सोमवार 2 फ़रवरी 1976 की अव्यक्त मुरली - 1
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
02-02-76 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Bāp-snēhī bannē key|kī niśhānī - phariśtā-svarūp bannā
Phariśhtēpan key|kī yōgyatāyē̃ bharnē vālē , sarv guṇō̃ K|kē bhaṇḍār śhiv bābā vatsō̃ sē bōlē
Sadā apnā future sāmnē rahtā hai ? Jitnā nimitt banī huī ātmāyē̃ apnē future kō sadā sāmnē rakhē̃gī , utnā anya ātmāō̃ kō bhī apnā future banānē key|kī prērṇā dē sakē̃gī . Apnā future spaṣhṭ nahī̃ tō dūsrō̃ kō bhī spaṣhṭ banānē kā rāstā nahī̃ batā sakē̃gī . Apnā future spaṣhṭ hai ? mahārājā yā mahārānī - jō bhī banē , lēkin ussē pahlē apnā bhaviṣhya phariśhtēpan kā , karmātīt avasthā kā - vah sāmnē spaṣhṭ ātā hai ? Aisā anubhav hōtā hai ki maĩ her|har kalp mē̃ phariśhtē svarūp mē̃ yē part bajā chukī hū̃ aur abhī bajānā hai ? Vō jhalak sāmnē ātī hai . Jaisē darpaṇ mē̃ apnē svarūp key|kī jhalak dēkhtē hō , aisē knowledge K|kē darpaṇ mē̃ apnē purūṣhārth sē phariśhtēpan key|kī jhalak spaṣhṭ dikhāī dētī hai ? Jab tak phariśhtēpan key|kī jhalak spaṣhṭ dikhāī nahī̃ dēgī , tab tak bhaviṣhya bhī spaṣhṭ nahī̃ hōgā . Yah saṅkalp ātā hī rahēgā ki śhāyad maĩ yē banū̃ yā vō banū̃ ? Lēkin phariśhtēpan key|kī jhalak spaṣhṭ dikhāī dēgī tō vah bhī spaṣhṭ dikhāī dēgī . Tō vah dikhāī dētā hai yā abhī ghū̃ghaṭ mē̃ hai ? Jaisē chitra kā anāvaraṇ karātē ; hō tō apnē phariśhtē svarūp kā anāvaraṇ kab karē̃gē ? Āpēhī karē̃gē yā chief guest kō bulāyēṅgē ? Yah purūṣhārth key|kī kamjōrī kā pardā haṭāō tō spaṣhṭ phariśhtā rūp hō jāyēgā .
Abhī tō chaltē-phirtē aisē anubhav hōnā chāhiyē jaisē sākār kō dēkhā - - chaltē-phirtē yā tō phariśhtē rūp kā yā bhaviṣhya rūp kā anubhav hōtā thā , tabhī tō aurō̃ kō bhī hōtā thā . Maĩ teacher hū̃ , maĩ sēvādhārī hū̃ - yah tō jaisā samay , vaisā svarūp hō jātā hai . Ab svayã kō phariśhtē rūp mē̃ anubhav karō tō sākṣhātkār hōgā . Sākṣhātkār kā rūp kaun-sā hai ? Phariśhtā rūp bannā . Chaltē phirtē phariśhtā svarūp . Agar sākṣhāt phariśhtē nahī̃ banē̃gē tō sākṣhātkār kaisē karā sakē̃gē ? Tō teachers K|kē liyē ab viśhēṣh purūṣhārth kaun-sā hai ? Yahī ki phariśhtā is sākār sr̥iṣhṭi par āyā hū̃ sēvā arth|earth . Phariśhtē prakaṭ hōtē haĩ , phir samā jātē haĩ . Phariśhtē sadā is sākārī sr̥iṣhṭi par ṭhahartē nahī̃ , karma kiyā aur gāyab ! Tō jab aisē phariśhtē hōṅgē tō is dēh aur dēh K|kē sambandh va purānī duniyā mē̃ pāṅw nahī̃ ṭikēgā . Jab kahtē hō ki ham bāp K|kē snēhī haĩ ; tō bāp sūkṣhmavatan-vāsī aur āp sārā din sthūlavatan-vāsī , tō snēhī kaisē ? Tō sūkṣhmavatan-vāsī phariśhtē banō . Sarv ākarṣhaṇō̃ yā lagāvō̃ K|kē riśhtē aur rāstē band karō tō kahē̃gē ki bāp snēhī hō . Yahā̃ hōtē huē bhī jaisē ki nahī̃ hai - yah hai last stage . Viśhēṣh sēvārth nimitt hō , tō purūṣhārth mē̃ bhī viśhēṣh hōnā chāhiyē . Jab dūsrō̃ kō chaltē-phirtē yah anubhav hōgā ki āp lōg phariśhtē haĩ , tō dūsrē bhī prērṇā lē sakē̃gē . Agar sākār sr̥iṣhṭi key|kī smr̥iti sē parē hō jāō tō jō chhōṭī-chhōṭī bātō̃ mē̃ time west|waste kartē hō , vah nahī̃ hōgā . Tō ab high jump lagāō - sākār sr̥iṣhṭi sē ēkdam phariśhtō̃ key|kī duniyā mē̃ va phariśhtā svarūp iskō kahtē haĩ high jump . Tō chhōṭī-chhōṭī bātē̃ śhōbhē̃gī nahī̃ . Tō yah bāp key|kī viśhēṣh saugāt hai . Saugāt lēnā arthāt phariśhtā svarūp bannā . Tō bāp bhī yah phariśhtā svarūp kā chitra saugāt mē̃ dētē haĩ . Is saugāt sē purānī bātē̃ sab samāpt hō jāyēṅgī . kyā aur kyō̃ key|kī raṭ nahī̃ lagānī hai . Nirṇay-śakti , parakhnē key|kī śhakti , parivartan-śakti - jab yē tīnō̃ śhaktiyā̃ hōṅgī tō hī ēkadūsarē kō khuśhkhabarī sunāyēṅgē . Agar khud mē̃ parivartan nahī̃ tō dūsrō̃ mē̃ bhī parivartan nahī̃ lā sakē̃gē . Achchhā !
Parivartan-śakti vālā hī saphal
Praśhna : kisī bhī plan kō practical mē̃ lānē K|kē liyē viśhēṣh kaun-sī śhakti key|kī āvaśhyaktā hai ?
Uttar : parivartan karnē key|kī śhakti . Jab tak parivartan karnē key|kī śhakti nahī̃ hōgī , tab tak nirṇay kō bhī practical mē̃ nahī̃ lā saktē haĩ . Kyōṅki her|har sthān par , her|har sthiti mē̃ , chāhē svayã kē prati va sēvā kē prati hō , parivartan zarūr karnā paṛtā hai . Jaisē saphalatāmūrtta bannē kē liē saṅskār va svabhāv parivartan karnā paṛtā hai , vaisē hī sēvā mē̃ apnē vichārō̃ kō kahī̃-n-kahī̃ parivartan karnā paṛtā hai . Parivartan-śakti vālā kaisī bhī paristhiti mē̃ saphal hō jātā hai kyōṅki vah bahurūpī hōtā hai . Plan kō sēvā mē̃ lāyēṅgē aur points kō practical jīvan mē̃ lāyēṅgē - tō dōnō̃ K|kē liyē parivartan karnē key|kī śhakti chāhiyē . Knowledgeful hōnē K|kē nātē yah tō nirṇay kar lētē haĩ ki yē hōnā chāhiyē lēkin parivartan nahī̃ hōtā hai . Iskā kāraṇ hai parivartan-śakti key|kī kamī . Jismē̃ parivartan-śakti hai , vē|way sarv K|kē snēhī hōṅgē aur sadā saphal bhī hōṅgē . Saṅkalp mē̃ dr̥iṛhtā lānē sē pratyakṣha phal nikal ātā hai . Parivartan karkē saphal bannā hī hai - yah hai dr̥iṛh saṅkalp . Saphaltā saphalatā-mūrtō̃ kā āhvān kar rahī hai ki saphalatā-mūrtta āvē̃ tō maĩ unkē galē key|kī mālā banū̃ . Achchhā !