रविवार 20 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 1

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

20-09-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj ravivār sēpṭēmbar key|kī bīs tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .

Record -

Kisī nē apnā banākē mujhkō muskurānā sikhā diyā …

Ōm śhānti . Yē record nē pahlē pahlē vachan sunāyā . Granth kā vachan lētē haĩ nā . Tō yē record kahtā hai kisī nē mujhkō . . . . . . . Agar yē record na bhī bajē tō kōī harjā nahī̃ hai , parantu ramat-gamat kē liē , śhurū karnē kē liē aur jō bhī vidvān āchārya paṇḍit haĩ vō kōī na kōī śhāstra kā kuchh na kuchh śhurū kartē haĩ . Gītā kā yā vēd kā yā upaniṣhad kā kuchh na kuchh unkī buddhi mē̃ rahtā hai . Yē jāntē hō ki jō bhī manuṣhya mātra haĩ unkī buddhi mē̃ śhāstra hai aur tumhārī buddhi mē̃ kōī bhī śhāstra vagairah kuchh bhī nahī̃ hai . Tum bachchō̃ kē liē , khās buḍiḍhayō̃ kē liē bilkul hī , jō śhāstrō̃ key|kī kuchh bhī bātē̃ nahī̃ samajhē̃ yā kathāē̃ sun karkē khuśh hōvē̃ . Yahā̃ tō pahlē pahlē khuśhī hōtī hai ki ham kiskē banē haĩ . Aisē nahī̃ kōī kahēgā ki jō hamārā guru hai , ham unkē banē haĩ . Nahī̃ , bannā hōtā hai bāp kā . Śharīr chhōṛ karkē bhī phir kiskā bannā hōtā hai  ? Bāp kā bannā hōtā hai . Tō dēkhō , yahā̃ sirph bāp kā bannā hai . Vēd śhāstra granth vagairah-vagairah tum bachchō̃ kō kōī key|kī darkār nahī̃ hai . Jab bāp kō bachchā paidā hōtā hai tō bāp khud samajh jātē haĩ ki mērī milkiyat kā mālik paidā huā hai . Vāstav mē̃ yahā̃ kōī bhī paṛhnē , karnē , jap tap tīrtha dān-puṇya śhāstra vagairah key|kī kōī darkār nahī̃ hai . Jaisē kōī rājā hai yā mahārājā hai unkō kōī bachchā nahī̃ hai , aisē bahut hōtē haĩ nā , bahut sāhūkār bhī hōtē haĩ . Tō unkō bachchā nahī̃ hōnē sē vō bachchā môgatē haĩ . Bas , bachchā paidā huā , vō samajhtē haĩ ki mērī jō bhī property hai unkā mālik hai . Inmē̃ kōī paṛhāī kī tō bāt nahī̃ hai nā , yah tō sambandh key|kī bāt hai . Tum bachchē bhī āē hō , vāstav mē̃ jān gaē hō ki ham sacapac pahlē bhī śhivbābā K|kē hī haĩ , pahlē bhī paralaukik bāp K|kē haĩ  ; kyōṅki ātmāē̃ pahlē haĩ aur yē śharīr pīchhē hai . Pīchhē hamkō śharīr miltā hai . Abhī tumkō śharīr tō hai . Abhī tumkō bēhad kā bāp milā hai . Usnē ā karkē apnā parichay diyā hai . Tum bachchē sirph itnā hī kahtē hō ki hā̃ , ham āpkē haĩ . Tō dēkhō , yahā̃ sirph bāp aur bachchē kā sambandh hai , aur tō kōī sambandh hai nahī̃ . Phir uskē bād jabki bachchō̃ kō paṛhnā bhī tō hai jarūr . Inkō gurū bhī karnā hai jarūr , yē bhārat mē̃ kāydā hai . Tum jāntē hō ki barōbar ham bēhad K|kē bāp K|kē bachchē ban gaē haĩ . Nahī̃ tō yahā̃ kyā kartē  ? Yahā̃ inkē pās|pass rahnē key|kī kyā darkār hai  ? Yē kahtē haĩ ki maĩ kōī gurū-gōsāī̃ vagairah kuchh nahī̃ hū̃ . Sambandh bhī yē hai , board mē̃ bhī lagā huā hai - bramhākumār aur kumāriyā̃ . Tō kumār aur kumāriyā̃ kā nām likhā hai nā , bahanō̃ aur bhāiyō̃ kā . Tō jarūr unkā bāp hai . Sō bhī likhtē haĩ ki ham brahmā K|kē kumār aur kumāriyā̃ haĩ . Yē sambandh huā nā . Pahlē pahlē sambandh chāhiē . Pīchhē teacher , pīchhē gurū . Pahlē-pahlē tō mā̃-bāp kā sambandh chāhiē . Mīṭhē bachchē , tum hamēśhā gātē āē hō ki tum māt-pitā . . . Dēkhō , mātā-pitā kā sambandh hō gayā nā . Tum māt-pitā K|kē ham jab bālak banē̃gē phir sē  ; kyōṅki gātē ātē haĩ , yē samajhtē haĩ ki phir jab āp āē̃gē tō ham āpkē bālak banē̃gē . Dēkhō , yē ātmā kitnī yād kartī hai . Iskō avināśhī yād hai jaisē bhaktimārg mē̃ . Jab ham bālak banē̃gē tum māt-pitā K|kē tab tumhārē sē ham varsā lē̃gē . Māt-pitā sē aur kyā miltā hai  ? Varsē key|kī bāt hō jātī hai nā . Abhī tum bachchē jāntē hō ki ham māt-pitā K|kē haĩ . Bhalē kōī bhī yahā̃ sē chalē gaē hō , phir bhī unkō bulākar pūchhē̃ ki yē tumhārā kyā lagtā hai  ? Tō phir bhī kahē̃gē jarūr ki yē māt-pitā haĩ , ham śhivbābā K|kē bachchē haĩ . Jab bachchē haĩ tō varsā hī yād ānā hai . Abhī tumkō kōī dūsrī pustak vagairah tō nahī̃ paṛhāī jātī hai nā . Kuchh bhī nahī̃ . Tumkō sirph yē niśhchay baiṭhāyā jātā hai ki jinkē banē hō unkō yād karō tō unsē tumkō kyā phāydā hōgā . Vō khud kahtē haĩ ki mērē sāth yōg lagānē sē yā mērē kō yād karnē sē . . . . . . . . . Banē tō hō nā . Dēkhō , bahut thōṛī see|sī|C aur sahaj tē sahaj bāt batātē haĩ  ; kyōṅki viśhāl buddhi tō hōnā chāhiē nā . Aisē thōṛē hī hai ki bīj aur jhāṛ kō kōī samajh na sakē yā in chakra kō kōī samajh na sakē . Aur tō kuchh nahī̃ samjhātē haĩ , sirph apnē hī kul key|kī bāt samjhātē haĩ ki dēkhō , ham kitnī baṛī birādrī vālē pahlē bābā K|kē bantē haĩ , phir ham kaisē 84 K|kē chakra mē̃ ātē haĩ . Yē tō samajh gaē hō nā , nahī̃ tō dūsrā kōī bhī manuṣhya samajhtē nahī̃ haĩ ki 84 K|kē chakra mē̃ kaisē ātē haĩ . Abhī tum bachchō̃ kō vēd śhāstra yā jō jō bhī tum ādhākalp kartē āē hō in sabsē chhuṛātē haĩ . Tumkō na kōī yagya , na tap , na dān , na tīrtha , na puṇya , na sandhyā na gāyatrī kuchh bhī karnē key|kī darkār nahī̃ hai , kyōṅki tum bāp K|kē banē hō aur unkō yād kartē-kartē aur phir sr̥iṣhṭi chakra K|kē ādi madhya ant kō jānnē sē aur trikāldarśhī bannē sē hē mērē lāḍlē bachchē  ! Tum itnā ū̃ch tē ū̃ch svarg kā mālik bantē hō . Abhī hai tō bahut sahaj nā . Tum jō rōtē rōtē ātē hō , tumkō sadaiv kē liē harṣhit banātā hū̃ . Kitnī sahaj bātē̃ haĩ . Ismē̃ difficulty tō nahī̃ hai  ; parantu yē sahaj bātē̃ bhī bhūl jātī haĩ . Kyā kāraṇ hai jō bhūl jātī haĩ  ? Bhūlnē key|kī kōī bāt hōnī nahī̃ chāhiē . Mā̃-bāp kō kabhī kōī bhūltā nahī̃ hai . Sō bhī aisē mā̃-bāp kō . Bāp sirph bachchē kō kahtē haĩ - bāp kō yād karō aur varsē kō yād karō , phir tum sadaiv harṣhit rahē̃gē . Vō gīt kā point hai nā - kōī āyā huā hai . . . . Vō gātē rahtē haĩ , bhaktimārg mē̃ tō gānā hī hai nā . Yē jō tumhārā hai yē avināśhī hō gaī nā . Vō baras-baras kuchh na kuchh manātē haĩ - daśhaharā dīpmālā rakhaṛī bandhan . Arē , yē tō rōj . . . . . . . . Ātmā tō duḥkh mē̃ apnē bāp kō yād kartī rahtī hai . Duḥkh mē̃ aur tō kiskō yād nahī̃ kartē haĩ nā . Bāp kō yād kartē haĩ  ; kyōṅki bāp nē jarūr sukh diyā hai aur kōī hamkō duḥkh dētē haĩ tō bāp kō yād kartē haĩ ki hāy bābā , hāy bhagvan , aisē kahtē haĩ nā . Aisē mat samjhō ki isī janm mē̃ , nahī̃ , har ēk janm mē̃ yē hāy-hāy kartē āē haĩ . Abhī tō bachchō̃ kō bilkul hī sahaj samjhātē hai . Bhalē yahā̃ rahō , tō samjhānē key|kī bāt hō gaī , bhalē agar bairak mē̃ rahnā chāhtē hō yā jō bhī government K|kē sipāhī bairak mē̃ rahtē haĩ tō tandurūsta hī rahtē hai . Kabhī service kar saktē haĩ . Tandurūstī bigar tō service thōṛā muśhkil bhī kar sakē̃ . Bhalē tum tadurūsta na bhī hō , bhalē kitnē bhī bīmār hō , jaisē tum lōgō̃ K|kē bīmār hōnē sē vō ākar samjhātē haĩ ki ārām karō - ārām karō . Tum phir kyā karō  ? Tum bīmārī mē̃ hī aurō̃ kō batāō ki tum śhivbābā kō yād karō - śhivbābā kō yād karō . Vō martē haĩ aur vō khaṛē haĩ . Tum jab bīmār bhī hō tō sirph itnā unkō kahō - arē , śhivbābā kō yād karō . Tumkō tō kōī yād karānē sē chhūṭ gayā . Tumkō aurō̃ kō yād karānā paṛē , yād dēnā paṛē . Martē samay bhī tum aurō̃ kō yē knowledge dē saktē hō ki śhivbābā kō yād karō - śhivbābā kō yād karō , bēhad kā bābā hai , tumkō varsā dēgā . Uskā svarg kā varsā hai . Tō service kā śhauk jab paṛ jātā hai tō marnē vakt bhī agar kōī āēgā pūchhnē kē liē tō unkō gyān dēgē - aisī bachchō̃ key|kī avasthā chāhiē . Aisē nahī̃ ki hospital mē̃ murdē paṛē rahē̃ tō mukh band hō jāē̃ . Mukh tō kabhī band nahī̃ hōtā hai nā . Mukh sē kuchh na kuchh hāy rām - hāy rām , rām-rām tō nikaltā hī rahtā hai nā . Tō tum bachchō̃ key|kī kitnī achchhī avasthā hōnī chāhiē , kitnī buddhi mē̃ yē bāt hōnī chāhiē ki sirph hamkō bābā aisī ēk sahaj bāt samjhātē haĩ , jō cāk haĩ , caṅgē-bhalē haĩ , tandarūsta haĩ yā bīmār haĩ , ham bīmārī mē̃ bhī bahut first class service kar saktē haĩ . Kōī bhī mitr-sambandhī āvēṅgē hamārī service karnē liē  ; sab tō samajhtē haĩ ki inkō kōī darkār nahī̃ hai , tō bhī vō bichārē āē̃gē tō kahē̃gē ki achchhā , prabhu kō yād karō , vō hī tumhārā rakhvālā hōgā aur kyā tumhārā kōī rakhvālā hō saktā hai  ! Isliē īśhvar kō yād karō , prabhū kō yād karō , rām - rām kahō . Tō phir unkō kyā samjhānā hai  ? Vō tō tum jāntē hō ki apnī buddhi mē̃ hai ki maĩ tō who|hū gyān sāgar kā bachchā . Ham tumkō aur hī kahtē haĩ ki tum śhivbābā kō yād karō . Bābā ēk hai aur varsā bhī sabkō ēk sē miltā hai  ; kyōṅki bāp kā varsā bachchō̃ kō tō miltā hī hai nā . Usmē̃ bhī jō male|mail|mēl hōtē haĩ unkō varsā miltā hai , female kō nahī̃ miltā hai . Unkō kuchh dān kiyā jātā hai . Uskō dān kahtē haĩ . Kanyāē̃ sau brāhmaṇō̃ sē uttam haĩ , kyōṅki pavitra haĩ . Tō pavitra kō tō dān diyā hī jātā hai . Sanyāsī pavitra haĩ tō unkō dān diyā jātā hai . Brāhmaṇ pavitra nahī̃ haĩ tō bhī unkō dān diyā jātā hai , parantu tum kanyāē̃ tō sabsē jāstī pavitra hō . Isliē bāp-mā̃ tumkō dūsrō̃ kō dēnē kē liē kahtē haĩ ki ham kanyā kō dān dētē haĩ . Kanyā kō bhī dētē haĩ , tō kanyā kō dān bhī dētē haĩ . Unkō bahut baṛā dān samajhtē haĩ  ; parantu is samay mē̃ vāstav mē̃ dān tō hōtā hī nahī̃ hai . Dān tō abhī hai . Dēkhō , ājkal tumkō bahut kahtē haĩ , jō garīb haĩ vō tō bichārē chhūṭ jātē haĩ nā . Ham apnī kanyā yē yagya mē̃ śhivbābā kō dētē haĩ . Mātā bhī kahtī hai maĩ śhivbābā key|kī bantī hū̃ . Tō kanyā tō dēnī hai nā . Vahā̃ dēnī hai katlēām hōnē kē liē aur yahā̃ kanyā dī jātī hai svarg key|kī mahārānī bannē kē liē . Nark bhārat kō svarg bannē kē liē . Dēkhō , agar kōī kanyā dān dētē hai tō kanyā bhī aisī hōnī chāhiē jō paṛhī-likhī hō . Tum chhōṭī bachchī kanyā tō nahī̃ lē lē̃gē . Kanyā lēnī hai jō achchhī tarah sē apnē kul key|kī bhī hō aur unkō kuchh samjhānē sē vō samajhtī jāē  ; kyōṅki sarvisēbul tō chāhiē nā . Tumkō chhōṭē bachchē nahī̃ sambhālnā hai . Nā ki tumkō chhōṭī kanyāō̃ kā kuchh bhī lēnā hai . Kanyā āvē , jab dēkhō ki yē thōṛī bāt mē̃ samajh lētī hai ki yahā̃ kyā kām hai  ! Yahā̃ aur tō paṛhāī jāstī nahī̃ hai , tum itnā kām kar sakē̃gī  ? Tō tum bhī śhivbābā kō yād karō . Parichay dō aur unkō kahō ki abhī bāp K|kē varsē kō yād karō . Yē tō jarūr hai ki barōbar bēhad kā bāp hai aur yē chitra sāmnē rakh dēnā hai . Yē chitra baṛā achchhā hai . Haĩ tō sabhī chitra ēk-dō sē achchhē . Yē nutshell mē̃ hōtē jātē haĩ . Unsē kahō ki dēkhō , yē satyug kā varsā pā rahē haĩ . Nahī̃ tō satyug kē liē yē lakṣhmī-nārāyaṇ kā varsā , yē kahā̃ sē , kisnē dē diyā  ? Śhrī lakṣhmī-nārāyaṇ kō achchhī tarah sē pakaṛō . Isliē lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē baṛē chitra tum bachchō̃ kē liē banāē jātē haĩ , rādhē-kr̥iṣhṇa kā bhī nahī̃ . Tō yē bhī dēkhō baiṭhī huī hai , thōṛī bāt samjhātē haĩ . Unkō kyā karnā hai  ? Abhī yē nāṭak pūrā hōtā hai . Aur sab bāt bhūl jāvē̃ . Yē ēk nāṭak hai aur hamnē 84 janm kā part bajāyā hai . Abhī pūrā hōtā hai , ham jātē haĩ bābā kē pās . Bābā kē pās jāē̃gī aur phir naī duniyā mē̃ āē̃gī , kyōṅki hamārā bābā naī duniyā kā rachnē vālā hai . Naī duniyā kā mālik nahī̃ hai , mālik hamkō banātē haĩ . Vō hamkō uskī yukti mārg yā pāth kahtē haĩ , vō tarīkā batātē haĩ ki bēhad K|kē bāp sē tumkō 21 janm kā sadā sukh kā varsā kaisē milēgā . Yē ghaṛī-ghaṛī baiṭh karkē apan kō aisē hī niśhchay karō ki ēk tō , maĩ ātmā hū̃ . Maĩ ātmā khātā hū̃ maĩ ātmā chaltā hū̃ maĩ ātmā is śharīr kō yē kartavya karā rahā hū̃ . Yē practice tō tum lōgō̃ kō baṛī chāhiē ki tum ātmā hō , jissē dēh-abhimān tō ṭūṭ jāvē . Jab tum yē niśhchay karē̃gī tō phir yē niśhchay bhī rahēgā ki ham ātmā kiskā bachchā hū̃ . Dēh-abhimānī kō ghaṛī-ghaṛī laukik bāp yād karēgā . Dēhī-abhimānī kō pārlaukik bāp yād karēgā . Yē bhī tō ēk kāydā hai nā . Dēh-abhimānī hōnē sē tumkō dēhaabhimānī kā laukik bāp aur unkā varsā yād paṛēgā . Tō uṭhtē-baiṭhtē thōṛī mēhnat hai ki maĩ ātmā hū̃ maĩ ātmā khātā hū̃ pītā hū̃ chaltā hū̃ . Mērā bāp hai bābā , unkī mat par chaltā hū̃ . Yē bhī mat vō dē rahē haĩ . Śhivbābā mat dē rahē haĩ ki apan kō ātmā samajh karkē mujhē yād karō , kyōṅki sukh tō tumkō lēnā hī hai . Sukh K|kē tō bhātī hō gaē  ; parantu thōṛē sukh kē liē satisfy na hō jāō , bas khuśh na hō jāō . Ham jāē̃gē tō jarūr svarg mē̃ , ismē̃ tō pāī kā bhī śhak nahī̃ hai . Bābā-mammā tō kahā hai nā  ; parantu pakkē mātēlē banō , sautēlē nahī̃ banō  ; kyōṅki sautēlē aur mātēlē kā yahā̃ bahut samjhāyā huā hai . Mātēlā kiskō kahtē haĩ  ? . . . . jō bilkul hī bāpdādā kō yād karē , phir dūsrē na yād paṛē . Dūsrē yād paṛtē haĩ tō sautēlā hō jātā hai . Dēkhō , yahā̃ baiṭhē-baiṭhē bahut ātē haĩ nā . Yē bhī bāp yād paṛtē haĩ , vō bhī yād paṛtē haĩ . Tō phir ēk yād karnā paṛtā hai nā . Dō bāp nahī̃ . Ēk bāp jō avināśhī svarg kā varsā dēnē vālā hai . Ēk kā kul samjhō . Yē bhī kul hai , vō bhī kul hai . Aur bhī bāl-bachchē sab hōtē haĩ . Samjhō birādrī hai . Unsē tō duḥkh hī miltā hai . Abhī tō duḥkh hī kahē̃gē . Alpkāl kṣhaṇ bhaṅgur sukh bhī kyā kahē̃gē  ! Abhī sukh kyā rakhā huā hai yahā̃  ! Yahā̃ tō maut āyā huā hai sāmnē . Tō yē buddhi sē judge karnā hai ki abhī ham kis taraph jāvē̃  ? Laukik K|kē taraph yā paralaukik K|kē taraph . Yē bhī gīt tō hai nā tumhārē pās|pass - kiskī taraph jāyē̃ , kiskā sāth pakaṛē  ? Buddhi kahtī hai ki kyō̃ nahī̃ is bāp dvārā bāp kā ban karkē , hāth dē karkē ham apnā svarg key|kī taraph jāvē . Phir vahā̃ buddhi kahtī hai ki laukik kō kaisē chhōṛē̃  ? Jītē jī chhōṛnā hōtā hai nā . Tō tumkō is samay mē̃ jītē jī marnā hai , chhōṛnā hai . Vō hamkō jahannum key|kī taraph lē jānē vālē haĩ , yē bahiśht key|kī taraph lē jānē vālē haĩ . Ab buddhi kahtī hai ki kis taraph jāū̃ . Rāt-din kā phark hai . Us taraph tō ham svarg K|kē mālik bantē haĩ , is taraph mē̃ tō nark K|kē mālik bantē haĩ . Abhī kis taraph buddhi kō lagāvē̃  ? Buddhi kō kahā̃ chhōṛē  ? Ātmā kahtī hai buddhi kō kahā̃ phēṅkē̃  ? . . . śāntidhām aur svargdhām jāvē̃ yā yahā̃ jāvē̃  ? Abhī yā yahā̃ jāvē vō praśhna uṭhnā nahī̃ chāhiē  ; kyōṅki yahā̃ K|kē tō janm-janmāntar hō  ; isliē abhī tō ham is bāp kō tō kabhī chhōṛē̃gē nahī̃ . Tum bāp kē pās baiṭhē huē hō . Yahā̃ kōī laukik sambandhītō haĩ nahī̃ tumhārē , bhalē kōī āpas mē̃ bahanē̃ hō̃ yā phalānā hō̃ , kahtī hai ki ham bābā kē sāth muktidhām , bābā kahtē haĩ nā ki savērē̃ mē̃ bhī uṭh karkē aisē hī baiṭhō . Baiṭhnē sē majā hī hōtā hai key|kī kis taraph jāvē̃ . Khaiñch kis taraph key|kī jāstī hōnī chāhiē  ? Buddhi kahtī hai key|kī khīñch tō svarg key|kī taraph key|kī hōnī chāhiē . Mērī buddhi is taraph yādagārī mē̃ kyō̃ jātī hai  ? Hamkō yē māyā dhōkhā dētī hai . Yē apnē sē bāt karnī hai . Vichār sāgar manthan kā kōī arth|earth tō nikalnā chāhiē na vō tō nahī̃ hai key|kī sāgar mē̃ lāṭhī ḍālī yā sarp ḍālā yā phalānā . . . . aim-object hai tumhārē pās|pass . Sanyāsī lōg kā kōī bhī tum yē vicār-sāgar-manthan kar nahī̃ saktī hō . Abhī tum kinārē par hō ēkdam ki kahā jāyē̃ . Is taraph mē̃ tō duḥkh hī duḥkh hai , us taraph mē̃ 21 janm kā sukh hai . Kis taraph buddhi kā yōg lagāvē̃  ? Bāp kahtē haĩ ki mērē kō yād karō . Māyā kahtī hai is kuṭumb , parivār , purānī duniyā key|kī taraph āō . Maĩ kahā̃ jāū̃  ? Mujhē tō abhī rāstā milā hai jō rāstā . . . . . saṅgam par ākar khaṛē huē hō . Ēk taraph mē̃ svarg jānē kā aur ēk taraph mē̃ hai nark . Yē saṅgam hai nā . Vō ṭivāṭā nahī̃ hai , yē tō vivāṭā kahō . Ṭivāṭā kahō tō bhī ṭhīk hai . Ṭivāṭē kā nām hōtā hai nā . Tīn galī - ēk is taraph mē̃ , ēk is taraph mē̃ , ēk is taraph mē̃ , vahā̃ ṭivāṭā hōtā hai . Abhī ham kahā̃ jāvē  ? Kis taraph jāvē  ? Is taraph jāyē̃ , is taraph jāyē̃ yā is taraph jāvē  ? Ēk tō galī hai nark key|kī , dūsrī taraph hai muktidhām , tīsrī taraph mē̃ hai jīvanmuktidhām . Abhī ṭivāṭē par gaē hō . Yē saṅgam abhī ṭivāṭā hai , jaisē tīn nadiyō̃ K|kē saṅgam kō trivēṇī kahā jātā hai . Jaisē tīn nadiyô nikaltī haĩ ēk vahā̃ sē , ēk vahā̃ sē , ēk phir bōltē haĩ ki gupta hai  ; par hai jarūr jō kahā̃ sē ātī hai . Abhī tum jāntē hō ki ēk taraph mē̃ hai muktidhām aur dūsrē taraph hai jīvanmuktidhām . Bahut manuṣhya haĩ jō bahut kahtē haĩ ham tō muktidhām pasand kartē haĩ aur kōī jīvanmuktidhām pasand karē̃gē . Is taraph mē̃ tō hai hī bandhanadhām jō ā karkē khaṛā hai . Tō tīn rāstē tō haĩ nā . Tīn vāṭikāē̃ . Ēk vāṭikā mē̃ tō haĩ hī ham . Us vāṭikā mē̃ bhī tō haĩ nā . Ṭivāṭē kā misāl tō baṛā achchhā hī dēkhnē mē̃ ātā hai . Tō aur kahā jāvē̃  ? Yē nark K|kē taraph tō hamkō chhōṛnā hī paṛē . Usmē̃ tō bahut duḥkh hai ēkdam . Agar śhānti hai tō ēk ā̃kh mē̃ yē line mē̃ jātī hai muktidhām mē̃ , dūsrī line mē̃ ā jātī hai jīvanmuktidhām mē̃ . Ham ṭivāṭē par khaṛē haĩ  ; isliē pichhāṛī tō nahī̃ haṭē̃gē  ; kyōṅki pichhāṛī sē ākar ṭivāṭē par khaṛē hō . Duḥkh key|kī galī sē ā karkē bābā nē tumkō ṭivāṭē par khaṛā kiyā hai . Is taraph mē̃ bahut bhayaṅkar hai . Śhānti bhī hai aur svarg mē̃ sukh hai . Yē galī sē tum āē hō janm-janmāntar pās|pass karkē , vahā̃ tō duḥkh hī hai . Abhī vichār rahtā hai kahā̃ jāyē̃ . Buddhi kahtī hai ki muktidhām jākar phir jīvan muktidhām mē̃ jātē haĩ . Tō kyō̃ nā ham kahē̃ jīvanmuktidhām . Muktidhām mē̃ tō baiṭhnā hai nahī̃ . Agar muktidhām mē̃ kōī baiṭh hī jāē̃ uskō bhī phir mōkṣh nahī̃ kahē̃ . Mōkṣh usē kahtē haĩ ki ham kahā̃ bhī nā hō̃ . Vō lōg kahtē haĩ nā ki hamārā part hī nā hō kahā̃ kā bhī . Is part sē chhūṭ jāyē̃ . Muktidhām mē̃ baiṭhē̃ tō bhī chhūṭ nahī̃ sakē̃ . Bhalē bahut vahā̃ baiṭhnā hōtā hai . Muktidhām mē̃ kōī 5000 varṣh tō kōī 100 , 200 , 300 varṣh cum|kam rahtē haĩ . Tō kyā tumkō vō part chāhiē  ? Drama anusār tumhārā vō part hai . Phir āēṅgē , machchhar K|kē muāphik marē̃gē , aur tō kuchh bhī nahī̃ hai . Itnā jō duḥkh dēkhā hai , unkā kuchh śhānti aur sukh bhī tō dēkhnā chāhiē . Tō vāstav mē̃ dēkhnē mē ātā haĩ ki bābā nē drama mē̃ yē vajan achchhā rakhā hai . Jō pichhāṛī mē̃ nirvāṇdhām mē̃ , muktidhām mē̃ bahut rahtē haĩ , vō tō abhī āē aur ēk - dō janma liē aur chalē gaē . Vō bhī kahē̃gē yē tō aur hī achchhā . Tum kiskō baiṭhkar yah batāēṅgē ki kyā tum muktidhām mē̃ hī rahnā chāhtē hō  ? Ṭivāṭē par tō khaṛē hō . Ēk muktidhām hai , dūsrā jīvan muktidhām hai . Vō śāntidhām mē̃ haĩ , vō sukhdhām mē̃ haĩ . Tum agar śāntidhām mē̃ jānā chāhtē hō tō bas śhānti kō hī yād kartē rahō . Yē manā kar dō ki bābā , mujhē tō yahā̃ ānā hī nahī̃ hai . Hamkō bhalē pichhāṛī mē̃ ānē dō , maĩ tō yē vichār kartā hū̃ . Tō bhī muktidhām kō yād tō karnā paṛē nā . Yē vivēk kahtā hai ki muktidhām mē̃ kyō̃ rahnā chāhtē haĩ . Yē jō pichhāṛī vālē ātē haĩ nā unkō muktidhām mē̃ jāstī rahnē sē muktidhām jāstī yād paṛtā hai . Tum jō pahlē vālē ātē hō tō tumkō jīvan muktidhām yād paṛtā hai . Haĩ tō dōnō̃ right , kyōṅki ham jīvan muktidhām vālē haĩ tō hamkō yād paṛtā hai ki jaldī ham jāyē̃ . Vō nahī̃ haĩ tō unkō itnā khyāl nahī̃ rahtā hai . Vō chāhtē haĩ ki ham mukti mē̃ rahē̃ . Tō bhalē mukti mē̃ rahē̃ , bābā sē var lēnā bhī kōī cum|kam tō nahī̃ hai nā . Bhalē 84 janm sē chhūṭ karkē , bākī ham khālī dō janma lēvē . Chalō , bas bābā kō yād kartē rahō . Jānā hai tō unsē itnā hī varsā tum jāstī nahī̃ . . . . . Inmē̃ bhī dēkhō kitnā kalyāṇ bharā huā hai . Kōī yē bahut pasand karē̃gē . Unsē pūchh saktē hō ki agar tum chāhō tō ham nirvāṇdhām mē̃ hī rahē̃ , sukhdhām mē̃ na āvē , tō bhalē , tō phir apan samajh jāē̃gē ki inkā pahlē jīvanmukti mē̃ part nahī̃ dēkhnē mē̃ ātā hai . Sab tō ākar yē nahī̃ lē̃gē nā . Jō ā karkē puruṣhārth karē̃gē samajhē̃gē ki yē muktidhām vālē jō pīchhē ātē haĩ islāmī bauddhī kriściyan , inmē̃ sē kōī hai , jō bāp sē apnā vahā̃ kā varsā lētē haĩ ki ham bahut vahā̃ rahē̃ . Haĩ tō dōnō̃ achchhē nā . Buddhi kahtī hai dōnō̃ bahut achchhē haĩ . Vō sukhdhām jānā nahī̃ chāhtē haĩ . Tum hō jō sukhdhām mē̃ rahnē vālē hō vō āē̃gē , ṭivāṭē par abhī khaṛē rahē̃gē aur jarūr puruṣhārth karē̃gē . Jō nā ānē vālē haĩ unkō yē pasand bahut hōgā tumhārā sachchā yōg . Unsē kahō ki tum ātmā hō , bāp kō yād karō . Tum chāhtē hō ki ham bāp kē pās jākar rahē̃ tō bas bāp kō hī yād kartē rahō aur is chakra kō bhī yād karnē key|kī tumkō darkār nahī̃ hai . Svarg kō bhī yād karnē key|kī darkār nahī̃ hai . Tum bāp kō yād kartē rahō  ; kyōṅki yē gyān tō sabhī dharm vālō̃ kē liē hai nā . Bāp kā parichay dēnā tō sabkō hī hai . Pīchhē yē tō samajhtē hai ki drama anusār jinhōnnē jitnā jākar liyā hai , jis pad par pahuñchnā hai vō āē̃gē , ākar yahā̃ sē pad lē̃gē . Bachchō̃ kō tō rāstā batānā hī hai nā . Muktidhām mē̃ jānā chāhtē hō tō sirph bābā kō yād karō . Varsā lēnā chāhtē hō tō chakra kō yād karō . Dēkhō , kitnī sahaj bātē̃ haĩ . Bachchō̃ kō samjhātē haĩ . Agar yē gīt K|kē muāphik kahtē hō ki ham śānt nahī̃  ; par sadā sukhī rahē̃ , tō vahā̃ śhānti bhī hai aur sukh me hai . Jō-jō jis-jis dharm kā hōgā vō vahā̃ varsā apnē bāp sē ā karkē lē lēnā hai jarūr . Muktidhām vālā bhī lē lēgā , kyōṅki sarv kā jīvanmukti dātā hai . Tō jīvanmukti dātā vō bhī tō pahlē jab āē̃gē , tab sukh dēkhē̃gē . Ēk hī janm mē̃ sukh bhī dēkhē̃gē tō duḥkh bhī dēkhē̃gē . Vō tō jaisē machchhar K|kē muāphik abhī-abhī  ; janamā , ghūmā-phirā aur phir rāt kō marā . Abhī vō tō kōī aisē nahī̃ kahē̃gē nā ki amūlya jīvan hai . Vō tō machchharō̃ jaisē thōṛē-thōṛē jīnē vālē haĩ . Tum tō bahut hī sukh lēnē vālē hō . Tum tō sadaiv harṣhit rahnē vālē hō . Khaṛē tō hōnā nā abhī . Bābā tumkō samjhātē haĩ ki barōbar tum ēk light house hō , khaṛē hō gaē hō , ēk taraph mē̃ dōnō̃ rāstā dikhlā saktē hō . Bōlō - chāhē muktidhām mē̃ chalō , chāhē yē jīvanmuktidhām mē̃ chalō . Chāhē sirph muktidhām kō yād karō , chāhē tō dōnō̃ kō yād karō . Hai tō bahut thōṛā . . . ismē̃ na kōī śhāstra paṛhnē key|kī darkār hai , na alpha , bē paṛhnē key|kī darkār hai . Vāstav mē̃ kiskē liē  ? Kumāriyō̃ kē liē , kyōṅki kumāriyā̃ tō paṛhnē lag paṛtī haĩ nā . Unkō tō bahut sahaj hai ēkdam  ; kyōṅki sīḍhī jab talak na chaṛhī hai tō baṛā sahaj hai unkē liē . Nahī̃ tō jō yād hai , vō miṭtī nahī̃ hai . Chhōṭēpan sē hī kiskō yād dilāō tō achchhī tarah sē pakkē hō jātē haĩ aur chhōṭēpan mē̃ paṛhtē bahut achchhē haĩ . Buddhi unkī achchhī hōtī hai . Kōī bhī gān-vān kuchh bhī sikhlāō tō chhōṭē bachchē jaldī sīkh jātē haĩ . Baṛō̃ kō tō buddhi mē̃ bahut hī haṅgāmā hai nā . Dēkhō , śhādī kē bād kitnē haṅgāmē rahtē haĩ . Phalānē-phalānē key|kī yād bahut hōtī hai . Kumārī kō tō kōī yād hī nahī̃ rahtī hai . . . . . . . . kōī sunnē kō āē̃gē tō aisē thōṛē hī hai ki tum baiṭh karkē prajā kā hisāb nikālē̃gē . Hisāb nikālē̃gē ki hamārī mālā kaisē bantī hai . Chhōṭī mālā kaisē bantī hai , baṛī mālā kaisē bantī hai , tumhārā khyāl ismē̃ rahēgā . Phir yē bhī tumhārī buddhi mē̃ rahēgā ki achchhā dēkhē̃ sabsē sāhūkār prajā kaun bantī hai . Yahā̃ bhī aisē hī hōtā hai . . . . - baṛē-baṛē  ; manuṣhya kaun haĩ , phir baṛē-baṛē  ; sāhūkār kaun haĩ . Kōī dēkhē̃gē ki ājkal gurū bhī bahut sāhūkār haĩ . Dēkhō , āgākhā̃ kitnā sāhūkār hai  ! Gurū bhī sāhūkār hai nā . Phir dēkhō kahē̃gē nijām kā jō mālik thā , navāb thā , vō bahut sāhūkār thā . Vilāyat mē̃ jāō tō jō dhandhē vālē thē rôkaphilar yā ' phōrḍa ' yē bahut sāhūkār thē . Nām mē̃ tō ātē haĩ nā . Tō mukhya-mukhya nām mē̃ nikal āē̃gē . Bākī kiskā hisāb karē̃gē  ? Tumhārē mē̃ bhī aisē hai ki kaun-kaun mukhya haĩ jō pahlē sūryavanśhī mahārājā-mahārānī banē̃gē aur phir kaun us dynasty mē̃ rājya karē̃gē , kaun haĩ jō chandravãśhī banē̃gē . Kitnī phir prajā bannē kī hai . Yē bhī tō hai nā . Yahā̃ tumkō sab bāt samjhāī jātī hai . Sārē jhāṛ key|kī , sārē chakra key|kī , sārē dharmō̃ key|kī bhī . Maṭh panth yē ḍār mē̃ dēkhō kaun hai , foundation hai , phir ṭa ‌ yūmus haĩ , phir usmē̃ sē kitnē chhōṭē-chhōṭē nikaltē haĩ . Abhī bhī jaisē ki pattē nikaltē rahtē haĩ . Jab vahā̃ khālī hō jāē̃gī phir vināśh bhī śhurū hōnā chāhiē . Vināśh bhī kitnā jaldī hōtā hai . Kyā wonder hōtā hai . Vō jō baṛī laṛāī hōtī hai usmē̃ kōī batātē thōṛē hī haĩ , kiskē manuṣhya marē , kitnē marē . Yē jō baṛī laṛāī lagī thī nā , usmē̃ tō karōṛō̃ marē hōṅgē , par vō bhī anginat hai nā . Parantu yahā̃ tō dēkhō kitnē khalās hōṅgē aur tum hī jāntī hō ki bākī kitnē jākar bachē̃gē , jō vahā̃ satyug mē̃ ākar rahē̃gē . Bākī itnē sabhī . . . K|kē misal manuṣhya chāyē huē haĩ . Ann hī itnā nahī̃ nikaltā jō khā sakē̃ , sō bhī khās bhārat mē̃ . Itnē manuṣhya haĩ , jō bhārat mē̃ itnī ann key|kī paidāiśh nahī̃ hai jō bhāratvāsī khā sakē̃ . Kitnā bāhar sē ātā hai . Abhī vr̥iddhi tō jāstī hōtī jātī hai , unkē ūpar tō pakkā nahī̃ hai . Janm bahut jaldī hōtā hai , vō niśhchay hai . Bachchē paidā hōtē rahē̃gē  ; parantu yahā̃ āphatē̃ . . . . . . . kitnā ann khalās hō gayā . Chalō , phir bāhar sē mãgānā paṛē . Tō dēkhō yē hai pichhāṛī . Tum bachchē jāntē hō ki bābā ātē hī haĩ saṅgamyug par aur abhī hamkō bōltē haĩ ki bhalē tum bachchē kuchh bhī na paṛhō buddhi sē kām lō|low . Abhī jō śharīr nirvāh kē liē paṛhē huē haĩ unkō śharīr nirvāh kē liē prabandh tō karnā hī hai . Bākī tumkō apnā banānā hai . Pūchhtē jāō . Harēk kā apnā-apnā karma kā hisāb-kitāb hai . Avināśhī surgeon sē pūchhtē jāō , śhrīmat lētē jāō . Abhī kyā karnā hai , mērē yē sarakamasṭānsēj haĩ ham kyā karē̃ . Sabkō batātē jāē̃gē . Sārī duniyā kō tō nahī̃ ānā hai nā . Dēkhō ātē kitnē hai , ṭhan karkē ēkdam . Tumkō tō kōī bhī taklīph nahī̃ hai bilkul hī . Bhalē vō dhandhē vālē haĩ tō sab nahī̃ bhūlē̃gē nā . Unkō dhandhā tō karnā hai nā . Bākī jō yahā̃ ātē haĩ , unkō tō yē samjhāyā jātā hai ki yē duniyā saṛī paṛī hai , khalās huī paṛī hai . Bāp kō yād karō , naī duniyā kō yād karō tō tumhārā bēṛā pār hai . Sōtē rahō , kuchh bhī karō . Jō bhī āvē , tum khaṭiyā par paṛē rahō , tō bhī unkō apnā lakṣhya batāō ki tumhārē dō bābāē̃ jarūr haĩ . Jahā̃ bhī centre khōlō . Abhī dēkhō , bômbē mē̃ ēgjīviśan lagāē̃gē , vahā̃ pahlē pahlē \ yē bāt batāō . Ham tumkō ēk bāt samjhātē haĩ ki tumkō bāp kitnē haĩ  ? Ēk laukik aur dūsrā bhaktimārg mē̃ parampitā , ō god father yād jarūr kartē hō . Issē siddha hōtā hai ki dō bāp hai . Ēk baṛā bāp hai sabkā aur vō hai har ēk . kā alag - alag kuṭumb kā . Ab yē batāō , unkō kyō̃ yād kartē haĩ  ? Jarūr kōī samay mē̃ vō sukh dētē hōṅgē . Tō samajh nahī̃ saktē hō ki vō svarg key|kī sthāpanā kartē haĩ  ? Sō tō ham jāntē haĩ , tum nahī̃ jāntē hō . Bābā bhī kahtē haĩ bachchē . Tum kuchh nahī̃ jāntē hō . Apnē janmō̃ kō bhī nahī̃ jāntē hō . Maĩ tumkō batātā hū̃ . Tum bhī aisē kah saktē hō nā ki tum nahī̃ jāntē hō , ham jāntē haĩ ki vō baṛā bābā hai aur vō chhōṭā bābā hai . Vō janm-janm miltā hai , had kā varsā miltā hai aur vō ēk hī bār miltā hai , jabki vō ātē haĩ svarg key|kī sthāpanā karnē . Jab svarg key|kī sthāpanā kartē haĩ tō nark kā vināśh . Satyug key|kī sthāpanā kartē haĩ tō kalahayug kā vināśh . Sō sāmnē dēkhtē hō . Ham rāy dētē haĩ , śhrīmat dētē haĩ . Śhrī-śhrī sē milī huī mat tumkō dētē haĩ ki mujhē yād karō tō tum svarg kā mālik banē̃gē . Ismē̃ likhnē paṛhnē key|kī kōī bhī darkār hai  ? Buṛhiyō̃ kē liē aur añjān kē liē tō bilkul sahaj hai . Khāsakar K|kē buḍiḍhayā̃  ; kyōṅki vō tō marnē kē liē taiyār haĩ nā . Tō unkē liē tō aur hī bahut sahaj hai . Taklīph sē aur dhakkā khānē sē hī chhuṛā dētē haĩ . Achchhā , abhī bahut kyā sunāvē bachchō̃ kō . Bāp tō ātē haĩ tumkō sadaiv harṣānē kē liē vā śānt rahnē kē liē aur sukhī rahnē kē liē . Yahā̃ tō na hai śhānti , na hai sukh . Dōnō̃ nahī̃ haĩ nā . Ghar-ghar mē̃ dēkhō kitnī . . . kalah hai . Tō bhalē 50 bagulē baiṭhē huē haĩ , hans apnī mauj mē̃ rahē . Unkō rahnē key|kī power hai , bhalē vō kyā bhī āpas mē̃ jhagaṛā|jhagṛā kartē rahē̃ . Ham tō apnī mauj mē̃ rahē̃gē . Jhagaṛē|jhagṛē K|kē bīch mē̃ nahī̃ paṛnā chāhiē . Kyā karē̃ , yē gyān nahī̃ lētē haĩ tō laṛtē hī rahē̃gē . Ham rāy dēgē . Tō aisē nahī̃ hai ki unkē sāth mil jānā paṛtā hai . Hans kē sāth bagulē kā aur bagulē kē sāth hans kō buddhi kā yōg nahī̃ lagānā . Hans kā buddhi kā yōg bāp kē sāth rahnā hai , tabhī unkō hans kahtē haĩ . Tō ghar mē̃ rahnē key|kī yuktiyā̃ bahut haĩ . Kiskō bhī yukti na ātī hō tō pūchhē . Ghar mē̃ yē-yē haṅgāmē̃ mē̃ kyā karū̃  ? Bābā bahut batāēgā . Śhrēṣhṭh bannē key|kī mat baṛī achchhī dēgē . Insē jyādā śhrēṣhṭh mat dēnē vālā aur kōī hōtā hī nahī̃ hai . Isliē nām hai śhrīmat bhagavat gītā . Bhagvān key|kī śhrīmat . Bhagvān tō hai hī sabsē ū̃chē tē ūñchā bhagavat . Svarg kā rachtā hai tō jarūr aisī mat dēgē jō svarg kā mālik banē . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . achchhā , ṭōlī lē āō . Ēk akṣhar sunnē sē hī bachchō̃ kō naśhā chaṛh jānā chāhiē . . . . . . . gurū bhī mantra pahlē dētē haĩ kān mē̃ , phalānā karō . Tum bhī tō mantra dō nā ki bēhad K|kē bāp kō yād karō aur varsē kō yād karō . Sō bhī yād , ismē̃ japnā kuchh rahtā hī nahī̃ hai . Bāp kō yād karō , varsē kō yād karō . Na bābā-bābā karnā hai , na varsā-varsā karnā hai . Vō pukārtī haĩ nā ki mujhē jahar dēnē vālē sē bachāō . . . . . . . . . tō unkō cure tō jarūr karnā paṛē . Yah tō samajh key|kī bāt hōtī hai . Lōg difficult samajhtē haĩ ki gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahkar ham yē purānī duniyā kō bhūlē̃ . Yē kyō̃ nahī̃ hōtā hai  ? Yē kōī baṛī bāt tō hai nahī̃ . Purānē makān mē̃ rahtē-rahtē naē makān kō kaisē yād kartē haĩ  ? Naī duniyā tō yād āēgī nā . Tō bhalā naī duniyā kō yād karō aur bāp kō yād karō , bāt ēk hī hō jāēgī aur pavitra tō rahnā hī hai . Kahā jātā hai nā , gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē huē kamal fool|phūl K|kē samān pavitra hōkar dikhlāō . Māt-pitā aur bāpdādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati yādpyār aur good morning .