मम्मा की मुरली - gyan-sitar-48

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२० . ७ . ६३

Kalyāṇkārī bāp key|kī mat bhī kalyāṇkārī hai , usmē̃ akalyāṇ hō nahī̃ saktā

Ōm śhānti . Ham jō suntē athavā sunātē haĩ - yah kōī apnī manuṣhya-mat vā śhāstra-mat nahī̃ hai . Śhāstra-mat bhī manuṣhya-mat hī hai . Paramātmā K|kē direct versions kā tō kōī śhāstra rahā hī nahī̃ hai . Śhāstra haĩ hī manuṣhyō̃ K|kē . Bhal bhagvān nē jō versions uchchārē uskā nām gītā rakhā hai . Parantu vah bhī gītā manuṣhyō̃ kī hō gaī . Paramātmā tō abhī khud original versions sunākar vah kartavya karkē svarg banā rahē haĩ . Paramātmā nē kōī śhāstra nahī̃ banāyē haĩ . Śhāstra kōī paramparā sē nahī̃ chalē haĩ . Paramātmā kā kōī śhāstra hai hī nahī̃ . Gītā bhī paramātmā key|kī nahī̃ hai . Paramātmā nē tō gyān sē svarg banāyā . Vahā̃ śhāstrō̃ key|kī darkār nahī̃ rahtī hai . Bākī ham jō suntē haĩ , yah hai parampitā paramātmā key|kī śhrīmat . Pahlē-pahlē tō yah niśhchay chāhiē . Ismē̃ tō kōī manuṣhya-mat hai hī nahī̃ . Tō phir vah jō sunāyē , jaisē karāyē – usmē̃ sanśhay key|kī bāt nahī̃ hō saktī .

Pahlē yah niśhchay hōnā chāhiē ki ham kiskē dvārā suntē haĩ  ? Pahlā foundation yah hai . Sunānē vālā vah samarth hai . Unkē sunānē mē̃ kōī sanśhay hō nahī̃ saktā . Mā̃-bāp bachchō̃ kō yuktiyō̃ sē bhal uṭhā saktē haĩ . Bākī ulṭī-sulṭī bātē̃ thōṛēhī karē̃gē jissē hamārā akalyāṇ hō jāyē . Bāp tō hai hī kalyāṇkārī . Laukik rīti bhī apnē karmō̃ K|kē hisāb sē kahā̃ akalyāṇ hō bhī jāē , parantu bāp bachchō̃ kā kab akalyāṇ nahī̃ chāhēgā . Phir yah tō hai hī kalyāṇkārī bāp . Hamārī karmō̃ kī gati kō sāph karnē vālā hai . Apnē kō yah samajh hai – hamkō sunānē vālā vah samarth hai . Isliē kisī bāt mē̃ ham apnī mat chalā nahī̃ saktē haĩ . Parantu yah tab hō saktā hai jab niśhchay hō ki hamē̃ sunānē vālā kaun hai  ? Bahutkāl sē manuṣhya-mat key|kī bātē̃ buddhi mē̃ baiṭhī huī haĩ . Isliē kaī sanśhay uṭhātē haĩ .

Ab hamē̃ jabki ' buddhivānō̃ key|kī buddhi ' milā hai tō usmē̃ ham kōī sanśhay uṭhā nahī̃ saktē haĩ .

Usnē tō jō sunāyā , jō kartavya kiyā – phir unkē kartavya key|kī prālabdh chalī . Bād mē̃ manuṣhya mat chalī hai . Dēvtāō̃ kō tō kiskē mat key|kī āvaśhyaktā hī nahī̃ rahī . Us samay kō kahā jātā hai satyug key|kī ādi .

Ab in bātō̃ key|kī rōśhnī paramātmā nē dī hai . Manuṣhya tō yah samajh nahī̃ saktē . Isliē āpas mē̃ ṭakkar khātē haĩ kyōṅki anēkānēk dharm haĩ . Kōī kis chīj kō māntē haĩ , kōī nahī̃ māntē haĩ .

Hai hī khaṇḍan key|kī huī duniyā . Anēkānēk mat haĩ . Ēk bāt par ēk mat hō , tō bhī samajhē̃ ki yah paramparā chalī āī hai . Abhī tō haĩ anēk mat . Ab vah ēk bāp hī sabhī manuṣhyō̃ key|kī gati kō jāntē haĩ . Vahī bāp , teacher , satguru hai . Gati-sadgati-dātā bhī vahī hai . Vah apnā kārya kar rahē haĩ . Yah bāt niśhchay mē̃ ā jāē phir kōī halchal nahī̃ hō saktī hai . Paramātmā hī jānī-jānanahār hai .

Yathārth bātē̃ unsē hī mil saktī haĩ . Jab vah bātē̃ anubhav mē̃ ātī haĩ tab practical jīvan bantī hai .

Paramparā sē jō suntē āyē unsē kyā banē  ? Siddhi tō kuchh prāpt huī nahī̃ . Abhī ham yathārth bātē̃ sun rahē haĩ jō hamārē jīvan kē liē haĩ . Jīvan banānā tō achchhā hai nā . Anubhav mē̃ jō chīj ātī hai vah chhip nahī̃ saktī hai . Jab jīvan sudhartī hai , tō phir kyō̃ na apnī jīvan banāyē̃  ? Paramātmā śhrēṣhṭh mat dēkar

Sudhār rahē haĩ tō unkī mānnī chāhiē nā . Achchhā .