .
21This is because the basis of a life filled with worry is waste thoughts.
19Tō abhī bāpdādā har|her bachchē sē yahī chāhtā hai ki har|her bachchē kē andar vyarth saṅkalp kā niśhān bhī nahī̃ rahē kyōṅki jab mērē kō tērē mē̃ badal diyā tō āp kyā hō gayē ?
22BapDada now wants this from every child: Let there not be any trace of waste thoughts in any child, because you have changed “mine” into “Yours”. 23So then, what do you become?
20Āp hō gayē bēphikr bādśhāh aur yah bēphikr bādśhāh kī|key jīvan kitnī pyārī hai .
24You become carefree emperors and this life of a carefree emperor is so lovely.
21Har|her karma kartē bēphikr bādśhāh .
25You are a carefree emperor while performing every action.
22Kōī phikra nahī̃ kyō̃ , kyā , kaisē , kab tak … yah sab samāpt hō gayē .
26You don’t have any worry about ‘Why?’, ‘What?’, ‘How?’ or ‘Until when?’ All of those questions have now finished.
23Bāpdādā āj is season kē last din yahī chāhtē haĩ ki har ēk bachchā vyarth kō mērē kē badlē tērā kar dē .
27Today, on the last day of this season, BapDada wants every child to change the wasteful “mine” into “Yours”.
24Bāp āpēhī bhasma kar dēgē .
28The Father Himself will burn it.
25Āp sirph ēk mātrā kā antar karō , mañjūr hai !
29You simply have to make the change of one letter. 30Do you agree?
26Hō saktā hai ?
31Is it possible?
27Agar hō saktā hai tō hāth uṭhāō .
32If it is possible, then raise your hands!
28Bahut achchhā kyōṅki yah 5-6 mās āp sabhī kō viśhva kē āgē duḥkhī ātmāō̃ kō powerful vr̥itti dvārā sukh śhānti kī kiraṇē̃ dēnī haĩ .
33Very good, because in the next five to six months, with your powerful attitude, all of you have to give rays of happiness and peace to the unhappy souls of the world.
29Isī mē̃ hī apnā man busy rakhnā hai .
34You have to keep your mind busy doing this.
30Vyarth saṅkalp bhī kismē̃ ātē haĩ ?
35Where do wasteful thoughts arise?
31Man mē̃ ātē haĩ nā !
36They arise in your mind, do they not?
32Tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki har ēk bēphikr bādśhāh bachchā apnē man kō arthāt vr̥itti kō itnā busy rakhē jō vyarth kō ānē kī margin hī nahī̃ rahē .
37So, BapDada wants every carefree emperor child to keep his mind, that is, his attitude so busy that there is no margin for any waste to come.
33Mēhnat nahī̃ karnī paṛē lēkin bāp kē mōhabbat mē̃ itnā busy rahō , vr̥itti kī sēvā mē̃ itnā man kō busy rakhō jō yuddha bhī nahī̃ karnī paṛē .
38You do not have to labour (mehnat), but remain so busy in your love for the Father (mohabbat) and keep your mind so busy serving with your attitude that you don’t even have to battle.
34Kaī bachchē kahtē haĩ chāhtē nahī̃ haĩ lēkin ā jātē haĩ .
39Some children say: “I don’t want these to come, but they come.”
35Iskō kyā kahē̃gē ?
40What would you call that?
36Ki man kō bāp kē pyār aur sēvā mē̃ busy nahī̃ rakhā .
41It is that you did not keep your mind busy in your love for the Father and His service.
37Sabhī sē pūchhtē haĩ ki āpkā pyār bāp sē kitnā hai ? 38Tō kyā kahtē ?
42When you are all asked how much love you have for the Father, what do you say?
39Bēhad hai .
43It is unlimited.
40Tō jissē pyār hōtā hai uskā kahnā mānnā kōī muśhkil nahī̃ hōtā .
44So, it is not difficult to listen to whatever the one you love says to you.
41Tō āp sabhī kā bāp sē aṭūṭ pyār hai nā !
45So, all of you have unbroken love for the Father, do you not?
42Ki kabhī-kabhī hai ?
46Or, do you have it only sometimes?
43Sadā hai yā kabhī-kabhī hai ?
47Is it constant or only sometimes?
44Jō kahtē haĩ sadā pyār hai vah hāth uṭhāō .
48Those who say that you have love all the time, raise your hands!
45Sadā pyār hai , dēkhō sōchō , sadā pyār hai tō bāp kā kahnā aur bachchē kā karnā .
49You have love all the time? 50See, think about it! 51If you have constant love, then, whatever the Father says, the children do.
46Yah tō jāntē hō nā !
52You know this, do you not?
47Tō abhī is season mē̃ bāpdādā bachchō̃ kō yahī dr̥iṛh saṅkalp karānē chāhtē haĩ , taiyār hō nā !
53So, now, in this season, BapDada wants to make you children have this determined thought. 54You are ready for this, are you not?
48Kāndh hilāō .
55Nod your heads.
49Taiyār hō dr̥iṛh saṅkalp karnē kē liē ?
56Are you ready to make a determined thought?
50Pīchhē vālē taiyār haĩ ?
57Those at the back, are you ready?
51Mātāyē̃ bhī taiyār haĩ ?
58Are you mothers ready?
52Pāṇḍav bhī taiyār haĩ ?
59Are you Pandavas ready?
53Achchhā hāth uṭhāō .
60Raise your hands well!
54Ismē̃ dō-dō hāth uṭhāō .
61Raise both your hands for this.
55Hāth uṭhātē hō tō bāpdādā kō khuśh tō kar dētē hō .
62When you raise your hands, you please BapDada.
56Abhī jaisē yah hāth uṭhāyā aisē man kā hāth uṭhāō . 57Kabhī bhī vyarth saṅkalp kō ānē nahī̃ dēgē .
63Just as you raised your physical hands, in the same way, raise the hands of your minds: I will never allow any waste thoughts to come.
58Unkā kām hai ānā , āpkā kām kyā hai ?
64It is their duty to come and what is your duty?
59Samāpt kar dēnā .
65To finish them.
60Tō is season mē̃ bāpdādā nē pahlē bhī kahā hai ki dō bātō̃ kā dhyān rakhnā hai ēk tō saṅkalp , dūsrā samay .
66BapDada also told you earlier in this season about the two things that you have to pay attention to: One is thoughts and the second is time.
61Jāntē hō āp , is saṅgam kā samay ēk-ēk minute kā connection 21 janm kē sāth hai .
67You know this. 68The time of the confluence age - every minute has a connection with 21 births.
62Aur is samay bāpdādā kā bachchō̃ sē , bachchō̃ kā bāp sē pyār hai .
69At this time, BapDada has love for you children and you children have love for the Father.
63Tō saṅgam samay kā ēk second , second nahī̃ hai kyōṅki 21 janmō̃ kā connection hai .
70So, one second of time in the confluence age is not a second, because it has a connection with 21 births.
64Agar ab nahī̃ samay kō bachāyā tō bāp sē jō pyār hai aur har ēk chāhtā hai ki bāp kē sāth ab bhī rahē̃ , sāth bhī chalē̃ .
71If not now… you have to save your time now, because you have love for the Father for 21 births and each one wants to remain with the Father even now and also to return with Him.
65Apnē ghar lauṭnā hai nā abhī .
72You now have to return to your home, do you not?
66Tō ghar mē̃ bhī sāth mē̃ chalē̃ aur phir rājya mē̃ bhī bāpdādā kē sāth viśhēṣh brahmā bābā kē sāth rājdhānī mē̃ najdīk sāth mē̃ āyē̃ isliē brahmā bāp tō phariśhtā rūp mē̃ hai aur āpkō sāth mē̃ chalnā hai tō kyā karnā paṛē ?
73You have to return home together and then go into the kingdom with BapDada. 74You will go close together into the kingdom, especially with Brahma Baba. 75Father Brahma is in the angelic form, so if you want to go back with him, what will you have to do?
67Phariśhtā bannā paṛē nā !
76You will have to become angels, will you not?
68Phariśhtā banē̃gē !
77You will become angels.
69Bannā hī hai nā !
78You definitely have to become those.
70Bāp brahmā kē hāth mē̃ hāth dēkē sāth chalnā hai , tō hāth kyā hai ?
79You have to move along with Father Brahma’s hand in your hand, and so what is the hand?
71Phariśhtē kō sthūl hāth tō haĩ nahī̃ .
80An angel does not have physical hands.
72Brahmā bāp kā hāth kyā hai ?
81So, what are Father Brahma’s hands?
73Śhrīmat .
82Shrimat.
74Tō bāpdādā kī yahī śhrīmat hai ki ab bēphikr bādśhāh ban sadā jaisē āpkī jagadambā nē puruṣhārth kiyā , bāp kā kahnā aur jagat ambā kā karnā , aisē jagat ambā kō follow karō .
83BapDada’s shrimat is: Now become a carefree emperor and, just as your Jagadamba made effort – the Father said it and Jagadamba did it - you now have to follow Jagadamba in the same way.
75Samay aur saṅkalp kō saphal karnā hī hai . 76Vyarth nahī̃ jāyē .
84You definitely have to use your time and thoughts in a worthwhile way, they should not go to waste.
77Sunāyā nā - ēk-ēk saṅkalp kā 21 janm sē connection hai .
85You were told that each thought has a connection with 21 births, were you not?
78Tō bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki sadā man kō busy rakhō .
86So, BapDada wants you to keep your mind constantly busy.
79Chāhē murlī kē manan mē̃ , chāhē sēvā mē̃ , har|her samay busy rahō .
87Whether it is in churning the murli or in doing service, remain busy at every moment.
80Apnā chart banāō , har|her samay bīch-bīch mē̃ jō bāpdādā nē drill sunāī hai bhinn-bhinn , jāntē hō nā aśharīrī bannē kī drill .
88Keep your chart. 89Every now and then, perform the drill that BapDada has told you about from time to time. 90You know the drill to become bodiless, do you not?
81Apnē tīn svarūpō̃ kē smr̥iti kī drill , jāntē hō nā !
91The drill of the awareness of your three forms. 92You know this, do you not?
82Jaisē bāp kē tīn rūp haĩ aisē āpkē bhī tīn rūp haĩ . 83Brāhmaṇ , phariśhtā aur dēvtā , in tīnō̃ rūpō̃ mē̃ drill dvārā apnē man kō busy rakhō isliē mahāmantra kyā hai ?
93Just as the Father has three forms, in the same way, you also have three forms - Brahmin, angel and deity. 94Keep your mind busy in the awareness of these three forms with this drill. 95What is the great mantra for this?
84Manmanābhav .
96Manmanabhav.
85Bākī bāpdādā kā har|her bachchē sē bahut-bahut pyār hai isliē bāpdādā yahī chāhtē haĩ ki har|her bachchā vijayī bhav kē vardānī banē̃ .
97BapDada has lots and lots of love for every child and this is why BapDada wants every child to take the blessing: “May you be victorious!”
86Sunāyā thā nā ki kaī bachchē sōchtē haĩ ham vijayī tō banē̃ lēkin mālā tō 108 kī hai , tō vijayī bankē mālā mē̃ tō ā nahī̃ sakē̃gē lēkin bāpdādā kā itnā pyār hai ki āp vijayī banō tō bāpdādā mālā mē̃ bhī laṛē̃ ( laṛiyā̃ ) lagā dēgā .
98You were told that some children think that they will become victorious, but that the rosary is only of 108, and so they will not be able to come in the rosary even if they are victorious. 99However, BapDada has so much love that, if you become victorious, BapDada will add extra strings to the rosary.
87Āp sirph vijayī banō .
100You just have to become victorious.
88Tō kyā saṅkalp hai ?
101So, what is your thought?
89Vijayī bannā hī hai nā !
102You are definitely going to be victorious, are you not?
90Ki sirph 108 vijayī banē̃gē ?
103Or, will just 108 become victorious?
91Nahī̃ .
104No.
92Bāp kā har|her bachchā vijayī hai .
105Every child of the Father is victorious.
93Bāpdādā har|her bachchē kē mastak mē̃ kyā dēkh rahē haĩ ?
106What is BapDada seeing on the forehead of each child?
94Vijay kā tilak kyōṅki sādhāraṇ rūp mē̃ bāp kō pahchān liyā hai nā !
107A tilak of victory, because you have recognised the Father in His ordinary form.
95Chāhē last bachchā hai , puruṣhārth mē̃ ḍhīlā hai lēkin usmē̃ yah viśhēṣhtā hai ki sādhāraṇ rūp mē̃ āyē huē bāp kō pahchān mērā bābā tō kahtā isliē har ēk bachchē kō himmat rakh vijay prāpt karnī hī hai .
108Even if it is the last child and he may be weak in effort, he still has the speciality of having recognised the Father who came in an ordinary form and of saying “My Baba”. 109This is why every child has to maintain courage and gain victory.
96Sirph kyā karnā hai ?
110What do you simply have to do?
97Kōī mēhnat kī bāt nahī̃ hai , pyār kī bāt hai .
111It is not a matter of any effort; it is a matter of love.
98Bāpdādā sē pyār hai , parivār sē pyār hai tō pyār vālē sē alag nahī̃ rahā jātā hai .
112You have love for BapDada, you have love for the family, and so you cannot keep yourself separate from the one you love.
99Tō brahmā bābā sē kitnā pyār hai ?
113So, how much love do you have for Brahma Baba?
100Jō samajhtē haĩ ki brahmā bāp sē , śhiv bāp sē hamārā aṭūṭ pyār hai vah hāth uṭhāō .
114Those of you who feel that you have unbroken love for Father Brahma and Father Shiva, raise your hands!
101Aṭūṭ , aṭūṭ ?
115Unbroken? 116Unbroken?
102Bahut achchhā .
117Very good.
103Tō dūsrī season mē̃ bāpdādā kyā dēkhnē chāhtā hai ?
118So what does BapDada want to see in the next season?
104Jāntē tō hō .
119You know it, do you not?
105Āpkō 5-6 mās milnā hai vyarth sē samarth saṅkalp karnē mē̃ .
120You are going to receive five to six months to transform any wasteful thoughts into powerful thoughts.
106Tō bōlō , madhuban vālē uṭhō , chāhē nīchē chāhē ūpar . 107Bahut haĩ .
121So speak! 122Those from Madhuban, stand up, whether you are those staying up at the top or down below, there are many.
108Tō madhuban vālē bāpdādā kō pyārē haĩ .
123BapDada loves those from Madhuban.
109Aisē nahī̃ dūsrē pyārē nahī̃ haĩ .
124This does not mean that BapDada does not love others.
110Vah bhī pyārē haĩ lēkin madhuban vālō̃ sē ēk bāt kā viśhēṣh pyār hai , vah kyā ?
125They too are loved, but BapDada has special love for one thing about the Madhuban residents. 126What is that?
111Mansā mē̃ yād tō sab kartē haĩ .
127All of you have remembrance in your mind.
112Yōgī tū ātmāyē̃ tō sabhī haĩ , gyānī ātmāyē̃ bhī sabhī haĩ lēkin madhuban vālō̃ kō apnā bhaviṣhya sahaj banānē kī ēk lift hai .
128All of you are yogi souls. 129All of you are also gyani souls. 130However, those of you from Madhuban have received a lift to create your future easily.
113Vah lift kyā hai ?
131What is that lift?
114Jō bhī madhuban mē̃ ātē haĩ , unkī sēvā kē nimitt haĩ .
132You are instruments for doing service for anyone who comes to Madhuban.
115Jaisē khānā banānē vālē jō bhī kōī duty karnē vālē haĩ . 116Bāpdādā tō kahtē haĩ kōī jhāṛū lagānē vālā bhī hai nā , vah bhī bhāgyavān hai , kyō̃ ?
133For instance, those who cook or those who perform any other duty, BapDada says: Even if someone sweeps the floor, he too is fortunate. 134Why?
117Jō bhī ātē haĩ vah yah vāyumaṇḍal dēkh āpkē dil kē pyār kī śhakti dēkh khuśh hō jātē haĩ .
135Anyone who comes here sees the atmosphere and becomes happy when they see the power of love in your heart.
118Chāhē khānā banānē vālā , chāhē kōī bhī duty vālā hai lēkin madhuban vālō̃ kō chance hai .
136Whether it is those who prepare the food or it may be any other duty, but those from Madhuban have a chance.
119Madhuban kā pyār aur śhaktiśhālī vāyumaṇḍal banānē kā , isliē bāpdādā madhuban vālō̃ kō bahut-bahut mubārak dē rahē haĩ ki yah season samāpt kī aur āgē kē liē bhī apnē man mē̃ ātmāō̃ kō santuṣhṭ karnē mē̃ aur śhaktiśhālī anubhav karānē mē̃ nimitt bantē rahē̃gē isliē sab tālī bajāō madhuban vālō̃ kē liē .
137Seeing the love of Madhuban and the powerful atmosphere created here, BapDada is congratulating the Madhuban residents very, very much that you have now completed this season, and you will continue to become instruments in the future, too, to make souls content and give them powerful experiences with your minds. 138Therefore, everyone should applaud the residents of Madhuban.
120Achchhā .
139Achcha.
121Āj amr̥itvēlē bāpdādā kō madhuban kē sēvādhārī sāmnē āyē .
140Today, at amrit vela, the servers of Madhuban came in front of BapDada.
122Har ēk sē bāpdādā vatan mē̃ bhī milē aur khās āpkō pahlē bhī batāyā hai ki chār bajē kē samay āpkī advance mē̃ gaī huī viśhēṣh dādiyā̃ jarūr ātī haĩ .
141BapDada met each one in the subtle region and, just as Baba has already told you previously, at 4.00 am your special Dadis who have gone in advance definitely come.
123Tō āj bhī viśhēṣh dādiyā̃ aur viśhēṣh bhāī pahuñchē thē . 124Unhōnnē khās madhuban vālō̃ kō emerge karnē kē liē kahā .
142Today, special Dadis and special brothers had also reached there and they especially requested to make the Madhuban residents emerge there.
125Viśhēṣh dīdī aur dādī dōnō̃ nē aur viśhēṣh bhāīyō̃ nē bhī madhuban vālō̃ kō yād kiyā .
143Both Didi and Dadi, and the special brothers too, especially remembered those from Madhuban.
126Aur dādī nē viśhēṣh yād dī|the aur sāth mē̃ vatan kā ām , jāntē hō nā vatan kā phal kitnā baṛhiyā hōtā hai , lāṭhī nahī̃ lagānī hōtī hai , jō phal chāhiē vah āp hāth sē hī lē saktē hō .
144Dadi gave special remembrance and, along with that, they gave mangoes from the subtle region. 145You know that the fruits of the subtle region are very good quality, you don’t have to knock them down with a stick. 146Whatever fruits you want, you can pick those with your hands.
127Tō dādī nē kahā āj madhuban vālō̃ sē ām kī picnic kartē haĩ .
147So Dadi said: Today, we are going to have a mango picnic with those from Madhuban.
128Dūsrī dādiyā̃ tō sāth mē̃ thī aur viśhēṣh bhāī bhī thē .
148There were other Dadis and special brothers also with her.
129Tō bāpdādā nē kahā unhō̃ sē pūchhō ki madhuban kē liē āpkō man mē̃ kyā ātā hai ?
149BapDada said: Ask them what comes into their minds about Madhuban?
130Tō dādī kyā bōlī ?
150What did Dadi say?
131Patā hai , jāntē tō hō , dādī kō tō jāntē haĩ nā !
151You know, you already know, you know Dadi, do you not?
132Dādī kahtī thī mērī yah abhī tak bhī dil hai ki har ēk madhuban vālā chāhē puruṣhārth mē̃ kōī bhī kamī abhī rah gaī hai , uskā tō puruṣhārth karnā hai lēkin maĩ ēk bāt chāhtī hū̃ madhuban vālō̃ sē .
152Dadi said: I still have the desire that each one from Madhuban - even if there is still something lacking in your efforts, you have to make effort for that - but I want one thing from the Madhuban residents.
133Vah kyā chāhtī hū̃ ?
153What do I want?
134Ēk-ēk madhubanvāsī bāp samān ban jāyē .
154It is that each and every resident of Madhuban becomes equal to the Father.
135Vaisē tō sabhī kō bannā hai lēkin madhuban viśhēṣh hai , madhuban vālō̃ kō dādī sē pyār thā , yah dādī kahtī thī mujhē patā hai .
155In fact, everyone has to become that, but Madhuban is special. 156Those from Madhuban had love for Dadi. 157Dadi used to say: I know this.
136Tō pyār kē return mē̃ maĩ yahī chāhtī hū̃ ki jaisē mama nē lakṣhya rakhā bābā nē kahā mama nē kiyā , yah tō madhuban vālē jāntē hī haĩ .
158So, as a return of love, I want it to be just as Mama had kept the aim: Whatever Baba said, Mama did. 159Those from Madhuban definitely know this.
137Aisē hī amr̥itvēlē sē lēkē rāt tak har ēk madhuban vālē , agar bābā kē sāth mērē sē bhī pyār hai , dādiyō̃ sē bhī pyār hai , tō jaisē mama nē bāp kī|key har|her rāy jīvan mē̃ lāī , aisē hamnē bhī lāī .
160In the same way, from amrit vela until night, if each one from Madhuban has love for Baba and for me and for the Dadis, then just as Mama put every piece of the Father’s advice into her life, so we too did the same.
138Tō agar dādiyō̃ sē pyār hai , tō yahī karkē dikhāyē̃ , savērē sē rāt tak aisā kōī saṅkalp , bōl , karma nahī̃ lāvē̃ jō dādiyō̃ kō yā bāp kō yā kisī kō bhī pasand nahī̃ hō .
161So, if you have love for the Dadis, then demonstrate it by doing this: from morning till night, do not have any such thoughts, words or actions that the Dadis, the Father or anyone else does not like.
139Bākī teachers kō dēkh bāpdādā khuśh hōtē haĩ kyōṅki bāp samān seat kā bhāgya milā hai .
162Seeing you teachers, BapDada is pleased, because you have received the fortune of the seat of being equal to the Father.
140Bāp kī murlī sunānē kī seat milī hai .
163You have received the seat to read the Father’s murli.
141Bāp hamēśhā teachers kō sāthī kahtē haĩ .
164The Father always says that the teachers are companions.
142Abhī teachers kē liē bāpdādā ēk bāt chāhtē haĩ .
165BapDada now wants one thing from the teachers.
143Sunāyē̃ kyā ?
166Should Baba tell you?
144Bāpdādā chāhtē haĩ ki har ēk teacher chēhrē sē brahmā bāp samān aisē khuśhnumā nazar āyē .
167BapDada wants each and every teacher’s face to be seen as being happy as that of Father Brahma’s.
145Andar puruṣhārth hōgā bhī lēkin vah āpkī sūrat sē nazar āvē , bāp pratyakṣha hō .
168It should be seen like this. 169Internally, there may be effort, but let your face reveal the Father.
146Kōī kō bhī dēkhē̃ tō āpmē̃ bāp kī chamak dikhāī dē .
170Whoever anyone looks at, let the Father’s sparkle be visible in them.
147Aisē chēhrē sē sēvā karnē vālī bāp kō pratyakṣha kar hī lē̃gī .
171Those who serve with their faces in this way will definitely reveal the Father.
148Ab samay ā gayā hai , bāp kō apnē chēhrē sē pratyakṣha karnē kā .
172The time has now come for you to reveal the Father with your faces.
149Tō teachers kō sadā mērā bābā tō svataḥ hī yād hai .
173The teachers always naturally remember “Mera Baba”.
150Abhī bāp kō chēhrē sē pratyakṣha karnā hai .
174Now you have to reveal the Father with your faces.
151Kar saktē haĩ nā !
175You can do this, can you not?
152Kar saktē haĩ tō karō .
176If you can, then do it!
153Dēkhō , abhī tak kī|key result mē̃ kyā sabhī kahtē haĩ !
177Look at what everyone says in the result up to now!
154Brahmākumāriyā̃ bahut achchhā kām kar rahī haĩ , bāp pratyakṣha nahī̃ hai . 155Vah abhī bhī gupta hai .
178That the Brahma Kumaris are doing very good work. 179The Father is not yet revealed, He is still incognito.
156Tō abhī samay samīp ā rahā hai , tō āp dvārā chāhē nimitt teachers haĩ yā kōī bhī bachchā hai , abhī bāp kō pratyakṣha karō .
180So, the time is now coming close through you. 181Whether it is the instrument teachers or any child, you now have to reveal the Father.
157Brahmākumāriyā̃ achchhā kārya kar rahī haĩ , yah tō hō gayā .
182“The Brahma Kumaris are doing very good work”. 183That has already happened.
158Yahā̃ tak pahuñch gayē hō .
184You have reached this far.
159Lēkin abhī yah pratyakṣha karō ki svayã paramātmā brahmā tan mē̃ pratyakṣha hō brahmākumāriyō̃ kō aisē yōgya banā rahē haĩ .
185However, now show that God Himself incarnated in the body of Brahma and is making the Brahma Kumaris so worthy.
160Abhī yah point rahī huī hai .
186This point is now still left.
161Gīt tō gātē haĩ mērā bābā ā gayā , lēkin abhī anya ātmāō̃ kē andar yah pratyakṣha hō ki bhagvān svayã pratyakṣha hō yah kārya bahinō̃ dvārā yā bhāīyō̃ dvārā karā rahē haĩ .
187You sing the song, “Mera Baba aa gaya – My Baba has come”. 188However, it should now be revealed to souls that God Himself has incarnated and is carrying out this task through the sisters and brothers.
162Yah pratyakṣhatā karnī hai nā !
189You have to bring about this revelation, do you not?
163Kab karē̃gē ?
190When will you do it?
164Ab .
165Kyā kahē̃gē ?
191What will you say?
166Ab nā !
192“Now”, will you not?
167 ( abhī śhurū karē̃gē , aglī season tak hō jāyēgā ) āp sabhī sāth mē̃ hō , aglī season tak hō jāyēgā ?
193(We will begin it now and it will be completed by next season.) 194Do all of you agree? 195Will it happen by next season?
168Hāth uṭhāō jō samajhtē haĩ !
196Those who agree with this, raise your hands!
169Thōṛē hāth uṭhā rahē haĩ .
197Few people are raising their hands.
170Jō hāth nahī̃ uṭhā rahē haĩ vah dēkhē̃gē aur āp karē̃gē !
198Those who are not raising their hands will simply watch, and you will do it.
171Teachers nē tō saṅkalp kiyā hai nā !
199You teachers have had this thought, have you not?
172Kyōṅki dēkh rahē hō bāpdādā tō kahtē hī haĩ ki sab achānak hōnā hai .
200Because you can see that BapDada is saying that everything is to happen suddenly.
173Kōī bachchē samajhtē haĩ achānak , achānak bhī bahut samay hō gayā hai . 174Abhī hōnā chāhiē .
201Some children think that Baba has been saying, “Suddenly, suddenly” for a long time, and now it should happen.
175Lēkin achānak tab hō jab bachchē bhī bāp samān ban jāyē̃ .
202However, it will happen suddenly when the children become equal to the Father.
176Āpkī sūrat mūrat ēk-ēk bōl bāp kō pratyakṣha karē .
203Let your faces, your images and your every word reveal the Father.
177Hō jānā tō hai hī .
204This is definitely going to happen.
178Hōnā hī hai abhī sirph nimitt bannā hai .
205It has to happen and you simply now have to be instruments for it.
179Abhī aglī season mē̃ kyā karē̃gē ?
206What will you do in the next season?
180Ēk tō apnē kō bāp samān banāyēṅgē .
207Firstly, you will make yourselves equal to the Father.
181Jō bhī kamī rah gaī hai , uskō sampann karē̃gē .
208Whatever weaknesses remain, you will remove them.
182Aur bāpdādā kō khuśhī hai kis bāt kī|key ?
209However, what is BapDada pleased about?
183Tō bachchō̃ nē jaisē abhī chhōṭē mōṭē sabhī centre nē vāṇī dvārā prasiddh kiyā ki ham kyā kārya kar rahē haĩ . 184Vāyumaṇḍal kō change kiyā hai .
210At all the small and big centres, children have revealed what work they are doing with words and have changed the atmosphere through that.
185Iskī bāpdādā mubārak dē rahē haĩ .
211BapDada is congratulating you for that.
186Jinhōnnē jahā̃ bhī programmes kiyē haĩ , achchhē kiyē haĩ , aur sabhī kē attention mē̃ bhī āyā hai ki brahmākumāriyā̃ sachmuch gupta rūp mē̃ apnē kārya kā samay 75 varṣh pūrā kiyā hai .
212Whoever has done programmes at any place, you have done them well and it has come to everyone’s attention that the Brahma Kumaris have truly completed 75 years of their work in an incognito way.
187Abhī yah kahē̃ ki brahmākumāriyō̃ kā bhagvān bābā ā gayā hai .
213Now, they should say that God, the Baba of the Brahma Kumaris, has come.
188Lakṣhya hai nā !
214You have this aim, do you not?
189Tō aglē season tak yah kārya ārambh hō jānā chāhiē .
215So, let this work begin by next season.
190Iskā pratyakṣha programme banānā .
216Make a practical programme for this.
191Programme banātē haĩ nā , meeting kartē haĩ nā !
217You do make programmes and have meetings, do you not?
192Tō meeting mē̃ yah programme banāō ki abhī sab bachchō̃ kō patā tō paṛē ki varsā dēnē vālā bāp ā gayā .
218In the meetings, make this programme. 219All of the children have to become aware that the Father who gives the inheritance has come.
193Vañchit nahī̃ rah jāē̃ .
220They should not remain deprived.
194Bāp kō tō bachchō̃ kē duḥkh kō dēkh bahut taras paṛtā hai .
221Seeing the sorrow of the children, the Father feels a lot of mercy.
195Jab duḥkh mē̃ chillātē haĩ , bāp kō taras paṛtā hai .
222When they cry out in sorrow, the Father feels mercy for them.
196Āp dēv aur dēviyō̃ kō bhī bahut pukārtē haĩ .
223They are also calling out a lot for you gods and goddesses.
197Tō aglī season mē̃ ēk tō vyarth kā nāmniśhān nahī̃ , mañjūr hai ?
224So, by the next season, let there be no name or trace of any waste. 225Agreed?
198Mañjūr hai !
226Do you agree?
199Dil kā hāth uṭhāō .
227Raise the hand of your heart.
200Dil kā hāth uṭhānā .
228Raise the hand of your heart.
201Vyarth hōtā kyā hai , yah mālūm hī gum hō jāē .
229Let all knowledge of what waste is disappear.
202Jaisē svarg kī śhahjādiyā̃ ātī haĩ nā tō unkō duḥkh aur aśhānti kā patā hī nahī̃ hai , kahtē haĩ kyā kahtē haĩ , yah kyā hōtā hai !
230When the princesses of heaven come (in trance), they are not aware of sorrow or peacelessness at all. 231They say: What are they saying? 232What is that?
203Aisē hī brāhmaṇ parivār mē̃ vyarth kā patā hī na hō , vyarth hōtā kyā hai .
233In the same way, let no one in the Brahmin family even know what waste is.
204Svachintan , svachintak .
234Pure and positive thoughts for yourself, pure and positive thoughts for others.
205Achchhā .
235Achcha.
206Sabhī chārō̃ ōr kē bachchō̃ kō bāpdādā kā dil kā yādpyār aur sāth-sāth bāp har ēk bachchē kō apnē svamān kē naśhē mē̃ niśhchay mē̃ dēkh harṣhit hōtē haĩ , kabhī bhī svamān kō nahī̃ chhōṛnā .
236To all of you children everywhere, love and remembrance from the heart of BapDada. 237Along with that, the Father is pleased seeing every child with faith and intoxication of your self-respect. 238Never let go of your self-respect.
207Svamāndhārī arthāt sadā sarv prāptivān , svamān kī list baṛī lambī hai , rōz ēk-ēk svamān smr̥iti mē̃ rakh svarūp mē̃ lātē tīvr puruṣhārthī ban āgē baṛhtē chalō .
239To be one with self-respect means to be one with all attainments. 240The list of self-respect is a long one. 241Keep one point of self-respect in your awareness every day, put it into your practical form, be an intense effort-maker and continue to move forward.
208Bāpdādā kō dil mē̃ biṭhākē aur apnē kō bāpdādā kē dil mē̃ biṭhākē nirbhay hōkē master sarvśhaktimān ban chaltē rahō , uṛtē rahō aur uṛātē rahō .
242Make BapDada sit in your heart and seat yourself in BapDada’s heart. 243Be fearless and a master almighty authority and continue to move along. 244Continue to fly and make others fly.
209Ōm śhānti .
245Om shanti.
Blessing
210Vardān : sēvā kī stage par samānē kī śhakti dvārā saphaltā mūrt bannē vālē master sāgar bhav
246Blessing: May you be a master ocean with the power to accommodate on the stage of service and thereby become an embodiment of success.
211Jab sēvā kī stage par ātē hō tō anēk prakār kī bātē̃ sāmnē ātī haĩ , un bātō̃ kō svayã mē̃ samā lō tō saphaltāmūrt ban jāyēṅgē .
247When you go onto the stage of service, many types of situations come in front of you. 248Therefore, accommodate those situations within yourself and you will become an embodiment of success.
212Samānā arthāt saṅkalp rūp mē̃ bhī kisī kī vyakt bātō̃ aur bhāv kā ā̃śik rūp samāyā huā na hō .
249To accommodate means not to have the slightest trace of anything gross, even in the form of a thought or feeling, merged in you.
213Akalyāṇkārī bōl kalyāṇ kī bhāvnā mē̃ aisē badal dō jaisē akalyāṇ kā bōl thā hī nahī̃ .
250Transform words that are not benevolent into benevolent feelings in such a way that it is as though those words that were not benevolent were never spoken.
214Avguṇ kō guṇ mē̃ , nindā kō stuti mē̃ badal dō - tab kahē̃gē master sāgar .
251Transform defects into virtues and defamation into praise, and you will then be called a master ocean.
Slogan
215Slōgan : vistār kō na dēkh sār kō dēkhnē vā svayã mē̃ samānē vālē hī tīvr puruṣhārthī haĩ .
252Slogan: Someone who doesn’t see the expansion but sees the essence and merges that into himself is an intense effort-maker.
216
253
254*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
217Yē avyakt iśhārē - brahmā bāp samān sampann aur sampūrṇ sthiti kā anubhav karō
255Avyakt signal: Experience the complete and perfect stage, the same as Father Brahma.
218Jaisē āpkī rachnā kachhuā second mē̃ sab aṅg samēṭ lētā hai .
256Your creation, the tortoise, is able to merge (withdraw) all its organs in one second.
219Samēṭnē kī śhakti rachnā mē̃ bhī hai .
257Even the creation has the power to merge.
220Āp master rachtā samēṭnē kī śhakti kē ādhār sē second mē̃ sarv saṅkalpō̃ kō samākar ēk saṅkalp mē̃ second mē̃ sthit hō jāō .
258On the basis of the power to merge, you master creators can merge all thoughts in a second and become stable in one thought in one second.
221Jab sarv karmēndriyō̃ kē karma kī smr̥iti sē parē ēk hī ātmik svarūp mē̃ sthit hō jāyēṅgē tab karmātīt arthātr̥ sampann sthiti kā anubhav hōgā .
259When you stabilise yourself in your soul-conscious form, beyond any awareness of the actions of all your physical organs, you will then experience the karmateet stage, that is, the stage of perfection.