मम्मा की मुरली - gyan-sitar-05

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

१७ . १२ . ५८

Ātmā paramātmā mē̃ līn nahī̃ hōtī , unkē samān bantī hai

Ōm śhānti . Bhagvān K|kē mahāvākya haĩ ki maĩ bījrup hū̃ aur is creation kā creator hū̃ . Manuṣhya ātmāyē̃ kahtī haĩ ki ham jyōti jyōt mē̃ samātē haĩ . Ab bhagvān K|kē kahnē aur ātmāō̃ K|kē kahnē mē̃ phark hō gayā . Jaisē bīj mē̃ jhāṛ lay hōtā hai phir bīj sē jhāṛ utpanna hōtā hai . Tō ātmā svayã apnē āp jyōti jyōt mē̃ samāvē - yah nahī̃ hō saktā hai . Ham apnā purānā hisāb-kitāb chuktū kar vāpas jā rahē haĩ . Paramātmā bhī kahtē haĩ — maĩ āyā hū̃ phir sē naī duniyā kī sthāpanā karnē . Yah tō practical ham dēkh rahē haĩ is duniyā kā vināśh hōnā hai . Yah hai duḥkh key|kī , āhō̃ key|kī duniyā . Ham jātē haĩ sadā sukh key|kī duniyā mē̃ . Uskē liē ab puruṣhārth karnā hai . Jyōti mē̃ nahī̃ samānā hai . Ātmāō̃ kō tō stage par part bajānē ānā hī hai kyōṅki yah rachnā anādi hai .

Bhagvān nē sukh key|kī rachnā hī rachī hai . Jismē̃ duḥkh kā nām bhī na hō tab tō sukh key|kī duniyā kahē̃ . Agar duḥkh kā aṅśh bhī hō tō uskō sukh nahī̃ kahē̃gē . Ājkal duniyā mē̃ sukh hai hī alpkāl kṣhaṇbhaṅgur . Tō siddha hai ki bākī sab duḥkhī haĩ . Ham ab sadākāl sukh mē̃ jātē haĩ . Agar alp duḥkh bhī vahā̃ hō tō unkō sukh tō nahī̃ kahē̃gē nā . Paramātmā jaisē avināśhī hai vaisē unkī property bhī avināśhī hai . Usmē̃ duḥkh , aśhānti hō nahī̃ saktī . Ab ham in sab duḥkhō̃ sē chhūṭē̃gē tab jab purānā hisāb-kitāb chuktū hō . Tab hī sukh key|kī duniyā mē̃ ā saktē haĩ . Paramātmā dvārā ham jītē jī is puruṣhārth mē̃ lagē huē haĩ . Dharmarāj kē pās sajā khākar hisāb-kitāb chuktū karnē sē kōī prālabdh nahī̃ bantī hai . Apnē kō tō pūrī prālabdh banānī hai . Jītē jī sukh lēnā hai tō jītē jī hisāb-kitāb bhī chuktū karnē haĩ . Phir unkē dvārā prālabdh banānī hai . Vah karankarāvanhār khud ākar apnā kartavya karā rahē haĩ . Karātē haĩ ātmāō̃ dvārā . Ab ham jāntē haĩ ki unkā aur hamārā sambandh kyā hai .

Jab sabhī sahārē ṭūṭ jātē haĩ tab paramātmā hī sahāyatā dēnē ātē haĩ . Sahāyatā dēnē key|kī samarthī usī mē̃ hai . Is samay sabhī sahārē ṭūṭtē jā rahē haĩ . Duḥkh-aśhānti baṛhtī jātī hai . Na kōī jyōti jyōt mē̃ samāyē haĩ , na kōī yahā̃ sadā sukhī haĩ . Paramātmā K|kē mahāvākya haĩ - maĩ ātā hī kalp K|kē ant mē̃ haĩ , ākar sārē vr̥ikṣha kō nayā banātā hū̃ , kalam lagātā hū̃ . Ab yah sab bātē̃ buddhi mē̃ haĩ tab hī unkā ham puruṣhārth kar rahē haĩ . Jītē jī puruṣhārth kar apnī prālabdh banānī hai . Ham jāntē haĩ hamārī - - prālabdh kaunsī haĩ aur unkē liē puruṣhārth kaunsā hai  ? Yah knowledge hai . Bākī tō sab kahāniyā̃ sirph suntē aur sunātē āyē haĩ . Biography kō jāntē nahī̃ haĩ . Unkē jīvan-charitr sirph aisē hī gānē sē bhī kuchh bantā nahī̃ hai . Rādhē-kr̥iṣhṇa ādi vah sab sarvguṇ ātmāyē̃ haĩ . Unkē chēhrē sadā muskarātē rahtē haĩ . Ab ham vah saṅskār bhar rahē haĩ . Purānē hisāb-kitāb kō chuktū kar rahē haĩ . Duniyā samajhtī hai ki manuṣhya marā tō svargvāsī huā aur kōī sādhū-sant martā hai tō kahtē haĩ jyōti jyōt samāyā . Ab ham jāntē haĩ ki yah saṅsār hī jō bahiśht thā , abhī dōjak hai . Ab phir bhagvān practical mē̃ vah bahiśht banā rahē haĩ . Ham vahā̃ jānē kā ab puruṣhārth kar rahē haĩ . Yah kām kōī manuṣhya nahī̃ kar saktā . Bāp aur unkē kartavya kō bhūlnē sē hī manuṣhya ātmāyē̃ apnē kartavya kō bhūl jātī haĩ . Ham ātmāō̃ kō sadgati dēnē vālā vahī hai . Kyōṅki paramātmā tō nyārī chīj hai nā . Ātmāō̃ kē sāth unkā hī sambandh hai . Ab mālūm paṛtā hai ki tō baṛā gahrā connection hai . Paramātmā sabsē nyārā hai tō unkē kartavya bhī nyārē hōṅgē . Jō manuṣhya ātmā na kar saktī hai , na kar sakēgī . Tab hī unkē kartavya nirālē gāyē huē haĩ .