मंगलवार 1 अक्टूबर 1963 की साकार मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

` 01-10-1963 bambaī prātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , good mōrniṅg , ham bambaī sē bōl rahē̃ haĩ . Āj maṅgalavār hai son|san 1963 akṭūbar key|kī pahlī tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .

Record  :

Bachpan K|kē din bhulā na dēnā …

Ōmaśāti . Yē jō bāp K|kē bachchē haĩ , aisē kahē̃gē na bachchē aur bāp kahē̃gē tum jō mērē bachchē hō . Bachchō̃ nē apnē bāp kō apnē bāp dvārā jānā hai . Yah tō bachchē jāntē haĩ ki is sārī sr̥iṣhṭi mē̃ tum brāhmaṇō̃ K|kē sivāy aisā ēk bhī manuṣhya nahī̃ hai , sō bhī nambaravār puruṣhārth anusār , jō apnē pārlaukik parampriya parampitā param-ātmā kō jāntā hō . Ēk bhī nahī̃ , bhalē kitnā bhī kōī vidvān , āchārya yā paṇḍit hō . Phir bhī bāp samjhātē haĩ . Bābā yah saṅgamyug key|kī bāt nahī̃ kahtē haĩ . Yē satyug ādi mē̃ hai dēvī-dēvtā dharm . Usmē̃ śhrī lakṣhmī nārāyaṇ kā rājya bābā vahā̃ sē lē karkē kahtē haĩ , jō pūjya haĩ ' kyōṅki aisē tō jab kiskō mālūm paṛē haivin jiskō kahā jātā hai usmē̃ kaun rājya kartē haĩ tō phir apan kō unkā samajhē̃ . Bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ ki satyug K|kē ādi sē , śhrī lakṣhmī nārāyaṇ sē lē karkē kaliyug K|kē ant tak iskō apan saṅgamyug kahtē haĩ . Vō kalahayug kahtē haĩ . Kaun  ? Is samay mē̃ jō bhī duniyā K|kē manuṣhya mātra haĩ . Vō samajhtē haĩ ki kalahayug tō abhī bachchā hai aur 40000 varṣh chalnē vālā hai . Sirph tum brāhmaṇ jāntē hō ki abhī kalahayug pūrā hō gayā hai , yē saṅgamyug hai . Kalahayug key|kī āyu pūrī hō gaī , yah saṅgamyug hai  ; kyōṅki bāp kahtē haĩ ki maĩ ātā hū̃ kalp K|kē saṅgamyug par . Tō saṅgamyug śhurū hō gayā nā , jiskō dharmāū yug kahā jātā hai . Agrējī mē̃ ôspiśas yug kahē̃ , vō tum jāntē hō aur duniyā bhar mē̃ kōī bhī manuṣhya nahī̃ jāntē haĩ . Bāp baiṭh karkē sabkō bōltē haĩ ki vichār karō , samjhō . Hai kōī jō apnē bēhad K|kē bāp kō jāntā hō  ? Kyōṅki vō hai rachtā . Agar kōī bhī apnē bāp kō jāntā hō tō jarūr unkī rachnā kō , sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant key|kī history aur jāgrāphī kō sab jāntā hō  ; kyōṅki vō hai rachtā . Rachtā tō jarūr , jaisē ab apnē bachchō̃ kō rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā knowledge sunāy rahē haĩ na . Agar kōī jāntā hō tō batātē āvē , parantu kōī śhāstra mē̃ , kōī vēd mē̃ , kōī granth mē̃ , na ki gītā mē̃ sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant key|kī knowledge hai , kyōṅki gītā mē̃ bhī unhōnnē mixture lagāy diyā hai . Gītā mē̃ likh diyā hai kalp key|kī āyu phalānā . Yah kahā̃ sē lāyā  ? Yah bhāgavat aur gītā sē lāyā hōgā , aur kahā̃ sē lāyā hōgā  ! Na kōī śhāstra mē̃ , gītā mē̃ bhī nahī̃ bōltē haĩ . Gītā mē̃ agar likhā huā hōtā , tō gītā tō paṛhtē haĩ  ; paratu gītā mē̃ tō kōī kō bhī mālūm nahī̃ hai ki bāp kaun hai jō kr̥iṣhṇa lagā huā hai . Bāp kaun hai kōī nahī̃ jāntē haĩ . Yānī rachtā in sr̥iṣhṭi kā , kaun hai vō bhī nahī̃ jāntē haĩ . Agar jāntā hō tō vō note rakhō ismē̃ bhī tō jātā hai na sabkē pās|pass . Ēk bhī nahī̃ jāntē , yē jitnē bhī vidvān āchārya paṇḍit apnē kō śhrī-śhrī kahlānē vālē agar jāntē hō̃ tō jarūr unkō us rachtā dvārā brahmāṇḍ , jismē̃ bāp param-ātmā bhī rahtē haĩ aur ham sab ātmāē̃ rahtī haĩ kyōṅki is samay mē̃ kitnī ātmāē̃ hōṅgī yah mālūm hai  ? Kōī 400 krōṛ hōṅgī sō 500 krōṛ bhī śhāyad hō jāēṅgī , jab talak vināśh hō . Abhī yah tō kōī nahī̃ jāntē haĩ , jō 500 krōṛ ātmāē̃ haĩ sō satyug mē̃ tō nahī̃ hōṅgī . Satyug mē̃ hōṅgī  ? Hō hī nahī̃ saktī haĩ . Vahā̃ tō bahut thōṛī hōnī chāhiē . Achchhā , jarūr inkā rahnē kā sthān bhī tō kahī̃ hōgā , jahô paramātmā kā nivās sthān hōgā . Tō paramātmā likhō . Paramātmā , tō hō jāēgā ' paramātmā . Hai param-ātmā , jaisē tumhārī ātmā , bāp key|kī , vaisī unkī . Vō chīj tō kōī baḍī-chōṭī hōtī nahī̃ hai nā . Aisē mat samajhnā ki paramātmā jiskō kahā jātā hai , jiskō supreme soul kahā jātā hai , unkī soul kōī lambī-chauṛī hōtī hai . Na , unkī kōī lambī-chauṛī soul nahī̃ hōtī hai . Unkī bhī vō hī hōtī hai , jō kahā jātā hai ki bhr̥ikuṭī K|kē bīch mē̃ chamaktā hai ajab sitārā , vō hī ātmā kā nivās sthān , jisē star kah dētē haĩ . Aisī hai . Jaisā hai bāp , vaisē hai bachchā . Jaisē unkō kahā jātā hai ' param-ātmā arthāt paramdhām mē̃ rahnē vālī arthāt brahmāṇḍ mē̃ rahnē vālī . Yahā̃ ham sab dēkhō kitnē huē  ! 400-500 krōḍ ātmāē̃ vahā̃ rahtī haĩ . Achchhā , kyā vahā̃ sārī jagah kabhī khālī hōtī hai  ? Nā . Sārī jagah sirph is samay mē̃ , jabki ant hōgā . Sab ātmāē̃ jab yahā̃ ā chukēgī kyōṅki actors sabhī yahā̃ chāhiē nā . Jō bhī nāṭak jab pūrā hōtā hai tō sabhī actors ākar stage par khaḍē rahtē haĩ . Tō ab bāp āyā huā hai aur phir sabkō lēkar tab jāēgā , jab sabhī actors ā cukēgē . Bābā nē kal bhī samjhāyā thā nā . Tab phir vināśh hōgā . Tab yē sabhī chalē jāē̃gē , bākī aisē nahī̃ ki phir sabhī chalē jāē̃gē . Kuchh tō phir bhī rahē̃gē  ; kyōṅki pralay tō hōtī nahī̃ hai . Yahā̃ kuchh tō jarūr rahtē haĩ na  ; kyōṅki yahā̃ is khaṇḍ mē̃ manuṣhya phir chāhiē nā . Bākī thōṛē jākar rahtē haĩ . Unmē̃ kōī rāvaṇ key|kī sampradāy , tō kōī rām key|kī sampradāy . Kōī mlēchchh bhī rahtē haĩ , kōī svachchha bhī rahtē haĩ . Pīchhē ant mē̃ bākī jō mlēchchh rahtē hai , vō abhī khatm hō jānā hai . Bīch mē̃ yah time lagā huā rahtā hai . Jab pīchhē sab khatm hō jātē haĩ , phir unkō kahē̃gē ' satyug aur jab talak na gayā , unkō kahē̃gē ' saṅgamyug . Dōnō̃ haĩ . vō bhī hai , vō bhī hai . Dōnō̃ kā saṅgam hai nā  ! Jō vicār-sāgar-manthan karnē vālā hōgā , vō in sab bātō̃ kō āpē hī buddhi sē achchhī tarah sē nikāl saktē haĩ ki barōbar aisā hōgā nā . Tō dēkhō , pahlī-pahlī bāt abhī parampitā , jinkō param-ātmā , kahtē haĩ . Abhī unkē liē hai tō jarūr reincarnation yā avataraṇ aur vō tō jarūr patit-pāvan hai , bāp hai . Sō āēgā hī , unkā part hai hī svarg K|kē rachnē kā , nahī̃ tō unkō ānā hī nahī̃ hai . Bāp kahtē haĩ - bachchē , maĩ yahā̃ kabhī bhī nahī̃ ātā hū̃  ; kyōṅki mujhē saṅkalp hī tab ānā hai drama anusār jabki mujhē patitō̃ kō pāvan kar svarg key|kī sthāpanā karnī hai . Mujhē tab talak āēgā nahī̃ , kyōṅki bhaktimārg kā bhī drama mē̃ pūrā time mukarrar hai . Jab ādhā kalp pūrā bhaktimārg chal karkē ant hōgā , tab phir maĩ sabhī bhaktō̃ kō bhakti kā phal dētā hū̃  ; parantu bāp kahtē haĩ ki nahī̃ , yah tō jarūr bhaktimārg . Jab yah gyānmārg jindābād hōgā tō bhaktimārg murdābād hōnē lag paṛēgā . Abhī jaisē ki dēkhō , tum gyān mē̃ ātī hō tō tumhārē liē bhakti murdābād hō gaī , mar gaī aur tum gyān mē̃ jindē hō gaē . Aisē nahī̃ hai ki yah gyān kōī thōṛā samay chaltā hai , nahī̃ . Yah gyān pūrā ādhākalp chaltā hai . Us samay phir kōī gyān dētā nahī̃ hai . Bhakti mē̃ bhakti sīkhtē jātē haĩ . Avyabhichārī sē vyabhichārī . Yahā̃ gyān prāpt kiyā , 16 kalā sampūrṇ banā . Phir satyug sē lē karkē kalāē̃ thōṛī - , thōṛī kamtī hōtī hī jānī hai  ; kyōṅki yah bēhad kā hai na  ! Yah grahaṇ lagtā hai na  ! Tō is samay mē̃ bhārat kō pūrā grahaṇ lagā huā hai . Jab yah kalahayug kā ant hōtā hai tab ēkdam pūrā grahaṇ kahā jātā hai . Phir manuṣhya kah dētē haĩ rāhū kā grahaṇ . Rāṣṭra bhī daitya kō kahā jātā hai na . Tō daitya hī rāvaṇ huā . Rāvaṇ jaisā baṛā grahaṇ aur tō kōī nahī̃ hai na . Ādhā kalp inkō yah grahaṇ lagnē mē̃ lagtā hai . Vō grahaṇ tō rāt kō 2 bajē sē dēkhō , thōḍrā-thōṛā lagtē-lagtē sārā kālā hō jātā hai  ; par yah tō bēhad kā hai . Iskī satyug sē phir kalā kamtī hōnā śhurū hō jātī hai . Samjhō abhī kitnī thōṛī kalā chaṛhtī hōgī kyōṅki sūryavanśhiyō̃ key|kī bhī tō dō kalā kamtī hōnē mē̃ sāṛhē bārah sau baras lagtā hai . Dō kalā kamtī hōnē mē̃ yānī vō bhī tō grahaṇ kahē̃gē na pīchhē . Grahaṇ yū̃ tō māyā sē lagtā hai  ; parantu jō chakkar lagtā hai , vō jō 16 kalā aur 14 kalā kā hisāb hai , tō jarūr dō kalāē̃ kamtī hōtī jāēgī  ; parantu vō bahut jū̃ K|kē muāphik . Iskā jaisē kōī asar nahī̃ rahtā hai  ; kyōṅki uskō ēkdam svarg kah dētē haĩ . Sārē satyug kō svarg kahē̃gē . Aisē nahī̃ ki phir trētā kō kōī svarg kahē̃gē . Svarg sirph kahē̃gē , jahā̃ sē lakṣhmī nārāyaṇ kā rājya śhurū hōtā hai  ; kyōṅki vō tō trētā hō gayā nā , dō kalā kamtī hō gaī . Tō yathā rājā-rānī tathā prajā , jō svarg mē̃ rahtē haĩ , unkō hī svarg kahā jātā hai  ; kyōṅki unkō daivīkul bhī kahā jātā hai , phir kṣhatriya kul kahā jātā hai . Dō kalā kamtī hō gaī nā  ! Parantu phir bhī hamkō svarg aur nark kā dō hissā tō karnā paṛē nā . Isliē satyug aur trētā , phir dvāpar aur kalahayug . Is sr̥iṣhṭi kō pūrā aisē half and half karē̃gē nā . Dēkhō , bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ ki paramātmā kā arth|earth kyā hai . Param ātmā mānā paramātmā . Sabhī bhakta us param-ātmā , jiskō paramātmā kahtē haĩ , unkō pukārtē rahtē haĩ . Yah drama mē̃ bhaktimārg vālō̃ kā part nūndhā huā hai  ; kyōṅki jō part hai , usmē̃ yah jō lucky star hai , jiskō ātmā kahā jātā hai , unmē̃ bāp baiṭhkar samjhātē hai ki mērī jō ātmā hai , jiskō tum param-ātmā kahtē hō , unmē̃ bhī part nūndhā huā hai . Maĩ part bigar kabhī kuchh nahī̃ kar saktā hū̃ . Kōī apnē dēvī-dēvatāō̃ , mitr aur sambandhiyō̃ kō bulātē haĩ , kōī pitarō̃ kō bulātē haĩ , bōlē̃gē - vō bhī part nūndhā huā hai , tab hōtā hai . Jō-jō chīj hōtī hai , vō drama mē̃ nūndh hai . Kōī navāī nahī̃ hai . Kōī wonder key|kī bāt nahī̃ hai , kyōṅki wonder pahlē sē nūndhā huā hai - yah kyā hōtā hai , kaisē hōtā hai  ! , phalānē kō bulāy diyā sūkṣhmavatan mē̃ . Sēkaṇḍ-sēkaṇḍ ṭik-ṭik tō chaltī hai nā . Vō hūbahū nūndh hai . Arē , kōī navāī nahī̃ hai . Arē , jō gyānī tū ātmā hai na , vō kōī navāī nahī̃ dēkhtē haĩ . Bōltē haĩ - jō bhī kadam-kadam , second by second chaltā hai , vō drama key|kī nūndh hai . Kahtē haĩ nā - pattā patā bhī īśhvar K|kē hukum sē chaltā hai . Tab kahtē haĩ ki pattē-pattē mē̃ īśhvar hai . Abhī yē tō mūrkhtā huī nā ki pattē-pattē mē̃ īśhvar hōgā  ! Nahī̃ , bāp bōltē hai is samay mē̃ havā lagī , yah second pās|pass huā , vō drama anusār havā lagī , pās|pass huā , isī samay phir vō hī samay āēgā jō havā lagēgī , vō pattā hilēgā . Tō drama K|kē ādhār par huā nā . Jō bāp nē baiṭh karkē samjhāyā hai , samjhāyā tō bilkul ṭhīk hai  ; parantu ṭhīk samjhātē hai , jabki un lōgō̃ nē śhāstrō̃ kō bēṭhīk banāy diyā hai ki pattē-pattē mē̃ bhagvān hai . Abhī pattē-pattē mē̃ thōṛē hī bhagvān key|kī kōī bāt rahtī hai . Manuṣhya K|kē śharīr mē̃ hī bhagvān nahī̃ hai , ātmā hai . Bākī bhagvān param ātmā paramātmā nahī̃ hai . Bākī ātmāē̃ haĩ . Ātmāē̃ jaisī tum bachchō̃ key|kī vaisī unkī , parantu nahī̃ , unkī mahimā hai . Vō jō param ātmā mānā paramātmā hai , unkī mahimā alag hai . Phir unsē jō bhī cum|kam sab ātmāē̃ haĩ , un sabkī mahimā alag hai . Sabkā part alag bajtā hai . Brahmā kā alag , viṣhṇu kā alag , śhaṅkar . kā alag - yē sabhī huē bhinn-bhinn actors . Aisē nahī̃ ki nāṭak banānē vālē sabhī apnā rūp dhartē haĩ . Har ēk key|kī ātmā kō apnā-apnā part milā huā hai . 5000 varṣh mē̃ bhī jō bāp kahtē haĩ - maĩ jō tumhārā param-ātmā mānā paramātmā hū̃ iskā bhī tō nām jarūr chāhiē . ' śhiv . Mērē kō bhī part milā huā hai . Maĩ bhī part anusār yē service bajātā rahtā hū̃ vō baiṭh karkē samjhātē haĩ . Tumkō yah sīkhnā hai , kyōṅki sivāy tumhārē kōī bhī manuṣhya is samay mē̃ nahī̃ hai , jō rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō jāntē hai . Isliē tumkō abhī kahē̃gē master knowledge , abhī full nahī̃ banē hō . Vō bābā hai knowledgeful . Vō sab kuchh achchhī tarah sē jāntā hai , jō baiṭh karkē samjhātā hai aur jō bāp kahtē haĩ mērē mē̃ knowledge hai , jō mujhē kahtē haĩ knowledgeful sō maĩ jō bhī knowledge jaisē tumkō dētā ātā hū̃ jahā̃ jiē̃gē tahā̃ maĩ dētā āū̃gā . Jab yah knowledge pūrī hō jāēgī , tum number-vār master knowledgeful ban jāē̃gē , tab yah drama pūrā hō jāēgā . Yē samajhnē key|kī bātē̃ ṭhaharī na . Ab sabkī samajh ānē key|kī buddhi apnī nirālī-nirālī . Kōī bhī bachchō̃ kō kōī bhī samjhānē mē̃ kōī taklīph hō , kōī point kō na samajhāy sakē , tō vō likh karkē bhēj bhī saktē haĩ yā ā karkē kōī bhī pahlē brāhamaṇī sē pūchhnī hai . Agar vō bhī risapāṇḍa na dē sakē tō phir bāp kē pās bhī ā saktē hai  ; kyōṅki bāp tō samjhāēgā na  ; kyōṅki sabkō samjhānā hai . Abhī brahmāṇḍ kō kōī bhī nahī̃ jāntē hai . Brahmāṇḍ kiskā nām hai , kōī bhī vidvān-ācāry-sanyāsī nahī̃ jāntē haĩ . Vō kah dētē haĩ-braham . Braham īśhvar hai . Na braham īśhvar hai , na brahmāṇḍ īśhvar hai . Aisē kahē̃gē - brahmāṇḍ kā mālik hai , jismē̃ ham aṇḍō̃ kā bāp , jiskō ham param-ātmā kahtē haĩ aur ham uskē bachchē usmē̃ nivās kartē haĩ . Braham-mahatatva mē̃ aṇḍē nivās kartē haĩ  ; isliē unkō kahā jāēgā brahmāṇḍ . Is sr̥iṣhṭi kō brahmāṇḍ nahī̃ kahā jāēgā . Dēkhō , sabhī achchhī tarah sē note karō . Is sr̥iṣhṭi kō sr̥iṣhṭi kahē̃gē , kyōṅki sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā hai . Tō usmē̃ sirph gyān hai . Yah manuṣhya chakra tō phirtā hī hai  ; paratu ātē kahā̃ sē haĩ  ? Yah jō nām gāyā huā hai ki mūlvatan sūkṣhmavatan . Mūlvatan mē̃ parampitā paramātmā , ū̃chē tē ū̃chā huā nā . Tō vō kahtē haĩ ki tum bhī tō ū̃chē tē ū̃chā rahnē vālē hō nā . Tum bhī sab vahā̃ K|kē rahnē vālē hō , jahā̃ maĩ rahtā hū̃ jō ab āyā hū̃ tumkō apnā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā knowledge dēnē . Sr̥iṣhṭi key|kī bēhad key|kī history and geography samjhānē kē liē , jō kōī śhāstra mē̃ hai nahī̃ . Jabki bāp ākar kahtē haĩ - hai nahī̃ , tab tō kōī nahī̃ jāntē haĩ nā . Yānī kahā̃ sē āvē  ? Agar ātī hō tō satyug sē ānā chāhiē  ; kyōṅki abhī kalahayug saṅgamyug pūrā hōgā tō satyug sē ānī chāhiē , parantu nahī̃ , satyug mē̃ kōī nahī̃ jāntē haĩ , vō bāp baiṭh kar samjhātē haĩ . Bilkul nahī̃ jāntē haĩ aur phir kāraṇ batātē haĩ - kyō̃ nahī̃ jāntē haĩ  ? Kyōṅki yē gyān tumkō miltā hai . Gyān kā sāgar bāp ātē haĩ tumhārī sad ‌ gati karkē tumkō rāj-bhāg dēnē . Tō tum prālabdh pāy lētē hō , varsā lē lētē hō aur vahā̃ bhōgtē hō . Phir vahā̃ tō gyān key|kī darkār hai nahī̃ . Agar phir unmē̃ gyān hōtā yā abhī ham 16 kalā hai aur kal hī kahē̃gē , dēkhō ham lōg kahtē haĩ nā - ' kal svarg āēgā , abhī nark hai , tō kal ham phir dō kalā kam hō jāē̃gē aur thōṛē janm kē bād phir ham vāmmārg mē̃ girē̃gē tō bichārē kā vō sukh ēkdam chhin jāvē . Aur phir , gyān hai sad ‌ gati kē liē . Vahā̃ tō hai hī sad ‌ gati , vahā̃ gyān key|kī tō kōī bāt hī nahī̃ hai  ; kyōṅki yahā̃ hai durgati . Tō durgati kō sad ‌ gati banānē vālā tō ēk hī hai . Sab durgati mē̃ hī haĩ . Vō bāp hī baiṭhkar samjhātē haĩ . Nahī̃ tō , jō bhī hō unsē jākar pūchhō . Vō tumkō brahmāṇḍ , sūkṣhmavatan aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant key|kī history-geography batāvē̃ . Bilkul kabhī nahī̃ , kōī aisā hai nahī̃ jō kah sakē ki hā̃  ; kyōṅki kōī vēd-granth-śāstr-upaniṣad , kōī mē̃ hai nahī̃ . Gītā mē̃ bhī nahī̃ hai . Bāp bōltē haĩ nā ki gītā mē̃ nahī̃ hai , kyōṅki maĩ kahkar jātā hū̃ ki yah gyān prāyaḥlōp hō jātā hai . Prāyaḥ kā arth|earth batātē haĩ . Dēvī-dēvatāō̃ kā chitra tō jarūr rahnā hai na . Vō rah jātē haĩ . Phir kuchh na kuchh unkā śhāstrō̃ mē̃ varṇan hōnā chāhiē nā  ; kyōṅki vō hō gayā hai , unkā kuchh tō hōnā chāhiē nā ki kaun thē  ? Jō r̥iṣhi-muni thē , inhō̃ mē̃ jiskī achchhī buddhi thī us samay mē̃ , unhōnnē baiṭh karkē kuchh na kuchh banāyā hai . Aisē nahī̃ hai ki rāmāyaṇ kōī us samay banāyā hai . Rāmāyaṇ kahnē kē liē tō vālmīki nē banāyā . Vō chōr thā . Chōrī karnē vālē sē ḍākū dvāpar mē̃ bhī nahī̃ hō saktē haĩ  ; kyōṅki dvāpar phir bhī rajō hai . Jab tamōpradhān manuṣhya hōtē hai tab ḍākū aur chōr hōtē haĩ . Tō likh dētē hai ḍākū . Tō kōī manuṣhya nē baiṭh karkē yē sab gapōṛē usmē̃ lagāē hai , jaisē bābā nē kal samjhāyā nā . Yah jaisē baiṭh karkē ēk novel banāy diyā hai . Inkō nônasēnsa novel kahā jāēgā aur yahā̃ tō dēkhō rāmāyaṇ key|kī kitnī mahimā hai . Bāt mat pūchhō . Rāmāyaṇ bahut sunē̃gē . Jab daśhaharā ātā hai tō sab jagah mē̃ rāmāyaṇ hī rāmāyaṇ sunē̃gē aur rōēṅgē - bas , sītā chalī gaī . Bichārē bahut rōtē haĩ . Nāṭak hōtā hai tō bahut rōtē haĩ . Jab hariścandra kā khēl hōtā hai , usmē̃ uskā bachchā jā karkē martā hai tō bahut rōtē haĩ . Haĩ sab dant-kathā aur kuchh nahī̃ hai . Kab yē hōē̃gī  ? Aisī kōī bāt hī nahī̃ hai . Yah śhāstra key|kī bāt hai nahī̃ , yē sab baiṭh karkē novels banāyā hai , ḍhēr K|kē ḍhēr banāē haĩ . Jabki bāp kahtē haĩ ki jiskō bhagavat gītā kahā jātā hai , insē ū̃chā tō kōī śhāstra hai nahī̃ nā . Sarv śhāstramaī śhirōmaṇi bhagavat gītā , yah hō gaī sabsē baṛī-baṛī . Achchhā , bāp khud kahtē haĩ ki is gītā mē̃ bhī jō manuṣhyō̃ nē baiṭh karkē banāī hai , unmē̃ maĩ baiṭh karkē jō knowledge dētā hū̃ vō hai hī nahī̃ , kyōṅki unhōnnē pahlē hī ēkdam jhūṭh likh diyā hai ki kr̥iṣhṇa bhagvānuvāch aur sō bhī bachchā aur bachchī , parantu jab vō baṛē hōtē haĩ , śhādī karkē lakṣhmī nārāyaṇ bantē haĩ , unmē̃ bhī yah gyān nahī̃ hai . Tō phir yah gītā kahā̃ sē I|āī|eye  ? Tō bāp bōltē haĩ agar kōī mē̃ rachtā-rachnā kā gyān hōtā tō mālik hō jātē  ; kyōṅki rachtā aur rachnā K|kē gyān sē tum mālik bantē hō . Isliē tum achchhī tarah sē ḍhiṇḍhōrā pīṭō śhaṅkh dhvani karō . Is sr̥iṣhṭi bhar mē̃ ēk bhī manuṣhya nahī̃ jō rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant K|kē history aur jōgrāphī kō jāntā hō . Tumkō ā karkē bāp samjhātē haĩ . Unmē̃ bhī sab kōī aisē thōṛē hī baiṭh karkē samjhātī haĩ , jaisē bāp baiṭh karkē samjhātē haĩ yā dādā yā mama yā ananya . Nambaravār haĩ nā phir bhī  ! Tō follow tō karnā chāhiē na , inmē̃ hōśhiyār tō bannā chāhiē na . Bāp rōj ā karkē samjhātē haĩ , phir dēkhō kabhī kōī ātē haĩ , kabhī kōī nahī̃ ātē haĩ , kōī nōṭ ‌ C lētē haĩ , kōī nahī̃ lētē haĩ . Yē tō phir aisī chīj hai nā dūsrē kō samjhānē key|kī . Jab is ādi-madhy-ant key|kī history-geography samajh jāē̃gē tō chakravartī rājā banē̃gē . Tō yah jaisē ki ham bāp sē yē avināśhī gyān-ratnō̃ kā dān lē , phir dān kartē haĩ . Iskō kahā jātā hai avināśhī gyān ratna kā mahādānī , philēnthrōphisṭa . Is gyān kā philēnthrōphisṭa . Iskō spricual knowledge bhī kahtē hai , ēk bhī nahī̃ hai . Aisē kōī mat samajhē ki sādhu-sant-sanyāsī kōī gyān-ratnō̃ kā dān dētē haĩ . Nahī̃ , vō pattharō̃ kā dān dētē haĩ , aur hī patthar mārtē haĩ , lāt mārtē haĩ . Iskō satsaṅg nahī̃ kahā jātā hai , latasaṅg kahā jātā hai . Kyō̃  ? Vahā̃ jānē sē hī parampitā paramātmā sē bēmukh karnā śhurū hō jātā hai . Pahlē hī pahlē sē śhurū hō jātē haĩ . Sirph yahī kahnā ki īśhvar sarvavyāpī , pattē-pattē mē̃ haĩ . Abhī dēkhō , pattē-pattē kahā̃ kā kahā̃ sē nikalā  ! Drama hai nā . Bābā kahtē haĩ - yah gayā nā . Yah second huā nā . Yah bāt phir 5000 varṣh kē bād phir yē aisā chalē̃gē . Pattē bhī aisē hī , harēk chīj aisē hī , dēkhō ismē̃ kitnī mahīn buddhi chāhiē . Bahut-bahut mahīn buddhi chāhiē . Is par vicār-sāgar-manthan karnē key|kī bahut darkār rahnī hai . Iskō hī kahā jātā hai rāt kō jāgnā aur vicār-sāgar-manthan karnā , mānā kamāī . Isliē bāp kahtē haĩ ki tum chup hō karkē rahō , tumkō hāth-pair na chalānā hai , śharīr tumhārā bhalē chalē , usmē̃ kōī manā nahī̃ , sirph buddhi sē kām lō|low ki barōbar bāp kō , rachtā kō agar kōī jān jāē tō uskē rachnā K|kē svarg kā mālik bannā chāhiē jarūr . Samjhā nā  ! Yānī bāp kō jānē aur bāp K|kē property kō jānē tō jarūr property kā mālik banē  ; parantu yahā̃ tō aisā kōī nahī̃ hai jō kahē̃gē . Hā̃ , kahtē hai barōbar ki manuṣhya kahā̃ gayā  ? Svargvāsī huā . Kyōṅki bhagvān nē unkō bulāyā . Arē , yah tō ṭhīk hai barōbar , kōī baṛī bāt nahī̃ hai . Svargvās aur yahā̃ vaikuṇṭha , yē tō bāt ṭhīk hai  ; paratu svarg tō satyug mē̃ hōtā hai nā . Abhī tō nahī̃ milē̃gē na , ab tō punarjanma . Satyug mē̃ punarjanma satyug mē̃ , trētā mē̃ , kalahayug mē̃ punarjanma yahā̃ . Bhārat key|kī bāt bilkul ṭhīk hai ki barōbar bhagvān kō jō yād kartē haĩ bhagvān unkō vaikuṇṭha mē̃ lē jātē haĩ , parantu vaikuṇṭha tō satyug mē̃ sthāpan hōtā hai nā . Ab vaikuṇṭha kē liē tō baiṭh karkē rājyōg sīkhnā paṛē . Aisē thōṛē hī jā sakē̃gē  ! Tō bāp ā karkē bachchō̃ kō rājyōg sikhātē haĩ aur bāp bhī kyā hai , kōī baṛī bāt nahī̃ hai , bōltē haĩ - jaisē tum ātmā , vaisē maĩ ātmā . Maĩ paramdhām mē̃ rahnē vālā , mujhē kahtē haĩ param-ātmā mānā paramātmā . Sirph akṣhar milākar alag kar diyā , dūsrī kōī bāt iskī hai nahī̃ . Uskō aṅgrējī mē̃ kahā bhī jātā hai ' supreme soul , ' parampitā . Paramdhām mē̃ rahnē vālā pitā . Uskō ātmā kahā jātā hai . Param-ātmā , paramdhām mē̃ rahnē vālī ātmā , uskō kahā jātā hai paramātmā . Param-ātmā yād karō tō paramātmā hō jātī hai nā . Phir inkā bhī bhaktimārg mē̃ aur is samay mē̃ jō part nūndhā huā hai us anusār ātā hai . Āēgā pūrā ēkdam rāt kō bilkul , aur tō kōī kiskī vēlā na bhī lē sakē . Yah tō ātē hī haĩ , kiskō patā bhī na paṛē . Kr̥iṣhṇa kē liē bhī likhē̃gē nā - janmāṣhṭamī K|kē samay rāt kō 12 baj karkē kitnē samay  ? Ṭippaṇē vālē lōg , jãyatī vālē lōg time batāē̃gē . Inkā time kahā̃ sē ā sakē aur phir patā bhī nahī̃ paṛtā hai ki barōbar kōī ātā hai . Ham lōg mūnjhtē|mū̃jhtē - mūnjhtē|mū̃jhtē bahut samay kē bād , kōī āyā hai , vō nahī̃ mālūm paṛtā hai ki rachtā āyā hai . Vō rachnā kā rāj samjhāēṅgē uskē liē tō nahī̃ . Rachtā āy karkē aur phaṭ jismē̃ pravēśh kartā hai , unkō sākṣhātkār karā dētē haĩ . Arjun K|kē rath mē̃ rathī . Tō ātmā huī na . Paramātmā arjun K|kē śharīr mē̃ baiṭhā aur unkō sākṣhātkār karāyā ki vināśh bhī dēkhō aur apnā rājya bhī dēkhō . Achchhā , unsē bhī kōī samjhā thōṛē hī jātā hai . Nahī̃ , yah khuśhī kā pārā automatically chaṛh jātā hai ki brahmāṇḍ key|kī bādśhāhī miltī hai . Jhaṭ sākṣhātkār hō jātē haĩ nā . Bas , bākī kōī gyān nahī̃ . Bhuṭṭū mē̃ bhuṭṭū . Jaisē kiskō sākṣhātkār hōtē haĩ nā , bahutō̃ kō hōtē haĩ , tō aisē hī vināśh . Abhī vināśh tō dēkhā , kab hōgā , kyā patā  ! Vināśh dēkhā hai - bhīṣaṇ laṛāī lagtī hai . dhak sē laṛāī lagēgī . First world war , tō samjhā śhāyad yah lagtī hai , sab khatm hō jāē̃gē . Bhaī , aur kyā karē̃  ! Aisē tō bābā nē nahī̃ batāyā ki nahī̃ , bahut time lagā huā hai , yah kōī gyān tō diyā hī nahī̃ . Tō kaisē samajhē̃  ! Kyōṅki samajhnā hai ant tak . Tō śhurū mē̃ tō sab bātē̃ nahī̃ samjhāē̃gē nā . Bābā kahtē haĩ-maĩ śhurū mē̃ tō sab nahī̃ samjhāū̃gā . Maĩ tō śhurū sē lē karkē jahā̃ jiē̃gē jahā̃ inkā śharīr hai , tahā̃ tak maĩ gyān batātā rahū̃gā , jab talak yah bhī karmātīt avasthā kō pāvē . Abhī samajhtē hō nā . Law aisā kahtā hai - jab talak yah bhī karmātīt avasthā kō pāvē aur phir number-vār bachchē bhī pās|pass hō̃ , tab phir yah gyān band hōtā hai , isliē iskō kahā jātā hai - jahā̃ jiē tahā̃ hī yah śhikṣhā lētē rahō . Abhī ' jahā̃ jiy tahā̃ pīy kahā̃ kā arth|earth lagtā hai  ? Kyā gaṅgā mē̃ jākar K|kē jal pīkar āō  ? Nahī̃ , vō tō jal hai nā , unkī tō bāt hī nahī̃ . Yah is samay mē bachchō̃ kē liē hai ki jahā̃ tum jītō rahō , tahā̃ tum pītē rahō . Lambā rāstā hai nā . Sunā hai nā - hamārā jīvan kā lambā , yah bāp kē sāth thōṛā lambā hai . Jab talak yah bāp hai nā , dādā jāēgā tō bābā bhī tō pahlē jāē̃gē nā . Tō dōnō̃ ikaṭ ‌ ṭhē jātē haĩ . Tō bōltē haĩ - jahā̃ tak jiō tahā̃ tak tumkō yē sabhī bātē̃ achchhī tarah sē samajhnā hai aur samjhānā hai . Abhī tum avināśhī gyān ratnō kā philainthrōpisṭa yānī mahādānī bantē hō . Double mahādānī bantē hō . Ēk tō dēh sahit sab kuchh bali chaṛhtē hō , iskō kahā jātā hai mahādānī . Yānī sab kuchh chaṛhā dē . Bali chaṛhī īśhvar kē sāth . Yah huā vināśhī dhan kā philaithrōpisṭa . Sanyāsī tō aisē nahī̃ kartē haĩ  ? Nahī̃ , vō tō pīchhē dān lētē rahtē haĩ . Yah kahtē haĩ ki nahī̃ , tum bachchō̃ kō double dānī bannā hai . Ēk tō tumhārā jō kuchh bhī hai , vō sab tum mērē ūpar bali chaṛhāō yānī phir unkā trustee ban jāō  ; kyōṅki kyā karēgā  ? Kōī aisē thōṛē hī hai , ham janak sē , rājā sē lē karkē , bali caḍhakar , maĩ unkī rājāī sambhālū̃gā kyā  ? Nahī̃ . Bāp phir kahtē haĩ - yād rakhō , tumkō bali caḍhanā hai . Jō tumnē create kiē haĩ vō bachchē sambhālnē haĩ . Jō rachnā rachī hai unkī tumkō pālnā karnī hai . Tō phir yahā̃ dhan dē karkē pālnā kaisē karē̃gē  ? Nahī̃ , phir kahtē haĩ ki bachchē , mat par chaltē rahō . Phir kahā̃ bhī tumhārā jō dhan dān kartē hō , vō phir kōī pāp K|kē kām mē̃ na āvē . Agar kōī pāp-ātmā kō dhan dēgē tō vō jō pāp karē̃gē vō phir tumhārē sir par chaṛhēgā  ; kyōṅki dān bhī jab diyā jātā hai tō kāydā hai ki pātr kō diyā jātā hai . Samjhō , kōī kō dān diyā aur ussē bīṛī piyā , śharāb piyā , gand kiyā , vō kiyā , vō pāp dān dēnē vālē K|kē sir par ānī hai . Samjhā nā  ! Abhī is samay kōī bhī puṇy-ātmā tō hai nahī̃ . Achchhā samjhō , brāhmaṇō̃ kō dētē haĩ , vō bhī tō pāp kartē rahtē haĩ . Ēk-dō kē ūpar kām-kaṭārī chaltā rahtā hai , ulṭā gyān sunātē rahtē haĩ , jhūṭhī satya nārāyaṇ kī kathā , yah kyā sunātē haĩ brāhmaṇ  ! Sab jhūṭhī kathāē̃ . Tījrī key|kī kathāē̃ , satya nārāyaṇ kī kathā , yē sab jhūṭh kartē haĩ nā  ; kyōṅki jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā , jhūṭhā sab saṅsār . Tō vō jhūṭh bōltē rahtē haĩ nā . Tō vō bhī pāp-ātmā ṭhaharē nā . Pāp-ātmāō̃ kō dān tō kiyā nahī̃ jātā hai . Bāp phir kahtē haĩ - bachchē , trustee ban jāō . Bābā key|kī mat par apnā ghar sambhālō . Kahā tumhārī bhūl na hō jāē , tumhārē tan-man-dhan sē kōī akartavya kārya na hō jāē  ; isliē bāp sē rāy pūchh karkē kām kartē rahō . Kōī aisē nahī̃ kahtē , makān na banāō yā mahal na banāō yā aeroplane mē̃ nahī chaṛhō motor mē̃ chaṛhō . Bahut bachchē haĩ jō motor mē̃ ghūmnē-phirnē jātē haĩ yā inkē bāpdādā kē pās mōṭarē̃ hī nahī̃ haĩ . Rakhtē hī nahī̃ haĩ . Yahā̃ balki bāp phir kahtē haĩ bachchē , bādśhāhī tumkō dētā hū̃ . Isliē kyōṅki tum motor bhī dēgē tō śhivbābā kō dēgē nā . Yahā̃ bābā kahtē haĩ - mujhē tumhārī mōṭar-vōṭar nahī̃ chāhiē , yah hamē̃ na dō . Tum bhalē motor mē̃ chaṛhō aeroplane mē̃ chaṛhō sirph śhrīmat par chalō aur kōī bhī bāt nahī̃ hai . Apnē dhan-daulat jō hai unsē kyā-kyā karō , phir rāy dētē rahtē ki tumhārē sē kōī bhī pāp na hō  ; kyōṅki tum puṇyātmā bantē hō . Yah hai pāp-ātmāō̃ key|kī duniyā , unkō kahā jātā hai puṇy-ātmāō̃ key|kī duniyā . Aisē kōī lētē nahī̃ hai . Hā̃ , bachchē hō aur tum lōgō̃ kō hī baiṭh karkē centre jamānā hai aur ghar-ghar kō svarg banānā hai . Aspatālē̃ khōlnī haĩ , tum khōltē jāō banātē jāō . Dēkhō , ābū mē̃ bhī bantē haĩ kisliē  ! Yah kisliē bantē jātē haĩ  ? Bōltē haĩ-vāh  ! Jab bhī yē paṛēgī , yē atyāchār hōgē , mār paṛēgī , vō kahā̃ jāē̃gē  ? Vō tō bōlē̃gē , phir bhī mammā-bābā kē pās jāvē  ; kyōṅki tumhārā yādgār bhī pahlē hī sē ābū mē̃ banā huā hai . Issē siddha hōtā hai ki tumnē tapasyā bhī vahā̃ kī hai . Jahā̃ tapasyā kī hai , tahā̃ pichhāṛī mē tumnē rahavās bhī kiyā hai . Yah bhī tumhārē śhāstra mē̃ nūndhā huā hai ki jab yē pāṇḍav rahē thē tō bhīlō̃ nē ā karkē lūṭā thā . Bhāgavat mē̃ hai . Issē siddha hōtā hai ki pichhāṛī mē̃ bhī vahā̃ rahnā hai . Tō pichhāṛī mē̃ vahā̃ rahnē kē liē bhī tō makān chāhiē . Tō makān bhī tum bachchō̃ kē liē hai . God father śivā sē dear most bilaviḍ children everything is for U|you . Sr̥iṣhṭi key|kī bādśhāhī tumhārī tō phir vō aur kyā karē̃gē  ! Tumhārā connection tō śhivbābā kē sāth hai nā . Ham śhivbābā kē ūpar bali chaṛhtē haĩ . Śhivbābā hamārē liē yahā̃ makān tō banvānā , karankarāvanhār hai nā . Kabhī bhī aisē mat samajhnā dādā sē hamārā lēn-dēn kā connection hai , nahī̃ . Tumhārē dādā kā bhī śhivbābā sē lēn-dēn kā connection hai . Vō kahtē haĩ tumhārā bhī śhivbābā sē connection hai . Kabhī bhī tumnē śhivbābā kē badlē mē̃ dādā kō samajh liyā tō tumhārā dān bhī vyarth chalā jāēgā . Yānī jō madad kartē hō vō jaisē ki vyarth hai . Tumkō kārōbār hai hī śhivbābā sē . Khātā hī tumhārā śhivbābā sē hai . Vō rāy dēgē ki hā̃ , aisē karō , aisē karō  ; kyōṅki hai sab tum bachchō̃ kē liē nā . Tō usmē̃ garīb bhī āē̃gē . Garīb haĩ sabsē achchhē . Vō mērē kō aur hī pyārē haĩ . Vō bhī tō vahā̃ āē̃gē . Tō unkē liē is samay yah banānē chāhiē . Pichhāṛī mē̃ bichārē āē̃gē , vivēk kahtā hai , drama kahtā hai dēkhō āē̃gē . Jarūr vahā̃ bahut rahē hōṅgē tab tō vō kuchh lūṭā hai nā . Achchhā , abhī bachchō̃ kā time tō huā hai . Bābā nē āj achchhī tarah samjhāyā thā  ; kyōki param-ātmā , paramātmā jiskō kahtē haĩ , vō kōī baṛā-lambā nahī̃ hai . Paramātmā key|kī ātmā kā size ēk hī hai . Vō na chhōṭā hōtā hai , na baṛā hōtā hai . Aisē nahī hai ki kōī baṛā hai yā lakṣhmī nārāyaṇ key|kī ātmā kōī baṛī thī yā is samay mē̃ vō kōī chhōṭī hō gaī hai . Nahī̃ , ātmā chōṭī-baḍī vagairah nahī̃ hōtī , ātmā ēk hī hōtī hai . Unkī gyān key|kī jō jyōt hai , knowledge hai , vō ujhānī hōtī hai  ; kyōṅki drama hai . Unkō pāvan sē patit bannā hī hai . Yē rāvaṇ uṛnē kā par kāṭ dētē hai . Kiskā  ? Ātmā kā . Phir kōī key|kī bhī ātmā vāpas nahī̃ jā saktī hai . Sabkō ānā hī hai aur sabkō pūrā ānā hai , tab vināśh hōgā , uskē pahlē bhī vināśh nahī̃ hōgā . Kyō̃  ? Vahā̃ jō ātmāē̃ rahtī haĩ , vō yah ēk daphā karmakṣhētra par ānī tō jarūr chāhiē na . Bākī yahā̃ ātī rahtī haĩ . Aisē nahī̃ samajhnā chāhiē , bābā ā gayā hai isliē vō nahī̃ ātī haĩ . Arē , vr̥iddhi tō hōtī rahtī hai nā . Vr̥iddhi tō aur hī jāstī hōtī hai . Multiplication bahut hōtī hai nā . Agar multiplication hō tō inkā khānā khuṭē kaisē  ! Yē tō raṛiyā̃ mārtē rahtē haĩ - ham jitnā āmdanī kā , ann vagairah kā prabandh kartē haĩ , unsē jāstī prajā utpanna hō jātī hai . Yē bichārē karē̃ kyā  ! Phir bhī tō kōī had hōgī nā , kahā̃ tak yē ṭhahar sakē̃gē . Tō bāp kahtē haĩ jab yah drama pūrā hō jāēgā . Jab tum mērē lāḍlē bachchē karmātīt avasthā kō number-vār puruṣhārth anusār prāpt kar lētē hō aur jab bhakti mārg kā pūrā ant hōnā hōtā hai , jab mērē gyān kā bhī pūrā ant hōtā hai , tab phir yē vināśh hātā hai . Jab talak hai , śhivbābā paṛhātē haĩ , tab tak yah sr̥iṣhṭi hai hī aur bākī vināśh hōnē sē tō dēkh lē̃gē . Achchhā ṭōlī tō dō bachchō̃ kō . Sanyāsī-udāsī kō tum yah tape jā karkē sunā saktē hō ki vahā̃ aisī vāṇī chalī . Phir bhalē inkō gālī dēvē kyōṅki samajhēgā tō kuchh nahī̃ . Bōlē̃gē - yah kahā̃ sē āyā  ? Yah sabhī inkā hī ṭāl hai , phalānā hai - aisē-aisē karkē uṛāy dēgē  ; kyōṅki kuchh bhāgya mē̃ tō hai nahī̃ . Bākī bābā kōī ḍartē nahī̃ haĩ . Kōī bhī sunē . Kōī bhī tumhārā guru-gōsāī̃ hō , jiskē sāth tum bachchō̃ key|kī kiskī dil hō , bōlē - bhalā ēk bār hamkō tō baiṭhkar yē sunāō . Tape bhī lē jāō , parantu jānā chāhiē , kōī sayānā samajhē̃gē tō unkō samajhāvē . Bābā key|kī manā nahī̃ hai  ; kyōṅki yah tō jātī hai nā . Vō paṭanā mē̃ kilē mē̃ jātī hai , vahā̃ baṛē-baṛē sanyāsī ātē haĩ , vō nikāl karkē baiṭh karkē bajātē haĩ . Unkō samjhātē haĩ ki bābā nē āj vahā̃ yah murlī chalāī . Kisnē chalāī  ? Śhivbābā nē . Nām bābā kā yāni śhiv kā kām hai na ki aisē na kōī samajhē ki brahmā kā . Śhiv kā nām prabhu K|kē smaraṇ . Kaun-sā prabhu  ? Śhiv kā . Bhaī , yah śhivbābā nē murlī bajāī . Tō phir bhalē kōī śhivbābā sē pūchhē . Unkō phir pūchhnē kō ānā paṛē na - yah kaisē  ? Vō tō phaṭ sē hī batāēgā . Bāp tō hai nā , ēk bāp hōgā nā . Sabhī patthar-pattē-pattē kō kah dēnā bhagvān - yē kahā̃ key|kī bāt  ! Tō yah bhī āē̃gē . Yah gyān jab paripakva avasthā mē̃ hō jāēgī , jab tumhārī tākat hōgī nā , tab yah bhīṣhmapitāmah , drōṇ , yē sab nām unhōnnē rakh diyā hai , kōī vō nām nahī̃ hōṅgē . Aisē mat samajhnā bhīṣhmapitāmah jab talak nahī̃ hōṅgē , nām nahī̃ batāēgā , ham gyān nahī̃ dēgē . Aisē nahī̃ karnā kōī . Yah tō unhōnnē nām rakh diyā . Sanyāsī , rājāē̃-rajavāḍē jō-jō hamārē gharānē K|kē hōṅgē , vō sab tumhārē pās|pass āēṅgē , pūchhē̃gē aur uṭhāēṅgē . Kōī tō sun karkē aisē hī chalē jāē̃gē  ; kyōki chalē jānā hai , kyōṅki vō svarg kā pad pānā nahī̃ hai . Bākī hai sabhī dharmō kē liē , sirph tumhārē bhārat kē liē nahī̃ . Vō tō sabkā bāp hai . Vō bōltā hai - jō-jō mujhē yād karē̃gē aur drama anusār yād bhī vō hī karē̃gē , jō mukti kō pānē vālē hōṅgē aur gyān kō yād vō hī karē̃gē , jō jīvanmukti kō pānē vālē hōṅgē aur jō na karnē vālē haĩ , vō hisāb-kitāb chuktu karkē phir vāpas jāēṅgē . Hōlī|holy , hōlikā , bhambhōr kō āg lagnī hai . Yānī vō bhī tō chhōṭā hai nā . Hōlī|holy K|kē din sabkē ghar-ghar mē̃ āg jagtī tō hai nā . Phir samajhtē haĩ  ; parantu arth|earth kōī nahī jāntē . Kōī sē pūchhēgā bhī , hōlikā kā bhī kōī kitāb hōgā , usmē̃ kyā-kyā likhā huā hōgā . Bākī yah bāt nahī̃ hōgī , jō bāp baiṭhkar samjhātē haĩ ki sārē bhambhōr kō āg lagnī hai . Abhī āg sārē bhambhōr kō tō , sirph āg nahī̃ lagtī hai nā . Earthquake sē , calamities sē , mūsaldhār barsāt sē . Mūsal kiskō kahā jātā hai  ? Yē aiṭamik bōmbsa . Unkī bhī barsāt aur vō barsāt bhī . Mūsal akṣhar vahā̃ sē nikalā hai nā , pēṭ sē mūsal nikalē . Vō pānī tō nahī̃ huā nā . Vō mūsal aur phir floods , jalmaī jiskō kahā jātā hai , vō tō pānī sē hōgī nā . Bābā aisē kahtē haĩ - dēkhō , yah bhī suntē haĩ aur sab tumhārī mama bhī sunēgī  ; kyōṅki samjhātē haĩ unkē pās|pass . Kalp pahlē bhī aisē hī drama anusār yahā̃ āē huē haĩ . Yah bhī drama mē̃ part thā , tab is ghar mē̃ ā karkē baiṭhē haĩ . Nahī̃ tō pahlē mālūm thā kyā  ? Āē , yah drama mē̃ rāj thā ki is ghar mē̃ ā karkē yah hospital . Baṛī hospital hai . Kōī virlā samajhē . Aisē mat samjhō , jinkī hospital hai vō kōī niśhchay buddhi hō jā saktā hai . Nahī̃ , niśhchay buddhi nahī̃ hō saktē haĩ . Niśhchay buddhi hō jāē tō ahō saubhāgya  ! Niśhchaybuddhi vālē kā pārā padharī hō jātā hai . Abhī bāp-dādā , mīṭhī mama kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ kō yādpyār aur good morning . Sikīladhē kā arth|earth kitnā sahaj hai samajhnē kā . Vō hī milē̃gē jō kalp pahlē svarg mē̃ thē , pahlē āē huē thē aur jinkō paṛhāyā thā . Jō bhasma huē paṛē thē , unkē ūpar phir jā karkē gyān-amr̥it key|kī barsāt key|kī . Gāyā bhī jātā hai - sāgar . Tum sāgar K|kē bachchē hō nā . Abhī gyān-sāgar K|kē direct bachchē hō nā . Barōbar ham gyān sāgar K|kē jō is samay mē̃ bachchē haĩ , tō barōbar ham gōrē bantē haĩ , rājāī kartē haĩ . Abhī gyān sāgar K|kē gyān-chitā par baiṭhē haĩ aur barōbar rāj-bhāg lē̃gē , gōrē ban jāē̃gē . Pīchhē gyān sāgar K|kē bachchē drama anusār dvāpar sē phir kām-chitā par baiṭh jāē̃gē . Phir is muāphik jal marē̃gē . Kabristānī ban jāēṅgē . Phir yah drama K|kē anusār bābā āēgā . Yē samajhē na bachchē , kiskō samjhānē key|kī kabhī bhī kōī mūñjh hōvē , na samajhē tō bābā sē pūchh saktē hō ki ham hī gyān sāgar K|kē bachchē , ham hī kabradākhil haĩ , jō phir hamkō paristānī banātē haĩ , phir ādhā kalp paristānī tō ādhā kalp phir māyā ā karkē kabristānī banātī hai . Paristān kā bhī samjhāyā ki kaisē ham nīchē utartē haĩ . Kabristān bhī kaisē bantē haĩ . Phir paristānī kaisē bantē haĩ .