शुक्रवार 28 नवंबर 1969 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> 28-11-69 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

“ laukik kō alaukik mē̃ parivartan karnē key|kī yuktiyā̃ ”

Āj bhaṭṭhī kā kaun-sā din hai  ? Āj hai sampūrṇ samarpaṇ hōnē kā din . Bāpdādā kō aisā samajhkar bulāyā hai . Sampūrṇ samarpaṇ hōnē K|kē liyē sabhī taiyār hō vā sampūrṇ hō chukē hō  ? Jō sampūrṇ hō chukē haĩ āj unhī̃ kā samārōh hai . Yah sabhī K|kē sabhī sampūrṇ samarpaṇ huē haĩ . Sampūrṇ samarpaṇ jō hō jātā hai uskī dr̥iṣhṭi kyā hōtī hai  ? ( śhuddha dr̥iṣhṭi , śhuddha vr̥itti hō jātī hai ) lēkin kis yukti sē vah vr̥itti-dr̥iṣhṭi śhuddha hō jātī hai  ? Ēk hī śhabda mē̃ yah kahē̃gē ki dr̥iṣhṭi aur vr̥itti mē̃ rūhāniyat ā jātī hai . Arthāt dr̥iṣhṭi vr̥itti ruhānī hō jātī haĩ . Jism kō nahī̃ dēkhtē haĩ tō śhuddha , pavitra dr̥iṣhṭi hō jātī hai . Jaṛ chīz kō ā̃khō̃ sē dēkhē̃gē hī nahī̃ tō us taraph vr̥itti bhī nahī̃ jāyēgī . Dr̥iṣhṭi nahī̃ jāyēgī tō vr̥itti bhī nahī̃ jāyēgī . Dr̥iṣhṭi dēkhtī hai tab vr̥itti bhī jātī hai . Rūhānī dr̥iṣhṭi arthāt apnē kō aur dūsrō̃ kō bhī rūh dēkhnā chāhiē . Jism taraph dēkhtē huē bhī nahī̃ dēkhnā hai , aisī practice hōnī chāhiē . Jaisē kōī bahut gūṛh vichār mē̃ rahtē hai , kuchh bhī kartē hai , chaltē , khātē-pītē hai lēkin unkō mālūm nahī̃ paṛtā hai ki kahā̃ tak ā pahuñchā hū̃ , kyā khāyā hai . Isī rīti sē jism kō dēkhtē huē bhī nahī̃ dēkhē̃gē aur apnē us rūh kō dēkhnē mē̃ hī busy hōṅgē tō phir aisī avasthā hō jāyēgī jō kōī bhī āpsē pūchhē̃gē yah kaisī thī tō āpkō mālūm nahī̃ paṛēgā . Aisī avasthā hōgī . Lēkin vah tab hōgī jab jismānī chīz kō dēkhtē huē us jismānī laukik chīz kō alaukik rūp mē̃ parivartan karē̃gē . Apnē mē̃ parivartan karnē kē liē jō laukik chīzē̃ dēkhtē hō yā laukik sambandhiyō̃ kō dēkhtē hō un sabhī kō parivartan karnā paṛēgā . Laukik mē̃ alaukiktā key|kī smr̥iti rakhē̃gē . Bhal laukik sambandhiyō̃ kō dēkhtē hō lēkin yah samjhō ki ab hamārī yah bhī brahmā bāp K|kē bachchē pichhlī birādrī hai . Brahmā vanśh tō hai nā . Kyōṅki brahmā dī|the creator hai , tō bhakta , gyānī va agyānī haĩ lēkin birādrī tō vah bhī haĩ nā . Tō laukik sambandhī bhī brahmāvanśhī haĩ lēkin vah najdīk sambandh K|kē haĩ , vah dūr K|kē haĩ . Isī rīti kōī bhī laukik chīz dēkhtē hō , daphtar mē̃ kām kartē hō , business kartē hō , khānā khātē hō , dēkhtē hō , bōltē hō lēkin ēk-ēk laukik bāt mē̃ alaukiktā hō . Isī śharīr K|kē kārya kē liē chal rahē hō tō sāth-sāth samjhō in śhārīrik pāṅw dvārā laukik kārya taraph jā rahā hū̃ lēkin buddhi dvārā apnē alaukik dēśh , kalyāṇ K|kē kārya kē liē jā rahā hū̃ . Pāṅw yahā̃ chal rahē haĩ lēkin buddhi yād kī yātrā mē̃ . Śharīr kō bhōjan dē rahē haĩ lēkin ātmā kō phir yād kā bhōjan dētē jāō . Yah yād bhī ātmā kā bhōjan hai . Jis samay śharīr kō bhōjan dētē hō aisē hī śharīr kē sāth mē̃ ātmā kō bhī śhakti kā , yād kā bal dēnā hai .

Apnē kō parivartan mē̃ lānē kē liē kyā karnā paṛēgā  ? Harēk chīz kō laukik sē alaukiktā mē̃ parivartan karnā hai . Jissē lōgō̃ kō mālūm hō ki yah kōī viśhēṣh alaukik ātmā hai . Laukik mē̃ rahtē huē bhī ham , lōgō̃ sē nyārē haĩ . Apnē kō ātmik rūp mē̃ nyārā samajhnā hai . Kartavya sē nyārā hōnā tō sahaj hai , ussē duniyā kō pyārē nahī̃ lagē̃gē , duniyā kō pyārē tab lagē̃gē jab śharīr sē nyārī ātmā rūp mē̃ kārya karē̃gē . Tō sirph duniyā key|kī bātō̃ sē hī nyārā nahī̃ bannā hai , pahlē tō apnē śharīr sē nyārā bannā hai . Jab śharīr sē nyārē hōṅgē tab pyārē hōṅgē . Apnē man K|kē priya , prabhu priya aur lōk priya bhī banē̃gē . Abhī lōgō̃ kō kyō̃ nahī̃ priya lagtē haĩ  ? Kyōṅki apnē śharīr sē nyārē nahī̃ huē hō . Sirph dēh K|kē sambandhiyō̃ sē nyārē hōnē key|kī kōśhiśh kartē hō tō vah ulhanē dētē . Khud kō kyā change kiyā hai  ? Pahlē dēh K|kē bhān sē nyārē nahī̃ huē hō tab tak ulhanā miltā hai . Pahlē dēh sē nyārē hōṅgē tō ulhanē nahī̃ milē̃gē . Aur hī lōkpriy ban jāyēṅgē . Kaī apnē kō dēkh bāhar key|kī bāt kō dēkh lētē haĩ aur bātō̃ kō pahlē change kar lētē haĩ , apnē kō pīchhē change kartē haĩ . Isliē prabhāv nahī̃ paṛtā hai . Prabhāv ḍālnē kē liē pahlē apnē kō parivartan mē̃ lāō . Apnī dr̥iṣhṭi , vr̥itti , smr̥iti kō , sampatti kō , samay kō parivartan mē̃ lāō tab duniyā kō priya lagē̃gē . Kyōṅki jab sampūrṇ hō gayē tō uskē bād phir kyā karnā hai  ? Bōlanā-calanā kaisē hō vah batā rahē haĩ . Jaisē apakī yādgār śākhō̃ mē̃ batātē haĩ - sampūrṇ samarpaṇ kisnē aur kiskō karāyā aur kitnē mē̃ karāyā  ? Yādgār key|kī yād ātī hai  ? ( rājā janak kā misāl ) unkō tō bachchō̃ nē karāyā . Lēkin bāp nē karāyā aisā bhī yādgār hai . Batlātē haĩ nā ki vāman arthāt chhōṭā . Sabhī sē chhōṭā rūp kiskā hai  ? Ātmā aur paramātmā kā , tō bāp nē ākar māyā balī , jō balvān hai ussē tīn pair mē̃ sabhī kuchh liyā arthāt sampūrṇ samarpaṇ banāyā . Āp lōgō̃ kō bhī sampūrṇ samarpaṇ karnā hai arthāt jō bhī māyā kā bal hai vah sabhī kuchh tyāgnā hai . Māyā kā balī nahī̃ bannā hai lēkin ītharīy śhakti mē̃ balvān bannā hai . Tō jaisē vah tīn pair dikhātē haĩ . Yah kaun see|sī|C tīn bātē̃ sunāī jātī haĩ jissē sampūrṇ samarpaṇ ā jātā hai . Mansā , vāchā aur karmaṇā kē liē śhikṣhā kaunsī hai  ? Agar vah tīn bātē̃ yād rakhē̃gē tō sampūrṇ samarpaṇ hō hī jāyēṅgē . Vah tīn bātē̃ kaunsī  ? Ēk tō dēh sahit sabhī sambandhō̃ kā tyāg . Māmēkamū yād karō . Yah tō hō gayā mansā . Vāchā kē liē kyā śhikṣhā miltī hai  ? Her|har samay jaisē mōtī chugtē hai , is rīti mukh sē ratna hī nikalē . Ēk dō kō patthar nahī̃ lēkin gyān ratnō̃ kā dān dēnā hai . Aur karmaṇā kē liē yahī yād rakhō ki jō karma maĩ karū̃gā mujhē dēkh sabhī karē̃gē . Dūsrī bāt ki jō karē̃gē sō pāyēṅgē . Yah dōnō̃ bātē̃ yād rahnē sē karmaṇā mē̃ bal miltā hai arthāt jō sabhī K|kē samparka mē̃ ātē hai usmē̃ bal miltā hai . Samjhā  ? Mansā , vāchā , karmaṇā kē liē in mukhya bātō̃ kō yād rakhē tō phir sampūrṇ samarpaṇ jō huē hō uskō avināśhī banā sakē̃gē . Aisē nahī̃ ki yahā̃ sampūrṇ samarpaṇ kā naśhā chaṛhā hai vah bād mē̃ kam hō jāyē . Agar yah pakkā yād rakhē̃gē ki ham tō sampūrṇ samarpaṇ hō hī gayē tō yah avināśhī yād āpkō avināśhī banākar rakhēgī . Agar āp kuchh ḍagmag huē tō phir samasyā ḍagmag karēgī . Āpkē ḍagmag hōnē kō aur samasyāō̃ kō dēkhtē huē lōg bhī uskā tamāśhā dēkhē̃gē . Bāpdādā tō dēkhtē rahtē haĩ .

Sāth kiskē rahē̃gē  ? Sāthī aṅgulī chhōṛ dē tō kyā karē̃gē  ? Sabhī apnā sāth nibhāyē . Bāpdādā tō kis na kis rup sē sāth nibhānē arthāt aṅgulī pakaṛnē key|kī kōśhiśh kartē rahtē haĩ . Itnē tak jō bilkul sā̃s nikalnē tak , sā̃s nikalnē vālā bhī hōtā hai tō bhī jān bhartē haĩ . Lēkin kōī ôksījan lagānē hī na dē , nalī kō hī nikāl dē tō kyā karē̃gē  ? Agar bāpdādā kā sahyōg chāhiē tō vāstav mē̃ sahyōg kōī māṅgnē key|kī chīz nahī̃ hai . Sahyōg , snēhī kō svataḥ hī prāpt hōtā hai . Āp bāpdādā kā snēhī banō tō sahyōg svataḥ hī prāpt hōgā . Māṅgnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ . Ādhā kalp māṅgtē rahē , bhakta rūp mē̃ . Abhī bachchā bankar bhī māṅgtē rahē tō bākī phark kyā rahā bhakta aur bachchō̃ mē̃  ? Lēkin kāraṇ kyā hai ki agyānī hōkar sahyōg māṅgtē hō adhikārī samjhō tō phir māṅgnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ . Bītī sō bītī . Jō bīt chukā uskā chintan na karkē , bītī huī bātō̃ sē śhikṣhā lēkar āgē kē liē sāvdhān . Agar bītī huī bātō̃ kō sōchtē rahē̃gē tō yah bhī ēk samasyā hō jāyēgī . Samasyāyē̃ tō bahut ātī hai , yah bhī ēk naī samasyā khaḍī kar dēgē . Bītī kō parivartan mē̃ lānē , bal bharnē kē liē us rūp sē sōchō . Agar yah sōchē̃gē ki yah kyō̃ , kaisē huā , ab kaisē hōgā , jump dē sakū̃gā yā nahī̃ . Question nahī̃ karō . Question mark K|kē badlī|badalī fullstop , bindī lagāō . Bindī lagānā sahaj hōtā hai . Question - mark tō kōī likh sakē vā nahī̃ . Lēkin yahā̃ question lagānā sabhī kō ātā hai . Bindī lagātē jāō tō bindī rūp mē̃ sthit hō sakē̃gē . Museum yā pradarśhanī mē̃ āp lōg samjhānē kē bād phir kyā kartē hō  ? Museum va pradarśhanī K|kē paścāt kyā karnā hai vah parchā sabhī kō dētē hō . Tō bāpdādā bhī āj pūchhtē hai ki āp bhaṭṭhī K|kē paścāt kyā karē̃gē  ? Yagya K|kē kārya kō kaisē āgē baṛhāyēṅgē  ? Apnī unnati kā sādhan kyā karē̃gē  ? Daivī guṇ dhāraṇ karnā , snēhī bannā - yah tō karnā hī hai lēkin practical rūp sē kyā dēgē  ? Jaisē āp lōgō̃ nē sunāyā bhī ki apnē , bāp-dādā K|kē , parivār K|kē snēhī-sahayōgī banē̃gē . Lēkin vah bhī kin - kin bātō̃ mē̃ bannā hai . Mansā - vāchā-karmaṇā K|kē sāth-sāth tan-man-dhan tīnō̃ rūp sē apnē kō change karnā hai . Madadgār aur vaphādār . Jab dōnō̃ bātē̃ hōgī tab bāpdādā aur parivār K|kē snēhī aur sahyōgī ban sakē̃gē . Jō sahyōgī hōṅgē unkī parakh kyā hōgī  ? Vah parivār aur bāpdādā K|kē vichārō̃ aur jō karma hōtē haĩ unmē̃ ēk dō K|kē samīp hōṅgē . Ēk dō K|kē mat K|kē samīp ātē jāyēṅgē tō phir matbhēd khatm hō jāyēgā . Ēk tō madadgār aur vaphādār uskā tarīkā bhī batāyā , dūsrī bāt yah hai ki jō bhī sampūrṇ samarpaṇ hōtē haĩ unkō apnā tan-man-dhan aur samay yah chārō̃ chīzē̃ kahā̃ lagānī chāhiē  ? Yah tō jarūr hai ki pravr̥itti mārg taraph bhī dhyān dēnā hai lēkin yah jō chārō̃ chīzē̃ dētē hō uskē liē āp K|kē man mē̃ jajamēnnṭa ṭhīk hai ki ham yathārth rīti prayōg kar rahē haĩ  ? Sampūrṇ samarpaṇ ātmā kō jō sachmuch tan , man , dhan aur samay dēnā chāhiē is pramāṇ dē rahē haĩ  ? Yah pōtāmēl bhī nikālō ki tan , man , dhan aur samay kā prayōg kahā̃ kartē haĩ  ? Jaisē apnē ghar kā pōtāmēl rakhtē hō vaisē jō sampūrṇ samarpaṇ huyē haĩ unhō̃ kō yah bhī pōtāmēl nikālnā chāhiē . Tan bhī kahā̃ aur kaisē lagāyā  ? Yah short mē̃ likhnā hai lēkin spaṣhṭ . Kyōṅki detail bhī hōtā hai parantu spaṣhṭ nahī̃ hōtā . Isliē short bhī hō aur spaṣhṭ bhī hō . Jitnā-jitnā short aur spaṣhṭ likh sakē̃gē utnā āntarik sthiti bhī spaṣhṭ aur clear hōgī . Saṅkalp kō short karē̃gē tō samāchār bhī short hōgā aur puruṣhārth key|kī line clear hōgī . Tō samāchār bhī spaṣhṭ hōgā . Ismē̃ sārā pōtāmēl ā jāyēgā . Tīsrī bāt yah yād rakhnē kī hai ki mansā , vāchā , karmaṇā jō kuchh bhī ab tak puruṣhārth key|kī kamī K|kē kāraṇ chaltā rahā , uskō buddhi sē bilkul hī bhūl jāō . Jaisā ki ab nayā janma liyā hai . Puruṣhārth mē̃ jō bātē̃ kamjōrī kī hai vah sabhī yahā̃ hī chhōṛkar jānī hai . Phir patrō̃ mē̃ yah nahī̃ ānā chāhiē ki pichhlē saṅskārō̃ K|kē kāraṇ yah hō gayā . Jabki sampūrṇ samarpaṇ hō gayē tō aisē hī sōchnā ki dān dī|the huī chīz hai , jiskō agar phir svīkār karē̃gē tō uskā pariṇām kyā hōgā . Yah smr̥iti rakhnē sē chārō̃ bātē̃ change hō jāyēṅgī . Mukh sē kabhī aisē bōl nahī̃ nikalnī chāhiē . Samasyāyē̃ sāmnē kyō̃ ātī haĩ kyōṅki gyān key|kī kaī bātē̃ ulṭē rūp mē̃ andar mē̃ dhāraṇ kar lī hā̃ . Kōī bhūl hōgī tō kahē̃gē ki sampūrṇ tō banē nahī̃ hai . Abhī tō samay paḍā hai . Puruṣhārthī haĩ . Puruṣhārthī kō bhūlē̃ karnē key|kī chhuṭṭī nahī̃ hai . Lēkin ājkal aisē samajh baiṭhē haĩ ki puruṣhārthī arthāt bhūlē̃ māph haĩ . Yē aisā kartā hai tō hamkō karnā paṛtā hai . Yah gyānī kē badlē agyānī hō gayā . Yād kyā rakhnā hai , jō karēgā sō pāyēgā . Maĩ jō karū̃gā mujhē dēkh aur karē̃gē . Unkō dēkh mujhē nahī̃ karnā hai . Maĩ aisā karū̃ , jō mujhē dēkh aur bhī aisā karē . Tō yah chhōṭī-chhōṭī bātē̃ ulṭē rūp mē̃ dhāraṇ kar lī haĩ . Gyān kā sahī advantage jō lēnā chāhiē uskē badalē|badlē ulṭē rūp sē prayōg karnē sē puruṣhārth mē̃ kamjōrī ātī hai . Yē puruṣhārthhīn key|kī bātē̃ haĩ lēkin samajhtē hai ki yahī puruṣhārthī jīvan hai . Isliē yah tō gyān key|kī points apnē puruṣhārth key|kī kamī kō chhipānē K|kē sādhan banākar rakhē haĩ . In sādhanō̃ kō miṭāō . Tō sabhī samasyāyē̃ āpēhī khatm hō jāyēṅgī . Chār śhaktiyō̃ kō dhāraṇ karnā hai . Hai tō ēk hī īśhvarīy śhakti . Lēkin spaṣhṭ karnē kē liē kahā jātā hai . 1 - samēṭnē kī śhakti arthāt short karnē key|kī śhakti , 2 - samānē key|kī śhakti , 3 - sahan karnē key|kī śhakti , 4 - sāmnā karnē key|kī śhakti , lēkin kiskā sāmnā karnā hai  ? Bāpdādā va daivī parivār kā nahī̃ . Māyā key|kī śhakti kā sāmnā karnē key|kī śhakti .

Yah chārō̃ śhaktiyā̃ dhāraṇ karē̃gē tō sampūrṇ samarpaṇ kō avināśhī kāyam rakh sakē̃gē . Jaisē kahtē haĩ nā ki ēk tō short ( chhōṭā ) karō aur short ( chā̃ṭanā ) karō . Yah karnā hai , yah sōchnā hai , yah nahī̃ , yah bannā hai yah nahī̃ . Short kartē jāō aur jitnā hō sakē short karō . Jō das śhabda bōlnē haĩ , unkō short kar 2 śhabdō̃ mē̃ rahasya batāō tō aisē short kartē-kartē bilkul short hō jāyēgā . Aisā puruṣhārth is bhaṭṭhī K|kē pakṣāt karnā hai . Ēk bāt yah bhī yād rakhnā ki jaisē bāpdādā nē āp sabhī bachchō̃ kō sr̥iṣhṭi K|kē sāmnē pratyakṣha kiyā hai tō ab āp bachchō̃ kā bhī kām hai ki her|har kartavya sē , her|har bāt sē bāpdādā kō anēk ātmāō̃ kē āgē pratyakṣha karnā hai . Vah hai āpkā kartavya . Yah bhī apnā chart dēkhō ki ab tak hamnē bāp kā sandēśh tō diyā lēkin us sandēśh sē ātmāō̃ K|kē andar bāpdādā K|kē snēh aur sambandh kō pratyakṣha kiyā  ? Nahī̃ . Tō vah service kyā rahī  ? Adhūrī service nahī̃ karnī hai . Abhī sampūrṇ samarpaṇ huē hō tō service bhī sampūrṇ karnī hai . Isliē harēk kō yah bhī check karnā hai ki āj mainnē mansā , vāchā , karmaṇā kitnī ātmāō̃ K|kē andar bāpdādā K|kē snēh aur sambandh kō kahā̃ tak pratyakṣha kiyā hai  ? Sirph sandēśh dēnā service nahī̃ . Sandēśh dēnā arthāt unkō apnē sambandhī banānā . Apnā sambandhī banānā arthāt śhivvanśhī brahmākumār-kumārī banānā . Yah hai apnā sambandhī banānā . Apnā sambandhī tab banāyēṅgē jab unkō snēhī banāyēṅgē . Snēhī bannē sē sambandhī ban jāyēṅgē . Sirph sandēśh dēnā tō chīṇṭī mārg key|kī service hai , yah vihaṅg mārga key|kī service hai . Duniyā K|kē andar yah āvāj phailāō ki bāpdādā apnē kartavya kō kaisē gupta vēśh mē̃ kar rahē haĩ . Unkō is snēh , sambandh mē̃ lāō . Hai tō sabhī āpkē sambandhī nā . Tō sambandhiyō̃ kō apnā sambandh yād dilāō . Bichhuḍī ātmāō̃ kō snēhī banāō . Abhī service kā gupta rūp chal rahā hai , pratyakṣha rūp nahī̃ chal rahā hai . Museum mē̃ ātē haĩ bāhar kā pratyakṣha rūp aur chīz hai . Lēkin service kā rūp abhī gupta hai . Service kā rūp jab pratyakṣha hōgā tab pratyakṣhatā hōgī . Service kaisē vr̥iddhi kō pāyē uskē liē nayē-nayē plans bhī banāō . Āvāj kaisē hō . Bēdhaṛak hōkar sūchnā dēnē , sandēśh dēnē kē liē jāō . Pradarśhanī bhī kartē jāō lēkin bād mē̃ unkō jō kahtē hō vah tum bhī karō . Āpas mē̃ milkar sōchō . Duniyā kō yah kaisē mālūm hō ki abhī samay kyā hai aur kartavya kyā hō rahā hai  ? Kisī bhī rīti āvāj pahũch jāyē . Paper dvārā service hōnī chāhiē , vah huī nahī̃ hai . Ēk saṅgaṭhan K|kē rūp mē̃ , ēk dō kō samajh , sahyōgī ban bēhad key|kī service mē̃ bēhad kā rūp lānā hai .

Is group mē̃ emerge rūp mē̃ sabhī kō yah umaṅg hai ki jaisē bāpdādā chāhtē hai vaisē hī ham 100 kar K|kē dikhāyēṅgē . Jaisē yah emerge rūp mē̃ hai , pūrā hō jāyēgā . Sabhī K|kē man mē̃ jō hai ki ṭōṭalī laukik kārya sē sabhī surrender hō jāyē̃ vah din bhī najdīk hai . Lēkin vah tab hōgā jab man sē surrender hōṅgē . Phir laukik kārya sē surrender hōnē mē̃ dērī nahī̃ lagēgī . Is bārī man sē surrender hō jāō . Jiskī result achchhī dēkhē̃gē us anusār number dēgē . Bhaṭṭhī kā prōyām bhal hō na hō lēkin madhuban tō hai hī bhaṭṭhī . Madhuban ātē rahē̃gē aur apnā amar bannē kā sabūt dētē rahē̃gē . Sabhī sē baṛā surrender hōnā hai - saṅkalpō̃ mē̃ . Kōī vyarth saṅkalp na āyē . In saṅkalpō̃ K|kē kāraṇ hī samay aur śhakti west|waste hōtī hai . Tō saṅkalp sē bhī sampūrṇ samarpaṇ hōnā hai . Man K|kē umaṅgō̃ kō ab practical mē̃ lānā hai .

Achchhā - ōm śhānti  !