गुरुवार 10 सितंबर 1964 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
10-09-1964 madhuban ābū prātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj gurūvār sēpṭēmbar key|kī das tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record -
Kaun āyā mērē man K|kē dvārē pāyal key|kī jhanakār liē … … …
Ōm śhānti . Mīṭhē bachchō̃ nē gīt sunā ki abhī hamārī buddhi mē̃ kiskī yād I|āī|eye ? Sabkī buddhi mē̃ yē hai ki patit-pāvan , kyōṅki akṣhar jarūr yād karnā hai . Aṅgrējī mē̃ phir unkō liberator bhī kah dētē haĩ . Śhāyad iṅgliś mē̃ patit-pāvan kā akṣhar bhī hō ; parantu vāstav mē̃ inkō liberator bhī kahtē haĩ . Kissē duḥkh sē . Duḥkhhartā aur phir sukhkartā ; kyōṅki inkā nām hī yē hai . Yē kōī manuṣhya kā nām nahī̃ hai , dēvtā kā nām nahī̃ hai . Yē hai hī patit-pāvan , phir gurū tō hō gayā . Patit-pāvan kō gurū hī kahā jātā hai . Sarv kā patit-pāvan , sarv kā sad gati dātā . Pichhāṛī kahtē tō haĩ god father . Tō tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yē āyā ki barōbar jiskō patit-pāvan kahā jātā hai , vō ēk hī pitā hamkō yād hai . Dēkhō , yah ēk key|kī hī mahimā hai nā . Manuṣhya key|kī yē mahimā kabhī bhī hō nahī̃ saktī hai . Lakṣhmī nārāyaṇ kō patit-pāvan nahī̃ kahā jā saktā hai . Brahmā viṣhṇu aur śhaṅkar kō patit-pāvan nahī̃ kahā jātā hai ; kyōṅki patit-pāvan ūñchē tē uñc rahtā hai . Ūñchē tē ūñchā bhagvān yā parampitā paramātmā . Ūñchā unkā nām bhī tō ṭhā̃v bhī . Ṭhā̃v kahā jātā hai rahnē kā sthān . Abhī tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yah niśhchay hai ki yē hamārā bābā bhī hai , kyōṅki yah tō kiskī buddhi mē̃ baiṭh nahī̃ saktā hai ki yē hamārā bābā bhī hai jarūr . Śhivbābā kō tō bābā hī kahtē haĩ aur jab ' śhiv ' akṣhar kahtē haĩ tō vō tō nirākār hī hai . Uskā nām kōī śhivśhaṅkar nahī̃ hai . Śhiv kā alag chitra hai , śhaṅkar kā alag chitra hai . Bachchō̃ kō tō samjhānā bhī paṛtā hai nā ki vō bāp bhī hai , patit-pāvan bhī hai yānī śhikṣhak bhī hai tō sadgurū bhī hai . Āj guruvār hai , parantu tumhārā tō satgurūvār rōj hai ; kyōṅki satgurū tumkō rōj paṛhātā hai aur vō tumhārā bābā bhī hai . Yah tō bachchō̃ kō buddhi mē̃ niśhchay hōnā chāhiē nā ki abhī mērī buddhi mē̃ kyā niśhchay āyā ; kyōṅki iskō sarvavyāpī nahī̃ kahē̃gē . Har ēk key|kī ātmā key|kī buddhi mē̃ āyā ki yē patit-pāvan parampitā paramātmā hamkō rājyōg bhī sikhlātē haĩ ; kyōṅki gyān kā sāgar hai . Yah her|har vakt tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ rahnā chāhiē . Manuṣhya tō sirph ēk gurū kō yād karē̃gē , ēk kr̥iṣhṇa kō yād karē̃gē , phalānā kō yād karē̃gē . Yē ēk hī hai jiskō tum kōī bhī nām sē yād karō tō bāt ēk hī rah jāē . Pitā hai tō bhī buddhi ūpar chalī jāē . Kōī bhī ākār yā sākār mē̃ nahī̃ hai ; kyōṅki ātmā kō tō abhī paramātmā sē kām paṛā hai nā . Dēkhō , bhaktimārg mē̃ sabhī jīv K|kē ātmāō̃ kō parampitā paramātmā sē , uskō kahtē bhī haĩ pitā sē kām paṛā huā hai ; parantu yē kōī jāntē hī nahī̃ haĩ . Nahī̃ tō tumkō bābā nē samjhāyā hai ki yē jō trimūrti haĩ yē barōbar unkā bhī hai . Dikhlātē haĩ brahmā viṣhṇu śhaṅkar . Trimūrti kā tō hai hī yahā̃ , phir me śhiv kō uṛāy diyā hai . Jaisē ki unkō vināśh kar diyā hai . Kyō̃ vināśh kar diyā hai ? Unkō patthar mē̃ , ṭhikkar mē̃ , bhittar mē̃ , jaisē kahē̃ ki unkā lāśh hī gum kar diyā hai . Lāśh unkī kaun see|sī|C hai ? Yē śharīr key|kī lāśh nahī̃ , vō ātmā hī hai . Unkā nām tō dūsrā rakhā hī nahī̃ jātā hai . Ab gātē bhī haĩ ki barōbar gyān kā sāgar hai . Bāp nē bachchō̃ kō samjhāyā hai ki lakṣhmī nārāyaṇ kō kabhī bhī kōī gyān kā sāgar nahī̃ kah saktē haĩ . Gyān kāsāgar mānā jō gyān sunāē , sad gati karē . Abhī lakṣhmī nārāyaṇ kō gyān kahā̃ hai jō kiskī sad gati karē̃ ? Aur vahā̃ durgati vālē kahā haĩ jō kiskō gyān sunāē tum bachchō̃ kō mālūm hō gayā ki barōbar vō gyān hai hī nahī̃ , vō tō dant-kathāē̃ haĩ yānī gyān vō jō gyān sāgar sē milē , kyōṅki gyān-sāgar kō hī kahtē haĩ manuṣy-sr̥ṣṭi kā bīj . Bāp hai bīj . Strī kō adopt kartē haĩ , gōd mē̃ lētē haĩ aur bachchō̃ kō paidā kartē haĩ , tō phir unkō bāp kah dētē haĩ . Yē bhī tō sabhī ātmāō̃ kā bāp hai . Inkō bhī bāp hī kahā jātā hai ; kyōṅki creator hai . Tō vō hai bēhad kā bāp aur vō haĩ had K|kē bāp . Abhī tō bēhad K|kē bāp kō sabhī had K|kē bāp bhī yād kartē haĩ ; isīliē kahtē haĩ bāpō̃ kā bāp . Yānī pati hai tō bhī unkō yād kartē haĩ sājan kō isliē patiyō̃ kā pati kahā jātā hai . Achchhā , kōī kahē̃gē guruō̃ kā gurū . Tō barōbar yē sabhī jō bhī guru haĩ vō sabhī hī yād kartē haĩ . Sādhu hai unkā nām , isliē phir bhī unkī sādhnā kartē haĩ . Ājkal chitrō̃ mē̃ bhī batāy diyā hai ki rām kē āgē , śhaṅkar kē āgē liṅg rakh dētē haĩ , kyōṅki yah bhī tō samjhā jānā chāhiē ki vō nirākār hai , ūñchē tē ūñchā hai barōbar . Tō abhī unkō hī kahā jātā hai barōbar vō liberate kartē haĩ . Abhī tum jāntē hō ki kyā kartē haĩ . Hamkō is māyā , pañch vikār rūpī yē duniyā sē hī chhuṛātē haĩ ; kyōṅki bachchō̃ kō samjhānā chāhiē ki dēkhō , abhī tō sabhī patit hī patit haĩ . 5000 varṣh pahlē jab in ādi sanātan dēvī dēvtāō̃ kā rājya thā us samay bhārat mē̃ ēk hī rājya thā aur barōbar sukhdhām thā . Us samay mē̃ ārya kā rājya nahī̃ kahō . Bhārat mē̃ pavitratā bhī thī , śhānti bhī thī , sukh bhī thā … . Uskā nām hī rakhā huā svarg , vaikuṇṭha , heaven . … sō bhī tō yahā̃ hōgā nā . Heaven kō sūkṣhmavatan , mūlvatan tō nahī̃ kahē̃gē nā . Heaven K|kē against hai hell . Patit K|kē against hai pāvan . Yē buddhi mē̃ rakhnā hai nā . Yē tō kōī muśhkilāt nahī̃ hai samjhānē key|kī aur usmē̃ bhī bāp nē kahā hai ki dēkhō , ēk hī kā nām hai , ēk kō yād karō tō bhī bahut achchhā . Bābā hai , barōbar unsē varsā milnā hai , barōbar sadgurū hai , pāvan duniyā mē̃ lē jānē vālā hai , rājāī dētā hai , rājyōg sikhlātē haĩ ēk hī . Dēkhō , ēk key|kī kitnī mahimā hai . Aisē tō kōī manuṣhya key|kī vā dēvtā key|kī tō mahimā hai nahī̃ . … nārāyaṇ kō tō yah mahimā dē nahī̃ saktē haĩ . Ēk hī nirākār kī hai … sabhī ātmāē̃ nirākār hī haĩ jabki śharīr sē alag haĩ . Unkō bhī nirākār kahā jātā hai . Barōbar bāp bhī kahtē haĩ - bachchē , tum bhī nirākār hō , yahā̃ śharīr lē karkē apnā part bajātē hō . Part kaisē bajātē hō ? Yah tō bāp nē bachchō̃ kō sab samjhā diyā ki kitnā janm tum part lētē hō yā kitnā janm tum yē śharīr , chōlā badaltē rahtē hō . Sabkā jab chōlā miltā hai tō unkā nām paṛtā hai . Brahmā kā bhī chōlā hai , bhalē sūkṣhmavatan mē̃ jāō tō sūkṣhma chōlā hai . Phir bhī śharīr tō hai nā , bhalē sūkṣhma śharīr hai . Bhalē jarūr kahē̃gē . Unmē̃ bhī ātmā hai . Jaisē ghost hōtā hai tō jarūr unmē̃ bhī ātmā hai nā , jō vō chhāyā K|kē māphik chakkar lagātā rahtā hai , phirtā rahtā hai . Dēkhnē mē̃ ātā hai . Tō vaisē hī brahmā viṣhṇu śhaṅkar kō bhī apnā sūkṣhma śharīr hai . Mērē kō tō apnā śharīr hai nahī̃ ; isliē mujhē kahtē hī haĩ nirākār . Uskō bāp kahat bhī haĩ jarūr . Bachchō̃ kō bahut achchhī tarah sē samjhāyā hai kiskō samjhānā hō tō unkō bōlō yē tumkō mālūm hai ki tumkō dō bāp haĩ ? Tumkō dō bāp haĩ , tumhārē bāp kō bhī dō bāp haĩ , kyōṅki bāp tō chaltē hī ātē haĩ aur vō sabhī bāp kō yād kartē haĩ jarūr . Vō ēk hai aur vō anēk bāp haĩ . Bachchō̃ kō tō yē buddhi K|kē andar baiṭhnā chāhiē ki phir bhī ēk bhūl jāē tō bhalā teacher yād paṛē , teacher bhūl jāē tō bhalā sadgurū tō yād paṛē nā . Kiskō bhī tō yād karnā chāhiē nā . Tīn haĩ tumkō yād karnē kē liē . Yē tumhārā bāp bhī hai . Bāp khud bhī kahtē haĩ , tum sab jāntē bhī hō , achchhī tarah sē samjhātē haĩ . Bāp jarūr hai , patit-pāvan jarūr hai , kyōṅki samjhāō ki bhārat jab pāvan thā , abhī patit hai jarūr . Pāvan thā tō sirph pāvan thā . … abhī yah vichār karō ki itnī jō ātmāē̃ haĩ , vō kahā̃ nivās kartī hōṅgī ? Muktidhām mē̃ , nirvāṇdhām mē̃ yā unkō vānaprasth bhī kah saktē haĩ , vāṇī sē parē sthān ; kyōṅki yahā̃ jō manuṣhya buḍaḍhē hōtē haĩ tō vānaprasth uskī avasthā kō kahā jātā hai ki vāṇī sē parē jānē kē liē guru key|kī śharaṇ lētē haĩ . Phir hamkō nirvāṇdhām mē̃ pahũcāvē kaun . Guru kō pahuñchānā hōtā hai nā , parantu vō kōī sadgurū tō nahī̃ hai . Pahuñcāy saktē bhī nahī̃ haĩ ; kyōṅki jhāṛ kō tō baṛhnā hai hī . Har ēk kō apnā satō rajō tamō part tō bajānā hī hai . Bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai ki bachchē , mukhya part hai tum bhāratvāsiyō̃ kā . Kiskā ? Sabhī bhāratvāsiyō̃ kā ? Nā . Bhāratvāsī jō tumhārā ādi sanātan dēvī dēvtā dharm hai , 84 janm vō lētē haĩ ; kyōṅki gāyā bhī tō jātā hai nā - ātmāē̃ paramātmā alag rahē bahukāl . Abhī hisāb karnā chāhiē nā bahukāl kā . Sahaj hai nā . Bahukāl mānā jō is sr̥iṣhṭi par pahlē pahalēpārṭa bajānē vālē āē , jinkō ant tak part bajānā hai . Nahī̃ tō 84 janm kiskō kahē̃ ? Tō maiksimam samjhāyā gayā hai ki barōbar 84 janm , 84 kā chakkar kahā jātā hai . Aisē kabhī nahī̃ kahtē haĩ ki 84 lākh kā chakkar . Tō tum bachchō̃ kō 84 kā chakkar tō samjhāyā . Tum āgē tō nahī̃ jāntē thē nā . Dēkhō , bāp pūchhtē haĩ , tum āgē jāntē thē ? Mama sē bhī pūchhē̃ , āgē jāntī thī 84 kā chakkar kaisē hōtā hai ? Achchhā , insē kaisē pūchhē̃ ? Insē pūchhā tō jaisē insē bhī pūchhā ; kyōṅki inkī ātmā bhī suntī tō hai nā . Tō yē dō ātmāō̃ kā bhī samajhnā chāhiē bachchō̃ kō ki barōbar dūsrī ātmā pravēśh kar saktī hai . Jabki aśhuddh ātmā kā kōī śhuddha ātmā mē̃ pravēśh hō saktā hai tō yah kyō̃ nahī̃ hō saktā hai ? Bāp tō khud ākar kahtē haĩ nā , maĩ kaisē tum bachchō̃ kō rājyōg sikhlāū̃ ? Jarūr mujhē ५१ chāhiē nā . Gyān kā sāgar mujhē kahtē hō nā . Satyug kō sthāpan karnē vālā bhī kōī manuṣhya tō nahī̃ hōgā nā . Nahī̃ . Uskō tō kahā hī jātā hai heavenly god father . Tum bhī vaikuṇṭha kō aisē yād kartē hō tō … vaikuṇṭha kā mālik jarūr haĩ rādhē aur kr̥iṣhṇa . Sō bhī tō rājdhānī hai yānī ēk tō nahī̃ haĩ nā . Jab manuṣhya vaikuṇṭha kahtē haĩ tō śhrī kr̥iṣhṇa key|kī rājdhānī ā jātī hai . Gātē haĩ barōbar ki ṭhīk hai , śhrī kr̥iṣhṇa kā nām rakhnā chāhiē , kyōṅki vō pahlā number kā prince hai aur us samay mē̃ satōpradhān hai . Tō hamēśhā jō satōpradhān hōtē haĩ unkō kahā hī jātā hai yū̃ hī mahātmā , phir bhī tō yugal hō jātē haĩ nā . Jaisē yahā̃ akēlē hai tō kumārī , śhādī kiyā tō adharkumārī . Adhar kumārī sē kumārī kā mān uñc tō hai nā . Bhalē rādhē-kr̥iṣhṇa svayamvar kē bād pavitra rahtē haĩ , phir bhī tō yugal hō gaē nā . Phir bhī kahē̃gē tō sahī nā ki vō bhī adhar hō gaē yānī yugal hō gaē . Phir kumār kā nām badal jātā hai , kumārī kā nām badal jātā hai . Pīchhē tō mātā aur pitā ban jātē haĩ nā . Jab yē āpas mē̃ miltē haĩ tō jaisē mātā-pitā ban jātē haĩ . Jab bachchā paidā hōgā tab unkō mātā-pitā kahēgā . Yū̃ bhī śhādī kē bād tō jarūr yē samajhnā chāhiē jarūr ki barōbar yē pitā hai , yē mātā hai . Jab dō hōṅgē tō kōī bhī bōlē̃gē ki yē mātā hai , yē pitā hai ; kyōṅki yē aṇḍarasṭuḍ hōtā hai ki jarūr inkō kōī santān bhī hōgī yā hōnē vālī hōgī . Kahē̃gē tō mātā-pitā nā , pīchhē kumār yā kumārī tō nahī̃ kahē̃gē nā . Kumārī tō nahī̃ kahē̃gē nā phir ; isliē yē kr̥ṣṇāpurī , abhī kanspurī . Hai bhī barōbar nā . Kaṅs kahā jātā hai āsurī sampradāy kō , kr̥iṣhṇa kahā jātā hai daivī sampradāy kō . Tō ēk kaṅs , ēk kr̥iṣhṇa tō nahī̃ ṭhaharā|ṭhahrā nā . Kaṅs sampradāy phir vō śhrīkr̥iṣhṇa sampradāy . Barōbar unkī rājāī hōgī . Phir yē kaṅs . Tō inkī bhī rājāī hai . Abhī yē rāvaṇ key|kī rājāī hai . Rājāī mē̃ kaun-kaun rahtē haĩ ? Phir dēkhō , nām rakh diyā hai nā - akāsur bakāsur , kaṅs , jarāsindhī śiśupāl , mēghanād phalānā-phalānā bahut nām ḍāl dētē haĩ . Jab rāvaṇ kā nikāltē haĩ tō nikāltē haĩ nā ki yē mēghanād hai . Kyā-kyā nām nikāltē haĩ . Tō yē bāp ā karkē achchhī tarah sē sab samjhātē haĩ ki yē rām aur rāvaṇ tō kōī hai nahī̃ . Yē tō baiṭh karkē khēl banāyā hai , jaisē aur nāṭak bantē haĩ . Abhī nāṭak kitnē bantē haĩ ? Naē-naē nāṭak bantē rahtē haĩ , hai tō kuchh nahī̃ nā . Vō baiṭh karkē khēl banātē haĩ manuṣhya kō dikhlānē kē liē . Hai kuchh bhī nahī̃ . Yahā̃ jā karkē vō kyā samajhtē haĩ . Unkō gānā achchhā lagtā hai , dancing achchhī lagtī hai . Jaisē kōī akhānī yā novel paṛhtē haĩ aur yē us novel kō dēkhtē haĩ . Yē nām-rūp dēkh karkē sab , kyōṅki novel mē̃ bhī nām hai , bākī rūp nahī̃ hai . Tō yē bhī novel aisē banā dētē haĩ , nāṭak banā dētē haĩ . Tō yē kitāb bhī banāy dī hai . Iskō kitāb kahā jāēgā . Kitāb nām tō school mē̃ hai . Inkō kitāb bhī tō na kah sakē̃ ; isliē inkō śhāstra kah diyā hai . Abhī śhāstra haĩ jarūr . Dharmaśhāstra . Jis-jisanē dharm sthāpan kiyā , unkā śhāstra . Yē tō bachchē jāntē haĩ ki har ēk dharm kō āryasamājī , chidākāśhī rādhāsvāmī harēk kō apnā śhāstra hai . Rādhāsvāmiyō̃ kā kaun thā jisnē yē maṭh sthāpan kiyā ? Aur phir unmē̃ yē śhāstra haĩ , jō paṛhtē haĩ . Tum dēkhē̃gē śhāstra mē̃ har ēk dharm key|kī paṛhāī alag hai . Ham phalānē rādhāsvāmī K|kē dharm mē̃ , maṭh mē̃ jātē haĩ . Maṭh kahē̃gē , panth kahē̃gē kyōṅki samjhāyā gayā hai nā ki dharm tō baṛē hōtē haĩ . Dēkhō , kitnē baṛē islāmī , bauddhī kriściyan . Yē apnā dharm kitnā baṛā hai aur vō phir thōṛā . Phir yah bhī tō hai unkā ; kyōṅki unkō ānā hai . Ātmāō̃ kō ā karkē phir sē apnā apnā … . Kōī sē pūchhō ki tumhārā dharm sthāpan karnē vālā gurunānak āyā . Achchhā , phir yē kab āēgā ? Tō vō bōl dētē haĩ - jyōti-jyōt mē̃ samāyā . Jyōti-jyōt mē̃ samāyā tō khalās hō gayā . Tō nahī̃ ānē kā hai phir kabhī ? Nahī̃ tō phir sr̥iṣhṭi kaisē chakkar lagātī hai ? Bhalā tum kyō̃ unkō yādakaratē hō ? Vō tō hō gayā . Dharm sthāpan karkē khud bhī āyā . Yē bhī jāntē nahī̃ haĩ , yē tum bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai . Khud gurūnānak key|kī soul I|āī|eye . Phir unkī jō bhī sēnsas hai , jō bhī unkē ādamśhumārī K|kē sikkh dharm vālē haĩ , bas vō … ātē-jātē haĩ . Dēkhō , abhī kitnē sikkh dharm hō gaē haĩ . Achchhā , phir bhī tō history repeat karē̃gē nā . Achchhā , phir batāō yē gurunānak kab āēgā ? Bēchārē kuchh batāy nahī̃ sakē̃gē . Tum batāy dēgē achchhī tarah sē hisāb karkē ki bhaī 5000 kā chakkar hai , unkō abhī 500 varṣh huā hai . Achchhā , phir yē jab āyā thā aur phir vō 4500 varṣh kē bād phir āēgā . Tum aisē kah dēgē nā . 4500 varṣh kē bād phir tumhārā vō gurunānak ā karkē sikkh dharm sthāpan karēgā ; kyōṅki ham khud hī baiṭh karkē apnā ādi sanātan dēvī dēvtā dharm sthāpan kartē haĩ tō jarūr dūsrē dharm vālē bhī ā karkē nambaravār phir karē̃gē . Tō tum bachchō̃ kō chakkar kā aur dharmō̃ kā achchhī tarah sē rāj samjhāyā gayā hai . Abhī kōī kahtē haĩ ki mērī buddhi mē̃ itnā nahī̃ baiṭhtā hai . Bhalā thōṛā tō baiṭhtā hai nā . Bāp kahtē haĩ yah jō tum patit-pāvan bulātī hō vō tō jarūr tumhārā sat gurū hō gayā . Achchhā , yē father kahtī hō , sō tō tum ātmāō̃ kā bāp hai hī . Tum bhaktō̃ kā , sādhu-sant-mahātmā jō bhī haĩ , sabkā pitā bhagvān ṭhaharā|ṭhahrā . Vāstav mē̃ kōī kō bhī jab bhī kahā jātā hai tō ātmā hī kahī jātī hai - puṇyātmā pavitra ātmā , apavitr ātmā , mahān ātmā . Kabhī kiskō pichhāṛī mē̃ paramātmā tō kahā hī nahī̃ jātā hai . Aisē nahī̃ hai ki yē ātmāē̃ jā karkē paramātmāai banē̃gī , na hī paramātmā kōī aisī chīj hai jismē̃ yē ātmāē̃ jā karkē līn hō jāē̃gī . Jaisē misāl dētē haĩ ki budbudā hai , nikal karkē sāgar mē̃ līn hō jāē̃gē . Aisī tō bāt hai nahī̃ . Dēkhō , kitnē gapōṛē haĩ . Phir unkē jō followers haĩ , jō unkō sikhlāyā jātā hai bas vahī kahtē āēṅgē . Kissē pūchhō tō kahē̃gē jyōti-jyōt mē̃ samā jātē haĩ , kisī kō pūchhō tō bōlēgā budbudā jaisē sāgar milē usmē̃ hō jātā hai . Kōī phir kahtē haĩ ki nirvāṇdhām mē̃ gayā . Abhī nirvāṇdhām tō nirvāṇdhām hī hō gayā . Jaisē kahtē haĩ - buddha key|kī soul kahā̃ gaī ? Pār nirvāṇ gaī . Nirvāṇdhām kahō , pār nirvāṇ kahō , bāt tō ēk hī rahtī hai nā . Yahā̃ kahtē haĩ jyōti jyōt mē̃ . Abhī kaun right ? Budbudā , pār nirvāṇ tō ṭhīk hai . Nirvāṇdhām sē ham ātē hai ; kyōṅki nirvāṇ kahā hī jātā hai unkō jahā̃ vāṇī key|kī gam nahī̃ hai . Ātmāō̃ kō śharīr milē tab kuchh movie yā talkie banē . Sūkṣhma śharīr hai tō movie hai . Yē bachchē jāntē haĩ , anubhav hai . Duniyā kō tō anubhav nahī̃ hai nā ki yahā̃ movie chaltī hai . Mukh sē aisē-aisē bāt kartē haĩ jaisē gū̃gē . Tō vō bhī ēk laiṅgvēj hai . Vahī key|kī kitnī sūkṣhma laiṅgvēj hai jō vō vahā̃ samajhtē haĩ , samajh karkē ḍāyarēksãs lē ātē haĩ . Talkie tō vahā̃ hai nahī̃ , phir vō sukṣmavatan mē̃ jā karkē ḍāyarēksãs kaisē lē ātē haĩ ? Yah bhī tō wonderful bāt hai nā . Tō drama mē̃ yah bhī bāt samjhāī huī hai ki barōbar vō sukṣmavatan hai . Unkō kahā jātā hai - movie , talkie silence . Barōbar movie K|kē bāiskōp bhī thē . jō aisē-aisē sab kartē thē , chaltē thē . Pīchhē unmē̃ majā tō āyā nahī̃ kiskō , kyōṅki kuchh rāg-vāg tō thā hī nahī̃ . Tō phir inmē̃ sab talkie kar diyā . Yē bhī tō siddh kar batātē haĩ kasāilēnsa movie aur talkie tīn duniyā hai . Kahtē haĩ silence mē sirph brahmā viṣhṇu śhaṅkar bas , aur kōī hōtē hī nahī̃ haĩ , jiskē liē samjhāyā jātā hai ki inkē ūñchē paramapitā-paramātmā hai , jō silence world mē rahtē haĩ aur ham ātmāē̃ bhī vahā̃ rahtī haĩ . Ab yah bachchō̃ kō tō achchhī tarah sē samjhāyā huā hai nā . Kiskō achchhī tarah sē kyā samajhāvē ? Patit-pāvan guru tō satgurū hō gayā . Aur kōī bhī guru hō nahī̃ saktē haĩ , kyōṅki sarv kā sad gati dātāēk hai tō jarūr sabhī jō bhī manuṣhya haĩ , phir apnē kō guru kahlāē , r̥iṣhi kahlāē , muni kahlāē , sarasvatī kahlāē , mahāmaṇḍalēśhvar kahlāē jō bhī kuchh kahlāē , haĩ tō sabhī patit , kyōṅki hai hī patit duniyā . Pāvan banānē vālē kō jāntē hī nahī̃ haĩ . Kōī sayānā hō tō government kō bhī likhē ki tum lōgō nē tīn brahmā viṣhṇu śhaṅkar tō ṭhīk lagā diyā hai . Ūñchē tē ūñchā bāp jiskō kahā jātā hai unkō tō ūpar mē̃ lagāō . Tum lōg unkō tō jiy dān dō . Inkō tō dēvtā kahā jātā hai . Inkō rachnē vālā kahā̃ ? Unkō kyō̃ kabradākhil kar diyā hai ? Tō barōbar unkō kabradākhil karnē sē sabhī manuṣhya kabradākhil hō gaē haĩ . Kahā bhī jātā hai barōbar - paramātmā ātē haĩ , sabkō kabra sē jagātē haĩ , phir lē jātē haĩ . Aisē hai nā . Barōbar bāp bhī kahtē haĩ - bachchē , yē kabristān tō bannā hī hai . Yē dēkh rahē hō ki vināśh tō hōnē vālā hī hai , mahābhārat key|kī laṛāī tō vahī hai . Yē tō jarūr hai ki is kabristān yānī vināśh kē bād phir satyug K|kē gēṭ C khultē haĩ , kyōṅki rājyōg sīkh rahē hō satyug kē liē . Yē ākar rājyōg satyug kē liē sikhlātē haĩ . Nahī̃ tō kahā̃ kē liē rājyōg sikhlātē hai ? Nar sē nārāyaṇ sō tō satyug kā hī banē̃gē nā . Yē hai hī rājyōg . Bāp nē samjhāyā huā hai ki is samay mē̃ tum bāp sē sīkhtē hō . Kaisē rājya lētē hō ? Yōgbal sē . Iskō hī kahā jātā hai nôn vāyalēnsa kōī see|sī|C vāyalē̃s nahī̃ haĩ . Yē manuṣhya , sādhusant , mahātmā nahī̃ samajhtē haĩ vāyalē̃s kiskō kahā jātā hai . Vāyalē̃s hai ēk-dō kō kām kaṭārī nahī̃ chalānā hai . Vō sabsē baṛī hiṅsā hai . Dēvī-dēvtā dharm kō kahā jātā hai ahiṃsā paramō dēvī-dēvtā dharm aur thā barōbar , jiskō hī nirvikārī kahā jātā hai . kām-kaṭārī nahī̃ chaltī hai . Bāp nē ākar samjhāyā ki is vikār sē tum ādi-madhy-ant duḥkh bhōgtē hō aur vō nirvikārī hōnē K|kē kāraṇ ādimadhy-ant duḥkh nahī̃ bhōgtē haĩ . Vō hō gayā amarlōk , yē hai mr̥ityulōk . Amarlōk aur mr̥ityulōk bhī hai tō sahī nā . Mr̥ityulōk mē̃ baiṭh karkē kathā sunātē haĩ amarlōk jānē kē liē . Kahā̃ ? Yē manuṣhya sr̥iṣhṭi mē̃ . Aisē tō nahī̃ hai ki śhaṅkar phir baiṭh karkē pārvatī kō vahā̃ amarkathā sunāē̃gē . Śhaṅkar bēchārā kyā jānē amarkathā sē ! Yē kisnē kahā ? Jarūr insē ūñchā kōī hōgā , vō tō kah saktē haĩ , nahī̃ tō bāp kahtē haĩ - maĩ unkā bāp hū̃ aur kahtā hū̃ ki yē śhaṅkar bēchārā kyā jānē is amarkathā sē ! Vō kōī trikāldarśhī thōṛē hī hai . Trikāldarśhī tō maĩ who|hū aur mujhē trikāldarśhī manuṣhyō̃ kō banānā hai . Tō barōbar baiṭh karkē unkō trikāldarśhī banātā hū̃ . Trikāldarśhī , trinētrī , phir trilōkīnāth - yē tum bachchō̃ kō titles miltē haĩ nā . Tīnō lōkō̃ kō jānnē vālē , tīnō̃ kālō̃ kō jānnē vālē - yē tō bhagvān key|kī mahimā hai . Baiṭh karkē tum bachchō̃ kō āp sāmān banātē haĩ . Āp samān banā karkē tum bachchō̃ kō sāth mē̃ lē jātē haĩ . Jab tum vahā̃ jātē hō tō tum is gyān sē jāntē hō , tum gyān sāgar kēbaccē master gyān sāgar ban jātē hō . Tumhārī buddhi mē̃ kaun-sā gyān rahtā hai ? Yē sr̥iṣhṭi kā chakkar kaisē phirtā hai , kyōṅki kahtē haĩ - maĩ manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp aur chaitanya hū̃ knowledgeful hū̃ . Tum bhī aisē kahtē hō nā - manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp hai , patit-pāvan bhī hai aur knowledgeful bhī hai . Tō mujh bīj mē̃ kaun-sī knowledge hōgī ? Kyōṅki chaitanya hū̃ knowledge hai . Aisē tō nahī̃ kahēgē ki us jhāṛ K|kē bīj mē kōī knowledge hai . Yē jarūr hai vō jaṛ hai , isliē ham jō chaitanya haĩ jāntē haĩ ki barōbar vō jō ām kā yā kōī kā bīj hai , insē aisē ūñchā jhāṛ nikaltā hai . Unamē kaisē yē phal nikaltē haĩ . Abhī ham phir manuṣhya sr̥iṣhṭi K|kē jhāṛ kō jāntē haĩ . Bābā kahtē haĩ - maĩ bīj ūpar mē̃ hū̃ , yē ulṭā hai , isliē maĩ is ulṭē jhāṛ K|kē ādi-madhy-ant kō jāntā hū̃ sr̥iṣhṭi-chakra kō jāntā hū̃ drama kō jāntā hū̃ . Dūsrē tō kōī nahī̃ jāntē haĩ nā . Bāp baiṭh karkē bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki mujhē manuṣhya kahtē bhī haĩ - sat hai , chaitanya hai , ānand kā sāgar hai , gyān kā sāgar hai , sukh kā sāgar hai , śhānti kā sāgar hai , pavitratā kā sāgar hai . Achchhā , unhī̃ sē inahēriṭēnsa milnā chāhiē . Barōbar tum sab ātmāē̃ inahēriṭēnsa lē rahē hō mujh apnē bāp sē . Inahēriṭēnsa kāhē kā lē rahē hō ? Yahā̃ ki tum ever 21 janm kē liē pāvan banē̃gē . Ever nahī̃ banē̃gē . Vō batā dētē haĩ - maĩ tō ever pāvan hū̃ kyōṅki vahī rahtā hū̃ . Tumkō tō phir yahā̃ part bajānā hai , isliē tum 2 . Janm kē liē pāvan banē̃gē . Sō bhī samjhā diyā hai ki tumhārī kalā kamtī hōtī jātī hai . Is samay mē̃ sirph tumhārī hai chaṛhtī kalā . Ēk granth mē̃ hai , baiṭh karkē samjhātē haĩ - chaṛhtī kalā tērē bhāgē sarv kā bhalā . Baran , satyug mē sē vahā̃ sē āy , kyōṅki vahā̃ par tum bachchē master gyān sāgar ban jātē hō , phir vahā̃ sē nīchē āy tumhārī kalā thōṛī kam hō jāēgī . Chaṛhtī kalā abhī is samay mē̃ hai . Pīchhē satyug mē̃ kalāai phir kamtī hōtī jāēgī . Chaṛh karkē nīchē bhī tō utarnā hai nā . Tō abhī tumhārī chaṛhtī kalā hai . Abhī tum bāp sē bēhad kā varsā lētē hō . Abhī tum bahut service bhī kartē hō . Jaisē bāp kō yād kartē haĩ nā - ō patit-pāvan āō . Phir kaun tumhārē madadgār hōṅgē ? Barōbar śhivśhakti aur pāṇḍav sēnā . Yē śhivśhakti phir ākar is patit duniyā kō pāvan karnē mē madad kartī hai . Nām bhī tō gāyā jātā hai nā jinkō kahā jātā hai - chand mātaram ' . Patit kō tō bachchē mātaram kōī nahī̃ kahēgē . Khud hī mātāai jō kumārī rahtī haĩ , pāvan hōnē sē unkō sabhī vandanā kar māthā jhukātē haĩ . Phir jab mātā ban jātī hai tō jab bhī kōī matthā jhukāyē . Tō bāp ā karkē mātāō̃ dvārā . śhakti dal dvārā gupta . Tum kiskō bhī hāth nahī̃ chhūtī aur vikār mē nahī̃ jātī tō tum jaisē ki double ahiṃsā vālē ṭhaharē . Jaisē kahtē haĩ nā - ahiṃsā paramō dharm . Rājya bhī lētī hō , parantu hathiyār nahī̃ chalātī hō aur pavitra bhī rahtī hō . Dēkhō tō tum double ahiṃsak aur vō sabhī double hiṃsak , kyōṅki vikār mē̃ bhī jātē haĩ , manuṣyō kō mārtē bhī haĩ . Duḥkh bhī dētē haĩ nā . Kaun-sā duḥkh ? Arē ! Vō tō kām kaṭārī sē sab ēk dō kō duḥkh dē rahē haĩ . Pahlā number kā tō duḥkh vō hai nā . Duḥkh K|kē tō pahāṛ girtē haĩ nā . Kinhō dvārā duḥkh K|kē pahāḍ girtē haĩ ? Manuṣhyō̃ kā manuṣhyō̃ kē ūpar . Dēkhō , yē krōdh kā . Iskō kahā jātā hai bēhad krōdh aur yē bhī samajhtē hō abhī bēhad vaiśhyālay hai bahut . Barōbar is samay mē̃ tō manuṣyō nē bahut hī gālī bhī dē dī hai-drōpadī kō pañch pati . Yē bhī kabhī hō saktā hai ? Tō isī samay K|kē śhāstrō̃ mē̃ likhā hai nā . Drōpadī kō pañch pati bhī in śhāstrō̃ mē̃ likhā huā hai . Kr̥iṣhṇa kō 16000 rānī is bhāgavat śhāstra mē̃ likhā huā hai . Kahā̃ drōpadī , kahā̃ unkī rāniyā̃ , tō gāliyā̃ hā̃ gāliyā̃ ṭhaharī nā . Rāmāyaṇ mē̃ , bhāgavat mē̃ bhī gāliyā̃ hī tō haĩ nā . Iskō hī kahā jātā hai dharm key|kī glāni . Yānī mērī bhī glāni , jō maĩ bhārat kā ādi sanātan dēvī dēvtā dharm sthāpan kartā hū̃ . Islām key|kī , bauddhī key|kī … kabhī kiskī glāni nahī̃ karē̃gē . Yē tō dēkhō , inhōnnē apnē āp kō chamāṭ mārī hai . Sabkī glāni yah drama mē̃ nūndh hai bōltē haĩ . Bōlē̃gē - inkā dōṣh hai ? Nahī̃ , yē abhī tō samjhātē haĩ drama mē̃ nūndh hai . Barōbar inkō aisē hī girnā hai jarūr . Tō jabki girnā hai tō dōṣh kyā ! Abhī chaṛhnā hai , chaṛhtī kalā hai . Tō phir bāp kahtē haĩ - jāō , har ēk jagah mē̃ ḍhiṇḍhōrā piṭvāō ki jiskō tum bhakta yād kartē hō vō bhagvān ā gayā hai aur bhagvān apnā svarg kā khajānā lē āē haĩ . Tīrī par bahiśht . Tō tum bachchō̃ kō bhī samjhāyā gayā hai ki sabkō samjhāō ki bēhad kā bāp āyā huā hai . Vō tō hai hī svarg kā rachtā . Record - - ōm nam śhivāy sachchī tō sachchā batāēgā . Yē tō jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā , jhūṭhā sab saṅsār hai . Sach kaun batāēgā ? Unkō kahā hī jātā hai ' sach ' aur barōbar kathā dēkhō kitnī lambī-chauṛī hai . Abhī talak paṛhtē rahō . Yah kathā tumkō ant tak paṛhnī hai . Nar sē nārāyaṇ banānē kē liē tumkō paṛhnī hai . Kathā kaun-sī hai ? Sr̥iṣhṭi kā chakkar kaisē phirtā hai , manuṣhya sr̥iṣhṭi K|kē jhāṛ key|kī ādi-madhy-ant kyā hai - yah kathā hai . Barōbar kathā bhī iskō kahē̃ - lônga lônga ago . Lônga lônga ago mānā ? 5000 varṣh pahlē . Kyā thā ? Śhrī lakṣhmī nārāyaṇ kā rājya thā , dēvtāō̃ kā rājya thā . Phir kyā huā ? Tō dēkhō , kathā tum sunā saktē hō nā kaisē vō lōg 84 janm mē̃ āvē . Dēkhō , tumnē kitnī baṛī kathā sunāī . Kathā mē̃ anēk kathāē̃ . Kaun-sī phir anēk kathāē̃ ? Islāmī aisē āyā , bauddhī aisē āyā , kriściyan aisē āyā , phalānā aisē āyā . Yē sabhī kathāē̃ haĩ . Kathāō̃ mē̃ kathāyē̃ . Abhī tumhārī buddhi mē̃ ṭhīk baiṭh gaī - sārē sr̥iṣhṭi K|kē chakkar key|kī ādi-madhy-ant key|kī kathā sabhī dharmō K|kē bhī ādi-madhy-ant key|kī kathā . Sabkō buddhi mē̃ tō nahī̃ hai nā . Number-vār haĩ . Yē kathā kō hī knowledge kahā jātā hai . Kathā bhī kahē̃ . Kathā kī jātī hai purānī . 5000 varṣh huā , phalānā rājā thā , yē thā , phir yē huā , yē huā uskō kathā kahā jātā hai . Tō unhōnnē pūrī kathā batā dī ki 5000 kē badlē mē̃ lakṣhmī nārāyaṇ kā rājya lākhō̃ varṣh āgē kar diyā sō bhī sārī ulṭī kathā . Pīchhē rām kō lē āē , pīchhē kr̥iṣhṇa kō lē āē . Phir rām kō bandar key|kī sēnā dī|the aur kr̥iṣhṇa kō gītā kā bhagvān banāy diyā aur bahut māiyô dē dī̃ . Sikīladhē lucky gyān sitārō̃ prati māt-pitā bāp-dādā kā mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ prati number-vār puruṣhārth anusār yādpyār aur good morning .