बुधवार 19 अगस्त 1964 की साकार मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

19-08-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj ravivār julāī key|kī chabbīs tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .

Record  :

Mujhkō sahārā dēnē vālē ' …

Ōmśhānti . Sahārā kiskō kiyā jātā hai  ? Jō ḍūbē huē hōtē haĩ uskō pār karnē kē liē , kyōṅki khivaiyā nām tō bhāratvāsī achchhī tarah sē jāntē haĩ . Tō khivaiyā kā kāydā hai ki ḍūbē huē kō bachānā , kyōṅki yē tō bachchē jāntē haĩ ki yē bhārat kā bēṛā ḍūbā huā hai . Bhārat mē̃ hī yē kahtē haĩ  ; kyōṅki bhārat kē liē hī kahā jātā hai her|har bāt . Bhārat kā bēṛā pār yā bhārat kā bēṛā ḍūbā huā bhārat kē liē kahā jātā hai , aur kōī bhī khaṇḍ kē liē nahī̃ kahē̃gē . Sō bhī tō tum bachchē samajhtē hō , aur tō kōī nahī̃ samajhtē haĩ ki bhārat kā hī bēṛā ḍūbā huā hai . Satyanārāyaṇ key|kī kathā bhī bhārat mē̃ hōtī hai . Yē kathāē̃ , jō amarnāth key|kī , tījrī key|kī , yē sabhī kathāē̃ yahā̃ hōtī haĩ . Bachchē bhī abhī achchhī tarah sē samajh gaē haĩ , jabki bachchē subah kō meditation mē̃ baiṭhtē haĩ  ; kyōṅki bāp nē samjhāyā hai ki meditation , jiskō yōg sādhnā yā yād kī sādhnā kahtē haĩ . Phir vō tō bhaktimārg mē̃ hai yād kī sādhnā . Kōī gurū kō yād kartē haĩ , kōī kiskō yād kartē haĩ , kōī tatva kō yād kartē haĩ . Unkī tō yād sādhnā hai hī ayathārtha . Unmē̃ kōī unkō sikhlānē vālā khivaiyā yā bāgvān nahī̃ hōtā hai . Khivaiyā bhī hai , bāgvān bhī hai  ; kyōṅki nayā gulśhan bhī tō sthāpan karnā hai , daivī gulśhan yahā̃ sthāpan karnā hai . Tō unkō yē sabhī sikhlānā hōtā hai . Kōī gurū lōg bhī yē meditation sikhlātē haĩ aisē karō , aisē karō , kōī tō aisē karākar baiṭhtē haĩ , kōī kaisā , kōī kaisā . Vō bahut hī prayatna batātē haĩ . Kiskē liē  ? Yād mē̃ rahnē kē liē . Iskō aṅgrējī mē̃ meditation kahtē haĩ . Yōg-sādhanā . Vō tō manuṣhya , manuṣhya kō yōg-sādhanā karātē haĩ , kōī khivaiyā yā bāgvān is bāg kā nahī̃ sikhlātē haĩ . Yē tum jāntē hō ki bagīchē kā mālī tō bāp hai , aur yē kāṇṭō̃ kā mālī kaun hai  ? Vō rāvaṇ hai . Yē manuṣhya nahī̃ jāntē haĩ , sirph tum bachchē yē naī-naī bātē̃ samajhtē hō ki barōbar yē jō kāṇṭō̃ kā forest ban jātā hai , unkō yē rāvaṇ rūpī māyā hai jō forest banātī hai . Abhī tum jāntē hō  ; parantu tumhārē mē̃ sē bhī kōī virlā hī jāntē haĩ . Aur tō sab yē bātē̃ bhūl jātē haĩ ki barōbar ham kāṇṭē sē fool|phūl bantē haĩ , vō bhī bāt bhūl jātē haĩ . Māyā bahut bhulātī hai , bāt mat pūchhō . Bachchē bhī kahtē haĩ aur yē bhī phir kahtē haĩ ki meditation mē̃ baiṭhnē sē māyā baṛā vighna ḍāltī hai . Kōī vakt mē̃ tō achchhē baiṭhē rahtē haĩ . Tō meditation bhī kaisē  ? Vō bhī tō bāp sikhlātē haĩ ki kaisē meditation karū̃ , rāt kō kaisē baiṭhū̃ kaisē jāgū̃ kyōṅki karmayōgī hō . Isliē tumhārē mē̃ din kē liē bandhan nahī̃ hai . Manuṣhyō̃ kō kabhī bhī meditation din mē̃ nahī̃ hōtī hai , kyōṅki khānā-pīnā , khēlnā-kūdnā tō unmē̃ kōī itnī yād thōṛē hī paṛ saktī hai . Bhalē kōī gaśā mārtā hō ki ham khēlnē-kūdnē mē̃ bhī yād kartē haĩ . Yah tō gaś hai , iskō jhūṭh kahā jāēgā . Baṛī muśhkil hai , rāt mē̃ hī baṛī muśhkil hai , jab sabhī sō jātē haĩ aur ātmāē̃ sabhī śānt hō jātī haĩ , aśharīrī hō jātī haĩ , us samay mē̃ bhī māyā kōī cum|kam thōṛē hī kartī hai . Savērē mē̃ uṭh karkē tum sabhī yād mē̃ baiṭhtē hō . Vāstav mē bhaktimārg vālē bhī savērē mē̃ uṭhtē haĩ , jiskō kahā hī jātā hai amr̥itvēlā . Bāp bhī aisē hī kahtē haĩ ki bachchē , vō tō hai din mē̃ karmkāṇḍ kā samay , apnē bachchō̃ key|kī pālnā karnā , naukrī karnā , ādi . Hō saktā hai khēl-pāl mē̃ bhī kisī key|kī yād khaḍī hō saktī haĩ . Bāp tō anubhav batātē haĩ nā . Jō puruṣhārthī haĩ vō tō sab anubhav batātē haĩ . Khēlēgā tō bhī bōlēgā - dēkhō , ham bābā key|kī yād mē̃ abhī tumhārē sē khēltā hū̃ . Aisē kahtā hū̃ jaisē ki maĩ svayã bāp hū̃ aur maĩ baiṭh karkē bachchō̃ sē khēltā hū̃ . Abhī svayã bāp hū̃ , aisē karkē khēlnē sē bābā kō aur hī achchhā naśhā chaṛhtā hai . Maĩ ātmā hū̃ aur bābā key|kī yād mē̃ insē khēltā hū̃ yē mērē sē hō nahī̃ saktā hai . Dēkhō , maĩ apnā anubhav sunātā hū̃ nā . Jab maĩ tērē sē bāt kartā hū̃ tō yē tō jaisē ki kōī vakt mē̃ bābā tumhārē sē bāt kartē haĩ , jaisē ki maĩ bāt kar rahā hū̃ aur ēkdam bēhad mē̃ chalā jātā hū̃ . Tō khēlnē mē̃ bhī hai  ; parantu ham ātmā haĩ vō muśhkil hō jātī hai . Dēkhō , bābā batātē haĩ , meditation mē̃ jab bābā baiṭhtē haĩ , tō sabkō anubhav tō batānā chāhiē nā ki bābā kaisē sikhlātē haĩ , yē bhī kaisē sīkhtē haĩ . Sārā yē dēnē kā aur sikhlānē kā bāp nē rāstā tō batā hī diyā hai , aur tō kōī batā bhī nahī̃ sakē aur yē tō pakkā jāntē haĩ ki ham bāgvān bhī haĩ . Tō jarūr bagīchē hī sthāpan karē̃gē . Bāgvān kōī kāṇṭē kā bīj baiṭh karkē lagātē haĩ  ? Kāṇṭē kā bīj tō dūsrā lagāēgā . Vāstav mē̃ uskō mālī nahī̃ kahā jāēgā . Mālī hamēśhā bāgvān hōtā hai , jō fool|phūl lagātē haĩ . Yē tum jāntē hō ki bābā tō fool|phūl lagātē haĩ aur jō in phūlō̃ kō forest banānē vālā hai , unkī mat par chalnē sē manuṣhya kāṇṭē ban jātē haĩ . Yah gyān tō tum bachchō̃ kō milā ki barōbar bābā bāgvān bhī hai , khivaiyā bhī hai , merciful bhī hai , bījrūp bhī hai . Dēkhō , rāt mē̃ baiṭhtē haĩ tō sōchtē haĩ ki yah jhāṛ kitnā baṛā hai . Is samay mē̃ bīj tō ūpar mē̃ hī hai . Yah kitnā baṛā bagīchā hai  ! Tō mālik jaisē hō karkē baiṭhnā paṛē nā kyōṅki master bījrūp hai , tō jaisē bīj hī hō gayā nā . Kitnā baṛā bagīchā hai , pahlē kitnā chhōṭā hōgā - yah rāj kā gyān bhī chāhiē nā . Yōg bhī chāhiē , gyān bhī chāhiē  ; kyōṅki manuṣhya mē̃ kuchh gyān tō nahī̃ hai nā . Manuṣhya jab yōg mē̃ baiṭhtē haĩ , gyān kuchh bhī nahī̃ samajhtē haĩ . Sirph yād mē̃ baiṭhtē haĩ . Uskō bhakti kahā jātā hai . Jab kōī bhī chitra kē āgē baiṭhtē haĩ yā mandir mē baiṭhtē haĩ tō gyān tō kuchh nahī̃ hai nā . Sirph yād hai . Kālī key|kī yād mē̃ baiṭhē rahē̃gē , gyān mē̃ tō nahī̃ baiṭhē̃gē . Bas aisē kālī mā̃ key|kī yād mē̃ baiṭhē̃ rahē̃gē , vō kālī śhakla sāmnē āēgī vā agar jagadambā key|kī bhī yād mē̃ baiṭhē̃gē tō aisē baiṭhē̃gē aur mālā bhī phirtī rahēgī . Jagadambā kō bhī sāmnē rakhē̃gē , kr̥iṣhṇa kō sāmnē rakhē̃gē . Yah hai bhaktimārg kā karmkāṇḍ . Abhī usmē̃ kōī bhī gyān tō nahī̃ hai nā . Na bāp kī yād hai , na varsē key|kī yād hai . Sabhī bhagat jō bhī bhakti kartē haĩ , vō bahut gōmukh key|kī mālā banātē haĩ , usmē̃ hāth ḍāl dētē haĩ , mālā ḍāl dētē haĩ . Bahut tō mālā gupta rakhtē haĩ , gupta phērtē haĩ . Jō bhī gupta phērnē vālē hōtē haĩ unkō gurū sē śhikṣhā miltī hai ki hamēśhā gupta phērō . Samjhā  ! Kyōṅki hai bhī hamārī mālā gupta . Tō dēkhō , hamārē yahā̃ key|kī rasam-rivāj bhaktimārg mē̃ kitnī chalātē haĩ . Gaumukh uskō kahā jātā hai . Ṭapaṛī hōtī hai usmē̃ ḍāl karkē hāth bhī ḍāl dētē haĩ . Chhōṭēpan mē̃ yē sabhī kiyā huā hai . Chhōṭēpan mē̃ phir bāp kō dēkhtē . Jaisē abhī bachchē haĩ , mā̃-bāp kō jō kuchh kartē dēkhtē haĩ vō karnē lag paṛtē haĩ . Tō bāp bhī kōṭhrī mē̃ baiṭh karkē mālā ḍāl karkē andar baiṭh jātē thē . Tō ham bhī kyā karē̃gē  ! Jākar sāmnē chhōṭī kōṭhrī bhī lē lētē thē , ham bhī aisē baiṭh jātē thē . Anubhav kahtā hai nā . Phir kiskō yād kartē thē  ? Rām-rām , rām-rām bas , aur kuchh bhī nahī̃ . Vō bhī rām-rām tō yē bhī rām-rām , bas . Bas , rām-rām , gyān tō kuchh hai nahī̃ . Abhī tum bachchō̃ mē̃ gyān hai . Rāt kō , jab savērē mē̃ amr̥itvēlē yād rakh dēnā , baṛā majā āēgā tum lōgō̃ kō agar practice paṛ jāēgī tō . Phir kyā khyāl mē̃ ānā hōtā hai  ? Dēkhō , kitnā baṛā bagīchā hai , uph  ! Yē jarūr chhōṭā bhī thā nā . Satyug mē̃ kitnē thōṛē hōṅgē . Abhī kitnā baṛā bagīchā ā gayā . Dēkhō , bagīchē key|kī yād ā gaī nā . Bījrūp key|kī bhī yād ā gaī , bagīchē key|kī bhī yād ā gaī . Uph  ! Phir dēkhō , kaisē-kaisē yē bagīchā baṛhtā hai . Bābā mē bhī tō yah gyān hai nā aur ham bachchō̃ mē̃ bhī yah gyān hai . Bābā jō sikhlātē haĩ , master bījrūp karkē biṭhātē haĩ , phir dēkhō sārā jhāṛ , jhāṛ jaisē ki buddhi mē̃ baiṭh gayā hai , ṭhũs gayā hai ki pahlē-pahlē barōbar dēvī-dēvatāō̃ kā jhāṛ hai . Vahā̃ bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ . Uskō svarg kahā jātā hai , sukh kahā jātā hai . Tō dēkhō , iskō meditation kahē̃gē nā . Andar mē̃ yē chaltā hai , bōlnā kuchh nahī̃ hōtā hai  ; kyōṅki vō khuśhī hai gyān mē̃ . Bāp key|kī bhī khuśhī hai , dhan key|kī khuśhī hai . Dōnō̃ chīj yād ānī hai . Bhaktimārg mē gyān kabhī yād nahī̃ ātā hai . Tatva gyānī hōgā , tō tatva gyānī bhī tatva kō yād karkē baiṭhē rahē̃gē . Gyān tō kuchh bhī nahī̃ hai . Aisē tō nahī̃ hai ki tatva mē̃ yād kartē rahē̃gē aur śhāstrō̃ kō yād kartē rahē̃gē yā vēdō̃ kō yād kartē rahē̃gē . Nahī̃ , vō nahī̃ hōtā hai  ; kyōṅki jab yād mē̃ rahtē haĩ tō yād rahtā hai ki hamkō jānā hai . Unkō tatva mē̃ jānā hai yā braham mē̃ jānā hai , braham mē̃ līn hōnā hai tō bas , unkō yahī yād rahtā hai . Aur tō kōī bhī rachnā kā unkō patā bhī nahī̃ hai . Na rachnē vālē kā patā hai , na rachnā kā patā hai . Tō un sabkī yād alag hai ēkdam aur tum bachchō̃ key|kī yād bilkul hī nyārī hai . Tum yād karē̃gē ki barōbar ham is jhāṛ K|kē , jaisē bābā bīj hai , uskō knowledge hai tō hamkō bhī yah knowledge hai . Dēkhō , yah rāt kō uṭhtā hai , pīchhē yē yād kartē-kartē thak jāē tō bhī chaltā rahē  ; parantu baiṭhnē mē̃ yād achchhī āēgī . Thōṛā bhī sōē̃gē tō kuchh na kuchh dūsrē saṅkalp ā jāē̃gē . Yah anubhav key|kī bāt bābā samjhātē haĩ achchhī tarah sē . Phir bhēṇṭ karkē samjhātē haĩ ki bhaktimārg mē̃ kyā kartē thē , kyōṅki bhakti bhī tō kī hai nā . Abhī gyānmārg hai . Bhakti mē̃ kyā kartē thē  ? Bhalē ā karkē sikhlātē thē ki yah karō , ghaṇṭa bajāō , phalānā karō , bahut kuchh samjhātē  ; parantu abhī tō dūsrī samajh milī hai . Tō bāp kō bhī yād karnā hai , phir sārā jhāṛ yād ā jātā hai . Jhāṛ abhī kitnā baṛā hō gayā hai . Ham chhōṭē jhāṛ mē̃ thē . Phir ham dēkhō , trētā mē̃ ā gaē . Phir dvāpar mē̃ janma liyā , phir abhī yē jhāṛ mē̃ ā gaē haĩ . Abhī ham jātē haĩ bābā kē pās . Bābā kō yād kartē haĩ . Abhī hamkō tō sārā jhāṛ yād mē̃ ā gayā hai . Barōbar yah drama bhī kaisē chakkar lagātā haĩ - satyug trētā dvāpar phir kaliyug . Abhī śhiv kō bhī yād kartē haĩ aur chakkar kō bhī yād kartē haĩ . Tō gōyā dhan key|kī bhī yād kartē haĩ aur dhan dēnē vālē key|kī bhī yād kartē hai . Yah yād huī nā . Tō jitnā ham bābā kō aur gyān kō yād kartē haĩ itnā jaisē ki hamārī avasthā paripakva hōtī jātī hai aur register mē̃ hamārī jō dauṛī hai yād kī yātrā key|kī vō jamā hōtī jātī hai , aur khuśhī bhī hōtī hai , kyōṅki gyān aur kōī kō tō nahī̃ hai . Kiskō bhī samajhāy saktē haĩ ki ham meditation mē kaisē baiṭhtē haĩ . Duniyā kaisē baiṭhtī hai  ? Vō kiskī yād mē̃ baiṭhtī hai  ? Anēk prakār key|kī yād hai . Ham sab tō ēk mat haĩ . Bāp key|kī mat na milēgī bachchē sē , bachchē key|kī mat na milēgī bāp sē . Uskā gurū , unkā īṣhṭ dēvatā-phalānā , sabkā apnā  ! Bachchō̃ key|kī tō bāt hī chhōṛ dō . Yahā̃ tō bachchō̃ kō bhī ēk mat miltī hai . Buḍ ‌ ḍhiyō̃ kō bhī ēk mat miltī hai . Tō rāt kō yād mē̃ kaisē baiṭhē hō  ? Kis yād mē̃  ? Kyōṅki meditation mē̃ tō baiṭhnā hai nā . Meditation hall hai nā  ! Tō vō pūchhēgā nā ki tum lōg kaisē baiṭhtē hō  ? Tō unkō phark batānā paṛē ki vō bhaktimārg vālē kaisē baiṭhtē haĩ . Vō kyā yād karē̃gē  ! Gurū hōgā tō tatva kā gyān dēgā . Ājkal kah dētē haĩ ki tum paramātmā hō . Abhī ham jākar paramātmā mē̃ mil jāē̃gē tō paramātmā rahēgā - bas , vō tō kōī gyān hī nahī̃ hai . Sō bhī ham ātmā sō paramātmā , paramātmā tō hō nahī̃ saktē haĩ . Ham kahtē haĩ ki ham 84 janm pūrā karkē abhī chōlā chhōṛ karkē vāpas jātē haĩ . Kyā paramātmā aisē kahē̃gē ki ham 84 kā chakkar khākar abhī vāpas jātē hai  ? Vō tō hō nahī̃ saktā hai . Unkō samjhānā hai bhaktimārg key|kī meditation , jab yahā̃ hall mē̃ ātē hō tō yahā̃ hall mē lē āō . Achchhā-achchhā ādmī dēkhō , jinkō śhauk hōvē . Bākī tō paṭapaṭiyā unkō tō nahī̃ lē ānā chāhiē . Jāntē hō ki barōbar kōī-kōī baṛē achchhē ādmī ātē haĩ , samjhānē sē samajhtē haĩ , bakavād nahī̃ kartē haĩ , aur tō apnā ghamaṇḍ dikhlā dētē haĩ . Meditation hall tō iskō hī kahā jātā hai nā . Bōlō - dēkhō , ham yahā̃ kaisē baiṭhtē haĩ , rāt mē̃ bhī ham meditation kartē haĩ aur din mē̃ bhī yahā̃ kaisē kartē hai , sō dēkhō yē jhāṛ bhī hai , sabhī kuchh hai . Abhī ham aisē yād karē̃gē . Bāp nē kahā hai ki mujhē yād karō aur phir kyā yād karō  ? Rachnā kā jō sārā chakkar hai uskō yād karō - satyug trētā dvāpar kaliyug  ; kyōṅki hamnē 84 janm tō bhōgā hī hai . Gāyā tō jātā hai 84 janm kisnē liē  ? Jarūr jō pahlē āē haĩ usnē hī liē hōṅgē . Jō dēvī-dēvtā thē vō yā tō phir antim janm mē̃ ham jō brāhmaṇ bantē haĩ  ; kyōṅki chakkar kā tō samjhānā paṛē - dēvtā kṣhatriya vaiśhya śhūdra abhī brāhmaṇ banē haĩ . Dēkhō , yē chakkar kā bhī inkō gyān hai . Ham baiṭhtē haĩ tō hamārā bāp aur chakkar hamkō yād paṛtā hai arthāt hailtha and vailtha . Yād aur gyān , rachtā aur rachnā kā gyān hamkō rahtā hai . Ham isī svadarśanacakra kō phirātē haĩ tō jaisē ki ham trikāldarśhī ban gaē aur phir bāp kō yād kartē haĩ , rachnā kō bhī yād kartē haĩ . Aur phir kyā kartē haĩ  ? Aurō̃ kō tō anēk matē haĩ . Hamārī sabkī ēkmat . Bābā nē kah diyā hai śhrīmat , jissē hamkō śhrēṣhṭh bannā hai . Kaisā śhrēṣhṭh  ? Dēvī-dēvatāō̃ jaisā , kyōṅki vō hai heavenly god father svarg kā rachtā . Tō unsē ham varsā pātē haĩ . Ham sabkō kahtē haĩ ki abhī had K|kē bāp kā varsā tō pūrā huā , abhī tō vināśh bhī hōnē kā hai . Tō jarūr god father patit-pāvan āēgā . Vō ā karkē hamkō pāvan duniyā kā varsā dēgā , jiskō svarg kahā jātā hai . Tō dēkhō , bēhad K|kē bāp kā svarg kā varsā ham aisē lētē haĩ . Tō bāp kā varsā jab lē̃gē tō bāp kō yād karnā paṛē nā aur bāp key|kī property kō yād karē̃ . Dēkhō , bāp svarg kā rachtā hai nā . Tō hamārī meditation aisē hōtī hai . Bāp kō yād karnā aur varsē kō yād karnā  ; kyōṅki varsā pātē bhī haĩ tō gumātē bhī haĩ . Gumātē phir kaisē haĩ  ? Satyug mand itnā janm lētē-lētē 84 janm lēkar K|kē ant mē̃ hamārā pūrā hō jātā hai aur ham patit ban jātē haĩ . Hamārī meditation mē̃ rachtā aur rachnā key|kī yād rahtī hai . Bākī jō bhī haĩ , anēk matē haĩ , kōī hanumān kō yād kartē haĩ , kōī kiskō yād kartē haĩ . Ab vō yād mē̃ kyā hai  ! Na knowledgeful bāp , na unkī knowledge hai buddhi mē̃ . Bāp kyā knowledge dēgē  ? Bāp , jō rachtā hai , vō rachnā key|kī knowledge dēgē . Isīliē uskō knowledgeful kahā jātā hai . God father is knowledgeful . God father is patit-pāvan . Patit kō pāvan karnē vālā tō jarūr patit duniyā mē̃ āēgā nā tab tō ā karkē hamkō pāvan banāē̃gē . Jab talak yē patit duniyā hai , hamkō pāvan duniyā svarg kā varsā kaisē dēgē  ! Tō aisē tum kōī bhī achchhē ādmī kō baiṭhkar samjhāē̃gē jaisē bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ tō vō prabhāvit hōgā . Bōl dēnā ki tum prabhāvit hō achchhā-achchhā karkē nahī̃ jāō  ; parantu yē yād rakh dēnā sir par janm-janmāntar kā pāp kā bōjhā bahut hai . Vō baṛā time lētā hai . Ant tak hamkō yē gyān lēnā hai . Abhī tumkō phursat nahī̃ hai . Phursat nahī̃ hai tō phir time lagēgā nā . Aisē tō nahī̃ hai ki jaldī kuchh hō saktā hai , pāp kōī jaldī sē bhasma hō jātē haĩ . Time lagtā hai . Time west|waste kartē hō . Tumkō ham kahtē haĩ ki bāp āyā huā hai aur maut sāmnē khaṛā hai . Agar tum gaphlat karē̃gē tō phir tum varsā pāy nahī̃ sakē̃gē  ; isliē jō śhubh kārya hōtā hai nā , śhubh kārya mē̃ dērī nahī̃ karnā . Abhī tum sīkhnē kō lag jāō . Sīkhnē kē liē agar tum ēk haphtā is meditation mē̃ baiṭhē̃gē tō tum trikāldarśhī ban jāē̃gē aur tumkō nārāyaṇī naśhā chaṛh jāēgā . Yānī father kō achchhī tarah sē yād karnē lag paṛē̃gē , kyōṅki tumkō aur sab tyāg ēk kō yād karnā hai , jissē abhī varsā lēnā hai . Tō unkō baiṭh karkē achchhī tarah sē yah samjhāēṅgē ki maĩ bōltī hū̃ abhī meditation mē̃ baiṭhō , maĩ baiṭhātī hū̃ - bāp kō yād karō . Tumhārā bāp tō hai nā . Jab duḥkh hōtā hai tab tum unkō māt-pitā , god father , parampitā kahtē āē hō . Is bāp kō bhaktimārg mē̃ tum janm-janm yād kartē hō . Vō jō tumhārā laukik bāp hai , vō tō phirtā rahtā hai nā - ēk janm mē̃ ēk , dūsrē janm mē̃ dūsrā , tīsrē janm mē̃ … aur sabhī janm mē̃ bhaktimārg mē̃ tum phir bhī us nirākār kō yād kartē hō . Tō dēkhō , vō avināśhī bāp hai . Vō jō laukik bāp hai , vō vināśhī hai . Tō unkō aisā samjhānā hai ki vināśhī sē vināśhī varsā aur avināśhī sē 21 janm kā avināśhī varsā miltā hai . Yē tō bhārat mē̃ 21 pīḍhī athavā generation maśhhūr hai . Tumkō agar 21 generation kā varsā lēnā hai … tō phir śhrīmat par chalnā hōgā . Hamārē pās|pass yahā̃ ēk mat hai śhrī key|kī , jissē śhrēṣhṭh bantē haĩ . Vō hai śhrī-śhrī . Vō sanyāsī lōg apnē ūpar nām dhartē haĩ śhrī-śhrī jagataguru . Abhī śhrī-śhrī jagat ‌ gurū sanyāsī kaisē hō saktē haĩ  ? Sanyāsī tō satyug kā ' śhrī ' title hī nahī̃ lē saktē haĩ , śhrēṣhṭh ban hī nahī̃ saktē haĩ . Śhrī tō unkō kahā jātā hai . Śhrī-śhrī vō bābā hai jō hamkō śhrī banātē haĩ , śhrēṣhṭh banātē haĩ . Vō tō na śhrī-śhrī haĩ , na kōī śhrēṣhṭh bannē vālē haĩ , kyōṅki vō tō rajōguṇī dharm vālē haĩ , jō rajōguṇ mē̃ ātē haĩ . Ādi sanātan tō satōguṇī satōpradhān dharm hai , kyōṅki dharm bhī tō aisē haĩ nā - yah satōpradhān dharm , phir agar us taraph mē̃ lē̃gē tō phir satō tō ham unkō hī kahē̃gē , phir rajō aur tamō jō dūsrē dharm vālē ātē haĩ unkō kahē̃gē . Satōpradhān dharm sē hī tō birādrī nikaltī hai nā . Iskō bhī kahtē haĩ sanyāsī , rajōguṇī sanyās . Unkō ham satōguṇī sanyās tō kah nahī̃ sakē̃ . Vō rajōguṇī sanyās hai , yē satōguṇī vā satōpradhān sanyās hai . Bāp ākar sikhlātē haĩ aur gāyā huā hai barōbar yē rājyōg hai . Sanyāsī rājāī kō tō mān nahī̃ saktē haĩ , kyōṅki vō sukh kō kāg viṣhṭhā samān kahtē haĩ . … . duḥkhī ban gaē haĩ . Bāp hamkō baiṭh karkē meditation aisē sikhlātē haĩ . Bāp sikhlātē haĩ , manuṣhya nahī̃ sikhlātē haĩ . Bhagavānuvācya  ! Bhagvān ham manuṣhya kō nahī̃ kahtē haĩ . Yē lōg kahtē haĩ kr̥iṣhṇa bhagvān . Ham kr̥iṣhṇa kō bhagvān nahī̃ kah saktē haĩ . Kyā sabkā , musalmānō̃ kā bhagvān kr̥iṣhṇa hai  ? Bilkul nahī̃ . Sabkā bhagvān tō ēk hōnā chāhiē . Vō kr̥iṣhṇa tō nahī̃ hō saktā hai , na kōī brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar hō saktē haĩ , na kōī Christ vagairah hō saktē haĩ . Bhagvān tō sabkā ēk hai aur vahī patit-pāvan hai . Vahī heavenly god father hai . Tō jabki sthāpan karnā hai tō unkō ānā hī hai . Barōbar bhārat mē̃ ātē haĩ . Dēkhō , bhaktimārg mē̃ unkā mandir kitnā baṛā banā huā thā . Tō vō hamkō sikhlātē haĩ , jis śhrī-śhrī key|kī mat sē ham śhrēṣhṭh bantē haĩ , kaisē śhrēṣhṭh bantē haĩ baiṭh karkē samjhō aur iśhārē sē samajh jāō ki hamārī meditation kitnī sahaj hai . Bāp kō yād karnā aur sārī rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō jān jātē haĩ . Aur kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ , bilkul hī nahī̃ . Tum jākar kōī kō bhī pūchhō sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai  ? Kuchh bhī nahī̃ jāntē haĩ . Pahlē tō satyug key|kī āyu tumkō aisī batā dēgē jō ghūmtē phirō . Bābā kahtē haĩ jabki tum rāt kō baiṭhtē hō yahā̃ yād tum kartē rahō bilkul ki rachtā aur rachnā kā … . Sabkō kah saktē hō ki yah tō purānī duniyā hai nā . Yah naī duniyā thī nā . Iskō kaliyug iron ējḍa kahā jātā hai . Old world jiskō kahē̃gē . Kalahayug kō kōī new world tō nahī̃ kahē̃gē . New world jab hōgī tō us new world satyug mē̃ tō daivī guṇō̃ vālē manuṣhya thē nā . Manuṣhya satyug mē̃ tō new world kō svarg kahē̃gē nā . Dēkhō , nayā mahal hai tō unkō ham kahtē haĩ svarg . Pīchhē vō gandā hō jātā hai … jaṛjaṛībhūt hō jātā hai tō unkō ham kah dētē haĩ nark . Ham is sārī duniyā kō bhī nark kahtē haĩ . Ghar-ghar mē̃ nark hai , balki sārī duniyā mē̃ nark hai  ; kyōṅki ghar-ghar mē̃ aśānti hai , jhagaṛā|jhagṛā , mārā-mārī , gand vikār yē , vō , sabhī  ; kyōṅki hai hī jaṅgal . Usmē jaṅglī janāvarō̃ sē bhī badtar rahtē haĩ . Unkō kahā jātā hai forest of thorns . Aṅgrējī mē likhtē haĩ nā . Yē ēk dō kō quota lagātē rahtē haĩ . Vō bāp ā karkē phir garden of|off allāh sthāpan kartē haĩ . Vō musalmān lōg bhī jāntē haĩ ki garden of|off allāh , god bhagvān ā karkē bahiśht sthāpan kartē haĩ . Bahiśht tō abhī hai nahī̃ nā . Kāṇṭō̃ kā jaṅgal tō hai nā . Tō tum bachchō̃ kō mālūm hō gayā ki kiskō kāṇṭō̃ kā jaṅgal kahā jātā hai kiskō phūlō̃ kā garden kahā jātā hai . Abhī tum kāṇṭō̃ sē daivī fool|phūl ban rahē hō . Tō yē chintan chalnā chāhiē nā . Din mē̃ bhī , rāt mē̃ tum knowledge lētē hō . Din mē̃ yād nahī̃ paṛtā hai tō rāt kō baiṭh karkē yahā̃ knowledge yād karō . Bābā mē̃ bhī yahī knowledge hai aur bachchō̃ mē̃ bhī yahī knowledge hai , jō rāt kō bhī tum baiṭhō . Baṛā majā āēgā . Aisē kōī āvē hamārē pās|pass tō ham aisē samjhāū̃gā kyōṅki service vālō̃ kō tō yahī buddhi mē̃ rahēgā  ; kyōṅki aur tō kōī bichārē jāntē hī nahī̃ haĩ . Hamkō taras paṛtā hai . Manuṣhya hō karkē agar is rachtā aur rachnā K|kē ādi madhya ant kō na jānē tō kis kām K|kē  ! Manuṣhya kahtē haĩ ō god father  ! Aur yē god father , jō rachtā hai , unkī rachnā K|kē ādi madhya ant kō nahī̃ jāntē haĩ , yē bachchē haĩ , ullū haĩ , pājī haĩ , kaun haĩ  ? Dēkhō tō , ham kaisē ban jātē haĩ  ! Iskō ullū kahā jātā hai nā . Ham abhī ullū K|kē bachchē , abhī allāh K|kē bachchē . D O G sē G O D . Kitnā phark rahtā hai  ; parantu naśhā hōnā chāhiē nā samjhānē kā . Agar kōī kahēgā ki mujhamē̃ gyān hai aur kōī kō nahī̃  ; kyōṅki bābā nē kahā hai nā - bachchē , yē hai avināśhī gyān ratna . Agar hai tō jarūr dān karnā chāhiē . Abhī tum jāntē hō ki jitnē jō dānī puruṣh haĩ unkī mahimā bahut hōtī hai - philēnthrōphisṭa . Arē , bahut akhbārō̃ mē̃ unkā nām paṛtā āyā hai . Itnā mandir banāyā , itnā college banāyā , itnā hospital banāī , nām jātā hai tō akhbārō̃ mē̃ likhtē haĩ … philēnthrōphisṭa yānī bahut dān kartē haĩ . Rilījiyas māiṇḍēḍ vālē hī jāstī dān kartē haĩ . Tum tō hō hī rilījiyas māiṇḍēḍ aur tumhārē pās|pass avināśhī gyān ratna haĩ . Ab yē tō tum bachchē samajhtē hō , aisē tō nahī̃ mūḍhabuddhi hō . Samajhtē hō ki jō-jō jitnā jiskē pās|pass dhan hai , vō itnā-itnā dān karē̃gē . Jiskē pās|pass dhan kamtī hōgā tō kamtī dān karēgā . Na hōgā tō kuchh bhī nahī̃ dān karēgā . Phir unkō kyā milēgā  ? Na dān lētā hai , na dētā hai . Phir bākī vō kyā huā  ? Kuchh kām kā nahī̃ rahā bilkul hī . Dān bhī tō dēnā hai jarūr . Dān na dēgē , gītā na sunāēṅgē tō aur kaun sachchī gītā sunāē̃gē  ? Tō dhārṇā chāhiē aur kitnī sahaj hai . Ati sahaj hai . Kiskō bhī baiṭh karkē samjhānā , jaisē bābā samjhātē haĩ ki ham aisē meditation mē̃ baiṭhtē haĩ . Yē duniyā kā chakkar aisē chaltā hai . Yē purānī duniyā hai . Naī duniyā mē̃ tō dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā , aur tō kōī dharm thā hī nahī̃ . Pīchhē vō dharm āyā , phir vō āyā , phir vō āyā … . Jab barōbar islām dharm thā tō bauddhī thā hī nahī̃ , bauddhī thā tō kriściyan thā hī nahī̃ , kriściyan thā tō phir yē maṭh panth sanyāsī-vanyāsī , pū̃chaṛī-būchaṛī yē pichhāṛī key|kī birādrī thī hī nahī̃  ; kyōṅki pīchhē birādrī satōpradhān sē kamtī hōtī jātī hai nā . Yē tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ achchhī tarah sē baiṭhnā chāhiē jō phurt sē kōī bhī achchhā āvē tō unkō ā karkē samajhāvē . Yahā̃ manuṣhyō̃ kō meditation athavā yōg kā bahut śhauk hai . Unkō yē bhī baiṭh karkē samajhāvē ki chalō ā karkē hamārā meditation hall dēkhō . Meditation hall dēkhnē sē baṛē khuśh hōtē haĩ . Samajhē̃gē ki yē rilījiyas minded haĩ . Yē bhagvān key|kī bandgī vālē haĩ . Yē itnē pāp ātmā nahī̃ hōṅgē . Rilījiyas minded kahā hī jātā hai unkō jō pāp nahī̃ kartē hōṅgē , parantu yahā̃ tō jō bahut rilījiyas māiṇḍēḍ haĩ vō bahut pāp kartē haĩ . Baṛī samajh key|kī bāt hai . Kōī itnī mēhnat bhī nahī̃ hai . … bāp kō yād karnā aur rachnā kō yād karnā , ismē̃ mēhnat kyā hai aur sabkō samjhānā hai , jaisē bābā nē samjhāyā hai ki ham aisē meditation mē̃ yā yād mē̃ baiṭhtē haĩ . Yōg mānā yād . Aur tō manuṣhya patā nahī̃ kis-kis kō yād kartē haĩ . Hamkō tō sikhlānē vālā svayã parampitā paramātmā hai jō nirākār hamārā bāp hai . Uskō kahā hī jātā hai patit-pāvan god father rājyōg sikhlātē haĩ . Vō hamkō aisē kahtē haĩ , vō hamkō aisē sikhlātē haĩ . Tum sīkhō yā na sīkhō . Ham sabkī ēk mat hai . Śhrī bannē kē liē ham śhrī-śhrī sē mat lē rahē haĩ . Dēkhō , śhrī kā aim-object yah hai . Barōbar is samay mē̃ bahut jhagaṛā ātā hai ēkdam , bahut manuṣhya haĩ aur jab inkā rājya hai tab thōṛā hōgā , satyug mē̃ manuṣhya bhī thōṛē hōṅgē . Pīchhē kaisē vr̥iddhi kō pātē haĩ . Tum tō harēk chaitanya bījrūp hō gaē ēkdam , knowledgeful kyōṅki jaisā bāp vaisē bachchē , aisē kahtē haĩ nā . Jaisē bāp … yē jāntā hai jarūr ki bījrūp hai , jaisē jaṛ bīj hōtē haĩ tō unkō jhāṛ kā knowledge hōnā chāhiē  ; parantu unkī knowledge bhī hamkō hai . Apnē jhāṛ key|kī knowledge nahī̃ hai kōī kō bhī . Sādhu sant mahātmā kiskō bhī nahī̃ hai . Meditation kā bhī tumkō yukti sē samjhānā chāhiē , vō kaisē anēk mat vālē haĩ , ham ēk mat haĩ . Achchhā , bahut hī tumkō samjhāyā . Samjhānā tō 2 minute bhī bas hai , 1 minute bhī bas hai . Bākī tum bachchē bhī meditation mē̃ rāt kō bhī baiṭhē̃gē tō baṛā majā āēgā tumkō  ; kyōṅki tumkō dūsrō̃ kō sikhlānā bhī hai . Tō jitnā tum bāp kō yād karē̃gē utnā dhan tumhārē pās|pass jāstī rahēgā . Jitnī phir service karē̃gē itnā dhan tumhārē pās|pass vr̥iddhi kō pātā rahēgā . Gāyā jātā hai dhan diyē dhan nā khuṭē . Manuṣhya kyō̃ dān kartē hai  ? Samajhtē haĩ ki dān karnē sē hamkō aur prāpti hōgī . Yē sādhu-sant K|kē pichhāṛī kyō̃ laṭak martē haĩ  ? Dhan miltā jātā hai . Samajhtē haĩ sādhu key|kī kr̥ipā hai , isliē unkō bhī dān kartē rahtē haĩ . Dān kartē haĩ phir unkā phal unkō miltā jarūr hai . Aisā nahī̃ hai ki vō kōī niṣhkām sēvā kartē haĩ jō unkō phal na milē . Manuṣhya kō phal jarūr milnā hai . Niṣhkām sēvā god is one aur niṣhkām sēvā karnē vālā bhī maĩ ēk hū̃ jō tum samajh saktē hō . Braham-vraham tō nahī̃ kuchh ākar samjhāēṅgē  ! Dēkhō , bāp ākar samjhātē haĩ ki maĩ kaisē niṣhkāmī hū̃ . Braham kaisē samjhāēṅgē yā tatva kaisē samjhāēṅgē  ! Yē bāp khud ākar samjhātē haĩ ki maĩ hū̃ niṣhkāmī . Ā karkē tumhārī sēvā karkē nirvāṇdhām mē̃ chalā jātā hū̃  ; jaisē vō laukik bāp kartē haĩ , sēvā karkē unkō ( bachchō̃ kō ) sab kuchh dēkar phir nirvāṇdhām mē̃ chalē jānē kē liē  ; parantu vō chalē nahī̃ jātē haĩ . Agar vō dē karkē chalē jāē̃ tō niṣhkāmī hōvē  ; parantu yē bābā tō tumkō dēkar K|kē nirvāṇdhām mē̃ baiṭh jātē haĩ . Bōltē haĩ maĩ tumkō gad ‌ diyō̃ par rājabhāg dē karkē phir jākar K|kē nirvāṇdhām mē̃ baiṭh jātā hū̃ . Manuṣhya thōṛē hī aisē kar saktē haĩ . Vast ḍipharēnsa hai . Achchhā , ṭōlī khilāō . Samajhtē hō ki bāgvān , mālī vagairah yē hai . Dēkhtā hai ki hamārē fool|phūl kaisē haĩ , kaisē unnati kō pātē haĩ . Pānī tō inkō dētā rahtā hū̃ yōg sikhlātā rahtā hū̃ . Yē puruṣhārth karnā hai . Kōī jaṛ tō nahī̃ hai , jinkō ham dēgē … … aur jāntā hū̃ ki yē fool|phūl kis prakār kā hai , yē kalī kis prakār kī hai , yē kāṇṭā kis prakār kā hai . Tum aisē mat samjhō ki yahā̃ kāṇṭē nahī̃ haĩ . Uph  ! Baṛē-baṛē kāṇṭē haĩ . Inahēriṭēnsa milnā hai god father sē . Christ kō inahēriṭēnsa abhī milēgā . Kāhē kā  ? Dharm sthāpanā karnē kā inahēriṭēnsa . Pīchhē pope banē̃gē . Christ jab sthāpanā kartē haĩ , pīchhē pope the first jākar bantē hai . Jaisē yē . Jō mēhnat kartē haĩ tō jarūr pahlē number mē̃ jāēṅgē nā . Tō Christ dūsrē janm kyā lēgā  ? Vō tō samajhtē haĩ Christ kā soul līn hō gayā yā haivin mē̃ chalā gayā . Vō aisē kahē̃gē . Nahī̃ , bōlō ki Christ , jisnē sthāpanā key|kī dharm key|kī , unkī pālnā kē liē bhī tō gurū chāhiē nā . Tō yē pope lōg , inkē baṛē gurū haĩ . Jaisē yē lakṣhmī nārāyaṇ tumhārī pālnā karnē vālē haĩ , vaisē vō . Tō vō jākar pope the first , the second , the third bantē haĩ . Abhī kahtē haĩ Christ kahā̃ hai  ? Kahē̃gē vō ēk baigar K|kē part mē̃ hai . Tum akhbārē̃ nahī̃ paṛhtē hō . Unkō mālūm hai ki abhī jaisē baigar K|kē part mē̃ haĩ yānī garīb hai . Khaṛā hō karkē kyā dēkhtē hō  ? Arē , kyō̃  ? Yah bhī samajhtē hō ki maĩ phulvārī kō dēkhū̃gā . Yād ātā hai ki phalānā fool|phūl hai . Kabhī-kabhī tō khaṛā hō karkē dēkhtā hū̃ . Abhī samjhā  ! Yah baṛā achchhā mērā … kitnē achchhē fool|phūl haĩ , kitnē madadgār hai . Achchhā  ! Māt-pitā aur bāp-dādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati nambaravār puruṣhārth anusār yād pyār aur good morning .