सोमवार 27 अक्टूबर 1975 की अव्यक्त मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
27-10-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Question , correction aur kōṭēśan sē purūṣhārth mē̃ ḍhīlāpan
Rūhānī bagīchē K|kē bāgvān śhiv bābā phulvārī K|kē phūlō̃ kō dēkh bōlē :
Āj bāpdādā bēhad key|kī phulvārī kō viśhēṣh rūp sē dēkh rahē thē ki har ēk fool|phūl K|kē andar rūp , raṅg aur kitnī khuśhbū hai . Rūp arthāt sākārī svarūp mē̃ nain aur chain mē̃ arthāt chēhrē mē̃ brāhmaṇ-pan kā va phariśhtē-pan kā , śhrēṣhṭh pārṭdhārī ātmā key|kī smr̥iti kā naśhā aur khuśhī pratyakṣha rūp mē̃ kitnī dikhāī dētī hai ? Raṅg arthāt nirantar bāp K|kē saṅg kā raṅg arthāt sadā sāthī bannē kā raṅg kitnā chaṛhā huā hai ? Khuśhbū arthāt sadā rūhānī vr̥itti aur dr̥iṣhṭi kahā̃ tak apanāyī hai ? Har-ēk mē̃ yah tīn viśhēṣhatāyē̃ dēkhī̃ .
Yah viśhēṣhtā dēkhtē huē ēk aur vichitr viśhēṣhtā dēkhī . Vah kyā dēkhī ki jin viśhēṣh phūlō̃ mē̃ bāpdādā key|kī najar hai , umaṅg aur ullās key|kī jhalak bhī hai , ummīdvār bhī haĩ , sarv brāhmaṇ parivār kā snēh bhī hai , lakṣhya bhī bahut śhrēṣhṭh hai aur kadam bhī tīvr gati K|kē haĩ - lēkin abhī-abhī isī rūp mē̃ dikhāī dē rahē haĩ ( jō varṇan kiyā hai ) ; kuchh samay kē bād bāp key|kī najar mē̃ rahnē vālō̃ kē ūpar māyā K|kē royal rūp key|kī najar lagnē K|kē kāraṇ rūp-raṅg badal jātā hai . Kadamō̃ key|kī tīvr gati yathārth mārg K|kē bajāy vyarth mārg par tīvr gati sē chal paṛtē haĩ . Phariśhtēpan K|kē naśhē K|kē bajāy aur īśhvarīy khuśhī K|kē bajāy anēk prakār K|kē naśhē jō ki vināśhī naśhē haĩ , sāth-sāth sādhanō̃ K|kē ādhār par jō prāpt huī khuśhī aur naśhē haĩ - unmē̃ mast hō jātē haĩ . Sadā bāp K|kē saṅg K|kē raṅg K|kē bajāy arthāt ēk bāp kā sahārā lēnē K|kē bajāy samay-prati-samay jin ātmāō̃ sē alpkāl kā sahārā miltā hai un ātmāō̃ kō hī sākārī sahārā banā dētē haĩ . Arthāt saṅg K|kē raṅg mē̃ raṅg jātē haĩ . Ismē̃ bhī majority bachchō̃ mē̃ ēk bāt dikhāī dī .
Majority is brāhmaṇ jīvan K|kē ādi mē̃ arthāt pahlē-pahlē jab bāp dvārā bāp kā parichay , gyān kā khazānā prāpt hōtā hai , apnē janma-siddh adhikār kā mālūm paṛtā hai , yād dvārā anubhav prāpt hōtā hai , duḥkh , sukh mē̃ badal jātā hai , aśhānti , śhānti mē̃ badal jātī hai aur bhaṭaknā band hō , ṭhikānā mil jātā - us śhurū key|kī sthiti mē̃ bahut achchhē , tīvr umaṅg-ullās vālē , khuśhī mē̃ jhūmnē vālē , sēvā mē̃ rāt-din ēk karnē vālē , sambandh aur śharīr key|kī sudhabudh bhūlē huē , aisē first class sarvis-ēbal , knowledgeful aur powerful svayã kō bhī anubhav kartē haĩ aur anya brāhmaṇ bhī unkō aisē hī anubhav kartē haĩ . Lēkin ādi kē bād phir jab madhya mē̃ ātē haĩ tō purūṣhārth sē , apnī sēvā sē , khuśhī aur umaṅg sē santuṣhṭ nahī̃ rahtē . Apnē āp sē question kartē rahtē haĩ ki - pahlē aisā thā abhī aisā kyō̃ , pahlē jaisā umaṅg kahā̃ chalā gayā ? Pahlē vālī khuśhī gāyab kyō̃ hō gaī ? Chaṛhtī kalā K|kē bajāy rūkāvaṭ kyō̃ hō gaī ? Jabki gyān guhya hō rahā hai , samay samīp ā rahā hai , sēvā K|kē sādhan bhī bahut prāpt hō rahē haĩ aur phir bhī pahlē jaisā anubhav kyō̃ nahī̃ hōtā ? majority kā yah anubhav dēkhā . Ab iskā kāraṇ kyā ?
Kāraṇ yah hai - jab sēvā mē̃ aur brāhmaṇ parivār K|kē samparka mē̃ va sēvā dvārā jō pratyakṣha phal prāpt hōtā hai usmē̃ chaltē-chaltē kōī had key|kī position mē̃ ā jātē haĩ , kōī hamśharīk sarvis-sāthiyō̃ va samparka mē̃ ānē vālē apnē sāthiyō̃ kā opposition karnē mē̃ lag jātē haĩ , kōī sthūl sēlavēśan lēnē mē̃ lag jātē haĩ arthāt sēlavēśan K|kē ādhār par sēvā aur purūṣhārth kartē haĩ , kōī question aur correction karnē lag jātē haĩ aur phir kōī dūsrē key|kī kōṭēśan ( udāharaṇ ) dēnē lag paṛtē haĩ arthāt dūsrē K|kē dr̥iṣhṭānt sē apnā siddhānt banānē lag jātē haĩ . In pañch mē̃ sē kōī-na-kōī ulṭā mārg apnā lētē haĩ . Bāp nē kahā ki sadā tapasvī bankar K|kē apnē īśhvarīy brāhmaṇpan K|kē , sarvasva tyāgī K|kē position mē̃ sthit rahō . Lēkin had key|kī position ki - maĩ sabsē jyādā serviceable hū̃ , plainiṅg-buddhi hū̃ , inavēnṭar hū̃ , dhan kā sahyōgī hū̃ , din-rāt tan lagānē vālā hū̃ arthāt hārḍ-varkar hū̃ yā incharge hū̃ . - is prakār K|kē had K|kē nām , mān aur śhān K|kē un ulṭē position kō pakaṛ lētē haĩ . Arthāt yathārth mañzil sē vyarth mārg par tīvr gati sē chal paṛtē haĩ .
Bāp nē kahā - salvation army hō arthāt anya ātmāō̃ kō salvation dēnē prati hō lēkin had key|kī salvation ki yah sādhan hōgā tō service karē̃gē , pahlē sādhan dō phir service karē̃gē . Sādhan bhī sēvā-artha nahī̃ , lēkin apnē sukh K|kē arth|earth māṅgtē haĩ . Agar yah kiyā jāē tō bahut service kar saktā hū̃ , extra snēh , regard diyā jāy , extra khātirī key|kī jāy aur viśhēṣh nām liyā jāy - aisē prakār K|kē salvation K|kē ādhār par apnā purūṣhārth karnē lag paṛtē haĩ . Isliyē ādhār galat hōnē K|kē kāraṇ unhē̃ apnī unnati kā anubhav nahī̃ hōtā .
Isī prakār bāp nē kahā - māyā sē opposition karnā hai . Lēkin māyā K|kē tō mitr ban jātē haĩ arthāt āsurī saṅskārō̃ rūpī āsurī sampradāy K|kē bajāy īśhvarīy sampradāy arthāt ēk-dō mē̃ opposition kartē rahtē haĩ - yah aisā kartā hai tō maĩ issē bhī jyādā karkē dikhāũ , yah serviceable hai tō maĩ bhī serviceable hū̃ . yah āgē hai tō maĩ pīchhē kyō̃ ? Maĩ gupta puruṣhārthī hū̃ , mujhē pahchāntē nahī̃ aur nimitt teacher sē tō maĩ jyādā serviceable hū̃ . Teacher sē bhī opposition kartē haĩ . Tum anubhavī nahī̃ , maĩ tō anubhavī hū̃ , tum anpaṛh hō , maĩ paṛhī huī hū̃ . Aisē ēk-dō mē̃ opposition karnē sē apnā sadākāl kā śhrēṣhṭh position ganvā dētē haĩ . Āpas mē̃ opposition K|kē kāraṇ māyā sē opposition karnē mē̃ kamzōr ban jātē haĩ arthāt vijayī nahī̃ ban saktē haĩ .
Isī prakār question , correction aur kōṭēśan dēnē mē̃ tō baṛē hōśhiyār , vakīl aur judge ban jātē haĩ . Bāp kō correction dētē rahtē . Apnē āpkō chhuṛānē K|kē liyē arthāt apnī galatī|galtī kō chhipānē K|kē liyē kōṭēśan dēgē - mērē sē baṛā mahārathī bhī aisē kartā hai . Is samasyā par phalānē kō bāpdādā nē aisā kahā thā , isliyē mainnē bhī vah śhrīmat mānī . Phalānē date key|kī murlī mē̃ yah bāt kahī gaī hai , usī pramāṇ maĩ yah kar rahā hū̃ . samay aur sarakamasṭānsēj kō nahī̃ dēkhtē lēkin śhabda pakaṛ lētē haĩ . Inhī̃ bhūlō̃ K|kē kāraṇ ēk bhūl sē anēk bhūlē̃ baṛhtī jātī haĩ . Albēlāpan K|kē saṅskār baṛhtē jātē haĩ . Purūṣhārth key|kī gati tīvr sē madhyam hō jātī hai .
Bāp nē kahā hai ki master trikāldarśhī arthāt tīnō̃ kālō̃ kō jānnē vālē hō . Is dhārṇā kō apnānē K|kē kāraṇ apnī correction K|kē bajāy dūsrō̃ key|kī correction kartē rahēgē . Dūsrō̃ key|kī correction mē̃ bāp sē connection tōṛ dētē haĩ . Isliyē śhaktihīn hōnē K|kē kāraṇ ulajhtē rahtē haĩ . Sukh-śhānti va atīndriya sukh key|kī anubhūti kā ṭhikānā nazar nahī̃ ātā . Parchintan patan key|kī taraph lē jātā hai . Samjhā ? In bātō̃ mē̃ ānē K|kē kāraṇ jō ādi kā naśhā aur khuśhī kā anubhav hōtā hai yah khatm hō jātā hai . Isliyē apnē āp kō check karō ki in pañch mē̃ sē kōī bhī ulṭē va vyarth mārg par chal kar samay barbād tō nahī̃ kar rahē haĩ ? Check karō aur phir apnē kō change karō tō phir chaṛhtī kalā kī ōr chal paṛē̃gē . Aisā majority ātmāō̃ kā anubhav bāpdādā nē dēkhā .
Abhī mēlē kā ant hai . Tō ant mē̃ antim āhuti ḍālō arthāt sadākāl K|kē liyē apnē kō samarth banāō . Result tō sunāyēṅgē nā . Tō vartamān samay K|kē purūṣhārthiyō̃ kā chaltē-chaltē rūk jānē kā samāchār sunāyā . Āgē sē parivartan - bhūmi kā parivartan sadā sāth rakhnā . Iskō kahē̃gē mēlā manānā arthāt svayã kō sampann banānā . Achchhā !
Aisē second mē̃ svayã kō dr̥iṛh saṅkalp sē parivartan karnē vālē , apnī vr̥itti dvārā vāyumaṇḍal kō satōpradhān banānē vālē aur nazar sē nihāl karnē vālē aisē bāp K|kē sadā sāthī , sahyōgī aur śhaktiśhālī ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād - pyār aur namastē .
Is murlī key|kī viśhēṣh bātē̃
1 . apnē rūp , raṅg aur khuśhbū kō dēkhnā hai . Rūp arthāt chēhrē mē̃ brāhmaṇpan va phariśhtēpan key|kī jhalak , raṅg arthāt nirantar bāp K|kē saṅg kā raṅg aur khuśhbū arthāt rūhāniyat kahā̃ tak āyī hai ?