मम्मा की मुरली - gyan-sitar-37

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२१ . ९ . ६२

Hamārī bātō̃ kā ādhār kōī vēd-śhāstra nahī̃ , svayã jānī-jānanahār bījrup paramātmā hai

Is samay sabhī insān andhērē mē̃ haĩ . Bhagvān hī kahtē haĩ – sabkā uddhār karnē maĩ ātā hū̃ . Sādhū-santa sabkā uddhār karnē vālā ēk hī hai . Sabkī gati aur sadgati kab aur kaisē ākar kartē haĩ - yah ab hamārī buddhi mē̃ hai jō ham unkē dvārā jāntē haĩ . Yah bhī jāntē haĩ ki gati , sadgati alag-alag haĩ . Jab part mē̃ nahī̃ haĩ tō unkō mukti athavā gati kahtē haĩ . Aisē hō nahī̃ saktā ki part mē̃ āyē̃ hī nahī̃ . Phir tō khēl key|kī bāt hī nahī̃ rahī . Kaī tō aisē māntē haĩ . Parantu aisē huā nahī̃ hai . Dharm sthāpan karnē vālō̃ kō bhī phir pālnā karnī hai . Agar vē|way na hōtē tō unhō̃ K|kē dharm hī na hōtē .

Ab sabkī kayāmat hōgī . Yah bhī pahlē gyān chāhiē ki manuṣhya kē liē prāpti kyā hai  ? Vah bhī paramātmā jānī-jānanahār batlātē haĩ ki ab ham usī dhām mē̃ jātē haĩ , jō phir is kaliyug mē̃ lauṭtē nahī̃ . Bākī aisē nahī̃ ki jyōti mē̃ jākar līn hōtē haĩ , phir lauṭtē nahī̃ . Yah saṅgam key|kī bāt hai ki is samay jō mērē dhām mē̃ chalnē kā puruṣhārth karē̃gē vah is duniyā mē̃ nahī̃ lauṭē̃gē . Ab ham yah puruṣhārth kar rahē haĩ ki phir is tamōpradhān kaliyugī duniyā mē̃ na lauṭē̃ . Aisē nahī̃ , corporeal duniyā nahī̃ hōgī . Duniyā tō rahtī hai parantu tamōpradhān duniyā nahī̃ hōgī . Tō hamārā is antim janm mē̃ yahī puruṣhārth hai ki is duniyā mē̃ phir janm na lē̃ , janma lē̃ tō naī duniyā mē̃ lē̃ .

Ab yah buddhi mē̃ knowledge hai ki manuṣhya kē liē vāstaviktā kyā hai  ? Paramātmā saṅgam par ākar yah knowledge dē rahā hai . Is saṅgam kō kōī jāntē nahī̃ , isliē mujhtē haĩ . Paramātmā nē kahā̃ sē bāt key|kī - kaliyug sē yā satyug sē  ? Yah nahī̃ jāntē haĩ . Isliē vahī ākar batlātē haĩ ki mainnē saṅgam par ākar bāt kī hai tāki phir sē tamōpradhān duniyā mē̃ nahī̃ lauṭē̃ . Ab hamārē liē yah sab bātē̃ practical haĩ . Bābā bhī practical kahtē haĩ ki bachchē , ab mērē dhām chalē̃gē tō is duniyā mē̃ lauṭē̃gē nahī̃ . Lōg yah bhī nahī̃ jāntē ki yahī duniyā satōpradhān thī , ab yahī duniyā tamōpradhān hai . Na jānnē K|kē kāraṇ kahtē haĩ – duniyā mē̃ ānā hī nahī̃ hai . Ab jis dhām jānā hai us dhām jaisā bannā hai . Isliē vah taiyārī kar rahē haĩ . Is duniyā K|kē saṅskār miṭā rahē haĩ . Ab ham nahī̃ kah saktē ki ham andhkār mē̃ haĩ . Apnē pās|pass rōśhnī hai . Kahā̃ sē āyē haĩ , kyā karnā hai , kiskō jītnā hai , kaisē jīt pānī hai - sab rōśhnī hai . Ūñchē tē ūñchē bāp kā ādhār hai . Bākī vēd-śhāstrō̃ kā ādhār nahī̃ hai . Kyōṅki sabkō jānnē vālā jānī-jānanahār mil gayā tō phir ādhār kiskā  ? Pūchhtē haĩ nā ki kiskē ādhār sē bōltē hō  ? Jānī-jānanahār K|kē ādhār sē . Phir vivēk vā anubhav mē̃ āyā huā hai . Mānō na mānō , yah sab sachchī bātē̃ haĩ . Jō sr̥iṣhṭi kā bījrup nirākār paramātmā hai uskē ādhār sē bōltē haĩ . Jiskē pās|pass manuṣhya sr̥iṣhṭi key|kī knowledge hai , vahī ākar purify banātē haĩ . Ab sab bātē̃ apnī buddhi mē̃ haĩ . Phir kōī mānē tō jīvanmukt , na mānē tō maut bhī sāmnē hai .

Ab kōī mūñjhnē key|kī bāt nahī̃ hai . Hā̃ , kōī bandhan ātē haĩ tō phir chillātē haĩ . Parantu yah bhī jāntē haĩ ki apnē karmō̃ sē bandhan haĩ . Uskō kāṭnā kaisē hai  ? Yah bhī samajhkar chalnā hai . ' bandhan-bandhan ' kahtē tō anēk janm bitāyē . Śhaktiyō̃ kā bal dikhāyā hai , tō bandhan kāṭē thē nā . Asurō̃ kā vināśh kiyā thā . Asur kōī aisē manuṣhya nahī̃ hōtē . Bhãyakar yah vikār bhūt haĩ jō duḥkh kartē haĩ . Duḥkh kā rup aisē dē diyā hai - ēk taraph dēvī kahnā , dūsrē taraph itnā bhãyakar banānā . Phir asurō̃ kō bhãyakar banāyā hai . Yah hai guṛiyō̃ kā khēl . Guṛiyā̃ banākar kyā khēl rach rahē haĩ  ? Bāp ākar batlātē haĩ . Bāp kō tō kahnē kā hak hai ki bachchē kyā kar rahē haĩ  ? Ab navrātri mē̃ dēviyō̃ K|kē chitra bahut banātē haĩ . Rachtā bhī bantē , pālnā bhī kartē aur phir ḍubō bhī dētē haĩ .

Kharchē bahut kartē haĩ . Iskā natījā kyā hai  ? Kahtē haĩ - paramparā sē chalā ātā hai . Tō in bātō̃ kō sudhārnā hai . Kōṭō̃ mē̃ kōī ākar sudhartē haĩ . Bākī sabkā vināśh hō jātā hai . Yah sārā drama kā kaisā hisāb-kitāb banā huā hai - - iskō ham jāntē haĩ . Yah common satsaṅg nahī̃ hai , school hai . School mē̃ har ēk student kā parichay rahtā ki kahā̃ tak paṛhtā aur paṛhātā hai , kahā̃ tak buddhi mē̃ dhārṇā hai  ? Sab rēkh-dēkh rakhnī paṛtī hai .