मम्मा की मुरली - gyan-sitar-16
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
२२ . ४ . ५९
Mukti aur jīvanmukti kā āpas mē̃ sambandh
Ōm śhānti . Paramātmā K|kē dvārā sārī rachnā key|kī knowledge arthāt is manuṣhya sr̥iṣhṭi aur nirākārī duniyā K|kē sārē bhēd kō jāntē jā rahē haĩ . Kyōṅki nirākārī duniyā kā is sākārī duniyā sē sambandh hai aur sākārī duniyā kā nirākārī duniyā sē sambandh hai . Ātmāyē̃ part bajānē ātī haĩ , phir jātī haĩ . Manuṣhya samajhtē haĩ ki " ham bhī kōī puruṣhārth sē kabhī mukti pad kō pā saktē haĩ . Aisē bahut mukti kō pāyē huē haĩ . » parantu ham jāntē haĩ ki mukti aur jīvanmukti - dōnō̃ kā āpas mē̃ sambandh hai . Jaisē nirākārī duniyā kā sākārī duniyā sē sambandh hai , aisē jab tak paramātmā dvārā jīvanmukt duniyā na banē , tab tak mukt bhī kōī nahī̃ ban saktā .
Duniyā nahī̃ jāntī ki mukti alag chīj hai , jīvanmukti alag chīj hai . Ham jāntē haĩ - - jab duniyā jīvanmukt banē tab bākī sab mukti mē̃ jāvē̃ . Tō mukti-jīvanmukti ikṭṭhī hō gaī nā . Mukt-jīvanmukt sabkō ikṭṭhā ēk hī time par hōnā hai . Ismē̃ her|har chīj ā jātī hai . Tab hī ātmā bhī vah mukti-jīvanmukti kā sukh lē saktī hai . Sārī duniyā sē iskā sambandh hai . Tō yah sab bātē̃ ikṭṭhī haĩ . Aisē nahī̃ , kabhī bhī kōī mukt hō saktē haĩ . Mukti-jīvanmukti ikṭṭhī haĩ . Tō is rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō ham paramātmā dvārā jāntē jā rahē haĩ .
Tō sākārī aur nirākārī duniyā kā bhī āpas mē̃ sambandh hai jissē yah chakra chaltā rahtā hai . Duniyā is mukti-jīvanmukti K|kē arth|earth kō na jānnē K|kē kāraṇ samajhtī hai - " kōī bhī puruṣhārth sē mukti kō pā saktē haĩ , phalānē-phalānē nē pāī huī hai . » parantu kōī nē bhī pāī nahī̃ hai . Iskā puruṣhārth ēk hī time hōtā hai aur ēk K|kē dvārā hī yah puruṣhārth sīkhtē haĩ . Jīvanmukt pad sārī duniyā kā pad hai , ēk manuṣhya kā pad nahī̃ hai . Tō jab jīvanmukt duniyā bantī hai tō understood hai bākī sab mukt hō jātē haĩ .