मम्मा की मुरली - gyan-sitar-06

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

0२० . १२ . ५८

020/12/1958

1Andhiyārē sē rōśhnī mē̃ ānē kē bād vichārō̃ kā parivartan

1The transformation of thoughts after coming into the light from darkness.

2Āj key|kī duniyā kitnē andhiyārē mē̃ hai vah bhī ab ham jāntē haĩ , jabki hamārē pās|pass rōśhnī hai .

2Today's world is in so much darkness. 3We know that now because we have enlightenment.

3Manuṣhyō̃ kō patā hī nahī̃ hai ki isī duniyā mē̃ hī manuṣhyō̃ kē liē svarg thā , sadā sukhmay jīvan thī .

4People do not know that there was heaven for human beings here in this world and that their life was constantly happy.

4Rañcak bhī us sukh kō nahī̃ jāntē haĩ .

5They do not know that happiness to even the slightest extent.

5Taras paṛtā hai ki bēchārē kitnā andhiyārē mē̃ haĩ  !

6We feel mercy for them that they are in so much darkness.

6Samajhtē haĩ - «  bas , yahī duniyā hai , ismē̃ hī bahiśht , dōjak hai .

7They think: this is the world. 8There is heaven and hell in this world.

7Hamārē pās|pass dhan-daulat hai , ghar mē̃ kōī khiṭpiṭ nahī̃ hai .

9We have wealth and prosperity, and there is no conflict in our homes.

8Phir ham khyāl hī kyō̃ karē̃ ki kōī bahiśht thā jō hamnē dēkhā nahī̃ hai .

10Why then should we think that there was a heaven which we have not seen?

9Ham jis duniyā kō dēkhtē haĩ vahī duniyā hai .

11Only the world that we see exists.

10Is samay tō ham bahiśht mē̃ haĩ .

12At present, we are in heaven.

11Kal kā bhī ham sōch nahī̃ kartē haĩ .

13We cannot even think of tomorrow. 14We do not think about tomorrow.

12Kal dhan chalā jāēgā , duḥkh hōgā – yah khyāl hī kyō̃ karē̃  ?

15If our wealth goes away tomorrow we shall experience sorrow. 16Why should we even think about this?

13" bilkul vivēk mārā huā hai .

17Their conscience is completely dead.

14Achchhā , bhal hamkō anubhav nahī̃ hai ki śhādī kē bād kyā duḥkh hōtā hai parantu buddhi sē samajh tō saktē haĩ .

18Achcha, even if we do not have any experience of the sorrow experienced after marriage, we can at least understand it with our intellect.

15Baṛō̃ kō athavā chhōṭō̃ K|kē jīvan kō dēkhtē haĩ ki hamārē hōtē hamārē chhōṭē kaisē duḥkhī hō rahē haĩ .

19We see the lives of those younger than us and of those older than us and can see that even those who are younger than us are experiencing sorrow.

16Tō bhī samajhtē - ham tō sukhī haĩ nā .

20Even though we can see this, they think that they are happy.

17Manuṣhya kā vivēk itnē tak bhī nahī̃ chaltā .

21People's intellect doesn't function even to this extent.

18Aisē thōṛē hī hamārē pās|pass duḥkh nahī̃ hai tō samajhē̃ duḥkh hai hī nahī̃ .

22It isn't that because we don't experience sorrow, there is no sorrow.

19Āj kā saṅsār itnā tō girā huā hai , jō itnā bhī vivēk nahī̃ chalātē .

23The world of today is so degraded that they do not use their intellect even to that extent.

20Manuṣhya jō kuchh kām athavā puruṣhārth kartē haĩ , khyāl tō rahtā hai nā ki is dhandhē sē itnā phāydā hōgā , insē nuksān hōgā , १२ mās kē bād phir nuksān na paṛ jāē .

24Whatever their actions or whatever effort people make, they are able to understand that through this they Will experience this much benefit or this much loss, and they have the concern that they should not experience any loss after twelve months.

21Pichhāṛī mē̃ bachchō̃ kē liē itnā dhan ikaṭṭhā karkē jāē̃ jō vah sukhī rahē̃ .

25So they accumulate so much wealth for their children that they are able to remain happy.

22Āj ēk bachchā hai , kal dō tīn hōṅgē , unkē liē bhī dhan ikaṭṭhā karē̃ – yah sab khyāl kartē tō haĩ nā .

26Today, they have one child, and later they would perhaps have two or three children. 27They would accumulate wealth for these children too. 28They are concerned about all this.

23Manuṣhyō̃ key|kī buddhi chaltī hai parantu samajhtē nahī̃ haĩ .

29The intellect of people functions but they do not understand anything.

24Yah sab vichār pīchhē K|kē hī haĩ nā . 25Āj kyā hai , kal kyā hōgā  ?

30They think about what will happen in the future, about what today is and what tomorrow will be.

26Yah nahī̃ samajhtē ki hamārī jīvan ulṭī bhī hō saktī hai .

31They do not even imagine that their lives can be reformed.

27Yah jō karma bantē āyē haĩ unkō sudhārnā kaisē hai  ?

32How can you change the karma that you have been creating?

28Yah buddhi mē̃ hī nahī̃ ātā hai .

33This does not enter their intellect.

29Itnē tō andhiyārē mē̃ paṛē haĩ - - dēkhtē huē bhī sōch nahī̃ kartē haĩ ki kyō̃ na pahlē sē hī ham aisē karma banāvē̃ jō pīchhē sukh bhōgē̃ .

34They are in so much darkness. 35Even whilst seeing everything, they do not think why they should not perform . such karma through which they can later experience happiness.

30Pīchhē K|kē sōch K|kē sivāē manuṣhya kā kadam bhī nahī̃ chal saktā hai .

36Human beings are not able to take any steps without thinking about the future.

31Samajhtē haĩ - mēhnat karē̃gē , insē itnē din pēṭ kā gujārā hōgā , is dhandhē sē २४ ghaṇṭē sukh sē bītē̃gē .

37They think that through the effort that they make they will be able to continue for this many days, and that through doing this business they will be able to spend twenty-four hours in happiness.

32In vichārō̃ K|kē sivāē tō manuṣhya key|kī chāl chaltī nahī̃ hai .

38People are not able to do anything without thinking about all this.

33Yah mālūm hī nahī̃ ki world key|kī history kahā̃ sē śhuru huī  ?

39They do not even know when world history began.

34Kōī samay duniyā aisī ūñch stage par thī .

40At one time, the world was in such an elevated condition.

35Samajhtē haĩ - bas , is duniyā mē̃ hī sab kuchh hai , duniyā key|kī yahī chāl hai .

41They think that everything is in this world. 42This is the way the world functions.

36Agar aisī hī chāl hai tō phir duḥkh bhī nahī̃ hōnā chāhiē .

43If such are their ways, there shouldn't be any sorrow.

37Manuṣhya martā hai , yah tō hōgā hī phir - - rōtē kyō̃ haĩ  ?

44People die, and this has to happen, so why do others cry?

38Ājkal buddhi ēkdam mārī gaī hai .

45Nowadays, their intellect is totally dead.

39Yah ab ham jāntē haĩ ki kuchh tō apnī jīvan banānī chāhiē .

46We know that we have to create our life to some extent.

40Kaī manuṣhya aisē bhī samajhtē haĩ ki yah kōī jīvan nahī̃ hai .

47Many people think that their life is not worthwhile.

41Parantu kaisē aur kis dvārā vah jīvan banē – sō jāntē nahī̃ .

48However, they do not know how and through whom they can create their lives.

42Sārī duniyā girī huī hai .

49The entire world has fallen.

43Jab duḥkh ātā hai , ṭhōkar lagtī hai , tō āvāz nikaltā hai insē chhūṭē̃ .

50When there is the experience of sorrow and you are stumbling, the sound emerges that you should be liberated from all this.

44Parantu rōśhnī dēnē vālā bhī chāhiē .

51However, you need the One who can enlighten you.

45Vah hai hī ēk .

52He is the only One.

46Us dvārā hamē̃ sadākāl kē liē ab rōśhnī mil gaī hai .

53We have now received enlightenment for all time through Him.

47Andhiyārē aur rōśhnī kā ham ab sākṣhātkār kartē jātē haĩ .

54We are now having visions of the darkness and the light.

48Dēkhtē huē bhī manuṣhyō̃ key|kī āṅkhē̃ band haĩ .

55It is as though human beings while being able to see are blind.

49Duḥkh dēkhtē bhī haĩ parantu samajhtē haĩ hamārē liē nahī̃ hai .

56They see the sorrow, but they think that it is not for them.

50Aisē bhī manuṣhya haĩ jō samajhtē haĩ – «  bhagvān , jiskō ham dēkhtē hī nahī̃ tō vichār hī kyō̃ karē̃  ?

57There are also such human beings who think that since they are not able to see God why should they think about Him?

51Sukh key|kī duniyā dēkhī hī nahī̃ hai tō mānē̃ kaisē  ?

58"We have not even seen the world of happiness and so how can we accept it?"

52 » achchhā , dādē-pardādē kō dēkhtē nahī̃ haĩ , tō thē hī nahī̃ kyā  ?

59You did not see your grandfather and great-grandfather, but does that mean that they never existed?

53Samajhtē tō haĩ nā – hamārē pitā nē unsē janma liyā hōgā .

60At least you understand that your father must have taken birth through him.

54Samajh key|kī bāt hai nā .

61It is a matter of understanding.

55Is andhiyārē kā bhī sākṣhātkār tab hōtā hai jab rōśhnī mē̃ haĩ .

62You only perceive this darkness when you have received light.

56Ab hamārī sukh key|kī duniyā ban rahī hai .

63Our world of happiness is now being created.

57Ātmā pūrṇ santuṣhṭ tō paramātmā dvārā hī hō saktī hai .

64The soul can only be completely content through God.

58Ab ham anubhav kartē jātē haĩ .

65We are now continuing to have this experience.

59Achchhā .

66Achcha.