मम्मा की मुरली - gyan-sitar-01
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
११ . १२ . ४८
Sabkō vāpis lē jānē vālā , sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kō jānnē vālā ēk hī paramātmā hai .
Sārī duniyā is samay ghōr andhkār mē̃ hai . Isliē jahā̃ sē bhī chaltē haĩ , usmē̃ duḥkh key|kī ṭhōkarē̃ khātē rahtē haĩ . Ēk tō agyāntā yah hai jō knowledge hī nahī̃ hai ki ham kaun haĩ , kahā̃ sē āyē haĩ ? Usmē̃ phir ṭhōkarē̃ bhī khātē haĩ . Jissē ulṭī duḥkh key|kī hī result nikaltī hai . Kyōṅki mārg kā hī patā nahī̃ hai . Yah patā tō ēk kō hī hai jiskē pās|pass ādi-madhy-ant key|kī sārī rōśhnī hai . Harēk K|kē ādi-madhy-ant kō jān bhī vahī saktā hai . Jiskī ādi-madhy-ant nahī̃ hai . Jō khud hī ādi-madhy-ant mē̃ ānē vālē haĩ vah ādi-anta kō kaisē jān saktē haĩ ? Jō sākṣhī dr̥iṣhṭā paramātmā hai , vahī jān saktā hai . Vah janm-maraṇ K|kē chakra mē̃ ānē vālā nahī̃ hai . Uskō hī sārī knowledge hai . Janm-maraṇ mē̃ ānē vālē kē pās sārī rōśhnī rah nahī̃ saktī hai . Aur jō bhī dharm sthāpan karnē āyē haĩ , vah bhī is samay janm-maraṇ K|kē chakra mē̃ haĩ . Tō ab rōśhnī kaun dē ?
Sabhī dharmō̃ kō jānnē vālā athavā vāpis lē jānē vālā vah hai dūr kā musāphir . Vah tō is duniyā kā nahī̃ hai . Jab kahtē haĩ ki yah duniyā jhūṭhī hai . Jhūṭhī kāyā , jhūṭhī māyā , jhūṭhā sab saṅsār . Sārā saṅsār hī jhūṭhā hai tō unsē lē chalnē vālā musāphir tō is duniyā kā nahī̃ chāhiē nā . Is dēśh mē̃ tō sab jhūṭhē haĩ . Unkō tō is jhūṭhī duniyā sē pār lē jānā hai . Bhal yah duniyā hī naī bantī hai parantu is duniyā mē̃ tō uskā bhī aṅśh nahī̃ hai nā . Vah duniyā ēkdam is duniyā sē pār hai . Tō jarur pār lē jānē vālā us duniyā kā musāphir chāhiē . Rōśhnī tō unkē pās|pass rah saktī jō is chakra mē̃ ānē vālā na hō . Yah chakra bhī jab tak apnī ādi-madhy-ant pūrī na karē tab tak vāpis kōī bhī jā nahī̃ saktā . Aisē bhī nahī̃ kōī mukti kō pahũchē huē haĩ jin dvārā rōśhnī mil saktī hai . Vahā̃ kōī jā nahī̃ saktā . Ab hamnē rachayitā aur rachnā K|kē bhēd kō pūrā jānā hai . Jabki ādi kō chakra lagākar ant mē̃ ānā hai , ant kō phir ādi mē̃ ānā hai , tō phir bīch mē̃ kōī vāpas kaisē jāyēṅgē ? Chakra kō bhī number-vār apnī stage mē̃ badalnā hai . Tō jab chakra K|kē ant kā bhī ant hō tab hī vāpas jā sakē̃gē . Tō yah sārī knowledge ēk kē pās hī hai . Rachnā key|kī ādi-madhy-ant kaisē hōtī hai , vah tō rachtā hī jānēgā nā . Manuṣhya trikāldarśhī hō nahī̃ saktā . Jaisē manuṣhya key|kī bhī ādi-madhy-ant hōtī hai . Number-vār hī stages ātī haĩ . Bāl avasthā kē bād vr̥iddha avasthā tō nahī̃ āyēgī . Yah sab niyam banē banāyē haĩ . Tō apnī buddhi mē̃ ab rōśhnī āyī hai . Chakra kō pūrā jāntē haĩ aur jāntē bhī tab haĩ jabki ab ādi mē̃ jānē kā samay hai . Agar ādi K|kē samay ham trikāldarśhī banē̃ athavā us samay yah knowledge rahē ki hamē̃ nīchē girnā hai tō phir sukh key|kī bhāvnā hī na rahē . Tō ab ant mē̃ hī ham jāntē haĩ . Dēvtāō̃ kō trikāldarśhī bannē key|kī āvaśhyaktā hī nahī̃ hai aur na dvāpar mē̃ ānē vālō̃ kō hī āvaśhyaktā hai . Paramātmā ātē hī ant mē̃ haĩ jabki tīnō̃ kālō̃ kā khēl pūrā hōnē par hōtā hai . Jab khēl chal rahā hai , tab usē bīch mē̃ dēkhnē sē majā hī nahī̃ āyēgā .
Ab paramātmā samjhā rahē haĩ ki ab kahānī pūrī huī . Abhī ant kā bhī ant hai . Phir naī kahānī śhurū hōtī hai . Yah chakra athavā kahānī anādi banī banāī hai . Ēk hī world history hai . Yah sab knowledge buddhi mē̃ hai , isliē apnē kō khuśhī hai ki phir sē jō kahānī śhurū huī hai usmē̃ hamārā bhī part hai . Ham usmē̃ pūrā sukh lētē haĩ . Apnē kō mālūm hai ki is knowledge kō pūrā jānnē vālā vahī dūr kā musāphir hai . Khud hī phir vāpas lē jānē phir ātā hai . Manuṣhya yah kām kar nahī̃ saktā . Agar manuṣhya ātmā karē tō vah ādi-madhy-ant mē̃ nahī̃ ānī chāhiē . Vah tō chakra sē alag chīj chāhiē . Vah hai hī ēk paramātmā svayã mālik . Manuṣhya samajhtē haĩ — bahut avatār hōtē haĩ , yug-yug avatār hōtē haĩ . Parantu yug-yug mē̃ tō ānē key|kī darkār hī nahī̃ hai . Kyōṅki chakra tō phirnā hī hai . Ab ham chakra K|kē niyam kō samajhtē haĩ . Ab ismē̃ hamē̃ kyā karnā chāhiē jissē hamārī pragati banē ? Vah stage kyā hai ? Uskī knowledge pūrī kōī bhī sunā nahī̃ saktā hai . Kōī sē bhī yah knowledge milī huī nahī̃ hai ki manuṣhya kē liē pūrṇ stage kyā hai aur vah kaisē prāpt hō saktī hai ? Bākī tō sab apnī-apnī śhikṣhā K|kē ādhār sē manuṣhyō̃ kō thōṛā-bahut batātē haĩ . Manuṣhya kē liē ūñch stage kyā hai , vah tō rachtā hī samjhā saktē haĩ .
Ab ham andhiyārē kō bhī samajhtē haĩ — jabki rōśhnī kā patā paṛā hai . Duniyā thōṛē hī samajhtī hai ki ham andhiyārē mē̃ haĩ . Vah tō samajhtē haĩ — ab tarakkī kartē jātē haĩ , rōśhnī mē̃ ātē jātē haĩ . Parantu vah rōśhnī tō girāvaṭ kī hai . Vah tō chaṛhānē vālā jab samjhātē haĩ tab hī ham jāntē haĩ . Duniyā tō ab bigaṛī huī hai . Yah tō samajhtē bhī haĩ lēkin uskō sudhārnē key|kī tarkīb hī kyā hai — vah ēk paramātmā hī jāntā hai . Jō khud hī bigaṛē huē haĩ vah kaisē is tarkīb kō act mē̃ lā saktē haĩ ! Māmlā sārī duniyā kā bigaṛā huā hai . Pāñch tatva ādi sab bigaṛē huē haĩ . Her|har chīj kā sudhār ēk rachayitā paramātmā K|kē hāth mē̃ hī hai . Achchhā .