गुरुवार 3 दिसंबर 1970 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
03-12-70 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
sāmnā karnē kē liē kāmnāō̃ kā tyāg
Āj harēk avyakt sthiti kā anubhav kar rahē haĩ , kahā̃ tak harēk nirākārī aur alaṅkārī banē haĩ vah dēkh rahē haĩ . Dōnō̃ āvaśhyak haĩ . Alaṅkārī kabhī bhī dēh-ahaṅkārī nahī̃ ban sakēgā . Isliē sadaiv apnē āp kō dēkhō ki nirākārī aur alaṅkārī hū̃ . Yahī hai manmanābhav , madhyājībhav , . Svasthiti kō master sarvśhaktimān kahā jātā hai . Tō master sarvśhaktimān banē hō nā . Is sthiti mē̃ sarv paristhitayō̃ sē pār hō jātē haĩ . Is sthiti mē̃ svabhāv arthāt sarv mē̃ sva kā bhāv anubhav hōtā hai . Aur anēk purānē svabhāv samāpt hō jātē haĩ . Svabhāv arthāt sva mē̃ ātmā kā bhāv dēkhō phir yah bhāv-svabhāv key|kī bātē̃ samāpt hō jāēgī . Sāmnā karnē key|kī sarv śhaktiyā̃ prāpt hō jāyēṅgī . Jab tak kōī sūkṣhma vā sthūl kāmnā hai tab tak sāmnē karnē key|kī śhakti nahī̃ ā saktī . Kāmnā sāmnā karnē nahī̃ dētī . Isliē brāhmaṇō̃ kā antim svarūp kyō̃ gāyā jātā hai , mālūm hai ? Is sthiti kā varṇan hai ichchhā mātram avidyā . Ab apnē pūchhō ichchhā mātram avidyā aisī sthiti ham brāhmaṇō̃ key|kī banī hai ? Jab aisī sthiti banēgī tab jayjaykār aur hāhākār bhī hōgī . Yah hai āp sabhī kā antim svarup . Apnē svarup kā sākṣhātkār hōtā hai sadaiv apnē sampūrṇ aur bhaviṣhya svarup aisē dikhāī dē̃ jaisē śharīr chōṛanēvālē kō buddhi mē̃ spaṣhṭ rahtā hai ki abhī-abhī yah chhōṛ nayā śharīr dhāraṇ karnā hai . Aisē sadaiv buddhi mē̃ yahī rahē ki abhī-abhī is svarup kō dhāraṇ karnā hai . Jaisē sthūl chōlā bahut jaldī dhāraṇ kar lētē hō vaisē yah sampūrṇ svarup dhāraṇ karō . Bahut sundar aur śhrēṣhṭh vastra sāmnē dēkhtē phir purānē vastra kō chhōṛ vah nayā dhāraṇ karnā kyā muśhkil hōtā hai ? Aisē hī jab apnē śhrēṣhṭh sampūrṇ svarup vā sthiti kō jāntē hō , sāmnē hai tō phir vah sampūrṇ śhrēṣhṭh svarup dhāraṇ karnē mē̃ dērī kyō̃ ? Kōī bhī ahaṅkār hai tō vah alaṅkārahīn banā dētā hai . Isliē nirahaṅkārī aur nirākārī phir alaṅkārī . Is sthiti mē̃ sthit hōnā sarv ātmāō̃ K|kē kalyāṇkārī bannē vālē hī viśhva K|kē rājya adhikārī bantē haĩ . Jab sarv K|kē kalyāṇkārī bantē hō tō kyā jō sarv kā kalyāṇ karnē vālā hai vah apnā akalyāṇ kar saktā hai ? Sadaiv apnē kō vijayī ratna samajh kar her|har saṅkalp aur karma karō . Master sarv śhaktimān kabhī hār nahī̃ khā saktē . Hār khānē vālē kō na sirph hār lēkin dharmarāj key|kī mār bhī khānī paṛtī hai . Kyā hār aur mār mañzūr hai ? Jab hār khātē hō , hār K|kē pahlē mār sāmnē dēkhō . Mār sē bhūt bhī bhāgtē haĩ . Tō mār kō sāmnē rakhnē sē bhūt bhāg jāyēṅgē . Ab tak hār khānā kinhō̃ kā kām hai ? Master sarvaśaktimānō̃ kā nahī̃ hai isliē vahī purānī bātē̃ , purānī chāl ab master sarv śaktimānō̃ key|kī sūrat par śhōbhtā nahī̃ hai . Isliē sampūrṇ svarup kō abhī-abhī dhāraṇ karnē key|kī apnē sē pratigyā karō . Prayatna nahī̃ . Prayatna aur pratigyā mē̃ bahut phark hai . Pratigyā ēk second mē̃ kī jātī hai . Prayatna mē̃ samay lagtā hai . Isliē ab prayatna kā samay bhī gayā . Ab tō pratigyā aur sampūrṇ rūp key|kī pratyakṣhatā karnī hai . Sākṣhāt bāp samān sākṣhātkār mūrt bannā hai . Aisē apnē āpkō sākṣhātkār mūrt samajhnē sē kabhī bhī hār nahī̃ khāyēṅgē . Abhī pratigyā kā samay hai na ki hār khānē kā . Agar bār-bār hār khātē rahtē haĩ tō uskā bhaviṣhya bhī kyā hōgā ? Ū̃chē-ū̃chē pad tō nahī̃ pā saktē . Bār-bār hār khānē vālē kō dēvtāō̃ K|kē hār banānē vālē bannā paṛēgā . Jitnā hī bār-bār hār khātē rahē̃gē utnā hī bār-bār hār banānī paṛēgī ratnajaṛit hār bantē haĩ nā . Aur phir dvāpar sē bhī jab bhakta banē̃gē tō anēkō̃ mūrtiyō̃ kō bār-bār hār pahannā paṛēgā . Isliē hār nahī̃ khānā . Yahā̃ kōī hār khānē vālā hai kyā . Agar hār nahī̃ khātē tō balihār jātē haĩ . Abhī balihār vā bali chaṛhnē key|kī taiyārī karnē vālē hō . Samāpti mē̃ bali chaṛhnā hai vā chaṛh chukē hō ? Jō balihār hō gaē haĩ . Unhō̃ kā paper lē̃gē . Itnē sabhī kō āj sē kōī complain nahī̃ āyēṅgī . Jab hār nahī̃ khāyēṅgē tō complain phir kāhē key|kī . Āp lōgō̃ kā paper vatan mē̃ taiyār hō rahā hai .
Ōm śhānti .