मम्मा की मुरली - gyan-sitar-37
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
0२१ . ९ . ६२
021/09/1962
1Hamārī bātō̃ kā ādhār kōī vēd-śhāstra nahī̃ , svayã jānī-jānanahār bījrup paramātmā hai
1The Vedas and scriptures are not the basis of what we say; such basis is God Himself, the Seed, Janijananhar {One who knows all secrets}.
2Is samay sabhī insān andhērē mē̃ haĩ .
2At present all human beings are in darkness.
3Bhagvān hī kahtē haĩ – sabkā uddhār karnē maĩ ātā hū̃ .
3God says: I come to uplift everyone.
4Sādhū-santa sabkā uddhār karnē vālā ēk hī hai .
4Only the One can uplift all the sages and saints.
5Sabkī gati aur sadgati kab aur kaisē ākar kartē haĩ - yah ab hamārī buddhi mē̃ hai jō ham unkē dvārā jāntē haĩ .
5It is now in our intellect how He comes and grants liberation and salvation to everyone. 6We know this through Him.
6Yah bhī jāntē haĩ ki gati , sadgati alag-alag haĩ .
7We also know that liberation and salvation are two separate things.
7Jab part mē̃ nahī̃ haĩ tō unkō mukti athavā gati kahtē haĩ .
8When we are not playing a part, that is liberation.
8Aisē hō nahī̃ saktā ki part mē̃ āyē̃ hī nahī̃ .
9It is not possible that we do not come to play a part at all.
9Phir tō khēl key|kī bāt hī nahī̃ rahī .
10Then there would no question of a play.
10Kaī tō aisē māntē haĩ . 11Parantu aisē huā nahī̃ hai .
11Many believe that this is possible but it has never happened like that.
12Dharm sthāpan karnē vālō̃ kō bhī phir pālnā karnī hai .
12Even those who establish a religion then have to sustain it.
13Agar vē|way na hōtē tō unhō̃ K|kē dharm hī na hōtē .
13If they didn't exist, their religion would not exist either.
14Ab sabkī kayāmat hōgī .
14Now it is the time of settlement for everyone.
15Yah bhī pahlē gyān chāhiē ki manuṣhya kē liē prāpti kyā hai ?
15First of all, we need the knowledge of what attainment there is for human beings.
16Vah bhī paramātmā jānī-jānanahār batlātē haĩ ki ab ham usī dhām mē̃ jātē haĩ , jō phir is kaliyug mē̃ lauṭtē nahī̃ .
16The Supreme Soul, the One who knows all secrets, tells us that we now have to go to that land so that we do not return to this iron age.
17Bākī aisē nahī̃ ki jyōti mē̃ jākar līn hōtē haĩ , phir lauṭtē nahī̃ .
17It does not mean that we shall go and merge into the light and never return here.
18Yah saṅgam key|kī bāt hai ki is samay jō mērē dhām mē̃ chalnē kā puruṣhārth karē̃gē vah is duniyā mē̃ nahī̃ lauṭē̃gē .
18When it is said that those who make effort to go to God's land will not return to this world, that refers to the confluence age.
19Ab ham yah puruṣhārth kar rahē haĩ ki phir is tamōpradhān kaliyugī duniyā mē̃ na lauṭē̃ .
19We are now making effort so that we do not return to this tamoprac1han, iron-aged world.
20Aisē nahī̃ , corporeal duniyā nahī̃ hōgī .
20It isn't that the corporeal world will not exist.
21Duniyā tō rahtī hai parantu tamōpradhān duniyā nahī̃ hōgī .
21The world will still exist, but it will not be the tamopradhan world.
22Tō hamārā is antim janm mē̃ yahī puruṣhārth hai ki is duniyā mē̃ phir janm na lē̃ , janma lē̃ tō naī duniyā mē̃ lē̃ .
22We make effort in this final birth so that we do not take another birth in this world. 23If we do take birth again, we shall take it in the new world.
23Ab yah buddhi mē̃ knowledge hai ki manuṣhya kē liē vāstaviktā kyā hai ?
24We now have the knowledge in our intellect, of what reality is for human beings.
24Paramātmā saṅgam par ākar yah knowledge dē rahā hai .
25God comes and gives us this knowledge at the confluence age.
25Is saṅgam kō kōī jāntē nahī̃ , isliē mujhtē haĩ .
26No one knows this confluence age and so they become confused.
26Paramātmā nē kahā̃ sē bāt key|kī - kaliyug sē yā satyug sē ? 27Yah nahī̃ jāntē haĩ .
27They do not know whether God spoke to them in the iron age or in the golden age.
28Isliē vahī ākar batlātē haĩ ki mainnē saṅgam par ākar bāt kī hai tāki phir sē tamōpradhān duniyā mē̃ nahī̃ lauṭē̃ .
28This is why God comes and says that He spoke at the confluence age, so that you do not return to the tamopradhan world again.
29Ab hamārē liē yah sab bātē̃ practical haĩ .
30Bābā bhī practical kahtē haĩ ki bachchē , ab mērē dhām chalē̃gē tō is duniyā mē̃ lauṭē̃gē nahī̃ .
31Lōg yah bhī nahī̃ jāntē ki yahī duniyā satōpradhān thī , ab yahī duniyā tamōpradhān hai .
29People do not know that this world was satopradhan and that it is now tamopradhan.
32Na jānnē K|kē kāraṇ kahtē haĩ – duniyā mē̃ ānā hī nahī̃ hai .
30Because they do not know, they say that they will not return to this world.
33Ab jis dhām jānā hai us dhām jaisā bannā hai . 34Isliē vah taiyārī kar rahē haĩ .
31You now have to become like the place that you are to go to, and this is why you are making such preparations.
35Is duniyā K|kē saṅskār miṭā rahē haĩ .
32You are erasing the sanskars of this world.
36Ab ham nahī̃ kah saktē ki ham andhkār mē̃ haĩ .
33At this moment, we cannot say that we are in darkness.
37Apnē pās|pass rōśhnī hai .
34We now have enlightenment.
38Kahā̃ sē āyē haĩ , kyā karnā hai , kiskō jītnā hai , kaisē jīt pānī hai - sab rōśhnī hai .
35We now have total enlightenment about where we have come from, what we have to do, what we have to conquer and how we conquer it.
39Ūñchē tē ūñchē bāp kā ādhār hai . 40Bākī vēd-śhāstrō̃ kā ādhār nahī̃ hai .
36We have the support of the highest-on-high Father, we do not have the support of the Vedas and scriptures.
41Kyōṅki sabkō jānnē vālā jānī-jānanahār mil gayā tō phir ādhār kiskā ?
37We have now found the One who knows all secrets and so who else's support should we seek?
42Pūchhtē haĩ nā ki kiskē ādhār sē bōltē hō ?
38People ask you: On what basis are you saying all this?
43Jānī-jānanahār K|kē ādhār sē .
39With the support of the One who knows all secrets.
44Phir vivēk vā anubhav mē̃ āyā huā hai .
40As well as this reasoning we also have experience.
45Mānō na mānō , yah sab sachchī bātē̃ haĩ .
41Whether you believe it or not, all these things are true.
46Jō sr̥iṣhṭi kā bījrup nirākār paramātmā hai uskē ādhār sē bōltē haĩ .
42We are speaking with the support of the Seed of the world.
47Jiskē pās|pass manuṣhya sr̥iṣhṭi key|kī knowledge hai , vahī ākar purify banātē haĩ .
43The One who has knowledge of the world comes and purifies it.
48Ab sab bātē̃ apnī buddhi mē̃ haĩ .
44We now have all these things in our intellect.
49Phir kōī mānē tō jīvanmukt , na mānē tō maut bhī sāmnē hai .
45If someone believes this, then they can be liberated in life, but if they don't, death is in front of them.
50Ab kōī mūñjhnē key|kī bāt nahī̃ hai .
46Now there is nothing to be confused about.
51Hā̃ , kōī bandhan ātē haĩ tō phir chillātē haĩ .
47When some bondages appear people cry out.
52Parantu yah bhī jāntē haĩ ki apnē karmō̃ sē bandhan haĩ .
48But they also know that those bondages are due to their own karma.
53Uskō kāṭnā kaisē hai ?
49How will you cut those bondages?
54Yah bhī samajhkar chalnā hai .
50You have to understand this also.
55' bandhan-bandhan ' kahtē tō anēk janm bitāyē .
51You passed through many births speaking of your bondages.
56Śhaktiyō̃ kā bal dikhāyā hai , tō bandhan kāṭē thē nā .
52The power of the Shaktis has been shown, so they must have cut their bondages.
57Asurō̃ kā vināśh kiyā thā .
53They had destroyed the evil.
58Asur kōī aisē manuṣhya nahī̃ hōtē .
54Devils are not human beings.
59Bhãyakar yah vikār bhūt haĩ jō duḥkh kartē haĩ .
55It is the vices that are the fearsome evil spirits, which give you sorrow.
60Duḥkh kā rup aisē dē diyā hai - ēk taraph dēvī kahnā , dūsrē taraph itnā bhãyakar banānā .
56They have shown such a form of sorrow: on the one hand they have shown goddesses and on the other hand, they have made them fearsome.
61Phir asurō̃ kō bhãyakar banāyā hai .
57They have then shown the demons as fearsome beings.
62Yah hai guṛiyō̃ kā khēl .
58This is a play of dolls.
63Guṛiyā̃ banākar kyā khēl rach rahē haĩ ?
59What games are they playing, having made the dolls?
64Bāp ākar batlātē haĩ .
60Baba comes and tells you this.
65Bāp kō tō kahnē kā hak hai ki bachchē kyā kar rahē haĩ ?
61Baba has a right to tell the children what they have been doing.
66Ab navrātri mē̃ dēviyō̃ K|kē chitra bahut banātē haĩ .
62They have made many images in the festival of the nine nights of the goddesses.
67Rachtā bhī bantē , pālnā bhī kartē aur phir ḍubō bhī dētē haĩ .
63They become the creators, sustain them and then drown them.
68Kharchē bahut kartē haĩ .
64They spend a lot of money.
69Iskā natījā kyā hai ?
65What purpose does this serve?
70Kahtē haĩ - paramparā sē chalā ātā hai .
66They say that this has been continuing from the beginning of time.
71Tō in bātō̃ kō sudhārnā hai .
67So you have to reform all these things.
72Kōṭō̃ mē̃ kōī ākar sudhartē haĩ . 73Bākī sabkā vināśh hō jātā hai .
68Only, a handful out of , multi-millions come and reform themselves; all the rest are destroyed.
74Yah sārā drama kā kaisā hisāb-kitāb banā huā hai - - iskō ham jāntē haĩ .
69We know what kind of drama has been created.
75Yah common satsaṅg nahī̃ hai , school hai .
70This is not a common satsang, it is a school.
76School mē̃ har ēk student kā parichay rahtā ki kahā̃ tak paṛhtā aur paṛhātā hai , kahā̃ tak buddhi mē̃ dhārṇā hai ?
71In a school, a record is kept of how much each soul studies and teaches others, and to what extent he imbibes everything in the intellect.
77Sab rēkh-dēkh rakhnī paṛtī hai .
72You have to keep all this information.
73Achcha.