मम्मा की मुरली - gyan-sitar-39

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२८ . ९ . ६२

Gyān key|kī rōśhnī milī hai tō din-rāt avasthā kā meter chaṛhtā rahē

Kahā jātā hai - hath kār|car ḍē|day , dil yār ḍē|day . Paramātmā kō yār bhī kahtē haĩ , yār athavā khudā-dōsta . Is par ēk kahānī hai ki khudā-dōsta pul par baiṭhā thā . Jō unkē pās|pass pahlē āēgā unkō bādśhāhī dēgā . Pul hōtī hai ēk taraf sē dūsrē taraf cross karnē key|kī . Tō ham bhī saṅgam par khaṛē haĩ . Purānī duniyā sē pār hō nayī duniyā mē̃ jāēṅgē . Ab chakra lagāē pūrā kiyā hai . Ab ham sabkā , balki sārī duniyā kā yah antim janm hai . Hamē̃ yahā̃ sē connection karnā hai naī duniyā mē̃ . Ab naī duniyā kā kalam lagtā hai . Jahā̃ kalam lagtā hai vahā̃ phir pralay key|kī bāt nahī̃ . Yah manuṣhya sr̥iṣhṭi-vr̥ikṣha kā kalam lagnē vālā hai jiskā foundation paramātmā ākar lagātē haĩ . Baṛē-baṛē manuṣhyō̃ sē kōī jagah ādi kā foundation ḍalvātē haĩ . Lēkin paramātmā tō ākar naī duniyā kā foundation lagātē haĩ aur ham practical mē̃ us part mē̃ chal rahē haĩ .

Ham jāntē haĩ ki arjun K|kē rath mē̃ bhagvān savārī kar āyā hai is yuddha K|kē maidān par aur yuddha karnē kā tarīkā sikhlā rahē haĩ . Dharm sthāpan karnē key|kī bāt mē̃ pavitra bannē aur vikārō̃ kō kāṭnē key|kī bāt hai . Kitnē manuṣhya tō svarg K|kē sukh kō bhī cum|kam samajhtē haĩ . Samajhtē haĩ - " vah sukh bhōg kar bhī tō nīchē utarnā hai . Isliē aisā puruṣhārth karē̃ hī kyō̃  ? " lēkin hamārī tō chaṛhtī kalā hai . Ab tō sukh K|kē din dēkhnē haĩ . Jab nayā makān banāyā jātā hai tō purānā hōnē kē liē thōṛēhī sōchā jātā hai . Khuśhī tō hōtī hai nā ki ham nayā makān banāyēṅgē , usmē̃ bachchē hōṅgē , phir pōtrē hōṅgē , ādi-ādi  ! Lēkin aisā thōṛē hī sōchtē haĩ ki yah makān tō phir khatm hōnā hai . Phir yah sab khyāl kyō̃ karē̃  ? Is alpkāl K|kē sukh kō samajhtē bhī haĩ ki jō chīz āj hai vah kal nahī̃ rahēgī . Lēkin phir bhī unkē liē sōch nahī̃ kartē haĩ . Yah bāt aur hī lambī hai . Yah tō janma-janmāntar key|kī prāpti hai . Ismē̃ tō guarantee hai aur svayã dēnē vālā bhī aisā hai jō kabhī dhōkhā bhī nahī̃ dēgā . Is sukh key|kī taste hī nirālī hai .

Kaī phir kahtē haĩ – «  ātmā kō us paramātmā mē̃ līn hōnā hai . Bas , ānand usmē̃ hai .  » lēkin ham tō jāntē haĩ ki ātmā kab paramātmā mē̃ līn hō nahī̃ saktī . Līn hō jānē kā bhī agar kisnē anubhav pāyā hō tō vah chihna milnā chāhiē . Vah vahā̃ sē ākar batāvē ki aisā hamnē sukh pāyā hai . Lēkin līn hī hō gayā tō phir batāvē kaun  ? Dēvtāō̃ K|kē tō chihna miltē haĩ . Unhō̃ K|kē yādgār haĩ , history hai . Sabkō duḥkh K|kē bandhan sē chhuṛānā , purified dhām mē̃ lē jānā - yah paramātmā kā kām hai . Buddha , Christ ādi sabkī ātmāyē̃ is samay bandhan mē̃ haĩ . Sabkā mukti-jīvanmukti dātā vah hai .

Ab ham sabkī mat ēk hai . Husain ēk hai . Usmē̃ hī buddhi jātī hai . Vahā̃ tō satsaṅg mē̃ jāō tō kiskī buddhi kismē̃ , tō kiskī buddhi kismē̃ hōgī . Khud guru bhī chhuṭṭī dēgē ki kiskō bhī yād karō . Lēkin ham tō ' jō hai , jaisā hai , ' - usī taraf buddhi kō sthit rakhtē haĩ . Hamārē is saṅgaṭhan mē̃ bahut tākat hai . Bhal duniyā mē̃ bahutō̃ key|kī mahimā hōtī hai lēkin unkī mahimā vikārī manuṣhya hī kartē haĩ . Aur ham jab baikuṇṭh mē̃ haĩ tō svayã mahimā sampann haĩ hī . Sādhū-sanyāsiyō̃ key|kī vikārī manuṣhya mahimā kartē haĩ . Phir vah jinhō̃ sē mahimā pātē haĩ unkē pās|pass hī janma lētē haĩ . Āp tō kōī vikāriyō̃ sē mahimā nahī̃ pātē , na vikāriyō̃ sē sambandh hī rakhtē . Hamārī bāt hī alag hai . Ham tō vikārī kō nirvikārī banāē lē chal rahē haĩ . Tō hamkō kitnā phakhur hōnā chāhiē  ! Ismē̃ aśhuddh naśhā yā ahaṅkār key|kī bāt nahī̃ . Aśhuddh naśhā bhī kyō̃ hō  ? Aśhuddh vālō̃ sē jab mahimā miltī hai tō aśhuddha ahaṅkār baiṭh jātā hai . Lēkin hamārī tō kisī sē bhēṇṭ hī nahī̃ hai . Vahā̃ tō hai hī śhuddha prajā aur sambandh hī bāp-bēṭē kā rahtā hai . Tō bāp-bēṭē mē̃ thōṛēhī ahaṅkār rahēgā . Ghar mē̃ bhī bāp-bachchē hōtē haĩ , sab bāp tō nahī̃ hōtē . Vahā̃ bhī rājā-prajā hōtē haĩ . Parantu prajā kō bhī sab prāpti rahtī hai . Tō hamkō prālabdh vahā̃ lēnā hai .

Is gyān kō bhī jaisā hai vaisā hī samajhnā hai . Bāp nē har ēk chīj key|kī rōśhnī dī hai . Tō ismē̃ rāt-din avasthā kā meter chaṛhā rahnā chāhiē . Ham kaun haĩ , kiskī santān haĩ  ! Vō naśhā rahnā chāhiē . Kahtē haĩ nā – khuśhī jaisī khurāk nahī̃ . Hamē̃ ab maut kā bhī ḍar nahī̃ . Sadaiv harṣhit rahnā hai . Harṣhit-chit hōṅgē tō harṣhit-mukh bhī rahē̃gē . Abhī ham haĩ bēphikr bādśhāh . Sachchī khuśhī tō ab hai . Vahā̃ tō prālabdh mē̃ hōṅgē . Achchhā .