गुरुवार 29 अक्टूबर 1970 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
B r a h m a K u m a r i s B r a h m a K u m a r i s > 29-10-70 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
dīpmālā kā sachchā rahasya
Āj bāpdādā dīpmālā dēkh rahē haĩ . Yah dīpō̃ key|kī mālā hai nā . Lōg dīpmālā manātē haĩ , bāpdādā dīpmālā dēkh rahē haĩ . Dīpak kaun sē achchhē lagtē haĩ ? Jō dīp akhaṇḍ aur aṭal hōtā hai , jiskā ghr̥it kabhī khuṭtā nahī̃ , vahī akhaṇḍ jaltā hai . Apnē kō aisā dīpak samajhtē hō ? Aisē dīpakō̃ key|kī yādgār mālā hai . Apnē kō mālā K|kē bīch chamaktā huā dīpak samajhtē hō ? Aisē samajhtē hō ki hamārā yādgār āj manā rahē haĩ . Dīpmālā K|kē din dō bātē̃ viśhēṣh dhyān par rakhnī hōtī hai . Dīpmālā par kin bātō̃ kā dhyān rakhtē haĩ ? ( saphāī rakhtē haĩ , nayā cōpaṛā banātē haĩ ) parantu lakṣhya kyā rakhtē haĩ ? Kamāī kā . Us lakṣhya kō lēkar saphāī bhī kartē haĩ . Tō saphāī bhī sabhī prakār sē karnā hai aur kamāī kā lakṣhya bhī buddhi mē̃ rakhnā hai . Yah saphāī aur kamāī kā dōnō̃ kārya āp sabhī nē kiyā hai ? Apnē āp sē santuṣhṭ hō ? Jab kamāī hai tō saphāī tō zarūr hōgī nā . In dōnō̃ bātō̃ mē̃ santuṣhṭatā hōnā āvaśhyak hai . Lēkin yah santuṣhṭatā āēgī unkō jō sadaiv divyaguṇō̃ kā āhvān kartē rahē̃gē . Jitnā jō āhvān karē̃gē utnā in dōnō̃ mē̃ sadā santuṣhṭ rahē̃gē . Jitnā-jitnā divyaguṇō̃ kā āhvān kartē jāyēṅgē utnā avguṇ āhuti rūp mē̃ ḵẖatm hōtē jāyēṅgē . Phir kyā hōgā ? Naē saṅskārō̃ K|kē naē vastra dhāraṇ karē̃gē . Abhī ātmā nē naē saṅskārō̃ rūpī naē vastra dhāraṇ kiyē haĩ ki kabhī-kabhī purānē vastrō̃ sē prīt hōnē K|kē kāraṇ vah bhī dhāraṇ kartē haĩ . Jab marjīvā banē , nayā janm , naē saṅskārō̃ kō bhī dhāraṇ kiyā phir purānē saṅskār rūpī vastrō̃ kō kabhī kyō̃ dhāraṇ kar lētē ? Kyā purānē vastra ati priya lagtē haĩ ? Jō chīz bāp kō priya nahī̃ vah bachchō̃ kō priya kyō̃ ? Āj tak jō kamzōrī , kamiyā̃ , nirbaltā , kōmaltā rahī huī hai vah sabhī purānē khātē āj sē samāpt karnā , yahī dīpmālā manānā hai . Alpkāl kē liē nahī̃ , lēkin sadākāl kē liē aur sarv rūpō̃ sē samāpt karnā , yah hai dīpāvalī manānā . Dīpāvalī kō tājpōśhī kā divas kahtē haĩ . Āj āp sabhī K|kē kaun see|sī|C tājpōśhī manāī hai ? Tājpōśhī K|kē din kyā kiyā jātā hai ? Rāj siṃhāsan kā samārōh kab dēkhā hai ? Smr̥iti ātī hai . Kitnī bār dēkhā hōgā ? Anēk bār . Din pratidin aisē anubhav karē̃gē jaisē is janm mē̃ pratyakṣha dēkhī huī bātē̃ spaṣhṭ rūp mē̃ emerge rahtī hai . Vaisē bhaviṣhya rājāī K|kē saṅskār jō ātmā mē̃ samāyē huē haĩ vah jaisē kal key|kī dēkhī bāt hai . Aisā anubhav kartē rahē̃gē . Aisē pratyakṣha rūp mē̃ anubhav karē̃gē . Issē samajhnā ab ham apnē sampūrṇ sthiti aur apnē rājya K|kē samīp pahũch gaē haĩ . Satyugī saṅskār sōchnē vā smr̥iti mē̃ lānē sē nahī̃ , lēkin svataḥ hī aur spaṣhṭ rīti jīvan mē̃ ātē rahē̃gē . Is duniyā mē̃ rahtē huē bhī nayanō̃ mē̃ satyugī nazārē dikhāī dēgē na sirph itnā lēkin apnā bhaviṣhya svarup jō dhāraṇ karnā hai vah bhī ā̃khō̃ kē āgē bār-bār spaṣhṭ dikhāī dēgā . Bas abhī abhī yah chhōṛā , vah sajā-sajāyā chōlā dhāraṇ karnā hai aisē anubhav kartē rahē̃gē . Is saṅgamyug par hī satyugī svarup kā anubhav karē̃gē . Puruṣhārth aur prālabdh dōnō̃ rūpō̃ sē harēk kō pratyakṣha dēkhē̃gē . Tō āj dīpāvalī K|kē din divyaguṇō̃ kā āvhān karnā hai . Abhī phir bhī mukh sē nikaltā hai ki hā̃ kalp pahlē yah kiyā hōgā . Lēkin pīchhē yah śhabda badal jāyēṅgē . Is kalp key|kī bāt hō jāēgī . 5000 varṣh key|kī bāt itnī spaṣhṭ smr̥iti mē̃ āēgī jaisē kal key|kī . Jaisē science K|kē sādhan sē dūr key|kī chīz bhī samīp aur spaṣhṭ dikhāī paṛtī hai . Jiskō dūrabīn kahtē haĩ . Tō āp kā tīsrā nētra kalp pahlē key|kī bātē̃ samīp aur spaṣhṭ dēkhēgā vā anubhav karēgā . Tō purānē saṅskārō̃ key|kī caupaḍiyō̃ kō phir sē bhūl sē bhī nahī̃ dēkhnā . Purānē saṅskārō̃ kā chōlā phir-phir dhāraṇ nahī̃ karnā , navīntā kō dhāraṇ karnā . Yahī āj K|kē din kā mantra hai . Ratnajaṛit chōlā chhōṛ jaṛjaṛībhūt chōlē sē prīt nahī̃ lagānā . Sadaiv buddhi mē̃ bāpdādā key|kī smr̥iti va niśhānā aur ānēvālē rājya K|kē nazārē̃ , nayanō̃ mē̃ aur mukh mē̃ sadaiv bāpdādā kā nām hō . Iskō kahtē haĩ bāpdādā K|kē ati snēhī aur samīp ratna . Sabhī nē śhrēṣhṭh aur samīp ratna bannē kā dānv lagāyā hai yā jō bhī milē vah achchhā ? Agar is bāt mē̃ santuṣhṭ rahē tō sampūrṇ nahī̃ ban sakē̃gē . Isliē sadaiv yah dānv lagāō ki ham vijayī aur sampūrṇ bankar hī dikhāyēṅgē . Kamzōrī K|kē śhabda samāpt . Karē̃gē , hō hī jāyēgā , puruṣhārth kar rahē haĩ , yah śhabda bhī na nikalē . Karkē hī dikhāyēṅgē , bankar hī dikhāyēṅgē . Yah hai niśhchaybuddhi vijayī ratnō̃ K|kē bōl . Aur vah hai kamānadhārī bachchō̃ kā bōl . Bannā hai svadarśanacakradhārī lēkin ban jātē haĩ kamānadhārī . Kaī sōchtē haĩ kōī tō vah bhī banē̃gē nā . Is bāt mē̃ dayālū na banō . Kōī tō banē̃gē isliē ham hī ban jāē̃ . Aisē bannē vālē bahut haĩ .
Achchhā !