मम्मा की मुरली - gyan-sitar-34
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
१५ . ९ . ६२
Ātmā , paramātmā K|kē karttavyō̃ kō yathārth jānnā hī achchhē karmō̃ kā ādhār hai
Gīt : duḥkhiyō̃ par kuchh rahm karō … .
Ōm śhānti . Paramātmā ēk hai aur vah nirākār hai . Kaī manuṣhya aisē māntē huē bhī is bāt mē̃ mūñjhē huē haĩ . Kyōṅki paramātmā kē bārē mē̃ hī anēkānēk vichār haĩ . Nirākār kō mānnē vālō̃ K|kē bhī anēk vichār haĩ . Kōī bhī chīj kō ēk kahā jāē tō unkā vr̥itānt bhī ēk hōnā chāhiē nā . Anēk bātē̃ tō nahī̃ hōnī chāhiē̃ . Parantu is ēk chīj mē̃ hī duniyā mūñjhī huī hai . Kahtē bhī haĩ - - god is one . Lēkin kahnē aur samajhnē mē̃ kitnā phark hai ! Samjhō , yah ākāśh tatva hai , unkō har ēk apnī-apnī bhāṣhā mē̃ bhal kuchh bhī kahē lēkin chīj tō ēk hai nā . Is rīti paramātmā bhī ēk hī hai , tō sabkē pās|pass vr̥itānt bhī ēk hōnā chāhiē . Bhāṣhāyē̃ bhal anēk hō̃ lēkin vichār tō anēk nahī̃ hōnē chāhiē̃ nā . Tō ēk hī bāt mē̃ duniyā kitnā mūñjhī huī hai ! Isliē yah bhī nahī̃ jāntē haĩ ki ham āyē kahā̃ sē haĩ , karnā kyā hai ? Sirph kahtē haĩ achchhē karma karnē chāhiē̃ .
Kaī aisē bhī manuṣhya kah dētē haĩ ki paramātmā kyā hai , ham kyā haĩ , kahā̃ sē āyē , kahā̃ jānā hai – in bātō̃ sē hamārā kyā matlab ? Bākī hā̃ , achchhē kām karnē chāhiē̃ . Achchhā , vah achchhā kām kaunsā hai ? Tō batāyēṅgē - jhūṭh na bōlō , chōrī na karō , kiskō kaṣhṭa na dō . Parantu ham jāntē haĩ ki ēk dō kō kaṣhṭa tō dētē hī āyē haĩ . Apnē āpkō bhī dhōkhā dēnā - yah bhī ātmā kō kaṣhṭa dē rahē haĩ nā . Yah bhī samajhnē key|kī bāt hai . Pahlē tō apnē kō jānnā chāhiē ki « maĩ hū̃ kaun ? Mērā position kyā hai ? Karttavya kyā hai ? » apnē position kō jānnē sē hī karttavya kar sakē̃gē . Jaisē doctor jab jānē – maĩ doctor hū̃ , patient kō saphā dēnī hai , tab hī pūrī saphā dē sakē̃gē . Agar kahē ki inkī āvaśhyaktā hī kyā hai , tō karttavya kaisē chalē ? Agar doctor kā karttavya karē parantu yah patā na hō ki ham doctor haĩ - tō kyā karē̃gē ? Tō yah bhī aisī bātē̃ haĩ . Kahtē tō haĩ - - ham achchhē karma kar rahē haĩ , ham dēśh key|kī sēvā kar rahē haĩ . Lēkin sēvā bhī sachchī kaunsī hōtī hai ? Duniyā jō kuchh bhī kar rahī hai uskī result tō sāmnē pratyakṣha hōtī jā rahī hai .
Paramātmā kyā , ham kyā , hamārā karttavya kyā hai ? Vah yathārth rīti jānnā hai . Vah samajhtē haĩ ham vēdō̃-śhāstrō̃ K|kē ādhār par jāntē haĩ . Lēkin śhāstra key|kī paṛhī huī bāt kō jānnā thōṛēhī kahē̃gē . Jānnē key|kī tō practical bātē̃ haĩ . Ham practical mē̃ apnē anubhavō̃ K|kē ādhār par sunātē haĩ . Aisē nahī̃ , jō hōnā hōgā sō dēkhā jāyēgā . Nahī̃ . Ham apnē anubhav , vivēk , authority K|kē ādhār par kahtē haĩ . Hamārī kahnī aur karnī duniyā sē nirālī hō gaī hai . Duniyā jō kahtī hai , kartī hai - usmē̃ kōī aim object nahī̃ hai . Har ēk K|kē apnē-apnē khyālāt haĩ . Isliē kōī bhī bāt mē̃ sthir nahī̃ haĩ . Apnī buddhi tō sthir hai . Buddhi mē̃ ēk hī yathārth bāt hai . Hamārī kahnī aur karnī samān hai .