गुरुवार 2 अप्रैल 1970 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
02-04-70 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
sampūrṇ stage key|kī niśhāniyā̃
Sabhī K|kē andar sunnē kā saṅkalp hai . Bāpdādā K|kē andar kyā hai ? Bāpdādā sunnē sunānē sē parē lē jātē haĩ . Ēk sēkaṇḍ mē̃ āvāz sē parē hōnā ātā hai ? Jaisē āvāz mē̃ kitnā sahaj aur jaldī ātē hō vaisē hī āvāz sē parē bhī sahaj aur jaldī jā saktē hō ? Apnē kō kyā kahlātē hō ? Master sarvśhaktimān . Ab master sarvśhaktimān kā naśhā cum|kam rahtā hai , isliē ēk sēkaṇḍ mē̃ āvāz mē̃ ānā , ēk sēkaṇḍ mē̃ āvāz sē parē hō jānā is śhakti key|kī praikṭikal-jhalak chēhrē par nahī̃ dēkhtē . Jab aisī avasthā hō jāēgī , abhī-abhī āvāz mē̃ , abhī abhī āvāz sē parē . Yah abhyās saral aur sahaj hō jāyēgā tab samjhō sampūrṇtā āī hai . Sampūrṇ stage key|kī niśhānī yah hai . Sarv puruṣhārth saral hōgā . Puruṣhārth mē̃ sabhī bātē̃ ā jātī haĩ . Yād kī yātrā , service dōnō̃ puruṣhārth mē̃ ā jātē haĩ . Jab dōnō̃ mē̃ saral anubhav hō tab samjhō sampūrṇtā key|kī avasthā prāpt hōnē vālī hai . Sampūrṇ sthiti vālē puruṣhārth cum|kam karē̃gē , saphaltā adhik prāpt karē̃gē . Abhī puruṣhārth adhik karnā paṛtā hai uskī bhēṇṭ mē̃ saphaltā cum|kam hai . Āj bāpdādā sabhī key|kī sūrat mē̃ ēk viśhēṣh bāt check kar rahē thē . Dēkhē̃ kiskō touch hōtī hai , kaunsī bāt check kar rahē thē ? Jab thought readers catch kar saktē haĩ tō master sarvśhaktimān nahī̃ kar saktē haĩ ? Yah jō bhaṭṭhī huī unhō̃ kā paper nahī̃ liyā hai . Tō āj paper lētē haĩ . Pās|pass tō sabhī hō hī . Ēk hōtē haĩ pās|pass dūsrē hōtē haĩ pass with honour . Pāṇḍav sēnā jō hai vah śhaktiyō̃ kē āgē rahtē haĩ . Kōī āgē kōī pīchhē rahtē haĩ ( gōpō̃ sē ) āp śhaktiyō̃ kē āgē hō yā pīchhē hō ? Āgē jō dauṛnē chāhē̃gē unkō kōī rōk nahī̃ saktā . Apnī rukāvaṭ rōk saktī hai . Bākī kōī K|kē rōknē sē nahī̃ ruk saktā . Vaisē pāṇḍavō̃ kō pīchhē rahnā hī āgē hōnā hai . Pīchhē kisliē rahtē haĩ ? Guard pīchhē rahtā hai . Āp pīchhē vālē guard hō yā āgē vālē ? Kaun see|sī|C jagah achchhī lagtī hai ? Guard pīchhē rahtā hai guide āgē rahtā hai . Tō guide tō āgē hai hī . Nahī̃ tō pāṇḍavō̃ kō guard banākar śhaktiyō̃ key|kī rakhvālī kē liē nimitt banāyā huā hai . Pāṇḍavō̃ kō pīchhē rah kar śhaktiyō̃ kō āgē karnā hai . Guide nahī̃ bannā hai . Guard bannā hai . Āp kaun sē puruṣhārthiyō̃ key|kī line mē̃ hō . Puruṣhārthiyō̃ key|kī litanī lāinē̃ banī huī haĩ ?
Ab bāpdādā aisā master sarvśhaktimān banānē key|kī paṛhāī paṛhā rahē haĩ , jō kiskē bhī sūrat mē̃ uskī sthiti aur saṅkalp spaṣhṭ samajh sakō . Śhak bhī na rahē . Spaṣhṭ mālūm paṛ jāyē . Yah hai antim paṛhāī kī stage . Sākār rūp mē̃ thōṛī see|sī|C jhalak ant mē̃ dikhāī . Jō sākār rūp mē̃ sāth thē unhōnnē kaī aisī bātē̃ note kī haĩ . Aisī hī sthiti nambaravār sabhī bachchō̃ key|kī hōnī hai . Jab aisī sthiti hōtī jāēgī tab antim svarup aur bhaviṣhya svarup āp sabhī key|kī sūrat sē sabhī kō spaṣhṭ dikhnē mē̃ āēgā . Jab tak sākṣhāt sākār rūp nahī̃ banē haĩ tab tak sākṣhātkār nahī̃ hō saktā hai . Isliē is subject par ati samīp ratnō̃ kō dhyān dēnā hai . Jitnā samīp utnā hī svayã bhī spaṣhṭ aur dūsrē bhī unkē āgē spaṣhṭ dikhāī dēgē . Jitnā-jitnā jiskā puruṣhārth spaṣhṭ hōtā jātā hai utnā hī unkī prālabdh spaṣhṭ hōtī jātī hai , aur anya bhī unkē āgē spaṣhṭ hōtē jātē haĩ . Spaṣhṭ arthāt santuṣhṭ . Jitnā santuṣhṭ hōṅgē utnā hī spaṣhṭ hōṅgē . Spaṣhṭ bachchō̃ kō sākār rūp mē̃ kaun sē śhabda kahtē thē ? Sāf aur sachchā . Jismē̃ sachchāī aur saphāī hai vah sadaiv spaṣhṭ hōtā hai . Jab saphāī hōtī hai tō bhī sabhī vastu spaṣhṭ dēkhnē mē̃ ātī hai . Yah lesson bhaṭṭhī key|kī paṛhāī kā last lesson hai . Yahī example bannā hai . Jō kisī bhī bāt mē̃ example bantē haĩ unkō uskā phal ēgzām mē̃ extra marks miltē haĩ . Chār subjects viśhēṣh dhyān mē̃ rakhnī haĩ . Ēk yād kā bal , snēh kā bal , sahyōg kā bal aur sahan kā bal . Yah chār bātē̃ viśhēṣh is bhaṭṭhī key|kī subjects thī .
In chār bātō̃ mē̃ bāpdādā nē result kyā nikālī ? Harṣh key|kī hī result hai . Sabhī bal ēk samān hōnē mē̃ kuchh parasēṇṭēj key|kī kamī hai . Bal chārō̃ hī haĩ lēkin chārō̃ key|kī hī samāntā hō . Usmē̃ parasēṇṭēj key|kī kamī hai . Tō result kyā huī ? ७५ % pās|pass . Bāki jō २५ % kamī hai , vah sirph uskī hai ki sarv bal samān hō̃ . Kōī mē̃ kōī bal viśhēṣh hai , kōī mē̃ kōī bal viśhēṣh hai . Chārō̃ bal jab samān hō̃ tab samjhō sampūrṇ . ( is avasthā mē̃ śharīr chuṭ jāē tō bhaviṣhya result kyā hōgī ? ) jō aisē puruṣhārthī hōtē haĩ phir bhī himmatvān tō haĩ nā . Tō bāpdādā key|kī bhī pratigyā key|kī huī hai bachchō̃ sē , ki himmatē bachchē madadē bāp . Aisī himmat rakh chalnē vālē ant tak is hī himmat mē̃ rahtē rahē̃gē tō aisē himmatvān bachchō̃ kō kuchh madad mil jātī hai . Sabhī sē buddhiyōg haṭākar ant mē̃ ēk key|kī yād mē̃ rahnē kā jō puruṣhārthī hai , usē madad milnē K|kē kāraṇ sahaj hō jātā hai . Scholarship milēgī vā nahī̃ vah phir hai ant tak himmat rakhnē par . Jitnā bahut samay sē himmat mē̃ chaltē rahtē haĩ vah bahut samay kā link ṭūṭā nahī̃ tō gēlap kar saktā hai . Agar abhī bhī kāraṇē akāraṇē bahut samay K|kē himmat kā link ṭūṭ jātā hai tō phir scholarship lēnā muśhkil hai . Agar bahut samay kā link ant tak rahā tō extra help mil saktī hai . Isliē ab yahī last lesson pakkā karā rahē haĩ .
Abhī tak total result mē̃ kyā dēkhā ? Service key|kī subject mē̃ iñcārja bannā ātā hai lēkin yād kī subject mē̃ battery charge karnā bahut cum|kam ātā hai . Samjhā . Sākār rūp mē̃ anubhav dēkhā . Sākār rūp mē̃ service key|kī jimmēvārī sabhī sē jyādā thī . Bachchō̃ mē̃ unsē kitnī cum|kam hai . Bachchō̃ kō sirph service key|kī duty hai . Lēkin sākār rūp mē̃ tō sabhī duty thī . Saṅkalpō̃ kā sāgar thā . Responsibility K|kē saṅkalpō̃ mē̃ thē phir bhī sāgar key|kī laharō̃ mē̃ dēkhtē thē vā sāgar K|kē talē mē̃ dēkhtē thē ? Bachchō̃ kō laharō̃ mē̃ laharānā ātā hai lēkin talē mē̃ jānā nahī̃ ātā . Unkā sahaj sādhan pahlē sunāyā ki practice karō . Abhī-abhī āvāz mē̃ āyē , phir master sarvśhaktimān ban abhī-abhī āvāz sē parē . Abhī-abhī kā abhyās karō . Kitnē bhī kārōbār mē̃ hō lēkin bīch-bīch mē̃ ēk sēkaṇḍ bhī nikāl kar iskā jitnā abhyās , jitnī practice karē̃gē utnā practical rūp bantā jāyēgā . Practice cum|kam hai isliē practical rūp nahī̃ . Kabhī sāgar key|kī laharō̃ mē̃ kabhī talē mē̃ yah abhyās karō . Āj viśhēṣh bāt yahī check kar rahē thē ki bachchō̃ mē̃ jitnā hī sāhas hai utnī hī sahanśhakti hai ? Sāhas rakhnē key|kī śhakti kitnī hai aur sahan śhakti kitnī hai ? Yah dēkh rahē thē . Jitnā-jitnā svayã puruṣhārth mē̃ santuṣhṭ aur spaṣhṭ hōṅgē utnā aur unkē āgē spaṣhṭ dikhāī dē̃vē . Ab paper bhī huā , result bhī sunāī . Bākī pāṇḍavō̃ key|kī bāt rah gayī . Bāpdādā kē pās puruṣhārthiyō̃ key|kī kitnī lāinē̃ haĩ ? Aurō̃ kō na dēkh apnī line kō tō dēkhtē hōṅgē vā line kō bhī na dēkh apnē kō dēkhtē hō ? Ēk hai tīvr puruṣhārthiyō̃ key|kī line , dūsrī hai puruṣhārthiyō̃ key|kī lāinē̃ , tīsrī hai gupta puruṣhārthiyō̃ key|kī lāinē̃ aur chauthī haĩ ḍhīlē puruṣhārthiyō̃ key|kī line . Ab batāō āp kis line mē̃ hō ? Ab aisā samay jaldī āēgā jō yah śhabda nahī̃ bōlē̃gē ki āp jānō . Nahī̃ . Ham sabhī jāntē haĩ . Kyōṅki master sarvśhaktimān haĩ nā . Sabhī śhaktiyā̃ samān rūp mē̃ hī jāē̃gī . Phir master sarvśhaktimān hō jāyēṅgē . Bāp kā itnā niśhchay hai . Niśhchaybuddhi hai , vah vijayī hai hī . Bāp aur svayã mē̃ niśhchaybuddhi haĩ tō vijay kahā̃ jāēgī . Niśhchaybuddhi K|kē pīchhē-pīchhē vijay ātī haĩ . Vah vijay kē pīchhē nahī̃ dauṛtē , vijay unkē pīchhē dauṛtī hai . Ham vijayī banē̃ is saṅkalp kā bhī vah tyāg kar lētē . Aisē sarvasva tyāgī hō ? Sarvasva tyāgī aur sarv saṅkalpō̃ K|kē tyāgī . Sirph sarv sambandhō̃ kā tyāg nahī̃ . Sarv saṅkalpō̃ sē bhī tyāgī . Yahī sampūrṇ sthiti hai . Bāpdādā kyā dēkhtē haĩ ? Vijay kā sitārā . Tō bāpdādā key|kī list mē̃ vijayī sitārē hō . Jaisē aur kārya mē̃ ēk dō K|kē sahyōgī hō vaisē hī bhaviṣhya mē̃ bhī ēk dō K|kē sahyōgī dēkhnē mē̃ ā rahē hō . Bannā nahī̃ hai dēkhnē mē̃ ā rahē hō . Itnā hī samīp ānā hai , jitnā ab āvāz kar rahē haĩ aur pahũch rahā hai . Ab āp lōgō̃ kō sarv bātō̃ mē̃ thōṛē samay mē̃ pūrā follow karnā hai . Kar rahē hō aur kartē hī rahē̃gē .
Āp lōgō̃ kā jō pahlē-pahlē saṅgaṭhan banāyā thā vah kyā kar rahē haĩ ? Kisliē saṅgaṭhan banāyā thā ? Yagya key|kī sambhāl kē sāth saṅgaṭhan mē̃ rahnē vālē svayã key|kī bhī sambhāl kar rahē haĩ ? Jō svayã key|kī sambhāl kartē haĩ vah yagya key|kī bhī sambhāl kartē haĩ . Jō svayã key|kī sambhāl nahī̃ kar saktē haĩ vah yagya key|kī bhī sambhāl nahī̃ kar saktē haĩ . Is saṅgaṭhan kō kyā-kyā karnā hai yah unhō̃ kō bhī spaṣhṭ nahī̃ hai , isliē phir jab sahaj hō sakē tab sāthiyō̃ kō bulānā . Jab āp bulāē̃gē tab bāpdādā āēṅgē . Bāpdādā kō ānē mē̃ dērī nahī̃ lagtī hai . Apnī group key|kī phir kab dēkh rēkh key|kī ? Pāṇḍav group aur śhakti group , yah hai service group . Lēkin jō pāṇḍavō̃ kā group aur yagya mātāō̃ kā group thā uskā kyā hālchāl hai ? Mukhya kēndra K|kē samīp ānē sē dēkharēkh kar sakē̃gē . In group kō apnā karttavya hī hai . Sirph ८ din kā nahī̃ . ( sammēlan key|kī result ? ) jō bhaṭṭhī key|kī result batāī vahī sammēlan key|kī result hai . Chārō̃ hī bal samān hō , usmē̃ २५ % key|kī kamī sunāī . Samjhā . Pass with honour hōtē tō nā mālūm kyā hōtā . Sab pās|pass ( samīp ) ā jātē . Abhī sirph āvāz kiyā hai . Lalkār nahī̃ kī hai . Iskī bhī yukti batāī ki chārō̃ bal key|kī samāntā hōnī chāhiē . Kab kis bal key|kī viśhēṣhtā kab kis bal key|kī . Lēkin chārō̃ bal samān rakh service karnē sē lalkār hōgī . Lalkār na hōnē kā bhī kāraṇ hai . Sammēlan key|kī bāt nahī̃ kar rahē haĩ . Lēkin total āvāz nikaltā hai ab lalkār nahī̃ nikaltī hai . Āvāz phailāyā hai . Sōyē huē kō jagāyā nahī̃ hai , sirph karvaṭ badlāyā hai . Lalkār na hōnē kā kāraṇ kyā hai ? Batāō . Lalkār tab hōgī jab kōī bhī bāt kō aṅgīkār nahī̃ karē̃gē . Abhī kyā hōtā hai kaī bātō̃ kō aṅgīkār kar lētē haĩ , chāhē sthūl chāhē sūkṣhma . Jab kōī bhī saṅkalp mē̃ bhī aṅgīkār vā svīkār na hō tab lalkār hō . Abhī mix hai . Isliē result bhī mix hai . Jō kalp pahlē fix huē result haĩ vah ab nahī̃ hai . Us fix kō bhī jāntē hō , ab mix haĩ . Samjhā . Apnēpan kō bhī aṅgīkār na karē . Maĩ yah hū̃ , maĩ serviceable hū̃ . Maĩ mahārathī hū̃ , maĩ yah kartī hū̃ , yah kiyā … in sabkā maĩ-pan nikālkar bābā bābā śhabda āēgā tab lalkār hōgī . Paramātma mē̃ hī param bal hōtā hai . Ātmāō̃ mē̃ yathāśhakti hōtī hai . Tō bābā kahnē sē param bal āēgā . Maĩ kahnē sē yathāśhakti bal ātā hai . Isliē result bhī yathāśhakti hōtī hai .
Ab bhāṣhā bhī change hō . Sākār rūp mē̃ sabhī dikhāyā . Kab kahā ki maĩ yah chalā rahā hū̃ ? Mainnē murlī achchhī chalāī kab kahā ? Mainnē service key|kī , mainnē bachchō̃ kō touch kiyā kab kahā . Yah aṅgīkār karnā ḵẖatm hō jānā hai . Iskō kahā jātā hai jō vāydā kiyā hai vah nibhānā . Āp lōg ēk gīt gātē thē tumhī̃ par mar miṭē̃gē ham … yād ātā hai ? Mar miṭnā kiskō kahā jātā hai ? Maĩ pan miṭānā yahī mar miṭnā hai . Aṅgīkār na karō tō lalkār kar saktē hō . Kōī bhī bāt na nindā-stuti , na maĩ , na tum , na mērā tērā kuchh bhī aṅgīkār ( svīkār ) na karnā tab lalkār hōgī . Āp man mē̃ saṅkalp pīchhē kartē hō . Āp K|kē man mē̃ saṅkalp pahuñchē hī vahā̃ pahũch jātā hai . Kyō̃ pahlē pahuñchtā hai yah bhī guhya pahēlī hai . Āp lōg man mē̃ jō saṅkalp kartē hō vah āpkē man mē̃ pīchhē ātā hai unkē pahlē bāpdādā kē pās spaṣhṭ hō jātā hai . Kyōṅki sampūrṇ bannē sē drama ka her|har nūndh spaṣhṭ dēkhnē mē̃ ātī hai . Isliē drama key|kī nūndh kō pahlē sē hī spaṣhṭ dēkh saktē . Isliē bhaviṣhya dēkh karkē pahlē sē bāt kartē haĩ . Pahlē sē jaisē ki pahuñchā hī huā hai . Phir jab āp lōg part bajātē hō , bāpdādā bhī part bajātē haĩ . Āp rūharūhān karnē kā part bajātē hō , bāpdādā sunnē kā part bajātē haĩ . Samjhā . Jō jaisā hai vaisā svayã kō pūrā na bhī jān sakē lēkin bāpdādā jān saktē haĩ . Tō ab chārō̃ bal samāntā mē̃ lānē haĩ . Tab sākār K|kē samān ban jāyēṅgē . Jitnā saṅskārō̃ kō samāntā mē̃ lāvēṅgē utnā hī samīp āyēṅgē . Kaun sē saṅskār ? Sākār rūp K|kē saṅskār uparām aur sākṣhī dr̥iṣhṭā yah sākār K|kē sampūrṇ sthiti K|kē śhrēṣhṭh lakṣhaṇ thē . In saṅskārō̃ mē̃ samāntā lānī hai . In guṇō̃ sē sarv K|kē dilō̃ par vijayī hōṅgē . Jō saṅgam par sarv K|kē dilō̃ par vijayī bantā hai vahī bhaviṣhya mē̃ viśhva mahārājan bantē haĩ . Viśhva mē̃ sarv ā jātē haĩ . Tō bīj yahā̃ ḍālnā hai phal vahā̃ lēnā hai .
Achchhā ōm śhānti !