मम्मा की मुरली - gyan-sitar-38

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२५ . ९ . ६२

Bāp key|kī āgyā hai - apavitratā K|kē khātē kō samāpt kar pavitra banō aur banāō

Ōm śhānti . Bhakta bhagvān key|kī śhukriyā gātē haĩ . Parantu śhukriyā kahnē key|kī tō bāt hī nahī̃ hai . Hamkō tō ab bhagvān bāp practical mē̃ milā hai , unkī ham santān banē haĩ . Tō varsā pānē kā yatn ( puruṣhārth ) karnā hai . Hamkō jō unkā pharmān aur āgyā hai , us par kadam-kadam chalnā hai . Jaisē sapūt bachchē bāp key|kī āgyā kā pālan kartē haĩ . Āgyā bhī kaunsī hai  ? Pavitra rahkar pavitra banāō . Pavitratā kō bhī ham jāntē haĩ ki pavitratā kitnē tak hai  ? Jaisē apavitratā hamkō gahrāī mē̃ lē gaī hai jissē karma kā khātā bhī aisē hī ban gayā hai .

Ab phir us apavitratā K|kē khātē kō kāṭnā hai . Pāñch vikār jō karmō̃ mē̃ chalē gayē haĩ unkō nikālnā hai . Vikārō̃ kō sirph chhōṛnā nahī̃ hai , parantu unsē jō khātā ban chukā hai unkō bhī sāph karnā hai .

Vikārō̃ nē sārā apnā banā liyā hai . Vikārō̃ kā rājya hai . Uskō palṭānā hai . Sirph brahmcharya kā pālan karnā - yah kōī baṛī bāt nahī̃ . Parantu un vikārō̃ sē jō khātā banā hai unkō khatm karnā hai . Sanyāsī bhal chhōṛkar gayē lēkin pichhlā vikarmō̃ kā khātā unkō chhōṛtā nahī̃ . Bhal jō kartē haĩ unkā ujūrā miltā hai - jō janm lēkar phir bhī sanyāsiyō̃ K|kē saṅg mē̃ chalē jātē haĩ . Parantu nātē kō kāṭtē nahī̃ haĩ . Vah tō phir bhī vikāriyō̃ kē pās janma lētē rahtē haĩ .

Parantu ab tō ham bāp dvārā karmō key|kī gati kō jāntē haĩ . Hamkō double kām karnā hai . Bhaviṣhya kā bhī aisā khātā banānā hai jō pichhlē karma kā kuchh rahē nahī̃ . Ēk taraph banānā bhī hai aur phir pichhlē banē huē kō bhī sāph bhī karnā hai . Hamārī prālabdh isīliē ūñchī hai . Isliē is puruṣhārth mē̃ samay lagtā hai . Parantu sarv samarth bāp milā hai tō sab sahaj kar dētā hai . Bāp kahtē haĩ ki mērī yād mē̃ rahō . Yād sē bhī bal miltā hai , pavitratā sē bhī bal miltā hai . Phir jō kuchh miltā hai vah dān bhī karnā hai . Tō dān sē bhī bal miltā hai . Is prakār bal kō jamā karnā hai . Aur phir jitnā ham practical mē̃ in sab bātō̃ kō lāyēṅgē tō yah huī unkī śhukriyā . Bākī mahimā key|kī tō kōī bāt nahī̃ hai . Mahimā bhī karttavya kē ūpar hai . Usnē aisā ūñchā part bajāyā hai . Vah apnā karttavya kartē huē bāp , bāp hai . Aisē nahī̃ ki ham bhī vah karttavya kartē haĩ tō ham bhī bāp hō gayē . Nahī̃ . Bhal apnē karma sē ham ūñchē bantē haĩ . Bākī manuṣhya tō in bātō̃ mē̃ mūñjhē haĩ . Unkē guṇ aur karttavya kō hī milā diyā hai . Aisē nahī̃ ki vah kab bigaṛtā hai aur phir bantā hai . Lēkin ham hī bigaṛtē aur bantē haĩ . Vah tō sadā banā huā hai . Unkē bigaṛnē key|kī kyā bāt hai  ? Ab in bātō̃ mē̃ mūñjhnā nahī̃ hai .

Māyā K|kē kabhī vighna ātē haĩ - yah bhī pichhlā khātā hai . Usē yā tō chuktū karnā hai yā tō sahaj jñān-bal sē kāṭnā hai . Iskē liē tō ham puruṣhārth kar rahē haĩ . Jab tak yah śharīr hai , is śharīr kā hōnā mānā hisāb-kitāb hai .

Phir yah śharīr nahī̃ rahēgā . Ham karma key|kī gati kō bahut vistār sē jāntē haĩ ki kis karma sē akarma aur vikarma bantā hai . Yah hamārā daivī brāhmaṇpan kā sambandh hai . Vah hamārā pichhlē khātē kā sambandh hai . Brāhmaṇō̃ kā mahatva bhī karma kē ūpar hai ki aisē karma karnē haĩ aur aisī dhārṇā rakhnē sē puruṣhārth achchhā hōtā hai .

Yah bhī khyāl rakhnā hai ki vahī dharmarāj hai jiskē pās|pass sārē hisāb-kitāb kā khātā hai . Achchhē karma karākar ūñchī prālabdh banānā unkā kām hai . Achchhē kā achchhā phal dēnē vālā – chāhē alpkāl kē liē , chāhē sadākāl kē liē – dēnē vālā vah hō gayā . Vah chaitanya rup mē̃ ab upasthit hai . Abhī pichhlā khātā minus aur bhaviṣhya kā khātā plus hō saktā hai . Ab kuchh riyāyat hō saktī hai . Lēkin bāp key|kī haisiyat mē̃ bhī tō sapūt bankar apnā pharja pālan karnā hai . Ab ham jō bhī man-vachan-karma sē kadam uṭhā rahē haĩ , tō ham jāntē haĩ is karma sē kyā hōgā aur ussē kyā hōgā  ? Vistār sahit bāp nē hisāb-kitāb batāyā hai . ५ vikār bhī kyā hai  ? Pahlā-pahlā vikār hai dēh-abhimān . Vahī sarv śhatruō̃ kā head hai . Isliē kahtē haĩ dēhī-abhimānī hōnē sē aur śhatru nahī̃ āyēṅgē . Dēhī-abhimānī mē̃ vikār haĩ nahī̃ . Phir smr̥iti rahēgī ki ham unkī santān haĩ , tō vikār nahī̃ āyēṅgē . Śhuddha ahaṅkār rahēgā . Manuṣhya tō sirph kahtē haĩ - jaisā karma vaisā phal . Lēkin kartē nahī̃ haĩ . Ab śharīr kō kuchh hōtā hai tō ham jāntē haĩ ki yah dēh-abhimān-vaś hai . Tō ham phir body-conscious mē̃ ākar aisē na karē̃ .

Hamārī buddhi mē̃ hai ki yah drama hai . Bhalē gālī dētē haĩ lēkin unkā bhī yah gālī dēnē kā part hai . Hamkō phir unhē̃ sahī rāstē par lānē kā puruṣhārth karnā hai . Kōī upadrav ātā hai tō bhī ham jāntē haĩ ki yah upadrav ānā hī hai . Ismē̃ ' hāy-hāy  ! ' mē̃ āvē̃ , duḥkh mē̃ āvē̃ - tō vikarma hō jāyēgā . Isliē ham sadā khuśh aur sadā harṣhit rahtē haĩ . Tō aisī dhārṇā kō buddhi mē̃ rakhnā hai . Yah hai karma key|kī gati kā gyān . Ēk bāt kō uṭhānē sē sab bātē̃ ā jātī haĩ . Kisī vyakti mē̃ mōh hai tō vah bhī pichhlē karmbandhan kā khātā hō gayā . Bāp dvārā karmō̃ kī gati kō jān kar abhī sambhaltē rahnā hai . Achchhā .