मम्मा की मुरली - gyan-sitar-17
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
28/4/1959
Yah khēl smr̥iti-vismr̥iti kā banā huā hai , ātmā sadā hī man-buddhi sahit hai
Ōm śhānti . Paramātmā aur ātmā - iskī knowledge kō abhī ham paramātmā dvārā jāntē jā rahē haĩ . Ātmā kō man-buddhi sahit kahā jātā hai . Ātmā janm-maraṇ mē̃ ānē vālī hai . Ismē̃ sārā jō part chal rahā hai , uskī smr̥iti nahī̃ rah saktī hai . Bhal ātmā man-buddhi sahit bēśhak hai , parantu anēk janmō̃ kā jō kuchh huā vah smr̥iti tō nahī̃ rah saktī hai nā . Ēk jīvan kā hī ham lē̃ , tō bhī sab bātē̃ detail sahit yād thōṛē hī rahtī hai . Buddhi mē̃ smr̥iti-vismr̥iti hōtī hai . Parantu buddhi tō rahtī hai nā . Aisē thōṛē hī kahē̃gē ki buddhi chalī jātī hai . Parantu jab vah ṭhīk karttavya nahī̃ kartī hai tō is par kahā jātā hai jaisē ki inkī buddhi chalī gaī hai . Parantu aisē tō nahī̃ hai nā ki buddhihīn hai . Ātmā sadā hī man-buddhi sahit hai . Satyug mē̃ ātmā hai tō aisē nahī̃ , usē ८४ janmō̃ key|kī smr̥iti hai .
Paramātmā jō knowledgeful hai usmē̃ hī sabkī knowledge hai . Tō is samay par unkā part hai . Jab part mē̃ ātē haĩ tab ākar K|kē knowledge sunātē haĩ . Knowledge emerge bhī itnī kartē haĩ jitnā ātmā key|kī unnati K|kē lāyak hai . Bhal vah jānī-jānanahār hai parantu part mē̃ phir bhī andāj hai nā , utnā hī sunātē haĩ . Tō aisē nahī̃ , ātmā kō sārī smr̥iti ikṭṭhī rah saktī hai . Smr̥iti-vismr̥iti tō chaltī ātī hai . Parantu iskā matlab yah nahī̃ hai ki ātmā man-buddhi sahit nahī̃ hai . Sirph vah smr̥iti chalī jātī hai . Body conscious , soul - conscious - yah bhī khēl hai nā . Ātmā , ātmā hī hai . Sirph vismr̥iti hō jātī hai . Phir paramātmā dvārā smr̥iti miltī hai . Janm-maraṇ mē̃ ātē-ātē ātmā key|kī kalā ghaṭtī jātī hai . Yah bhī paramātmā ākar batlātē haĩ . Sō bhī anēk janmō̃ kā detail thōṛē hī batlātē haĩ . Unsē hamārā prayōjan nahī̃ . Jāntē haĩ ki pahlē duḥkh key|kī jīvan thī , unkō bhūlnā hī hai . Tō phir uskē vistār kō jānnē key|kī kyā jarurat hai ? Drama kā khēl aur ātmā kā parichay – yah paramātmā baiṭh samjhātē haĩ . Buddhi tō hai , phir kaī bātē̃ khyāl sē haṭ jātī haĩ . Tō aisē thōṛē hī kahē̃gē buddhi hī nahī̃ hai .
Is knowledge kō samajhnē sē aisī chhōṭī-chhōṭī bātē̃ tō apnē vichār sē bhī hal hō jātī haĩ . Ham bhī past-future dōnō̃ K|kē anubhavī haĩ . Buddhi dvārā ham jān saktē haĩ . Aisē bhī nahī̃ ki sākṣhātkār hō tab ham jān saktē . Yah tō buddhi kā kām hai jānnā . Sākṣhātkār nahī̃ huā hai tō bhī harjā nahī̃ hai . Jānnē kā sambandh sākṣhātkār sē nahī̃ hai . Gyān kā matlab sākṣhātkār nahī̃ hai . Manuṣhya samajhtē haĩ sākṣhātkār sē hī siddhi prāpt hō saktī hai . Parantu gyān tō knowledge kō kahā jātā hai . Kahā bhī jātā hai gyān bigar gati nahī̃ . Aisē nahī̃ kahā jātā hai ki sākṣhātkār bigar gati nahī̃ .
Paramātmā kō nyārā bhī kahā jātā hai aur pyārā bhī kahā jātā hai . Duniyā vālē samajhtē haĩ ki jaisē ātmā janm-maraṇ mē̃ ātī bhī hai aur nyārī nirlēp bhī hai , aisē paramātmā bhī hai . Kyōṅki samajhtē haĩ ātmā hī paramātmā hai . Parantu ham jāntē haĩ - - paramātmā nyārā aur pyārā kaisē hai . Vah ajanmā , duḥkh-sukh sē nyārā bhī hai parantu unkē part bajānē K|kē saṅskār bhī haĩ aur part bhī ati pyārā bajāyā hai kyōṅki sabkō sukhī banātē haĩ . Paramātmā tō bēhad kā kārya ākar kartē haĩ . Sarv ātmāō̃ kō sukhī banātē haĩ . Isliē sarv ātmāō̃ kō vah pyārā lagtā hai . Ātmāō̃ kō pyār milā hai , sukhī banī hai , tab return mē̃ itnā pyār kartī hai . Paramātmā nē ham ātmāō̃ kē sāth yah part bajāyā huā hai . Sukhī banāyā hai , isliē ati pyārā hai . Lēkin vah ham ātmāō̃ sē nyārā hai . Bhal khud bhī ātmā ban part bajātē haĩ parantu unkē karttavya nyārē haĩ . Jō ātmā nahī̃ kar saktī vah kām kartē haĩ . Sarv ātmāō̃ kō santuṣhṭ kartē haĩ , sarv ātmāō̃ kō sukh śhānti dētē haĩ . Isliē pyārē haĩ . Tō nyārē kā arth|earth yah nahī̃ ki lēp-chhēp sē nyārā hai . Vah tō jō kuchh kartā hai uskā bantā jarur hai . Service kī hai tab tō unkō sabhī pyār kartē haĩ . Yah bhī return hai nā . Bhal jāntē nahī̃ haĩ ki vah kaun hai , hamārē sāth sambandh kyā hai ? Lēkin pyār tō kartē haĩ nā . Yād bhī kartē haĩ .