मम्मा की मुरली - gyan-sitar-06

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२० . १२ . ५८

Andhiyārē sē rōśhnī mē̃ ānē kē bād vichārō̃ kā parivartan

Āj key|kī duniyā kitnē andhiyārē mē̃ hai vah bhī ab ham jāntē haĩ , jabki hamārē pās|pass rōśhnī hai . Manuṣhyō̃ kō patā hī nahī̃ hai ki isī duniyā mē̃ hī manuṣhyō̃ kē liē svarg thā , sadā sukhmay jīvan thī . Rañcak bhī us sukh kō nahī̃ jāntē haĩ . Taras paṛtā hai ki bēchārē kitnā andhiyārē mē̃ haĩ  ! Samajhtē haĩ - «  bas , yahī duniyā hai , ismē̃ hī bahiśht , dōjak hai . Hamārē pās|pass dhan-daulat hai , ghar mē̃ kōī khiṭpiṭ nahī̃ hai . Phir ham khyāl hī kyō̃ karē̃ ki kōī bahiśht thā jō hamnē dēkhā nahī̃ hai . Ham jis duniyā kō dēkhtē haĩ vahī duniyā hai . Is samay tō ham bahiśht mē̃ haĩ . Kal kā bhī ham sōch nahī̃ kartē haĩ . Kal dhan chalā jāēgā , duḥkh hōgā – yah khyāl hī kyō̃ karē̃  ? " bilkul vivēk mārā huā hai . Achchhā , bhal hamkō anubhav nahī̃ hai ki śhādī kē bād kyā duḥkh hōtā hai parantu buddhi sē samajh tō saktē haĩ . Baṛō̃ kō athavā chhōṭō̃ K|kē jīvan kō dēkhtē haĩ ki hamārē hōtē hamārē chhōṭē kaisē duḥkhī hō rahē haĩ . Tō bhī samajhtē - ham tō sukhī haĩ nā . Manuṣhya kā vivēk itnē tak bhī nahī̃ chaltā . Aisē thōṛē hī hamārē pās|pass duḥkh nahī̃ hai tō samajhē̃ duḥkh hai hī nahī̃ . Āj kā saṅsār itnā tō girā huā hai , jō itnā bhī vivēk nahī̃ chalātē . Manuṣhya jō kuchh kām athavā puruṣhārth kartē haĩ , khyāl tō rahtā hai nā ki is dhandhē sē itnā phāydā hōgā , insē nuksān hōgā , १२ mās kē bād phir nuksān na paṛ jāē . Pichhāṛī mē̃ bachchō̃ kē liē itnā dhan ikaṭṭhā karkē jāē̃ jō vah sukhī rahē̃ . Āj ēk bachchā hai , kal dō tīn hōṅgē , unkē liē bhī dhan ikaṭṭhā karē̃ – yah sab khyāl kartē tō haĩ nā . Manuṣhyō̃ key|kī buddhi chaltī hai parantu samajhtē nahī̃ haĩ . Yah sab vichār pīchhē K|kē hī haĩ nā . Āj kyā hai , kal kyā hōgā  ? Yah nahī̃ samajhtē ki hamārī jīvan ulṭī bhī hō saktī hai . Yah jō karma bantē āyē haĩ unkō sudhārnā kaisē hai  ? Yah buddhi mē̃ hī nahī̃ ātā hai . Itnē tō andhiyārē mē̃ paṛē haĩ - - dēkhtē huē bhī sōch nahī̃ kartē haĩ ki kyō̃ na pahlē sē hī ham aisē karma banāvē̃ jō pīchhē sukh bhōgē̃ . Pīchhē K|kē sōch K|kē sivāē manuṣhya kā kadam bhī nahī̃ chal saktā hai . Samajhtē haĩ - mēhnat karē̃gē , insē itnē din pēṭ kā gujārā hōgā , is dhandhē sē २४ ghaṇṭē sukh sē bītē̃gē . In vichārō̃ K|kē sivāē tō manuṣhya key|kī chāl chaltī nahī̃ hai . Yah mālūm hī nahī̃ ki world key|kī history kahā̃ sē śhuru huī  ? Kōī samay duniyā aisī ūñch stage par thī . Samajhtē haĩ - bas , is duniyā mē̃ hī sab kuchh hai , duniyā key|kī yahī chāl hai . Agar aisī hī chāl hai tō phir duḥkh bhī nahī̃ hōnā chāhiē . Manuṣhya martā hai , yah tō hōgā hī phir - - rōtē kyō̃ haĩ  ? Ājkal buddhi ēkdam mārī gaī hai .

Yah ab ham jāntē haĩ ki kuchh tō apnī jīvan banānī chāhiē . Kaī manuṣhya aisē bhī samajhtē haĩ ki yah kōī jīvan nahī̃ hai . Parantu kaisē aur kis dvārā vah jīvan banē – sō jāntē nahī̃ . Sārī duniyā girī huī hai . Jab duḥkh ātā hai , ṭhōkar lagtī hai , tō āvāz nikaltā hai insē chhūṭē̃ . Parantu rōśhnī dēnē vālā bhī chāhiē . Vah hai hī ēk . Us dvārā hamē̃ sadākāl kē liē ab rōśhnī mil gaī hai . Andhiyārē aur rōśhnī kā ham ab sākṣhātkār kartē jātē haĩ . Dēkhtē huē bhī manuṣhyō̃ key|kī āṅkhē̃ band haĩ . Duḥkh dēkhtē bhī haĩ parantu samajhtē haĩ hamārē liē nahī̃ hai . Aisē bhī manuṣhya haĩ jō samajhtē haĩ – «  bhagvān , jiskō ham dēkhtē hī nahī̃ tō vichār hī kyō̃ karē̃  ? Sukh key|kī duniyā dēkhī hī nahī̃ hai tō mānē̃ kaisē  ?  » achchhā , dādē-pardādē kō dēkhtē nahī̃ haĩ , tō thē hī nahī̃ kyā  ? Samajhtē tō haĩ nā – hamārē pitā nē unsē janma liyā hōgā . Samajh key|kī bāt hai nā . Is andhiyārē kā bhī sākṣhātkār tab hōtā hai jab rōśhnī mē̃ haĩ . Ab hamārī sukh key|kī duniyā ban rahī hai . Ātmā pūrṇ santuṣhṭ tō paramātmā dvārā hī hō saktī hai . Ab ham anubhav kartē jātē haĩ . Achchhā .