मम्मा की मुरली - gyan-sitar-55
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
२० . १० . ६३
Aśharīrīpan key|kī dress pahan ijjat sē ghar jānā hai , phir ijjat sē ānā hai
Yah sr̥iṣhṭi chakra kuchh niyamō̃ sē hī chalnē vālā hai . Jaisē din-rāt , garmī-sardī bhī sabhī apnē samay par chaltī hai , vaisē yah sr̥iṣhṭi drama bhī kāydē sē chal rahā hai . Ab hai rāt K|kē ant aur din K|kē ārambh kā saṅgamyug . Yah hai - parivartan kā samay . Manuṣhya saṅkhyā key|kī vr̥iddhi bhī dikhātī hai ki ab ant hai . Last janm hai . Yānī is janm mē̃ naī kalam lagānē kā kārya kar saktē haĩ . Bāp bhī phir aisē samay par ātē haĩ . Tō samay anusār sab kām karnā chāhiē . Duniyā badaltī hai tō apnē kō bhī badalnā chāhiē . Nayē sē purānā āhistē-āhistē hōtā hai , ab phir nayā bannā hai . Nayā khātā chāhiē pavitratā kā , tō purānā pāpō̃ kā khātā badalnā hai . Yē hai sab buddhibal sē . Tō bāp kahtē haĩ mujhē aur śhāntidhām kō yād karō jahā̃ tumkō jānā hai . Jaisē actor act kar phir ghar K|kē kapṛē pahan vāpas jātē haĩ . Ab hamārē ghar key|kī dress hai - aśharīrī . Dēh kā sambandh yahā̃ milā . Ab aśharīrī hōkar chalnā hai . Phir jab naī duniyā mē̃ āyēṅgē tō is bal sē āyēṅgē jismē̃ sadā kāl kā sukh hōgā . Ab sirph khyāl rakhnā hai vāpas jānē kā . Tō ab purānē khātē kō yōgbal sē dagdha karnā hai . Nahī̃ tō jānē mē̃ dikkat paṛēgī . Ham jāyēṅgē bhī ijjat sē , tō āyēṅgē bhī ijjat sē . Tō ab śhrēṣhṭh karmō̃ kā bīj ḍālnā hai . Sab bātō̃ kā alag-alag samay hai . Jaisē khēt mē̃ bhī bīj ḍālnē kā , uskī sambhāl karnē kā , phir phal prāpt karnē kā sabkā samay alag-alag hai . Abhī kā yah janm durlabh hai . Abhī hī naī kalam lagānī hai . Bākī sajā khākar insult sē jāyēṅgē , tō āyēṅgē bhī insult sē . Yah gyān-yōg maśhhūr hai . Iskā phal hai १६ kalā sampann bannā . Tō is janm kō aur samay kō bahut sambhālnā hai . Phir tō bīj bōnē kā samay nahī̃ hai . Yah ēk janm kā puruṣhārth hai , phir anēk janmō̃ key|kī prālabdh hai . Achchhā .